thedevil_780only
New Member
- 48
- 41
- 18
Nice
UPDATE - 28 Cruelty
Jese hi Aman ne training room mai enter kara, usne dekha ki uske samne 3 ghuspaithiye metal chains se chairs se bandhe hue hai aur unke samne Disha khadi thi elf kingdom ki puraani queen.
"Kya hume in sabki koi information mili ki yeh kon hai aur kiske liye kaam karte hai?" Aman ne apne hath piche fold karte hue pucha.
"Nahi, unme se koi bhi maar khane ke baad bhi kuch batane ko tayar nahi hai aur na hi apna muh khol rahe hai, aur yeh apne masters ke liye bahut zada loyal hai aur han left side wala ek blood assassin hai." Disha ne kaha aur usne ek ladki ki aur ishare kara jo pure kaale kapde phene hue ek chair pe bandhi bethi thi.
"Kya tum detailed mai batana chahogi? Aman ne Disha ki aur confused look se dekha kyuki usse blood assassin ke baare mai zada nahi pata tha.
"Woh es duniya mai sabse acche trained assassin hai aur esa bhi kaha jata hai ki unke pass kisi bhi type ki koi feelings nahi hoti woh bas ek hi chij janti hai 'Perfect Kill'." Disha ne kaha jab usne blood assassin ko grahna se dekha.
"To tum keh rahi ho mai ek killing machine ko dekha raha hu jisme koi feeling nahi hai?"
"Yes.. "
"... aur woh kuch bhi nahi karegi, chahe hum uske sath kuch bhi kare? hai na?" Aman ke chehre pe ek evil smile thi yeh kehte hue.
"Yes.. "
"Baki dono ka kya?" Aman ne kaha jab uski nazar hare balo wale ek ladke pe padi jiske chehre pe ek ajeeb si muskan thi aur ek serious face wale budhe aadmi pe, jisne butler ki dress pehni hui thi.
"Woh dono kuch ameer family se lagte hai kyuki mujhe unki pockets se kuch mahengi chijen mili hai."
"Woh kyu muskura raha hai?" Aman ne disgusting look ke sath kaha.
"Mujhe nahi pata lekin usne kaha ki woh mere master se baat karna chahta hai."
"Ohh... thik hai, mai jakar ab usse baat karta hu, lekin un sabke pass yeh circle kya hai?" Aman ne pucha, jabki uski demonic eyes un teeno ke charo taraf mana se bana ek dome type structure dekh raha tha.
"Yeh ek [Nil Field] spell hai." Tina ne notice kar liya tha ki Aman es field ko dekh pa raha hai lekin usse apne master se ehi hi ummeed yhi..
"Nil Field?" Aman confusion se bola..
"Yes, Nil Field mai koi bhi magic kaam nahi karta ya koi bhi artefacts jo magic ki madad se activate hote hai woh bhi kaam nahi karte, yeh ek high grade magic spell hai aur keval 6th grade ke Noble hi isse khareed sakte hai." Disha ne bataya...
"Hmm.. tumhe fir yeh spell kaha se mila?"
"Mene nahi socha tha woh vampire ladka ese spell bhi janta hoga?" Disha ne aman ko bataya..
Ohh mayank.. us saale ke pass wakai kuch acche spells hai.
"Mai personally unko investigate karunga, mere liye ek dagger lekr aao."
Acchanak ek orge assassin dagger lekr waha prakat ho gya..
"Good"
Mujhe heraani hai ki woh konsa spell uske karte honge? har baar jab woh sab ese gaayab hote hai to bahut cool lagte hai..
"Aapko ek advice de rahi hu, yeh log bahut zada tough hai to kuch alag karne ki koshish kariye, aur magic waha kaam nahi karega."
"Don't worry mai isse dekh lunga."
Aman ne yeh kehte hue dagger ko apni ungliyon pe nachaya aur ek smile ke sath uski aur badha jo usse dekh kar muskura raha tha.
"Tum muskura kyu rahe ho?" Aman ne bhi ek smile ke sath pucha.
"To tum uske boss ho...? tum to javaan ladke lagte ho.. kher mai tumhe bata du ki mai apne master ka great serv-"
*Stab*
Aman ne uske muh se nikla kisi bhinn anay shab ko nahi suna aur bas uske left hand par vaar kar diya, jisse uska dagger uski tavcha ko chidta hua niche rakhi chair pe ja laga.
