BEING STRANGE
"We're in the Endgame now."
- 79
- 140
- 33
Episode 24
Siya hairato ke pahad me dubi Sam ke sath train me akar baith jati hai..uske liye ye sab Naya tha..
siya : mai pehli baar baith Rahi hon I'm so excited.
Siya ko khush dekh sam bhi muskura deta hai.
next continue...
bhut dino se anvi aur uski sathio ne Rocky se baat nhi ki thi..isliye Rocky ka hi massage us divice par aata jo anvi ke pass tha..jise ab Meghan rakhi Hui thi..
Massgage dekh kar meghan device lekar anvi ke pass aati hai..
Meghan: Anvi Rocky baat karna chahta hai.
anvi: use keh do anvi a.i se baat nhi karegi.anvi ki baat sun Meghan Rocky ko reply kar deti hai.
JIn sung: kya soncha hai tumne Anvi ab.
anvi: Rocky ke pass meri ab koi kamzori nhi hai isliye Mai ab uske liye kaam nhi karungi.
ting ting ting...
aek sath charo ke phone bajne lagte hai...
Charo hairani se aek dusre ko dekhte hue call pic karti hai..
kaisi hai meri qatil hasinao..awaz Rocky ki thi Jo charo ke phone se sunai de rahi thi.
Kaya: ham thik hai..Rocky.
Rocky: mujhe meri janeman ki awaj nhi aayi.
anvi: rocky..mai ab tumhare liye kaam nhi karna chahti.
ROcky: to tum mujhe dhoka dogi.
anvi: aesa hi samjh lo.
Rocky: tum teeno anvi ko markar mere pass lekar aao..
teeno koi jawab nhi deti.
Rocky: tumne suna nhi...agar Mera hukm nhi manogi to tum teeno ki families maar di jayegi.
anvi: tum teeno call cut kar do.
anvi ki baat sun teeno call cut kar deti hai..anvi apni call speaker par daal deti hai.
anvi: now I'm the authority.
Anvi: you doing your life's biggest mistake sweetheart...Mai tumhare har aek kareebi ko maar dunga akhir me tumhe.
anvi: tum shayad obrai family se wakif nhi ho.
Rocky: mai sab janta hon anvi..ab tayar ho jao apne us scientist ki maut ke liye.
Anvi: mujhe ab uski bilkul bhi parwah nhi tumse pehle agar wo mujhe Mila to mai use maar dungi.
Rocky: fir intezar Karo apne kisi kareebi ke Marne ka.
anvi: agar tumne aesa kuch Kiya to mujhe apni army ke sath tum Tak pahuchne me der nhi lagegi..
Rocky: mai abhi space me hon dhund sakti ho to mujhe dhund lo.
kehte hue Rocky call cut kar deta hai.
Meghan: Rocky ki dhamki bare me bataogi unhe.
anvi: mai sare rishte Tod chuki hon Maghan..vaise bhi mere sath meri family bhi hai.
jin sung: tumhare dimag me chal kya Raha hai hame batana chahogi.
anvi: kuch bhi nhi....sam mom ke pass jao unse kehna Anvi di bula Rahi hai.
Sam : thik hai di.. kehte hue brown Sam uthkar chala jata hai.
Kuch der baad Sam Shivani ke sath room me aata hai.
shivani: kyo bulaya hai mujhe.
Anvi: mom...I need.
shivani: mar gayi hon mai tumhare liye don't call me mom.
anvi: okay fine now listen Shivani...anvi ke naam lene par Shivani use hairat se dekhti hai use yakin nhi araha tha ye usi ki hi beti hai..
Anvi:koi ham par hamla Krna chahta hai security badha den.
shivani: kon karna chahta hai.
anvi: uska naam Rocky hai...ab Tak Mai usi ke pass thi aur uske liye hi kaam karti thi...uske order follow na karne ki wjah se wo aap logo ko nuqsan pahucha sakta hai..
shivani: mai jimmy se keh dungi.shivani jate hue boli.
Anvi: listen Shivani..mujhe aek raw ki spy team bhi chahiye jinhe mai America bhej sakun Rocky ke base ko tabah karne.
shivani: Mai tumhari raw ke incharge ke sath meeting fix kar dungi . Kehkar Shivani room se nikal jati hai.
Pooooooooo...horn ke sath hamari train bhi chal di..
Shoooo....
mai: ye kaise Kiya tumne..siya ne train ke horn ke sath hi apne hatho se whistle ki awaj nikali.
siya: so easy aap sikhenge..wo first time baithi thi isliye badi chahek rahi thi ..jaise kisi bache ko man pasand khilauna mil Gaya ho.
mere haa kehne par wo mujhe sikhane lagi.
Siya: fold your hands in shape of moon than close ..lips ko is trah karke fook mare.
siya bata Rahi thi aur mai vaise hi kar Raha tha.
foooo..
mere karne par siya ki whistle jaisi awaj to nhi nikli lekin wo khilkhila kar has zarur di.
siya: thodi aur practice kare seekh jayenge..
kafi der practice ke baad finally mai bhi whistle Baja paya
Shoooo.
siya: mai bol rahi thi na seekh jayenge.
Mai: tumhare jaisi pyari teacher ho sath to kaise nhi sikhunga..mere kehne par Siya pyar bhari najro se mujhe dekhne lagti hai.
shooooonn..
Maine fir whistle bajai.
Mai: aesa lagta hai jaise kisi wolf ki awaj ho so relaxing.
siya: aap thake hue hai meri godi me sar rakh kar so Jaye abhi koi hai bhi nahi yahan.
BIna kuch kahe mai siya ki thigs par sar rakh kar let gaya wo pyar se mere balo me ungliyan ferne lagi..jisse jald hi Mai nind ki wadio me chala Gaya.
jaldi baitho sab..ye seat Khali hai.yahan baith jao.
Logo ki awaj se meri aankh khuli train ruki hui thi kisi station par ab train bhar rahi thi bheed se.
Kafi rat ho gayi thi.
logo ko dekh mai siya ke upr se uth gaya.wo ab bhi so Rahi thi.
mere uthte hi siya bhi jaag gayi.
siya: uth Gaye aap...aaaahhh.khadi hote hue Siya ladkhadai jise Maine tham liya.
Mai : kya hua thik ho tum.
siya: kafi der se aek hi position me baithi na to wo hota hai na.kehkar wo muskura di.
Mai : pagal ladki meri to jaan hi nikal di..sabse chupte hue Maine siya ke galo ko chum liya wo Sharma ke mere sine se chipat gayi..
kuch der baad siya normal hui.
siya: chale upar chal ke baithe wahi khana bhi kha lenge.
kamar se pakar kar Maine Siya ko upar bithaya fir khud ake baith Gaya.bags hamare upar hi rakhe they jinhe kholkar hamne usme se khana nikala jise ham station se kharid kar laye they.
SIya : aapne aek baat note ki rakshak.
Mai : kya.
siya: pehle apko har 8 ghante me blackout hota jisse aap behosh ho jate lekin us din se aek baar bhi nhi hua jab se apne hame bachaya.
Mai: ha siya is par to Maine gaur hi nhi Kiya.
khana kha kar Mai baith Gaya..siya ka sar apni thigs par rakh kar lita Diya Maine.
36 ghanto ke lambe Safar ke baad ham Delhi pahuche.
Sabhi passenger ke utarne ke baad ham dono bhi train se utar Gaye.
station par chalte hue logo ko tanki ke pass dekh mai ruka..
sabke hatne par Maine mooh dhoya fir siya ne...
Station se bahar aye ham to log ham dono ko ajeeb najro se dekhne Lage..siya ne apne kabile ke kpde pehne they jabki meri beard bhut badi thi..aur mere sar par saman Lada tha jo thi gathri.
siya: ye sab hame ghurr kyo rahe hai.
Mai: mujhe nhi pata agar ye pass aye to ladunga mai.
siya muskura di.
siya: mai apne aap par proud feel kar rhi because I'm your wife..
baten karte hue ham dono bahar aaye.
kaha jana hai Bhai sahab..meri gadi bahar hi khadi hai.aek admi hamare pass akar bola.
siya: who are you why are you stopping us.
siya ki baat par wo gadiwala apna sar khijane laga.
madam Hindi me bolo.usne kaha.
kitni ajeeb baat thi pahado se aayi siya English bol Rahi thi aur saher me rehne wala samjh na saka.
Mai: siya ye taxi wala hai.
siya: ohh..ise kahe hame aims hospital Jana hai.
Maine driver se kaha.gathri lekar usne car me rakhi fir ham dono ko lekar chal Diya.
half hour baad ham hospital ke bahar they.
paise dekar ham dono andar chal diye.
sahab kuch de do bhuk lagi hai.aek bhikari aurat ne hamare pass akar hath failaye.
MAine siya ko dekha.wo 100 ka note apne breast se nikalkar us bhikaran ko de deti hai.duaye deti wo chali jati hai.
Andar aaye to hamara samna bheed se hua..aek jati Hui dr.ko siya ne roka.
siya : excuse me .hame Inka ilaj karana hai ye mere husband hai inki yaddast chali gayi hai.
siya ki baat sunkar usne ham dono ko upar se nche tak dekha fir aek taraf ishara karke kehne lagi.
Dr.: samne se form bhar ke appointment lo fir dr.ilaj karene.
siya: hame nhi aata bharna please you can.
Dr: English bol Rahi ho aur form bharna nhi aata..chalo time khoti mat Karo..usne jate hue kaha.
siya: no listen.
Mai: jane do use siya...mai fill kar dunga..us dr.ki batayi jagah par ham aaye aur line me lag gaye.
2 ghante baad hamara number aaya.
2 hazar ka form lekar ham apne saman ke pass aaye..use fill karke hamne jama kiya.badle me hame aek parchi mili...aur wait karne ka kha Gaya.
siya: yahan kitna mushkil hai na ilaj karna.siya ka lehja bilkul thaka hua tha.
Mai: ha siya..
4 Ghanto ke wait ke baad hamara naam announce hua..ham dono andar Gaye jahan aek lady Dr. Baithi thi.
Dr: batayiye kya problem hai apki.
siya: ye mere husband hai..inke sar me hath me chot lag gayi thi 4 mahine pehle..hamne sar me tanke laga kar ilaj kar Diya Inka..aur fir siya meri situation dr. Ko detail me batane lagi.
Dr: nuro surgery karni padegi sar ki bahut kharcha aayega..
Mai: kitna dr.
Dr: 35 lacs.
siya paiso ka hisab kitab ghode bechne wale se phle hi samjh gayi thi itni badi rakam sun kar wo nam ankho se mujhe dekhne lagi.
Dr: aap ke pass agar paise hai tabhi ham inhe bharti karenge.
siya: aap yahi ruke ham lekar aate hai apne saman me se.
Siya ke jate hi Mai apna card nikal kar dekhne laga.
Dr: it's empty or isme paise hai.
Maine koi jawab nhi Diya chup chap card wapas rakh liya.
kuch der baad siya aayi aur kafi Sona aur paise usne table par rakh diye. Paise..5 hajar ke aas pass honge lekin sona jyada tha.ghode 10k ke beche they 5 hajar kiraye me aur form me lag gaye they..
Sona dekhkar dr.uska bajan karne lagi..shadi me maai ka diya gold ke sath siya baba ka bhi gold le aaye thi.
Dr: ye half kg ke ass pss hoga Puri fees bharni hogi apko.
siya: itne me Inka ilaj nhi hoga kya.
dr: 5lacs aur lagenge.
siya pareshani se apne Bal khichne lagi uski kuch samajh nhi araha tha wo kya kare.
siya: aap Inka ilaj kare mai ilaj ho Jane par waki Paise bhi de dungi.
pata nhi siya ne kya sonch kar kaha tha paise ikatha karne ke liye.
dr.ne hami bhari aur bell press karke nurse ko bulaya.
Dr: nurse inhe sath le jao apne Inka checkup karo aur CT scan karke report mujhe do..aap nurse ke sath jao..
siya: go with her.
Dr ke kehne par mai nurse ke sath chal Diya.
To aap kis tarah waki ke paise dengi miss.sam ke jate hi dr.ne pucha.
siya: hame Thora samay dijiye..ham bhut dur se aye hai wapas nhi Jaa sakte warna apko ham Sona lakar de dete.
