Naik
Well-Known Member
- 21,580
- 77,470
- 258
Sam tow pahoch gaya waha pahadi kabeele m tow yaha gher per kon aa gaya Sam ban ker anvi ka shak sahi h ya Shivani ki koyi or chaal tow nahiEpisode 17
mai : di akanksha ka khyal rakhna.i love you di...kehte hue maine hath chood diya...
sam nahi....sammmm...sammm...akhiri awaz jo mere Kano me aayi wo di ki chikhe thi....aur mujhe apne galo par Jo Pani girta mehsus hua wo di ki ankho se nikla ansu tha..
next continue...
sammmmm....sammmmm..nhi...nhiiiii...
Sam Anaya ko bachane ke liye uska hath chhod deta hai Anaya bas use awaz deti reh jati hai..
sammmmmmmm...sammmmmm...
niche girte hue Sam ka sharir aek chattan me lagta hai jise dekh kar Anaya ki chikh fir chattano me gunj uthti hai..uska man kart hai wo bhi kud jaye lekin kud nhi pati....Sam ab Anaya ki ankhon se ojhal ho Gaya tha..
Khali Khali ankho se Anaya ped ki Dali pakde niche dekh Rahi thi uski ankho se lagatar ansu behkar niche gir rahe they.
chhirrrrrr...
Dali tutne par Anaya apne pairo ko upar ki disha me uchal kar dusri Dali par latak jati hai pehle wali Dali Tut kar niche gir jati hai..pairo me dali fasaye hue Anaya khadi hoti hai fir ped se jump karke pahad ki chattan ki support ko pakadte hue pahad ke upar aati hai..
upar aate hi Anaya ko Sam ka gira hua khun dikhta hai jise dekh ke wo nidhal ho jati hai ..
Everybody knows that the dice are loaded
Everybody rolls with their fingers crossed
Everybody knows the war is over
Everybody knows the good guys lost
Everybody knows the fight was fixed
The poor stay poor, the rich get rich
That's how it goes
Everybody knows
sammmmmmmm....sammmmmm..ghunto par baithi Anaya bas Sam ko hi pukare jaa Rahi thi...
Everybody knows that you love me baby
Everybody knows that you really do
Everybody knows that you've been faithful
Oh, give or take a night or two
Everybody knows you've been discreet
But there were so many people you just had to meet
Without your clothes
Everybody knows
Everybody knows, everybody knows
That's how it goes
Everybody knows
Everybody knows, everybody knows
That's how it goes
Everybody knows
mujhe zarurat nhi boyfriend ki mere pass tum dono ho na mere heroes...
Meri shakal dekho kahi se hero lag raha hon Mai hahaha ha lekin ziyan bhai..
my introvert hero kyo negative sonchte ab esa kaha to pitayi kar dungi... mai hamesha tumhare sath rahungi tumhara khayal rakhne ke liye...
Di meri shakal dekh ke lag raha hai mai kahi se bhi hero hon..hahaha...rahi bat sath rehne ki to aek din tum kisi ke Ghar chali jaogi kisi ki wife bankar.
sHut up my introvert you are so beautiful and mere Jane ke bad ziyan hai na tumhare sath..
sammmmm
Yadon se nikal kar anaya fir aek chikh marti hai...aur wahi behosh ho jati hai..
samay guzarta rehta hai...Anaya vaise hi behosh padi rehti hai ..dekhte hi dekhte din guzar jata hai aur raat ajati hai...os ki bundo se Anaya hosh me aati hai ...Sam ko yaad karke uska man fir gham me dub jata hai aur wo wahi ankhe band karke rote hue so jati hai ...
subah dhup ki roshni se Anaya ki ankhe khulti hai aur wo uth kar apni car me aati hai ...
kuch sonchkar Anaya..car se us disha me Jane lagti hai jahan se bullet aayi thi....
car se utarkar Anaya charo taraf dekhne lagti hai .. dhundte dhundte Anaya ko bhut samay bit jata hai ...thak kar Anaya chattan par baith jati hai ..sam ko sonchte hue uski ankhe fir nam ho jati hai .
baithe baithe hi Anaya call lagati hai..aur baat karke rescue team soldier's ko bulati hai....
kareeb half hour baad 5 helicopter pahad par land hote hai..Anaya ke instruction par wo sab helicopter se niche ki or chal dete hai Anaya bhi sath me Sam ki body dhudhne lagti hai....
mam I think in chattano se ladkar body samunder me chali gayi hai.rescue team ke head ne kaha.
kafi der Tak dhundne par bhi rescue team aur Anaya ko Sam ki body nhi milti..
anaya: voats mangwao jitne jyada log ho sake bulao body ko har hal me sea se nikalo..
head : thik hai mam mai aur experts ki team ko bulata hon jo sea se body dhund sake .
anaya : Mai Ghar inform karke tumhe join karungi tab Tak tum dhundo.
anaya ke kehne par helicopter waps pahadi par ata hai .. helicopter se nikal kar any commandose ke pass ati hai Jo Sam ko goli Marne Walo ke nishan ko dhund rahe they...
kuch Mila..Anaya aek guard se akar puchti hai.
ha mam aayiye mere sath..kehte hue guard Anaya ko aek jagah par le jata hai ..
mam yahan se shoot kiya Gaya hai aur yahan par aek se jyda log chhupe hue they..Anaya dekhti hai wahan par Nishan they yahan mitti thi to letne ke nishan bane they..
fir Anaya uski jagah par khud ko imagine karke dekhti hai ..
Anaya : yahan se shoot kiya Gaya bullet mere pass se ghum kar nikli...chalane wala mahir tha..
Anaya khoye khoye lehje me boli.
