• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AGENT(completed)

Suraj ka love choice koun honi chahiye???

  • Myra

  • Sunita

  • Anwesha


Results are only viewable after voting.

RAAZ

Well-Known Member
3,357
7,749
158
SYRIA
Chyoom chyoom
Do bullet daag Diya aur akhiri terrorist bhi khatam.manoj Sharma ne apne pet par haath diya.khoon band hone ka naam hi nahi le rahi thi.time sachmuch Kam tha

"All clear sir,we can send our team for clearing "itna hi bol paya Manoj

"Manoj are you ok??"doosre aur se awaaz aayi

"I. I. I think.....I'm fine aap jaldi team bhejiye pata nahi kitni der rok paunga inko"apne haath me rakhe pistol ke magazine reload karte hue bola Manoj

"Right Manoj right,good job by the way"bol phone kaat Diya doosre aur se

"Boys gear up for final clearance,iske baad USA ke Mariners isko apne kabze me le lenge"bol Ahmed Khan khud ready hone laga

"Mehnat hum Kare,goli hum khayein aur kabza USA ke Mariners karenge."jabde bheench Kar Rao bola

"Yahi RAW ka protocol hai rao.reason ye hai ki ye hamari ladai nahi hai,iske badle me CIA poora access degi ISI ke next move ka.ab jaldi karo Manoj akela hai wahan "bol Khan apni team lekar chopper se apni manzil ki aur chalne laga

Manoj ki haalat bohut kharab thi.abhi India ke time ke hisaab se raat ke 12:30 baj rahe honge.anju ko call karni chahiye waise bhi shayad ye uski akhiri call this.

TRING TRING

"Hello "anju ki neend se bhari Hui awaaz aayi

"A anju mmai Manoj Hoon"

"Manoj itni raat ko?"anju ki neend gayab ho rahi thi

"Suraj ko Mera pyaar Dena anju.apna khayal rakhna I love...

THA DA DA DA DA D A

call Kat gayi lekin goliyon ki awaaz suna gayi anju Sharma ko


Manoj ki aur aim lagakar 5-6 terrorist dheere dheere badne lage
Lekin isse pehle aage badhne paate Ahmed Khan ki team pohunch chuki this.aur do round goliyan chalne ke baad poore area ko clear Kiya Gaya

"Manoj my boy you are bleeding mere bachhe"Ahmed Khan ne Manoj ka sar apne God me le liya

"Haan sir, shayad akhiri mission tha Mera,mere bete ko aur b biwi ..biwi ko Mera bye Bo bo bol Dena sir akhiri bye...by......e"
Gardan ludak gayi Manoj Sharma ki
Aur aankhen chalakne lagi Ahmed Khan,Rao,Deepak,giri,Stuart aur dogra ki

Kuch hi der me USA ke Mariners area me pohunch chuke the
"That boy fought a tough battle there Ahmed"officer Oliver Manoj ko salute karta hua bola.baki Mariners bhi sar jhuka Kar khade the

"He was my best agent.in fact one of the best RAW has ever produced Oliver,the country will miss his service"bol Ahmed Manoj ko dekhne lage

-----------------------------------------------------------------------------------------------------
JAIPUR
"Mrs Sharma Mai aapka dukh samajh sakta Hoon lekin.."

"Aap Kya samjhenege Khan sahab??khoya Maine hai apne pati ko.suraj ne apna baap khoya hai,aur kis ke liye??jis desh ki suraksha kr liye unhone apne pran de diye aur wahi desh unko apnane se katra Raha hai???"anju ro rokar bolne lagi

"Manoj ka mission classified tha.mai ya koi kuch nahi kar sakta iske liye,lekin haan government ne ye medal unke sahas ke liye Diya hai , government Suraj ka poora education ka kharcha uthaygi aur aapko ek Ghar,50 lakh aur pension...."Khan ki baat ko beech me hi kaat Diya anju ne

"Kuch nahi kuch nahi chahiye mujhe,mujhe Mera pati chahiye zinda.agar nahi de sakte to unki laash Tak dekhne dijiye"anju rone lagi

Ahmed Khan uthkar tez kadmo se bahar chale Gaye.sachmuch anju ke sawalo ka koi jawab nahi tha unke paas

"Uncle papa kidhal hai??"ek chote SE bacche NE poocha

"Papa bohut bahadur the aapke .ek din AAP bhi bohut bahadur banenge aapke papa ki tarah"muskurate hue medal choye se Suraj ki Jeb me rakh diya Ahmed Khan ne

"Mera beta desh ke liye kuch nahi karega,jis desh ne mere pati ko kuch nahi diya.us desh ke liye apne bete ki Zindagi barbaad nahi karungi main"bol dhadam se darwaza bandh kar Diya anju ne
Bhai shuru kar di hain story aur aaj 1st update hi pad kar aankhey chalak gayi. Emotional update hai boss. Sahi hain waqai hat's off to the agents fighting for our safety nation safety and irony is that we are unable accept their dead bodies. Jai Hind.
 
  • Like
Reactions: agyant

RAAZ

Well-Known Member
3,357
7,749
158
Ek bottle udkar aayi aur mudit ke sar par lagi

"Maa re Mar Gaya"bol mudit sar pakadkar baith Gaya

"Abey Kya dekh rahe ho pakdo saale ko"mudit baithe baithe bola

Suraj ek chalang lagakar bhaga.bhagte hue apne cell phone pocket se nikal Kar call lagane laga

"Nitin ke bacche kidhar hai tu???"

"Abey CS khel Raha Hoon"awaaz aayi doosri aur se

"Bhai jitni jaldi ho sake pick up karne a ja.lafde me pad Gaya"Suraj rone wali haalat me bola

"Fir se Bhai Bhai me jhagda"nitin ne chutki li

"Ghante ka bhai.tu a Raha hai ki nai???aur tujhe Jo kaam Diya tha wo???"Suraj bola

"A to Raha hoon.lekin strange hai yaar.tere papa ki koi information hai hi nahi net per.kuch bhi nahi"nitin bola

"Mujhe lagta hai kuch to gadbad hua hai papa ke saath.maa bhi kuch nahi batati.kuch bhi karke pata laga yaar.please bro"Suraj minnate karne laga

"Abey tu kab se gidgidane laga???dekh Mai jitna ho sake aage badhunga.ab tui iski tension chod aur kidhar hai Bata."nitin haste hue bola

"C scheme me Hoon bro.bunkers ke neeche cellar me hoon.parking lot me"Suraj ek gaadi ke peeche chipta hua bola

"Chal Mai AATA Hoon"bol call cut Kar Diya nitin ne


BACHAOOO BACHAOOO

Suraj ka dhyaan Gaya ek ladki par jisko teen chaar gundo ne pakad rakha tha

"Tujhe koun bachayega jaaneman tu to hamari raani banegi aaj ke liye"ek gunda bola

Suraj uthkar bijli ki raftaar se daudkar ek ghoosa maarne ke liye bada.lekin gunde ladaku the.shayad martial arts jaante the.ek ne vaar ko roka.baaki teeno ne usko jakad liya.suraj chatpatane laga.aur isse pehle wo kuch samajh pata ek sui chubh gayi uske gardan par.aur sharir thanda pad gaya.aankhen bandh ho gayi

-------------------------------------------------------------------------------

"Hosh a Raha hai bacche ko madam"

"Good.dose jyada to nahi tha na??"

"Kahan madam.waise bhi har dose ka hisab government ko Dena padta hai"

HA HA HA HA

thahako ke beech Suraj ko dheere dheere hosh a Raha tha.lekin sar bhaari tha.lag Raha tha ki koi hathouda lekar sar par maar Raha hai

"AAAH fuck"apna sar pakadkar uth baitha Suraj

"Hi Suraj how's life??"ek ladki ki awaaz aayi Suraj ko

"What the....arey aap to wahin hai.aapko bachane ke chakkar me....lekin Mai Kahan hoon....aur aap log??"Suraj ke Kai sawaal the aur Kai hairaaniyan bhi thi

"I'm Jennifer Rodriguez "muskurate hue ladki ne kaha.

"Lekin..."

"Relax bacche.pehle hamare sawaalo ka jawab do"ek gunda jisko maarne ke ke Suraj aage badhaye tha wo bola

"Suraj sharma.18 years son of manoj and anju sharma ,man Singh school,12 STD haal hi me paas Kiya hai with 42 % right??"Jennifer ek file padhte hue boli

"Wow mere baare me kaafi research Kiya hai aap logo ne??"Suraj vyang bhare smile ke saath bola

"Tum aur ek ladka pichle 8 mahine se Manoj Sharma ki khoj Kar rahe ho ??kyun??"Jennifer ne poocha

"Kyunki baap hai wo mera.mujhe poora hak hai ye jaane ke liye ki unki mout kaise Hui"suraj gurraya

"Hmm.jo hua use bhool jao.aur ye khoj aur chaanbeen bandh Karo"Jennifer boli

"Kyun??"Suraj ne poocha

"Har sawaal ka jawab nahi hota suraj.itna hi keh sakti Hoon tumhare liye acha yahi hoga aur tumhare dost ke liye bhi"Jennifer boli

"Apne papa ko to Mai khoj nikalunga aur aap sab ke khilaf police station me report bhi karunga"


HA HA HA

thahake fir goonj uthe.jennifer bhi muskuraye nahi reh saki

TRING TRING.

"Jai Hind sir"phone uthakar khadi ho gayi jennifeJ

Doosri aur se kuch bola Gaya

"Ladka abhi bhi zid par Ada hua hai.kya karein???......ji ....ji sir......lekin ye???....... please sir mujhe baksh dijiye.....pl....."Jennifer aage bol nahi paayi aur phone cut jata hai

"To tum sab jasoos ho James bond ki tarah??"
Suraj muskurate hue bola

Jennifer khamosh thi aur baithe baithe aankhen band kiye hue thi

"Jaise hi aapne Jai Hind bola Maine pakad liya,aur ye baat bhi hai ki aapko mere papa se kuch to Lena Dena hai,hai na??"Suraj exited hokar bola

Jennifer ki hasi choot gayi ladka itna bewkoof hai nahi jitna dikhta hai
Wow bohat zabardast Suraj ka ek masoom bhola but smart character dokhaya hain aur padai me gol bilkul. Lagta hain shayad apne papa ki tarah yah bhinek agent ban jaaye
 
  • Like
Reactions: agyant

Johnboy11

Nadaan Parinda.
1,184
2,576
159
Good going bhai.
.
Nice updates.
.
Waiting.
.
Keep posting.
.
..
...
....
 
  • Like
Reactions: agyant

agyant

Active Member
669
833
108
Update 5,6
Finally Suraj ne training puri kar liya aur, RAW join kar liya hi...
Aur use mission ke taur ke delhi bhi bhej diya gaya.... aur college admission hua bhi to kidhar Ramdas college mai...., Jahan sunita aur Nitin ka bhi admission hua hai...
Akash un logon me se hai jo iss desh ke khate hai, aur is desh ke sath hi gaddari karte hai....
Overall nice update...
 

agyant

Active Member
669
833
108
Update 7,8
Akash bhi Ramdas college mai as a professor join kar raha hai....
Aur suraj ko anmol Srivastav nam ke professor par nazar rakhne ke liye pehla assignment milta hai...

College me enter karte hi panga ho gaya....wo bhi sunita ki bf Jimmy ke sath....waise achha sabak sikhaya jimmy ko...
 

agyant

Active Member
669
833
108
Update 9
New character..
Myra, Jimmy ka ex gf... aur uski saheli Anwesha... Jahan Anwesha Suraj ke fight se fida hai, Myra ko jaise koi fark hi nahi padta....
Pehle din se hi Suraj aur Myra ke bich khitpit suru ho gai hai...

Sarad.. jahan pura class sarad se impressed hai..., Wahin suraj ko lagata hai dal me jarur kuchh kala hai...
 

agyant

Active Member
669
833
108
Lagta hai Akash apna nam badal kar college join kiya hai.... Aur sayad Sarad hi Akash ho...
Par ek bat hai ki dushmanon ko Suraj ke bare me pata hai...., Par suraj infact RAW ko apne dushman ke bare mai pata nahi..... Ye bahut hi khatarnak situation hai...
Lagta hai RAW me hi koi gaddar chupa hai jo RAW ki info dushman ko de raha hai...... akhir kon hai wo gaddar......?
 
Top