Update:4
Previously:
Phir A3 ne Payal par hamla kar diya.Par ye kya. Uska war hawa mein hi ruk gaya.wo bar bar kausis karta raha par har bar uska war hawa mein ruk jata tha.Jaise koi adrishya kawach hai.unke war ko rok raha hai. Main ye dekh k shock ho gaya. Itne mein Saray k log aa gaye phir wo tino khidki se kud kar bhag gaye. Mera dard jaise badha tab main shock se nikla. Mere pet mein abhi bhi do Khanjar fase the. Dhire dhire meri ankhe band ho rahi thi aur mera sar chakra raha tha. Main wahin gir pada aur anke band karne se pehle Paras aur Payal ko meri taraf bahgte hue dekha. Aur phir sab kuchh andhera ho gaya.
Aab Aage:
“Ahhhh…..!Ahh…..!” Main dard k bajeh se uth gaya. Aankhe dhire dhire khule. Idhar udhar Sar ghumake dekha to mere paas Kaka, Kaki, Payal,Paras aur ek ladki bethi thi. Main dhire dhire uth k bethne laga.Kaki aur Paras ne sahara de kar uthaya. Main sab se kuchh puchna chahta tha par usse pehle Kaki ne bola.
Kaki-“Beta, ab kaisa lag raha hai.”
Main-“Ji thoda dard hai, Par mein thik hun. Aap sab log thik to hai na.Aur Kaka kaise hain unhe to chot ayi thi na.”
Kaki-“Han beta hum log thik hai. Tumhare Kaka bhi thik hain. Ye Sakshi Ji hain. Ye ek Healer Magician hain. Isi saray mein ruki thi. Inhone hi Kaka aur tumhara ilaz kiya hai.”
Ab sala mujhe jhatke pe jhatke mil rahe the. Ek to sala pichhle do din se dard k sath meri nind tut rahi hai, upar se ye ek magician. Sala idhar Magician bhi hain. Lagta hai aage puri lagni wali hai. Main apne mein khoya hua tha tab kaki ne kaha.
Kaki-“ Kahan kho gaye beta.”
Main-“ Ji kuchh nahi Kaki, (Sakshi se) Ji aap ka bahut bahut shukriya aap ne mujhe aur Kaka ko bachaya.”
Sakshi-“Ye koi badi baat nahi hai, kal main waise bhi thak gayi thi to (kaka ki taraf ishara karte hue) inko thik kar diya, phir tumhe lagbhag thik kar diya hai. (Kaki ki taraf ishara karte hue) Aap ko muje aur 10 Raupya Mudra dena baki hai. Aap jaldi de denge to mai chali jaungi.”
Mene jab uski baat suni to mera gussa bad gaya. Ek to main usse achhe se bat kar raha tha aur wo apne ghamand me chur hoke hamse aise bat kar rahi hai ki hum jaise uske naukar hai. Main kuch bolne bala tha par Kaki pehle hi bol padi.
Kaki-“ Beti, hamare paas jitna Mudraye thi humne aap ko dedi. Aab hamre pass kuchh nahi bacha. Hame maaf kardo. Agar tum chaho to uske badle hum ek saal tak tumhare yahan naukri karlenge bina paiso k.”
Ye sun k bhi mujhe shock laga..Pehle ki Kaki ne mere ilaz k liye apna sara paisa laga diya hai aur phir baki ka paisa chukane k liye unhone kisi k yahan naukri karenge bol rahe hai. Par uske baad jo mene suna usko sun k mera dimag kharb ho gaya.
Sakshi-“ Dekhiye aapko ye pehle sochna chahiye tha,ki aap k pass kitna paisa hai aur aap kiska ilaz karna chate hai. Agar aap k paas paise nahi the tab kisi baid ko kyun nahi bulaya.Aur apko naukri pe rakh k mujhe sirf nukshan hi nukshan hoga. Aap dono ki to umar ho chuki hai,aur bachho ko to main kam pe nahi rakh sakti. Aur ye to abhi kaam karne k halt mein nahi hai. Aap ek kaam kijiye ye ladki k gale mein jo har hai use mujhe de dijiye. Tab apka hisab chukta ho jayega.”
Kaki-“ Par Beti, Ye Payal ki maa ki aakhri nisani hai. Usne isko kabhi bhi utarne se man kiya hai.”
Sakshi-“Mujhe kuchh nahi sun na, aap muje mere Mudraye de dijiye jaldi.”
Kaki dukhi hoke Payal ki taraf mud gayi. Wo Payal se baat karke wo har land k liye bolne lag gayi. Mera gussa abhi bahut badh chuka tha.
Main-“ Kaki uski koi jarurat nahi hai. Aap ko Payal ka har Lane ki jarurat nahi hai. Main abhi Mudraye lekar ata hun.”
Itna bol kar main bed se uth k nichhe chlagaya. Niche Saray k malik se ek aam k badle sauda kar k 5 swarna Mudraye aur 100 Raupya Mudraye lekar agaya. Jab main upar aya to dekha Sakshi kaki se wo har dene k liye jor kar rahi thi. Mene usko 10 Raupya Mudraye dekar wahan se chale jane ko kaha. Mere sath Saray ka malik bhi tha to wo kuch jyada bol nahi payi. Par jate jate wo Payal ki har ko badi ummid se dekh rahi thi, phir mujhe gusse se aise dekha ki jaise mujhe kachha chaba jayegi.
