Bhaag 2
"Are plan bada simple hai Neha!" Takiye ko god pe rakhkar, Arpita apni saheli ko niche khichkar bitha deti hain apne paas aur uske kaan me kuch kehne lagi. Arpita ki batein sunke Neha hairani se uski aur dekhne lag gayi.
Neha : tu na sach me! Mujhe pakka marwayegi!
Arpita : are karke do dekh! Mazaa ayegi tujhe, aur fikr kyon karti hain. Us warden ki bacchi ko to main sambhal lungi! Aur vaise bhi (natakya andaaz me) ishq ka maza hi kya, agar zamane se chip chipke na ho! Hayeee!!
Neha : (palang ko fir se Arpita pe phenkti hui) Arpi!!!!!!! Please...ab chup ho jaa!
Kuch derh tak yunhi hasi mazak me dono saheliyan vakt beetate hain aur Neha ko bas plan ki kamyabi ka intezar thi.
....
Waha cabin mein Babu chai aur pakode leke pahucha hi tha ke tabhi, ek salwar kameez pehni hui 38 se 40 saal umar ki ek aurat vaha bethi hui milti hain. Yeh thi Romila Devi, hostel ki warden, aur yakeen mane to, ek behad rumani andaz ki aurat.
Ramola : haa, Babu..rakh do!
Babu : (gambhir awaaz me) aur kuch madam?
Ramola : hmmm, kya kya aur de sakto ho?
Babu : jee, jo aap chahe...
Ramola : (chalke Babu ke kareeb jaati hain) hmm, jis din chahiyega, maang lungi..
Aksar yeh hota tha ke madam ke maujudgi me, Babu ke lund me kabhi kabhi hulchul hone lagte the, lekin fir khud pe kabu kar hi leta tha. Ramola uske aur dekhi jaa rahi thi ke tabhi use apni darwaze pe dastak sunayi di.
Ramola : (kuch ghusse me) yes? Come in!
Babu foran apne hosh sambhale vaha se chala jaata hain, aur andar aati hain Arpita aur Neha.
Ramola : yes my dears! Kaise aana hua? Any problem?
Neha aur Arpita kuch mayus hone ka dhong karne lage. Ramola baari baari un dono ko dekhne lagi "ab bolo bhi!".
Arpita : madam! Main batati hoon! Kuch minit pehle Neha ke chachaji ka call aya tha....voh....darasal kuch bimar hai! Aur....voh...I hope you understand!
Neha kuch boli nahi, bas mayus hone ki dhong karne lagi.
Arpita : madam! Aap to iski shakal dekhke hi samajh gaye honge.
Ramola : (zyada dikhava karke) oh ho! Bechari sachmuch kitni dukhi hai! (Neha ke paas jaati hui) uff! Zara iski masoom shakal to dekho! Vaise Neha kitne chacha hai tumhara?
Neha : (kuch chaunke) jee...ma'am... voh...ek hi chacha hai! Unhi ki tabyat....
Ramola : oh! I see...vaise lagta hai yaha se nikalke lekhak ya actress banne ka shauk hai tum dono ka!
Arpita hairan reh gayi aur Neha bhi hairani se Ramola ki aur dekhti hain.
Ramola : Yeh bakwas kahin aur karna! (Ghusse me)
Arpita : yyyeh aap kya keh rahi ho madam??
Ramola : Just shut up! Neha, tumhare chacha ka phone bas kuch minit pehle hi aaya tha, keh rahe the ke is Sunday voh yaha aa raha hain tumse milne! Aur haan! Awaaz se to kafi tandarust aur thik thaak hi lage!
Arpita pyar se Neha ki aur dekhke birbirayi "shit!" Aur phir madam ki aur pasina pasina hoke dekhne lagi. Neha bhi sharam se niche dekhne lagi.
Ramola : ab mere aanevale kal ke prasiddh naariyon! Apne room me jaake, kuch padai vadai karlo! GET OUT!
Cabin se nikalte hi Neha ghusse se Arpita ki aur dekhne lagi aur jaise hi dono apne room me pahuche, Neha paas pade ek takia leke zor se apni saheli ki aur phenkti hain "you know what, bhaad me jaye teri plan aur bhaad me jaye TU!!".
