Update - 95
Ab tak...
Ye raat toh yu hi aise hi nikal gayi. Keval neha hi rahul ke room me thi raat bhar uski seva ke liye. Baaki sab bahar hi maujood the.
Agli subah jab hui toh rahul so ke utha aur neha usse geeli towel se wash karne lagi.
Par aaj bechaare rahul ko ye nahi pata tha ki khushi, preeti, master, vanshu, nisha sab yaha new Zealand already pohuch chuke hai aur uss se milne ke liye raaste me hi hai.
Ab aage...
Agli subah sabhi thoda exhausted the, kyuki kisi ne bhi theek se rest nahi kiya tha. Varun ne apne companions ke saath rahul ko acchi recovery ke liye wishes dii aur waha se baaki sabhi ke saath vida liya. Tina ne bhi monica aur rahul se vida lii aur rahul se contact exchange bhi kiya taaki in future wo rahul ke kabhi bhi kaam aa sake. Ab bache the toh keval monica, anshu, neha aur richa.
Neha toh rahul ke hi saath uske room me rehti harr waqt isliye baaki sab urvashi ke room me usko company de rahi thi, beech beech me wo rahul se milne uske room me aa jaaya karti thi.
Idhar nisha rajesh ke saath new Zealand pohuch chuki thi aur usne forun rahul ko call lagaaya jo ki monica ne uthaaya kyuki rahul ka phone uske hi paas tha,
Nisha : betu!?
Monica : jii mein monica bol rahi hu?
Nisha : mein... Mein yaha new Zealand aa chuki hu. Mera betu kesa hai? Kaha par hai woh?
Monica : wo ab theek hai aunty. Usse hosh kal raat me hi aa gaya tha.
Nisha : toh... Toh kya mein uss se baat kar sakti hu?
Monica : aap... Aap yahi kyu nahi aa jaati? Mein aapko address bhej deti hu.
Nisha : accha...okay! Jaldi..!
*Call ends*
Rajesh : kya kaha? Kesa hai ab rahul?? Theek toh hai na??
Nisha : haa! Usne bataya ki kal raat me hi betu ko hosh aa gaya tha.
Rajesh : chalo shuqr hai. Chalo jaldi chalo, address bhej diya hoga usne dekho.
Nisha : haa aap lijiye na... Dekhiye address.
Rajesh : accha theek hai, lao mujhe do phone
Rajesh address seedhe cab waale ko dikhaata hai aur airport se seedha dono miya biwi batae gaye address par pohuchne ke liye cab me baith jaate hai.
Neha rahul se hi lipti baithi hui thi aur keval baat kare jaa rahi thi. Uske actions har pal aur zyaada intimate hote jaa rahe the. Wo ab aur bhi zyaada rahul ko kiss kiya karti, uske gaalo ko chhuti, gardan par haath ferrti, physical touch kuch zyaada hi karne lagi thi neha.
Neha : arre!!!! Mein ye bhool kese gayi??
Neha ekdum se kehte hue rahul ke seene se uth kar baith gayi, uske chehre par ashcharya janak bhaav the.
Rahul : kya hua??
Neha : mein itni badi baat kese bhool sakti hu??
Rahul : konsi baat??
Neha : arre bhaiya!! Aapko goli kese lagi??
Rahul : huh?? Goli... Woh...
Neha : kahiye na!!! Jaldi! I want to know!
Rahul ne socha uski gudiya waqai bekaraar hai ye jaan ne ke liye isliye wo sab kuch usse bata deta hai ki kese wo monica ke saath yaha aaya aur kese usse goli lagi.
Neha ka chehra rahul ki aap beeti sunte sunte badalta jaa raha tha. Uske chehre par pareshani, dukh, hamdardi, gussa harr ek bhaav aa rahe the. Par kahani khatam hone ke baad uske chehre par koi bhi bhaav nahi tha.
Neha : kya kaha aapne?
Rahul : huh??
Neha : aapne kaha ki aap uss monica ke liye yaha aae aur apni jaan jokhim me daali aur aap marte marte bache. Yahi na?
Rahul (mann me) : arre baap re!! lagta hai mene gudiya ko ye sab bata ke galti kar dii hai. Gudiya boht gusse me lag rahi hai
Neha : mein kuch puch rahi hu aapse bhaiya!?
Rahul : ummm...haa!
Neha kuch nahi bolti aur forun uth ke rahul ke room se baahar chali jaati hai, idhar rahul usse rokne ki koshish karta hai par neha uski ek nahi sunti.
