• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Adventure of karma final chapter ( World beyond the world ) mystery of dungeon's .. Part 1

Subrat 9876

New Member
77
81
33
Do NOT post or request any information that might jeopardise your account security. This includes, but not limited to - private chat invites, sharing of personal contact number, Email Id, Skype Id, FB profile, etc. XForum will not be responsible for ANY issue (including phishing/hacking, etc.) that these acts might bring.

Thanks
Black Hearted
 
Last edited by a moderator:

Super lovely

Active Member
866
899
93
Waiting
 

John Cena

Well-Known Member
5,404
7,026
188
Aditya bhai ma na ya wala part sara parh liya bas 3 update nhi mile mujhe 32,33,34 ya wala bhai plZ update da do
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,833
143
nice update
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,833
143
bhai is story ka part 2 chaihe
 

aditya

Active Member
929
1,490
139
Update 9
Prince taherma .. King Brunel aap mera apman kar rahe hai..
Aur waise bhi main kaise man lu aap jo keh rahe hai wo sach
hai .. Iska koi sabut hai apke pass ..king melboalfan to mujhe
mujhse bhi chote ek bachhe lagte hai ..
Yumina .. Prince taherma apni jaban ko lagam do warna
main laga dungi...
Main.. Shant ho jao beti .. Shan't ho jao .. Wo abhi bachha hai
..Aur bachho ki baat ka bura Nahi mante..
King sintel .. King taherma lagta hai apne apne Prince ko sahi
siksha nahi di hai .. Jinko apni had nahi malum hoti wo
muskil me pad jate hai ...
King metalica .. King Brunel aap shant ho jaiye prince ko abhi
gyan nahi hai .. Main is shava me aap sab ko batana
chahunga jo king Brunel ne kaha hai wo 100% sach hai ..
Unhone to phirvi kam bataya ..
Maine jo najara dekha hai ajtak kabhi bhul Nahi paya ....
Main khada ho gaya ..
Main.. King metalica us din ke liye main bhi sharminda hu
Maine jarurat se Jada hi apko dikha diya tha ...
King taherma .. King melboalfan aap suru se lekar abtak
shava me apna mat nahi rakhe hai .. Aur jitna king Brunel ne
bataya hai uspe Hume biswas nahi hai .. Hum apse janna
chahte hai.. Kis had tak ye bate sach hai ya bas banayi hui ek
kahani ..
Main.. King taherma king sintel ne jo bataya usme jo sachai
hai main dohraya deta hu .. Aur bas apna parichai apko deta
hu ...
Main hu karma ek aam insan ..jiske pass kuch shaktiya hai ....
Main har us magic ko istemal kar sakta hu jabtak mujhe uska
spell pata ho .. Main 5 eliment ka istemal karta hu jo is
duniya me hai ..
Mere sathi hai white king spirit aur black king spirit .. Meri
ek aur sathi hau jin husna ... Aap use dekh sakte hai ye rahi
... Husna mere charo aur chakkar laga rahi thi .. Aur ha main
dragon king bhi hu .. Duniya me jitne bhi dragon hai sab
mere kabu me hai .. Lekin taqat hone ke bawjud main kisi
dusre ke desh ko apna gulam ya unpe kabja karne ki nahi
sochta ... Na mera aisa koi bichad hai ..
King garga.. King melboalfan agar aap apni aur king Brunel
ki banayi kahani se hame darana chahte hai to aapki ye kosis
nakam hai ..
Tabhi meri najar King metalica pe padi .. Jo king luthar ko
kuch keh rahe the ...aur king luthar khade ho gaye ..
King luthar .. King melboalfan king Brunel aur king metalica
ke biswas ko main biswas karta hu... Aur aap se main madat
ki asha rakhta hu aap hame is muskil se nikalne me sahaita
kare ...
Main.. King luthar main samajh sakta hu aap kis parishiti me
gujar rahe hai .. Ye shava jo aap ne aaj ayojit karwayi hai usi
ka parinam hai .. Main aap mujhse madat ki ummid rakh
sakte hai .. Pehle is shava me ka faisla ho jaye .. Phir main
apki madat jarur karunga ...
King luthar .. Mujhe tasalli hui king melboalfan ..
Prince taherma .. King melboalfan dekh raha hu apki jhuthi
kahani ka asar ho raha hai .. Lekin in chote deksho pe hi
hoga humpe nahi ..
Main... Prince taherma lagta hai apko tamiz ajtak kisi ne
Nahi sikhayi kya aap mujhe ye mouka denge...
Prince taherma .. Aap mujhe chunowti de rahe hai.. Main
apko bata du main apne desh ka sabse mahir talwar bazz hu
..
Yumina .. Pitaji mujhe mouka dijiye na dekhu to ye taherma
ka talwar bazz kitna pani me hai ..
Main.. Nahi beti aise hi harwaqt josh me mat aaya karo.. Ye
tumhare samne bachha hai ..
Yumina .. Please dady ... Please please main thak gayi hu
kamjor talwar bazo se mukabla karte hute ..