Dr: dekhe yahan hamare pas itna samay nhi in baton ke liye aap waki ke paise jama kare 3 din baad ham surgery shuru kar denge..you can go now.
Soncho me gum siya uthkar Jane lagi.
Dr: paticent ka room number 53 hai.
Dr ki baat sun siya cabin se nikal jati hai.
bahar akar siya sochne lagi wo kya kare gathri ab bhi uske pass thi.
bahar siya ko wahi bhikarani road par paise mangte dikhti hai.
kuch sonchkar siya bhi bahar aati hai aur higway ke pass ruki gadi ke shishe ko knock karti hai..sisha niche hone par siya uske aage hath baraha deti hai.
siya:I'm bagging you I need money for my husbands treatment.gadi wala acha insan tha isliye Bina kuch kahe wo paise de deta hai.
oye chal nikal ye Mera ilaqa hai.jise kuch ghanto pehle siya ne bhik di wahi bhikaran akar kehti hai.
siya kuch nhi samajh pati.
bhikaram: tum to wahi ho jisne mujhe subah paise diye they..tum bhi pareshan ho meri tarah chalo mang lo tumhari jagah koi aur hota to mai use tikne bhi nhi deti.kehti hui bhikaran chali gayi.
siya: what.
siya ko uski baten samajh nhi ayi thi isliye wo jane deti hai.
gadi rukne par siya fir gadi ke pass jakar paise mangti hai.
Bhut khubsurat bhikaran hai tu.gadi me 4 ladke baihe they kehne wala siya ka hath pakar ke andar khinch leta hai.
SIya: leave my hand.i said leave me
gadi wala: tu jitna Paisa mangegi utna denge.
ye to badi chikni hai lagta hai kisi gaon se aayi hai bitha le ise.uske sathi ne kaha.
siya: please leave me my husband is in hospital.siya ki ankhe nam ho gayi thi.
Hame bhi dekhne de .piche ki seat par baithe 2 ladke jhukakar Siya ko dekhte hai.
HAi na mast.driver ladke ne kaha.
aur sali angreji bolti hai.dusre ne kaha.
SIya bar bar kosish kar rahi thi lekin wo chhod nhi rahe they use.
hai to bhut mast utha lete hai .uske sathi ne kaha.
sale police hai samne vaise bhi 20 second baad signal open ho jayga.
siya apne hath se apne ansu pochti hai fir jisne uska hath pakda tha uski ankho ke apni ankhe daal deti hai.agle hi pal wo siya ka hath chhod apna sar gadi par Marne lagta hai.
kya Kiya hai tune.driver ladke ne pucha ..
siya ansuna kar bhag jati hai.
siya ne majboor hokar hypnotize kar Diya tha use.
aese hi raat bhar paise jama karke siya Sam ke pass chal deti hai.
scan karne ke baad report Dr. Ke pass aati hai.
report dekh ke Dr ke chahere par smile aa jati hai.
Dr 1: hai na ajeeb baat bas iske tanke nikalne hai otherwise he's okay iske ghao bhar chuke hai.
lady Dr: ye baat ham jante hai ye nhi aese hi bewakufo se hame fayda hota hai
..aesa karo iske baal nhi katna rehne Dena warna ghao ke bhar Jane ka pata chal jayga.
dr1: thik hai samjh gaya filahal ise behosh kar dete hai.
kehte hue Dr nurse ke pass ata.aur use Sam ko behoshi ka injection Dene ke liye kehta hai.
nurse jab Sam ko injection deti hai to Needle uske sharir me nhi ghusti ye dekh wo bhagkar Dr. Ke pass aakar use sab batati hai.
lady dr.bhi nurse ke sath akar injection Dene ka try karti hai to needle andar nhi jati.ye dekh wo hairani se Sam ko dekhne lagti hai.
fir nurse ko lekar room se nikal jati hai.
lady Dr: iski skin rare hai ham is par reserch karenge ise Jane mat Dena..filahal ise behoshi ki tablet de do.
nurse aesa hi karti hai.aur Sam behosh ho jata hai.
HOspital ki taraf se mile room me Sam ko sota dekh siya bhi pass akar let jati hai.
agli subah Sam ke uthne se pehle hi siya uthkar room se nikal jati hai.
NUrse ke uthane par mai jaga.aur apne ass pass dekhne laga.
agaya hosh tumhe chale ye medicine kha le.nurse mujhe medicine aur Pani dete hue boli.
Mai: meri wife kaha hai.mai uthte hue bola.
NUrse: mai nhi janti.
medicine chhod mai room se nikla..nurse mujhe awaje lagati reh gayi.
paglo ki tarah Mai yahan wahan siya ko dhundne laga..kafi der hospital me talash karne ke baad mai bahar aya.
bahar aate hi siya ko dekhkar meri ankho me ansu agaye.
wo lights par aek gadi ke samne hath failaye khadi thi.
Bojahal kadmo ke sath Mai siya ke pass Jane laga.
Gadio ke chalte hi wo wapas palti mujh par Nazar padte hi uska chahera sharm se jhuk Gaya.
Mai : isse behtar tha mai mar jata.
Maine pass akar kaha.
siya kuch nhi boli bas sar niche kiye khadi rahi.
Mai: siya kyo Kiya ye..
JAwab mujhe siya ke ansuo ne Diya...jo uski ankh se nikal kar jameen par gir Gaya.
Ye dekh Maine use apne sine se laga liya.
Sam ye tum ho..aek khubsurat nili ankho wale ladke ne pass akar kaha.
uski awaj par ham dono alag hue.
Mai:tum mujhe jante ho.
kya hua hai tumhe mere Bhai kaisi halat tumne bana li apni.. kehte hue wo mere gale lag Gaya.
Mai hospital ke hi kapro me tha.
siya:who are you and you know him.
siya ne usse pucha.
I'm Arya he's my friend.arya ne kaha.
Arya: tumhe kya hua hai Sam aur tum yahan kaise.
SIya: inki memory chali gayi hai kya AAP inki family ko jante hai ham ilaj ke liye aaye yahan but paise Kam parh rahe hai.
Arya: what..aapko nhi pata ye kon hai.
siya: aap bataye hame ye hame aesi hi halat me mile.
Mai: jao tum mujhe kuch nhi janna .
siya: aesa kyo keh rahe hai aap.aap bataye ye kon hai.