"Ahhhhhhhhhhhhhhhhhhh....tu saale madorchod."
Isse pehle ki woh apne muh se aur koi gaali bakta, Aman ne uske hath se dagger nikala aur uske ek gaal se dusre gaal pe thop diya, jisse uski jeebh thodi kat gayi.
"Mujhe bas yeh bata tu kiske liye kaam karta hai." Aman ne mafia expression ke sath kaha
"Uahhhhhhhhhhhh....," hare baal wale ladke ne cheekhne ki koshish ki lekin uske muh mai khanzar ne usse kuch bhi bolne ki permission nahi di.
Side mai betha hua woh buddha yeh torture dekh raha tha aur uski gaand phat chuki thi usne bhi apni life mai bahut se logo ko torture hote hue dekha tha.
"Uhhhhhhhh...mmm...uhhh" hare baal wala ladke kuch bolne ki koshish kar raha tha lekin apno jeebh hilane se uski gaand phati padi thi.
"Mai ab 1 question puchunga aur yeh dagger nikalunga aur agar mujhe answer nahi mila to ya mai us answer se satisfied nahi hua to tujhe uska result pata chal jayega." Aman ne sidhe aur straight face ke sath kaha jabki tina aur woh buddha usse hare baal wale ladke ko dekh rahe the jabki us blood assassin ko yaha jo ho raha hai usse ghanta farak pad raha tha.
"Tu kiske liye kaam karta hai?" Aman ne uske muh se dagger nikal liya.
"Mai kaam karta hu.. Karan Mittal House Of The Green Alchemist ke liye."
"Accha, aur tu mujh pad nazar kyu rakh raha tha?"
"Mujhe mere master ne order diya tha." usne utni hi speed se bola jitni speed se koi insaan bol sakta hai.
"Mere liye ek healing potion lao." Aman ne order diya aur ek assassin turant apne hath mai red potion se bhade liquid ki bottle lekr prakat hua.
Hare baal wale ladke ne turant woh bottle pi li aur kuch hi second mai woh thik ho gya.
"Tumhe pata bhi hai tumne kya kara hai?" hare baal wala ladka gandi muskaan ke sath bola.
"Mujhe samjhaiye sir." Aman ne sarcastic tone mai kaha aur safed kapde se apna dagger saaf karne laga.
"Mai 7th grade ki family ka ek member hu, mai karan mittal ka direct servent hu lekin tumne ye healing potion diya hai isliye yaha jo hua mai usse bhul sakta hu lekin aur chupchaap apne ghar chala jaunga." usne ek bekar blackmailler ki tarah kaha jo es duniya ki sabse bekar deal de raha ho..
Aman bina jawaab diye apna dagger saaf karta raha.
"Arre tumne suna jo mene abhi kaha?" usne fir pucha.
Aman hare baal wale lakde ke piche gaya aur chair se uski chain khol di.
"Finally, esa lagta hai tumhe thodi akal aa hi gayi."
"Mene woh hissa nahi suna." Aman ne piche se kaha.
"Tum kis hisse ki baat kar rahe ho?" hare baal wale ladke ne confusion mai pucha.
*Zooooom*
*Stab*
Acchanak ek dagger uski chhati mai ghus gya aur uske dil ko touch karne se bas 1 cm duur jakar ruk gya.
"Woh hissa jiski mujhe parvaah hai." aman ne uske kaan mai phusphusaya.
"tu-tum.. " woh abhi bolne ko condition mai nahi tha.
"Tu nahi marega chinta mat kar dagger ne bas teri chhati ki tavcha ko ched diya hai aur kuch pasaliyan tod di hai, chinta ko koi baat nahi hai."
"Tera dil ko touch karne se mera dagger bas 1 cm duur hai. tujhe marne ke liye itna kaafi hai, teri pasaliyon mai blood circulation ab bahut tez ho jayega aur bar blood circulation ke sath dagger bahut hi kam distance ke sath andar ki aur jayega, lekin tune es dagger ko bahar nikala to tutu pasaliyon ke kaaran hone wale blood loss aur atyadhik dard ke kaaran mar jaoge, lekin agar tum es room ke end mai us table tak pahuch gaye to tu khud ko bacha sakte ho kyuki us table pe ek healings potion hai. ab bhaag kutte."
Hare baal wale ladke ne room ke end mai ek wooden table dekhi aur apni chhati mai lage dagger ko chhue bina dheere dheere aur constantly us taraf badhne laga.
