- 22,206
- 35,994
- 259
Oho Sara ko Mar dia king ne{UPDATE:-23}
Ab situation ye thi khushal bich mein khada tha aur uske samne naina aur rick khade they aur baaki 8 ne usey gher rakha tha.
Sab khushal ko dekh ke ghurra rahe they lekin khushal saant khada tha, usey pata tha ki wo saanti se ye ladayi jeet sakta hai bas usey gussa na aaye..
Ab aage:-
Khushal ye sab soch hi raha tha ki 2 vampire uski taraf aage badhe unki speed itni tez thi ki normal insaan ko dikhe bhi na lekin khushal ko wo saaf dikh rahe they undono ne khushal ko dhakka maarke girana chaha lekin khushal dono se bachke side hua hi tha ki uske pith pe ek laat padi jo allen ne maari thi khushal ne bhi palat ke ek laat allen ko de maari aur khushal ki laat ka impact bhut jyada tha to allen piche udta hua diwar se jaa takraya, khushal ne apna waar karke is taraf dekha hi tha ki uske muh pe teen mukke ek sath pade aur ye kaafi tez they.
Ye mukke aliya, sofiya aur manisha ne maare they khushal ko gussa aa raha tha lekin wo khud ko control karke unki taraf muda ho tha ki uski pith pe do laat padi jo baaki ke do vampires ne maari thi khushal thoda aage ko hua aur jaise hi undono ki taraf palta to rick ne uske sir pe laat maari aur ye laat itni tez thi khushal ghutno pe aa gaya, aur ghutno pe aaya hi tha ki 8 mukke ek sath uske face pe pade.
Khushal ki asliyat bahar aana chahti thi lekin khushal khud ko badi mushkil se control kiye huye tha.
Ab haal ye tha ki khushal bich mein pada tha aur 8 jane usey pit rahe they.
Rick aur naina sofe pe baith ke is khel ka maza le rahe they. Ab khushal bhi kayi der se pitey jaa raha tha to uski bhi aankhe band ho gayi aur wo behosh.
Rick:- bahut kamzor hai ye Devastator ko isey khatam kar dena chahiye.
Naina:- nahi isko aise nahi maar sakte ye jiska beta hai wo king ke sabse bade dushman they ab wo to mar gaye to ab wo saari dushmani isse nikalana chahte hai.
Aliya:- matlab!
Naina:- wo isko pehle ander se todna chahte hai aur fir isko tadpa tadpa ke maarna.
Rick:- pata nahi wo aisa kyu chahte hai lekin hum mein se koi nahi puch sakta unse ye sab.
Naina:- haa kyuki wo red gaurdian hai.
Allen:- ab is so called alpha ka kya karna hai.
Naina:- isko fek aao kisi hospital ke saamne.
Allen ne apni mundi hillayi aur un vampires ke sath nikal gaya khushal ko uthake aur ye sab lag gaye jasan manane.
********
Khushal ki aankh khuli tab wo taaza mehsoos kar raha tha uski body mein bilkul bhi dard nahi tha. Uske dimag mein saari ghatnaye aane lagi kaise wo behosh hua ya fir usne sirf natak kiya behosh hone ka. Uski aankho mein aansoo aa gaye, usey umeed nahi thi ki naina se ki wo devastator ka sath degi
Tabhi khushal ka dhyan apne bagal mein gaya waha taniya baithi so rahi thi uski face pe is time duniya bhar ki masoomiyat thi. Lekin ye yaha aayi kaise.
Khushal ko pata tha devastator taniya ko nahi badal sakta kyuki taniya bhi uski tarah ek alpha hai wo bhi janam se tabhi khushal uski tension nahi le raha tha.
Khushal ne taniya ke sar pe hath fera to taniya ne apni aankhe khol di aur khushal ko muskurate huye dekhke jhat se uske galle lag gayi aur rone lagi.
Taniya:- bhai mom ne aisa kyu kiya hamare sath.
Khushal:- kya kiya?
Taniya:- unhone khud mujhe us devastator ke sath bheja tha unhone mujhe behosh lar diya tha lekin main huyi nahi thi wo sab plan bana rahe they aapko maarne ka, main badi mushkil se bhaag ke aayi aur aur main ek werewolf bhi hu.
Aur wo zor zor se rone lagi.
Khushal bas uske baalo mein hath ferta raha.
Khushal:- taniya tumhe pata hai ki naina hamari sagi maa nahi hai.
Taniya:- khushal dekh ye kya bol raha hai tu aur wo nahi hai to kon hai hamare sage parents.
Khushal:- jaldi hi milwa dunga. Waise tune mujhe dhundha kaise?
Taniya:- wo main yaha se guzar rahi thi to maine aapko sense kar liya aur yaha aa gayi.
Khushal:- okk! Lets go.
Taniya:- app thik to hai na .
Khushal:- i am alpha and you are also an alpha, wo bhi janam se kyuki hamare mom-dad bhi werewolf hai.
Taniya kuch nahi boli wo bas process kar rahi thi in sab baato ko.
Khushal khada hua aur apni shirt pehni aur ek call kiya kahi pe aur khada hoke taniya ka hath pakda aur hospital ke bahar aane laga. Wo bahar aaye to unke samne ek chamchamti Mercedes khadi thi black colour ki taniya to sochi hogi kisi ki lekin uski aankhe tab badi huyi jab uske driver ne aake salute kiya aur back door khol diya un dono ke liye.
Taniya:- bhai ye kiski car hai.
Khushal:- hamarai haiaaur aisi bahut si car hai hamare paas.
Taniya kuch der chup rahi aur fir ekdum se boli.
Taniya:- bhai plan kya hai aapka, main aapke sath hu hum dono milke maarnege unhe.
Khushal:- wait! Plan bhi hai lekin maarunga sirf main unko tum bas ghar pe rahogi tumhe kuch ho gaya to.
Ab khushal kya batata usko ki wo sab uske samne kide makode hai wo devastator bhi bacha hai uske samne bas takkar ka to ek hi hai KING - THE RED GAURDIAN.
Khair car usi buliding ke aage ruki aur wohi sab hua jo sara ke time hua tha bas sara normal thi lekin taniya ek bachi ki tha curious thi aur har cheez ko dhyan se dekh rahi thi.
Wo dono apne apartment ke samne aaye aur bell bajayi lekin no response aise hi do teen baar bajayi lekin no response, ab khushal ek baar aur bajata usse pehle usey ek tez chikh sunayi di jo ki sara ki thi aur uske agle hi pal khushal ki ek laat darwaze pe aur darwaze ka to pucho mat kya haal hua
Lekin ander ka haal dekh ke khushal aur taniya wahi jam gaye. Ander uske mom-dad bandhe huye they aur sara ka bezaan sarir pada tha khoon se lathpath.
Aur samne sofe pe baith tha king aur uske bagal mein 2 shaks khade they ek tha destroyer aur ek tha John.
King:- ohhhoo dekho kon aaya hai KHUSHAL-THE BLUE GAURDIAN mere ko takkar dene wala ek shaks jisne doobara janam liya hai. Hahahhaha.
Khushal ko sara ke marne ka dukh tha bhut jyada tha kyuki wo usse bhut pyar karta tha lekin ab, ab to uske paas jaise jeene ki koi wajah hi na ho lekin usne jaldi hi apne human emotion pe kaabu paa liya aur jhatke se apne asli roop mein aa gaya "the blue gaurdian".
Aur wo is roop mein itna khoobsurat aur attractive lag raha tha ki koi bhi ladki fida ho jaaye aur uski aankhe ekdum blue ho chuki kisi bulb ki tarah. Muscles bhi badh gaye they.
Khushal:- king maine tujhse ye ghatiya harkat ki umeed nahi ki thi.
King:- umeed to mujhe bhi nahi thi ki tune janam le liya aur mujhe bataya bhi nahi wo to kal tune meri wife ko maara apne asli roop mein aaake bas usi time mujhe tera aura feel ho gaya. Nahi to tu devastator ko aram se maar deta agar main nahi bich mein aata to.
Khushal:- tu apne usool bhool raha hai sayad, tune mere kisi kareebi ko maara hai aur ab main bhi tere kareebi ko maarunga.
King:- ye john khada ye tera hua.
Khushal:-i want your son tyler
King:- what? Kabhi nahi.
Khushal:- say it again
Aur ye baat khushal ne itni tez boli thi ki ek baar to king bhi kaamp gaya lekin wo apne dil pe pathar rakhke john ka hath pakda aur waha se nikal gaya.
