Update - 94
ab tak aapne dekha k Swarg par Antak ne aakraman kar diya hai ....
Devaraj Abhi ko apne saath yudh bhoomi le jaate hai.....
Pahle din k yudh viram k baad ...Abhi ghyal hokar behosh ho jaata hai ...aur jab aankhien khulti hai ....toh apne saamne Shamli ko paaya hai ...jisse itne din se dhyan mein dekh raha tha....
ab aage .........
Shamli chup chap sir niche kar k baithi jane kya soch rahi thi............k Abhi ki awaj se woh apni soch se bahar aayi.....
Abhi - Waise Shamli kya naam hai tumahara........
Shamli - mera naam Sh.....(lekin jab usse abhi ki baat samz aayi) .....toh .....aap bade woh ho ....mera naam lekar muzhse hi naam puch rahe ho
Abhi - Accha yeh Woh matllab kya hai........waise tum gaati bahut hi acchi , aur woh sarover k kinare baith kar jo geet gaa rahi thi woh toh apratim hai....
Shamli - Yeh sab aapko kaise pata.......
Abhi - muzhe toh yeh bhi thi hai.....k sarover k jal mein tum kiska chehra dekhti hui gaati hoo.....ab toh mein tumahare saamne hu......
Shamli - Lekin aapko kaise pata chala k mein aapka hi chehra dekh rahi thi.....
lekin ahsas hote hue k uske muh se sach nikal gaya......toh usne ek haath apne sir par maara aur apne daanto tale ungli daba di.........
Abhi - uff yeh maasum adda ......hum se hi pyar aur hum se hi parda..........aur Abhi ythkar uske paas jaata hai aur apne haath se uske chehre ko upar uthata hai......
jab tum muzhse itna prem karti ho toh jab mein tumahare saamne aaya toh kyu apne prem ko apne hriday mein chupa liya......
Abhi ki baaton se Shamli ka pyar jo woh ab tak dil mein dabae baithi thi aankho k raaste bahar aane laga...
Shamli - Aapne toh muzhe kabhi dekha nahi tha ...isiliye dar tha k kahi aap mera prem asweekar na karde........
Abhi uske aansoo ponchta hue usse apne gale lagata hai.......
Abhi - Jis prem mein itni shakti ho k bina mile hi apne premi ka chehra dikh jaaye uss prem ko kaise koi asweekar kar sakta hai......Jaise tum muzhe Sarover k jal mein dekhti thi ......main tumhe apne dhyan mein dekhta tha......
Muzhe bhi kai dino se tumahari hi pratiksha thi aur dekho aaj tum mil gayi.....
Shamli bhi kaskar Abhi ko pakad leti hai .....itne varsho ki prtiksha uski aaj jo khatam ho gayi hai......dono ek dusre ko bahon mein khoye hue the.......
ek dusre ki dhadkan aur usmein chipe ek dusre k prati prem ko mehsus kar rahe the......
Abhi ne Shamli ka chehra upar kiya .....Aur usko aankho mein dekhne laga jaha uske liye beshumar pyar k alawa aur kuch nahi tha......
Sharam k kaaran Shamli k kanpte honth Abhi ko jaise nimantran de rahe the ...Abhi honnthvShamli k hontho k karib aagayr dono k saanse ek dusre se mein sama rahi thi ....Abhi ne apne honth Shamli k hontho par rakh diye .......
Shamli ka jism kaanp gaya prem k iss pahele chumban k ahsas se ....
Abhi uske hontho ko bas apne honto se shala raha tha ........Ab Abhi uske upper k honth ko muh mein bharke dhire2 chusne laga.....Shamli k haath Abhi k pith par kas gaye ....Woh bas apne premi k har kriya ko mahsus kar rahi thi......
Thodi der aise hi chumban k baad dono alag hue ......
k tabhi waha ek Sainik bhiter aakar Devraj ka sandesh Abhi ko deta hai k Devraj ne usse Sabha mein bulaya hai.........Toh Abhi bhi Shamli se phir milne ka ishara karke sainik k saath chala jaata hai .....
Yaha sabha mein kewal Devraj aur Devguru baithe hue the ...kyuki baaki devtao ko toh Antak ne apne paash mein bandh rakha tha.........
Abhi bhi jaakar dono ko pranam karta hai phir baith jaata hai.........
Devraj - Ab aapka swastha kaisa hai........
Abhi - main bilkul thik hu Devraj , Aap bataiye kya koi marg mila Antak k nash ka ...
Devguru - hum isi baat par vichar kar rahe the........kya aapko koi marg suzha
Abhi - Devguru ek baat muzhe samaz nahi aayi .......K ...Antak ne ek asur hokar bhi suryastha k samay yudh rok diya jab k Asuro ki shakti raatri k samay hi adhik hoti hai.......
Devguru - yahi baat toh usse baaki asuro se alag karti hai......Antak baaki asuro jaisa Kaali shaktiyo ka upasak nahi hai.....Antak Brahma ji ka upasak hai.......
Prakash andhere ko khatam kar sakta hai ....Prakash prakash ko sapt nahi kar sakta ..........
shayad isiliye devta bhi uska ya uske nirmit asuro ka kuch nahi bigad paa rahe hai......
Antak yudh poore niyam k saath ladta hai......
Abhi - toh kya iske ant ka koi upay nahi hai........
Narayan ...narayan ki dhun gaate hue tabhi waha devrishi narad aate hai jinhe dekhkar Devraj aur Abhi khade ho jaate hai aur pranam karte hai.....
Narad ji - Upay hai Devraj ........Antak ne badi bhayanka tapasya se brahma ji ko prassana kiya aur Amarta ka vardan maanga...
Tab Brahma ji ne Amarta ka vardan dene mein asamarthata darshayi aur usse apni mrityu ka ek kaaran chunne k liye kaha.......
Tab antak ne bade vichar k baad ek vishesh prakar ki dhvani ki urja ( sound energy) ko chuna....
isilye liye koi astra shastra usska kuch nahi bigad sakte......
Abhi - Aur woh vishesh dhwani kya hai Devmuni
Narad ji - mein itna hi kah sakta hu k woh dhwani sangeet k kisi raag se judi hui hai.......
Itna kahkar barad ji waha se chale gaye...
Devguru - hume is vishaya mein Gandharwa raj Ranjan (GR) ki sahayta leni hogi ........
Devraj - thik hai gurudev him abhi sandesh bhejkar unhe yaha bulate hai........
Devguru - Devaraj niti kahti hai k sahyata maangne walo ko swayam uske paas jaana chahiye jisse sahyata leni ho ......chahe woh chakrvarti samrat hi kyu na ho.....
Devraj - aap uchit kah rahe hai gurudev ....chaliye ....
Phir him teeno Gandharva nagar mein GR k bhawan pahunche .......yaha pahunchte hi hume ardhraatri ka raag ....Raag Shivranjani ....mein madhur sangeet sunayi dene laga.......jo vina bajate hue Shamli gaa rahi thi ...Aur GR usska saath de rahe the .......
Uss raag ki divyata mein hum teeno aise kho gaye k hume koi sudh hi nahi rahi k huma yaha kyu aaye hai........
Jab woh sangeet band hua toh hume hosh aaya .........GR aur Shamli aankhe band karke gaa rahe the......jab geet samapt hua toh dono ne aankhe kholi....
GR Devraj aur Devguru ko sakshat apne saamne dekhkar ekdum se khade hue aur unhe pranam kiya ......
GR - Aaj toh mein dhnya ho gaya jo Swayam Devraj aur Devguru mere bhawan aaye hai .......aayie aasan grahan kijiye ...........
Aur Abhi k taraf dekhte hue - aur shayad aap wahi Rakshak hai jo Devtao ka yudh mein saath de rahe hai.......aayiye aap bhi virajman hoyiye.....
GR - Devraj kahiyhe Sewak k liye kya aagya hai.....
Devraj - Iss samay hum tumse Sangeet ki shaktiyo baare mein janne aaye hai ......
GR - kya baat hai Devraj yudh k samay Sangeet k baare mein jaana chahte ho ...ascharya hai ....
Devraj - kyu ki iss yudh mein Sangeet ki awashkta hai.....aap bataye
GR - Toh suniye Devraj .....Sangeet mein woh shakti hai jo saare shrishti toh kya swayam bhagwan ko bhi vash mein kar de ......
Bhagwan ka har roop issi sangeet se sapurana shristi ka sanchalan karta hai.........
Shiv ka damroo, Krishna ki murli....Vishnu ka shankh......Aur Brahama ji k paas niranter bajti hui Maa saraswati ki vina .....Aur samved se aati hui rago ki dhwani.......
yeh sab sangeet k hi mool hai......
Jaha Raag megh malhar barsat kara sakta hai .....wahi Raag basant samay se pahele hi Basant ritu ko laa sakta hai .......Raag Shiv ranjani sakshat Mahadev ko pragat karsakta hai.....
Raag bairavi Sampurna nakaratmak urja ko samapt kar sakta hai .......
raag bhairav jeevo k mann k andhkar ko mitakar prakash se bhar deta hai.....
aap batayie iss yudh mein Sangeet ki kya awashyakta aan padi hai..
Tab Devraj Narad ji ki batayi saari baatein GR ko bata deta hai......
