UPDATE 39
Divya ke papa ka operation shuru ho gaya tha.
Rahul shweta ko phone lagata hai.
Rahul....didi aapko ek baat batani thi.
Shweta...haan bolo, kaise hain divya ke papa.
Rahul...didi unka operation chal raha hai par aapko koi aur baat batani hai.
Shweta....haan bolo.
Rahul....divya hamari behan hai.
Shweta...haste hue...achha use bhi behan bana liya. Matlab uski ab khair nahi.
Shweta Rahul ki baat ko majak mein le rahi thi.
Rahul use samjhane ki koshish karta hai.
Rahul....didi wo sach mein hamari behan hai.
Uski mom hamari mausi hai. Mother India ki judwa behan.
Shweta....Rahul kya bak rahe ho tum.
Unke yahan itni badi musibat aayi hai aur tumhe majak sujh raha hai.
Rahul....didi main majak nahi kar raha. Aap apna mobile dekho
Maine unki pic aapke mobile par send ki hai aap
dekhke batao wo unki judwa behan lagti hai ya nahi.
Shweta mobile check karti hai. Yeh aurat jo divya
ke saath khadi thi hubahu uski maa hi to thi.
Shweta....yeh to bilkul mummy jaisi hi lagti hain.
Par isse yeh kaise sabit hoga ke yeh mummy ki behan hain.
Rahul use saari baat bata deta hai kaise usne unke poore
khandan ke bare mein bata diya tha aur to aur unko mama
ki family ke baare bhi poori khabar thi. Aur bataya ke unke
beech kisi matbhed ki wajah se unka relation ekdam se toot gya.
Shweta ekdam hairan reh gayi. Use vishvas nahi ho raha tha
ke uski maa ne unse itna bada raaz chhupa ke rakha tha.
Aur unka naam bhi to milta julta tha..karuna.
Shweta ka man ab vichalit sa hone laga tha. Uska man
kar raha tha ke wo apni mausi se mile.
Par usse pehle wo apni maa se is baare mein baat karna chahti thi.
Shweta fir Rahul se mukhatib hoti hai.
Shweta....oh to yeh baat hai. Iska matlab baat kafi gambhir
hogi jo in logon ne apas mein is tarah rishta tod liya.
Rahul....haan didi yeh to hai. Par unhone abhi batayi nahi baat.
Aur haan didi hame is baare mom se bhi baat karni chahiye.
Shweta....main bhi yahi soch rahi thi. Main karti hun mummy se baat.
Rahul....haan yeh thik rahega didi.
Shweta...achha tu kab tak ayega wapis. Kyunki ham logon ko
subah fir se market jana hoga. Kyunki abhi kafi shopping pending hai.
Rahul...idhar operation ho jaye bas. Fir main nikalta hun didi.
Shweta...thik hai, dhyan se aana.
Rahul...haan didi...okay bye
Yeh bol ke wo phone rakh deta hai.
Shweta soche ja rahi hai aisi kya baat hui hogi jo
mummy ne apni sagi behan se naata tod liya.
Sochte sochte wo unhe phone laga leti hai.
Shweta....phone pe....namaste mummy.
Aruna...namaste beta. Bahut dino baad yaad kiya.
Kaise ho tum dono aur wahan taiyarian kaisi chal rahi hain.
Shweta....mummy bas shadi ki tayariyon mein busy the.
Ham sab thik hain yahan.
Mummy Maine aapse ek baat puchhni thi
Aruna...haan puchho na beta.
Shweta...mummy aap gussa ho jaoge.
Aruna....main un dono se kitna bhi gussa hui hun par kya
kabhi tumse gussa hui hun? Khul ke bolo beta baat kya hai.
Shweta....mummy aap kitne behan bhai ho?
Aruna ...main aur tera mama. Bas do. Kyun tumhe nahi pata kya?
Shweta....yeh to mujhe pata hai aur yahi aaj tak aapne hame bataya bhi hai.
Par karuna mausi ka kya? Uska jikr kabhi kyun nahi hua?