Devastator jiski fatt chuki thi wo bhi unke piche jaane laga lekin khushal ne usko uski garden se pakad liya .
Devastator bhi apne alpha form mein aa gaya lekin wo bacha tha khushal ke saamne, lekin wo ek try to karna chahta tha to usne ghum ke punch maarna chaha lekin uske ghumte hi khushal ka hath uski chest ke ander tha aur uska dil khushal ke hath ke sath bahar aa gaya.
Wtf ek second mein mar gaya wo process bhi nahi kar paya, taniya to ye scene dekh ke behosh ho gayi aur khushal ke mom dad bhi lekin khushal uska dil kha gaya kyuki alpha ka dil khaane se takat kayi guna badh jaati hai.
TO BE CONTINUED ??
Good work bro{UPDATE:-24}
Wtf ek second mein mar gaya wo process bhi nahi kar paya, taniya to ye scene dekh ke behosh ho gayi aur khushal ke mom dad bhi lekin khushal uska dil kha gaya kyuki alpha ka dil khaane se takat kayi guna badh jaati hai.
Ab aage:-
Ab chalte hai thoda flashback mein yaani ke is stroy ke origin pe.
Flashback:-
Baat us samay ki hai jab god ne do energies ko create kiya tha ek blue energy aur ek red energy, in dono energies ka main kaam earth ka santulan banaye rakhna hai. In energies ko khatam nahi kiya jaa sakta aur inke dharko ko koi maar nahi sakta hai siway ek doosre ke wo bhi ek aise khanjar se jo is waqt kaha hai kisi ko nahi maloom. Na in dono energies ko koi doosra maar sakta hai na khatam kar sakta hai.
Khushal aur king abse nahi hai ye do naam suru se chalte aa rahe hai. Ye dono bahut saalo tak theek se earth ka santulan banaye huye they lekin dheere dheere in dono mein thoda ghamand aa gaya. Aur dono mein ladayi hone lagi lekin is ladayi ko rokne ke liye god ko bich mein aana pada aur unhone kuch niyam banaye jinme 3 niyam sabse ahem they
- In dono ka janam 100 saal mein ek baar hoga aur inka lakshay hoga ek doosre ko mitake khud ke hisab se chalna pute 100 saal tak.
- Doosra niyam ye tha ki ye dono sirf ek khanjar se hi ek doosre ko maar sakte hai.
- Inme koi human emotion nahi hoga agar human emotion aaye to ye mare. Aur inka janam har baar ek nayi species mein hoga.
Aur har baar red gaurdian yaani king khushal ko maarta aa raha tha dhoke se kyuki khushal mein human emotions aane lage they aur wo kamjor padne laga tha lekin is baar wo ek werewolf bana tha to usme human emotion control karne ki aur khatam karne ki ability thi.
Khushal ne khudko aliya se katwana aur devastator se panga lena khushal ka plan tha usey lag raha tha ki devastator hi red gaurdian hai lekin aisa nahi nikla to usne apne plan badal diye aur sidha sabke samne khul ke aa gaya.
WRITER NOTE:- ye ek fantasy story hai iska real life se koi lena dena nahi hai and fantasy means imagination to ye na kahe ki ye kyu hua aisa nahi ho sakta. Simple sa answer hai its work of imagination or imagination mein kuch bhi ho sakta hai to isey real life se na jode. :Redface:
Back to story:-
Khushal, taniya aur uske mom dad sofe pe baithe huye they ek naye apartment mein aur khushal ko chodke sab ke face pe dukh tha, lekin khushal ne apne human emotion ko control kar rakha tha usey sadiyo se chali aa rahi is ladayi ko hamesa ke liye khatam karna tha aur wo usi ke baare mein soch raha tha.
Dad:- beta ab kya karna hai.
Khushal:- ab bas wo khanjar dhoondna hai aur ye sab khatam karna hai.
Dad:- lekin tumhe pata hai ye sab khatam nahi hone wala.
Khushal:- nahi is baar ye sab khatam hoke rahega kyuki main king ke sath sath khud ko bhi khatam kar lunga.
Dad:- par beta wo possible nahi hai kyuki wo khanjar tum dono mein se kisi ek sine mein ghuste hi gayab ho jayega.