Mai: tum ho na mere pass bas itna kafi hai.
siya: apki family ke bare me pata chal jayega to hame paise mil jaynge treatment ke liye aur mai bhi sabse mil paungi..Arya Bhai aap bataye jaldi.
Arya: meri mom kehti hai ye bhut rich hai..
siya: kaha hai inki family.
Arya: Mumbai me.
siya: ye Kahan par hai.
Arya: yahan se kafi door hai.sam tum kuch bolte kyo nhi tumne wada Kiya tha ham dost hai..kya tum bhul gaye.wo mujhe emotional karte hue bola.
uske kehne par Maine use gale laga liya.
Arya: Sam agar treatment karana hai to mai paise deta hon.
siya: nahi ham apse paise nhi lenge inki family ke pass jayenge unse hi lenge.kya Mumbai me hospital hai.
Arya: yahan se bhi bare hai.kehte hue Arya apne wallet se aek Noto ki gaddi nikal kar siya ke hath me rakh deta hai.
Arya: mujhe bhai kaha hai na to rakh lo..
siya mujhe dekhti hai mere haa ke ishare par Siya paise tham leti hai.
Arya: Mai tumhare sath chalta Sam lekin Mai apni problems me fasa hua hon..acha fir milenge.kehkar Arya chala Gaya.
siya: kitne ache they na apke friend..
Mai: hmm siya..
Siya: hospital chalte hai dr.se paise lekar Mumbai chalenge.
Mai: siya ham wapas kabile chalte hai.
siya hairani se: ye kya keh rahe hai aap...ham Mumbai jayenge apki family se milenge aur fir un sabko dekhkar apki yaddast bhi AA sakti hai.
Mai: mai nahi Jana chahta siya..mai sirf tumhare sath rehna chahta hon...mai kahi se ilaj ke paise le aunga fir kbile chalenge.
siya: aesa kyo keh rahe hai aap..kya aapki yaddast agayi ya fir apki family achi nahi hai .
Mai: mujhe nhi pata siya na meri memory wapas ayi hai..kya pata mai pehle se married hua to..
meri baton se siya pathar ki tarah jam gayi.
siya : pyar ka matalab tyag hota hai agar aap married hue to mai wapas kabile chali jaungi lekin apko apki family se milakar rahungi.
Mai: pagal ho gayi ho siya..dubara aesa na kehna.chalo paise lene ham wapas kabile jaa rahe hai.
siya: mai kuch kahungi nhi agar aap Mumbai nhi Gaye to aur na kabile wapas jaungi..
Mai : agar tumhari jidd hai to meri bhi jidd hai.
chalte hue ham dono andar aaye.andar aate hi aek nurse ham dono ko dr.ke pass le jati hai.
nurse: dr.apko dhundh rahi thi aap aese kaise Jaa sakte hai.
wo hame usi Dr. Ke pass layi jisne hame shift Kiya tha.
kaha chale Gaye they tum..abhi tumhre bhut se test hone hai tumhare liye Maine foreign se dr.bulaye hai.hamare aate hi usne kaha.
siya: ham wapas jaa rahe hai hamare paise wapas kar dijiye.
Dr.: what..aesa nhi hota hamne tumhe shift Kiya hai.. treatment kiye Bina nhi Jane denge.
siya: apne abhi treatment nhi Kiya hame hamare paise digiye.
bhut der Tak siya un dr.se larti rehti hai lekin Dr. Kisi kimat par paise Dene ke liye raji nhi hoti.
Mai: chhodo siya chalte hai..aur tum Dr.tumhe tumhare aurat hone ka lihaj kar Raha hon tumhari jagah koi mard hota to sar for kar le leta usse paise.
siya: aap nhi dengi paise.siya ki ankhe nam ho gayi thi.
chalte hue siya dr..ke pass akar use dekhne lagti hai.
Dr. Bina kuch kahe uthkar khidki ki taraf Jane lagti hai.
Mai siya ka hath pakad cabin se nikal jata hon.
apne kapre pahenkar siya ke sath Mai hospital ke bahar aya.
Mai: siya ham kabile chal rahe hai.
siya: nahi Mumbai apki family ke pass.
Mai: Maine kaha na nahi..
siya: aap nhi manege.
Mai: nhi. Mere jawab par siya mere samne akar khadi ho gayi..aur meri ankho me dekhne lagi.
siya: chale Mumbai.
Maine hami bhari.
FIr ham dono taxi se station aaye mujhe bench par bitha kar siya ticket lene chali gayi...kuch der baad wo aayi.
siya: Maine 2 ticket le liye arya bhai ke paiso se.
Mai: acha kiya.
siya: mai Safar ke khane ka kuch lekar aati hon.
1 hour baad hamari train aayi.aur ham dono baith Gaye...
24 ghante ke lambe safar ke baad ham Mumbai pahuche..
station se nikalkar siya aur ham na jane kidhar chalne lge.aek park ko dekh siya aur mai wahi pedo ki chao me baith Gaye..
siya: meri ankho me dekho.
mere ankho me dekhte hi kuch der baad mujhe aesa laga jaise mai kisi ke saher se nikla hon.
Mai hairani se apne charo taraf dekhne laga..
Mai: ham kaha hai siya.
siya: Mumbai me..
Siya ke jawb par Maine gusse me thappar bana kar use marna chaha lekin uski ankho me ansu dekh bich me hi ruk Gaya..wo sahem gayi thi mere gusse ko dekhkar.
siya: hamne apko hypnotize kiya tha...
Mere kuch puchne se pehle hi siya ne darte hue kaha...
Mai: I'm sorry..
wo kuch nhi boli.
ye dekh mai usse chipak kar baith Gaya..
Mai : gussa ho.wo fir khamosh rahi.
Pyar se Maine uski godi me sar rakh Diya..
Mai: ab kabhi gussa nhi karunga please forgive me.
siya: please mafi na mange hamse.
khush hote hue Maine uski jangho ko chum liya.
Mai: mai khushkismat hon jo mujhe tumhare jaisi loyal wife mili hai.
khush hote hue siya mere galo ko chum leti hai.
siya: apko apne Ghar ke bare me kuch yaad hai.
Mai: nhi siya..
siya: fir unhe kaise dhundenge.