Main.. Main tumhe ek hi sart pe mukable ki izazat dunga ..
Jabtak Prince taherma tumpe 50 war nahi karte tum na
talwar uthaogi na hi unke war ko rokogi.. Bolo manjur hai ..
Main bas ye chahta hu unko pata chale melboalfan ki taqat
hai kya ..
Shina .. Jaan isse yumina chot to nahi lag jayegi ..
Main.. Main hu na .. Yumina suraksha kabach me rahegi ..
Main bas jatana chahta hu us bachhe ko wo kaha khada hai ..
Yumina .. Thik hai dady... Main talwar nahi uthayungi pure
50 war tak ..
Main .. Thik hai jao .. Prince taherma aap ko tamiz meri beti
sikhayegi ..
Prince taherma .. Apko pata chalega taherma ki taqat ka aab
...
Main.. King taherma izazat hai is chote se mukable ka...
King taherma ne ek baar yumina ko dekha aur bola..
King taherma .. Thik hai izazat hai lekkn bata du agar kuch
galat ho gaya to iske jimmedari hum nahi ..
Main.. Ha thik hai .. Jao yumina .. Pradhan shikshak ne
mapni magic stick ghumayi aur center stage bich me se hat
gayi aur ek side me chali gayi ..
Maine yumina pe suraksha kabach magic ka use kar diya ...
Yumina ek mahir talwar bazz ke sath mahir mage bhi to aur
usko jadugari sikhayi thi uske tino ma .. Kristine shina aur
lili ne .. Yumina ke pass earth magic aur water magic ki
taqat thi ..
Galari se yumina chalang laga jaha pehle mukabla hota tha
mage ka center me pahuch gayi ..
Idhar prince taherma ne bhi chalang laga waha pahuch gaya
...
Prince taherma... Princess lagta hai aap ke dady ko apse pyar
nahi...
Yumina.. Abhi pata chal jayega pyar hai ke nahi ....
Pradhan shikshak .. Dono yodha taiyar hai niyam bata deta
hu .. Ye mukabla tab tak hoga jabtak koi ek har nahi man leta
.. Kiu ke ye asal mukabla hai to gambhir chote asakti hai ....
Aise samay me mukabla rokne ki jimmedari king melboalfan
aur king taherma ki hogi ....
Yumina talwar pakde sirf khadi thi .. Mujhe diye wade ke
anusar yumina 50 war jabtak pure Nahi ho jate wo Prince pe
war Nahi karegi ..
Prince taherma .. Kya hua abhi se dar gayi kya ..
Yumina .. Pitaji ne kaha hai 50 war tak apke war ko na roku ..
Khadi rahu .. Bas wohi kar rahi hu ..
Pradhan shikshak .. Mukabla suru kiya jaye ..
Prince taherma apne dono hatho me do talwar liye apne baju
ghuma talwar ghuma apne talwar baji ka pradarshan kar
rahe the ... Aur shava ko ye jatane ki kosis kar raha tha ke
dekho main kitna mahir hu .. Shava me sabhi king use dekh
utsahit ho rahe the ..
Yumina .. Aab jaldi bhi karo 50 war pure mujhe intezar karna
pasand nahi ..
Prince taherma .. Rajkumari 50 war jhel paogi kya ..
Hahahaha ... Phir kya tha Prince apni talwar ghuma yumina
ke taraf badha aur talwar ghuma pehla war kiya .. Bijli ki tezi
se lekin suraksha kabach ke ghere se takra talware chitak
gayi ..
Prince taherma ascharya ho gaye lekin har Nahi Mani aur
apni talwar ghuma war pe war karne laga lekin har war
yumina se takrane se pehle hi suraksha kabach se takra
bapas ho jata .. Har war talwar takrane se waha tezz roshni
chamakti .. Jise dekh puri shama hairan thi pareshan thi kisi
ko pata hi nahi chal raha tha ho kya raha hai ..
Tabhi yumina ne apni talwar uthayi aur ek round ghum ke
apna pehla war kiya ... Uske war ko ROKne ke liye prince ne
apni talwar aage kar di .. Aur yumina ki talwar Prince ke
talwar se takraya ... Aur us war ki taqat itni thi ke uske
impact se Prince taherma piche udte huye galary ki diwar se
takraya ... Prince taherma me muh se khun nikal aaya ...
Ye najara dekh puri shama khadi ho gayi aur kabhi yumina
ko dekhti kabhi Prince ko .. Jaise biswas hi nahi ho raha ho
aisa bhi ho sakta hai.. Ek itni pyari si khubsurat si ladki itni
taqatwar kaise ho sakti hai ...
Hoti bhi kiu na pehli baat yumina aam insan nahi thi ek
tabiyat thi utni hi taqatwar ... Aam insan se 3 huna taqat thi
usme .. Upar se usne war ka tarika ghumte huye uski tin guna
taqat us raftar ke sath milke taqat uski taqat se tin guna ho
gaya matlab karib 10 insan jitni taqat se humla ki thi yumina
ne .. Prince ka ye hal hona hi tha ...
Prince khada hone ki kosis kar raha tha lekin usne pair
jawab de rahe the ....
Yumina.. Ye kya Maine ye to na socha tha ek hi war me aisi
halat ho jayegi .. Aab khade hoge ya main jayu mujhe nahi
lagta tum mujhse mukabla kar paoge ...
Tabhi Prince ne gusse me wohi baithe baithe hi apne hath
aage kar fire magic ka istemal kar aag ke gole yumina pe
phek diye ..
 

aditya

Active Member
929
1,490
139
Update 10
Lekin yumina ne turant water magic ka istemal kar apne samne ek
pani ki diwar bana diya .. Aag ke gole usse takra bisfot ke sath gayab
ho gayi ...
Center me steam hi steam tha jab steam hata to yumina wohi khadi
thi ..
Prince taherma use dekh aur gusse me aane laga aur khada hone ki
kosis karne laga lekin khada nahi ho pa raha tha us impact aur diwar
se takrane se Prince ke pasliya aur ek per ki haddi tut gayi thi ...
Yumina ne hath dono aur faila liye aur water magic ka use kiya dono
hatho ke tarah aur upar pani ke kayi gole ban gaye aur wo jam ke
baraf ban gaye ... Yumina war karne hi wali thi ke king taherma ne
kaha...
King taherma .. Bahut hua bahut hua .. Mera beta har gaya .. Usme
aur ladne ki taqat nahi hai ..
Yumane apne magic ko khatam dusra roop de diya aur un barf ke
golo ko sidhiya bana wo unpe uchalti hui galary taraf chal padi puri
shava talio se gunj gaya ...
Maine yumina ko gale laga liya aur uske mathe ko chum ke kaha
...meri bahadur beti ..
Yumina.. Pitaji maza bilkul Nahi aaya ye to bahut kamjor nikla ...
Gasper .. Kong karma aap ne yumina ko kya se kya bana diya hai .. In
kuch salo me ... Main muskura kar rah gaya ..
Maine prince ki aur dekha use academy ke students sambhal rahe
the wo kafi pida me tha ...
Main udte huye galary se prince ke pass pahuch gaya ..
Maine prince ko dekha jo mujhe gusse se dekh raha tha ..
Main.. Gussa hunar ki dushman hoti hai jo gusse pe kabu Nahi pa
sakta kabhi achha yodha nahi ban sakta ...
Maine hath prince ke sine pe rakhi ..aur recovery magic ka istemal
kiya .. Rogmuktam.. Mere hatho se nili roshni nikal Prince ke jisam
me shama gayi aur dekhte hi dekhte Prince ke ghao bhar gaye had
diya Jud gayi bilkul normal pehle jaise ho gaye ...
Hum khade ho gaye .. Main muda aur bina Prince ko kuch bole udte
huye galary me agaya ...
Prince bhi galary me agaya king ne Prince ka halchal liya phir bole ..
King taherma .. Main aap ka sukargujar hu ..
Main.. Aisi koi baat nahi bachho ko aisi chote aati rahti hai .. Aur ye
mera farz tha kisi ko dard main nahi dekh sakta ...
King taherma .. Main dekh sakta hu aap ke aur hamare me kitna
taqat ka fark hai ..
King sintel .. Abhi apne dekha hi kya hai .. Lekin khair king karma
yaha apni taqat ki numaish karne Nahi aaye hai .. Is chote se khel se
apko jo andaza hua jo ki king karma ki goud li huu beti ki taqat ka
chota sa hissa hai.. Is chote se mukable me aap sabhi ne dekha ..
Lekin king karma ka yaha koi mukabla hi nahi hai .. Main khud king
Marshal ka beta king sintel jo khud me itni taqat rakhta hu ke main
garga ya taherma jaise kindom se takra sakta hu .. Lekin main king
karma se takrane ka kabhi samne me bhi nahi soch sakta .. Ye khayal
aate hi mujhe mera pura kingdom me sirf aag hi aag najar aata hai..
Jo itni taqat rakhta ho phirvi kisi desh pe abtak chadhai nahi ki kiu
ke king karma ek nek rahamdil aur is duniya se pare soch ke insan
hai ..
Main to chahunga ke ye jo dungeons hai inko kabu karne ke liye
unse uttam aur koi na hoga ... Kiu ke inko satta ka lalach Nahi hai na
hi apne desh ko failane ki koi ichha thode me hi khush rahne wale
insan hai king karma .. Prince taherma apki tarah hi maine bhi ek
baar jab ye king nahi the na hi dragon king the na hi spirit king ke
malik Nahi jin me malik the tab Maine bhi apki tarah inki bejjati ki
thi phal swarup mera bhi waisa hi hal hua tha jaisa aaj apka hua tha