Neha kisi tezz bullet train ki tarah thi jisse shayad hi ab koi rok paane waala tha. Itne gusse me neha jaa kaha rahi thi? Aisa kya keh diya rahul ne jo neha itna gussa ho gayi? Abhi kuch derr pehle tak toh bade acche se lipte hue thi rahul ke saath. Fir achanak aisa kya ho gaya? Par ek baat toh pakki thi ki neha yadi itne gusse se kahi jaa rahi hai toh pakka kuch na kuch bakheda toh zaroor khada karegi.
Neha ne urvashi ke room ka door khola aur andar baithi teeno ladkiyo ko dekha. Anshu richa aur monica teeno hi waha maujood thi. Urvashi bistar par hi laiti hui thi aur shayad so rahi thi.
Neha ne monica ko dekha aur bina koi chehre par bhaav laate hue kaha,
"Baahar aaiye aap"
Monica ko laga shayad neha ko koi important baat karni hogi isliye wo bina kuch kahe apna sar hilaate hue baahar ki or jaane lagti hai par anshu jo ki neha ko bhali bhaati jaanti thi wo usse ek nazar me hi dekh ke samajh gayi ki baat kuch gambheer hai aur anshu bhi monica ke peeche peeche chali aayi. Richa hi thi jo keval andar thi urvashi ke saath.
Monica ke baahar aate hi neha usse thoda side me le gayi,
Neha : kya ye sach hai?
Monica : kya??
Neha : yahi ki mere bhai aapke bataane par keval aapke liye yaha tak aaye aur khud ki jaan gawaate gawaate bache?
Monica neha ki baat sunte hi thoda ghabra gayi, ye baat toh sach hi thi. Rahul keval uske liye yaha tak aaya tha aur apni jaan gawaate gawaate bach gaya.
Monica ne ghabraate hue sar haa me hilaaya aur apni nazre neeche kar lii, peeche se anshu bhi dono ke paas aa chuki thi.
"How dare you????" Neha ne ye itni tezz chillaa ke bola ki monica poori tarah se sihar uthi. Neha monica se lagbhag 9 saal choti thi par abhi usko dekh aisa bilkul bhi nahi lag raha tha, aisa lag raha tha ki wo monica ki badi behan hai.
Bagal me anshu bhi ek dum se darr gayi, uska shaq sahi nikla. Baat gambheer hi thi.
Neha : how dare you?? Aapki himmat kese hui mere bhai ko aisi jagah laane ki aur aise kaamo me uski jaan daav pe lagaane kii? Haa? Who permitted you??
Anshu : nehu!! Bhai... Bhai khud aae honge! Isme monica dii ne unhe force nahi kiya hoga
Anshu ne maamla shaant karne ke iraade se ye baat boli ki neha baat ko samjhe aur shaant ho jaaye. Wo jaanti thi ki neha ka gussa kesa rehta hai. Usse aaj bhi yaad hai kese neha ne usse chillaaya tha jab neha ko rahul ke diye hue teddy bear ke baare me pata chala tha. Uss waqt anshu khud seham gayi thi.
Neha : dii! Bhai toh bhola hai. Wo sabhi ki madad karne ke liye ready ho jaata hai, wo aisa hi hai. Arre! Mene uske saath itna sab kiya aur usne mujhe doshi bhi nahi thehraaya, uske jesa mahaan aadmi toh mene poori duniya me nahi dekha. Par iska matlab ye toh nahi hai na ki uski iss khoobi ka fayda uthaaya jae? Inhone jaan bujh ke bhai ko bataaya taaki bhai inke saath yaha aa sake. Kyu aisa hi hai na??
Monica ke andar jo glaani waale bhaav dabe hue the, wo neha ke aarop se jese khul kar baahar aane lage, monica rone lagi. Uske mote mote aasu gaalo se hote hue zameen par gir rahe the. Hospital ke corridor se guzarte sabhi log inhi teeno ko dekh rahe the.
Anshu (nervous) : nehu... Nehu! Chorr na abhi! Ye baat hum baad me bhi kar sakte hai.
Neha : nahi dii! It's very important. Inhone samajh ke kya rakha hai bhai ko?? Bhai koi khilona thodi na hai? Jaha chaahe le jao, jesi marzi chaahe istemaal kar lo.