Mai: ha siya..aek do din yahi rukte hai agar nhi mile to wapas chalenge..
siya: utho ham chalte rahenge shayad koi apki Jaan pehchan ka mil Jaye.
Mai: agar koi nhi.mila to ham wapas kabile chalenge
Siya: ye ham taye karenge chale uthe.
Siya ke force karne par mai uth Gaya aur uske sath sath chal Diya.
pura din Mai aur siya sadko aur galio me bhatakte rahe siya itni hoshiyar thi sabko mujhe dikhakar puchti aap inhe jante hai..fir kehti inki yaddast chali gayi hai.
raat ko mai aur siya street food Wale ke pass se khane ka kuch lete hai..fir chalte hue ham baithne ki jagah dekhne lagte hai.
siya:wo dekhe wahan ham raat guzarenge..siya aek jagah ko dekhte hue boli..ye park tha samne jiske aek Ghar.
Mai: yahan nhi kahi aur chalte .
siya: thik to hai chale shyad aage isse achi jagah na mile letne ke liye.
park me jalne wali madhyam light me hamne khana khaya aur wahi let Gaye.....thand se siya kanp.rahi thi jise dekh mai piche se use tigly hug kar leta hon..
Anaya aur archana dono sath me so Rahi thi..
khatt..awaj se archana ki aankh khul jati hai..
Tabhi archana ko kai kadmo ki ahat sunai deti hai..
archana : any..any..any utho..fusfusate hue archana any ko uthati hai.
Anaya: kya hua...sone..
ssssshhh..chup.karate hue archana Anaya ke mooh par hath rakh deti hai..
archana fusfusate hue : koi ghus aya hai yahan..
Chrrrr...tabhi dono ko pass ka kamra khulne ki awaj aati hai aur dono ke kaan khade ho jate hai..
dono uthkar nange pair door ke pass aati hai..
archana: pata nhi kon hai aur kitne hai..aesa karte hai khidki se bahar nikal chalte hai..
Anaya ankho se hami bharti hai.
dono khidki ke pass jaise hi aati ki tabhi unka door khulne lagta hai..
ye dekh dono ke dar se pair jam jate hai..
archana : tum utro mai almirah girakar aati hon..
Anaya: sath me..aur dono bhagti hui almirah ke pas aati hai fir use door ke pass gira deti hai..
dhamm..ki awaj almirah girti hai.
Isi time door bhi khul jata hai..
Anaya bahar ajao..aek bhut bhari awaj Anaya ko sunai deti hai.fir bhut se kadmo ki ahat.
Anaya: kon ho tum aur kya chahte ho..
bahar to aao.. promise kuch nhi hoga tumhe.
archana : kya kar Rahi ho..jaldi se utro..archana gussa karte hue fusfusate hue Anaya ka hath pakad ke khidki ke pass ati hai aur fir dono bari bari se niche kud jati hai..
Anaya: cars to udhar khari hai.
archana: ruko mai dekhti hon tab Tak tum Ema ko call lagao..
Anaya: shitt.. phone mai room me hi bhul aayi hon extra phone car me hai usse phone kar sakte hai..
dono ghumkar main door ki taraf chalne lagti hai..
dhaye.
Jaise hi dono main door ke pass car ke nazdeek aati hai aek goli unke pass se nikalte hue car me jaa lagti hai.
itne me Ghar se aur ass pass chupe hue bhut se log dono ke daye baye Khade ho jate hai..sabhi kale kapro me mask me hote hai.
Anaya archana ko dekhkar ankho hi ankho me ishara karti hai..aur fir dono aek sath samne walo par jump karti hai.samne wale bhi tayar hote hai Jo unke war ko rok lete hai...fir shuru hoti hai aek ghamasan ladai.
aaahhhhh..
KHinnnnn..aek chakhri jaisa hathiyar ghumte hue akar archana ke shoulder par lagta hai jisse uski baju aadhi kat jati hai..aur archana dard me chikh uthti hai.
Anaya ruk kar dekhti hai to piche Kai gundo ke sath 2 ladkiyan hoti hai.sabko ignore kar wo archana ko samhhalti hai..
ladki: jine ka sirf aek mauka dungi hamare liye kaam Karo ya fir Maro.
Anaya: tumhe kya chahiye.
ladki: jo kaha hai uska jawab do.
Anaya : hargiz nhi..
ladki2: fir maro..kehte hue wo apne hath me pakra hathiyar rassi ki help se ghumane lagti hai..
Anaya ko apni maut samne dikh Rahi thi.
Archana: mai inhe sambhalti hon tum bhago...archana khadi hote hue boli.
shooooooonnnnn...aek tej whistle ki awaj par Sabka dhyan kohre me kisi ke saye par jata hai.
GO back if you want to alive.chakri wala wepon ghuma Rahi ladki ne kaha..
shooonnnnn...whistle bajate hue wo aur najdeek aane laga.
ye dekh gusse me ladki rassi ghumate hue apna hathiyar uske fake kar marti hai..
hathiyar bijli ki speed se ghumte hue jata hai jise wo pakar leta hai.
ladki 2: impossible.
aaaaaahhhh..aaaahhhhhh
Wahi hathiyar wapas se ghumte hue Anaya ko pakde gundo ki gardano par akar lagta hai..
ye dekh sab uski taraf bhagte hue us par torch ki roshni dalte hai..
archana: kya ye Sam hai any..
Anaya hairat se pathar ki Murat bane use dekh Rahi thi..
AAaaaahhhhh.
aaaaaaahhh
aaaaaahhhh
USke pass bhage hue gunde jaise Marne jate uski maar se hawa me uchal uchal ke dard me chikhne lagte hai.
Ladki 2: ise maar ke nikalte hai.
kehte hue dono ladkiyan anaya par kud padti hai.
thapp thapp.. archana khadi hokar dono ke mooh par unke hawa me hi kick marti jisse dono piche akar girti hai.
Furti ke sath wo ladkiyan uthti hai aek archana par kud padti hai dusri Anaya par..Anaya ka dhyan samne lad rahe Sam par hota hai jis wajah se kick uske face par padti hai aur wo mooh ke bal girti hai..
ITni hi der me ladki apne pairo se ninja knife nikalkar Anaya par war kar deti hai..
