UPDATE 22
To dosto ab tak hamne dekha ki AK ne mind power ke agle level par pahuch gaya hai, ye dekhne me jitna saral aur seedha lag raha hai aisa tha nahi. Nanaji ki dairy me likhi sab mind power exercise jaise mind concentration, tratak vidhya, candle gazing wagerah ka khoob abhyaas karna pada tha, jo wo kaafi samay se kar raha tha.
Wo apne is achievement par khush to tha par santusht nahi, kyoki uske dushmano ki takat ke samne ye nakafi tha. Isliye Ak apni practice me koi bhi kotahi nahi barat raha tha, taaki wo king ko barabar ki takkar de sake.
Gulshan fufa tiger aur minakshi bua ke sath wapas chale gaye they, unke ek do din baad dipika bhi hostel chali gayi. Madhuri bua yahi haweli me rehti thi.
Gaddi par baithe hue ab use kaafi samay ho gaya tha. is beech uske ilaake ki shakal din par din badalti ja rahi thi. Vikas karyo ki jaise jhadi lag gayi thi aur jo kasar baaki reh gayi thi uske liye AK ne khud ka khajana khol diya tha, college banker taiyaar tha, poori tarah to nahi par session start karne layak ho gya tha. apne papa ke janmdin wale din AK ne is college ka innaugration rakha tha.
Innaugration ke din AK pariwar sahit wahan pahuncha. Khud nayi principle madam ne un sabka welcome kiya, Aaspas ke kayi log wahan ye programme dekhne pahunche they. MP aur MLAs ke sath Dr keerthi bhi wahan as special guest invited thi. Darasal Ak sabko ek live example dikhana chahta tha, taaki logo me apni betiyo ko padhane ka josh badhe.
Keerti – kaise hain aap.
Ak – i’m fine, as always. Aap kaisi hain.
Keerti – mai bhi badhiya hu, ye aapne bahut achha kiya is ilaake ki ladkiyo ke liye, ladke to fir bhi aas pass ki city se study jari rakh sakte hain par ladkiyo ki padhai adhuri reh jaati thi.
Ak – lekin ab aapko bhi actively in logo ko samjhana padega ki apni betiyo ko yahan bheje.
Programme start hone par princilple madam ne AK ko invite kiya.
PP – mai AK sir ko invite karti hu ki wo aakar ye feeta kaatkar is college ka shubharambh kare.
AK – thank you principle mam par mai chahunga ki ye shubh karya kisi ladies ke hatho se ho to aur achha hoga, isliye mai invite karta hu apni mom ko jo mere papa ke naam par bane is college ko aam logo ke liye samarpit kare aur unka sath dene ke liye Dr keerthi ko, jo aapko kaafi samay se isi ilaake ke hospital me sawaye de rahi hain.
Chitra aur Keerthi dono hi ye sunkar pehle to hairaan reh gayi fir dono ne aage badhkar college ka innaugration kiya. Baad me as usual kuch bhashanbaji aur jalpaan wagerah bhi hua. Par college start ho gya tha isliye AK ki behne bahut khush thi. Shraddha, amrita aur disha ne hatho hath admission form bhar kar wahan dakhila bhi le liya, jaisa ki AK chahta tha. fir sabse vida lekar wo log haweli laut aaye.
Is beech thakur shamsher ki aur se koi bada hamla nahi kiya gaya tha, kuch jagah mamuli takraav hue par wo mauke par hi nipta diye gaye. Ak na sirf apne ilaake me balki bahar bhi bahut popular ho gaya tha. uske kiye hue kaamo se uske ilaake ke logo ka jeewan star teji se sudharne laga tha. wo log gaddi se khauf se AK ka samman karte they, ab AK sabke dil me apne liye jagah bana raha tha.
Ye college innaugration ki khabar jab cheema ne shamsher ko di to wo aur chidh gya. Usko pehle hi AK ke ilaake me tarakki footi aankh nahi suha rahi thi. Waise to uske area me bhi kaam kam nahi hua tha par sirf wo jinse uska faida ho. Use logo ke dukh dard se koi matlab nahi tha. apni jeb se koi damdi kharch karna to door wo aam logo ke liye aaye funds bhi hajam kar jata tha.
Thakur – cheema ab paani sir se upar aa chuka hai, uske ilaake ki tarakki dekhkar hamare gulamo ke muh me bhi jubaan aane lagi hai.
Cheema – to kya hukm hai sarkar
Thakur - use is tarah se thikaane lagao ki hamara naam bhi na aaye.
Cheema – mai kuch vyavastha karta hu janab.
Idhar haweli pahunchkar ladkiyo ne dadi ko gher liya aur unhe poori story sunayi. Dadi ab pehle se behtar thi par abhi jyada chal fir nahi sakti thi to haweli se bahar nahi jaati thi.
Ak apne room me change kar raha tha ki darwaje par knock hua.
Ak – kaun hai andar aa jao
Chitra andar aayi.
Ak – ji kuch kaam tha kya
Usne Ak ke paas aakar use hug kiya. Fir alag hokar use pakde hue hi apni nam aankho ko saaf karti hui boli
Chitra – aniket , mai bta nahi sakti mai kaisa feel kar rahi hu. Do pariwaro ke aapsi bandhan ne mujhe aur tuhare papa ko jod to diya tha par mai kabhi unke dil me apni jagah na bana payi, aisa nahi ki unhone mujhe koi hak nahi diya par jo pyar aur ijjat ki bhookh har kisi ko hoti hai wo mujhe kabhi nahi mila. Aaj tumne poore samaj ke saamne mujhe jo samman diya aur jis tarh treat kiya, mera dil bhar aaya. Thank you aniket.
Aur aage badhkar uske mathe par kiss kar diya.
Ak – aap aisa mat socho ye to mera farz tha, mai pehle to yahan ruka tha sirf apne maa papa ka badla lene par ab aap log sab meri jindgi ka atoot hissa ban gaye ho.
Chitra – par ye to mere liye khwab ke hi samaan tha ki mai is haweli ke diwaro ke bahar jakar kabhi aisa bhi samman paungi.
Ak – itna mat socho, ab jo beet gaya use chhodo aura age badho. Mai hamesha aap logo ke sath hu.
Chitra – pta hai…. Ishwar tujhe meri bhi umra de de.
Aur Ak ke sir me hath ferti hui wo chali gayi.