Khushal:- haa pata hai lekin usko roka jaa sakta hai agar hum dono mein se koi chahe to
Dad:- tumhara plan kya hai ?
Khushal:- wo to baad mein bataunga lekin abhi filhal taniya is kahani ki main character hai usey sambhal ke rakhna hoga kyuki iska wo hi karegi.
Dad:- hmm mein samjh raha hu maine apne pack ke logo ko bula liya hai tum ab free ho
Khushal:- kya aapke pack ke werewolf king ko rok payenge
Dad:- usey to nahi rok sakte lekin uski mandli ko to rok hi sakte hai na .
Khushal:- mujhe nahi pata aap kya karoge lekin taniya ko kuch nahi hona chahiye.
Dad:- wo hum dekh lenge lekin tumhe black mountain jaana hoga na khanjar lene us king se pehle.
Khushal ke face pe ek devil smile aa gayi ye line sunke
Khushal:- nahi is baar wo hi khanjar leke aayega main to uski gair mojudgi mein un dhokebaazo ko khatam karunga.
Mom:- beta bas tumhe kuch hona nahi chahiye.
Khushal:- mujhe kuch nahi hoga waise bhi khatam to hona hi hai in sab ko rokne ke liye.
Taniya jo chupchap baithi thi wo apne bhai ke gale lag gayi.
TO BE CONTINUED ??
Ab ay ga maza action wala{UPDATE:-25}
King bahut gusse mein tha khushal ke yu achanak samne aa jane se, lekin wo santust tha usey pata tha ki khushal ko kaise harana hai ya marna hai, usko pata tha khushal ki kamjori uske human emotion hai, jisey wo jab chahe apna hathiyar bana sakta hai bas usey khushal ko andruni jhakam dene hai uske apno ko nuksaan pahucha ke aur aisa karte hi khushal ke emotions bahar aaye aur wo kamjor pada aur ye moka sabse best hoga usey maarne ka.
Ye sab sochte huye uske face pe smile aa gayi lekin agle pal chali bhi gayi kyuki usey black mountain jana hoga khushal se pehle agar nahi jaa paya usse pehle to wo mar sakta hai, lekin main dikkat wo black mountain hai jo ki bhut khatarnak hai uske ander jaana koi aam baat nahi hai aur ghus bhi gaye to jinda lotna bhut muskil hi nahi namumkin sa hai lekin ye pariksha to usey deni hogi aur waise bhi wo red gaurdian hai koi aam shaks nahi.
King:- john ready ho jao hum log black mountain chalenge aaj.
Black mountain ka naam sun ke john ki hawa tight ho gayi lekin wo mana bhi nahi kar sakta tha kyuki usey pata tha ki king ko naraz karna maut hai.
John:- haa haa chalenge na.
King ne usey ghur ke dekha aur waha se nikal gaya vampires se milne.
Vampires den:-
King ek chair type lakdi ki kisi cheez pe baitha tha aur uske samne vampires ka head Michael khada tha aur wo rick bhi.
King:- michael ek chota sa kaam karna hoga tumko
Michael:- aap hukum kare bas.
King:- khushal ki family pe hamla karo ek lekin dhyan rahe koi marna nahi chaiye bas kidnap kar lo sab ko aur ye kaam tum karoge ye rick nahi ye unke samne kamzor hai.
Rick ko ye baat sunke bura to laga lekin wo bichara kar bhi kya sakta hai.
Michael:- jaisa aap kahe, waise aap kaha jaa rahe hai?
King ne usey ghur ke dekha aur michael ki halat patli ho gayi aur usey realize hua ki king se question nahi puch sakta wo
Michael:- sorry king
King:- last mistake hai tumhari, ab bhi isliye chod raha hu kyuki kaam ki cheez ho tum.
Itna bol ke king nikal gaya aur uske piche piche sab apne apne kaamo mein viyast ho gaye.
********
Khushal:- taniya main tumko mssg karunga tab tumhe meri batayi huyi jagah pe aana hoga.
Taniya:- main aa jaungi lekin tum kaha ja rahe ho.
Khushal:- dhokebaazo ko maarne aur fir black mountain
Taniya:- main bhi chalu kya bhai.
Khushal:- no tum yahi raho, tum hukkum ka ikka ho mere liye.
Taniya:- apna dhyan rakhna.
Khushal ne bas haa mein sir hilaya aur waha se nikal gaya devastator ki den ki taraf usey pata tha sab wahi pe honge aur in pyado ko king ne bataya bhi nahi hoga ki inka leader maara jaa chuka hai.
Khushal apne apartment se bahar aaya aur apni red colour ki chamchamti audi mein baith ke nikal gaya den ki taraf aur waha den in sab se bekhabar ki unki maut aa rahi hai wo sab ek alag hi meeting kar rahe they aur bhut khus bhi they.
Allen:- hum logo ne bahut acha sabak sikhaya us kamjor alpha ko devastator bhut hi khush honge ye sunke...
Aliya :- haa khush to honge lekin wo hai kaha
Tabhi waha pe rick bhi aa jata hai
Rick:- mera bhi unse koi contact nahi ho paa raha aur king se puchne ki himmat nahi thi meri.
Naina:- arey kuch kaam mein busy honge wo king ke waise bhi unka koi kuch nahi bigad sakta wo bhut strong alpha hai.
Sofia:- isiliye to hum unhe pasand karte hai.
Naina:- haa meri bachi
Rick:- waise aaj king ne hum vampires ko kaam diya hai khushal ki family ko kidnap karne ka lekin unhone ye kaam khud michael ko diya hai sayad wo koi galti nahi chahte.
Naina:- ohhh Michael! He is cruel aur wo galti kar bhi nahi sakta.
"Haa haa har koi tumhari tarah nakara nahi hota meri so called mom"
Ye awaz sunke sab ruk gaye jaha they wahi aur jaha se awaz aayi us taraf dekha to waha khushal khada tha face pe ek devil smile ek dum shaant shayad ye shaanti aane wale toofan se pehle ki thi.
Rick:- lagta hai kal ki maar bhul gaye jo aaj bhi aa gaye aur aaj bhulo mat yaha aur bhi werwolf hai, us din se bhi jyada.
Khushal:- piche se waar karne wale mujhe bilkul pasand nahi hai isliye sab se pehle tuhhe maarunga..
Allen:- bhai bas kyu dialogue maar raha hai tu mana ki tu alpha hai lekin hum sab ko ek sath nahi rok payega tu.
Naina:- baate bhut huyi khatam kar do isey.
Naina ne ye baat apne samne khade werewolf se kahi thi jo ki ginti mein 15-20 ke aaspaas honge.
Aur ye baat sunke khushal ke face ki smile aur shaitani hogayi kyuki usey jo chahiye tha wo mil raha hai aur wo hai khoon.
Khushal:- lets the party begin bitch!
TO BE CONTINUED ??
Excellent fantastic shandar update{UPDATE:-26}
Wo sab werewolf confuse they kyuki wo khushal ko jante nahi they aur ek cheez khushal human form mein khada tha, isliye wo jhijhak rahe they ek akele nihathe insaan pe ek saath waar karne mein.
Naina:- murkho dekh kya rahe ho khatam kar do isey.
Naina ki dahad sunke unme se do werewolf aage badhe lekin aadhe raste mein hi ruk gaye kyuki khushal alpha mein badal chuka tha lekin fir unhone ek doosro ko dekha aur saare us taraf daud pade lekin khushal wahi khada raha jaise hi do werewolf khushal me paas pahuch ke usey marne ke liye hath uthaya to khushal ne itni speed se move kiya aur undono ko chod ke uske piche jo do aur bhaag ke aa rahe they unke face pe ek ek mukka maar diya waha mojood har banda shocked tha kyuki khushal ki speed teleportation jaisi thi lekin khushal time paas nahi karna chahta tha to usne ghum ke sabse aage walo ko piche se pakad ke ghumaya aur apna hath dono ke pet mein daal diya aur ghuma ke sab kuch bahar nikal diya un dono ki dead body waha padi thi bas khushal ke dono hath khoon se sann chuke they upper tak khushal ne apne ek hath ko apni naak ke paas leke aaya aur usey sungha aur khoon sunghte hi uski body mein ek alag sa addiction aa gaya jaise usey aur khoon chahiye aur khoon aur khoon kaha milega in sab ko maarke aur ye sochte hi khushal ka chehra sakth ho gaya aur is waqt wo bilkul bhi handsome nahi lag raha tha,
Naina and party to shock thi khushal ko aise dekhke lekin khushal ne der na karte huye un 20 werewolf ko aise chir faad diya ki unki body ke parts tak na mile sab mix ho gaya tha har jagah khoon hi khoon khushal ki puri body khoon ki ho chuki thi, aur face pe bhi khoon lag chuka tha aur khushal ne in 20 werewolf ko bas kuch minutes mein khatam kar diya ab usko aur nasha sa hone laga tha aur usne ek nazar rick ki aur dekha aur badh chala uski aur dheere dheere.
Rick ne bhi khushal ko apni aur aate huye dekha aur wo bhi apne asli roop mein aa gaya aur tezi se aage khushal ki taraf badh gaya air khushal ke paas pahuch ke ek punch usey maarna chaha lekin khushal ne uska hath pakda aur ek punch uske muh pe de maara .
Punch ka impact itna jada tha ki rick piche ki taraf udta hua gaya aur ye itna sudden hua ki kisi ko kuch samjh nahi aaya lekin baaki sab bhi action mein aa gaye aur khushal pe lapke lekin aaj to khushal pe bhoot sawar tha.
Aliya me piche se khushal ko ek kick marni chahi lekin uski kick khali gayi kyuki khushal uske piche khada tha aur jab tak usey realize hua tab tak bahut der ho chuki thi kyuki khushal ne uski garden pakdi aur usko diwar pe fek diya. Allen ne bhi aliya wali harkat ki piche se maarne ki lekin is baar khushal hata nahi balki uski kick pakad ke ek laat uske pet me maari aur fir doosri jaangh pe pair rakhke ukhad diya ek pair allen ki cheekh us poore jungle me goonz gayi, sofiya aur manisha dono ne ek sath khushal ko punch mara jo ki usey laga bhi lekin usey koi fark nahi pada usne un dono ko garden pakad ke hawa mein utha loya aur wo dono chatpatane lage.
Lekin tabhi khushal ko piche se itni tez do laat padi ki khushal udke diwar pe jaa laga lekin jhatke se khada hoke dekha to uske samne naina apne omega ke roop mein khadi thi rick ke sath lekin khushal ka dhyan to rick pe chala gaya.
Khushal:- you are dead!
Rick:- what?
Khushal ne kuch nahi bola bas ek dum se rick ke samne aa gaya aur ek hath se garden pakdi aur ek hath se chest aur dono ke bich mein itna tagda pressure diya ki uski garden alag ho gayi aur ek khoon ka fuwara choot pada uski body se jo sidha khushal ke muh pe gira. Naina ko chod ke sab ghabra gaye they, naina bas khushal ko hi ghure jaa rahi thi, lekin khushal uski taraf badh gaya aur bich mein pade allen ke sir mein itni tez laat maari ki uski khopdi fat gayi aur ek tez dhaar pure floor pe fail gayi, allen ko to process bhi karne ko nahi mila kuch cheekh bhi nahi paya wo.
Allen ka ye haal dekh ke manisha to pagal si ho gayi aur bhaag ke khushal ki taraf lapki lekin khushal ne uski garden pakdi aur uske pet mein hath daal diya, manisha cheeekh bhi nahi paa rahi thi kyuki khushal ne uska dum ghont rakha tha aur khushal ne achanak se apne hath ka pressure badha diya aur manisha ki garden tut gayi khushal ne usey door feka aur naina ki taraf badh gaya.
Bich mein aliya aur sofia aayi lekin wohi haal hua jo manisha ka hua tha both dead koi cheekh tak nahi nikli. Khushal naina ke samne jaake khada ho gaya.
Naina:- kon ho tum?
Khushal:- ye koi sawal nahi hai, sawal ye hai ki tumne hume dhoka kyu diya tumhe to apni aunty aur doosri mom manta tha?
Naina:- kyuki nafrat thi mujhe tumhari maa se aur tumhe ander se todke main usey dukh dena chahti thi. Lekin afsos tum mujhe nahi naar sakte kyuki main ek omega hu.
Khushal ke face pe hasi aa gayi aur is hasi ne naina ko hila ke rakh diya, kyuki khushal ek dum se change ho gaya uski aankhe blue ho gayi bulb ki tarah uske uper laga khoon hatne laga uski body chikni hone lagi thi chamak aa gayi thi ek aur ye roop ko naina pehchaan gayi.
Naina:- nahi khushal tum nahi kar sakte aisa? Main tumhari aunty hu na please chod do mujhe maine tumhe pala hai?
Naina apne ghutno pe aa gayi khushal ka aura feel karke
Khushal:- dhokebaazo ko nahi chodta main aur waise bhi khatam karna hai mujhe ye sab.
Aur naina kuch aur bolti usse pehle khushal ne uski garden itni jor se pakdi ki uski garden ka kachoomar sa nikal aur naina ki dead body ek dum se niche gir gayi.
Khushal thodi der wahi baitha raha usey bura lag raha tha lekin wo emotional nahi hona chahta tha kyuki uski ek galti is khel ko aur badha degi aur khushal in sab se thak chuka tha.
TO BE CONTINUED ??
Bahi boht hi khoobsurat behad shandar story thi Maza a gia{UPDATE:-30} FINAL UPDATE
Khushal ne taniya ko ishara kiya jo ki hamare plan ka part tha aur fir king ki taraf ho liya, kuch dur chalne ke baad king aur khushal dono aamne samne khade they.
King:- to batao kaise shuru karna chahoge?
Khushal:- pehle insan bane huye, fir werewolf banke, fir gaurdian aur fir aakhri mein wo khanjar.
King khushal ki baat pe muskura diya aur uski ye muskurahat hi uski sehmati thi.
Kuch der tak dono ek doosre ki aankho mein dekhte rahe aur fir dono ne ek doosre ki taraf daud laga di. Is waqt dono hi normal insan they.
Jaise hi dono paas pahuche dono ek sath punch mara ek doosre ko lekin dono ne hi punch block kar diya aur ek doosre ko jhatak diya. Fir dono ek doosre pe jhapte, lekin is baar king ne khushal ko ek flying marni chahi par khushal niche jhuka aur jhukte jhukte king ke legs pe kick maari lekin king ne bhi jump karke khud ko khushal se door kar liya.
Aur wahi door khadi taniya dono ko dekh rahi thi kitne same hai ye dono jo itni der se ladte huye bhi ek doosre ko chot nahi pahucha paa rahe.
Idhar,
Khushal ne is baar pehel karte huye ek kick king ke sir pe maarni chahi lekin king niche jhuka aur aisa hote hi khushal ne apne pair ko jor se niche ki taraf moda lekin king ne niche aate huye pair ko thik apne sir ke uper pakda aur marodna chaha lekin khushal ne khud ki body ko usi disha mein ghuma diya jis disha mein king ne uske pair ko modna chaha tha lekin aisa karne se king ne khushal ke pair ko chod diya aur wo fir se ek doosre ke samne they.
Khushal:- let's change.
Aur khushal ke dono hi alpha werewolf mein badal gaye. Jaha ek taraf king ek khunkhaar werewolf dikh raha tha wahi khushal ek dum sunder sa werewolf dikh raha tha lekin aankho mein gussa saaf dikh raha tha.
Dono ne ek baar sir upper karke dahad maari aur ek doosre ki taraf speed se badhe itni speed thi dono ki taniya jo ki khud ek alpha hai usey bhi muskil se dikh raha tha lekin in dono ko aaj kisi ki parwah nahi thi isliye dono ke sir ek doosre se takraye aur dono hi piche ko jaa gire aur fir khade huye aur fir takraye aur fir wahi haal indono aisa kayi baar kiya aur itni baar karne ki wajah se inke sir se khoon bhi aane laga tha lekin dekhte hi dekhte jhakam bhi bhar jaate. Dono ne bich bich mein panje wagarh bhi try kiye ek doosre pe jiska result same aaya jhakam deke bhi kuch hath nahi laga.
King:- let's change.
King ye baat bolte huye muskura raha tha wahi khushal thoda sa nervous ho gaya tha kyuki usey pata tha ki red gaurdian avtaar ke paas us khanjar ki bhi takat hai. Lekin ladayi to ladni thi isliye dono badal gaye aur jab dono badle to king ki aankhe aur baal pure red colour ke ho gaye they yaha tak ki uski nasho mein bhi red colour dur se dikh raha tha. Wahi khushal ki aankhe aur baal dono blue ho gayi thi aur uske aaspas ka environment thanda ho gaya tha.
Dono ne ek doosre ki aankho mein dekha aur dekhte dekhte apni power realise kar di jisse bahut kuch hua ek to ye ki aaspaas ka mahool ek dum se badle lag gaya tha kyuki to powerful source of energy ek sath takra rahe they aur wahi taniya inke powerful aura se apne ghutno pe aa gayi thi lekin wo bhut dur thi to usey itna impact nahi pad raha tha.
King aur khushal ki body se same amount aur same power ki energy release ho rahi thi aur isi ke chalte un dono ke bich mein ek energy ball banne lagi jo aadhi red aur aadhi blue energy thi aur aisa hote dekh khushal ke hotho pe smile aa gayi lekin ye smile ek dum se ruk gayi kyuki king ne us khanjar ki power ko bhi release kar diya jisse us energy ball mein red energy ka amount badhne kaga aur blue energy ko badi tezi se absorb karne laga sur kuch hi time mein wo pura red ho chuka tha aur uske aura se khushal bhi ghutno pe aa gaya tha. Tabhi king ne us ball ko khushal ki taraf kar diya ab khushal mein itni himmat to thi nahi ki wo khada hoke bach jasye isliye usne wo ball apni chest pe le liya.
Lekin usne usse pehle taniya ko ishara kiya aur wo samjh gayi lekin tabhi wo energy ball khushal se takrayi aur ek blast hua bhut tez aur khushal piche ki taraf udta hua door jaa gira, khushal ka haal bhut bura ho chuka tha like uske kapde fat chuke they uske sarir pe ghav hi ghav they jo heal nahi ho rahe they aur uske muh se khoon nikal raha tha tabhi waha jhatke se king uske paas pahucha aur is time uske hath mein khanzar tha jo kuch hi second mein khushal ke chest mein tha lekin tabhi plan ke mutabik taniya waha aayi aur us khanzar ke gayab hone se pehle us khanzar ko pakad ke king ko marna chaha lekin wo khushal ki chest se niklate hi taniya ke sarir ko jala ke rakh kar gaya aur gayab ho gaya aur dheere dheere khushal ki body bhi ret mein milne lagi uske paas king khada bas muskura raha tha
King:- main ek baar fir jeet gaya Bhai, kosis aur plan acha tha tumhara.
Dheere dheere mera sharir pura ret mein mil gaya ab jo bachi thi wo thi meri soul jo ki blue energy thi aur wo bhi body ke khatam hote hi aakash mein gayab ho gayi aur pahuch gayi apne rachiyta ke paas..
Is samay blue energy ke samne ek white energy thi aur uski chamak itni thi ki wo croro planets ko ek sath roshan kar de.
God:- ohhh mere bache fir se haar gaye tum, tum haar isliye gaye kyuki tum niyati se bhaag rahe they tum is khel ko hamesa ke liye khatam karna chahte they, par aisa ho nahi sakta kyuki ye khel aise hi chalta aaya hai aur aise hi chalega.par mujhe afsos hai ki meri banayi huyi ek cheez baar baar haar rahi hai kyuki wo jazbaato mein beh jaati hai.
Kuch saalo tak wo blue energy wahi sthir rahi aur kuch saalo mein red energy ka jeewan kaal samapt hua aur wo bhi yaha aa gaya aur is waqt dono energy god ke samne sthir ruki huyi thi.
God:- tum dono ka samay firse aa gaya hai. lekin is baar kuch alag hoga kuch naya hoga naya grah hoga naye log honge naye niyam honge, is baar na tumhe kuch yaad hoga na yaad aayega, yaad aayega to bhi aant mein,is baar na wo khanzar hoga na koi hathiyar, is baar tum dono ko ek planet pe barabar jindagi milegi jisme jaadu hoga, nayi chunotiya hongi aur in sab mein tum dono ko khud ko sabse shresth sabit karna hoga.
Wo white energy se thodi der awaz aana band huyi to blue energy aur red energy chakar lagane lagi chaaro taraf.
God:- haa ab tum dono ke jaane ka samay ho haya hai. Agli partispradha ke liye asshirvaad.
Aur isi ke sath us white energy ne dono energy balls ko apne ander khich liya aur thodi der baad waha se sab gayab ho gaya. Wahi dono energy pahuch gayi naye grah pe apni nayi kahani likhne naye patro aur naye niyam ke sath.
The End and To Be Continued ??