Update 7
Duniya ki sari Khushi ek taraf aur berojgari se picha chhudaane ki Khushi ek taraf, Aaj Khush to main itna tha jitna koi berojgar kabhi Khush nahin ho sakta tha mujhe naukari mil gai thi.
Main hamesha sochta tha jab naukari milegi to Kya hoga, main sochata tha Jism per suit hoga, paon mein boot hoga aur hathon mein Gori ka hath hoga.
Bus bus aise hi sapne sochte sochte main Ghar a Gaya aur ghar aate hi Maine badi jor se gate khatkhataya.
dhadammmm....(khatkhatana ki awaaz)
Jara si der ki tasalli nahin hai Kaun hai Jo itni teji se gate Baja raha hai Tod dalo hamara darvaja..... Yah Dil jalane wali baat Nikita ne Kahi thi gate khol kar theek mere samne khadi thi aur yah Shabd kahe gaye the.
Me- Oye door well Jaise munh wali ladki tu yahan darvaje per khadi ho jaegi to mujhe gate khatkhatane ki jarurat nahin padegi.
Nikita- kutta hain tu.
Me- chal nikal hawa aane De.
Me sheedha mummy ke pass gaya aur mummy ke pao chuwe aur unse gale lag Gaya.
Mummy- kya baat hai aaj to bada Khush najar a raha hai mera laal.
Me- mummy mujhe naukari mil gai ab main kal se kam par jaya karunga.
Ek Garib family mein agar Kisi ek family member ki naukari lag jaaye to puri family ko support mil jata hai. Aur yahan to Mayi ke Lal ko naukari mil gai thi, mummy bahut khush Hui.
Mummy- are vah yah to bahut acchi baat hai kal kitne baje se jaega beta main tere liye lunch taiyar kar dungi.
Me- are mummy aaram se lunch taiyar kar dena Mera 9 baje ka time hai 8:00 baje to aap Daily khana banati ho.
Nikita- naukari Aaj Mili hai, chhod parson dega.
Me- kitni acchi baten Karti hai tu, tu gadi ke niche kyon nahin aa jati.
Nikita- pichhali bar Jitendra bhaiya ke sath jute ki factory mein kam karne gaya tha do din bad hi kam se har Gaya tha na.
Me- vo jute ki factory wala kam tha usmein pure din khada rahana padta tha. Jhoote ka kam hath se hone ki vajah se mere hathon mein chhale bhi pad gaye the isiliye mummy ne hi mana kar diya tha Maine kuchh nahin Kiya samjhaji..
Nikita- main to Khush hi ho jaaungi agar tu is kam per Tika Raha to, vaise kaisa Kam hai ye.
Mummy- haa! Tune yah to bataya hi nahin kam Kya Karna hai tujhe.
Me- ek badi limited company hai ismein job mila hai koi padha likha chahiye tha, agar simple language mein kahun to computer ka kaam hai Mummy.
Nikita, Mummy- achhi baat hain,
Mummy- Ja hath muh dhokar aaja bahar se aaya hai na tu.