YODHA
"Engage your brain before you engage your weapon.”
- 20
- 48
- 13
First of all congratulation Apollo bhai for starting your first story.Update - 1 [Trisha]
Mumbai.. Ek aisa shehar jahaan basne ki khwahish jaane kitno ko rehti hai. Shayad har kisi ka ye sapna hota hai ki wo Mumbai jaise ek shehar mei reh sake aur apni saari ichhao ko poora kar sake. Yahi umeed lekar Mumbai aaya tha Yeshwant Khanna naam ka ek naujavan. Aankho mei dheron sapne aur dil mei kuchh kar guzarne ki lalak hi thi ki ek sadharan parivar se naata rakhne waala shakhs Mumbai Police mei Commissioner ke pad par pahunch gaya.
Yeshwant ki shaadi apne ek colleague ki behen se huyi thi, ye ek prem vivah tha. Us zamane mei apni pasand ki ladki se shaadi koyi chhoti baat nahi thi par Yeshwant ke charitra se achhi tarah waqif hone ke kaaran, unke colleague ko is shaadi mei koyi dikkat dikhayi nahi di. Shaadi ke baad hi Yeshwant ke career ne ek oonchi udaan bhari thi, ek aisi udaan jiska khwab lekar wo apne gaaon se nikle the. Shaadi.. shaadi ke baad bacche, yahi ek aam hindustani ka jeevan chakra hota hai aur Yeshwant bhi is se juda nahi the.
Pehli santan ke roop mei unhe ek beti ki praapti huyi jiske baad unke ghar mei do beton ki kilkariyan bhi goonji. Yeshwant ko jahaan apni beti se khaas lagav tha wahin unki patni ko apne beton se adhik prem tha. ‘Adhik prem tha’.. shayad aisa kehna galat hoga, kyonki ek Maa ke liye apni sabhi santaan barabar hoti hain. Par haan, unki beti Vaishali bachpan se hi kuchh adhik hi shararti aur kaamchor thi, is wajah se Vaishali ko aksar apni Maa ki daant khaani padti thi.
Apni badi behen se ulat Utkarsh aur Prakash, dono hi padhayi ke maamle mei boht hi tezz the. Haalat ye thi ki Vaishali ko jahaan passing marks lene ke laale pade hote the, wahin ye dono bhai apni class mei hamesha awwal aate. Dono mei bhi, khaaskar Utkarsh kuchh zyada hi hoshiyar tha. Aksar hi uske teachers use Genius ke tamge se bhi nawaza karte parantu iske bawajood Yeshwant boht baar Utkarsh ko daantte aur samjhate huye dikhayi de jaate the.
Is wajah se aksar hi Yeshwant aur unki biwi ke beech bhi jhagde hua karte par wo ye nahi jaan paayi thi ki aakhir kya wajah thi jo Yeshwant apne itne ‘laayak’ bete ko hi dhutkara karte the. Par kuchh hi saalon baad jab Utkarsh lagbhag 21 saal ka tha, tab unhe bhi samajh aa gaya ki unke pati kyon unke bete ko daantte the. Utkarsh par ek ladki ne balatkar karne ka aarop lagaya tha, wo ladki ek madhyam vargiya parivar se talluk rakhti thi aur ek Commisioner ke bete ke khilaf lad paana, shayad uske liye mumkin hi na tha.
Par tab Yeshwant ne khud apne bete ke khilaf case darj kiya aur us ladki ki har sambhav madad ki taaki use nyay mil sake. Jab ye maamla adaalat mei pahuncha tab Utkarsh ke is gunah - ae - azeem ko saabit karne ke liye Yeshwant ke paas saare saboot the, lekin aakhiri waqt mei wo sabhi saboot jaise gaayab hi ho gaye. Utkarsh ko sabooton aur gawahon ke abhaav mei nirdosh ghoshit kar diya gaya aur us ladki ne is anyay se aahat hokar aatmahatya kar li.
