Now time to patchup and know how Rahul react and come,back in neha life
?Bro aap Rahul ke family ke sath sath hame bhi rula diye... Bahut maza aaya.. padh kar... Aur Mai phir se kuch likhne par par majbur ho gaya...
But I still activeted in silent mood.. keep it rocking bro...
Superb update..?
Fabulous update bhai
Ab Rahul kb aayega .........
Bohot acha update hai.....??
Wowww bahot heen badhiya update bhai bahot bahot maza aaya .....
Only word "WOW"
Excellent mindblowing superb fantastic update.....................?
keep posting....................?
waiting for next update...............?
Nice update bhai ab maza Ayega dekhte hain kya hota hai aage
very good keep it up when we can expect next update
Bhai update heart tching he ab next update ka intezar he
Nice update
Awesome update
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
Aage ka intjaar
Nice update bhaii bhot awala maza aya giea bhaiii ab new upbate ka intazar ha
Very very nice narration bro keep going on
Superb emotional update bhai
Bahut badhiya update bro
shandar update
Zabardast update
Nice update bro
Fantastic update lajabab
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
Aage ka intjaar
Zalim update........
Awesomeupdate waitingbro
Awesome updates
Thank you so much guys!Jabardasttt update bhai
superb & very emotional update bhaiUpdate - 85
Ab tak...
Neha yaha isliye aa paayi kyuki uske phone me anshu ka keval ek message pada hua tha!
"Jitni jaldi ho sake ghar aao! Aur ghar ke bahar darwaaze ke paas khadi rehna! Don't open the door! Don't make any noise! Bas khade rehna!"
Neha ne jab ye message padha tha toh boht atpata laga tha par anshu ne kaha hai matlab kuch baat toh hogi, yahi soch ke wo yaha aayi thi aur usne bilkul wesa hi kiya jesa ki anshu ne bataya tha.
Par usse kya pata tha ki usse itna bada jhatka lagne waala hai!
Taniya : toh mein shuru karti hu...
Ab aage...
Taniya : tumhe lagta hai tumhe sab kuch pata tha apne bhai ke baare me neha! Par asal baat toh ye hai ki tumhe kuch bhi nahi pata tha.
Neha : nooooo! Mein...mein jaanti hu usse acche se, wo...wo...
Neha ki haalat iss waqt boht hi kharaab ho rahi thi. Uska shareer kaanp raha tha, aankho me halke halke aasuo ki bunde thi, aankhein shock ke maare ekdum chaudi ho gayi thi.
Taniya : ye sacchayi sirf aur sirf mein, anshu aur tumhaare mom dad hi jaante the. Infact mujhe aur anshu ko boht baad me pata chala ye. Bua aur fufa toh tumhe bataane se rahe...aur rahul ka ye sach hamesha hamesha ke liye andhere ki gehrayiyo me kho jaata... bilkul wese hi... jese rahul chaahta tha.
Neha : nahiii!! Jhooth!!!... Aap jhooth bol rahi ho!!
Neha baahar se toh ye keh rahi thi par uska dimaag sab samajh raha tha, wo jaan raha tha ki asli sach kya hai. Fir bhi neha isse maan na nahi chaahti thi, shayad usme iss sach ko accept karne ki himmat nahi thi aur isliye aisa kehke wo khud ko jhutla rahi thi, iss umeed me ki ho sakta hai wo kisi sapne me ho ya fir sab jhooth ho.
Taniya : yaad karo! Yaad karo apne pyaare bade bhai ko... Wahi bhai, jiske saath tum itna judi hui thi.
Neha ke naa chaahne par bhi taniya ki awaaz sunte hi uska dimaag rahul ke saath bitaayi yaado se bharne lagta hai, rahul ka wo chehra, neha ka uski god me baith ke tang karna, rahul ka usse ghumaana, saare scenes uske dimaag me ghumne lagte hai.
Aur neha ka shareer aur kaanpne lagta hai, saasein tezz hone lagti hai, uska seena badi hi tezzi se upar neeche ho raha tha, wo boht hi heavily breathe kar rahi thi.
Neha (chillaa ke) : nahhhiiii!!! Wo liar tha...
Wo mujhe maarna chaahta tha, usne mujhse khud kaha tha, wo iss ghar ka akela waaris hona chaahta tha, usse...usse...
Taniya : abhi bhi tumhe samajh nahi aaya neha!? Rahul ne jo bhi kaha tha, wo tumhaare dad ka ilzaam apne sar par lene ke liye kaha tha.
Neha : ........
Taniya ka ab paara thoda chadh chuka tha. Itna sab hone ke baad bhi neha sach maan ne taiyaar nahi thi toh usne seedha aakhiri hamla karne ki sochi...
Taniya ne bolna start kiya aur bolte bolte wo ek ek kadam dheere dheere neha ki taraf badha rahi thi...
Taniya : Rahul ne tumhare aur uske relation ka balidaan diya kyuki wo tumhe bachaana chaahta tha. Bachaana chaahta tha tumhe kuch galat kar lene se. Yadi tumhe ye pata chalta ki tumhare dad tumhe nahi chaahte the, toh uss waqt tumhara reaction kya hota? Kya tum iss ghar me rehti? Ye jaante hue bhi ki tumhaare dad tumhara janm chaahte hi nahi the? Tumhaara rishta apne pita se toot gaya hota. Tumhaara rishta apni maa se bigad jaata. Tumhaari umr choti thi, tum apna ghar chorr ke bhaag jaati. Tum ye sab sehan nahi kar paati aur kuch galat kadam bhi utha sakti thi. Aur isliye! Isliye rahul ne tumhe inn sab se bachaane ke liye, khud ka balidaan de diya, usne apne uss pyaare rishte ko daav pe laga diya taaki wo tumhe inn sab se bacha sake. Usne tumhe janm nahi diya, isliye usse lagta tha ki tum uske saath rishta toot jaane se jaldi ubhar jaogi. Par yadi tumhaara rishta apne maa ya baap se toot gaya toh tum kidhar jaati? Usse pata tha ki tum ghar chorr ke bhaag jaati. Isliye sab kuch... Sab kuch usne tumhe bachaane ke liye kiya...
Neha ki saasein aur tezz ho gayi thi, lag raha tha wo kisi bhi waqt behosh ho sakti hai. Wo apne haatheliyo ko khol kar unhe kaanpte hue dekhe jaa rahi thi, jese usne unn hatheliyo se kisi ka khoon kar diya ho.
Taniya (aage badhte hue) : mein ye kehne se bilkul bhi peeche nahi hatungi ki tumhaare dad khudgarz the... Rahul hi tumhaare parivaar ko lucky aur baaki khatro se peeth peeche bachaata, tumhe abhi ye baat bhi nahi pata hogi ki jab anshu aur vanshu tumhaare ghar rehne aae the aur jab tum sabhi rahul ko chorr kar ghumne gaye the, uss raat bhi rahul ne peeth peeche tum sabhi ko bachaya tha. Uss waqt lucky tumhe waha agwa karne aaya tha...
Taniya ki baat sunn kar sabhi shocked reh jaate hai siwae anshu aur vanshu ke. Anshu ne taniya ko sab bata diya tha aur taniya wahi sab baatein bol rahi thi.
Neha phati aankho se taniya ko ghoore jaa rahi thi aur taniya dheere dheere uske paas hi badh rahi thi.
Taniya : Rahul tumhe bura bhala kehta, kehta ki tum kabhi bhi uss se aage nahi nikal paogi, hamesha uss se peeche hi rahogi kyuki wo chaahta tha... Ki tum uss se nafrat karo, usne tumhe ek reason diya ki tum mazboot ban sako aur uss se sach me ek din aage nikal sako. Wo sochta tha ki aisa karne se tumhaara aatmvishwaash badhega. Tum uss se nafrat karogi aur usse dheere dheere bhool jaogi, tum pehle se kahi zyaada hoshiyaar ho chuki hogi, aur tumhaare paas apne mata pita ka saath bhi barkaraar rahega. Yahi chaahta tha woh...
Shuru se lekar ant tak... Usne keval tumhara bhala hi chaaha. Tumhe protect karna chaaha aur kiya bhi... Usne apne mata pita ko kasam dii ki kuch bhi ho jae tumhe iss sacchaayi ka pata na chale...
Konsa bhai apni behan ko maarna chaahega? Yadi wo maarna chaahta bhi... Toh ye batao! Ki tum ab tak zinda kese ho? Usne ye sab bade hi smartly kiya, usne tumhe uss point tak pohucha diya jaha tum uske jaal me fass gayi aur uski baato ko sach maan bethi.
Taniya aage badhte badhte neha ke paas pohuch chuki thi aur wo dekh rahi thi ki neha ki haalat abhi kya hai, taniya ne uski chin ko pakda aur uska sar upar uthaaya aur uski aankho me dekha...
Taniya : usne saara ka saara ilzaam apne kandho par liya aur yaha se chala gaya. Usne apni naukri ke liye khud intezaam kiya aur waha rehkar bhi usne tumhaare upar se zara bhi dhyaan nahi hataya, wo waha rehkar bhi tumhe yaha protect kar raha tha.
Uski baat sunn neha ko monica ka chehra aur lucky waala incident yaad aa jaata hai aur uski aankho se firse aasuo ki dhaarae nikalne lagti hai...
Taniya : tum inn aankho se kabhi bhi uska sach nahi jaan paayi, tum kabhi bhi uske dhong se uska parda hata nahi paayi, tumne ye kabhi jaan ne ki koshish nahi kari ki kya usne jo kiya wo usne apni marzi se kiya ya fir kisi aur kaaran se!?
Taniya : usne sammaan ki jagah apmaan sweekaar kiya, pyaar ki jagah nafrat sweekaar kii. Aur uske baad bhi wo khushi khushi apna balidaan deke yaha se gaya... Ant tak tumhe ye jataata raha ki wo tumse nafrat karta hai.
Taniya ki zubaani sunke sabhi ki ankho me aasu the, neha bilakhte hue apne ghutno par gir padi aur apne chehre ko haatho me lekar zorr zorr se rone lagi...
Usse dekh ke nisha bhi khud ko nahi rok paayi aur wo bhi apna chehra chhipaate hue rone lagi.
Aage badh ke anshu ne neeche baithi neha ko side se hug kiya aur usse shaant karne ki koshish kii par neha ko jese ek dum se kuch soojha aur wo forun uthi aur daudte hue apne kamre ki or bhaagi.
Usse aise jaate dekh nisha ki dhadkan badh gayi, jiska usse sabse zyaada darr tha kahi wahi na ho jae. Kahi neha kuch galat kadam na utha le. Sabhi uske peeche usse awaaz lagaate hue daude par neha ne apna kamra lock karke rakha hua tha.
Anshu aur nisha zorr zorr se darwaaza khat khataane lage ki neha kuch galat na karle andar
Nisha (rote hue) : betaaa!! Betaa darwaaza khol... Nehaaaa!!! Please darwaaza khol meri bacchii... Please!!!
Anshu (rote hue) : nehuuu!! Darwaaza khol nehu please!! Tujhe hum sab ki kasam hai, rahul bhaiya ki kasam tujhe... Tu kuch bhi nahi karegi... Koi galat kadam nahi uthaegi...
Sab darrte hue bas darwaaza thok rahe the ki tabhi andar se neha ki awaaz aayi
Neha (roti hui awaaz me) : I won't do anything stupid! Aap log ghar se thodi derr ke liye chale jaiye! I want to be alone for sometime.
Nisha : nahi!! Hum kahi nahi jaenge! Tu darwaaza khol nehaaa!!!
Anshu : chachi! It's okay! Nehu ne kaha hai matlab wo kuch galat nahi karegi! Hume uski baat maan na chahiye!
Nisha : arre anshu par mein kese...!?
Anshu : nehuuu!! Promise us you won't do anything stupid.
Neha : I promise dii! Don't worry! Just leave me alone for sometime. Leave the house please. I beg you!!!
Anshu uski baat sunn thodi raahat ki saas leti hai aur sabhi ko saantvna dete hue ghar se bahar le jaati hai aur car me baith ke sabhi thodi derr ke liye bahar chal dete hai. Nisha bilkul raazi nahi thi usse darr tha abhi bhi ki neha khud ko kuch kar na le par anshu ne usse hausla diya ki wo kuch bhi nahi karegi. Ant me ghar ko baahar se hi lock karke sabhi thodi hi dur ke market ki or chale gaye aur neha ke liye kuch kuch samaan khareedne lage.
Idhar neha ghar me apne kamre me foot foot kar royi, wo apni study table par baithi hui thi aur roye jaa rahi thi, aasuo se uska poora chehra bheeg chuka tha.
Usne gusse me aakar table par rakhe pen holder ko gira diya. Par pen holder ke girte hi usme se kuch paper ke tukde nikle. Neha ne unn par pehle to dhyaan nahi diya wo sirf roti rahi par jab uska dhyaan unn papers par gaya toh usse jese kuch soojha aur usne papers ke tukde jo ki mude hue the unhe ek ek kar ke khola aur jab usne sabhi papers ko jod ke dekha toh uski aankho me aur zyaada aasu aa gaye aur apne muh ko haatho se dhakte hue wo aur zorr se rone lagi...
Ye wahi paper tha jis par rahul ne neha ke liye Drawing banayi thi (update 18).
Jab anshu aur vanshu aayi hui thi aur neha ki ladayi anshu se zoo me ho gayi thi uske baad wo ek roti hui stree ka sketch bana rahi thi par bana nahi paa rahi thi. Tab rahul ne chupke se uske room me aakar ek khil khilaati stree ka chehra banaya tha, jisse dekh kar neha gusse me aakar usse faad ke issi pen holder me thoos dii thi. Kismat ki baat ye thi ki wo abhi tak ussi pen holder me pada hua tha.
Rote hue jab neha apne room se bahar gayi aur saamne rahul ke room ka gate dekha toh uski rulayi chooth gayi. Yahi par toh usne rahul ke chehre par paani feka tha (Update 1)
Wo rote hue neeche jaane ke liye hui toh uski nazar seedhiyo par padi aur firse uske aasu nikal gaye. Inhi stairs par wo rahul ka perr kuchal ke bina koi emotion dikhae chali jaaya karti thi. Aisi koi jagah nahi thi jaha par usne rahul ko hurt nahi kiya tha.
Neha daud ke neeche se rahul ke room ki key leke aayi kyuki rahul ka room locked rehta tha. Harr 2 din me nisha uske room ki safayi karti thi aur fir lock laga deti thi. Safayi kal hi hui thi isliye abhi lock laga hua tha.
Neha ne forun rahul ka room khola aur jese hi andar daakhil hui, wahi puraana room dekh ke uski aankho se aasu rukne ka naam hi nahi le rahe the. Wo chaaro taraf ghumte hue uske room ko dekhne lagi, aage badhte hue dheere se usne aas paas rakhi hui cheezo ko chhu ke dekha jese maano wo kisi khazaane ko chhu rahi ho.
Usne rahul ki almaari jo ki wahi rakhi hui thi usse khola toh andar rahul ke hi kapde rakhe hue the. Apne haatho ko unn kapdo par ferte hue usne rahul ki ek t shirt uthayi aur usse apne seene se laga liya, usne t shirt me se rahul ki khushbu lene ka athak prayaas kiya par unme se ab rahul ki koi bhi khusboo nahi aa rahi thi.
Kyuki kapde nisha dhoti rehti thi aur wo rahul ke bhi kapde nikaal ke unhe dhoti taaki wo fresh bane rahe.
Neha bilakhti hui t shirt liye zameen par ghutno ke bal gir padi aur tabhi uski nazar bed ke neeche ek newspaper par padi jiske andar kuch rakha hua tha.
Usne jhukte hue bed ke neeche se newspaper ko kheech ke kuch nikaala aur usme lage dhaage kholne lagi, dhaaga kholte hi usne newspaper ko jab khola toh andar ki rakhi hui cheez dekh ke uski firse rulayi chooth gayi.
Aasu ki badi badi bonde uske chehre ko bhigote hue girne lagi. Saamne ek jala hue teddy bear pada tha. Ye wahi teddy tha, jisse anshu ne uske b'day par diya tha 2 saal pehle aur neha ko jab ye baat pata chali ki ye asal me rahul ka diya hua gift tha toh neha ne teddy ko neeche jaakar jala diya tha. (Update 37)
Aaj wahi adha jala hua teddy jab usse firse dikha toh uss se bilkul control nahi hua aur wo zorr zorr se rone lagi. Usne teddy ko utha ke apne seene se itni zorr se bheecha jese apne andar hi sama legi.
Usse yaad hai ye teddy 10,000 ka tha. Aur usne bina Kuch soche samjhe jala diya tha. Uss waqt toh rahul kamaata bhi nahi tha, na jaane kitni mehnat se usne paise ikhatte karke ye khareeda hoga!? Aur usne ne yu hi usse jala diya tha. Neha iss waqt itna guilt feel kar rahi thi ki yadi uski jagah koi aur hota toh issi guilt me hi doob ke mar jaata.
Jab wo uthi toh usne fir se almaari check kari par usse kuch mila nahi. Par uska dhyaan jese hi locker pe gaya toh usne key se usse khola aur andar jo dekha toh uski guilt aur bhi badh gayi. Aasu toh non-stop beh hi rahe the. Par harr baar wo aur emotion ke saath behte.
Andar ek tasveer thi jo ki ek bachpan ki tasveer thi rahul aur neha ki. Neha rahul ke kandho par baithi hui hai aur jeebh nikaali hui hai aur rahul usse sambhaal ke pakde hue hai.
Purani tasveer dekh neha ko hassi aa jaati hai, kese wo baccho type jeebh nikaali hui hai aur rahul usse pakda hua hai. Tasveer me bhi wo kitni care se neha ko sambhala hua tha taaki wo kahi gir na jae. Tasveer dekh ke neha ke chehre par ek muskaan aayi aur usne tasveer utha ke rahul ki photo waale hisse ko choom liya.
Jab usne tasveer paltayi toh usse fir se rulayi aa gayi. Peeche rahul ki likhawat me likha hua tha,
"I will always love my gudiya"
Rote hue usne apne seene se wo tasveer ko lagaya aur teddy aur tasveer leke wo apne kamre me chali gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyawad!!
Bahot ziada emotional wala updateUpdate - 85

Shukriya bhai!!Kya bhai rula diya yaar.bahot shandar or emotional update tha bhai bas agle update me story ko age badhane ki koshish kijeyega.
Waiting for next.