Idhar jab haweli me neha dhamu ko lekar shabana ke paas aai thi tab haweli ke bahar neetu aur aarti aghori ki batai jagah par unse milne pahuch gai. Kuch der baad aghori bhi waha pahuch gaya. Neetu ne aarti ke bare me kaha ki akele aane me use dar lag raha tha aur aarti ne zid kari sath aane ki isliye use le aai. Aghori ne kaha ki theek hai par aarti sadhna wali jagah par nahi ja sakti use bahar hi intezaar karna hoga. Teeno aghori ke niwas sthan jaha sankalp sadhna honi thi ke liye chal diye. Ghane junglo ke beech se hote hue wo chale ja rahe the raste me unhe ek chhota sa shiv mandir aur uske peeche se dhol nagado ki awaze sunai di.
Aghori ne unhe bataya ki ye ye yaha ka pracheen shiv mandir hai jo yaha teen sau saal se hai kafi sidh mandir hai aur neetu se kaha ki wo apne kaumarya daan ki sadhna ke baad is mandir me aahirwaad le lena apni galti ki mahadev se chhama maang lena aur apne premi raj ke jeewan par koi sankat na aae uski vinti kar lena. Aghori ne unhe ye bhi bataya ki ye madir asliyat me ek seema rekha prachin bheel aadiwasi samaj aur gaanv ke nae rehen sehen me jeene wale logo ke beech. Is mandir ke us paar bheel aadiwaasi samaj ka niwas hai jo tantra mantra ke mahagyata hai aghori ne khud tantra ka gyan unhi se liya. Bheel samuday aur gaanv walo ke beech takrav na ho isliye barso pehle jungle ke beech mahadev ka ye jagrat mandir banaya gaya usr nirdharit kiya gaya ki na bheel samuday idhar aaega na gaanvwale us taraf jaenge. Neetu aarti door se us mandir ko pranam kar aghori ke peeche peech chal diye. Kuch hi der me teeno ek kabristan ke saamne khade the. Kali andheri raat me kabristan ka ye manzar behad darawna lag raha tha.
Aghori ne unhe bataya ki is kabristaan ke beech me uski jhopdi hai jaha agle teen din neetu ko raj ki zindagi ke sadhna karni aur aaj us sadhna ka sankalp karna hai. Neetu aarti ki sitti pitti gum thi par jis raste wo aage bade the wo rasta unhone apni marzi se chuna tha. Charo taraf bus kabra hi kabra thi aur door ek ghar dikh raha tha. Aghori ne aarti ko kaha ki use yahi bahar intezaar karna hoga jab tak neetu andar sadhna karti hai. Aarti ko akele waha rukne me dar to bahut lag raha tha par kar bhi kya sakte the neetu ke sath aane ka faisla uska apna tha. Aarti ko wahi bahar chhod neetu aur aghori ghar ke andar chale gae. Ghar ke andar ek hawan kund bana tha jisme aur hawan kund bana tha aur hawan kund ke bagal me ek tamra arthat tambe ki moorti thi jo ek yodha jaisa tha jiske hath me ek ajeeb sa hathiyar tha aur paas me ek teen muh wale kutta baitha tha.
Neetu aur aghori us hawan kund ke dono taraf baith gae. Aghori ne neetu ko us murti ke bare me bataya ki ye murti Hedes ki hai.
Aghori: Duniya teen bhago me bati hai aasman dharti aur patal. Hades Zeus aur Posiesion teen bhai the jinhone milkar apne pita Cronus ko haraya tha aur uske atyachar se duniya ko mukti dilai jiska duniya ke teeno bhago par kabza tha. Vijay ke baad teeno bhai ek ek bhag ke dewta ban gae aur waha niwas karne lage. Zeus anant akash ka swami bana Posiedeon mrityulok yani dharti par athah samudra ka dewta bana aur Hades ke gussail aur krodhi swabhav ke karan use Patal ka shashan mila halaki Hades is batware se khush nahi tha par baki do bhaiyo ke eksath hone ke karan use majbooran ye batwara manna pada.
Hades ko hi hum mrity ka devta bhi kehta hai. Hume yaha tantra sadhna ke madhyam se Hades ko hi prasann karna hai taki Raj ke jeevan par aya mrityu roopi sankat wo har le. Ye sadhna hume kaisi karni hai wo mai tumhe aane wale dino me bataunga par filhaal tumhe yaha is sadhna ka sankalp karna hoga kyuki tantra me sadhna se jada mehtwa uske sankalp ka hota hai ek baar agar tumne is sadhna ka sankalp kar liya phir chah kar bhi tum peeche nahi hat sakti. Kuch isi tarah ka sankalp vineeta aur lakhan singh ne bhi kara hai. Isliye ek baar phir soch lo abhi bhi waqt hai kya tum wakai ye sadhna karna chahti ho.
