KANDAHAR
"Light chloroform spray use kiya hai.usi se behosh hui ye ladki"ayesha naak par rumal rakhkar boli
Suraj dhamm se baith gaya
36 ghante ho chuke the.body aur bardasht nahi kar pa rahi thi.
Bina khaye piye soye KAMZOR ho rahe the sab.lekin time kahan hai suraj ke paas???
"Ab kya???"arjun ne poochha
"Mossad ko contact karna padega,aur is ladki ko india bhejne ki taiyyari karo??"suraj bola
"Baap re itni hamari aukaad hai ki hum bina permission liye mossad se contact kare.waise ye ladki ka passport kahan dhoonde suraj,usse kya kahen??"ayesha boli
"Baat ab us level ki nahi rahi jahan hume protocol se saath jana pade.rahi baat ladki ki to nidhi tum kuch samjha dena use.ummed hai passport uske paas hi hoga.aur embassy me bhool kar bhi contact nahi karna"suraj bola
"Lekin chalo.maan bhi liya tumhari baat .lekin kaise aur kisse contact kare suraj??"nidhi boli
"Dekhta hoon.pehle thoda rest karenge guys aur haan khane ka intezam karo"suraj bola
Arjun chala gaya khana laane jabki.nidhi behosh myra ko lekar chali gayi airport ke liya
Suraj ne jagah khali kar diya aur ayesha ke saath nikal gaya
------------------------------------------------------------------------------
DEFENCE SECRETARY OFFICE
"Sir itna time ho gaya.ab hame aur is mission ko classified nahi rakhna chahiye"NIA chief harmit bola
"Agreed "saare security agencies ek saath bol pade
"Kya kehte ho mr jha"defence secretary ne ranjan se poochha
Ranjan chup tha.uske paas koi jawab nahi tha
"Aap jaisa thik samjhe sir"sar jhukakar bola ranjan
"Dekho hume RAW par poora vishwas hai.kyun na bas kuch din ki mohlat diya jaay???"defence secretary bole.
"Lekin..."
"Please bas ek request maan lo 48 ghante me agar kuch na hua to hum baaki options dekhenge right??"defence secretary ne sabse poocha
"Right sir".
Ranjan ne sabki aur dekha aur khud ko lachar aur bebas paya
-------------------------------------------------------------------------------
KANDAHAR
Suraj ne apne pocket se ek fata purana paper nikala
Isme kuch details likhi hui thi
Usne ek number ghumaya
"Hi I'm ....."
"......"
"But sir the situation is very tense here and I need help"
"....."
"I can't go according to protocol.if you can help us we will be obliged."
"....."
"Right you can't help us.but remember sir Prof amol is working with israeli scientists too with a new missile technology.if something happens to him you people will also suffer"
"..............."
"Thanks a lot."bol phone rakh diya suraj ne.uske chehre per ek muskurahat tair gayi
Jung ka aagaaz ho chuka tha
Aur ye jung hathiyaron se nahi dimag se lada jaana hai