Ye wo waqt tha jab Utkarsh naam ka ek insaan raaton – raat Mumbai ki un galiyon mei mashhoor ho gaya jinmei criminals aur gunahgaron ka sikka chalta tha. Yeshwant ne us ladki ke suicide ka doshi khud ko maante huye Police vibhaag se istifa de diya par yahi unki sabse badi galti saabit huyi. Iske baad unhone Utkarsh ko vakalat ki aadh mei itne gunah karte dekha ki unhe khud par sharm aane lagi, ki aakhir aisi aulaad unki kaise ho sakti hai. Khaas baat ye thi ki poore shehar ke saamne ek imaandar vakeel ka mukhauta pehne rakhta tha Utkarsh, uski asliyat ya to wo jaante the jo uske saathi the ya fir uske Maa - Baap aur chhota bhai.
Prakash ne is beech Police vibhaag ko hi join kar liya tha, wo bachpan se hi apne Pita ke hi nakshe - kadam par chalta aaya tha. Dheere - dheere wo bhi un police department ki dhool chadhi files se apne bade bhai ke kaarnamo se waaqif hone laga, par wo kehte hain na ki insaaf sabooton ka mohtaj hota hai, aur Utkarsh ke khilaf ek bhi saboot ya gawah jutane mei kabhi koyi kaamyab nahi ho paaya.
Is beech Vaishali, Utkarsh aur Prakash, teeno ki hi shaadi bhi ho gayi. Jahaan Vaishali aur Prakash ki shaadi unke mata - pita ki marzi se huyi wahin Utkarsh ne yahaan bhi apni marzi se hi shaadi ki. Iske baad wo chakra shuru hua jisne Yeshwant ko poori tarah todkar rakh diya. Unki Patni ki accident mei mrityu, Utkarsh ki Patni jo poore parivar ko sambhalne waali aadarsh bahu thi, uski mrityu, aur fir ant mei, Yeshwant ki aakhiri umeed.. unke laadle pote ke saath huyi ghatna. Wo ghatna jisne us ladke ko saare parivaar ke saamne beizzat kar diya, wo ghatna jisne us ladke ko un sabki nazron mei gira diya jo use ek aadarsh vaadi insaan maante the, wo ghatna jisne sabke dilon mei maujood prem ko nafrat mei badal diya.. Ek aisi nafrat jo kab khatm hone waali thi, koyi nahi jaanta tha...
St. Andrew's Management College, Bangalore...
Ek premium educational institution.. iski sthapna laghbhag 50 varsh pehle ek church ke Father ne ki thi. Shuru mei iska naam “Imperial Management College” tha par Father ki mrityu ke baad College ki authorities ne iska naam badalkar unke hi naam par rakh diya. Kayi shehron se bacche aate hain yahaan padhne, fees kuchh zyada hai yahaan par, lekin jis oonche darze ki padhayi aur padhane waale yahaan hain, us fees ko galat nahi thehraya jaa sakta.
Subah ke laghbhag 8 baje the, December ki thand mei College ke baahar kayi bacchon ki bheed lagi huyi thi. Unmei se zyada tar yahin ke chhatr the par kuchh filhal yahaan chal rahi rahi ghatna se aakarshit hokar dekhne ke liye bhi aa gaye the. Saamne do bikes thi aur unpar baithe the do ladke, jahaan ek ladke ka chehra helmet ke kaaran dhaka hua tha wahin doosre ladke ne helmet nahi pehna hua tha. Uske chehre par ek vyangyatmak muskaan thi aur saath hi dher saara aatmvishwas bhi dikhayi de raha tha. Paas khade sabhi bacche un dono ladkon ko cheer karne mei lage the par unke beech ek chehra aisa bhi tha jispar boht si chinta jhalak rahi thi.