Neetu: Jee baba peeche hatna ka to sawal hi paida nahi hota Raj ke liye mai kuch bhi kar sakti hu.
Aghori: Theek hai to ab is hawan kund me Hades ke naam ki aahuti daal kar hum unka aawahan karenge aur ye sankalp karenge ki hum Raj ke jeewan ke liye ye sadhna praramb kar rahe aur kisi bhi surat me hum isse peeche nahi hatenge iske antargat tum apna kaumarya ek brahmchari purush ko samarpit kar Raj ke prati apne prem ka praman dogi. Tumhare Kaumarya aur us purush ke Brahmcharya sweekar kar uske badle me Raj je jeewan par aya sankat Hades door kare.
Ghar ke andar sankalp sadhna prarambh ho gai bahar dar ke mare me aarti ka bura haal tha sunsaan kabristaan me akele khade hokar bahadur se bahadur ko dar lag jae. Khade khade aarti ke pair bhi dukha rahe the usne aas paas baithne ki koi jagah dekhi par sab taraf bus kabra hi kabra thi aur kisi ki kabra ke upar baithna theek nahi kabristaan ke ek kone me ek peepal ke ped ke neche use ek badi si chattan nazar aa. Aarti jakar us par baith gai aur man hi man prarthana karne lagi ki is khaufnaak watawwaran me upar wala uski raksha kare.
Achanak mausam ka mizaz badalne laga mausam vibhag ki bhawishyawani ke ansuar jis toofan ka andesha tha wo aa chuka tha. Ye wahi samay tha jab haweli me neha dhamu ko chhodkar aai thi aur waha toofan aa gaya tha wahi toofan yaha kabristaan me ab aarti ke saamne tha. Pura aasman dhund se dhak gaya tha aarti ne to apni aanke band kar li uska aankh khile rakhna mushkil ho raha tha. Dhund ke sath ab bijli kadakna bhi shuru ho gaya.
Kabristan ki is duniya aur us dussri duniya jaha hum marne ke baad jate hai ke beech ka ek dwar hai. Par aasman me vyapt divya urzae us dwar ko band rakhti hai aur surya ka praksh din me swayam aur raat me chandra ke mathyam se un shaktiyo ko us duniya se is duniya me nahi aane deta isilye kali amawas ko manhoos kaha jata hai kyuki us din un shaktiyo ki takat bad jati hai. Isi tarah aisa raudra toofan bhi in shaktiyo ki takat ko kai guna bada deta hai kyuki is toofan ki wajah se dharti aur aasman ke beech sampark awrudh ho jata hai.
Andar sankalp sadhna apne ufaan par thi. Sankalp sadhna se uth rahi tantra urza ne kabristaan me is du iya aur us duniya ke beech ke dwar ko kamzor kar diya tha. Koi shakti thi jo us dwar ko khol is dwar me aane ke liye sangharsh kar rahi thi. Chattan ke bagal me khada peepal ka ped toofan me tez tez hil raha tha aarti ko andesh ho raha tha ki ye ped kabhi bhi toot kar gir sakta hai aur idhar jhuka hone ki wajah seedha uske upar girega isliye aarti us chaatan se utar gai. Aarti bus us chattan se utri hi thi ki achanak aasman me ek teevra bijli kadki aur us chattan par akar giri jis par ek pal pehle aarti baithi thi.
Wo to achha hua aarti waha se hat chuki thi. Wo bijli seedha us chattan par giri wo vishal chattan do khand me bat gai. Us chattan se pathar ka ek tukda aarti ke sir me laga aur aarti apne hosho hawas kho kar behosh hokar wahi zameen par gir padi.