Monica neha ki baat sunn khud ko hi dosh dene lagi thi. Wo yahi maan ne lagi thi ki rahul ki jo haalat hui hai uski kasoorwaar khud monica hi hai. Monica ki personality hi aisi thi. Wo waqai boht bholi thi rahul ke prati. Uss se aseem pyaar jo ho gaya tha usse.
Rote hue monica bas sar jhuka ke neha ki daant sunti jaa rahi thi, usne neha ko samjhaane tak ka prayatn nahi kiya ki rahul hi tha jisne usse kasam dii thi D'Souza waali baat ko bataane ke liye. Warna wo toh yaha akeli hi aa rahi thi.
Anshu : nehu!! Sunn na! Please! Monica dii humse badi hai umr me. Unse aise mat baat kar.
Neha : badi hai toh kya hua dii? Yadi inhone galat kiya hai toh kiya hai, usme bada chota kya?
Monica : I... I...
Neha (aankh dikhaate hue) : ahinda se dur rahiyega mere bhai se. I'm here to give him all the love he needs. There's no need for anyone else. Mein nahi chaahti mera bhai aapke kaaran kisi aur pareshani me pade...
Neha itna bol ke jaane lagti hai wapas se rahul ke room me aur monica idhar neha ke aakhiri shabd sunte hi fut fut kar rote hue zameen par ghutno ke bal gir padti hai.
Kya sab uski galti thi? Par wo toh khud nahi chaahti thi ki rahul ko wo yaha par leke aae. Rahul hi toh tha jisne kasam dii thi usse. Rahul hi toh apni marzi se yaha aaya tha. Par monica ko kyu accha laga tha jab rahul yaha tak uske liye aaya? Kyu monica ne jab rahul ke saath milkar D'Souza ko maara toh usse itni khushi hui ki rahul uske saath tha? Kyu? Jawaab tha... Pyaar! Rahul ka harr dam uske qareeb rehna usse itna bhaata tha ki monica ko iss baat ka andaaza hi nahi tha. Rahul ki company paakar jese monica saare beete hue dukhad pal bhool jaati thi. Apna past bhool jaati thi. Jaane anjaane me rahul se usse pyaar jo ho gaya tha. Dosti se shuru hua ye safar ab pyaar me tabdeel ho chuka tha.
Kaha rahul college ki starting me master ke paas pehle din aaya tha aur monica ne usse dekha tha tab pehli baar, usse khud nahi pata tha ki yahi shaksh ek din uska pyaar banega.
Neha ke akhiri shabd monica ke kaano me goonj rahe the. "Ahinda se dur rahiyega mere bhai se". Kitna clearly neha warning dekar chali gayi. Par kya monica dur reh paegi rahul se? Kya usse bhool paegi?
Jawaab tha... Kabhi nahi!
Andar jese hi neha rahul ke paas aayi toh rahul apna kandha pakda hua tha aur kaafi dard me lag raha tha, usse aisa dekh neha ekdum se chintit ho gayi,
Neha : kya hua bhaiya? Aap theek toh ho na?
Rahul : I...
Neha (chintit hote hue) : boliye na... Boliye kya hua??
Rahul : mene tumhe kitni awaazein dii gudiya. Tumne ek na suni!!
Rahul tezz tezz chillaaya tha, jis kaaran se uske gale ke paas ki nass khichne se uske kandhe me dard badh gaya.
Neha ko ye baat realise hote hi jese usse khud par gussa aane lagta hai, apna nichla honth daato se dabaate hue usne kaha,
"I'm sorry bhai!! Sorry! Mein boht buri hu! I... Mene aapki baat nahi suni! Punish me bhai!"
Rahul : it's fine!! Kaha gayi thi??
Abhi usne pucha hi tha ki anshu daudte hue andar aa gayi,
"Bhaaiii??"
Rahul : kya hua??
Anshu : wo...
Anshu ne koi baat nahi chhupaayi aur baahar jo bhi hua tha monica aur neha ke beech wo sab kuch usse bata diya jisse sunkar rahul ke hosh hi udd gaye,
Rahul (tensed) : tumne aisa kaha unse??
Neha (nervously) : wo.. bhai!! She...
Rahul (thoda gusse me) : is this true? Kya anshu ne jo bataya wo sach hai?
Neha (nervously) : bh.. bhai... Isme unhi ki toh galti thi. I mean...
Rahul (gusse me) : gudiya! Mene jo pucha hai uska jawaab do...
Neha ghabraate hue haa me sar hilaati hai,
Rahul : baahar jao tum...