Mai in nishano ko print Kara kar forensic janch ke liye bhejta hon
.
hmm..aur kuch mile to inform karna mai jald aaungi..kehte hue Anaya apni car me aati hai ...kuch der pehle ke lamho ko yaad karke fir uski ankhe chalak padti hai..pyas se behal hone par Anaya Pani nikal kar pine lagti hai Pani gale se utarte hi Anaya ko bhukh ka ahsas hota hai..2 ghut Pani pi kar wo chal deti hai...
reh reh kar Anaya Sam ko hi sonche Jaa Rahi thi...
ghar akar bojahl kadmo se any car se utar kar andar aati hai andar akar any dekhti hai aek jagah par sare log ikthha the..
any agayi beti kaha thi tum aur kya halat bana Li tumne apni..Shivani any ko dekhkar uske pass ate hue boli..
mom...kehte hue Anaya ghutno par baith jati hai..ye dekhkar Shivani bhag kar any ko tham leti hai..
Shivani : kya hua sweetheart..
anaya : mom Sam nhi Raha.... kehte hue Anaya ki hichkiyan bandh jati hai aur wo fut fut kar rote hue Shivani ke gale lag jati hai...
Shivani : kya matlab tumhara beti tum ro Kyo rahi ho...
anaya :mom aap jo chahti thi wo ho Gaya Sam ko kisi ne maar Diya mom... he's dead..kehte hue Anaya fir fut fuf kar rone lagti hai..
Anaya : mom pehle bade Bhai ko khoyi ab chhote ko bhi kho baithi..
Shivani : tum hosh me to ho any rona band Karo khud ko sambhalo ..Sam is just Little injured..
Anaya itni tuti hui thi use Shivani ki baten sunayi hi nhi deti wo bas roye jaa Rahi thi..
Anaya : mom Sam ki maut ke jimmedar sirf ham dono hai apne meri narazgi ko Sam se nafrat me badal Diya...usne dad ko kuch nhi bataya ...mom wo mujhse bhut pyar karta tha mujhe bachane ke liye usne Mera hath chhod Diya..
ro ro kar Anaya ka bura hal ho gya tha.
Shivani : shut up aao mere sath..kehte hue Shivani Anaya ko sambhal kar jabajasti lekar sabke pass aati hai...
Shivani : sab hato yahan se..Shivani ke kehne par family member side me ho jate hai..
samne sofe par baithe shaksh ko dekhkar any ko jhatka lagta hai aur wo do kadam piche hokar girti hai...
Shivani : dekho kuch nhi hua hai Sam ko sirf accident me apni memory kho di hai .
Jameen par gire ankhe fade hue any sofe par lete sam ko hi dekh Rahi thi jiske sar par patti bandi thi..
any di aap thik hai..any ko is tarah dekh akanksha bhag kar uske pass aakar puchti hai.
Anaya hairani se : ye Sam nhi hai mom... ...
akanksha : ye kya keh rahi hai di aap..
Anaya uthte hue : Akanksha Sam mar chuka hai ye Sam nhi hai..uthkar Anaya Sam ke pass ati hai...
Di kya hua hai apko aur ye aap kya keh rahi hen..anvi jo Sam ke pass baithi thi Anaya ko gusse me ata dekh puchti hai..
anaya : anvi ye Sam nhi hai kisi ne use maar Diya..kehte hue any Sam ka chahera pakad leti aur usme apne nails ghusa kar use khichne lagti hai..
aaaaahhhh ye kon hai chhodo mujhe..
stay away from him..Anaya ko Sam ka chahera nochte dekh anvi uske hath jhatak deti hai..
anaya : impossible..Sam ke chahere se khun nikalta dekh any ke muh se hairani se nikalta hai..
sare guest aps me hi chema goinyan shuru kar dete Hain Anaya ko is trah dekh.
anvi : Sam tumhe ye yaad nhi ye hamari any di hai ... servent first aid box lekar aao..
kAl subah Sam mere sath Gaya tha anvi blue mountain wahi kisi ne use shoot Kiya aur wo niche ..kehte hue anaya ki ankhe nam ho jati hai.
anvi: di kal dopahar Sam ka accident hua unfortunately jyada chot nhi ayi but Sam apni yaddast kho baitha hai ..
anaya : shut up anvi ye Sam nhi hai..tu batayega mujhe kon hai tu..
Shivani: shut up any apne room me jao abhi pehle apni halat thik Karo.
akanksha : di ye aap kya keh rahi hai..
sherya : any kal tumhare sath Sam ko jate hue Mai dekhi thi.
anaya: ha sherya uske bad Sam ko kisi ne wahi shoot Kiya aur mai uske ghm me na jane kab Tak behsosh rahi..ye koi beherupiya hai mom aur abhi ye sab uglega.
anvi : shut up...anvi ki garaz se sab shant ho jate hai..
anvi : di Sam ki memory ane tak aap isse dur rehna..
anaya : anvi samajh kyo nhi Rahi ye Sam nahi hai..
anvi : Maine kaha na ye Sam hai ab iske karib bhi mat ana nhi to acha nhi hoga apke liye..
anaya: tum samajh kyo nhi Rahi ho anvi ye Sam nhi hai .Sam ki taraf badhte hue any ne kaha jiske samne larne ke liye anvi khadi ho jati hai.
shivani : any chalo mere sath...jhagra badta dekh Shivani any ka hath pakar kar use apne sath jabardasti le Jane lagti hai ..
Mai hawa me Bina lift ke niche gir Raha tha...ankho me ansu liye iska dard nhi tha mai mar jaunga dard iska tha Marne wala Mera apna hi tha..
dhammmmmmmmm..
Chatttttttttt....girte hue Mai aek chattan se takraya..bachne ke liye Maine apne hath aage kar diye..force itni thi takrate hi haddi tutte hue Mera sidha hath mud gya.. sar chattan se lagne par fat Gaya..
uchhal kar Mai fir girte hue behosh ho Gaya..still Mai Zinda tha..ye samay wo hota hai jab insan ko apni Puri zindagi kisi film ki tarah apne samne chalte hue dikhai deti hai...aur mere sath bhi yahi ho Raha tha meri ankho ke samne meri Puri zindagi chal Rahi thi kisi film ki tarah...
sam chattan se uchalkar sidha sea me girta hai...
samunder ki lehre use apne sath waha le jati hai....
6 din Tak Sam samunder ki lehro me behosh behta Raha...
kailash tribe...Himalaya.....
Biwajhan (partition) ke samay kailash tribe ke adhe log Pakistan chale Gaye adhe Himalaya me akar bas gaye..ye barf ki chattano me Ghar bana kar rehte hai sabse door inke bare me bahar ki duniya ke log bhi nhi jante lekin kuch log...
aek bacha samunder kinare machali pakar Raha tha jal se ass pass uske bhut se log kheto me kam kar rhe they...
jal me koi bhari chiz fasi dekhkar wo use khichne lagta hai...
khichne par use Pani me kisi ka sharir dikhta hai..
maaaaaiiiii...bacha sharir dekhkar apni maa ko awaz lagata hai..
awaz itni tej hoti hai uski maa daudkar uske pass aati hai...
seika..ola...samne dekh kar wo bhi kisi ko awaz deti hai..Kai mard uske pass akar jal me fasi body ko dekhte hai ..
do mard jal khichkar body bahar nikalte hai fir use ghode par dalkar pahado ki taraf le jate hai..
aika bayi sendi.aurta ne apni language me kaha..
ye Zinda hai ..tribal women ne kaha..
Ajeeb hai Sharir me Pani bhar Jane ke wabajud iski sanse chal Rahi hai ... ye Zinda hai...aek mard ne kaha...
aurat : bachu....siya ko bulaooooo...
Flashback...
mai Sam...apne Bhai behno me 4th number par..jab mai paida hua to Ghar me jyada koi khush nhi tha jaise waki bhai behno ke birth par they iski do wajahe thi aek to unke 3 bache alredy paida ho Gaye they dusra mai un waki bacho ki tarah khubsurat paida nhi hua tha Mai brown tha half mom par Gaya tha apni half apne brown dad par..aur shayad yahi Mera kusoor tha.
5 saal ke hone par kuch kuch chize samajh me ane lagi mom mujhe pyaar to karti thi lekin waki bacho ki tarah unhe mujhse lagao nhi tha lekin mai isme bhi khush tha..mom dad ki Kami ko pura karne wale Mera bada Bhai ziyan tha aur Anaya di yahi dono meri mom bhi thi mere dad bhi..
chalo bacho jaldi Karo hame party me Jana hai..Shivani mom ziyan Bai Anaya di anvi di ke room me akar kehti hai jahan Mai bhi tha jinka makeup servents kar rhe they.
ziyan : mamma Sam bhi hamare sath chal Raha hai..
Shivani : nhi Sam nhi jayega Sam Ghar ka khyal rakhega betu..
ziyan : ap hamesha yahi kehti ho mom kal mai chala jaunga Sam ka khyal fir kon rakhega...
anaya: ha mom Sam ko mai akela nhi chhodungi..
anvi : mai bhi Sam ke Bina nhi jaungi..
shivani: ufff itna pyar apne chhote Bhai se chalo Sam beta tum bhi tayar ho jao jaldi se..mom ke kehte hi servent mujhe bithakar Mera makeup karne lagte hai fir sabke samne hi mere kapde change karte hai..
ghar se nikal kar ham sab Aek famili party me ate hai.
ham charo bhai bahen party me ghumte hue khelne lagte hai mom dad apne friends se bat karne lagti hai...
cHalo bacho ab Ghar Jane ka time aagaya hai.. party ke end par servent hame mom ke pass le chalta hai...
Anaya : ziyan kitna maza aya na slip wale jhule par..
ziyan : any tumse mai 15 minutes bada hon meri izzat karte hue Mujhe bhai kaha karo..
Anaya : huhh just fifteen minutes..
mai : di fifteen minutes bht hote hai..
ziyan : tumse jyda hoshiyar to Mera Sam hai ..
Anaya : ye to apki side lega hi aap ki punch Jo hai..
agaye tum sab..dad ajaye fir Ghar chalte hai..
hamare mom ke pass pahuchte hi mom ne kaha..
hi bacho kaise ho ...Shivani tumhare kids bhut khubsurat hai..mom ke sath khadi unki ek friend ne kaha..
Shivani : yeah rachna mere kids apni mom par Gaye hai..hai na sweetheart.
ziyan : mom ye any Mera naam leti hai..
Shivani: any betu glat bat ziyan tumse bada hai Bhai kaha Karo..
Anaya :just fifteen minutes mom isme ye bare thori ho gye..
anvi: mom di ki pitayi kar do..
Anaya : baby mai tumse Ghar chal kar puchungi..
apne friends ke sath bat karne par mom hamari baton par dhyan hi nhi deti..
Mai : mom ab se mai any di ka naam lunga agar ye bhai ka nam li..
Anaya : abhi batati hon tujhe.
Anaya di mujhe pakarne mere pass ayi mai mom ke pass akar unhe pakar kar chhupne laga..
Mai : AAA..mom bacho dekho ye di maar Rahi mom..
Shivani : any ruk jao..tum kitni shaitn ho gyi ho..
anaya: no mom mai to bas Sam ko chess kar rahi thi..
Shivani: ziyan ke pass jao..
Anaya fusfusate hue : abhi mai Teri pitayi karungi bachu Mera nam lega tu..
di ziyan bhai ke pass chali jati hai mai mom ke pass hi ruk jata hon.
rachna : ye brown son bhi tumhara hai Shivani kahi se bhi tum par nhi Gaya...
Shivani: Sam Mera hi beta hai.
rachna mujhe badi hakarat ki nigah se dekhti hai..
Rachna : jis trah Chand par laga daag uski khubsurati ko kam kar deta hai vaise hi tumhara ye beta tumhare waki bacho ki khubsurti ko kam kar Raha hai..
Shivani: shut up rachna..mom ko gussa agaya tha.
rachna: you don't know but Shivani future me tumhe tumhare is son se problem hogi ..ise kisi boarding ya anathalay me daal do..
meri age itni nhi thi ke mai aunti ki baat samajhta lekin mom ke action se samajh agaya ki usne mere liye koi galat bat kahi thi..
Shivani: you witch..kehte hue mom alcohol ka glass ko rachna ke muh par daal deti hai jisse wo bhig jati hai..
rachna : tumne meri hi parti me mujh par meri hi wine Dali..
chatakkkkk...rachna ke kehne par mom fir uske gal par aek thappad rasid deti hai..
