Reza
Well-Known Member
- 4,858
- 13,248
- 158
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Waiting For Next
Ek Writer Ki Readers ki Koi bhi Baat kabhi buri nahi lagti...abhi_mishra_91 Bhai aapki story lajawab hai aapki story aaj hi pdhi Achi lag rhi hai
Jhutt nhi aapki story just for tym pass start kri bcz koi another story nhi bchi pdhne ke liye aur aisa isliye Jo starting main khud Ka introduction dia usme Likha hai sirf isliye start kri bcz lockdown ki vjh se samay mil paya to main nhi pdhna Chahta tha but aaj start kri TB LGA boss story main dum hai
Aur Aapne starting main index main sirf 5 tak update kra hai
Maine Kaha rhne de lgta hai gyi kahani mgr JB akhiru tak pahucha to pta chla 2 update bdh gye hai
Ab aate story pr faltu ki bchodi bahut krli
Boss bilkul Naya plot hai interesting LGA I think vo gussel healer humari heroine bneg.
Aur akhiri main maffi sorry
SORRY Kisi Baat Ka Bura lge to
NICE UPDATEUpdate8:
Previously:
Aise hi baat karte karte sham ho gayi. Pandit ji ghar me kawach laga diye aur Mandir chale gaye. Kal jabtak wo naa aye ghar se bahar na nikalne k liye bol diya tha. Raat ko kisika khane ka man nahi tha Payal aur Paras chup chap bethe the. Kuchh hi mahino mein unhone apne maa, pita, dada, dadi ko kho diya tha. Bahut muskil se unhone khana khaya aur mene unhe yahan se kal jana hai bol diya. Pehle to wo log bahut roye uske baad samjhane se samajh gaye aur phir hum sab log ek saath so gaye.
Aab Aage:
Agle din Jab Panditji aye tab hum log nikal gaye apne naye ghar ki taraf. Ye ghar bhi hame khali karna tha to hum logo ne bail gadi pe sab jaruri saman bandh kar le gaye. Payal aur Paras kuchh dukhi dikh rahe the. Ab issme kya kar sakte hain. Jo unke bachpan se ghar hai, jis ghar me unke mata, pita, dada, dadi ki yaad hai, wo ghar chhod k jane mein kuchh to dukh lagega.
Pehle hum log sidha Prantadhikari k pass chale gaye. Waha pe wo Rajaswa Adhikari bhi tha. Hum logo ne wahan par apne and ka maksad bataya. Kar me Ek Raupya Mudra byaz sun k Prantadhikari pura gussa hogaye. Unhone bina kuch be Rajaswa Adhikari ko hawa me utha k patak diya. Bichara wo sirf chillata raha lekin uth nahi pa raha tha. Uske Sainik ake usko bandi bana kar le gaye. Uske baad Unhone Haria Kaka k sare kar sahi hisab se liye. Ab Jitni bhi jamin thi sab Paras aur Payal k naam thi. Aur mera naam abhi uss ne abhibhavaak(Guardian) k gaur par likhawaya gaya jo ki mera asli naam hai. Mera naam hai, Abhayendra. Wahan se nikal kar hum log apne naye ghar k taraf chal diye.
Ye ghar Northeast k aakhari chhor pe hai. Ye Ghar baki gharon se thode duri par tha. Ye ek do manjila pakka ghar tha. Nichhe bethne k liye jagah tha aur kitchen tha. Aur upar sone k liye tin kamre the. Ghar k charo taraf pakki diwar thi. Ghar k pichhe ek kuan(Well)tha. Ghar mein sab saman pehle se hi tha. Upar dono kamre mein bed tha. Ghar k pichhe pahadi tha. Aur ek talab bhi tha.
Main-“ Pandit ji, yahan to ghar k pichhe pahadi hai aur ghar bhi sabse dur hai. Suraksha k liye kya ye jagah sahi rahega.”
Pandit ji-“ Tum nischint raho Beta, ye pahadi, talab aur mera ghar pura surakshit hai. Ye ghar Mera purvajo ka hai. Tab iss duniya k jo sabse sakti Sali Wizard the, wo mere purvaj hi the. Unke marne se pehle unhone apni sari sakti samet kar ye sab kawach mein bandh diya. Koi bhi galat bhavna se yahan par nahi aa sakta.”
Main-“Ji shukriya Panditji”
Phir hum ne upar k taraf chal diye. Upar tin kamre the aur do bathroom the. Sab kamre me pehle hi bed aur table aur kursiyan the.