.... Tab ki aur Ab ki taqat me Aab jamin asman ka fark hai .. Aab king
karma pehle se sayad 1000 guna Jada taqatwar hai. Akele hi chahe to
mere kingdom ko ek din me sayad usse bhi kam waqt me tabah kar
de ..
Main.. King sintel aap aab meri tarif karna band kare aur hamare
shamne jo masla hai uske bare me soche ..
King sintel .. King karma jinke pass taqat hoti hai wohi jimmedari
uthate hai.. Yaha bhi apko hi jimmedari leni hogi ..
Sabhi king ... Ji king karma aap ko hi jimmedari leni hogi ..
Main.. Maine pehle hi king luthar ko bachan de chuka hu main jarur
unki madat karunga .. Baat bas itni hai mere kingdom me do
dungeon's hai .. Baki dusre kingdoms me hai.. Aab agar mujhe sabki
madat karni hai to mujhe bhi aap sabhi ki ha ji jarurat hogi .. Main
kisi dusre ke kingdom me unke izazat ke bagair ghuspet kar dungeon
kabu karne nahi jayunga .. Agar sabhi apni ichha se mujhe aane
denge tabhi main unki madat ke liye unke kingdom me jayunga ....
Kiu ke king luthar sabse Jada is mamle me pareshan hai .. To mera
pehla kartabya hai main unki madat karu ..
Mere pass pehle hi jarurat se Jada taqat hai aur main agar main
dungeon's kabu karne jayunga to mujhe aur taqat hasil hogi .. Jo
mujhe aur duniya se alag kar degi .. Jo main nahi chahta tha isliye
abtak dungeon ko kabu karne main nahi gaya ..
Lekin aab baat aur hai aab kayi desh ki halat gambhir ho chali hai
aur is dungeon's se chutkara unko dena hi hoga ...
Main ailan karta hu agar main dungeon's kabu karne me kamyab
raha .dungeon's se jitni bhi doulat milegi main puri doulat ko desh
ke akar ke aur jarurat ke hisab se baat dunga .. Apne pass kuch nahi
rahunga ..
King garga .. Aur jo taqat hasil hogi ..
Main.. Uska main kuch nahi kar sakta taqat uski ka chunao karti hai
jo us taqat ka Kabil ho ..
Agar taqat mujhe chunegi to wo main kisi ko baat nahi payunga...
King taherma .. King karma aap hame itna biswas dila sakte hai aap
kabhi kisi bhi desh pe hamla nahi karenge apne taqat ka galat
istemal nahi karenge ..
Main.. Ajtak to nahi kiya .. Na bhabisya me karunga apne taqat ka
istemal ..
King garga .. Mujhe Ab bhi purn biswa nahi aap ke taqat pe ..
Main.. Aap chahte hai aap ke bisws ke liye main taqat ki numaish
karu ..
King taherma .. Numaish nahi hame bas janna hai..
Main janna hai .. Mere chehre pe muskan agayi ..
Maine hath upar kiya aur tabhi gate spell ka istemal kiya .. Hamare
sar ke upar pure shava ke barabar aine jaisa gate khul gaya aur wo
gate mere ishare se upar ee niche jamin pe bich gayi hamare sar ke
upar se .. Hum gate ke raste hawa me the hamare per to shave me
the lekin jisam asman me jwalamukhi ke upar tha ... Aur waha tha
meri sabse bhayankar sena ...dragon ki Sena ...
Mere ishare ke sath jitne bhi dragon apne apne gufa me the sab
bahar akar asman me chakkar lagane lage ...
Main gate se nikal udta hua asman me pahuch gaya aut sabse bade
dragon ke pith pe khada ho gaya ...
Puri shava atank me thi asman dragon se bhara pada tha aab in kuch
salo me dragon ki sabkha dungi ho gayi thi .. Charo aur aag ugalte
dragon ghum rahe the jise dekh kuch king to behosh tak ho gaye
baki dar ke kanp rahe the. ..
Maine bapas shava pe agaya .. Aur dragon so ishara kar apne apne
gufa me dararo me loutne ko kab diya sabhi lout gaye ...
Main dobara hath upar kiya to paro ki aur se gate bapas uth gaya aur
Hume bapas shava me chod gayab ho gaya ...
 
  • Like
Reactions: Raj and sonukale

aditya

Active Member
929
1,490
139
Update 11
Main.. Itna kafi hai ...mere is sawal ko jaise kisi ne suna hi
na ho sabhi ke rongte khade the ..
King sintel.. Darne ki jarurat nahi hai .. Aap ne dekhna chaha
king karma ne apko dikhaya .. Samajh sakta hu aap sab ki
halat ko .. Aake dimag me abhi kya chal raha hoga Aap sabhi
abhi apne apne kingdom ki soch rahe honge unki kya halat
hogi .. Lekin dariye Nahi king karma aise nahi hai bin wajah
ka yudh ladai unko pasand Nahi hai..
King garga .. Wo main keh raha tha ke mere taraf se aap ko
izazat hai aap hamare kingdom me akar dungeon's kabu kar
sakte hai ..
Main muskura diya .. Main aap mese kisi ko darana nahi
chahta tha aisi meri koi ichha nahi thi ..
King teharma .. Ji king karma hume khud se dekhna chaha
tha .. Aise taqat ke sath mujhe ascharya hai apne abhi tak
duniya kiu nahi jeet li ..
Main.. Duniya jeet ke main kya hasil kar lunga .. Sachhi
khushi pyar me .. Yudh me satta me ya bhog bilash me nahi
..
Ye duniya rangbirangi hai kitni sundar hai aap chahte hai
main un rango unse chin Ku .. Sab ko ye ehsaas dilayu ke ek
tanashah aaya tha aur apne taqat ke dam pe duniya ka king
ban baitha .. Mujhe aise satta se bhogbilase nafrat hai ..
Jitna mere pass hai main usse santust hu ..
King taherma .. Aap ke bichar Uttam hai .. Main bhi apko
izazat deta hu ..
Main.. Sukriya .. Phir kya tha sabhi kingdom ne ha kardi ..
Maine unko nirdesh diya ke philhal ke liye sabhi dungeon's
ke ilake ko kisi ka aana Jana rukwa diya jaye .... Mera pehla
dungeon kabu karna hoga sindriya ka .. Kiu ke king luthar
usse pareshan hai ..
Shava me faisla ho gaya akhir me shava ki samapti ki
ghosna kar di gayi .. Hum mahal loutne lage kiu kiu ke
dawat ka waqt ho gaya tha kafi waqt gujar chuka tha shava
me ... Main dil se khush bhi tha kiu ke meri jindagi me
adventure dobara lout raha tha .. Main bhi khule hawa me
sans lene ke liye tadap raha tha ... King banna bahut hi
jimmedari ka kam hai aur is kaam ko karte huye kabhi
kabhi kuch kurbaniya deni padti hai. . ek kahawat yaad
agaya once a king always a king .. King ki jimmedari kabhi
khatam Nahi hoti har sans me king king hi rahta hau
jimmedari ko bojh tale daba .. Apni ajadi ko kurban kar desh
hit me sabhi karya karna padta hai ..
Mahal pahuch hum kaksh me lout aaye aur taiyar ho dawat
ke liye dawat khane me pahuch gaye .. Jaha sabhi king
pahuch chuke the lekin aab mahol badal gaya tha abtak
kuch kings hi mujhe jante the aab pure duniya ke king
mujhe jaane lage the ..
Sabhi mujhse Milne aur bate karne ke liye utsahit ho rahe
the ...
Main king sintel meri raniya yumina Gasper sabhi ne ek
taraf baith dawat ka maza lene lage tabhi waha king
taherma prince taherma king garga agaye ..
Maine unko hamare sath dawat me baith ne agrah kiya wo
shamil ho gaye ..
Aab ye to swabhik tha hi har kingdom aab mujhse aur mere
kingdom se dosti rakhna chahta tha .. Kuch dar se kuch
faide Ke lalach me .. Sab ke apne apne swarth the ..
Dawat pura hua Jab hum lout rahe the king taherma ne
kaha ..
King taherma .. King karma prince aap se kuch kehna chahte
hai. .
Main. Ji Prince kahe ..
Prince taherma .. Ji mera naam jaykumar hai .. Aur main aap
mere batdalunki ki maafi mangna chahta hu ..
Main.. Prince jaykumar tumhe apni galati ka ehsaas hua itna
hi bahut hai maafi mangne ki jarurat nahi hai waise bhi
jawani me aisa ho jata hai agar sar pe jimmedari na ho ..
Main dekhne me 18 ka lagta hu lekin meri umar 22 saal ki
hai.. Meri umar badhti jayegi lekin main jawan hi rahunga ..
Lekin bite kuch salo me main khud ko jawan se tajurbekar
samajhne laga hu .. Jawan main bhi hu lekin jimmedari hai
mujhpe .. Tum samajh jaoge jag jimmedari tumhare upar bhi
aayegi ...
Prince jaykumar .. Ji sukriya king karma ..
Waha se nikal Maine yumina se kaha ..
Main.. Yumins beta Maine tumhe 50 war tak rukne ko kaha
tha na tum 49 me hi suru ho gayi ..
Yumina... Dady mujhse ruka nahi jata phirvi 49 tak ruki rahi
.. Mere hath apne aap chal pade .. Hum sabhi uski masum
baat pe has pade .. Yumina aab ek aisi yodha ban chuki thi
ke uski talwarbaji ke aage bade bade yodha bhi har man
jaye sath me magic ki aisi pakad mili thi use ke kya bataye ..
Uske hunar ko tino ranio ne nikhara tha ..
Raat ko hamare pyar ki barish me Maine meri dono ranio ko
aur unhone mujhe bhigo diya .. Dono Ke hi jisam itne
mulayam the ke kya batayu .. Lelina bhi wild aur shina bhi
dono mujhe raat bhar apne ishare pe nachsti rahi aur main
nachta raha... Unki khowaish ko puri kar meri bhi kwaish
puri ho jati .. Raat ke lambe aur pyar bhare Milan ke baad
dono ko baho me jakde leta tha to lelina boli..
Lelina .. Jaan wo keh rahi thi aab waqt nahi ho gaya chote
karma ke bare me socha jaye .. Aap aab phirse ek adventure
me Jane wale hai pata nahi waha kya ho melboalfan ko uska
Rajkumar to chahiye hi hoga na. .
Shina .. Ha jaan aab to Rajkumar chahiye hi chahiye ...
Main ... Hmm tum thik keh raho meri jaan .. Rajkumar to
chahiye hi.. Lekin sawal hai pehla Rajkumar kon dega...
Shina .. Jaan mere khayal se kiu ki hum raj Kumar ki baat
kar rahe hai .. To ya to Aliza ya phir kritine ko hi ye haq
milna chahiye ..
Lelina .. Ha waise bhi Kristine hi apka pehla pyar hai... Aur
aab wo jawan bhi ho gayi hai ..
Main.. Hmm sahi keh rahi ho lekin main tum sab se itni hi
mohabbat karta hu jitna Kristine se ..
Shina .. Hum jante hai jaan .. Bas aab melbolina lout ke
Kristine aur Aliza me sabse pehle apne taqatwar bij dal
dijiye .. Kiu ke phir hum bhi hai katar me ..
Main muskura diya .. Ha sach to tha dono kingdom ki asal
rani jo janm se hai wo Aliza aur Kristine hi hai .. Ye Charo
mere riste se rani bani hai inka aisa sochna lazmi tha ..
Raat beet gayi shubha hum taiyar ho sabhi se bida lekar chal
pade lekin lout te waqt apne sath kuch khas logo ko bhi liye