Neha rahul ki ye baat sunn poori tarah sihar uthti hai, aisa lag raha tha jese uska sabse manpasand shaksh uss se hamesha ke liye dur jaa raha hai. Wo ekdum se ghabra jaati hai.
Neha (cries) : noooo bhai!! Please maaf kar do mujhe... Mujhe maaf kar do... I'm sorry!! Apne se dur mat karo mujhe... Please bhai!! Mujhe dur mat kariye... Mein aapke haath jodti hu
Neha forun hi rahul ke dono haath pakad leti hai, itni kathnaiyo ke baad ab jaake wo apne bhai ke qareeb aa paayi hai aur ab rahul usse apne se dur kar raha hai? Neha toh ye kabhi nahi chaahegi.
Rahul (sigh) : gudiya! Mein tumhe apne se dur nahi kar raha hu. Jo bhi tumne monica dii se kaha wo galat tha. Anshu!! Jaake monica dii ko andar le aao. Gudiya!! Tum unse abhi maafi maangogi... Okay??
Neha kuch nahi bolti bas haa me gardan hila deti hai, usse koi parvaah nahi thi ki uski izzat ab monica se maafi maangne ke baad kam ho jaegi, wo toh bas rahul ke liye kuch bhi karne ko taiyaar thi. Yadi maafi maangne se uske bhai ko khushi milti hai toh neha ek nahi 10 baar monica se maafi maang legi. Bas rahul se uska relation nahi bigadna chaahiye. Hamesha rahul uss se pyaar kare, yahi iksha thi uski.
Anshu roti hui monica ko andar laayi toh rahul thoda chauk gaya. Monica dii ro rahi thi? Gudiya ne itna bura keh daala unhe?
Rahul : monica dii??
Monica (cries) : rahul!!!
Rahul : idhar aaiye...
Monica dheere dheere aage badhte hue rahul ke sameep aati hai toh rahul apna haath badha ke usse apne aalingan me le leta hai aur bas, uske aisa karte hi monica zorr zorr se sisakte hue rone lagti hai.
Rahul : I'm sorry! Gudiya ki taraf se mein aapse maafi maangta hu
Neha (cries) : bhaiiii....
Neha forun aake monica ke perr pakad leti hai,
Neha (cries) : I'm sorry!! Please! Bhai ki isme koi galti nahi hai, aapko jo kehna hai mujhse kahiye...
Monica jo ki neha ke aasu dekh paa rahi thi wo forun aage badh ke usse utha leti hai,
Monica : noo... It was my mistake. Tumne toh apne bhai ka bhala hi chaaha.
Rahul : aapki koi galti nahi thi dii. It was my decision... Gudiya! Tumhe pata hai monica dii tumse kitni badi hai? Aur tumne unke saath aisa kiya?? Tum mujhe bhaiya pukaarti ho. Tumhe pata hai monica dii tumhare bhaiya se kitni badi hai? Kyu kiya tumne aisa?
Neha (cries) : bhai... I... I... I just wanted to make things easy for you... Mujhe jab pata chala... ki... Inke kaaran aapka ye haal hua hai... Toh... Bas mujhe aur kuch sujha hi nahi...mujhe bas gussa aa raha tha, I wanted to do justice for you... I wanted to show my love to you... Mein... Mein bas aapko pyaar dena chaahti thi... I thought mein aapko khushi de paungi aisa karke... I didn't knew... ki... Aisa kuch...
Aur neha ka emotional breakdown ho jaata hai, she starts crying. Apne chehre ko dono haatho me chhipaate hue wo rone lagti hai.
Monica : noo... Rahul!! Isme... Isme uski koi galti nahi hai.
Rahul : jis tarah se gudiya ne aapse baat kari. Ye uski galti hai. Gudiya. Say sorry to her.
Neha (cries) : I'm... I'm sorry!! I'm so sorry!!
Anshu (sigh) : nehuu!!
Neha (cries) : hmmm???
Anshu : tumhe pata hai bhai ko sabse zyaada kya baat hurt hui??
Neha (sisakte hue) : kis baat se dii??
Anshu : yahi baat ki tumne unke loved one ko hurt kiya. Monica dii bhai ki close one hai. You know??
Neha : I'm sorry!!!
Rahul : gudiya!! Tumhaare bhaiya ko inhi logo ne sahara diya hai unke tough times me. Kya tum bhool gayi?? Kese monica dii ne tumhe lucky se bachaaya tha?? Yahi log toh hai jinke kaaran tumhara bhai aaj yaha iss mukaam par aa paaya hai varna akele kya hi kar leta mein??
Neha (cries) : I'm sorry bhaiyaaa!!
Apni pyaari Gudiya ka rota hua chehra rahul se bhi zyaada derr dekha na gaya, usne forun neha ko apne paas bulaaya aur uske aasu poche aur pyaar se uske soft se gaalo ko chum liya. Neha bhi bachho ki tarah rahul se daat khaane ke baad lipat gayi.
Rahul : gussa aa raha hai mujh pe???
Neha : nooooo!! I love you ?
Rahul : *smiles*
Bagal me khadi monica aur anshu bhi muskura uthti hai. Ant me sab kuch sort out ho gaya.
Abhi ye jhamela khatam hua hi tha ki itne me rahul ke room ka door khula aur ek shaksh daudte hue andar aaya,
"Betuuu!!!"
Jese hi rahul ne ye awaaz suni uske rongte khade ho gaye. Mom!!!!
Rahul ne palat kar darwaaze ki or dekha aur waqai usse ek jhatka laga. Nisha darwaaze par khadi usse hi dekh rahi thi,
Rahul (dheere se) : mom...
Uske muh se ye sunte hi jese nisha bhi sihar uthi. Tezz kadmo ke saath daudte hue wo seedha rahul ke sameep aayi aur uska chehra ek hi jhatke me apne aalingan me le liya.
Rahul ka chehra nisha ke urojo me dhass gaya. Par rahul ko nisha se keval ek hi cheez mehsoos ho rahi thi iss waqt. Mamta!!
Ek maa ki mamta. Nisha ke aasu uske chehre se hote hue rahul ki gardan ko bhigo rahe the.
"Betuuuuu", nisha ki aankhein itni kass ke band thi aur uski pakad bhi utni hi kass ke bandhi hui thi, aisa prateet ho raha tha jese nisha se koi keemti cheez chhinaayi jaa rahi ho aur wo usse pakad ke rakhi hai.
Badle me rahul ne bhi nisha ki kamar par ek haath lapet liya.
"Mera betuuuuuu" nisha bas roye jaa rahi thi. Usne toh abhi ye bhi nahi dekha tha ki neha aur baaki sab bhi maujood hai yaha. Uska shuru se lekar ant tak dhyaan keval apne betu, rahul par hi tha.
Kuch shan baad wo jese hi alag hui toh rahul ka chehra nihaarne lagi. Fir uski chot dekhi aur uske chehre pe aisa bhaav tha jese maano rahul ko nahi balki khud uske kandhe me goli lagi ho.
"Kese hue ye sab mere bacche??" Nisha ne pyaar se rahul ka chehra apne haatho me lete hue pucha.
Rahul : sab bataunga mom! Aap baithiye toh pehle...
Nisha jese hi baithti hai uski nazar neha aur anshu pe jaati hai toh wo hairaan ho jaati hai.
Nisha : beta tum yaha???
Neha : haa mom!! Bhai se milne mein mumbai gayi thi par jab pata chala wo yaha hai toh mein unse milne yaha aa gayi
Nisha : matlab tum dono me...??
Neha (blush) : yes mom! Mein aur bhai ab pehle se bhi zyaada qareeb ho chuke hai...
Ye baat sunte hi nisha ro padti hai, rahul ko dubaara wo apne aalingan me bharti hai aur neha ko bhi apne qareeb bula ke apne dono bachho ko apne gale se laga leti hai,
Nisha : mere dono pyaare bachhe!! Uparwaale ne meri sunn lii... Aaj mein boht khush hu. Boht khush!!
Anshu : chachi?? Mein aapki bachhi nahi hu?
Nisha (hasste hue) : tu toh meri maa hai.
Nisha jis baat ko indicate kar rahi thi ye kehkar wo anshu bhali bhaati samajh gayi aur uske chehre par laali chhaa gayi. Nisha ye bataana chaah rahi thi ki rahul aur nisha ke secret ke baare me anshu hi toh jaanti hai bas.
Nisha (smiles) : aaja meri bachhi!!
Nisha ne anshu ko apne sameep bulaaya aur anshu bhi rahul, nisha aur neha se jaake lipat gayi. Ye hota hai asli parivaarik pyaar
Monica side se dekh ke rahul aur parivaar ke liye atyant khush ho rahi thi.
Abhi sab yu gale mile hue the ki itne me ek awaaz aayi,
"Rahul!!!"
Aur ye awaaz sunte hi jese neha ke kaan khade ho gaye.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hii guys!!
Dhanyawad!