Anaya jaise hi sidhi hoti use knife apni gardan ke passs aate dikhta hai ki tabhi us ladki ka knife Anaya ke lagne se pehle hi Sam pakad leta hai..
Ye dekh ladki jhuke Sam par kick marti hai jise Sam dusre hath se pakad leta hai..fir uthte hue knife chhod us ladki ko gardan se pakad kar zameen par Marta hai..
dhammmmmm..
bhut jyada force ki wjah se ladki girte hi hawa me chalti hai jise pakad kar Sam sidha karte hue uski gardan pakad kar piche ghuma deta hai..
ye dekh dusri ladki archana ko chhod long jump karke Ghar ki chhat par chadh ke bhag jaati hai.
Tum thik ho.. archana akar any ko uthati hai..
Aankho me ansu liye Anaya uthti aur hairat se Sam ko dekhne lagti hai..
Archana: ye clone Sam hai any..
bhigti ankho se Anaya Naa me sar hila deti hai..fir Sam ke gale lag kar use buri tarah chumne lagti hai...
Anaya: mai to tumhare aane ki umeed hi chhod chuki thi.Ohhh mere Sam..ummmhhhh umhhhh..badhawasi me Anaya Sam se chipate hue use chume jaa rahi thi.
anaya: mere Sam..Anaya ki ankho ke ansuo se Sam ki beard bhig gayi thi jisme uske bhi ansu shamil they...
Chhodo mujhe tumhari Jaan bachane aya tha pyar karne nahi.anaya ko khud se alag karke Sam Jane ke liye piche mudta hai.
Anaya: sammmm...ye tum kya kya keh rahe ho ..ye mai hon tumhari Any..jate hue Sam ka Anaya hath pakar leti hai..
Sam: chhor mujhe ladki.hath jhatak kar Sam aage badh jata hai.
Anaya: sammmm...sammm ruk jao please..Anaya bhigti ankhon se awaje lagati reh jati hai..
archana bhag kar Sam ke pass jati hai ab use bhi yakin agaya tha ye asli wala Sam hai..
Archana: Sam kaha Jaa rahe ho hame chhodkar...kehte hue archana Sam ko piche se hug kar leti hai.
Sam: tum dono kya pagal ho aek to tumhari Jaan bachai upar se tum mere gale pad rhi ho chhoro mujhe...kehte hue Sam archana ko dhakka dekar aage badh jata hai..
Archana hairat me padi khari hoti hai itne me Anaya bhi uske pass agayi hoti hai..
Archana: Sam ko kya hua hai any.anaya koi jawab diye Bina aage barh jati hai..
Bhagkar Anaya Sam ke pass aati hai aur use gale laga leti hai..
Anaya: ab drama Kiya to bhut marungi..Anaya kaskar Sam ko hug karke fir chumne lagti hai..
Leave him ..
Anaya alag hokar khambe ki madhyam light me dekhti hai aek ajeeb kapro me ladki uske samne khadi hai..
Sam: dekho na siya tumne mujhe is ladki ko bachane bheja ab ye mere gale pad rhi hai..Sam alag hokar Siya ke pass ajata hai..
siya: who are you and why are you hugging him.
Sam: chhoro ise siya..ham chal..
Anaya: I'm his elder sister how you know him and where did you get him..
Siya khush hote hue : kya...aap sach me inki bhen hai.
Anaya sar hila deti hai..
Siya: hamne kaha tha na ham dhund lenge ye aapki bahen hai.
Sam: meri bahen.
Siya:ha hug her..siya ke kehne par Sam Anaya ko hug kar leta hai..
Archana: tum kon ho aur ye tumhe kaha mile.
siya: ham inki wife hai..
siya ki baat sun Anaya jhatke se Sam se alag hoti hai..achanak se Anaya ko apne sine me kuch chubhne ka ahsas hota hai..
Paas aaye...
Dooriyaan phir bhi kam naa hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi...
Archana: ye sach hai Sam .
Sam:ha siya meri wife hai.sam ki baat sun Anaya Sam ko bade shikwe bhari najro se dekhne lagti hai.
Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile... jaa mile
Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi manzilein... manzilein
Rang thhe, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek janat sa tha, yeh jahaan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahaan
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani
siya: inki yaddast chali gayi hai isliye ye kisi ko nhi pechan paa Rahe hai.fir siya batane lagi ki inke friend mile Delhi me jinhone Mumbai me inki family ke bare me bataya..
Archana: yahan kafi thand hai Ghar chalkar baat kare.archana ke kehne par sab uski acadmy me aate hai.
Archana: Sam tumhe yaad hai ham yahan pehle training karte they.hall se guzarte hue archana ne pucha.
Sam :nahi .
siya: aapko to chot lagi hai..laye dikhae mujhe.
Siya archana ka ghao dekhkar apni gathri me se jadi butio ka lep nikal kar laga deti hai..
archana: ye kya hai..archana use is tarah dekh muskura deti hai..
Siya apne bare me batane lagti hai..charo room me akar bad par baith jate hai..
Archana sabko gadda deti hai orhne ke liye charo usme pair dalkar baith jate hai... siya aur Sam pass baithete archana aur Anaya dono ke daye baye .
Anaya: ab batao Sam tumhe Kahan Mila aur tumhari shadi kaise Hui isse..
Siya: ye hame sea me mile they..aur siya sab bata deti hai..kaise use Sam Mila aur kaise dono ki shadi Hui..
Siya ki baat sun Anaya Sam ke pass akar uska ghao dekhne lagti hai.
Anaya: dr. Ke pass chalte hai.
Siya bholenpan se: aapke pass paise hai treatment ke liye.
anaya koi jawab nhi deti archana siya ke sawal par muskura deti hai.
Siya:aap has kyo Rahi hai.
Archana: tumhari baton par siya any ke pass itna Paisa hai jiske bare me wo khud bhi nhi janti..
siya: sacchi me...rakshak jaldi se treatment Kara kar wapas kabile chalenge.
Sam : ha thik hai..
Anaya: is bare me ham baad me baat karenge..filahal hospital chalte hai..
Academy se nikalkar charo car me aate hai.fir whan se bhut bade hospital me..
Sam ko drs apne sath le jati hai aur teeno girls wait karne lagti hai..archana ke aek dr.patti karti hai.
Archana Hindi me: tum udas kyo ho.
Anaya:nahi to..
archana: mujhse to jhut na bolo..chalo batao kyo ho.
Anaya: usne shadi kar li aesa lag raha hai jaise use pakar kho chuki hon.
archana:mujhe pehle hi laga tha tum Sam ki shadi ko lekar sonch rahi ho..ise gaur se dekho kitni gandi hai ye aye behi shakl ki kaha tum makhan jaisi jis par larkio ki niyat bhi kharab ho jaye.. memory ane par Sam ise puri trah bhul jayega..aur tumhari line clear.archana siya ke gande kapde aur dhool se sane chahere ko dekh boli.
Siya 5 dino se Same kapre pehni thi uski khud ki halat bhi kharab thi pura chahera dhool mitti se sana hua tha baalo me kachra bhara tha.
Archana ki baat sun Anaya siya ko dekh muskura di.
Siya: aap dono kya baten kar rahe please English me kare.
Archana : nothing important.
siya: unka asli naam Sam hai.
Anaya : hmm..aek baat puchun siya.
ANaya ka jawb sun siya muskura di.
siya: what.
ANaya: Sam se sach me tumhari love marriage hai..
Siya: apko believe nhi to unke aajane par unhi se puch lena.anaya ke question se siya naraj hokar mooh fer leti hai.
Anaya: siya Mera wo matlab nhi tha...kehte hue Anaya siya ke hatho ko tham leti hai..
Anaya: siya tumne mujhe jine ki umeed di hai Mai tumhara ahsan kabhi nhi chuka sakti..kehte hue Anaya ki ankhe nam ho jati hai.
siya ansu pochte hue badle me Anaya ko smile deti hai..
siya: apki family me kon kon hai.
Anaya siya ko apni family ke bare me batane lagi..
kuch der baad dr aate hai Sam ko lekar.
Anaya: kya hua dr.surgery nhi ki..
Dr.: Inka ghao Puri tarah se bhar chuka hai hamne ct scan karke bhi dekha aur sar ka x ray bhi Kiya so surgery ki zarurat nhi hai..hath ke aur sar ke tanke Maine nikal diye hai..now he's fine.
Anaya: mere bhai ki memory.
Dr: medicine de rahi hon unhe khilaye yaddast kab Tak ajaye is bare me kuch nhi keh sakti...aap inhe purani baten yaad dilaye to shyad jaldi ajaye.
Anaya: Sam mai tumhe yaad hon.
Sam: nahi behna.
Anaya: tum mujhe di bulao pehle ki tarah.
Sam : thik hai behna..
Dr: apne jadi butio se bhut acha ilaj kiya hai..Dr siya ko dekh boli.
Anaya: ha sach me tumne mere Bhai ko Zindagi di hai thank you so much siya..kehte hue Anaya siya ko hug kar leti hai.
dr.se medicine lekar charo academy me aati hai.ab din nikal aya tha lekin kohre ki wjah se kuch dikhai nhi de Raha tha.
academy akar charo fir rajai me baith jate hai..
Sam: mujhe bhuk lagi hai.
Anaya: mujhe kuch banana nhi ata...tum..Anaya archna ko dekh boli..
archana : order kar lete hai..
Siya: mai banana janti hon kaha hai kitchen..
Archana: siya tum pehle naha lo..
siya: thik hai..kehte hue siya uthkar gathri se kapre nikalne lagti hai..
Anaya: siya in kapro ko rehne do mai apni dress dungi use pehnna.. archana meri aek dress de Dena..aur ache se shmpoo se nehla kar siya ko Lao..muje Sam se thori baten karni hai..
Archana: thik hai..
Aur archana siya ko lekar chali jati hai...
dono ke jate hi Anaya door close karke Sam ke pass akar baith jati hai..
Anaya: Sam..
SAm: ha di..
Anaya: drame kyo kar rahe ho yaddast Jane ke.kehte hue anaya Sam se bilkul chipak jati hai..
Sam: kaise drame..meri sach me yaddast chali gayi hai..
Anaya: tum sab ko dhoka se sakte ho lekin mujhe nhi..agar sach me tumhari memory chali jati to tum kisi anjan ke liye aek ladki ka khun nhi karte..Maine dekha tha tumne kitne gusse me uski gardan todi thi..ab batao kyo kar rahe ho ye natak..
Sam: mujhe nahi pata Maine ye kaise Kiya mai gusse me tha.
Anaya: nahi bataoge..
Sam : kuch hoga tabhi to bataunga.
Anaya: accha...kehte hue Anaya apni jocket ki chain khol deti hai fir top ko upar karne lagti hai..
Sam : ye..ye..k..kya kar Rahi ho tum di..Anaya ki nabhi dekh Sam ki giggi bandh jati hai...uske shabd ladkhada jate hai.
Anaya: bata do warna sonch Lena kya karungi...kehte hue Anaya apna pura top utar deti hai.
Anaya ko bra me dekh sam bolkar rokna chahta lekin uski awaj mooh me hi dab jati hai..
Anaya: last chance de rahi hon..
khtttt khattt..Anaya aage kuch kar pati ki tabhi door bajne lagta hai.
Door ki awaj sun Sam ki bhi sans me sand aati hai.
Anaya: abhi hi ana tha tumhe bhi...gussa karte hue Anaya kapre pahen kar door kholti hai..
door par archana aur Ema hoti hai.
dono andar aati hai Sam ko dekhkar Ema bhagkar usse lipat jati hai....
Sam : ye kon hai..
Ema: mai tumhari secretary hon sam aur tumhari friend bhi..
Sam : accha..
ye log baat hi kar rahe hote hai ki itne me siya naha kar room Me enter karti hai..
Siya: apke kapre bhut chhote they to mai ye pahen li..siya ne anadr aate hue kaha..
SIya ko dekh sam ke sath teeno larkio ka mooh khula ka khula reh jata hai..
Anaya Hindi me: gandi si shakal ki..any archana ki taraf dekhte hue jhute gusse me kehti hai..
archana: mujhe kya pata tha nahane ke baad ye itni khubsurat ho jaegi..
Anaya kuch nhi kehti muskura deti hai..
siya: mujhe kitchen dikha den.
archana uthkar siya ke sath chali jati hai..