Gaal pe takia padte hi, Arpita bhi ghusaa dikhane lagi "vah! Ek to teri uncle ka timing itna badiya hai, aur tu mujhe bol rahi hai!!!".
Neha kuch boli nahi, bas ek kitab liye chair pe beth gayi. Arpita chupke se piche jaake, uski gale ki aur haath phailakar, ek pappi uski phool jaise gaal pe dedi "tu tension mat le! Mehul ke saath teri date fix karke hi rahungi main! Bas yaar ek din ki mahulat aur de banno!".
Neha : ek din? Kya koi assignment mili hai tujhe? (Pyar bhari ghusse ke saath)
Arpita : re yaar! Tu bhi na, accha ek tarika hai! Aur kaafi romantic tarika hai Neha!
Neha : bol bhi
Arpita : Mehul aur tumhare liye, isi hostel me ek badiya jagah hai!
Neha : are kaun si??
Arpita : Canteen ki kitchen! Idiot, aur konsi!!
Neha : (kitab ko baju karti hui) tu pagal to nahi ho gayi? Waha pe kaun jayega? Voh bhi raat ko!
Arpita : tu fikar mat kar, candles ka bandobast main karti hoon! Tu bas kuch menu shenu soch! Maza aayega dekh lena Neha!
Neha : (kuch sochke) Arpi! Yeh koi jagah hui? Vaise bhi raat ko sunsaan sa canteen kaafi daravna lag sakti hai!
Arpita : darr gayi kya? Vaah! Meri jhansi ki rani!
Neha : umm, to... tu bhi chal mere saath!
Arpita : main??? Threesome karne ki irada hai kya?? Baap re! Neha, date teri hai! Maze tu legi! Mujhe kyon haddi bana rahi hai! (Khilli udati hui)
Neha : uff! Hmmm! Thik hai... main razi hoon!
Arpita apni saheli ko ek pyar bhari jhappi deti hai aur Neha use ek jhooth mooth muskaan deke, vapas kitab padhne lagi.
.....
Raat ke kareeb 9 baje, Mehul ke kamre me :
"Kya?? Wow....yeh Aprita to badi chalu nikli kasam se!" Bistar pe lete Mehul Neha se jee kholke baatein kar raha tha.
Neha : lekin...kya tum yaha....hostel me aa paoge?
Mehul : don't worry dear! Tumhari madam ko pata nahi, aur nahi us saand ko, ke tumhari kitchen tak ek piche ki darwaja hain, jo mere hostel ke bahut kareeb hai!
Neha : wow! Kaafi romanchak lag raha hai yeh sab!
Mehul : don't worry, bas thik raat ke 11 baje vaha pahuch jaana!
Neha : soch ke bhi ajeeb lag rahi hai Mehul! Itni raat ko sunsaan si canteen me date! Mera to abhi se hi dil dhadak rahi hai...yeh Arpita bhi na!! Ekdam pagal hai.
Mehul : (khushi se dusre haath se lund ke ubhar ko masalta hua) jaaneman! Date ka maza aisi hi sunsaan se jagao par honi chahiye! Tabhi maza aata hain.... You know, andhere me, candle ki roshni me...bas ek dusre ke saason ko mehsoos kar.....
Neha : (kuch uttejit hoke) uhm! Thik hai thik hai! Apne jazbaat kabu me rakho Mr! Mujhe andaaza hai, date me kya kya karne vale ho! (Ek haath se apne ek kadak hui nipple ko chooti hui kapde ke upar se)
Mehul : ab bas kuch aur intezar! Bye... See u at 11!
Dil me lakho umang liye Neha phone cut kar deti hain aur laakh koshish ki apni moti moti stan ke thirakpan ko shant karne ki, lekin pehli date ki baat hi kuch aur thi.
....
Kareeb raat ke 10:45 ke aas paas Neha bas tshirt aur track pant pehne, apne kamre se nikalke ahista ahista canteen tak jaane lagti hain. Seediyon se niche dhime dhime utarti hui, yaha vaha dekhke, aakhirkar Neha pahuch jaati hain canteen, jahaa bas sannata aur halka sa chand ki roshni chaaya hua tha.
