mai bol tha aj dalunga dal diya updateLagta aj update ki koi umeed ni hy
Nice updateUPDATE 25Ab aage
Adi taiyaar hokar sabse pahile mandir jata hai prathna karke ata hai
tabhi nidhi udhar khadi thi
Nidhi: Kya mang rahe the unse jiju jara hume bhi bata dijiye
Adi: Kuch nhi yehi mang raha tha kab tere jaise afat se apun
ka picha chute
Nidhi: Mai afat hun?
Adi: Haan nhi toh kya satati rehti hai jab dekho tab
apun ko pareshan karke rak diya hai
Nidhi: apko apna samjhti thi isliye pareshan karti thi
ab nhi karungi pareshan apko maaf kar dijiye mujhe
Adi: Arey tu toh naraz ho jati apun toh mazak kar raha tha
tu pareshan nhi karegi toh kaun karega itni pyari chulbuli
sali hai apun ki pura hak hai tera apne jiju ko pareshan karna
Dil se tujhse mafi mangta hai ab kabhi nhi tera dil dukhayega
maaf kar de apun ko
Nidhi: Ek shart aj aap mere sath ghumne chalenge aur haan aj
pura din meri baat manenge
Adi: Chal thik hai apun aj tera ghulam ban kar rahega jo tu bolegi
wahi karega apun
Nidhi: Pahili baat aap koi ghulam nhi ho,kabhi aisa apne muh
se mat nikaliyega aap hum sabke bahut pyare ho is ghar ke
sadasya ho agli baar apke muh se aisa kuch suna jiju sach keh
rahi hun zindagi bhar baat nhi karungi,apko pata hai mera gussa
kaisa hai
Adi: Tu naraz mat ho apun kabhi yeah sab nhi bolega pakka wada karta
hai terese iske liye phir se mafi mangta hai
Nidhi: thik hai maaf kar deti hun,nashta karne chalo phir
ghumne jayenge
Adi: Thik hai sali sahiba tera hukum salakhon par jaise tu bole
wahi hoga khush
Nidhi: Bahut khush
Nidhi Adi aa jate hai nashta karne udhar Reema,Pallavi the
Adi: Maa,dadaji kahin dikh nhi rahe kahi gye hai kya?
Reema: Kyu mai nhi dikh rahi tujhe,humesha dadaji dadaji karta
rehta jara apni maa se bhi baat kar liya kar,mujhe bhi terese baat
karne ka man hota hai
Adi: Apun toh aise hi puch raha hai,apko bura laga toh maaf kar dijiye
thik hai apun apse baat karta apni pyari maa se
Reema: Sachme tu bahut pyara hai,lekin mai bahut naraz hun terese
Adi: Naraz kyun,apun se kuch galti ho gyi,tu bata de apun jarur sudharega
us galti ko pakka
Reema: Abhi jo tu bol raha hai,wahi teri galti isko hi sudharna hai tujhe
Adi: Matlab mai kuch samjha nhi,kaunsi galti jo abhi apun ne kiya
Reema: Phir se wahi galti dohra raha hai,bol raha hai galti sudharunga
phir se wahi galti dohra raha hai
Adi: Kuch samaj nhi aa raha apun ko
Reema: Wapas se
Adi: Batayegi nhi kaise samjhega apun,kya galti kar raha hai
Pallavi: Jo tu bol raha hai wahi teri galti hai usi ko toh sudharne ko
bol rahi hai mummy
Adi: Kya bol raha hai apun jisko sudharna hai
Pallavi: Arey Pagal,apun tapun,gunda bhasa use kar raha
hai wahi toh teri galti hai,use sudharne ko bol rahi hai
mummy kab se
Adi: Pahile bolne ka tha na apun ko,tumlog ko acha nhi
lagta yeah bhasa,apun sudhar leta,apun ko ata hai ache
se baat karne agli baar se aisa bhasa use nhi karega apun
woh kya hai jaha apun raha hai udhar aisi bhasa bola jata hai
isliye adat pad gyi apun ko
Reema: Kya karu tera,bol raha hai ache se baat karne ata
hai phir se wahi bhasa use kar raha hai,jab tak sudhrega
nhi mujhse baat mat kar,merese milna bhi mat aur haan
tum log ko bhi bol rahi hun ise baat mat karna jab tak ache
se nhi bolta yeah tab tak koi nhi baat karega isse
Adi: Nhi Nhi aisa mat kariye apun sorry mai aj se ache se
bolunga jaisa chahiye aap log ko waisa banega sorry banunga
bas aap log baat karna band mat kariye please
Thoda Adi atka jarur lekin barabar bol raha tha sabko thodi
hairaani jarur hui phir khush the
Nidhi: Aap aisa bol sakte hai,aap bolte kyu nhi the itne
ache se
Reema: Haan beta,mujhe laga tujhe sikhana padega bolna
par tu toh thik se bol pa raha hai phir yeah gunda bhasa kyun
Adi: Mera ek dost tha pahile usne mujhe trained kiya hai,lekin
aisi jagaho par rehkar mujhe adat pad gyi mai bhul hi gya
mai sikha hua hun kaise bolna hai,aj apne yaad dila diya
toh mujhe yaad aa gya ab se aise hi bolunga apko pareshani
nhi hogi
Nidhi: Kaun tha woh dost,mujhe bhi jara naam batana,
mai bhi jaana chahti hun,mere jiju ko kisne sikhaya ache
se bolna.