Tez aandhi me us chaatan ke bagal me khada peepal ka ped tez tez jhatke kha raha tha hawa ek teevra jhatke ne us ghane vishal ped ko tod diya aur ped seedha zameen par behosh padi aarti ke upar girne laga. Aarti is halat me bhi nahi thi apni taraf tezi se bad rahi maut ko dekh pati aur usse bachne ke liye kuch kar pati. Ek tarah se aarti ki maut nishchit thi. Par achanak ek chamatkaar hua aarti ke upar gir raha raha ped hawa me hi ruk gaya jaise kisine use apne hatho me tham liya ho jaise koi aarti aur us ped ke beech deewar ban kar khada ho gaya ho. Koi tha jo us duniya ki zanzeero ko tod kar is duniya me dakhil ho gaya tha. Ek ruhani saaya tha jo aarti aur uski maut ke beech aa gaya tha. Us saae ne ped ko dusri taraf phenk diya aur zameen par behosh padi masoom si aarti ko kareeb akar use niharne laga. Us saae ne aarti ko apni baaho me tham liya. Aarti ka jism hawa me jhool raha tha kyuki use thamne wala nazar nahi aa raha tha. Us saae ne aarti ke chehre se baalo ke parde ko hataya aur behosh aarti ki masoomiyat ko ektak niharne laga.
Saaya: Barso se mai tumhara intezaar kar raha tha bahut der kardi tumne yaha aane me. Barso se mai us duniya se is duniya me aane ke liye tadap raha tha aur dekho kismat aaj tumhe wahi le aai jaha barso pehle mujhe tumse alag kar diya gaya tha. Humari muhobbat jo barso pehle apne anjaam tak na pahuch pai thi aaj ek baar phir mujhe tumhare paas le aai hai.
Kaun tha ye saaya kis barso purani muhobbat ki baat kar raha tha. Aarti to abhi 27 saal ki thi aur kabhi uska koi boyfriend bhi nahi raha phir kis muhobbat ki baat kar raha tha wo saya. Aarti ko niharte hue us saae ne apne honth aarti ke hontho par rakh diye. Aarti jisne aaj tak kabhi kisi ladke ko khud ko hath bhi nahi lagane diya behoshi ki halat me apne jeewan ki pehli kiss kar rahi thi wo bhi ek rooh ke sath. Achanak aghori ki jhopdi ka darwaza khulne ki awaz hui neetu ki sankalp sadhna puri ho gai thi aghori aur neetu jhopdi se bahar aa rahe the. Wo saaya barso baad is duniya me wapas aya tha aur abhi wo aghori jaise sidhha tantrik ke sath ulajhna nahi chahta tha isliye aarti ko zameen par lita kar wo waha se gayab ho gaya.
Bahar ka toofan bhi ab tham chuka tha bahar ke gire hue ped ast vyast mahool dekh neetu shocked reh gai use aarti ka khayal aaya wo aarti ko idhar udhar dekhne lagi aur uski nazar kabristaan ke akhri kone me behosh padi aarti padi. Aghori aur neetu bhagkar aarti ke paas pahuche aur behosh padi aarti ko sambhala aghori ko aas paas kisi ruhani takat ki maujoodgi ka ehsaas ho raha tha. Wo saaya door se chhupkar unhe dekh raha tha. Neetu ne aarti ko hosh me laane ke liye aghori se paani maanga. Aur aghori ka dhyan us ehsaas se hat gaya ki ye kabristaan hai yaha ye ehsaas hona aam baat hai aghori jhopdi se pani le aya aur aarti ke muh par chhete maar kar use hosh me laya. Aarti hosh me aa gai aur hosh me akar usne unhe us toofan bijli chattan ke baare me bataya aarti ki nazar gire hue ped par padi wo soch me doob gai ki ye ped uski taraf jhuka hua tha aur logic ke hisab se ye uski taraf girna chahiye tha par ye doosri taraf kaise gira. Neetu aur aghori ko tasalli thi aarti theek thi par unhe ye nahi pata tha ki aarti ko bachane wala koi aur tha jo is waqt chhup chhup kar unhe dekh raha tha. Neetu ne aghori se request kari ki wo unhe haweli tak chhod aae. Aghori ne haweli tak chhod aaya wo saaya bhi unke peeche peeche haweli tak pahuch chuka tha. Aghori unhe chhod kar ja chuka tha neetu aur aarti apne kamre me aa gae aur neha ko msg kar diya ki wo dono wapas aa gae aur so gae.
Par wo age do the par wapas teen aae the. Koi tha muhobbat ke dor se bandha hua unke peeche peeche unke kamre tak aa gaya tha. Par wo saaya aarti ke liye achha tha ya ek khatra ye ab bhi ek rahsya tha beshak usne aarti ko marne se bachaya par wo aarti se chahta tha kya tha jis barso purani muhobbat ka wo zikra kar raha tha wo kya tha ye koi nahi janta tha.
ISHQ ME DOOBE EK FASANE KI
DAANSTA HAI YE US DEEWANE KI
MAUT BHI NA JISE ROK PAI HAI