GR - Accha toh yeh baat hai ........Devraj Bhale hi Antak kaali shaktiyo ka upasak nahi hai lekin hai toh woh asur hi aur KS k liye kaam karta hai .....isliye Uske man ki aasuri pravriti toh wahi hai ....jo andhkar ka roop hai .......
Aur uss andhakar mein hi uske pran chipe hue hai jo kewal godhuli vela k Raag Ahir Bhairav se hi sambhav hai........Aur iss raag mein parangat meri putri Shamli hai .........
Abhi - Parantu is bhayankar yudh bhumi mein Jaha har taraf astra shastra chal rahe ho waha hum Shamli ko kaise le jaaye.......
Shamli - meri dhrishtata k liye muzhe kshama kare ......k mein aapke madhya mein bol rahi hu .....parantu yeh aawashyak hai.....
Maaribhoomi ki raksha se badkar prano ka mulya nahi hota .........isiliye yadi aaj muzhe yeh awsar prapt hua hai .....toh prano ki raksha k moh mein main na jaau yeh sambhav nahi hai .....
DR - Wah putri mein dhanya ho gaya tum jaisi santan paakar ........
Aise aur thodi der mantrana chalti rahi phir hum wapas Swarg k mahal mein aagaye.....
Subha Shankh naad k saath sawera hua .........aur phir phunche yudh bhoomi par....
Phir aamne sammne ayi dono taraf ki sena .......
Antak - Accha toh Devtao ka Rakshak thik hogaya .........
Abhi toh sirf ek hi waar kiya tha.......Ab jara aur dikhao kitna bal hai tumme ......
Shamli ko waha laane k liye Antak ko yudh mein uljhana jaruri tha ...........Toh Abhi ne bhi apni gada ka aawahan kiya ......
Abhi - Antak Vradan mein prapt shaktiyo dwara woh ladte hai jinhe apne Baahubal par vishwas nahi hota .......Yadi sach mein tum ek veer yodha ho muzhse apne bahubal se yudh karo .........
Antak - Rakshak chinta mat karo .....ab antak apne Baahubal se hi iss yudh ko jitega .....yeh Antak ka vachan hai......
Aur gada lekar Abhi ki taraf dauda aur ek jodar waar kiy ....jisse Abhi ne sir par gada lejaakar toka .......Aur ek Kick uske pet mein maari aur picche dhakel diya ......
Jisse Antaj air krodh mein bhar gaya ......Aur phir prahar kiya dono gadao k takrane se waha bhayakar aawaj hone lagi thi ......tabhi Antak ne Abhi k waar ko block karke uske face par ek jordar punvh maara....jisse abhi ko koi chot toh nahi aayi lekin itne force ki wajah se woh dur jaakar gira ........
Antak - ha..ha...ha...Ab pata chala Antak ka bahubal .......
Abhi ne Devraj ki taraf dekha toh unhone gada ki taraf ishara kiya ......Abhi samaz gaya ....Gada k takrav k kaaran hone wali aawj k kaaran aur yudh k iss mahol k kaaran Shamli gaa nahi paa Rahi hai.....
Abhi - Antak gada yudh toh bahut dekh liya .....asli bahubal ki pariksha toh mallyudh se hoti hai ......aur Abhi apni gada chodhkar taal thokkar maidan mein aajata hai .....
Antak - wah Rakshak maan gaye ....Ab toh aur maza aayega ...aur dono kissi pahlwan k jaise ek dusre par apne daav pech chalane lage ........
Devraj ne dekha k Ab Antak Abhi se ladne mein poora magan hai ....toh sahi awasar jaankar.....woh Shamli ko waha le aaye ......
Yaha Abhi Chalang lagakar Antak k piche pahunch gaya....aur Apni baaju se uski garden aise kaskar pakad li ....k woh hil bhi nahi paa raha tha......
Ussi samay Shamli ne Raag Ahir Bhairav k sur chede ....Aur jaise hi woh sur Antak k kaano mein pade ....toh woh jor se chillya ......
Antak - Chal hai yeh .....roko is sangeet ko ahhhh .....yeh mere pran le raha hai........Tumne Chal kiya hai mere saath....ahhh
Jaise jaise Shalini gaane lagi Antak k sir mein bhayankar pida hone lagi ...aur uske nask kaan aur muh se khoon nikalne laga .......tab Abhi ne usse chod diya.....
Antak apne baal nochne laga chillane laga .......Aur phir aakhir mein ek bhayankar Chikh k saath dharti par gir pada .....Lekin girte girte usne apne aakhri urja se ek jalta hua shool Shamli ki taraf phenka ....aur girkar mar gaya .....
Woh shool Shamli ki taraf bade tezi se badne laga .....
abhi k liye itna hi ......
agla update raat ko ......