Ek pal ke liye, Neha aaju baaju ke sannate ko dekhkar jaise sahm si gayi. Uski dil ki dhadkan tez hoti gayi, lekin aas paas Mehul ka koi naam o nishan nahi, aur phir voh apni ghadi dekhti hain, jahaan 11 bajne me sirf do minit baaki the.
Canteen ke ird gird Neha haule se awaaz dene lagi "Mehul??.... Tum agay ho kya? Mehul???". Lekin koi jawab nahi aaya. Jee me aya ke kitchen me choti si bulb ko jalade, lekin darr rahi thi ke kahin Babu na aajaye. Pure mahol me bas khidki se aa rahi chand ki roshni hi ek matr roshni ki aasra thi.
Neha kuch pal ke liye, bas yuhi yaha vaha dekhti gayi tabhi ek gambhir sa awaaz use sunayi di..
"Nehaa!"
"Nehaaaa..."
Ek to aisa mahol, upar se yeh awaaz sunke Neha aur sahm si gayi.
"Kaun??"..... Tabhi ekdam achanak se do haath uski bazuo ko gher leta hain aur Neha ghabrake piche mudi. Piche mudte hi use Mehul nazar aya jo pagal hoke has raha tha. Use dekh, Neha uske chaati pe ek kass ke mukka maarti hain "IDIOT!"
Mehul : baap re! Itni darr gayi thi kya?? (Hasi ko control karke)
Neha : agar itna hi shauk hai to koi horror filmo me kaam karo! Stupid!!
Mehul : mera to pata nahi, lekin haa! Tumhari yeh reactions kisi bhi horror director ko bhaa dega! (Haske)
Neha : (yaha vaha dekhti hui) ssssshhh!! Chup bhi ho jao! Agar Babu ko pata chal gaya ke canteen ke vaha hulchul ho rahi hai! Tab...tum to latkoge hi! Main bhi expell ho sakti hoon!
Mehul dhire se Neha ki bazuo ko thaam ke, usko apne aur phira leti hain. Agle hi pal Neha aur voh ek dusre ke aankho me kho jaate hain. Mehul dhire dhire apne hont uske kareeb laane laga aur Neha bhi uttejit hoke aankhen band kar hi li thi ke tabhi Mehul uski kaan me kehta hai "kuch khaya piya jaye?".
Ek aur kass ke mukka seedha chaati par aur Mehul foran do candle jalake sabse akhri ke ek table par rakh deta hain. Halki roshni me mahol ekdam rumani ho gaya tha aur Mehul ek tiffin me se ek sandwich nikalta hain. Us chote se sandwich ko dekhkar Neha khilkhilane lagi.
Neha : hmmm kya yeh starter hai? (Hasti hui)
Mehul : ummmm! Starter aur main coarse dono yehi hai! Lekin asli maza to dessert me ayega! (Aankh marke)
Neha : (hairani se) voh kaise?
Mehul : hmmmm, uske liye yeh sandwich ko khatam karna bahut zaruri hai!
Neha kuch andaza laga hi rahi thi ke tabhi, Mehul sandwich ke ek hisse ko mooh me leta hain aur dusre hisse ko Neha ki mooh ki aur badha deta hain. Yeh andaaz dekhke Neha kuch sharma jaati hain aur uski rasili hont thartharane lagi. Lekin rumani mahol ko zaya karna voh thik nahi samjhi, bas phir kya! Apni chehre ko aage karke, foran sandwich ke baaki ke hisse ko apni mooh me ghusa leti hain.
Aakhirkar Mehul aur Neha khel ko barkhubi khelne lage. Dono sandwich ko khatam karte karte, apne chehro ko aage aage lete gaye aur aakhirkar, unke hont takda jaate hain ek dusre se. Pehla ras se ras ke chuan se dono ki jism me ek current daud jaate hain aur kuch pal ke liye Neha apni aankhe chaudi kar leti hi hain, lekin Mehul ke aankho me hawas hi hawas tha.