ja raha tha... Ji ha mere ship pe hi Maine sabhi king ko
amantrit kiya tha port tak ke kiye .. Unme do khas mehman
the jo mere sath mere kingdom chalne wale the .. Ek the
sindriya ke king luthar aur dusra tha mera dost mohan ....
Maine pradhan shikshak se mohan Ke bare me pata kiya to
pata chala mere Jane ke kuch mahine baad mohan ke pure
pariwar ki mout ho gayi thi dakaito ke hatho .. Metalica ke
jis ilake me wo rahte the waha dakaito ki bada dab daba tha
.. Ek raat aise hi ek lut me dakaito ne pura gaon jala diya
jisme mohan ka pura pariwar Mara gaya .. Usdin se mohan
ke liye academy hi uska ghar ban gaya... Academy me karya
kar uska jivan nirbah hota ..
Mujhe uski halat dekh bahut dukh hua .. Ek nasta khelta
insan aaj murjha gaya tha .. Nirash bina maksad ke jivan ji
raha tha... Isliye maine king metalica se baat kar pradhan
shikshak ke izazat se mohan ko apne sath chalne ko mana
liya ..
Aur king luthar hamare sath Isliye chal rahe hai ke Maine
pehle unke kingdom ke karib dungeon ko kabu karne ka
bachan diya tha .. Isliye WO mujhe sindriya chalne tak mere
sath hi mere mehman ban Ke rahenge ..
Sabhi ship pe agaye the .. Main ship ke samne khada apne
magic se pure ship ko hawa me utha wind magic se aage
badhane laga .. Sabhi king ascharya the .. Koi itna taqat ya
urja nahi rakhta jo itni badi ship ko hawa me utha hawa me
safar kar sake .. Metalica ke jagah udte the lekin chote the
aur unko udane ke liye do alag alag mage lagte the .. Sath
me kuch macanical karigiri bhi thi ...
Lekin jo main kar raha tha wo pure magic tha ..
Ship pe sabhi king ko jalpan diya ja raha tha sabhi najare ka
maza lekar unka anand utha rahe the ..
Main bhi apni dono jaan ke sath byast tha .. Mohan ek kone
me khada niche najaro ko udas chehra liya dekh raha tha ..
Aur meri beti chanchal thi aur jab unke night chacha gasper
ho to yumina bina talwarbaji kiye unko kaise chod deti ..
Royal gourd ke ghere me dono night Gasper aur yumina
talwar bazi kar rahe the ....
Yumina me josh tha to gasper me tajurba .. Dono ek dusre
se kam na the .. Waha mahol bana rakha tha dono ne ..
Ship ki raftar ke wajah se Jada samay nahi laga port tak
pahuchne me .. Hamari ship port pe utri to sabhi king ko
Maine albida kaha .... King sintel aur night Gasper ko bhi
Maine albida kaha wo apne ship pe chale gaye
Rah gaye main yumina meri raniya mere Royal gourd aur
king luthar aur mohan .. Husna to mere chakkar lagati rahti
thi kabhi mere kandhe pe baithi rahti ..
Kisi tote ki tarah.. Aur black spirit mujhse duri bana as pass
hi rahta ... Usme kabiliyat thi wo kitne hi dur kiu na ho mere
bulane pe mujhtak turant pahuch jate the ..
Ship chal padi samudri raste se .. Mujhe thoda waqt chahiye
tha kuch bhishay pe sochne ke liye .. Jo aage chalke hone
wale the ... Isliye Maine gate spell ka istemal nahi kiya ..
Thoda safar ka maza le raha tha ..
 
Last edited:

Super lovely

Active Member
866
899
93
Awesome
 
Top