Ema: kon they ye attcker.
Anaya: mujhe laga tha tumhe pata hoga unke kapro se kuch nhi Mila.
Ema : unke pass kuch nhi tha identity check kar rahi hon shyad kuch pata chale.
Ema ki baat sunkar Maine anke band ki aur sochne laga.
Ema: ab kya soncha hai Sam ki yaddast aane Tak yahi rakhogi ya ghar le jaogi.
Anaya: yahan khatra hai tumne to dekh hi liya..Ghar na bhi le gayi to bhi anvi ko kisi na kisi trah pata chal hi jayga...yahan se jyada safe Sam Ghar par rahega...
Mai: ye anvi kon hai..
Anaya: mujhse chhoti bahen tumhari Sam..
Ema: anvi ke bare me abhi Sam ko mat batao is bar ham use range hatho pakdenge attack karte hue Mai bhi Sam ke sath hi rahungi...agar bataogi to shayad Sam usse lare bhi.
Mai: acha mujhe usse milna hai.
Anaya : yeah I understand ema...kuch der baad ham Ghar chalenge...
Pehle any ne Ema ko jawab Diya fir mujhe..
Khana bana kar siya garam garam mere liye lekar aayi..
ANaya: ye tumne kya banaya hai.any chakhte hue boli.
siya: kyo achhi nhi hai..
Anaya: no it's really good but little spicy..
any ko ignore kiye mai siya aek hi thali me bade maje se khane Lage..jab se yahan aya tha Aaj jakar hame accha khana naseeb ho Raha tha..
Mai: di aap chaye to bana hi sakti hai..
Anaya: abhi layi..
khana kha kar ham dono di ki laye chaye pine Lage..di ne kuch achi cookies bhi rkh diye they hamare aage jinhe siya bade maje se kha Rahi thi..
archana: mai le ayi hon Sara saman any jo tumne bataya..archana room me aate hue boli..
ANaya: mere sath aao Sam..
siya: kaha le Jaa Rahi hai aap inhe.
Anaya: nehlane..
Di washroom me lakar pehle meri shave banati hai fir baal katti hai..fir khud apne mooh hath dhone lagti hai..
Anaya: Sam tum naha lo Mai bahar wait kar rahi hon tumhara..
Mai : thik hai di..
nahakar jab Mai bahar aaya to di ne mujhe kapde pehnaye fir tayar karne lagi..
Tayar ho Jane par ham dono sabke pass aate hai..
siya: aap kitne ache lag Rahe hai rakshak..kehkar siya Sharma ke simatne lagi..
Mai: tum bhi meri Jaan..
mere Jaan kehne par di mujhe ghur kar dekhti hai.
Anaya: chale gyz..
di ke kehne par ham sab bahar aakar car me baith jate hai..
Anaya: archana jaldi Karo..
archana: bas ho Gaya..
archana academy ko lock kar rahi thi...
Lock karke wo bhi hamare sath hi baith jati hai..
Piche ki seat par mai aur siya they aage archana aur di thi..Ema apni car se AA Rahi thi jiske sath bhut se bodygards bhi they...
Mai: mujhe nind aa Rahi hai..kehte hue mai siya ki godi me sar rakh kar let gaya..
archana hindi me: dekh Rahi ho dono ka pyar..
Anaya gusse me: andhi nhi hon aek bar iski yaddast ka natak khatm hone do fir isse puchungi..
DI ko jalta dekh Maine sar uthkar siya ke hontho ko chum liyaa..
CHrrrrr...
di ne jhatke se break mare..
Archana : thik se chalao..
mirror ko ghur kar di fir car start kar deti hai.
Siya hairani se mooh fulaye mujhe dekhti reh jati hai fir Sharma kar ankhe band kar leti hai..kuch der to wo ye samjhne me laga deti hai ki Maine Jo abhi Kiya wo kya tha.
siya: hayien..ye apne kya kiya sabke samne.wo apne makhsus lehje me Sharmate hue boli..
Maine koi jawab nhi Diya siya ke pet ko choom liya..
siya: aap bhut shararti hai kabile chalkar apki khabar lungi..
archana mooh fulakar.tumne dekha iski yaddast aane do fir training ke bahane isse revenge lungi...
Aese hi dono ko cherta hua Mai Ghar aya..
mere Ghar ko siya mirror nicha karke bari hairani se dekh Rahi thi..
siya: ye apka Ghar hai..
Mai: mujhe kaise pata siya..di se pucho..
Anaya: tujhe kiss karna ata hai lekin apna Ghar nhi pata..
Mai: agar tumne fir gussa Kiya to mai kabile bhag jaunga..
Anaya budbudate hue: acha sorry ...mai bhi na pehle confirm ho jaun fir iski khabar lungi...ha diya ye hamara hi Ghar hai..
Siya: bhut Sundar hai hamne aesa Ghar pehle kabhi nhi dekha ..
Anaya : ajao Sam...di ne car main door ke pass rokte hue kaha..
Car se nikalkar ham sab bahar aaye..
Fir di Mera hath pakar kar mujhe andar le Jane lagi..
Anaya: Sam wo hai anvi aur uske sath wala tumhara clone...aur waki sab hamare rishte dar hai..
Hall me ate hi mujhe anvi di ke sath apna ham shakal baitha dikha..jahan mujhe use dekhkar jhatka laga wahi..hamari ahaat par waki sab mujhe ankhe badi karke dekhne lagte hai kabhi wo sab mere ham shakal ko dekhte kabhi mujhe..
Finally family ka meet-up ho hi gya. Lekin ab pta chalega ki kon h asli Sam
Sam natak bhi kr rha ho maybe but likha aisa h ki bc koi smjh hi na paye aur guess bhi nhi kr paye
Fight scene ki baat h toh agr scene important h jaise ki important fight h toh bada dikha do
Nahi toh normal dikhao aur ekdum kmjor wla ho toh chhote me bhi khtm kr skte ho
Bhai dusri story padhane ka tym nhi h ek toh ye bhi raat ko samay nikal k dekhna pad jata h but don't worry maybe kisi din apne se chalu kr dunga toh uske liye bhi tym Milne lgega
Abhi toh schedule tight hi hota ja rha h maybe June 2024 me chalu kr Pau but woh bhi read krunga ye mera wada h