Shivani: aek minute me tujhe kharid ke Shetty ki slave bana dungi ..
Rachna: mai tumhari bhalai ke liye keh rahi thi..aur tumne mujhe hi mara..
kya hua Shivani..dad ne pass akar kaha.
Shivani: mai ache se janti hon meri bhalai kis me hai..
kehkar mom mera hath pakad kar waki Bhai behno ke pass lekar ati hai..
Shetty : kya hua rachna se Shivani.
Shivani : Sam ki insult kar rahi thi wo do take ki aurat..
Shetty: ignore kar deti yar wo ham me se hi ek hai..
Shivani: Sam ko anathaly me dalne ki advice di usne ye ignore kar deti mai...use kal Tak road par lekar aao Shetty use bhikari bana dungi Mai..
Shetty: calm down Shivani Mai samjha dunga rachna ko..
shivani: ohh to jo mai sahi sonch rahi hon tum dono ko lekar..mai Sam ko anathlay bhejti uske bad tum mujhse narz hokar rachna ko apni wife bana lete..hai na Shetty..
Shetty : kya bakwas kar rahi ho..
Shivani: Shetty tum jao use bana lo apni wife mai apne bacho ko lekar ukraine chali jaungi...
Shetty: mai pagal thodi hon jo is apsara ko chhod kar us third class larki ke pas jaunga..mai to tumhare husn ka gulam hon meri Jaan..
kehte hue shetty Shivani ke honth chusne lagta car k pas khade hokar..
Shivani : chhoro bache hai..chalo bacho car me baitho khabrdar koi shaitani ki to..
agle din raat ko Anaya di ziyan bhai dad ke sath china ke liye nikal Gaye..
Mai aur anvi di dono bhut udas the mom ham dono ko apni bahon me liye chup Kara rahi thi.
Shivani: sweetheart chalo ab chup jao jald hi ham teeno china jaynge ziyan aur anvi se Milne..
anvi : mom mujhe di aur bhai ki bhut yad arahi hai..
Shivani: yad to mujhe bhi bhut aarahi beta lekin unka Jana zruri tha.
anvi : kyo mom..
Shivani: wo wahan marshal arts sikhne Gaye hai taki tum dono ko protect kar sake..
Shivani: chalo beta Sam tum bhi anvi ki trah Rona band Karo..
Mai: mom school me sab mujhe brown brown kehkar chirahte ab bhai aur di nhi to mujhe kon bachayega..
Shivani: tum mere bahadur bete ho koi tumhe pareshan kare to uska samna karna..
mai : thik hai mom..
Shivani: that's my boy.
Mai : mom kal party me un aunti ko apne kyo mara..meri baat sunkar mom kuch der ke liyechup ho gyi.
Shivani: Sam dear ab se mai tumhe party me nhi le jaungi ..Mai nhi chahti koi tumhre brown hone ka mazak banaye..
Mai : mom brown baby ache nhi hote..
Shivani : chalo so jao kal tumhe school bhi Jana hai ..
ziyan bhai anaya di ke bagair 2 saal kaise guzre ye Mai aur anvi di hi jante they...
in do saalo me mai anvi di pehle se bhi jyada ek dusre ke karib agaye they..sath khate sath sote aek dusre ke bagair aek lamha bhi nhi guzar pate they..
aek din..
Shetty: anvi betu Anaya aur ziyan ke pass Jana chahti ho..
anvi: aap sach kahe rahe dad..
sHetty: ha kal ham dono China jaa rahe hai ab tumhari training hogi..
anvi : dad mai Sam ke bagair kahi nhi jaungi..
Mai : dad mai bhi apke sath chalunga..
Shetty: Sam Chhota hai abhi anvi bada ho jayega to mai tumhare pas le aunga..
channnn..
dad se naraz hokar anvi di khane ki plate zamin par fek deti hai.
anvi: mai Sam ke bagair kahi nhi jaungi..
Shivani: Anvi ..tumse kahi thi apne gusse ko kabu me rkhna..
Shetty: ye kya harkat hai anvi..
anvi: mai Sam ke bagair kahi nhi jaungi dad..
kehkar gusse me uthkar anvi di Jane lagti hai..
Shivani: anvi betu khana to kha lo..ruko..
anvi di bagair jawab diye chali jati hai..
Shivani: uff ye larki ..bahut gusse ki tej hai ye..
Shetty: ha Shivani itna gussa thik nhi..
Shivani: aap esa kre Sam ko bhi sath le Jaye Sam ab eight years ka ho Gaya hai aur vaise bhi ziyan Anaya ke bagair ye dono badi mushkil se sambhle hai..
Shetty : thik hai Sam ka bhi zaruri sman pack karwa do kal dono ko le jaunga Mai..
agle din ham teeno china ke liye nikal Gaye...
yahn akar di aur bhai se milkar ham dono ki khusi ka koi thikana nahi Raha..
dad ke jaane ke baad hamari training bhi shuru ho gayi abhi ham dono bhai behno ko basic hi sikha rahe they masters.
yahan Bhai ne meri aur anvi di ki friendship apni friend jija yanin aur uske Bhai JoJo se karai..dono hi Bhai behen dikhne me bhut Sundar they.
jija yanin hamare sath trainning le Rahi thi uska Bhai Jojo ziyan aur any ke sath...
din bitne Lage mai anvi di training lene Lage basic puri hone ke 1 saal baad hame bachaw ki training di Jane lagi..
is bich ham dono bhai behen kafi samajhdar ho Gaye sex ko chhodkar sab kuch jaan Gaye they..sirf marshal arts ki hi training nhi ho Rahi thi hamari hame buisness, arts,future technology se related things ke bare me bhi sath me padaya jata jiske alag alag teachers they..
jab bhi Mai jija aur anvi di ke pass lunch karne jata to dekhta JoJo any di ko hi ghurta aur jija ziyan se has has kar bat karti .
2 saal me me mai anvi di dono attack blocking me maharat hasil kar chuke they.
practical exam ke baad ham apne results ka wait karne Lage..
anvi : tu jija ko ese ghur ke kyon dekhta hai .
anvi di ke is sawal par mai muskura ke reh Gaya..
anvi : bta na kahi tujhe us se pyar to nhi ho gya..
Mai fir muskura diya..
anvi : batayega ya fir Mai jija se bol dun..jija...yahan..aa tujhe Sam ke secret ke bare me bataun..
Mai furti se uth kar anvi di ke mooh par hath rakh ke chup karane lagta hun.
Mai : aaaahh kya kar Rahi ho..use pta chal gya to uski friendship se bhi hath dho baithunga vaise bhi wo master ki beti hai..
oonnn onnnn..anvi di ke jhatpatane se Mai unhe chhod deta hun.
anvi : chal ab jaldi se bta.
Mai : pta nhi ye kya hai anvi di jab se jija ko dekha ek alag si khusi milti uske sath uske pas hone par dhrkane badh jati hai ...bas Dil karta hai use dekhta rahun .
anvi : to tujhe pyar ho gya Sam..
mai : ise pyar kehte hain di.
anvi : han sam..dekh wo agayi result lekar..
Maine ghum kar dekha jija staff room se hamare result lekar aa rahi thi..jiske sath JoJo aur ziyan bhai any di thi..
anvi : di kaisa Raha result ham dono ka..
dI aur Bhai ne mujhe dekha aur anvi di ka result unke hath me thama diya..
Anaya: tu Sam practice thik se kyo nhi karta tha..
Mai : kya aya di result me ..
Anaya : pehle jo pucha uska jawab de..
Jojo: any tumhe maine kitni bar warn Kiya ki ye Sam apni practice chhor kar hame chhup kar dekhne ajata hai ...
Mai : wo mujhe di aapki bhai ki yaad aati thi isliye Mai ajata tha ...acha di bataye na kya Raha result ka mere.
Anaya : tu fail hai Sam..
sunkar meri self respect ki dhajjiyan ud gayi jija ke samne ..
samajh me nhi araha tha mai kya karun..us waqt Mera hath mere bhai ne thama..
ziyan : har ka bhi apna maza hota hai..muskurate hue ziyan ne baat taal di.
mujhe fail hone ka gham nahi tha bas jija ke samne insult ka dukh tha...
Ek ek karke waki courses ke result aye unfortunately mai sabhi me fail hi tha..still mujh par Zara sa bhi farq nhi pada ...jiska baap india ka sab se rich aadmi ho use apne future ki kya fikr hogi yahi haal Mera tha..bas jija ke samne hi har bar fail hone ke tane maare any di ne uska hi bura laga..
ab Mai anvi di se piche ho gya unki class aage thi mujh se ..
Ek din practice karte waqt piche se meri peeth par laat padi..baltiyan chhut kar mere hath se niche giri mai mooh ke bal zameen par .
piche ghum ke dekha to Mera baap mujhe gusse se ghur Raha tha ...fir kya tha belt nikal kar mere baap ne mujhe pure school ke samne marna shuru kar diya saare bache practice chhodkar mujhe pitta dekhne Lage pitte hue mai najre utha kar idhar udhar dekh Raha tha ye sonchka ki kahin jija na dekh Rahi ho mujhe agar usne dekh liya to bachi hui izzat bhi chali jayegi...
rote hue cheekh cheekh kar mai master ko awaz laga kar bula Raha tha mere baap ke rutwe ki wjah se wo bhi nahi aaye .
Shetty : ek to tu badshakal paida hua aur upar se kisi kam ka bhi nhi..
ye sunkar man hua zameen me dhans jaun lekin ye mumkin Kahan tha bas moon ke bal gira to phir utha hi nhi Mera baap meri peeth par belt barsane laga..
hato piche aap....awaz ziyan ki thi aur belt uske hath me...
Shetty : ziyan hato samne se Aaj Mai iski khal khinch lunga..
ziyan : mere samne nhi..
Shetty : ziyan mujhe gussa na dilao.shetty ne danto ko piskar kaha.
ziyan : dad abhi age hi kya hai just ten years seekh jayega lekin jis trah se aap sikhana chah rahe ese ye kbhi nhi seekh payega ...
Shetty: itne bhi kabil nhi ho tum Jo apne baap ko sikhao..
jhagda badta dekh mom bhi agayi.
Shivani: kya kar rahe hai chodiye..
mom ke interference se dad belt chhod dete hai.
Shivani: tumhe lagi to nhi beta..
mom ke shabdo ko sunkar meri ankho se gussa dard bankar chalakne laga pitayi meri hui thi mom puch ziyan se rahi thi..
ziyan : mom pitayi Sam ki Hui hai.
hosh me aate hi mom ne mujhe ziyan ki help se uthaya..
Maine uthkar fir najre ghumai is bar jija mujhe mere samne hi Any di ke sath aate hue dikh gayi...
ye dekh kar Mai mom aur ziyan ki giraft se nikal kar dard ki parwah kiye Bina aek taraf ko daud pada..
bhagte hue mai park me aya aur jija ke bare me soch sonch kar rone laga....
kya hua kyo ro Raha hai ...ye mere seniors they jisne mujhe rota dekh pucha.ye apni class bunk karke baithe they ..
Mai : papa ne fail hone par mara..Maine ansu saaf karte hue hichkiyan lekar kaha..
ye le sare gham bhul jayega tu...
unme se aek ne sigrat badhate hue kaha ...
le pakad ..sigrat meri taraf badhate hue fir usne kaha..
mai : sach me sare gham bhul jaunga ..
senior : aur nhi to kya ye cheez hi asi hai....
uski baat sunkar Maine sigrat lekar mooh se laga li...
sigrat khatm karne ke baad Mai wahi bench par let Gaya ...kuch der baad Mai kisi ke uthane par jaga ab mai bhut acha feel kar Raha tha ...
uthane wali mom thi jinke sath mere sabhi Bhai behen bhi acha ye hua jija nhi thi sath me..
Shivani: ye koi choti baat nahi hai Sam ki aap sabhi subjects me fail ho Gaye..
mom ki baat sunkar Maine sarmindgi ki wjah se sar niche kar liya..
ziyan : mom is saal nhi to agli sal Sam pass ho jayega ...Hain na Sam..
Mai : nahi bhai ...mom Mai nhi padhna chahta mai aesi jagah Jana chata hun jahan mere siwa koi na ho Jo mujhe mere sharir ke rang ko lekar comment na kare jo meri insult kre...sabse dur ...apse bhi..
meri baat sunkar mom ke sath mere sabhi Bhai behen mujhe hairani se dekh rahe they...
ziyan : kya baat hai Sam...ziyan ki sard awaz mere Kano se takrai.
Shivani : Sam aesa kyo keh rahe ho.
Mai : mom mai tang agaya hun har aek baat se har aek insan se jo bhi mujhse Jude Hai...teacher aap teeno ko support karte hai ...good boy good girl ki image aap teeno ki hai Mera kya hai mujhse to sidhe mooh bat bhi nhi karte mom apse Maine kaha tha mujhe brown paida karne ke liye..meri bat sunkar mom mujhe sine se laga leti hai.
Shivani : Aaj ke baad koi bhi teacher tumhari insult nhi krega..kehkar mom mere forehead ko kiss kar leti hai.
Anaya : Sam tu ye hamse bhi to keh sakta tha..
ziyan : nhi any galti hamari hai Sam hamare sath Raha lekin ham ye na Jaan sake use kya takleef de Raha hai..
us din kafi der Tak mere Bhai behen mujhe samjhate rahe jab Tak mom ruki sab se jyda time mere sath hi spend ki wo...
unke jane ke baad meri classes fir shuru ho gayi mujhe support karne ke liye anvi di aek class piche hokar mere sath hi agayi..Shayad unse Mera akelapan dekha nhi gya..
un dino Mai jija se door hi rehta kareeb six months Tak Maine jija se bat hi nhi ki wo jahan Nazar ati Mai wahan se gyab ho jata...shyad ye jija ne notice kar liya tha...
us sham class khatm karke mai apne room me Jaa Raha tha ki tabhi mere sar par aek eent padi...
Mai ghumte hue : kon hai be Teri ..samne jija ko dekh kar Mai apne shabd nigal Gaya...
Mai : ohh jija tum wo Mai samjha pata nhi kon hai fir ata hun thak Gaya hun isliye room par Jaa Raha hun...jija ko fight pose me dekh Maine jaan chudane ke liye kaha aur lambe lambe kadmo se aage badhne laga..
dhammmmm....is bar lakdi ka tukra mere sar par pada...
Mai : hahaha tum bhi na...
Mai fir usse door Jane ke liye bhagne laga...
is bar maine apni speed pehle se bhi tej kar di...
aaaaaaaaahnnnnn....awaZ sun kar maine apni kamar ko peeth ki disha me mod diya jija mere upar se udte hue mere samne akar girti hai...
kyo bhag rahe ho..mere sidha hote hi jija ne kaha..
mai : mai kyo bhaguga hahha thak Gaya hun na isliye room par jakar rest karunga..
jija : tumhare hath pair ese hi hilte rehte hai...meri body ko kalpta dekh usne sawal Kiya.
Mai : pta nhi...acha mai chalta hun bataya na fir rest karunga..
Jija: itna bhi lazyness acha nahi..kehte hue jija ghumkar mere kick marti hai ...
us chini doseza ki Ada ki samne mai khud ko bachane ke liye kuch na kar saka aur uski kick se mooh ke bal mai jameen se jaa laga..
jija : janti hun mai tum kyo mujhse bhag rahe ho...
Mai : aaaaahhh kya janti ho..mai uthtkar kapde jhadte hue bola.
jija : Sam mom dad ki pitai koi insult nhi hoti..
Mai : anvi di...inke pet me koi baat nhi rukti ..kehte hue mai charo taraf dekhne laga ..
jija : tum krate test me fail ho..insult ye hai Sam..
Mai : anvi di ...Maine dekh liya chalo bahar ajao..Maine Bina dekhe anvi di ko awaz di..aur wo ped ke piche se nikal bhi aayi..
jija : meri baat sun rahe ho sam..
Mai : mai apna acha bura khud dekh sakta hun..thanks for this..kehkar mai anvi di ki taraf Jane laga..
jija : mujhe tumhari sach me parwah hai isliye to aayi hun...tumse Mera khas rishta hai..jija ne Mera hath pakad kar kaha aur mai megnet ki tarah wapas hokar uske pass Jane laga..
jija : kal se tumhari karate training mai karungi...
Mai : sach me..
khush hote hue mai gale lagne wala tha ki tabhi jija ne ankho se ishara Kiya aur mai ruk Gaya..
jija : acha Mai chalti hun..kehte hue jija chali gayi..
Mai : sab apne kiya ...kya zarurat thi iski.
anvi : wo tumhe sudhar degi
Mai : wo uncomfortable feel to nhi kregi mere sath.
anvi : kyo sonchte ho esa tumhe kaise samjaun tum ache dikhte ho Sam .
Mai : ha apko to lagunga hi bhai jo hun.
baten karte hue ham dono any di ko dhundte hue school ke gardan me aaye jahan wo jojo jija ke sath baithi baten kar rhi thi..
Mai : di bhai kaha hai ..
anaya :wo corner me hai ..di ne ishara karte hue kaha..
Mai bhi udhar hi chal Diya..
anvi : ruk Mai bhi aati hun..
chalte hue ham dono gardan ke end par aaye jahan aek ped k niche bench par ziyan bhai kisi budhe admi ke sath baithe dikhe...ye old men hamare masters ki tarah nhi tha uske clothes Chinese logo ki trah nhi they lekin wo tha Chinese hi..
ziyan : Sam... uncle ye Mera chota Bhai hai aur ye meri choti behn hai..
hame dekh ziyan ne kaha..
Old uncle: ajao bacho..
ham dono bhi unke pass jakar baith Gaye..
old uncle : acha beta ziyan mai chalta hun..
ziyan : kal mai yahi aapka wait karunga..bhai ki bat sunkar uncle muskura diye..fir apni jeb se dates nikal ke aek aek ham teeno bhai behno ko dekar chale gaye....
ziyan : kha lo..
Anvi: kon hai ye Bhai..
Ziyan : ye bhi aek master hai lekin hamare masters ki trah stone hearted nhi ..
Bhai ki baat sun maine bhi date mooh me rakh Li....
aek week Tak jija mujhe karate ki practice karati rahi uske samne kamtar na dikhun isliye Mai raat me jaag jaag kar practice karta agle din result dekh kar jija khush ho jati thi...
Mai : kya hua mooh kyo utra hai jija..
jija : Sam mai ab tumhe train nhi kar sakti...Jojo ne mom se keh Diya hai ...mom ne kaha pehle Mai khud isme nipud ho jaun fir kisi ko train karun..
Mai : hmm sahi to kha..
kehkar mai Jane ke liye muda..
jija : naraz kyo hote ho meri mom master hai tum chaho to unse training le sakte ho..wo tumhe bhut ache se sikhayengi..
Mai : nhi mai yahi thik hun ...aek baat puchun jija..
jija : han pucho..
Mai : hamara khas rishta hai isse kya matlab tha tumhara..
jija : nhi samjhe ...usne sharmate hue kaha..
Mai : nhi.
jija: tum mere hone Wale devar ho hihihi mai aur ziyan aek dusre ko pyar karte hai to hue na tum mere devar ..
Mai itna bhi na samajh nhi tha is age me mai in sab baton ko ache se jaan Gaya tha.
pyar ,nafrat ,rishte sabhi se parichit tha..
mai khada raha jija muskurati hui chali gayi..
pta nhi kaisa ahsas tha lekin Aaj pehli baar Maine apne Dil me dard mehsus Kiya tha..
Dil jude bina hi tut gaye
Hatth mile bina hi chhut gaye
Ki likhe ne lekh kismet ne..
Baar baar rond akhiyan
Tainu jo na vekh sakiyaan
Khole aaye aaj kudrat ne..Katta main ki ve din teri sonh tere bin
Main taan jiya na maraa..
Chhan se jo toote koi sapna
Jag soona soona lage
Jag soona soona lage
Koi rahe na jab apna
Jag soona soona lage
Jag soona soona
Hai to.. yeh kyon hota hai
Jab yeh dil rota hai
Roye sisak-sisak ke hawayein
Jag soona lage
Chhan se jo toote koi sapna
raat Kab guzri kuch pta hi nhi chala...sari raat ghas par hi mai baitha raha ...kabhi apne rang ko Kosta to kabhi apni kismat ko ...fir khayal ata ye kismat hi to hai Jo Mai itne Ameer bap ka beta hun..
Sam Aaj itni subah subah agaye..
master Lee ki awaj sunkar Maine ghutno se sar nikal kar unhe dekha..
lee : tum thik to ho Sam..
mai : ji master ata hun mai fresh hokar... kehkar mai aek taraf chal Diya.
pero me Pani laga rahe mali ke pass akar Maine mooh dhoya aur fir park me aya jahan mere seniors sigrat pi rahe the..
Mai : mujhe bhi chahiye..Maine usi senior se kaha jisne pehle aek bar pilai thi.
senior : paise hai.
Mai : nhi card hai..
senior: chal bahar chalte hai..
mai : bahar to security hai fir kaise.
senior: Mai aek khufiya rasta janta hun dost...
dekhte hi dekhte 6 month aur guzar Gaye.
Mai jija ko kbhi bhul hi nhi paya jab bhi bhulne ki koshish karta wo samne ajati...
Aaj fir result ka din tha mai janta tha natija wahi hoga Jo pichli bar tha..isliye Mai result lene hi nhi Gaya...ye kaam Bhai behno par dalkar mai park me akar beed pine laga..
Ye kya kar raha hai Sam..ziyan ki awaz sunkar Maine ankhe kholte hi beed piche fek di ...
ziyan : Sam...you are smoking..
mai : nhi to Bhai acha result me kya aya..mai lene hi Jaa Raha tha fresh air ke liye yahan baith Gaya ..Maine baat banate hue kaha..
result hath me dekar ziyan Mera mooh sunghne lga..
Ziyan : kab se shuru ki smoking Sam..
mai : are mai pass ho Gaya ye aur courses ka result tha..
ziyan : c grades se Sam..
Mai : acha mai any di anvi di ko dikha kar ata hun..kehte hue mai bench se uthkar Jane ko hua.
ziyan : itna acha result nhi hai Sam jo unhe dikhaya Jaye..kehte hue ziyan ne mujhe fir bench par bitha Diya..
Mai : hmmm...
bhai ye fir karate classes fail ho Gaya..any di ne pas akar kaha jinke sath anvi di jija JoJo bhi the.
anvi : classes bunk karke tu Kahan jata tha Sam..
ziyan : any ye smoking karne laga hai..
Anaya : what
anvi : ye sach hai Sam..
Mai : bhai kuch bhi kehte ho aap..mai kyo karunga smoking..
chatakkkkkk..
ziyan : mujhe jhut se nafrat hai sam..
ziyan ke thappar se Mera gal sunn ho gya tha..
Mai khuni nigaho se bari bari se sabke face dekhne laga jija hakarat se mujhe dekh Rahi thi...
Anaya : kab se shuru ki tune smoking Sam aur kisne sikhai tujhe..
anvi: kya pata Bhai ko dhoka hua ho di..
Anaya: anvi bhai ne kaha hai fir sach hi hai..
Mai : ha mai karta hun aur age bhi karunga..
chatakkk
ziyan: Sam mujhe majbur mat kar
Mai : ab muje mara to Mera bhi hath uth jayega..
Anaya : Sam tu pgal to nhi ho Gaya hai Bhai se kis tarah baat kar Raha hai tu.
ziyan : tu mujhe marega Sam...bol sammm...
Mai : jao yahan se ..
ziyan: himmat hai to maar mujhe..
Mai : Maine kaha na jao yahan se.
ziyan: itna pyar Diya tujhe aur aj tune apne Bhai ka Dil Tod Diya Sam.
Anaya : hamare pyar ne tujhe bigar Diya hai Sam ..
mai : what kya kaha fir se kehna..pyar..aap ne mom dad ne jija ne sabne ise pyar Kiya na ki mujhe...di jab se yahan aya hun apne mujh se jyada is jojo ke sath time spend Kiya hai ..lover ke samne bhai kise dikhta hai..
chtakkkkk chatkkkkkk...
anaya: aek lafz aur kaha to mujhse bura koi nhi hoga..
anvi : di sam thik to keh Raha hai ham dono se jyada time apne jojo ke sath guzara hai..
anaya : iske sath me rehkar anvi tu bhi is jaisi ban gayi hai .
ziyan : shut up chup ho jao tum dono...
mai : kyo di sach suna nhi Jaa Raha tumse...ab jao yahan se apne lover ke sath aesh kro..
Anaya gusse me : sammmmm....
chatakkkk chatakkk chatakkkk.
Kai thappar any se kha kar Mai gusse me bari bari se sabke chahere dekhne laga..
chatakkkkk
ziyan : sammmm..gusse me ziyan Mera collor pakad leta hai any ko Marne ki wjah se.
Mere Marne par any ke ansu nikal aye the.
anvi: ye kya Kiya tune Sam..
anaya: koi bat nhi anvi ab se iske liye Mai mar chuki hun.
ziyan : Sam any se mafi mang..
Mai : collor chode Mera..
ziyan : maine kha mafi mang any se Sam..
kehte hue ziyan aek punch mere mooh par Marta hai.
aaaaahhhh...aek hi punch se Mai mooh ke bal Jamin se jaa lagta hun..
ziyan : Teri himmat kaise hui any par hath uthane ki Sam..
kapde jharte hue mai khada hua.aur ladne ke pose me ziyan ke samne khada ho Gaya.
mujhe is trah ladne ke liye khada dekh ziyan ke ansu nikal aye jise wo jaldi se hath se saaf kar leta hai.
ziyan : to ab tu mujhse ladega.. kehte hue ziyan ne hawa ki speed se apni char ungliyan chalai..jise maine block karne chaha to blocking ko torte hue wo mere sine me jaa lagi..
aaaahhhhhh...aek Aseem dard ke sath Mai ghutno par baith ke karahne laga..
anvi : di bhai ko roke...
ziyan : Sam ab bhi kuch nhi bigra mafi mang le any se..nhi to Mai tujhse kabhi nhi bolunga..
Sab kuch tujhe Mila mom dad ka pyar ho chahe in dono ka ya fir jija sab tujhe chahte hai ...mai hamesa se akela tha age bhi akele reh lunga..apne sine ko sehlate hue maine uthte hue kaha..
ziyan : ye sab bakwas hai..tujhme hamari Jaan basti hai sam lekin tu ye nhi samjh sakta kyoki Teri anko par irsheya ki patti bandi hai..
mai : chale jao yahn se..
Ziyan: Tab Tak nhi jab Tak tu any se mafi nhi mang leta...
mai : bhul jao...
Ziyan: aaaaaaaaaa.....
gusse me ziyan punch bana kar Marta hai ye dekh mai bhi punch bana ke ziyan ke Marta hun...
dhammmmm...
aur ham dono ke punch apas me ladte ye dekh Mai apni unglio ka dard bhul aek kick ziyan ki kamar par Marta hon jise pakad kar wo mujhe ghumate hue door fekta hai..
Anvi : di cahati ho aap dono me se koi aek mar Jaye bhai nhi rukenge na Sam..
kapre jharte hue mai utha dard se mere ansu nikal rahe they lekin Mai Roya nahi..
anvi: bhai ruk jaye aap jaye yahn se..
ziyan : Anvi samne se hato..Maine kaha hato..bhai ke gusse ko dekh anvi di samne se hat gayi..ab Tak mai ladne ke.pose me agaya tha..
mai : aaaaaaaaaaaaaa....bhagte hue mai ziyan ki taraf badha...
samne achanak any ke ane par mai ruka mere rukte hi any aek zordar kick mere sine par Marti hai aur mai fir Jamin se jaa lagta hun..
Anaya: tujhe Sharm to ayi nhi hogi Bhai par hath uthate hue...shakal ke sath Tera Dil bhi kala hai Sam..
Ziyan: hat jao any ..
Anaya: bhai chale yahan se ...mujhe mafi nhi chahiye aur na mai kabhi ise maaf kar sakti hun..
jabarjasti any bhai ka hath pakar kar le gayi...
Mai utha aur kapre jharte hue us disha me chalne laga jidhar se school se nikalne ka secret rasta tha..
bahar aakar ab Tak ruke hue mere ansu behne Lage...wahi aek bench par baithe baithe mai Kai ghanto Tak rota Raha...
dophar me uthkar mai adde par aya jahan se mere seniors maal lekar pite they maal lekar mai wahi bridge ke niche baith kar pine laga..
ese hi 2 din guzar Gaye mai wapas school nhi Gaya...
pI pi pi...police ke siron ki awaz se Maine sar ghuma kar dekha samne car me se pehle mom nikli fir ziyan..fir dad...Maine bhagne ka soncha lekin pakda jata isliye bhaga nhi.
Mujhe dekhte hi ziyan bhagte hue mere pass aya..
ham dono ki hi ankho me ansu they..
itne me mom bhi agayi..mere pass padi itni sari segrts ko dekhkar mom gusse me mujhe ghurne lagi ..sar niche kiye mai apni asteen niche karne laga...
Shivani: ab tumne smoking bhi shuru kar di Sam age dekhi hai apni..
ziyan : mom plz yahan ane se pehle hamari kya baten Hui thi..
Shivani: chup chap car me jakar baitho...
car me aate hi dad sunane Lage lekin ziyan ne unhe bhi chup Kara Diya.
Kuch der driving ke baad car aek five star hotel ke samne ruki ...mom mujhe school lekar nhi ayi sidhe hotel lekar aayi jaha wo ruki thi..
Shivani ka bachaman m Sam k liye pyar tow ek dam haqeekat wala tha tow fir bade hone per kia ho gaya jo itni nafrat kerne lagi
Udher china m dono bhai hi apas m bhidh gaye
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob shaandar update bhai