MUNNAR
udupi restaurant me suraj baitha hua tha.ghadi dekhi to lagbhag ek ghante se wait kar raha tha
Tabhi anushka gusse se a gayi
"Kyun bulaya mujhe suraj??ab kya bacha hai ???"anushka ka para suraj ko dekhte hi chadh gaya
"Mai samajhta hoon anushka lekin tum khud socho,tum meri jagah rehti to kya karti??"suraj bol
Iska koi jawab nahi tha anushka ke liye.lekin gussa to tha man hi man me.
"Ab dhyan se suno kal hum jab ghoomne jayenge tab jungle ke paas kuch discuss karna hai,tumhare aur mere beech ki saari baatein bahar nahi honi hai"suraj fusfusate hue bola
"Haan mai to 10 saal ki bachhi hoon na,sab bol doongi"anushka suraj ko ghoorte hue kaha
"AREY tum har baat ka ulta matlab kyun nikal leti ho waise??"suraj ne poochha
"Kyunki tum ek number ke kamine ho,jhoote, dhokebaz ho aur....."Bolte hue anushka suraj ke aankhon me kho si gayi
Suraj bhi anushka ke aankhon me utar raha tha
Kuch der tak dono waise hi rahe.
"Order saar"ek malayali waiter ne kaha
"Haan wo..."
"Order bhi tum hi doge??"anushka boli
"Offo tum hi dedo"suraj chidhte hue bola
Anushka ne order diya.aur khana khaye hue dono chupchap the
"Acha suraj,agar mujhe pata nahi chalta to tum mujhe kabhi nahi batate??"anushka ne poochha
"Nahi,desh ki suraksha sarvopare hai,meri maa ko bhi nahi pata anushka"sapat labzon me suraj bola
Anushka ne mehsoos kiya ki suraj jo bhi hai lekin apne farz aur apne desh ke liye pratibaddh hai
"Suraj mai tumhe maaf kar sakti hoon,lekin meri ek shart hai"anushka boli
"Kya??"suraj ne poochha
"Pehle ye batao,mujhe as an ACP kya kya kami hai"anushka ne poochha
"Ye kya baat hui anushka"suraj ne bola
"Bataoge??"anushka ne ghoorte hue bola
"Hmm tum me josh hai anushka,nahi hai to maturity,tumhare fire arms ka nishana kaafi weak hai, anticipation power bhi kam hai aur..."
"Bas bas,burai kar rahe ho ya kamiyan ginwa rahe ho??"anushka boli
Aur suraj hasne laga.use dekh anushka bhi hasne lagi
-------------------------------------------------------------------------------
JUNGLE
"3 milkar ek ladki aur us ladke ko nahi maar paaye??"naqab pehne ek aadmi bola
"Janab us ladke aur ladki ko tapkane hi wale the ki ek ladka a tapka"ek aadmi bola
"Ab ye ek ladka aur ladki ke beech me teesra koun a dhamka??"naqabposh ne poocha
"Shayad is ladke ka bhai tha sahab,lekin jo lada wo.hame sambhalne hi nahi diya aur sabko maar maarkar bhaga diya"doosre aadmi ne kaha
"Aur tum log yahan chale aaye.maar khakar"naqabposh haskar bola
Teeno ke sar jhuke hue the.nawabposh ne ek phone ghumaya aur bola
"Salam waleikum Suleiman Bhai,fail ho gaya mission"naqabposh ne kaha
"Hmm next baar phone kiya to sar gardan se alag ho jayega,koi phone nahi"suleiman bola
"Lekin ab kya karein??"naqabposh ne poochha
"Khatam karo teeno ko,hasan sheikh ko milo,aage ka plan wahi batayega,bina plan ke proceed mat karna,next plan fail nahi hona chahiye"bol phone jaat diya Suleiman ne
Naqabposh ne gun nikali aur wahi teeno ko shoot kar diya
"Hasan shekh aap kidhar ho??"naqabposh ne phone nikali aur phone karte hue teen laashon ko dekhte hue bola
-------------------------------------------------------------------------------
LIBYA
SULEIMAN apne kuch khaas logo ke saath baith kar baat kar raha tha
Tabhi ek fate kapde pehen kar kaam kar raha tha ek aadmi ko Suleiman be dekha
"Dilawar us aadmi ko bulana"suleiman ne ishara kiya
Dilawar ne kuch aadmiyon ko ishara kiya unhone is aadmi ko laakar khada kar diya Suleiman ke saamne
"Ma ismak??"suleiman ne poochha
(Kya naam hai aapka)
"Aismi hu aadil"aadmi bola
(Mera naam aadil hai)
"limadha tartadi malabis qadhra??"suleiman ne poochha
(Gande kapde kyun pehen rakhe hain??)
"iinaa faqir,la tamlik mulabis jayida"aadmi haath jodkar bola
(Garib aadmi hoon,ache kapde nahi hai janab)
"Hmm dilawar kuch naye kapde dedo ise,aur tum
dayimaan hamam,
dayimaan 'an takun 'aniq wamurtab,
la tasawim mae aihtiram nafsak
(Hamesha nahana aur saaf suthre rehnaaur apne swabhiman ke saath koi samjhauta mat karna)
Aadmi chala gaya
"Aah habibi achi arbi bol.lete ho"sun sabhi muskurane lage
Lekin Suleiman ki apna past yaad a raha tha
4 years back
AMERICAN EXPRESS USA
sabhi candidates baithe hue the interview dene ke liye
"Next candidate...."
Ek ladka khada hua
"Alex"
Ladka wapas baith gaya.
Tie,shirt,trouser aur coat pehen kar confident tha poori tarah se
Ek ek karke saare candidate ka interview ho gaya tab last me uska naam aaya
Ladka ander gaya aur muskurate hue sabko wish karne laga
"SULEIMAN sheikh,Hmm nice resume"ek interviewer ne uska resume dekhte hue bola
"We thought Suleiman can be good in blasting people ,how did you end up doin good in studies??"doosre interviewer ne kaha
To sab thahaka maarkar has pade.
SULEIMAN ki.muskurahat dheere dheere gayab ho gayi.aur chupchap baith gaya
"We can hire you but not for the post you are looking,as a watchman"teesre interviewer ne kaha
Aur fir hasne ki awaz aane lagi
SULEIMAN chupke se utha aur bahar chala gaya
Peeche se ek halki si awaaz aayi
"Terrorist"
Jise suleiman ne sun liya tha.apne aansu pochte hue nikal gaya
Tez kadmo ke saath kamre se bahar nikal gaya wo