- 566
- 1,492
- 124
Bro time ki problem chal rahi hai..Waiting eagerly for updates bhai
Bro time ki problem chal rahi hai..Waiting eagerly for updates bhai
Bhai agar aage ki story padhni hai to mai novel ka link yaha daal deta hu lekin itna mai nahi likh paunga
Nahi lekin webnovel pe hindi mai translate kar sakte ho..Hindi me novels ki website hai kya
Bahut jabardast update tha bhai bahut maja aaya. Next update ka intajaar rahegaa bhai
Update - 31 Janjeer
"Kesa contract?" Aman ne pucha
"Competition ke liye dusri side ke sign lene ke liye ek contract."
"Ohhh... to match kab hai."
"Lagbhag 3 ghante mai." Aarohi ne samay dekhte hue kaha.
"Accha, to kya mai us mahila ke khilaaf lad raha hu?"
"Han, aur tumhari jitne ke chances 3% hai."
"Chalo dekhte hai."
"Es ghar mai tumhe har samay match chalta hue milega, lekin yeh match koi common match nahi hai death match hoga."
"Han mujhe pata hai ki death match kya hota hai." Aman ne aaropi ko bich mai rokte hue kaha.
"Nahi, mai chahti hu ki tum es ghar mai meri position ko samjho, mai es ghar ki last aur satvi beti hu, koi bhi mujhse army commander banne ki ummeed nahi karta hai, isliye mene ghar ka leader banne ki ummeed chhod di hai, mene bhi leader banne ki ummeed chhod di thi aur academy mai martial arts sikhne ka decision liya, lekin kabhi meri nazar tum pe padi."
Aman jo uski baat sun raha tha ab thoda bore lag raha tha.
"Jab mene tumhe dekha to mujhe esa laga agar koi mere pita ke baad mujhe leader ki position dilane mai help kar sakta hai to woh tum hi ho."
Yeh sunkar aman ki aankhen shocked se badi ho gayi.
"Mai tumhe sponsored karna chahti hu lekin tum iske liye agree nahi hue aur iske bajaay tumne mera butler hona decide kara, mujhe laga ki tum pagal ho aur jab hum academy jayenge to mai tumhe kisi tarah mana lungi ki tum mera support karo aur mere liye fight karo lekin ab tum marne ja rahe ho." Aarohi ne thoda udaas hote hue kaha.
"Ohh... tum matlabi ho tum mujhe pagal keh rahi ho aur yeh bhi ki mai mar jaunga." Aman ne kaha.
"Mai tumhe marte hue nahi dekhna chahti, kyuki.... " usne kaha aur uske chehre pe aur tension aa gayi.
"kyuki kya...?"
"kyuki mere pass aur koi butler nahi hai."
Es kuttiya ko to iske baap ke smane nanga chodunga.
*knock knock*
Dono ne door ki taraf dekha to door pe ek maid khadi thi.
"Han.....?" Aarohi ne pcuha.
"Leader ne aapko main hall mai aane ka order diya hai madam."
"Pitaji, thik hai aap ja sakte hai."
"Han." usne sir jhukaya aur chali gayi.
"Chalo chale." Aarohi ne room se bahar jate hue kaha.
Main Hall...
Puri tarah se safed kapde pehne ek muscular beastman Raj ke sath khada hokar intezaar kar raha tha.
"Pitaji aapne bulaya." Aarohi ne kaha aur woh unke thik piche ruk gayi.
"Han.. " uske muh se itni deep voice nikli mano usne hazaaron ka khoon kara ho.
"Mene suna hai ki aapke butler ne 4th ko nuksaan pahuchane ki koshish ki, usne uspar chhip kar attack kara" leader bole.
"Pita ji-" jese hi Aarohi kuch aur bolne wali thi, achanak Aman ne bich mai toka.
"Mene koi chhip kar attack nahi kara, mene uski aankhon ke samne uspar attack kara tha."
Acchanak Leader ne mudkar Aman ko dekha.
"Jhuth mat bol, tu bewakoof kamzor hai, tu sochta hai ki mai tere jese se pit jaunga, tune mujh par jab attack kara jab mere dhyan nahi tha." Raj se gusse se jhuth bola.
