Dosto aap log ka shukriya itna pyaar Dene ke liye 1 lakh views cross ho chuke hai ..Maine yeh expect nahi kiya tha .. mai sirf yaha manoranjan ke liye aaya tha per aap log ka pyaar dekh kar aacha laga .
Jab raat Hui abbu bhi dukaan se aajaye the tab Nargis bazi abbu ko rote hue gale lag jayi aur abbu ko Aaj ki ghatna ke baare mai bataya kaise adarsh bhaiya ne use aur nagma bazi ki izzat bachai aur ammi ne unko mara aur bahut bhala bura kaha...
Abbu : chup hoja bacche itna sab ho jaya tumne mujhe bataya nahi ..
Nagma : wo adarsh bhaiya ne us gundo ko maar kar police ke hawale Karwa Diya ..
Abbu : mumtaz kaha ho jaldi yaha aao ..
Abbu ki baat sunkar ammi dar jayi aur abbu ke pass aayi..
Ammi : ji farmaye..
Abbu : tumne fir adarsh per haath uthaya tumhe baat samajh q nahi aati har gair majhabi log bure nahi hote ..nagma beti adarsh ko bula kar Lao to..
Nagma : abbu wo to subhah se hi ghar nahi aaye hai ..
Abbu : kya abhi Tak Ghar nahi aaya hai ..ruko mai phone karta hu..
Abbu ne phone lagane Lage per unka phone band aara raha tha..
Abbu : Aaj Tak Aisa nahi hua hai ki mai phone Karu aur wo na uthaye ..lagta hai mumtaz ki baato ka dil pe le liya hai ..
Idhar ammi bhi aasu bahane lagi...jab bahut der Tak intezar karne ke baad bhi adarsh bhaiya nahi aaye to sab ne Bina man ke dinner Kiya aur chale jaye sone..ammi uper aaker mere bagal mai so jayi per unke aakh mai neend koso dur tha ..khair subha Hui tab ammi jaldi uth kar adarsh bahiya ke room mai jayi per dekha to abhi bhi tala laga hua matlab raat main adarsh bhaiya nahi aaye the ..ammi ka yeh dekh kar chehra utar jya..fir sab nashta Kiya aur abbu ammi se adarsh bhaiya ke baare mai puchne Lage tab ammi ne bataya ki abhi Tak wo nahi aaye hai ...abbu chale jaye dukaan per per ammi ke peshani per chinta saaf jhalak rahi thi ..dekhte dekhte dopahar ho jaya kuch ka time hua tab adarsh bhaiya ki ghar mai entry Hui ..jaise ammi ko adarsh bhaiya aate dikhe wo uth kar unke pass jayi aur ak thappad fir se gaal per maar di ..mai socha bhenchodd ammi pagal to nahi ho jayi Jo fir se thappad mar di...
Ammi : kaha tha tu ..jante hai hum sab kitna pareshan hai kal se bol kaha tha ..
Ammi ke aakh mai aasu aajaye hue the ..
Adarsh : aunty wo mai apne dost ke room per ruk jaya tha Kahan mai bhar kha liya tha ..
Ammi : ab se raat mai ghar deri se aaya na to mujhse bura koi nahi hoga aur ab se bahar khana band samjha..
Adarsh bahi ak halki muskaan ke saath:ji.
Ammi : thik hai ab jao fresh hoker lunch ke liye aao jab Tak mai khana tyaar karti hu..
Abhi ke liye itna hi abhi busy hu thoda agla update jald deta hu..