Us hawas ko dekhke Neha bhi pighalne lagi, aur dhire dhire dono ke hont aur kass ke ek dusre se chipak jaate hain. Ab bas! Hawas ka leher sar chad gaya aur dono apne apne kursi se uthke ek dusre ka raspaan karne lage. Mehul hamesha se jis ladki ke saath private lamhe beetane ke sapne sonjaye the, aaj haqeekat me uski ke hont ke pyalo ko peene me zara bhi alaspan nahi dikhaya.
Neha bhi bahut kamuk ho uthi thi. Pure kamukta mein dono vahi deewar ke kone me chale jaate hain aur jee bhar ke ek dusre ke hont chuste gaye. Ab haule haule Mehul apne ek haath ko niche laake ek mote se stan ko tshirt ke upar se bade pyar se jakad liya aur dabane lag gaya. Stan dabaye jaane se Neha sihir uthi aur hont ko hont se alag karti hui ek "aaaah" nikalne lagi.
Mardana haath stan pe aate hi aksar kamukta ka badhna ek stree ke liye swabhavik tha...lekin voh mann hi mann ek had se zyada bahekna nahi chahti thi, isliye jab Mehul ke haath niche jaake t-shirt ko kamar se upar upthane laga, tabhi Neha uske haath rok deti hain "Mehul...bas! Isse aage nahi!"
Mehul : kya yaar Neha! (Baahon me liye huye) ab mera KLPD mat karo!
Neha : (kuch khilkhilake) sab kuch aaj hi lut loge, to kaise chalega? Kuch agle date ke liye bhi rakho!
Mehul kuch chid gaya tha, lekin khud pe kaboo karta hua bola "its okay Neha! Jab tum chahogi, tabhi hum aage badenge!". Neha uske aankho me kho hi gayi thi ke tabhi, apni ghadi dekhne lagi "oh no! 12:20 baj rahe hai Mehul!! I think tumhe ab nikalna chahiye!".
Mehul bhi pyar se uski gaal pe ek chumban barsa ke "bye" kehke nikal jaata hai. Gaal pe chumban, panty me thodi si gilapan aur honton pe kisi aur ke hont ka ras liye, Neha chupke se apni kamre ki aur chal padti hain.
Duplicate chabi ke sahare, voh andar aaajati hain aur ek bahut hi gehri neend me leti hui Arpita ke baju me let jaati hain. Aaj ki raat, use sach me badiya neend aayi thi, kyonki takiye ko kasske apni moti stan se lipte, bas Mehul ke harkaton ko yaad kar rahi thi.
"Love you Mehul!" Uske phool jaise hont neend me hi tharthara uthi.
.......
Subah subah, Neha angrai leke uth jaati hain aur dekhti hai, bistar ke us paar Arpita towel ko haath me liye khadi thi. Arpita ko dekhte hi Neha use khinch ke niche apne samne bitha deti hain aur pichle raat ki haseen dastaan batane lagi.
Arpita apni mooh pe haath rakhke, ekdam badi badi aankho ke saath Neha ko dekhne lag gayi "vaah meri sherni, pehle date me itna kuch ho gaya..dusre date ka pata nahi kya hoga! Hayee!".
"Oh shut up Arpi!" Neha ek chamat lagati hain apni saheli ki peeth par.
....
Aakhirkar dekhte hi dekhte Sunday aajata hain aur hamesha ki tarah us din Neha aaram se deri se uthti thi. Khair, is baar jaise hi ubasi leti hui uth gayi, tabhi apni bistar pe ek packet nazar ayi. Packet ko leke, jaise hi andar dekhi to hairan reh gayi.
Packet ke andar ek bada sa Chocolate Box tha, jise dekh Neha ko kuch kuch shaq hone lagi aur tabhi kamre ka darwaja khul jaata hain aur ek awaaz sunayi de padta hain "ehmm! Kya andar aane ka ijazat hai!".
Awaaz pehchante hi Neha khushi se jhoom uthi "chachaji! Cmmon! Yeh jokes purane ho chuke hain, andar aaa bhi jao!".
Foran darwaza khulke andar pravesh karta hain Prakash, jise dekh foran Neha uth jaati hain aur seedhe gale mil leti hain. Jab kass ke gale lagi to swabhavik Neha ki moti moti stan t-shirt ke andar se hi apne chacha ke chaati pe dhass jaati hain, lekin apne bhatiji se di gayi is ehsaas ko kabu kar leta Prakash aur normal vyavahar karne lagta hain, hala ke use maza to khoob aya stan ke ehsaas se.
