Update 62
Dono teji se bhagi ussi ore jis ore wo ladka bhaga tha, dono aadha kilometer chali aayi uske pichhe-pichhe. Par aankhon ke samne jo manjar tha wo alag he kahani bayan kar rahi thi..... Dil ki pahli najar ke chahton ke bawjood mann ne yahi kaha Riti ka .... Iske liye main paglon ki tarah intzar kar rahi thi.
Manjar kaphi kahuffnak tha, Riti aur Vasu jab pahunchi uss jagah par to jor se chillane ki awaz aayi. Dono uss aawaz ki disha me chal di, jo ek counstruction building ki site se aa rahi tha. Dono jab pahunchi to dekhi, khoon se lathpat ek aadmi yahi koi 45-46 saal ka raha hoga, aur uska girewan pakdey wahi ladka tha jiski talaash na jane kayi mahino se thi Riti ko.
Samne jo manjar tha.. Wo ladka uss aadmi ka gireban pakdey kuch kaha, uss aadmi ne "naa" me sir hilaya, aur uske "naa" me sir hilate he sir par ek bottol phor dali. Wo aadmi pahle se admara tha, aur uss par koi raham na dikhate huye, wo ladka usse mare he ja raha tha.
Wo ladka ek hath se uska gireban pakdey dusre hath se usse thappad pe thappad mare ja raha tha. Aur wo kisi lash ki tarah jhulta bas maar kha raha tha. Riti jab ye dekhi to uss se raha nahi gaya, aur wo bich-bachao ke liye pahunch gayi.
Uss ladkey ne marne ke liye hath uthaya he tha, ki Riti uska hath pakad kar rok li. Uss ladke ne gusse se lal aankhen kiye apne bagal me dekha, aakhir uska hath pakadne ki jurrat kis ne ki, aur jab najar Riti par gayi, to wo najren udhar he atak gayi.
Uss ladke ke dusre hath ki pakad khud-w-khud dhili par gayi, wo admi uske hathon se chhut gaya tha, aur chhut kar kab nikla usse pata bhi nahi chala, haan lekin dusra hath ab bhi ussi tarah upar he raha, jaise ab bhi collor pakdey he ho.
Idhar jab Riti ki najren ek baar phir uss se mili, to wahi pichhli raat ki tarah sama ho gaya, wo bhi uska hath roke bas ussi ko he dekh rahi thi. Dono ke liye jaise ye pal tham gaya ho, aas-pass is sama me jaise aur koi na ho, bas wo ladka aur Riti.
"Kahhhh ..... Kahhhhh" Vasu gale se khadas ki awaz nikalti...... Dono murti ban gaye kya ?
Vasu ko tokne se dono ka dhyan toota. Riti ko phir vastavik isthiti yaad aayi, aur jo dil ka pyar tha wo mann ki chir-chirahat bante huye ..... "Aap uss bechare asahay aadmi ko kyon maar rahe the, jarra bhi sharam nahi aayi aap ko usse marte huye. Kitna khoon nikal raha tha, bechara bilkul adhmara sa ho gaya tha. Main na hath pakad'ti to aap usse maar he dalte"
Wo ladka bas bas Riti ke gusse ko chehre ko nihar raha tha, gusse me jab wo apne bal ki laten itrakar usr ki to ... Ishhhh ! Ek chubhan si piada he gayi uske dil me. Wo to bas Riti ke sadgi aur khubsurti ko he nihar raha tha.
Riti.... Main kya pagal hun jo akeli itne der se boli ja rahi hun, aap ko kuch samjh me bhi aata hai.
Ladka.... Hi, main Abhi hun .. Abhinash Verma.
Riti.... Abhi ho, ya kal ho ya parso hon aap, mujhe uss se koi lena dena nahi, aap usse maar kyon rahe the.
Abhi.... Ye to mera kaam hai, main nahi marta to wo mujhe marta. Ab maar khane se to achha hai ki main he maar lun.
Riti... Huhhh ! Gunde ho ya police ho jo mar pit karna kaam hai.
Abhi.... Ek baat kahun...
Riti.... Kya hai ?
Abhi.... Aap bahut sunder hain, aap ke hoth jaise gulab ki pankhuri, gaal laal tamatar lagte hain, jhil simgahri aankhen hai, jinme doob jane ko dil karta hai. Aur jab gusse se aap apni baal ki laton ko jab upar karti hain, hayyyy ! Ye dil ghayal ho jata hai Riti.
Riti gusse me huhh kahti hui chali gayi, jab wo ja rahi thi tab ladka pichhe se chillate huye... Madam aaj raat jaroor ghumne nikaliyega, main aaj mil jaunga.
Riti muh ainth'te wahan se kuch aage badhi aur Vasu se.... Himmat dekhi uski, kaisi baaten kar raha tha mawali.
Vasu.... Par wo baten to lagta hai dil se kar raha tha, kitni tarife ki tumhari.
Riti.... Daya naam ki chij nahi jiske dil me uski tarifen bhi gali jaisi lagti hai, mat yaad dilao wo baten.
Vasu.... Waise ek tak nihar to tu bhi usse rahi thi Riti, dil me kuch aur aur mann me kuchh aur.
Riti, thidi chidhti hui.... Huhh ! Chidhana band karo please, aaj ka din he kharab hai, dost apne nahi rahe, aur jiski talaash kayi mahino se kar rahi thi, wo bhi gunda nikla.
Vasu... Par gundey ki aisi adaa nahi hoti, mujhe to koi police wala laga.
Riti.... To hoga koi ghushkhor, mujhe to police wale gundon se jyada badmas lagte hain, paise diye to kaam hoga nahi diye to abhi jaisa uss bechare aadmi ka haal ho raha tha waisa, inki to baat he mat karo.
Vasu... Achha baba, tum kyon khun jala rahi hai, nahi karti baat bas. Par ye to bata de aaj raat aayegi kya milne.
Riti... Ji bilkul bhi nahi, abhi iss pal se main usse apne dil se aur dimag se nikal rahi hun.
Riti kaphi gusse aur pachtawe ke sath hostel chali aayi. Hostel ka mahol bhi kuch shant he tha, ek kamre me Riti aur Saily thi, par dono chup-chup. Wahi haal Indu aur Vasu ka bhi tha.
Kuch he der me aadhi raat ka waqt hi gaya, aur Riti ka kiya gaya pran.. "Abhi se usse dil aur dimag se nikalti hun".. Dagmagane laga. Kabhi dil karta jaun, kabhi dil karta na jaun... Haa-naa, haa-naa ke bich phansi Riti aakhir 12:30am baje apne kamre se bahar nikali, aur balcony me aakar ek baar bahar dekhne lagi.
Bahar ki ore pura najar ghuma kar dekh li, koi nahi tha... Khud se he kahti .."huhhh ! Jhoota" aur pichhe mudi... Pichhe uske Vasu khadi thi jo muskura rahi thi....
Vasu.... Kuch ghante pahle kya kahi thi Riti madam ne.
Riti...... "Kya kahi thi main" .. Thodi bholi banti hui kahi
Vasu.... Aaaa .. Haaa... Haaa, bol to aise rahi hai, jaise kitni masum ho, baby ko kuch pata he nahi.
Riti.... Ja rahi hun sone, mujhe nind aa rahi hai.
Vasu.... Achha sun, main kya kah rahi thi, ki jab bahar nikal he aayi hai, to chal chal-kar dekh aate hain. Arre ho sakta hai koi sacha aur imandar police wala ho. Agar aisa hua to kar to wo desh ki sewa he raha hai na, aur aise vyakti se tu pyar karegi, to tere liye fakr ki baat hai.
Riti.... Mera brainwash karne ki kosis na kari Vasu, main koi bhi logic nahi sun'ne wali.
Vasu... Arre chal to jid par kyon arri hai..
Aur itna bol kar Vasu, Riti ko jabardasti apne sath khinch kar le gayi. Watcman ne ₹100 ki haryali dekh kar phir gate khol diya. Dono kadam bahar rakhi he thi, ki boundry wall ke dayen Abhi khada tha.
Abhi apna ek hath uthakar Riti ko "hi" kaha. Riti apna muh ainth'ti hui "huhh" me uska uttar di aur dushri ore mud gayi. Ek ore abhi muskurate bas Riti ko dekh rahi thi, wahin dusri ore Riti apna hath bandhe dusri ore dekh rahi thi, aur bich me Vasu khadi... Kabhi najar Abhi ki ore to kabhi Riti ki ore.
Vasu.... O' hello mr. Abhi, aap batayenge ki kyon aap ne aisa kaha ki, aaj raat bahar aana main mil jaunga. Aap ko kaise pata ki hum bahar aate hain, aur bahar aate bhi hain to aap ko dhundne.
Vasu ki baat sun kar Riti apni hath kholti, Vasu ki ore dekhne lagi. Abhi apne honthon ki muskaan barkaraar rakhte huye ....
___________________________