Pandit Ji-“ Beta, tum log aaj aaram karo. Kal jake tumhari aur Bachho k admission k liye jayenge.”
Main-“ Ji Panditji, jaisa aap kahen.”
Uske baad Pandit ji chale gaye. Phir hum sab ne saman set kar diya. Phir dopehar ka khana khake hum log Talab k passs jake beth gaye.
Main-“ Payal, Paras aise dukhi rehne se kuchh nahi hoga.”
Paras-“ Par Kaka, Yaad to aa rahi hai. Jitna bhi kosis karu par apne aap ko rok nahi sakta.”
Main-“ Main janta hun tum dono ko kaisa mehsoosh ho raha hai. Mene bhi apne Mata,pita, apne priyajano ko kho diya hai. Tab me 6 saal ka tha.Yaad to mujhe bhi aati hai. Lekin ye socho agar tum is tarah rahe to kya unsabki aatma ko khushi milegi. Tumhare Dada, Dadi chahte the kintuk dono apna jivan hasi khusi bitao.”
Payal-“ Hum kosis karenge Kaka.”
Main-“ Pata hai ki aaj Panditji kya keh rahe the.”
Paras-“ Kya.”
Main-“ Panditji keh rahe the ki tum log bhi jadu kar sakte ho.”
Payal-“ Sach me. Par kaise.”
Main-“ Kal hum sab jayenge. Magic School me tumhara admission karne. Wahan pe tumhe Magic k bare mein sab bataenge.”
Paras-“ Par hum Magic sikh kar kya karenge.”
Main kucch soch te hue bola.
Main-“ Agar kabhi mujhe jarurat pade to tum meri madad kareena. Jaise Panditji aur wo Healer Magician ne ki. Aur phir se unn logo ne hum pe humla kiya tab tum meri raksha karna. Dekha nahi main dono samay ghayal ho gaya.”
Payal-“ Main jarur apki raksha karungi.”
Aise hi hum logo ne baat ki aur Sham ko ghar m andar aa gaye. Phir raat ka khana khake sogaye.
Phir Kal subah Panditji k and k baad hum log Magic School k taraf chal diye.
Jab Hum Magic School pahunche to use dekh k mujhe bada jhatka laga. Kyun itni badi building mene ajj tak nahi dekhi thi. Pehle hum Magic School k Pradhan sikshak se mile. Unhone Paras aur Payal k test k liye bhej diya. Jab un logo ko pata chala k Payal aur Paras k 10 Meredian khule hain to wo log bahut khush hue. Aur jaldi se dono ka admission karwa diya gaya.
Uss k baad Mene Pandit ji k sath bachho k bhej diya. Aur Sena Mukhyalaya k taraf chala gaya. Aur wahan apne ane ka karan bataya. Waise bhi iss baar Academy k test k liye sena se bahut Sainik aa rahe the to kisine ne bhi jyada puchh tachh nahi ki. Uske baad mujhe apne sath hathiyar rakhne ki anumati patra bhi mil gaya. Ye anumati Patra dikha kar mein kisi bhi Lauhar se hathiyar bana sakta hun ya kharid sakta hun. Par Dev Nagri k rule k hisab se mein Dhanush aur Arrows kharid sakta hun par usee mujhe andar hi rakhna hoga. Wo Anumati Patra leke me sabse pehle ek Lauhar k paas chala gaya. Wahan pe mene 1 Dhanush, 12 Arrows, 2 Long Knife, aur 1 Blade kharid liya. Itne Hathiyar kyun ki ye meri ek aadat thi jab mein sainik tha. Uske baad mein 4 Wooden Swords, aur kuchh lakdi aur ghas k putliyan kharid liya aur unko shidha mere ghar bhejne k liye bol diya. Lauhar ko kuchh jyada Mudraye dedi kyun ki ye kaam wo jaldi kare. Wahan se mein Ghar k taraf chala gaya.
Mein West me tha aur hamara ghar North East me tha. Jab mein pehle aya tha tab Northwest k gate se aya tha. Pata nahi kyun mujhe aaj phir se wo jhode p jane ka maan hua. Mene ek Ghoda(Horse) kharid liya. Aur uss taraf chala gaya. Abhi lagbhag Dopehar hua tha ki mein jhopdi k paas pahunch gaya. Jhopdi k bahar ek ped pe mene horse ko bandh diya. Mein jhopdi k andar jake dekha to sab kuchh waisa ka waisa hi tha. Pata nahi kyun aaj mujhe yahan ane k maan hua. Jaise hi mene jhopdi bahar nikal muje ek awaz sunayi diya.