"Tumhe iski keemat chukani padegi.... jab mere master ko es baare mai pata chal jayega." hare baal wale ladke ne khud se dheere se kaha, lekin Aman ke badhe hue senses ki wajha se usne yeh baat sun li aur ek dam saaf sunli.
"Fuck.... tune apne es chhote se shareer mai itna saara attitude kaha store kar rakha hai." Aman ne kaha aur tezi se ghum kar ek aur dagger uske left pau ki taraf phek diya.
*kachak*
"Ahhhhhhhhhh..." jese hi dagger uski left jangh par laga, woh bahut tez chillaya.
"Tum koshish karna chahogi?" Aman ne Disha ki aur ek chhota dagger badhate hue pucha.
Disha pehle ko jijhakki, lekin fir usse yaad aaya ki humans ki wajha se usse aur uski species ko kya kya sehna pada hai aur fir usne Aman ke hath se dagger le liya aur phek diya.
"Stab*
"Fuuuuuuuccckkkkkkkkkkkk..." woh bahut jor se chillaya kyuki es baar dagger uske right pau ke edi ke pass ghus gya tha.
"Oooohhh....usko chhot lagi hogi." Aman ne cruel face ke sath kaha.
"Usne saari information dedi hai, usse ab kyu torture kar rahe ho usse sidha khtm kar do." Disha ne straight face ke sath kaha.
Aman ne apne piche bench se ek aur dagger uthaya aur bola.
"Yadi tum kisi kingdom pe rule karna chahti ho to tumhara dil steel jesa jona chaiye aur will( icchashakti) iron jesi. Apne dushman ke prati koi feelings rakhne wale kamzor log mar jayenge ya end mai dokha khayenge." Aman ne muskurate hue kaha aur ek dagger pheka jo hare baal wale ladke ke right gaand pe laga.
"Ahhhhhhhh...."
"Tum-" Disha kuch bolne bi wali thi lekin apne aap ko ek queen proof karne ke liye usne bhi table se ek dagger uthaya aur phek diya.
*Stab*
Es baar dagger uske left gaand mai ghus gaya.
"Nahiiiii..... plz yeh dard kar raha hai."
"Shyd tumhe yeh pata na ho lekin... mai pehle hi vishvash ghat se guzar chuki hu isliye mujhe yey psnd nahi aaya." yeh kehkar disha room se bahar chali gayi.
"Esa lag raha hai koi pagal hone wala hai." Aman ne muskurate hue kaha.
"Yes... mai table pe pahuch gya." hare baal wale ladke ne table se healing potion uthaya aur usse pii liya.
"Waaaahh... congratulations." Aman uske pass aaya aur clapping karne laga aur muskuraya.
Jese hi usne potion piya uske shareer ka har ghaav thik ho gya jese woh waha kabhi tha nahi..
"Mai ab ja sakta hu hai na?" usne muskurate hue pucha.
"Yeh kis chutiye ne keh diya?" Aman ne apne ek hi sentence se uske saare sapne chakanachur kar diye.
"Tumne to kaha tha ki mai fir ja sakta hu."
"Esa lagta ha ki tumne kuch galat samjha hai, mai tumhare liye firse repeat karta hu - mene kaha tha ki yadi tum es room ke end mai us table tak pahuch sakte hi to khud ko bacha sakte ho Kyuki us table pe ek healing potion hai, mene tumhe jane dene ke liye to kabhi kaha hi nahi tha, hai na?"
Yeh sunkar hare baal wale ladke ne dukh se apni aankhen band karli.
"Yeh dokha hai tum esa nahi kar sakte, mai-"
"Accha, dekho mene to tumhe dokha diya hi nahi hai tumse hi baat samajhne mai galti ho gayi." Aman ne kaha.
Hare baal wale ladke ko achanak ehsaas hua ki woh ab apna magic use kar sakta hai.
"Tu saale randi ki aulaad, tu kuch bhul raha hai.. hehehehe" woh hasa kyuki woh soch raha tha ab Aman ko pata chal jayega woh kyu has raha hai woh shocked ki wajha se khada hi reh jayega aur woh Aman ko apne ek hi attack se uska sari kuchal dega aur baki do ko bacha lega.
"Goddess Kara ke naam par.. mai tumhe justice pardan karta hu[Fire bomb] usne kaha aur apne hath Aman ke sar ki aur badhaya.
Lekin acchanak uski gardan ke charo taraf 4 dagger prakat ho gaye jo uske kuch aur bolne ya hilne par gardan ko kaatne ke liye ek dam tayar tha.
Charo orges uski aur ultimate bloodlust ki bhavna se dekh rahe the, kyuki woh charo uski gardan kaat dena chahte the.
Yeh dekh kar usne apna spell wapas le liya.
"Or-orges.... to tum hi ho jiske liye woh kaam kar rahe hai."
"Yes.. woh sabhi mere slave hai aur acche slaves ki tarah apni duty nibha rahe hai."
"Ab tum chahte kya ho?" usne Aman se pucha.
"Hmm... mujhe sochne do, ohh dekho mujhe apni pocket se kya mila, ek aur healing potion." Aman ne kaha aur apni pocket se ek aur healing potion nikal diya aur usse thik wahi rakh diya jaha pehle healing potion rakha hua tha.
"Chalo firse khelte hai." Aman ne ek crual muskan ke sath kaha.
"No...No....Noooooooooooooo" rone wale chehre ke sath hare baal wala ladka chillaya.
3 ghante baad..
*Stab*
"Ahhhhh...fuck."
"Isse piyo."
"Mai nahi piunga plz mujhe maar dalo."
"Hmm..... mai kya karu?"
"Mai tumhe sab kuch bataunga ko mai janta hu aur jo kuch mujhe pata hai, bas please mujhe maar dalo, mai tumse vinti karta hu." usne kaha aur uske pure shareer se paseena beh raha tha aur woh maut ki bheek mang raha tha.
"Tumhara naam kya hai."
"XYZ" (yeh itna important nahi hai)
"XYZ... mujhe batao ki tumhe mujh par nazar rakhne ke liye kyu bheja gya tha."
"Us samay aap us noble mahila aur cigar ke sath suspicious lag rahe the."
"Koi aur reason nahi?"
"Nahi.."
"Accha... usse khatm kardo." jese hi aman ne yeh kaha ek dagger shadow se aaya aur kuch sir second mai usse maar dala..
"Body ko saaf karo.. mai agle insaan se baat karunga."
Bina kisi deri ke esa laga ki uska shareer jameen ne nigal liya ho aur woh gayab ho gya ho
Ek chair lekr aman us budhe butler le pass beth gya aur pucha.
"To kya tum obediently sab kuch bataoge." Aman ne pucha.
"..... yeh kiya? tum mujhe uski taraf break kar doge? mai itna kamzor nahi hu bacche." usne kaha aur dusri taraf dekha aur uske chandi jese puraane baal chamak uthe.
"Mai ek royal family ka butler hu aur agar mai mar bhi jau to bhi kuch nahi batane ka, tum chhote sanki"
"Kyuki tum nahi bolega... to koi aur bolega disha unhe andar le aao." AAman ne butler ki aur muskurate hue kaha.
[Note : hamaara hero kiski baat kar raha hoga?]
No bro 12 baje takGuys kal ka update bhi thoda late hi aayega 12 baje tak aa jayegaya raat mai update de diya karu ab se?
Bhai ek hi update de paunga abhiKl 2 update de Dena fir raat me hi dena
UPDATE-29 |
Trolls 1 weakness... |
That mean she is abondent now??
UPDATE-29
Trolls 1 weakness...
Update 29
Disha room mai enter hui aur uske piche lagbhag 18 aur 19 saal ki do ladkiyan thi..
Un dono ki aankhen kapde se dhaki hui thi..
Jese hi butler ne ladkiyon ko dekha to woh bahut tez chillaya.
"Tu saale kameene, agar tune meri betiyon ko chhune ki himmat kari to mai tujhe jaan se maar dalunga."
Aman ne jab usse dekha to woh paglo ki tarah hil raha tha aur apne aap ko un chains se azaad karna chahta tha.
Aman firse chair pe beth gya aur budhe butler se kaha.
"Mai unhe touch nahi karunga, yeh mera promise hai, lekin tumne yeh nahi bataya ki tum kiske liye kaam karte ho aur mujh par nazar kyu rakh rahe the to..."
"To saale madorchod." usne khoon bhadi aankhon se Aman ko dekhte hue kaha.
"Hum kaha hai?" choti ladki ne ghabrahak kaha.
"Dii hum kaha hai?" choti ladke ne aage kaha.
"Mujhe bhi nahi pata? lekin hume shant rehna chaiye." badi behen ne kaha aur apni chhoti behen ko pakad liya taaki uska dar thoda kam ho jaye.
"Tumhaari badi beti hoshiyaar hai, usse orcs ke liye breeding machine banana bekar hai. hehehe" Aman ne butler ki aur dekhte hue kaha.
Butler ne khooni badhi nazaron se Aman ko dekha aur bola.
"Tum mere sath jo chao woh kar sakte ho... please unhe chhod do, mai tumse vinti karta hu, woh to tumhe janta bhi nahi hu, woh nirdosh hai."
"Jese ki mene kaha, mai unke sath kuch nahi karunga, lekin orcs karenge."
"N-N-No please nahi.." butler dar ke maare rone laga.
"Mai tumhe sab kuch bata dunga please unhe jane do.. mai vada karta hu, mai jeevan bhad tumhara gulaam ban kar tumhari seva karunga... please meri betiyon ko jane do." usne rote hue kaha ur uski aankhon se aansu pani ki tarah behne lage.
Aman ne disha ki aur ishara kara aur woh dono ladkiyon ko lekar room se bahar chali gayi.
"Bolo.."
"Mai ABC (not so important), mai Dragon House of Flames ke liye kaam karta hu, mujhe mere master ne order diya tha ki mai tumhara picha karu, aur jitni zada information mil sake unhe ikattha karu. Jab master ne dekha blood assassin tumhara picha kar rahi hai to master ne mujhe tumhare baare mai research karne ke liye kaha." ABC ne kaha.
"Pehle to tum bolte bhi nahi the ab to tum kisi tote ki tarah bol rahe ho."
"Kya woh safe hai?"
"Han, woh wahi se ghar laut gayi jaha se unhe uthaaya gya tha...
Mai tumhe tumhari family ke pass wapas jane dunga lekin mene tumhari betiyon ke upar ek magic kar diya hai agar tum mere ya es jagha ke baare mai kisi ko bataoge to woh magic apne aap activate ho jayega. Woh duniya ki sabse dardnaak maut marengi, jisse tumne apni life mai kabhi nahi dekha hoga."
"Mai smjh gya, mai tumhare baare mai kisi ko kuch nahi bataunga" usne dare hue bhaav se kaha.
"Accha ab jao mujhe mera ek aur client se milna hai aur usse bhi mujhe baat karni hai." Aman ne uski chain khol di aur usse jaane diya.
"Ab bas tum hi bachi ho, hai na?" Aman ne blood assassin ki aur dekhte hue kaha.
Teekhi hari aankhen, chhote kaale baal, D-cup, sexy vishaal gaand, gori tavcha aur gol-matol jhange. Puri tarah se girlfriend material hai lekin dukh ki baat hai ki usse behremi se maarne ke liye trained kiya gya hai.
Jese hi aman us ladki se kuch kehna wala tha, acchanak kisi ne door khol diya.
"Kiski itni himmat ho-" Aman aage kuch bolne wala tha, usne dekha ki Rohit(boona) aur siya dono hi paseene se lathpath aur hanfte hue room mai aa rahe hai.
"Tum dono thik ho?" Aman ne pucha.
"Master *huff-huff* mene isse bana liya hai." Siya ne face par ek patni jesi muskan ke sath kaha.
Usse bich mai rokte hue Rohit bola.
"Master mujhe *huff-huff* un 7 Legendary weapons ke baare mai bhi pata chal gaye hai jo mene past mai banaye the."
"Arre waah, aaj raat to meri kismat kuch zada hi chamak rahi hai." Aman ne smile karte hue bola.
"Mai pehele bataunga."
"Nahi, Mai pehele bataungi."
"Nahi mai-"
Dono mai bahes hone lagi.
"Tum dono ruk jao, Rohit mujhe sab batao." Aman ne bola.
"Yes master."
Map khol kar Rohit ne mujhe es world ka blue print dikhaya.
"Dekhiye master, mene 7 Legendary weapons banaye the, lekin jab mene unhe chhupaaya to mene unhe ek hi jagha par nahi chhipaya. Mene 3 weapon human kingdom mai aur 4 weapons baaki alag alag races ki kingdom mai chhupaye hai."
"Okay."
"Jab mene orges ko woh jagha batayi to woh weapons ko nahi dhund sake kyuki unhe kisi aur ne dhund liya tha... "
"Kon...?"
"Yeh kab interested jo gya jab mene villagers se pucha ki kya es village mai koi pratibhashali vyakti ubhara hai hazaaron saalo ke andar, to un sabhi ne wahi positive answer diye jo mene socha tha."
"Tumhara matlab... " Siya ne bola.
"Yes.. 7 royal families ke ancestors ko mere weapons mile the aur unhone socha ki yeh kisi dungeon aur kisi natural places se praapt treasures hai, tab se woh es kingdom pe rule karne ke liye mere weapons ka use kar rahe hai."
Yeh sunkar Aman has pada..
"Hahahahhaha... perfect... yeh ekdam perfect hai."
"Yeh kyu has raha hai?" Assassin ne aashcharya se kaha, kyuki woh Nil Field ke andar kuch bhi nahi sun pa rahi thi.
"Umm.. master, kya mai puch sakta hu ki aap kyu has rahe hai.?" Rohit ne pucha.
"Mai isliye has raha hu kyuki woh tumhare dwaara banaye gaye the weapons hai aur aap apni iccha se unhe destroy kar sakte hai aur sabhi families ko powerless bana sakte hai."
"Uuuh.. dekhiye ek problem hai." Rohit ne ajeeb bhaav se kaha.
"Kya problem hai?" aman ne pucha.
"Dekhiye... mai unhe destroy nahi kar sakta, isliye nahi ki mene unhe banaya hai aur mai unse pyaar karta hu, balki isliye koi bhi weapon unhe kab tak destroy nahi kar sakta jab tak ki woh ussi material se bane ho jisse woh bane the."
"Weh kis chij se bane the." Aman ne pucha.
"Woh ek new material tha jisse humne jameen ke sabse nichli satah pe mining karke paaya tha. Humne isse Graventine naam diya."
"Kya yeh itna strong hai?"
"Yes... kyuki humne isse solid state mai paaya, woh bhi tab jab temperature hum bono ke liye bhi asahniya tha.
" Hmm.... Graventine.
Ek baar jab mai academy chala jaunga to hum Graventine paane ke liye dwarf kingdom ki aur jayenge." Aman ne kaha.
"Jese ki mujhe mere master se expected tha... mai ab chalta hu." Rohit ne room se bahar jate hue kaha.
"Siya, mene tumhe kayi dino se nahi dekha hai, tumne to apne aap ko lab mai band hi kar diya hai god jane ki kitne dino se tum locked thi waha by the way tumne kaha tumhare paas mere liye kuch hai kya mai puch sakta hu kya hai mere liye?"
"Yes master, please isse dekhiye." Siya ne kaha aur apni peeth se dagger nikala.
"Ek dagger, lekin mujhe laga ki tumne alchemy pe researched kari hai." Aman ne confused smile ke sath kaha.
Bina kuch bole Siye ne apna hath itni buri tarah se kaat liya ki koi bhi potion usse khik karne ke liye kaafi nahi tha. Uska hath mushkil se kalaai se chipka hua tha, aur kabhi bhi girne wala tha.
"Siya tum kya soch rahi thi kya tum pagal ho gayi ho." Aman ne chillate hue kaha aur usne jldi se apni inventory se kuch healing potions nikale.
"Rukiye master, ye dekhiye." Usne apne hath par dekhne ke liye kaha.
Acchanak uska ghaav bahut tezi se bharne laga uska comparison kisi bhi high grade healing potion se nahi kiya ja sakta. Uski tavcha wapas aa gayi aur uska pehle jesa ho gya.
"Ky-kya?" Aman ne duniya ki sabse impossible chij ko dekha aur blood assassin ne bhi bevakoof chehre ke sath yeh dekha.
"Aap isse dekhiye master."
"Han, mene isse dekha kya chij hai yeh kisi tarah ka healing magic ya spell tha?"
"Nahi, woh nahi hai." Siya ne kaha aur apne gale se ek locket nikala aur Aman ko de diya.
Locket ka shape egg jesa tha, jisme ek green outline aur andar ek red liquid tha.
"Yeh kya hai?"
"Master, aapko woh troll yaad hai, jisse orges lekr aaye the."
"Mujhe yaad karne do."
"Kher, yeh uske dil se banaya gya hai."
"Yeh kese kaam karta hai?"
"Aapko bas isse apni body ke touch mai rakhna hoga baki kaam yeh apne aap kar lega."
"Sach mai... ? chalo fir koshish karte hai." Aman ne locket pehen liya aur dagger se apna hath chhed diya.
"Oooch... yeh bahut dardnaak tha. Ab mujhe us ladke ki feelings samajh aa rahi hai jab mene uski gaand pe dagger pheka rha." Aman ne dagger nikalte hue kaha.
Kuch hi second mai uska saare ghaav thik ho gaye aur uska pura hath pehle jese ho gya.
"Yeh incredible hai. Kya es locket ki koi limit ya side effect ha?"
"No master, mujhe abhi tak to esa kuch nahi mila."
"Accha, tumne bahut accha kaam kara hai Siya tumhe reward to milna chaiye batao tumhe reward mai kya chaiye?" Aman ne muskurate hue kaha.
"Mai isse kisi aur samay ke liye bacha kar rakhna chahungi master." Siya ne sharmile bhaav se kaha jabki uske neele gaal laal ho gaye the aakhir hume bhulna nahi chaiye Siya ek lavanya hai.
"Thik hai, agar tum yahi chahti ho to."
"Mai bhi ab jati hu." Siya ne kaha aur woh bhi room se bahar chali gayi.
'Demonic Eyes'
Name: Troll's Heart Locket.
Master: Aman Singh
Made By: Siya
Rank: S+
Durability: 100%
Skills: [Ultimate Regeneration Lv.5]
[Ultimate Regeneration]
[Troll's woh creatures hai jo ancient time se prithvi maa ko apni goddess maan kar unki worship karte hai is liye prithvi maa ne unhe gift ke tod par indestructible body di hai. Esa kaha jata hai jab tak trolls ka shareer prithvi ke contact mai rehta hai, kab tak uski body destroy nahi ho sakti. Agar aap prithvi ke contact Mai nahi hai to yeh skill bhi kaam karna band kar degi.]
To really iski ek limit hai, lekin isse nazar andaaj kara ja sakta hai yeh ek pro chij hai aur mera pehle S-rank artifact bhi.
Locket pehen kar Aman ne usse apne kapdo ke andar chhipa liya aur wapas blood assassin ke pass chala gya.
"Hello darling, I am sorry yaar pehele hi hamari chhoti baat cheet mai pehle hi disturbance aa gayi thi."
Woh bas aman ko ghurti rahi maano itni murkh ho ki aman jo keh raha hai usse samjh nahi paa rahi ho.
"Jese ki ummeed thi tum kuch nahi bologi. huh..?"
Woh bas Aman ke expression dekh rahi thi.
"Mayank" Aman ne chillaya aur jese hi usne esa kara mayank turant prakat ho gya.
"Master aapne bulaya."
"Yes..NIL Field hata do."
"Jo order mere master."
Jese hi mayank ne apna spell hataya woh blood assassin ladki chair se gayab ho gayi.
"Mayank, tumhe pata hai ki kya karna hai."
"Yes, master."
Mayank ki aankhen acchanak laal ho gayi aur usne room ki taraf acchanak apni aankhon se thunder gira di.
"Aah.." ek ladki ki awaaz aayi jese hi woh us attack se ghayal hui aur uska pura shareer nazar aane laga aur woh thande frash pe behosh padi thi.
"Kya mazaak hai, tumhe lagta hai itni cheap quality ka stealth spell mujh par kaam karega." Mayank ne kaha.
"Mayank kya tumne usse maar dala?"
"Nahi master woh bas behosh hui hai."
Aman ne assassin se apni duuri kam karli aur...
[Memory Eater]
Mai tumhari kuch memories apne sath le jaunga, kyuki mai unhe chhod nahi sakta.
[Memory Alter ]
Chalo tumhari memories mai apne chehre ek black dot se dhak deta hu aur jo kuch bhi tumne yaha dekha usse bahar nikal leta hu.
"Oye, sunrise hone se pehle es ladki ko capital ke main door pe phek do."
Acchanak assassin uske piche aa gyi aur apne task ko anjaam diya.
[Note : Reviews mai bataiye yeh update kesa laga]
Blood assassin?That mean she is abondent now??
Bro novel english mai hai and mai abhi nahi bata saktaNovel ka name bta skte ho bro?
Pc me to bta hi skte the aur mereko language barrier nhi hai kyuki Hindi tamil Bengali ke alawa 3 international language bhi janta huBro novel english mai hai and mai abhi nahi bata saktaโ๐ซ