Suraj ne phone rakh diya.anirban ka call tha,uske mausere bhai ka.padhai pe dhyan nahi laga pa raha hai,
Lekin kya suraj concentrate kar pa raha tha???
Sunita achanak uspe interested kyun hai???myra ka rawaiyya dheere dheere badal raha tha.kuch to gadbad hai.lekin kahan???
Haan samajh gaya suraj.tapak se uth khada hua aur scooty nikal college ki aur chala gaya.
"Kya hua myra suraj abhi tak aaya nahi??"celina ne myra se poochha
Myra kuch bol nahi paayi .kal suraj se thik se baat bhi nahi ki usne.agar sunita ke saath baat hui thi to batana chahiye tha suraj ko.
Kyun chupaya usse
"Wo dekho hero a raha hai tumhara"celina ne myra se bola aur suraj ki aur dekhkar hi kiya
Myra sirf suraj ki aur dekhti rahi
"Hi myra,hi celina"suraj bola aur helmet nikal ke scooty ko side me karne laga
"Celina mai library ja rahi hoon"bol myra ne suraj ki aur dekha tak nahi aur library ki aur chali gayi.
"Are tumhara pyaar ja raha hai suraj library ki aur jaao"celina ne haskar kaha
Lekin suraj celina ki aur dekhkar muskuraya raha
"Celina college kaise laga hamara"suraj ne bola
"Acha hai suraj,lekin tum myra ki aur na dekhkar mujhse kyun baat kar rahe ho??"celina ne poocha
"Myra to milti rahegi.lekin itni hot ladki kahan milegi mujhe??"suraj ne kaha
"Kya baat kar rahe ho,hot to sunita bhi hai na??"celina boli
"Tumse hot nahi,kyun na kal....nahi aaj Shaam ko coffee piya jaay??"suraj ne poochha
"Ok saamne ek acha coffee shop hai.."celina ko rok diya suraj ne
"Hatao yaar coffee shop.yumhare haath se coffee peena chahta hoon,pilaogi??"suraj ne poochha
Celina chup ho gayi
"Samajh gaya,yani mai paraya ho gaya nahi,koi baat nahi"bol suraj jaane laga
"Aisi baat nahi hai suraj.....tum aaj sham ko a jao mere flat par"celina boli
"Cool Shaam ko milte hai,bye"bol suraj chala gaya
Celina ne suraj ke jaate hi phone kiya
"Ladka mere peeche lattu hai aakash"celina boli
"Us ladke par ek paise ka bharosa nahi hai mujhe .khair continue karo ise"aakash phone par bola
"Ok aakash"celina boli
"Lekin dhyan se"aakash bola
"Khayal rakhungi,bye"celina boli aur phone rakh diya
Udhar myra door se sab dekh rahi thi.aankhon se aansu a gaye uske,jise muddat se chaha wo bhi is ghatiya Jimmy ki tarah nikla,aaj hi suraj ko sab jawab dena hoga.
Wahin suraj college se bahar chala gaya .shayad aaj class nahi karega
-------------------------------------------------------------------------------
DELHI
DEFENCE SECRETARY OFFICE
"May i come in sir??"ranjan ne poocha
"Come in ranjan"bol aane ka ishara kiya
"Chai pioge.?yahan ki lemon tea mast banti hai"bol bell bajakar lemon tea ka order diya defence secretary ne
"Aapne chai peene to nahi bulaya sir,please khulkar boliye"ranjan bola
"Hmm batata hoon pehle bolo tumhara Junior raw agent kaisa hai??"defence secretary ne poochha
"Ekdum kaccha hai ,maturity a rahi hai dheere dheere,poori tarah rely nahi kar sakte ladke par"ranjan bola
"Karna hoga ranjan,kyunki mere khayal se abhi Wahi ek hai jiske wajah se abhi tak professor ke saath kuch anhoni nahi hui,kya kehte ho??"defence secretary bola
Ranjan chup tha.
"Kuch khabrein a rahi hai jo hamare is institute ke liye achi nahi hai ranjan"defence secretary bole
"Kya sir??"ranjan bola
"Pata chala hai ki kuch raw agents bhi involve hai is bade plan me,abhi tak poori khabar nahi aayi"defence secretary bole
Ranjan sar pakadkar baith gaya
"Alisha bhi unme se ek thi,jise suraj ne khatam kiya,isliye keh raha hoon ladke me potential hai.ab hum kis tarah use utilize karte hai,wo hamare upar hai"defence secretary bola
"Professor ko marne ka plan cancel kar kuch aur to karne ka plan nahi hai na sir??"ranjan dheere bola
Defence secretary chup ho gaye.
"Sir abhi hamare agents par bhi hamla hona kam ho gaya,kuch samajh me nahi a raha.plan samajh me nahi a raha ki ye chahte kya hai??"ranjan ne poochha
"Pehle agents ko ek ek kar maarna,saath saath delhi me hamle karwana aur fir professor ko maarna ka plan"defence secretary bole
"Kuch samajh me nahi a raha hai sir"ranjan bola
"Filhal to suraj ko apne hisab se chalne do,lekin us par nazar bhi rakho.young blood hai.haath se na nikal jaaye"defence secretary bola
"Thank you sir"bol uthkar salute maarkar chala gaya ranjan
-------------------------------------------------------------------------------
Shaam ko aaj suraj ghar nahi aaya tha.myra ko bohut dukh ho raha tha.usne abhi tak phone nahi kiya tha suraj ko.lekin suraj to atleast ek call kar sakta tha.
Tabhi ek SMS aaya
"Will be coming late today.amol uncle se keh dena"
Myra ka abhiman footfootkar nikal raha tha,oh to ye sms bhi papa ke liye tha.usne bhi sms ka jawab de diya
"Whatever"
Suraj delhi ke PAHARGANJ ke galiyon me ghoom raha tha, address celina ne yahin ka diya tha.
Ek building me ghus gaya suraj.building thodi purani thi
"Come in suraj"bol darwaza khola celina ne
"Thanks" bol ghus gaya suraj
"Coffee abhi ready kartut hoon,saath me sandwich chalega na??"celina ne poocha
"Daudega,waise celina......"suraj ne poochha
"Bolo suraj"celina sandwich banate hue boli
"Tumne schooling kahan se ki??"suraj ne poochha
"K kyun??"celina ne poocha
"Bas aise hi"suraj muskurate hue poocha
"Yahin se to ki thi delhi ke..."suraj ne uthkar celina ke haath se coffee le li aur bola
"Schooling agra se kiya tha tumne,fashion designer hone ka shauk tha tumhe hai na??"suraj haste hue coffee ka sup le raha tha.wahan celina pathar si ho gayi thi.
"Sandwich kidhar hai yaar??"suraj ne poocha
Jawab me celina abhi bhi bhoot ki tarah suraj ko dekhe ja rahi thi
"Oh ye to wahan kitchen me ready hai,ruko lekar aata hoon"bol suraj uthkar kitchen se sandwich ke aaya
"Haan to tumne school ke baad nift join kiya,national institute of fashion designing"suraj sandwich khate khate bola
"Amazing sandwich hai yaar.kasam.se pata chalta to pehle hi a jata tumhare ghar,khair nift karne ke baad tumhari shaadi ho gayi,usi beech tumhe kisi se pyaar ho gaya,kisse pata nahi lekin us pyaar ke chalte tumne apne pati ko marwa dala.aur fir yahan delhi shift ho gayi .abhi tum apne lover ka wait kar rahi jo ki kab wo tumse shaadi kare,right???isi beech tumhare lover ne tumhe college me mujhe target karne ke liye bheja aur tumne mujhe myra aur sunita ke beech uljha diya.
Ek pal ke liye mai bhi samajh nahi paya tha"suraj bola aur sandwich khate khate coffee peene laga
"T t t t t t t um....he....kai...se.....pa...ta"celina hairan thi.
"Tumhare baare me aaj college time me poora pata kiya mere sources se,tumhare aashiq ke paate me to pata nahi chala lekin tumhare baare me sab pata chal gaya"suraj bola aur plate aur cup dono ek saath rakh kar celina ko dekh muskurane laga
Achanak celina daudkar suraj ke upar chad gayi
Aur apne lips ko suraj ke lips par dalne hi wali thi ki suraj jhat se hat gaya aur celina ko apne se door hata diya
"Tumhare lipstick me zahar hai"chillaya suraj aur hatkar diwar se sat gaya
"Kamaal hai ladke,isse mai kitno ko maar chuki hoon aur tu bach gaya,lekin ye kaise pata chala tujhe"celina hairani se suraj ko dekh rahi thi
"Pehli Baar to tum lipstick lagati nahi jo,doosri baat lipstick bahar jaane par lagaya jaata hai aur tumhe to filhal kahin jaana nahi tha,Teesri baat baatein karte hue tum apne lips ko saavdhani se rakh rahi thi taaki tumhare muh ke ander na jaaye lips"suraj bola
Celina abhi bhi chup thi.
"Khel khatam celina ji,ATS kisi waqt aati hi hogi"suraj bola
"Tum samjhe nahi suraj,mission fail ho gaya.ab mujhe zinda nahi chode...."
CYOOM
damn silencer se goli chalayi gayi.
Suraj daudkar celina ke paas aaya
"S suraj ....meri gal....ti ki saza ...mujhe....mil gayi.....apne pati ko...maarna ka paap.....kiya...tha....mai......."bol chup ho gayi celina
Suraj ke paas wahan karne ko kuch nahi tha.mobile mila nahi.bag me zyada kuch nahi tha.
Building se bahar nikalkar peecha muda suraj
"Ek achi life ji sakti thi tum celina,lekin tumne chuna paisa aur paisa tumhare lover ke paas tha,apne pati ko maarna ka afsos abhi ho raha hai tumhe??lekin bohut der ho gayi.khair ishwar tumhare aatma ko shanti de"bol Nikal gaya suraj