Uske jane k bad Saray k malik ne hamare khane pine k byabsha wahin hamare room hi kardi. Are bhai itna jyada labh bhi to hua hai use. Khana khane k baad hum log thoda hum log sabhi wahan se chal diye. Kaka thik hogaye the par abhi bhi kamjor the, isiliye kaki age beth kar gadi chala rahi thi.Kaka sabse pichhe bethe the aur main kaki k pichhe mere aur mai k bich main Payal aur Paras bethe the. Payal mere se pura sat kar bethi thi. Me d socha yahan pe pehle aam ek durlav chis hai, phir Mudraye,phir Healer Magician,phir 10 Raupya Mudraye k badle ek saal tak naukri ye sab bahut ajib hai mere liye to kyun na kaki se thoda puchh lun, kyun ki kaka to sogaye the,umar ho gayi hai Bhai.
Main-“ Kaki ye Healer Magician kya hai. Kya yahan par Magic hai.”
Kaki-“ Han beta, yahn par Magic hai. Sab k paas to nahi hota par thode bahut logo k paas hota hai. Mujhe to jyada nahi pata par hamare ghar k paas ek devi mandir hai wahan k pandit ji ko bahut kuchh pata hai. Wo khud ek bahut bade Magician hain. Jyadatar Magician bahut ghamandi hote hain. Par Panditji bahut achche swabhav k hain.”
Main- “ Achha Kaki, baki main Panditji se puchh lunga, Kaki ye Dev Nagri m bare mein kuch bataye.”
Kaki-“Beta, Dev Nagri yeh, Aryavarta ki Rajdhani hai. Nagar ko 8 bhago mein bata gaya hai. Purab, Paschim, Uttar, Dakshin,Aishan(North-East),Agney(South-East),Vaibhav(North-West),Neirut(South-West). Hamara ghar Agney bhag mein hai. Yahan k jo Raja hain, unka Mahal Uttar bhag mein hai.Nagar k purbi bhag mein ek nadi gayi hai.isiliye wahan pe ek bandargah hai aur isiliye jyadatar kheti Dakshin aur Agney bhag mein hota hai. Nagar k bich main bahut bada bazar hai. Hum apna saman bhi wahi bechte hain. Nagar mein har bhag k aakhri mein dwar(gate) hai aur har dwar se dusre dwar tak pakka rasta hai aur sabhi rasta bazar mein milta hai.Uttar ki taraf bahut Pahad hai aur jungle bhi, aur paschim mein sena rehti hai. Aur bhi bahut kuchh hai beta dhire dhire sab pata chal jayega.”
Isi tarah baat karte karte hum log dopehar se pehle bazar mein pahunch gaye. Bazar mein hum log apne dukan k pass chale gaye. Mene dukan dekha uski halat kuch thik nahi thi. Kaka aur kaki paas k dukandaron se baat karne lage. Main Payal aur Paras se baat karne laga. Thode samay baat main aur kaki raat k khane ke liye saman kharid kar agaye aur apne dukan mein rakh diye. Dopehar ka khana hum bazar mein karliye. Khane k baad saman leke hum log ghar k taraf chale gaye. Raste mein kaki mujhe kahan kya hai, kis chij ki kheti hoti hai wo sab batane lage. Kaki ne mujhe raste se wo Devi Mandir bhi dikhaya. Waise dekhte dekhte hum log ghar pahunch gaye.
Jab mene ghar ko dekha tab uski halat bhi mujhe thik nahi lagi. Kaka ghar ek bada jhopdi tha aur usme bhi bahut marammat karna baki tha. Ghar mein tin kamre the. Ek mein kaka kaki rehte the, ek mein Payal aur Paras , aur ek common room tha, kitchen bhi usko lag kar tha. Kaka,kaki ne mujhe andar sone ko bola par mein ne bahar sone k liye bol diya.uske baad hum log raat ka khana khake so gaye. Mene sone se pehle Paras aur Payal se bahut baat ki.
Aaj mein subeh jaldi uth gaya, Kaka, Kaki bhi uth gaye the. Kaka khet ki taraf nikal rahe the, isiliye mein bhi unke sath chala gaya.ghar ko lag kar hi khet tha. Kaka mujhe khet mein kya karna hai wo bata rahe the. Mera dard ab khatam ho gaya tha phir bhi thodi kamjori thi.isiliye mein jyada kaam kar nahi paya. Jaise taise mene aur Kaka ne khet mein thoda kaam kiya. Dopehar se pehle hum logo ne bazar mein bechne k liye sabzi ekkattha kardiya. Uske baad main aur Kaka dopehar ka khana khake baccho k sath sabzi bechne chale gaye.
Bazar Mein mene sabzi bech kar kaka k sath jake baki aam bech diye. Mujhe baki 5 aam k badle 50 Swarn Mudraye mil gaye. Uske baad mene kaka se baat kar ke dukan aur ghar ki marammat k liye dusre dukandar se bat kar liya. Phir sabzi bech kar hum log ghar chale aye. Aise hi ek hafta nikal gaya. Dukan aur Ghar ki marammat bhi thik se ho gayi. Ghar k charo taraf diwar bhi khadi kardi. Aur diwar k andar bachho k liye khelne k liye jaga bhi bana di.
Agle din subeh kuch sipahi hamare ghar k taraf aagaye. Unke sath ek aadmi bhi tha. Wo aadmi k bahut kimti kapde pehne hua tha.