"Pitaji mene Justice match ke liye request kari hai."
"Kya tum chahti ho ki woh bhi tumhare baaki butlers ki tarah mar jaye? bas usse 4th ke samne apni jaan ki bheekh mangne do woh usse maaf kar dega." Leader bole.
"Lekin pitaji-"
Leader ne turant apna hath aarohi ki aur dikhaya jo keh raha tha 'chup raho mujhe air bakwas nahi sunni'
Aarohi ne pehle niche dekha fir Aman ki aur dekha.
Aman Raj ki aur chalne laga.
"Mai tera left hand lunga commoner." Raj ne kaha aur usne apni talwaar nikal li.
Aman Raj ke samne chala gya aur..
*thappad*
Usse itni jor se thappad mara ki woh ek hi thappad mai jameen pe gir gya.
"Pitaji, aapne yeh dekha usne firse esa kara."
"Ladke, mujhe koi proper reason do ki mai tumhe abhi kyu na maar dalu." Leader ne apne shareer mai behte hue bloodlust ke sath kaha.
"Kyuki es baar mene usse samne se mara tha."
Yeh sunkar hall mai 1 second ke liye sannata cha gya.
"Heh...Hahahhahaha" leader jor jor se hasne laga.
"Pitaji, aap kyu has rahe hai? mera badla lijiye." Raj ne kaha.
"Tumne apni suraksha kyu nahi ki." Leader ne pucha.
"Kyuki mai aapki presence mai hu, mai aapki presence mai magic ka use kesa kar sakta hu."
"Usne magic ka use nahi kara beta, mujhe murkh mat samjho, ab tumhare pass 2 option hai pehele Life of Justice ko accept karo ya usse jane do."
Raj khada hua aur bola. "Mai Life of Justice choose karta hu."
"Mene tujhe teri jaan bachaane ka liye ek rasta dikhane ki koshish kari thi lekin tune marna psnd kara, ab tu sabse dardnaak maut marega, tu ek bas commoner hai jiski aukaat mere pau chatne ki bhi nahi hai." Raj ne kaha aur woh bhi chala gya.
"Tum mere pita ke samne usse marne ke baare mai kese soch sakte the?" Aarohi ne pucha.
"Kya? kya aap chahti hai ki mai apna left hand de du? ab dekho esa kuch nahi ho raha."
"Tum sachmuch pagal ho."
"Mujhe pata hai."
The Noble House Of Undead....
"Master, mujhe yaad nahi usne kuch kiya tha aur ab mai aapke samne hu, mujhe nahi pata usne kis type ka magic kara tha, lekin meri us samay ki memories clear nahi hai."
Sankalp ek nangi ladki ke sath apne bed pr hai aur apne samne Blood assassin ko dekh raha hai.
"Kitna dilchasp ladka hai, tum abhi ja sakti ho lekin hum aaj shaam ko uske ghar jayenge, tumhe uska ghar yaad hai, hai na?"
"Yes, master." aur woh room se gayab ho gayi.
"Tum kya ho ladke? human ya monster? koi fark nahi padta kyuki mai tumhe pakad lunga isse pehle ki dusra koi tumhe notice kare. hahaha" Sankalp hasa Kyuki usne ek nangi mari hui ladki ke shareer se khoon pi liya aur fir usse kisi kachre ki tarah phek diya.
Room dark tha lekin room mai sankalp ne gungune jesi awaaz suni.
"Pakad liya." acchanak Sankalp bed se gayab ho gya aur apne hatho mai ek bee lekr waps bed prakat hua.
"Tum kya ho sakte ho?" usne bee ko marte hue kaha.
Jab Sankalp ne bee ko maar liya to ek reaction aman ko bheji gayi.
*Zzz*
Aman ke shareer mai ek shock sa guzar gya.
"Usne isse pakad liya." Aman ne muskurate hue kaha.
Mene assassin ke kapdo mai ek bee chupa di thi taaki mai uske master ko dekh saku lekin mujhe nahi pata tha ki woh itna tez hoga.