Neha : yeh chocolates dekhte hi main samajh gayi thi!
Prakash : are pagli! Teri pasand mujhe nahi malum, to kise malum hogi?
Neha : aakhirkar aap aa hi gaye! Chachi nahi aayi?
Prakash : voh yaha ayegi? Bilkul nahi...aj Sunday hai! Uski lambi chaudi planning hai, parlor se leke shopping tak!
Dono chacha bhatiji has padte hain aur tabhi Prakash mudde pe aaajate hain.
Prakash : beta, main warden se milke aa raha hoon! Kaafi saaf sutri record hai! I am happy.
Kuch pal ke liye Neha ki jaan me jaan aagayi thi, use laga ke kahin us raat ki baat ki zikar to nahi hogi! Lekin phir chacha ke mooh se taarif sunke, khud ko mann hi mann shabashi dene lagi.
Prakash : beta, ab main kuch kaam ki baat par aajata hoon! (Apne laptop bag me se ek bada sa file nikalta hua) lo, sign karlo inme!
Neha : chachaji! Jaydaat aaphi ki hain! Aap to dekhbhal kar hi rahe hain... phir.....
Prakash : main janta hoon beti! Tu apne liye zyada kuch nahi chahti hain...lekin shayad yeh paise kam aajaye teri bhavishya ke liye.
Neha : aap thik kehte ho! Lekin, meri asli iccha yeh hai ke in paiso ke kuch hisse koi charity ya trust pe jaye, taaki logon ka bhala ho! Mujhe apne liye bhala kitna chahiye!
Prakash : wah Neha! Kitni badi ho gayi hai tu. Bhai sahab aur bhabhi zinda hote, to...... khair, ab zidd mat kar! Yeh sign vakeel ko dikhane bhi to paregi mujhe! Aur hai to yeh teri hi! Main to bas rakhwala hoon beta! Par aaj tu 21 ki ho gayi hain.. isliye ab shaan se apni daulat me apni haq jama! (Muskurake)
Neha : ok chachaji! Jaise aap thik samjhe! (Pen leke bina padhe hi ek ek panne pe sign karne lagi)
Prakash : beta yeh kya?? Padh to leti thik se! Tu bhi na...
Neha : padhna kya chachaji? Aap koi galat agreement thodi na layenge! Aur font ka size to dekho! Baap re.... magnifying glaas lagake padhni padegi! (Masoom ansaaz me haske)
Prakash bhi muskurata hua file le leta hai aur apne bhatiji ke maathe ko choomke uth jaata thain bistar pe se. Hostel ke bahaar tak Neha unhe chorne aati hain ke tabhi Prakash achanak ruk jaata hain aur uski aur dekhne laga.
Neha : (muskurati hui) aise kya dekh rahe hai?
Prakash : beta! Tere chachi aur mera koi santan to hai nahi! Ek tu hi hai...khair, sign karke tune dil ka bhoj halka kar diya mera! Apna khayal rakh aur padhai me dhyan de bas!
Itna kehke Prakash ek cab liye vaha se chala jaata hain aur Neha khushi khushi vapas jaane lagi apne kamre me. Vaha pahuchte hi apni phone ko haath me liye let jaati hain. Tabhi WhatsApp se Mehul ka ek message screen pe chalakne laga. Neha ne fir gaur kiya ke voh ek card jaisa kuch tha.
Us card ko click karte hi, do dilon ke apas me ragadne ki animation hoti hain aur kuch aisa likha hua milta hain :
"Dil ke paas tum hi tum samayi hui ho!"
"Jab bhi andar jhaankta hoon, tumhe paata hoon!"
"Bhaag ke kahaan jaogi bhala! Kass ke apne rooh ke bhitar tumhe chupa ke rakhta hoon!".