Adi: Batana kya hai,ek din mila dunga sahi samay ane par
pakka
Nidhi jaisi yeah sunti hai use doubt hota hai kisi baat ka
lekin kuch bolti nhi sabke samne.
Reema: Mujhe bahut khushi hui beta,tujhe humari taraha ache
se bolna ata hai,lekin apni maa se wada kar humesha aise hi
rahega puri zindagi kabhi bhi gunda wali shabdon ka use nhi karega
tuzpar acha bhi nhi lagta beta
Adi: thik hai maa,aj se wada karta hun mai kabhi bhi apni puri
zindagi aise shabdon ka use nhi karunga pakka wada karta hun
Reema: Mera sabse acha pyara beta pata nhi kya kya khubiyan
chupakar rakha hai apne andar humesha kuch na kuch naya
karta rehta hai hume hairaan kar deta hai
Adi: nhi maa aisa kuch nhi hai jaise aap kukum dengi waisa
ban jaunga aap jis rang mai aap apne bete ko dekhna chahengi
us rang mai dikhunga,aap bas bol ke toh dekhiye apka yeah beta
kuch bhi karega
Reema: itna pyar karta hai apni maa se,kuch bhi kar jaega apni maa ke
liye
Adi: Sirf apse nhi,didi,dadaji,rashmi,raju,Nidhi,Varsha se uthna hi pyar
karta hun aap sab ke liye kuch bhi kar sakta hun jaan bhi kyu na dena
pade piche nhi hathunga
Pallavi: Bhai tu emotional mat kiya kar,humesha rula deta hai apni
baaton se,tu hume rulane ki liye hi apna manta hai ki dil se apna
manta hai
Adi: kya baat kar rahe ho didi,aap sab mere apne ho,agli baar
se nhi rulaunga pakka wada
Nidhi: aj subah se 4-5 baar wada kar chuke ho,yaad rakhna yeah
sab ek bhi bhule aap gye kaam se
Adi: Haan meri maa yaad rakhunga kabhi nhi bhulunga agar bhul
bhi gya tu toh hai yaad dilane ke liye kyu sahi kaha na
Nidhi: Aise yaad dilaungi zindagi bhar nhi bhuloge jiju
Adi: Malum hai,tumse jyada koi khatarnak hai bhi nhi koi
Bolkar hansne lag jata hai
Sab adi ke piche has dete hai
Adi: Mujhe ek zaruri baat karni thi rashmi,raju ke liye
Reema: Malum hai rashmi,raju ko aage padhane ki baat
karoge yehi na
Adi: Apko kaise malum pada,mai yehi bolne wala hun
Reema: Beta,sab malum pad jata hai mujhe,sach bolun
padana mai bhi chahti thi un logon ko kabhi thik se
baat hi nhi kar payi kal jab tu bimar ho gya toh rashmi,
raju se baat ki thi,tab malum pad gya mujhe tum unhe
padana chahte ho
Adi: Sab malum hai apko,tu mujhe bata dijiye college mai
admission kara dunga
Pallavi: Kara dunga nhi bhai,ho gya unka admission kal se
college jayenge yehi rehkar padenge humare pass kahi
jane ki jarurat nhi unhe
Adi: yeah kab kaise,kisine kuch bataya nhi mujhe
Reema: Hume kyu bol raha hai,yeah sawaal varsha
se puchna usne karaya hai inka admission use bhi
inki bhavishya ki fikar thi kafi time se college ka pata
laga rahi thi tere rashmi,raju se kiye hue wade se pahile
hi yeah kaam mai lag gyi thi inko padane ke
Adi: jhatka ke jhatka de rahe ho aap log,varsha ne kuch
nhi bataya mujhe
Pallavi: Tune pucha kabhi jo woh batati
Adi: Baat toh sahi hai mai kabhi pucha nhi,acha hua
ab rashmi bhi aage padegi aur ek achi zindagi jiyegi
Pallavi: Yeah sare kharche hum log uthayenge tumhe uthane
ki jarurat nhi samjhe,woh meri bhi behen jaisi hai mai unhe
padhaungi agar tumne kuch aage bolne ki koshish ki sab
milkar teri dhulai karne lag jayenge
Adi ki ankh mai anshu aa jate hai bas jakar Reema,Pallavi ke gale
lagakar rone lag jata hai
Reema: arey pagal sabke bare mai itna sochta hai apne pyare
bete ke ache kamo mai thodi madat hume bhi karne de
Adi: waise woh log hai kahan,dikh nhi rahe kahi
Reema: Dadaji ke sath bahar gye hai,shaam tak aa jayenge
mil lena tab unlog se
Nidhi: phir jiju chale apne wada kiya tha ghumne chaloge
Adi: Haan chalo,mai nhi bhula hun apna wada,acha maa,didi
mai jata hun ghumkar aa jayenge
Pallavi: sambhalkar jana wapas bimar mat ho jana
Adi: nhi hunga,pura peth bharkar nashta karke ja raha hun
apne itne pyar se nashta banaya hai bimar hone ka sawaal
nhi
Pallavi: maine nhi,nidhi ne banaya tha aj ka nashta
Adi: Didi,ab mai guarantee nhi de sakta,chalta hun
zinda wapas aya phir milenge
Nidhi: kya bole apne jiju
Adi: mazak kar raha hun,chal ghumkar ate hai
Nidhi,Adi ghumne chale jate hai
Nidhi in mind: Aj apko mere sawalon ka jawaab dena hoga,
umeed karti hun mai galat niklun,agar sahi hua
anjaane mai itni badi galti kar di maine jiska pachtava zindagi bhar
hoga mujhe....................