Nahi, woh tez nahi mai hi kamzor hu.
Ab time aa gya hai ki mai apni fighting styles ko increase karu.
1 hour later....
Mansion ke back side mai ek ring banayi gayi thi aur 9 chairs rakhi gayi thi, 2 chairs leader aur uski wife ke liye aur 7 chair uske betiyon aur beto ke liye.
"Hum yaha firse kyu aaye hai behen?" ek young beastmen jo 6th chair pe tha apni behen se pucha jo 5th chair pe bethi hui thi..
"Kisi commoner ne us adopted bete ki gaand pe laat mar di." usne garna se kaha.
"Ohh, to yeh e life of justice match hai? chalenger kon hai?"
"Jaahir hai aapki satvi behen."
"Huh...? suna nahi haal hi mai ek butler 1 mahine pehele mar gya tha..."
"Han, usse maarne ke liye ek aur ladka mil gya."
Dusri aur 1st chair pe bethi hui beast women boli..
"Hum sab yaha samay barbaad kar rahe hai, hum sabhi jante hi ki kon jeetne wala hai. fir yaha aane ki kya jarurat thi..?" usne cigar peete hue kaha.
"Agar tum nahi dekhna chahti to ja sakti ho." dusri chair pe bethi hui ek beast women ne muskurate hue kaha.
"Agar tum meri behen nahi hoti to msi tumhe kab ka maar chuki hoti."
"Mujhe pata hai." usne muskurate hue kaha.
"Fuck you."
"You too."
"Aap dono please chup ho jaye." 3rd chair pe bethi hui ek pyari si beast women boli.
"Arre... hume order mat do hum tumse bade hai." dono ne ek sath bola.
"Family leader apni sabse sundar wife ke sath enter kar rahe hai please khade ho jaiye. " Henry ne ghoshna kari.
Sabhi logo ne family leader ki present mai respect show kari..
"Betho betho." Family leader ne kaha jab woh ek bahut khubsurat beast women ka hath pakad kar back mai khada tha.
Dono seat pe beth gaye.
"Butler Arena of Justice mai enter kar sakte hai."
Es announcement ke sath arena ke dono aur se 2 log chal kar aate hai.
Ek aur Raj aur uski butler Suchi aur dusri aur Aarohi aur uska butler Aman tha.
Dono butlers arena mai aa gaye aur un dono ke master chair pe ja kar beth gaye.
Neele baal, hari aankhon par ek chashma aur Jiya ke saman lekin zada muscular..
'Mai gurantee de sakta hu ki us dress ke niche uske sex abs honge.' Aman ne socha.
"Ab mai family leader ke tod pe aap dono ke jeevan ka ek last speech de sakta hu... Jindal house mai hum kadi mehnat pe vishvas rakhte hai, na ki luck pe, kadi mehnat ek partner ke sath behtar tarike se ki jati hai, isliye hamaare ancestors ne butlers ko hamare training partner ke tod pe accept kara taaki hum aadhik sudhaar kar sake, lekin aap mai se kisi ne family ke nahi balki kingdom ke rule ka ulanghan kara hai, yeh arena aaj ek zindagi ko le lega aur uske baad hi aap mai se kisi ek ko jane dega, ab arena ko seal karne ke liye blood drop de." Family leader apni speech de raha tha lekin Aman dusre important kaam mai busy tha..
<Demonic Eyes>
Name: Suchi.
u
Race: Human.
Class: Sword Master.
Level: 27
Mana: 4,100/4,100
HP: 8,200/8,200
Status: Aapke liye bahut zada gussa hai aur kisi bhi samay aapko maar sakti hai.
Waaah... wakai yeh apne master se bahut pyaar karti hai..
Suchi ne apni talwaar se apna angutha kaat liya aur kuch drops arena mai gira di aur ek second ke liye pura arena purple color mai chamak utha..
Yeh dekh kar aman ne bhi wahi kara aur apne daato se apne anguthe ko kaat liya aur kuch drops jameen pe gira di..
Arena chamak utha aur achanak ek purple holographic libra arena se ubhra aur kuch hi second mai gayab bhi ho gya.
Acchanak Aman ko esa feel hua ki uski dil ke charo aur ek janjeer si lipat gayi ho.
[Entered the Justice Field Of Life]
[Aap apne opponent se jitna zada attack lenge Justice ki janjeere aapke dil ko utna hi majbooti se jakad lengi aur end mai jab aap ladke mai capable nahi honge to janjeere aapke dil pe kabza kar lengi.]
God, kisi ne mujhe bataya bhi nahi mai es tarah ki field mai enter kar raha hu yaha tak ki aarohi ne bhi nahi.
Aman ne aarohi ki aur dekha aur vishvashghat mehsoos kara.
Dusri aur Aarohi jo es baare mai kuch nahi janti thi Aman ki aur muskurate hue dekha aur usse fight karne ke liye ka sanket diya.
"Match of Justice start kara jata hai" Henry ne announcement kari.
"Aapka weapon kaha hai? ya aap ek martial artist hai?" Suchi ne pucha.
"Mai koi martial artist nahi hu aur mujhe kisi weapon ki bhi jarurat nahi hai."
Yeh sunkar suchi ne turant Aman pe hamla kar diya.
Mujhe usse turant bachna hoga-
Jese hi Aman kuch sochne wala tha Suchi apni jagah se gayab ho gayi aur aman ke piche apni talwaar lekr uske peeth ke pass prakat hui aur uski talwaar aman ke dil ki aur aa rahi thi...
'Fuck'
<Illusion>
Aman ne ek illusion paida kiya jisse esa laga Aman apni jagah se hil gya aur usne Suchi ke piche ek mukka bana kar hamla kar diya.
Illusion ke andar Suchi ka dimag wesa hi kar raha tha aur usne turant apne piche attack kara kyuki usse waha Aman dikhai de raha tha..
Wahi arena ke bahar bethe logo ko woh ek pagal lag rahi thi jo hawa mai talwaar chala rahi thi.
"Suchi tum kya kar rahi ho kya tum pagal ho gayi ho woh saala waha khada hai uspe attack karo apni talwaar ese hawa mai mat chalao." Raj khada ho kar chillaya.
Family leader ne khooni aankhon se Raj ko dekha jese keh rahe ho... 'Ek aur shabd kehne ki himmat karo fir tum us arena mai mere sath agle hoge.'
Lekin Raj ki awaaz sunkar Suchi ko ehsaas hua ki woh ek illusion mai hai.
Suchi ne apni aankhen band kari aur ek skill ka use kara.
Aman ke samne ek window open ho gayi.
[Opponent ne [Calm Mind]skill use kari hai illusion beasar ho gya]
Mujhe laga hi tha ki uske pass apne brain ki safety ke liye ek skill jarur hogi ab illusion bhi uspe kaam nahi karega lekin mere pass usse behtar hai.
Suchi ne apni aankhen kholi aur dekh aman abhi tak apni position pe khada hai.
Suchi thoda hasi aur boli.
"Heh.. woh tumhara aakhri chance tha tumhe us samay mujhe marne ke liye ek weapon choose kar leni chaiye thi, ab tum sirf ek mare hue ladke ho, yeh tumhara ant hai. Apne khoon se mere master ke apmaan ki keemat chukao."
Usne kaha aur turant apni jagah se gayab ho gayi aur fir turant prakat ho gayi.
"Tum sahi keh rahi ho yeh ant hai." Aman ne thoda haste hue kaha.
Acchanak Suchi ko mehsoos hua ki kuch garbad hai.
<Sensory Destroyer>
[Note : Sorry guys bada update dena chahta tha lekin dusri story ke chakkar mai de naho saka ]
Bhai ek hi story pe kaam kar sakta hu ab isse kese continue rakhu samajh nahi aa raha meri bhi personal life hai and es novel ko hindi mai translate karke bhi kar sakte haiUpdate
Mujhe khud samjh nahi aa rah kya karu jo meri khud ki story hai usse likhne ke liye time manage nahi ho pa raha..To story band kardoge kya