Yeh padhte hi Neha khushi khushi apni phone ko seene se lagaye let jaati hain aur baar baar aankhe band kiye, us raat ke manzar ko yaad karne lag jaati hain. Voh honton ka chuna, voh stan ka haath se sehla jaana...yeh sab ghadiya ko yaad karke Neha apni sudol tangon ko apas me ragadne lag jaati hain aur Mehul ke honton ko yaad karke, apni rasiley honton ko apas me ragad leti hain.
"I love you Mehul!" Ek baar khud se kehti hain aur ek choti si neend lene lagi. Uski yeh sab harkatein, bathroom ke paas towel lapete huye Arpita dekhi jaa rahi thi aur phir mann hi mann boli "ghodi kahin ki! Dekho to kaise prem me lachak rahi hai, lagta hai agla date jald hone vali hain! Hmmm".
......
Vaha dusre aur, kareeb shaam ke samay, ek lamba safar karke aakhirkar Prakash apne bhatiji ki hostel se seedha apne ghar pahuch jaata hain. Bangla kaafi alarshit tha, aur itne bade ghar pe Prakash apne patni Damini ke saath rehta tha.
Safar ki thakavat ke vajah se foran, apne briefcase ko sofe pe phenke seedha apne ghar ke mini bar tak jaata hain. Ek bottle whiskey liye bina glass ya sode ke sahare, seedha ghapp karke apne mooh me leleta hain. Ek lambe ghont ke baad, bottle ko jhatke me niche rakh deta hain aur baar baar voh manzaar yaad karne laga, jab Neha ki moti kasi hui stan uske chaati se dhass gaya tha, jhappi ke dauran. Phir uske phool jaise hont aur surayidar gardan.
Baar baar, bhatiji ki stan ke golayi ko yaad karke phir ek ghont whiskey ka leleta hain ke tabhi, vaha seediyon se ek chiffon saree aur sleeveless blouse pehni hui ek behad sudol aurat niche aane lagi. Umar kareeb 37 se 38 saal ki thi aur chehre pe raub saaf nazar aati thi. Yeh thi Damini, Prakash ki patni aur Neha ki chachi.
"Aagaye pyari bhatiji se milke?" Sofe pe bethe apni iphone haath me pakde, punchne lagi Damini. Foran ek glass whiskey apne patni ko offer karke Prakash vahi baju ke sofe pe beth jaata hain.
Prakash : bilkul! Mil bhi liya aur sign bhi le aya! (Apne glass se cheers karke)
Damini : matlab....Neha....Neha ne...documents...(apni utsah sambhalti hui)
Prakash ek ghoont me pura glass khatam kar leta hain aur apne patni ki aur muskurate huye dekhne laga "yes darling!" Phir, haste huye "Us bewakoof ladki ne saare ke saare documents sign kar di hain!".
Yeh sunte hi Damini ki aankhe chamak uthi aur apni glass aage kar di "please dear! Ek aur ho jaye! Yeh mera sabse khaas din hai!".
"Mera bhi sweetheart!" Do do glass me aur ek baar whiskey daalta hua. "Apne chacha pe itna bharosa hai, ke bina badli hui vasiyat ko padhe hi, bechari ne sign kar di!". Itna kehke Prakash jee kholke hasne laga aur uske saath saath Damini bhi has padi.
Ek baar phir dono apne apne jaam ko apas me takrate hain aur tabhot Damini ne pucha "aage kya plan hai?".
Haath me thaame jaam ko ek ghont me peeke Prakash pure hosh aur josh me bol para "Plan simple hai darling! Ab jab sign mil hi chuki hain, to Neha ki ab hume koi zaroorat nahi!".
Damini ki aankhe kuch badi si ho gayi "kehna kya chahte ho tum?"
Prakash apne patni ki aankho me aankhe milake, chehre pe katilana muskaan laake kehne laga
"Matlab saaf hai! Neha ko hamesha ke liye raste se hata denge!" Ek baar phir jaam pike Prakash bolne laga
Damini ki aankhe badi ho gayi "aur tumhara matlab...."
Prakash phir se do glass jaam banate huye "bilkul! Neha ko ab zinda rehne ki aur koi zaroorat nahi, use hum maar dalenge!".
Damini hairani se apne pati ko dekhne lagi. Use malum thi ke Prakash aise mamlo me mazak nahi karta tha.