• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AGENT(completed)

Suraj ka love choice koun honi chahiye???

  • Myra

  • Sunita

  • Anwesha


Results are only viewable after voting.

RAAZ

Well-Known Member
3,357
7,748
158
KANDAHAR
"Arjun mai akele chalunga professor ki beti ke liye .back up ke liye arjun aur ayesha rahegi.nidhi tum bahar se nazar rakhna"suraj bola

"Right"teeno ek saath bole

"Lekin hamare is chote se pistol se kuch nahi hoga,yahan pade weapons ko use karenge fully automatic hai"suraj bola

"Lekin kya ye illegal nahi hai suraj ?"nidhi ne poochha

"Jaan ke laale pad rahe hai nidhi aur tumhe legal illegal ki padi hui hai.hadh hai yaar"arjun frustration me bola

Nidhi ne bhi gusse se muh fer liya.suraj muskuraya is mushkil lamho me bhi dono bacchon ki tarah behave kar rahe hai.lekin ab yahi log uske saathi hai

"Chalo"bol suraj ne AK-203 utha liya
-------------------------------------------------------------------------------
KABUL
myra ke dil me ek ajeeb sa dar baitha hua tha.abhi tak us e yahan aakar koi kaam shuru nahi kiya aur sirf restaurant me khana khaya aur ghoome fire

Lekin suraj ka instruction bhi follow karna tha isliye jab sunita aur anwesha shopping ke liye gayi to usne mana kar diya

Lekin aaj badi yaad a rahi thi suraj ki.wo innocent sa chehra,wo smile ,wo chota sa cut mark eyebrow par.wo uske baal .
Lekin sab se achi uski....


KHAT

ek awaz aayi khidki se

"K koun hai wahan"myra ghabrate hue poochhe lagi

"I said who's there"myra ne fir dohraya

Tabhi light chali gayi aur myra ke paseene chirne lage.

Myra apnr mobile ke torch se idhar udhar dekhne lagi

"I said who's there"rone wali awaaz me.myra ne poocha

"Who..bbbbbbbbbbmmmm"
Kisi ne apne sakht haathon se.myra ka muh band kar diya

Shhhh

Epk pyari si jaani pehchani awaz aayi

Myra ko us shaks ne peecha apni aur ghumaya aur apna mask nikal diya

"S s suraj you idiot tumne dara diya mujhe stupid.tum achanak yahan aur...."myra ke Sawaal bohut the lekin suraj jawab dene ke halat me nahi tha

"Chup chup abhi ke abhi yahan se nikalna hoga myra "suraj myra ka haath pakadkar kheenchte hue bola

"Lekin kyun suraj anwesha aur sunita bhi to hai unhen kya bolun aur tum mujhe kyu lekar ja rahe ho ye to batao"myra confuse thi

"Abhi kuchh batane ka..."suraj Wahi ruk gaya.kyunki light jal chuki thi aur saamne anwesha khadi thi

"Suraj ye sab kya hai??tum.yahan????aise??"anwesha ne poochha

Achanak suraj ne apna gun nikala aur anwesha ki aur taan diya

"Game over anwesha ya mai kahun sara"suraj sakht lahze me bola

"Koun sara ye sab kya hai suraj??"myra ne poochha

"Myra tum dheere dheere bahar jao sab bolta hoon"suraj bola

"Nahi myra mujhe chod kar mat jana ye pagal ho chuka hai,dekho terrorist ke bhesh me aya hai.mujhe dar lag raha hai myra please"anwesha darte hue boli

"Myra maine kaha bahar jao"suraj bola

Myra poori tarah confuse thi.kis par yakeen kare kis par nahi.ek taraf pyaar ek taraf dosti

Lekin myra ko decide karna tha aur myra decide kar chuki thi.dheere dheere anwesha ke paas gayi.
Lekin jaise hi myra anwesha ke paas pohunchti hai uska sar achanak se chakrane lagta hai aur wo behosh si gir jaati hai.anwesha usi behosh myra ke sar par bandook rakh kar muskurane lagi

Suraj abhi bhi gun taane hue tha anwesha ki aur

"Suraj bhai itni der laga di ye pata karne ke liye??mujhe to laga tha RAW ke agents kaafi trained hai"anwesha smile ke saath boli

"Kyun fasaya ek masoom ladki ko sara tumne???dosti ka bharosa jeet kar use yahan le aayi??"suraj bola

"Itna aasan nahi tha suraj.ISI se mujhe is poore mission par nazar rakhne ke liye bheja gaya tha.yahan aate hi is ladki se dosti kar li aur professor par bhi nazar rakh sakun.lekin tumhare manhoos kadam.padte hi sab golmaal ho gaya.plan change hua aur mai is ladki ko yahan le aayi.aur haan suraj tumhe pata hona chahiye ki hamare profession me pyar,dosti ya kisi emotion ka koi value nahi hota.ab apni gun neeche rakho" sara boli

Suraj ko kuch samajh nahi a raha tha kya karen.usne apna guard down kiya to sara ko ek second nahi lagega suraj ke sar par goli chalane ke liye.aur agar kuch aisa waisa karta hai to myra ki jaan jaati hai

Tabhi lights fir se off ho gayi aur suraj ke gun se goli nikli

Uske saath hi kuch der baad lights aayi to saath me arjun aur ayesha saath enter hue room me

Myra behosh padi hui thi lekin sara bhagane me kamayab ho chuki thi
Ek aur jhatka are baap re baap kia zada hi chwamprash khatey ho tum meray bhai jo aisi zabrdast jugat bhida detay ho maza aa gaya lekin jo bhi ab update jaldi de dena warna pet me aisay hi harooray uth te rahege.
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,156
158
Kaha se kaha ghuma diya bhai apne story ko. Ab anwesha hi ISI ki agent nikli jo suraj ke sath bhi hamesha rahi h. Tab bhi suraj use na pehchan saka. Bohot hi intresting update hai bhai.

Very well done bhai
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Swaraj
Top