Aruna....hadbadate hue....kkkkyaaaa bakwas hai yeh. Kaun karuna.
Main kisi karuna waruna ko nahi janti. Kisne kaha tumhe
ke is naam ki meri koi behan bhi hai.
Shweta....Rahul ne aur wo abhi unhi ke paas hai.
Aapke jija ko heart attack aaya hai aur wo wahan pe hai.
Aruna....arey jab koi behan hi nahi to jija kahan se aya.
Aur wo Rahul wo to hai hi maskhara. Tum uski baton par
yakin kar rahi ho. Tum to teeno mein sabse samajhdar ho.
Fir tum aisi baten kyun kar rahi ho.
Shweta aruna ko saari baten bata deti hai. Aur unhe bolti hai.
Shweta....mummy sachai se muh ferne se sachai jhuthlai nahi ja sakti.
Aap accept karo ke aapki ek judwa behan hai
Aruna....gusse mein...hai nahi thi. Mat lo mere samne us manhus ka
naam jisne hamare poore khandan ki ijjat ko mitti mein mila diya tha.
Shweta....iska matlab wo hamari mausi hai .
Yeh sunte hi aruna fafak fafak kar rone lagti hai.
Aruna...rote hue....haan beta wo tumhari mausi hai meri sagi
judwa behan. Par usne bahut galat kaam kiya tha.
Jiski wajah se hame usse rishta todna pada.
Shweta...aisa kya hua tha mummy. Please batao na.
Aruna...tu wahan se wapis aa ja beti fir tumhe sab kuchh detail mein bataungi.
Shweta....thik hai maa. Waise aapse ek baat ki permission leni thi.
Aruna....haan bolo beta. Kis baat ki?
Shweta....unki beti divya chahe hamari behan hai par wo Rahul ki friend bhi hai.
Is naate main use vidhi ki shadi mein nyota dena chahti hun.
Aruna....bachon se kya dushmani beta. Bula lo agar man hai to.
Shweta thik hai mom bol ke phone rakh deti hai.
Shweta fir neha aur rohit se bhi phone pe baat karti hai aur neha ko karuna
mausi ke baare mein batati hai. Waise wo use abhi rohit ko batane se mana karti hai.
Udhar jab rahul ne manisha se baat ki to use divya ke baare mein
bataya ke wo uski behan nikli. Aur wahan pe jo bhi baten hui usse share ki.
Rahul ko pata chal gaya tha ke shweta ne mom se baat kar li hai.
Par rahul ne jaan bujhkar apni mummy se is baare mein koi baat nahi
ki kyunki use lag raha tha ke is baat ko baar baar karne se mummy
dukhi hongi aur wo mummy ko dukhi nahi karna chahta tha.
Divya ko apne bhai pe bahut pyar aa raha tha. Raat bhi ho chuki thi.
Operation abhi abhi khatam hua tha. Rahul ka man to nahi kar raha
tha jaane ka par use jaana tha. Kyun agle din subah akhri kharidari karni thi.
Karuna use jaate dekh rone lagi. Use to lag raha tha ke jaise uska
beta hi aa gaya hai uske paas. Par uske jaane ki baat se use laga
ke jaise uska sahara hi chhoot raha ho.
Rahul ne divya ko 20 hajar rupees uske account mein transfer kar diye the.
Divya baar baar mana kar rahi thi to usne bola ke agar main saga
bhai hota to kya wo fir bhi mana karti to divya kuchh bol na saki.
Bas ankhon mein ansu liye use vida karne wali thi.
Rahul ka man duvidha mein fansa hua tha. Ek taraf use lag raha tha
ke jana jaruri hai. Doosri taraf uski karuna mausi, jiska ro ro ke bura haal tha.
Isi beech wo is baare mashwara karne ke liye shweta ko phone
milata hai aur wahan ki sthiti se awgat karwata hai.
Shweta use bolti hai ke subah das baje se pehle to waise bhi nahi
jaate agar wo jaldi aa sake to raat wahin reh le.
Rahul abhi bhi duvidha mein tha. Tabhi fir se uska phone bajta hai.
Screen pe jo naam aa raha tha wo tha “Mother India”
Rahul fatafat phone pick karta hai.
Rahul….hello mother India, kaisi ho?
Aruna….tu karuna ke paas hai na rahul…(awaz mein bechaini thi, tadap thi,
usne apne bete ka haal jaanne se jyada is baat ko tawajjo
di ke uski behan ke yahan kya ho raha hai)
Rahul…. Haan maa mujhe pata hai aapki shweta didi se baat ho gayi hai.
Mujhe jo sahi laga maine kiya. Maa maine aapse puchhe bina
2.70 lakh rupay yahan kharach kar diye.
Aruna…. Bhav vihor hote hue….main tujhe maskhara hi samajhti rahi.
Tu to mera bhi baap nikla. Kahan se aayi tujhme itni samajh.
Na sirf inka paison se saath diya balke khud rehkar bhi unko jo support
kar raha hai wo kabile tarif hai beta. Jug jug jiyo mere laal.
Rahul…. Main kuchh bhi nahi hun maa. Sab aapke sanskaron ka fal hai.
Main wahi kar raha hun jo aapne sikhaya hai mujhe. Waise abhi to nahi
haan ghar aakar jarur jaanna chahunga ke aap logon mein aur mausi
mein aisi kya baat ho gayi thi jo aap log ek doosre se itne door ho gaye.
Aruna… haan beta yeh baat main khud tum logon ko batana chahti hun.
Par jab tum log yahan aa jao tab. Achha main yeh chahti hun tum aaj ki raat wahin ruko.
Rahul…. Waise main duvidha mein tha maa. Par ab to mother india ka
adesh ho gaya hai to yeh final hai ke main aaj raat yahin rukunga,
Aruna …. Haan beta sham lal ka dhyan rakhna.
Rahul ne notice kiya ke uski maa ne abhi bhi use jija nahi bola balke uska naam liya.
Rahul...haan maa main yahi hun unka dhyan rakhne ko tum chinta na karo.
Achha ab main rakhta hun. Aur rahul phone kaat deta hai,
Divya to rahul ka pichha hi nahi chhod rahi thi. Jab usne suna ke wo
wahin ruk raha hai to uski ankhon mein khushi ke ansu aa gaye.
Divya…. Bhaiya agar aap na aate to fir to maine sab kuchh sambhalna hi tha.
Par ab mujhe pata hai ke mera bhai mere saath hai to main ab poori tarah
aap par depend ho gayi hun. Mujhe bahut khushi hui aap ruk gaye.
Karuna mausi bhi ab muskura rahi thi. Use bhi ek sukoon mila ke rahul ruk raha tha.
Rahul jake karuna ke paas baith jata hai aur apna sar uski goad mein rakh deta hai.
Karuna rahul ke mathe pe bade hi pyar se apna hath ferti hai to rahul bolta hai.
Rahul…. Mausi aap ke aur mother india ke touch mein jara bhi fark nahi hai.
Mujhe lag raha hai jaise maa hi mujhe chhu rahi hai.
Karuna…. To ham alag kahan the. Halanki hamare vichar kam milte the.
Par hamara khana pina sona khelna kudna, bahar ghumna firna sab ikathe hi hota tha.
Ham do jism ek jaan the. Wo to wakt ki kali najar hamare
pyar par pad gayi ke ham log alag ho gaye.
Rahul…. Hota hai mausi. Aur ab shayad aap logon ke fir se milne ka
samay aa gaya hai. Aur ab mile to kabhi bichhadne na dunga.
Karuna….kash teri baat sach ho jaye beta.
Main to samjhungi ke main swarg mein hun.
Rahul… sach hogi mausi. Maa ka phone aaya tha wo aap logon
ke baare mein puchh rahi thi. Unhone ne mujhe aapke paas rukne ko bola hai.
Karuna...bhav vihor hokar...kya?? Tu sach bol raha hai beta?
Mujhe to vishvas hi nahi ho raha ke aruna ne aisa bola.
Rahul….tumhari kasam mausi yeh dekho mother
india ka phone tha last. Use phone dikhata hai.
Karuna….phone ko pare hatate hue….mujhe nahi dekhna beta
mujhe tum pe bharosa hai.mujhe bahut khushi hai meri aruna
ne mere baare mein baat ki. Ab mujhe bharosa hai ke main
un logon se jarur mil paungi.
Fir rahul uth jata hai. Divya jo khadi thi uska hath pakad ke use
bithata hai aur bolta hai.
Rahul…. Divya ek to parso ready rehna, shweta didi ne tumhe
shadi mein invite kiya hai. Properly invitation dene aana tha.
Par abhi utna samay nahi nahi.
Divya… arey formalities ki koi jarurat nahi hai bhaiya.
Main khud aa jaungi aapko kitna kaam hoga na us din.
Rahul...chup karo apne bhai ki baat ko kabhi nahi talte.
Main aunga tumhe lene, keh diya to keh diya.
Divya...achha mere bhai...galti ho gayi. Aapki baat
ko kahan taal sakti hun main.
Rahul...thik hai aur ek baat. Maine tumhare account mein 20
hajar aur daal diye hain. Aur agar rishta khatam karna ho fir
se to yeh saare paise wapis karne ki baat karna warna kabhi
abhi tak lage paison ka jikr na karna. Dekh lo badi mushkil se mila hai bhai tumhe.
Karuna…. Kyun bojh badha raha hai beta ham par.
Kahan tumhara itna bada ehsaan chuka payenge ham.
Rahul…. Ehsaan bol ke mujhe paraya na karo mausi.
Main bhi aapka beta hun. Aur aapka beta ab kama raha hai.
Isliye ab is maa ko bhi chinta karne ki koi jarurat nahi hai.
Yeh aapki behan ka hi nahi aapka bhi beta hai.
Karuna….sach hai beta. Aruna ke saath saath Tu mera bhi beta hai.
Tu ek kaam kyun nahi karta tu divya ke saath ghar ja aur aram kar.
Din bhar ka thaka hua hai. Saara kaam to tune kiya hai.
Ham log to khali baithe rahe.
Rahul….wah maa beta bhi bolti ho aur jimmedari se bhagne ko
bhi bolti ho. Maine agar sona hi hota to main vidhi ke ghar wapis chala jata.
Abhi mujhe mausa ji ka dhyan rakhna hai. Aur aapko to sona hi padega.
Haan itna jarur kar sakta hun ke divya aur main bari bari se jaag kar duty denge.
Aur wo divya ko pehle sone ke liye bolta hai.
Divya yeh bol ke sone lagti hai ke use 2 ghante baad jaga de.
Rahul use bolta hai ke dono 4-4 ghante so lenge.
Divya uski taraf dekhti hai. Rahul puchhta hai.
Rahul….ab kya hua?
Divya…. Kya main apki goad mein sar rakh ke so sakti hun bhaiya.
Mujhe jeevan mein pehli baar bhai mila hai. Kya main uski goad
mein sar rakh ke sone ka anand utha sakti hun?
Rahul… arey yeh bhi koi puchhne ki baat hai meri gudiya.
Ao meri goad mein let jao.
Rahul sidha sa hokar baith jata hai taki divya uski goad mein let jaye.
Yeh in dono ka koi wasnatmak pyar nahi tha yeh shudh bhai behan wala pyar tha.
Wo uski goad mein sar rakh leti hai.
Usne apne dono hath apne pet pe rakhe hain. Wo is baat se bilkul bekhabar
hokar sone lagti hai ke wo ek gair mard ki goad mein leti hai.
Use to rahul apni jindagi ka ek hissa lag raha tha. Rahul bhi use
apni sagi behan jaisa maan de raha tha. Karuna in
bhai behan ke pyar ko dekh ke bhavnao mein doob jaati hai.
===OOO===