Agle hi pal wahaan paas mei khade ek ladke ne 3 tak ginti gini, aur un dono bike sawaar ladko ne apni - apni bikes ko poori raftaar se aage badha diya. College ki boundary ka ek round lene ke baad dono hi bikes sadak par aage badh gayi. Filhaal sadak par naam ki hi gaadiyan chal rahi thi, aur traffic boht hi kam tha. College ke baahar khade students jigyasa se us taraf dekh rahe the jahaan se race khatam kar dono ne waapis aana tha.
Kuchh hi der mei wahaan bike ki aawaz goonjne lagi aur isi ke saath un sabhi ka shor bhi badh gaya. Jahaan wo helmet pehne hua ladka apni bike ke saath pahunch gaya tha, wahin us doosre ladke ka koyi ata – pata nahi tha. Lekin shayad is aur kisi ka dhyan gaya hi nahi. Idhar, bheed mei jis shakhs ke chehre par kuchh der pehle chinta dikhayi pad rahi thi, wahin ab shaanti ne uske chehre par kabza kar liya tha. Un sabka shor abhi thama bhi nahi tha ki achanak hi wahaan ek tez aawaz goonji, aawaz jise dahaad bhi kaha ja sakta tha...
Us aawaz ko sunkar sabhi bache shaant ho gaye, jaise unhone koyi bhoot dekh liya ho, wahin bike par baitha wo ladka bhi utar kar neeche khada ho gaya. Punah, wahaan khade us vykati ne apni kadak aawaz mei kaha, “Go to your classes, you fools.. And you, Meet me in my office”!
Unki isi baat ka intezar tha shayad un sab bachon ko, aur itna sunte hi wo sabhi wahaan se nau - do - gyarah ho gaye. Wahin unki baat sun us ladke ne apna helmet utaarte huye haan mei sar hilaya. Wo vyakti use gusse se ghoorte huye waapis mudkar chal diye. Abhi wo ladka wahaan se jaata ki achanak hi ek ladki daudti huyi uske kareeb aayi aur uski kamar par zor se ek mukka jama diya.
Ladka : Aahhh.. Paagal hai kya, chhipkali!
Par us ladki ne kuchh kehne ki bajaye, uske gaal par do thappad aur lagaye aur boli,
Ladki : Kutte.. Kameene.. agar chot lag jaati to. Bada shouk chadha hai na tujhe hero ban ne ka, batati hun mai tujhe.
Idhar wo ladka apna gaal sehlata hua bola,
Ladka : Lagta hai tere Papa ko teri shikayat karni padegi, wo bhi jaane ki unki beti kitni badi aatank wadi ban chuki.. aahhh..
Usne abhi baat poori bhi nahi ki thi ki ek aur thappad uske doosre gaal par pad chuka tha. Iske baad us ladki ne ek pal ko use ghoora aur fir palatkar wahaan se jaane lagi... “Trisha.. Ae Trisha sun to.. sorry na yaar”... Wo ladka aawazein lagata reh gaya par usne palatkar dekha tak nahi.
“So, Adyant Khanna.. Tell me one thing, tumhe is College mei rehna hai ya nahi"?
Ek kaafi khubsurat office mei kursi par baithe vyakti ne apne saamne khade usi ladke ko dekhte huye kaha, jispar,
Adyant : Matlab Sir..
Vyakti : Listen.. Ab tumhara boht ho chuka, this is the last warning for you. Agar dobara kuchh aisa kiya ki mujhe tumhe yahaan bulana pade, to rusticate hone ke liye taiyar rehna.
Iske baad dono ke madhya ek shaanti chha gayi jise kuchh pal baad unhone hi bhang kiya..
Vyakti : Abhi rusticate hona hai?
Adyant : Nahi - nahi sir..
Kehte huye wo office se baahar nikal gaya aur idhar andar kursi par baithe huye wo vyakti apna chasma theek karte huye kuchh sochne lage. Adyant office se baahar nikla aur tabhi, “Kya hua, rusticate kar diya ya nahi”?
Baahar baithe ek vridh se vyakti, jinhone peon ke kapde pehne huye the, unhone kaha Adyant se. Jispar wo muskura diya aur sar hilakar naa mei uttar diya.
“Kismat waale ho jo har baar bach jaate ho”.. Unse kuchh der baat karne ke baad Adyant wahaan se nikal gaya parantu corridor se baahar nikalte hi use wahi ladki, Trisha Canteen mei jaati huyi dikhayi di. Use dekhte huye wo apne aap se hi bola, “Chalo, Baap ki to kha li ab beti ki bhi gaali kha lete hain".
“Trisha.. Please na, dekh sorry bol to raha hoon, promise, aage se nahi karunga. Ab bol na kuchh, please”...
Trisha canteen mei ek table se lagi kursi par baithi apne mobile mei lagi huyi thi wahin Adyant uske saamne waali kursi par baitha, use manane ki koshish mei laga tha. Kaafi der tak koshish karne ke baad bhi jab koyi faayeda nahi hua to aakhir mei Adyant ne apne kaan pakad liye aur masoom sa chehra banakar us se maafi maangne laga.
Jahaan Canteen mei baithe sabhi students un dono ko dekhkar dheere - dheere baatein kar rahe the wahin aakhir kar Trisha ke chehre par bhi muskaan aa hi gayi, jise wo kaafi der se rok kar rakhe huyi thi.
Trisha : Waise to bada bahadur banta firta hai, ab kya hua tujhe?
Muskurate huye usne kaha, to Adyant ne bhi chen ki saans li, ki aakhir mei wo maan to gayi.
Adyant : Wo to normal insaano ke saamne bahadur banta hun na, ab tere saamne to achhe achhon ki nahi chalti, to mai kya cheez hun!
Trisha (Stares) : To mai kya abnormal hun?
Adyant : Nahi - nahi abnormal to mai hun, jo itni der se tere pichhe pada hua hun.
Trisha (Smiles) : Good! Apne baare mei pata hona hi chahiye. Tu chinta mat kar, chalenge hum doctor ke paas, tera ilaaz karwane.
Adyant : Tu hai na mere paas.. doctor ki kya zarurat hai?
Adyant ne uski aankhon mei dekhte huye kaha to Trisha pehli baar halka sa sharma gayi aur baat badalte huye boli,
Trisha : Waise Dad ne kya kaha?
Adyant : Wahi purani kahani, pata nahi kaise jhelti hai tu saara din unhe..
Trisha : Ae.. Tameez se, Dad hain wo mere.
Adyant kuchh kehta us se pehle uska phone bajne laga, usne phone par kuchh der baat ki aur fir bola, “Achha mai nikal raha hun, kuchh kaam hai. Kal milte hain".
[Trisha Malhotra (Age : 20) : Trisha ek boht hi zinda dil ladki hai. Iski Maa ki mrityu ise janm dete waqt hi ho gayi thi, uske baad se iske Pita ne hi iski parvarish ki hai. Apne Pita se boht zyada pyaar karti hai, aakhir bachpan se hi unhone hi iski Maa aur Pita, dono ka farz nibhaya hai. Zyada kisi se baat karna pasand nahi karti, isiliye bachpan se hi iski koyi saheli ya dost bhi nahi hai. Iske Pita St. Andrew's Management College ke Dean hain, aur ye usi college se Graduation kar rahi hai.]
Is Update ke liye itna hi. Ye update thoda chhota lagega, par jaise – jaise kahani ka base banta jaayega, aur scenes extend honge, Updates ka size bhi increase ho jaayega. Kahani ke baare mei apne vichaar zaroor saamne rakhen.
Thanks!
the title of the story "ADYANT ~ When Hatred Turns To Love" is sounds so good.
If I talk about your writing ability it's very good how you chose word and use in a particular line or situation is at top-notch.
And if I talk about your story's plot then it's a unique plot for me. It seems that ADYANT has faced some such situation in his past as a result of which he has to face the hatred of everyone. let's see what happened.
Keep it up bhai.
Waiting for next update.
Last edited: