- 6,864
- 26,013
- 219
CITY HOSPITAL
Phone rakh kar sochne laga suraj
Choti Mausi ke bete anirban ka call tha.agar usko myra ke baare me pata chal sakta hai to maa ko pata chalne me kitna waqt lagega .kal discharge hone wala hai suraj.lagbhag poori tarah recovery kar chuka tha
Kal myra ko surprise bhi dena hai.aur saath hi saath maa ko bhi bol dega wo.kyunki aaj nahi to kal to maa ko pata chalna hi hai
-------------------------------------------------------------------------------
NEHRU PARK DELHI
"Uff ye sab kya hai suraj??"myra boli
"Na na na kholne ki koshish mat karna"suraj haste hue bola
"Aankhon pe patti bandh di tumne stupid,kaise jhakungi??lekin tum mujhe kya dikhane le aaye???"myra ki curiosity badhti ati rahi thi
"Abhi pata chal jayega,bas thoda der aur"bol myra ka haath pakadkar dheere dheere use ek jagah par le aaya suraj
SURPRISE!!!!!
HAPPY BIRTHDAY!!!
aankhen kholi myra ne aur saamne ek laal colour ka chamakta hua scooty khada tha
"Wow"myra bas dekhti reh gayi
"Pasand aaya tumhe"suraj ne poocha
"Tumhara pyaar pasand aaya suraj"myra haskar boli
"Are wo to hai hi.lekin colour aur model pasand aaya??"suraj ne kaha
"Bohut achi hai babu,lekin bohut mehengi bhi hai,sorry mai ise abhi nahi le sakti"muskurate hue myra ne kaha
"Lekin....magar..."suraj hairan tha
"Abhi hamari shaadi nahi hui hai suraj.aur filhal mai aise tohfe shaadi ke baad hi accept kar paungi,filhal mai ise accept nahi kar sakti"myra smile ke saath park ke ek bench par baith gayi
"Lekin tum to apne papa se keh rahi thi naye scooty ke liye for..."suraj halka sa upset tha
"Papa ki baat alag hai suraj,mai unki responsibility hoon aur unki beti bhi,unse lena alag hai.aur waise bhi shaadi ke baad ye mera hi hoga.filhal tumhe kiraye par de rahi hoon"myra ne aankh maarkar kaha
"Kya yaar"bol gaalo par haath rakhkar baith gaya suraj
"Suraj pata hai aaj sabse bada birthday gift mere liye yahi hai ki tum mere paas mere saath ho,lekin mera ek past hai suraj aur wo tumhe jaanna hai"myra boli
"Ek past mera bhi hai myra,aur tumhe bhi wo janna hai"suraj bola
AREY LOVE BIRDS
suraj aur myra palat kar dekhte hai ki anwesha aur nitin unhi ki taraf a rahe hai
"Happy birthday babes"anwesha boli aur ek pyari si hug de dali myra ko
"Happy birthday myra"nitin bola
Dono ne gifts diye aur baatein chalti rahi
TRING TRING
ek call aayi suraj ko
"Hello...s suraj mai bol rahi hoon, alisha...tumhari trainer....mujhe kidnap kiya gaya hai suraj....aah..mai yahan par hoon location bhej rahi hoon via whatsapp"
Phone kat jata hai.suraj turant uth khada hua
"W wo hospital me jana hoga wapas kuch clearance baaki reh gaya tha"suraj bola
Myra ne ek bhayankar look diya.kuch boli nahi
"Chor na myra,suraj tum Shaam tak to a jaoge na??birthday party miss mat karna"anwesha boli
"Right"bol daud lagaya suraj.man me toofan chal raha tha

GREATER NOIDA
suraj dheere dheere location ki jagah par pohunch gaya.ek purana ghar tha.lagbhag waise hi jaise jennifer ko rakha gaya tha
Lekin alisha dikhai nahi di,lekin suraj ne khojna na choda aur dekhte ja raha tha.
Mobile fir se dekhne laga suraj.yahi location whatsapp kiya tha alisha madam ne
Tabhi use kuch aahat sunai di.ghar ke second floor se awaaz a rahi thi.
Suraj ne dekha ki alisha bandhi hui thi.usne daud kar uske muh se kapda hataya
"Thanks suraj ab jaldi se mujhe kholo"alisha boli
Lekin suraj uthkar door chala gaya .saamne padi ek purani chair ko kheenchte hue baith gaya aur pocket se gun nikal li
"Ye kya mazaak hai suraj,untie me"alisha sakhti se boli
Suraj kuch bola nahi muskuraya
"Kab se ye chal raha tha madam??"suraj bola
"Kya chal raha tha??"alisha boli
"Aap ko pata nahi??chaliye memory rewind kar deta hoon"bol suraj us purani kursi ko alisha ke paas laya
"Ye shuru hota hai raw ke aapke join karne ke ek saal baad, information paas karna,aur agents ko marwana.aap us din jennifer madam ke saath thi.aapne unhe drinks spike kar behosh kiya.fir alex ko call karke jennifer madam ki kidnap karwaya aur..."suraj Bolte ja raha tha
"BAKWAS BAND KARO SURAJ,TUMHARE SAR PAR JASOOSI KA BHOOT SAWAR HO GAYA HAI,TUMHE PATA BHI HAI KI MAI LEAVE PAR THI.OFFICIAL LEAVE.KAL HI JOIN KI MAINE"tamtamate hue alisha boli
Suraj muskuraya
"hmm aap apne ghar jaane wali thi.bhopal.aur aapne flight nahi train ka ticket liya.aur train chadi thi lekin do teen station baad utar gai,ek hotel me thehri aur fir jennifer madam ko wahan apne kuch serious problems hone ki guhar lagakar bulaya lekin apne sim se nahi.ek mobile repairing center ke ek staff jo paise khilakar ek alag sim se call kiya,aur uske baad use fenk diya aur jab jennifer madam aayi tab drinks me kuch milaya behosh kiya aur fir to aapko pata hai"suraj bola
"Oh agar aisa hai to mai yahan kaise bandhi hui hoon??"alisha gusse se boli
"Sab dikhawa hai madam.ek aapne jab call kiya aapke aaspaas kisi ki awaazein nahi a rahi thi,ajeeb baat hai.zyadatar kidnapping me victim kam baatein karta hai aur kidnapper zyada,doosri baat aap ne mujhe apna location hi whatsapp kar diya,aur fir khud phone kaat kar apne logo seapne aap ko bandhwaya.jab mai aap ko trace nahi kar pa raha tha tab aapne kuch awaazein ki taali mai aap tak pohunch saku"suraj bola
Alisha sar jhukaye chup ho gayi
"Baaki saare saboot hospital me baith kar ready kiya hua hai maine,forsenic se sab pata chal jayega"suraj bola
Alisha abhi bhi chup rahi
"Aur mujhe aapne isliye bulaya taali mujhe marwa sake,kyunki aapko pata chal gaya tha ki mujhe kuch zyada hi pata chal chuka hai.shayad aapke boss ko nahi pata tha ye,hai na??"suraj bola
"Aapke saare aadmiyon ko hirasat me li
liya gaya hai.khair sab local hai .Anti terrorism squad kisi bhi pal pohunchti hogi"apni ghadi dekh suraj bola
"Suraj ATS mujhe hirasat me le bhi legi to bhi bacha nahi payegi un darindo se,unke haathon se marne se acha tum khud mujhe maar do suraj"alisha boli
"What??"jhatke se khada ho gaya suraj
"Haan suraj please,mai apne best student ke haathon se marna pasand karungi,bajay un aatankwadiyon ke haathon"alisha boli aur suraj ke haathon me jo bandook thi use apne seene par rakha
"Madam ye"suraj ki aankhon se aansu chalakne laga
"Gurudakshina dene ka waqt a gaya"alisha aankhon me aansu liye smile ke saath boli
"Ye GHOST-GRO7 hai tumhare haath me suraj bataya tha na.weight 750 gms,
60 meter ki effective firing, cartridge 9x 19 parabellum,15 round magazine cartridge,yaad hai??"alisha ne poochha
Suraj ne rote hue haan ne sar hilaya
"Aise trigger par sakhti se aim karne ka,and aim to kill,no sympathy with enemy,yaad hai"alisha ne poochha
Suraj ne fir haan me sar hilaya
"Meri taraf dekho suraj,you are strong,kya sikhaya tha tumhe,dushman ki aankhon me aankhen daal kar goli chalaoge,dekho meri taraf damn it"Alisha boli
Suraj na chahte hue bhi aansuon se bhari aankhon se alisha ki aur dekha suraj ne
"Apne aansu pocho suraj"sakhti se alisha ne kaha
Suraj ne waisa hi kiya
"Ab trigger par zor do aur..."
GHAIIII
Alisha ka sharir ludak kar zameen par gir gaya
"Im proud of you Suraj,j kitne.....logo..ko train kiya......t tum sab ..sabse alag ..t..h..e....jai.hi........nd"
Suraj ne mobile par message kiya ek baar aur alisha ki aur dekha aur aansu pochte hue chala gaya
(Note -anirban suraj ki mausi ka beta hai aur zyada jaanne ke liye " pagle sahab ki kabr" padhe)

Last edited: