• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Annabelle -Hindi version -Diwali 2019 Special

Status
Not open for further replies.

Amity

Banned
532
4,093
123
Thanks very much for the dedication Casinar ji.
Yes, a very emotional love story with a tragic end.
true love seldom reaches the height due to the enemies of love.
it has often happened that true lovers are killed or destroyed by those enemies
And here Annabelle's own father was the enemy. sort of honour killing I will say.
Some type of people prefers to kill than accept to be dishonoured. Thus was Annabelles's father.
Your narration, as usual, is impeccable, the storyline is very powerful and you have really excelled in this storytelling, my dear.
fantastic short story, which I will save in my library and read and reread very often.
thanks very much for this lovely one Casinar ji. :claps: :claps: :claps: :claps: :claps:
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Waaahhh Casinar bhai super duper love story. What a emotions what a writing_____

Bhai story ki jitni tarif kato wo kam hi lagegi. Ek sache pyar karne walo ka aisa the end sach me rula deta hai. Alag alag dharm ke do premiyo ka pyar me ye anjaam sunne me ya padhne me bilkul bhi achha nahi lagta. Jo log dharm ke bare me aisa sochte huye karte hain wo bhi agar wo sab karne se pahle aisi baate padhe ro shayad unki soch bhi yahi ho ki yaar ladki ke baap ko aisa nahi karna chahiye tha. But jab baat apne upar aati hai to shayad insaan ki soch badal jati hai. Wo fir wahi sochne lagta hai jo annabelli ka baap soch baitha tha______

Casi bhai thanks for sharing this beautiful love story______


Iss kahani ko main ne exbii mein 2010 ki valentine contest mein English mein likh kar post kiya tha, yeh third position par aya tha contest mein. Aaj issko hindi mein translate kar raha hoon.
specially for Naina Amity Swathi Komal singh Aakash. Rowdywa Notebook Savi Sanskari Larka shambhu king of darkness0411 Vikram monika Mr. Perfect The Immortal zopion and dedicated to all readers of Xforum. happy Diwali to all.

Annabelle (Hindi Version)-Short story

Jiss gaon mein wo rehti thi usska naam Euphore tha. Uss jagah ka naam wahan ki bahot hi khubsurat jheel ki wajah se para tha, jo gaon ke beech paya jata tha. Tourists Eupore Jheel visit karne aate the to wo gaon desh mein kaafi mashoor tha usske liye.

Annabelle ek young student thi jo kuch sushil type ki ladkiyon mein se thi jisski nazrein chalte waqt hamesha niche zameen dekhte the. Kissi se bhi baat karte waqt wo bahot kum nazrein utha kar kissi ke chehre mein dekhti, balke sharmeeli si, niche dekhte hue hi baat karti thi. Annabelle ek behad khubsurat muskurahat ki maalkin thi, khubsurat aankhen, gora rang aur adaayein to jaan lewa thi usski. Bahot acche vyahavar wali thi, aur bahot well cultured thi. Ek Christian family mein pali badi, wo God mein firlmy believe karne wali thi.

Annabelle har roz bus se safar karte hue college jati thi. Bus West ke ek shaher se nikal kar, jo koyi 10 kilometres ki doorie par tha, usski gaon se guzarte hue East ke ek sheher jaata tha. har subha thik 8.15 baje Annabelle bus stop par uss bus ka wait karti, bus stop thik usske ghar ke saamne paaya jata tha.

Bus mein har roz Annabelle ko standing jagah milti kyun ke jiss sheher se bus ata tha wahan se bus bhara hua hota tha.

Ab ek hafte ko eisa hua ke hafte bhar mein 4 daffa ek nawjawaan ne ussko apna seat diya baithne ke liye jab wo bus mein chadhi to. Aur yeh nawjawaan har subha jab bus Euphore gaon ki bus stop ata to wo ladka Annabelle ko dhundne lagta ussko apna seat dene ke liye.

Euphore se Annabelle ki college ka distance bhi 10 kimlometres ka tha jo 20 minutes ke andar bus tey kar deta tha har subha. Aur wo naujawaan ladka jiss ka naam Farhaan tha, har subha jab bus Eupore bus stop ko reach hota to Farhaan baahar dekhne lagta ke wo ladki aati hai ke nahin aur jeise wo bus ke andar apna pehla kadam rakhti, Farhaan apne seat se khada ho jata tha Annabelle ko baithne ki jagah dene ke liye.

Yeh shuru tab hua tha ek din jab Annabelle khadi thi aur Driver ne achanak brake lagaya tha ek kutte ko bachaane ke liye aur Annabelle Farhaan ke upar girr gayi thi. Kyunke tab Farhaan to seat pat baitha hua tha. Uss waqt Annabelle sorry keh kar wapas khadi ho gayi to turant Farhaan khada hua aur ussko apna seat de diya baithne ke liye. Wo mana kar rahi thi magar Farhaan ne zid kiya to ussko thanks karte hue wo baith gayi. Farhaan usske karib khada ho gaya aur usski hathon aur baalon ko admire karne laga….

Aur iss din jab Farhaan khada hua apne seat se to ek sharmeeli muskaan ke saath Annabelle aakar baith gayi usski di hui seat par. Inn chaar dinon mein ek din bhi Annabelle ne Farhaan ke chehre mein thik se nahin dekha tha, ussko buss itna pata tha ke koyi ladka hai jo har subha ussko apna seat deta tha baithne ke liye. Jeise ke usski aadat thi hamesha niche sar jhuikaaye rakhna to Annabelle sar utha kar ussko dekhne ki jurat nahin ki thi ab tak. Annabelle ke liye wo ladka ab tak ek ajnabee tha. Farhaan uss se baat karna chahta tha magar sahi mauka hi nahin mil raha tha kabhi bhi ussko. Jaldi bus usski college reach ho jata aur Farhaan wapas apne seat par baith jaate Annabelle ke utarne ke baad. Iss baar jab Annabelle baahar utar gayi to thoda sa apne sar ko upar karke andar dekhne ki koshish kiya magar tab tak bus jaane laga aur wo nahin dekh paayi. Magar Farhaan ne usso andar se bahot achchi tarah se dekha; aur wo pehli baar tha ke Farhaan ne Annabelle ko wapas bus ke andar dekhne ki koshish karte hue dekha tha. ussko weise dekh kar Farhaan muskuraya aur usski haath aur usski baal ko sochne laga jissko wo kuch der pehle nihaar raha tha. aur farhaan ko bus 3 bus stop aaguey utarna hota tha har roz. Kayi baar apne lunch time mein Farhaan ka mann Annabelle ki college tak aakar round maarne ko kiya magar ussne khud ko roka, nahin aaya.

Aur dusri taraf Anna sochne lagi thi ke wo ladka kahan jaata hoga har subha ko uss taraf? Kahan kaam karta hoga, kyunke wo tie aur suit mein hota hai hamesha, yeh anna khud se sawaal karti thi. Annabelle ko khud heyraani hui ke kyun wo uss ladke ke baare mein soch rahi halaan ke wo sirf bus ka ek musafir tha aur ek ajnabee tha. Annabelle ke samajh mein nahin aya kyun din bhar ussko apne seat dene wala wo passenger usske khayaalon mein bassa raha.

College se wapas aane ke baad Annabelle ne socha ke kyun shaam ko wapas aate waqt kabhi wo ladka bus mein ussko nahin dikhta, kyun sirf subha ko hi miklta hai wo. Kayi dinon ko Annabelle eisa feel kar rahi thi ke aaj wo ladka wapas ghar jaa raha hoga to jiss bus mein main jaun wo pehle se uss bus mein hoga, magar kabhi eisa nahin hua ke wapas lautte waqt Farhaan bus mein usse dikhe.

Iss din ko ghar wapas aane ke baad Annabelle uss ladke ke baare mein kaafi der tak sochti rahi. Ussne khud se baat kiye,

“Uff, kyun wo mere khayaalon se baahar nahin jaa raha raha aaj? Kahan kaam karta hoga wo? Kitne baje wapas lautta hoga? Kia wo bhi mere baare mein eise hi sochta hoga jeise main soch rahi hoon?”

Aur ussko ek idea aya. Tab shaam ke 4.20 mins hue the, Wo dukaan gayi kuch kharidne, dukaan jo thik busstop ke bagal mein tha. Annabelle ko pata tha kitne baje bus East se wapas Euphore se guzarta hai, balke pure Euphore ke rehne walon ko bus ka aane jaane ka exact time pata hota tha.

Aur uss taraf, Farhaan kaam se wapas ghar jaa rahatha aur bus mein uss side par baitha hua tha jiss side mein bus stop par subha ko Annabelle bus leti thi. Har shaam ko Farhaan Annabelle ko ussi bus stop par dobara dekhne ki khwahish rakhta tha magar kabhi nahin dikhti thi wo shaam ko. Magar aaj har roz jeisa din aur shaam nahin tha, har shaam ko Farhaan uss bus stop par dekhta jiss par har subha Annabelle bus mein chadhti thi magar shaam ko bus stop par kabhi koyi bhi nahin dikhta par aaj hua kuch eisa….

Annabelle ne bus ko aate hue dekha to wo bus stop par gayi aur bus ke andar dekhne lagi, aur thik jab bus uss bus stop tak pahuncha to ek bada sa truck bus ke aaguey stop hua jiss vajah se bus ko bilkool rukna pada, complete stop, aur Annabelle ka chehra bilkool laal ho gaya jab ussne dekha ke bus ke andar se Farhaan ussko muskuraate hue dekh raha tha. Farhaan bahot khush hua kyunke aaj pehli baar tha jab wapas lautte waqt bhi ussko Annabelle dikh gaya tha, usski duah qubool hui thi aaj. Bus ke saamne wala truck hill bhi nahin raha tha, bus ka driver ghussa karne laga aur truck ko honk karne laga tha….. Farhaan ke Aankhen Annabelle par tikka raha, iss waqt wo apne college ki uniform mein nahin balke ek saadharan si dress mein thi, aur ussne apne nazron ko wapas niche karke chalne lagi thi aaguey badhte hue aur andar se Farhaan ki nazrein ussko follow kar rahe the. Aur teen baar chalte hue Annabelle ne wapas bus ke andar gardan uthaa ke Farhaan ko dekha, Farhaan khush hua, ussko wave kiya, Annabelle muskuraayi….

Hazaaron tarah ke khayal Annabelle ko pareshaan karne lage aur apne kadmon ko tez badhaate hue ghar jaane lagi. Udhar bus mein Farhaan bahot hi khush aur relax feel karte hue khud se mukskuraya. Khud apne gehraayi mein ussko ek ajeeb sa sukoon mehsoos hua.

Raat ko Ussi ke hayaalon mein soya Farhaan aur uss taraf Annabelle ka wohi haal tha. Iskh ne apna kaam kar diya tha. Donon ko ek dusre se pyar ho gaya tha. Pyar mein doob gaye the donon. Donon taraf se ek dusre ke liye ek hi feeling the, donon ek dusre ko sochte aur next day milne aur ek dusre ko dekhne ke liye bechain rehne lage the. Magar keise aaguey badhte donon? Koyi raasta tha bhi ya nahin?

Dusre din Annabelle har roz se 15 minutes pehle hi tayaar ho gayi aur bus stop par chali gayi thi bus ka wait karne ko.

Dusri taraf Farhaan bus mein apne seat par baitha besabri se Euphore gaon pahunche ka intezaar karta raha. Aur jab bus Euphore aya to Farhaan ko jaldi thi Annabelle ko andar aate hue dekhne ko aur khade hokar apne seat ussko dene ko, aur Annabelle ko bhi inteaar tha farhaan ko uthkar usse apni seat dene ke liye….. aur wohi hua, Farhaan utha, Annabelle ne nazrein churaate hue ussko ek sharmeeli Muskaan se dekh kar usski di hui seat par baith gayi.

Magar iss din ko kuch ajeeb hua jo pehle kabhi bhi nahin hua tha. jo passenger Annabelle ke paas baitha tha wo agle bus stop par utar gaya aur Farhaan usske paas baitha.

Hmmmmm, wo rahe donon aaj ek saat ek hi seat par baithe hue….

Magar donon ke paas sirf 20 minutes hi the baat karne ko agar baat karna tha to! Kia donon ek dusre ko wo sab kuch keh paayenge jo dil ki baatein the? 20 minutes kaafi tha dil ki baat kehne ke liye? Farhaan ne baat karna shuru kiya;

“Hi, I am Farhaan, main udhar west town mein rehta hoon aur jiss sheher mein aap ki college hai wahan ke state bank mein kaam karta hoon. Mujhe pata hai ke aap wahan ki state college ki student ho aur shaayad 10th ya 11th mein hogi nah?!”

Annabelle sharmeeli to thi hi, haya ke maare ussne bilkool nah sar uthaya, nah usske taraf dekha, usska chehra, kaan, naak sab laal iss kadar hue ke jeise ab khoon nikalne wale the. Andar andar Annabelle khush ho rahi thi ke Farhaan uss se baat kar raha tha magar ussko baat karne ki saahas nahin hui. Usski dil ki dhadkanein itne tez ho gaye the ke wo khud apne dadkanon ko sun rahi thi. Farhaan ko bilkool jhuk kar usske chehre mein dekhna par raha tha ek jawaab paane ke liye. Jab Annabelle ne Farhaan ko uss tarah se jhukte hue dekha khud ke saamne to wo muskuraayi aur halke se nazron ko uthaake usske chehre mein dekha aur apne ungli ko apne daanton mein dabaate hue kaha,

“Main Annabelle hoon aur yahin rehti hoon!”

Farhaan ne chedte hue kaha,

“Tum yahin rehti ho? iss bus mein?!”

Thoda sa hansste hue Annabelle ne jawaab diya,

“nahin mera matlab hai ke main yahin Euphore mein rehti hoon!”

Aur apne chehre ko apne haathon mein chhupate hue Anabelle hanssti rahi.

Magar Farhaan ne baat karna jaari rakha,

“Pata hai Annabelle mai ek baat tumko honestly kehta hoon main har subha bahot besabr rehta hoon tumko dekhne ke liye, intezaar mein rehta hoon ke kab bus Euphore pahunche aur main tumko dekh sakun, tumko seat de sakun aur tumko nihaarta chalun bus mein tumhare paas khade ho kar…. Jab tak tum nazar nahin aati ho main bechain rehta hoon, shaam ko bhi ghar wapas jaate waqt uss jagah ko dekhta rahta hoon jahan subha ko tum bus mein aati ho…. magar sirf ek baar shaam ko dekha tha main ne tumko. Mujhe ek favour karo please har shaam ko jiss waqt main kaam se lautta hoon tum wahan ussi bus stop par ajaya karna taake ghar jaate waqt bhi tumko dekh sakun, taake mere shaam aur raat tumko ussi roop mein dekh kar bitaawun jeise tumko dekha last time wapas jaate waqt, uss image ko apne dimaagh mein quaid karun jeise tum mujhe dikho shaam ko…. Kia mere liye itna karogi? Har saam ko mere liye bus stop par aogi Annabelle?”

Annabelle ne Farhaan ko araam se sunna aur haan mein sar hillayi. Kehte hein ke ladkiyan pura waqt lete hein apne dil ki baat kehne ko ya bilkool kahte hi nahin. First step mard ko karna padta hai to Farhaan ne apna farz nibhaya first step karke, magar Annabelle ne saare baton ko apne dil ke andar hi rakha. Magar sab kuch samjha jaa sakta tha ke donon taraf se baat ek hi the…

Farhaan ne usski haathon ko chhune ki koshish kiye magar Annabelle ne jhat se haath khiinch liya. Farhaan ne muskuraate hue ussko cheda,

“mere chhune se tumhare haath maile to nahin honge!”

Wo sunkar Annabelle ko afsos hua aur ussne khud apne haath ko Farhaan ke haath mein de diya. Annabelle ke taraf se wo ek bahot bada kadam ka uthana tha, bahot romantic aur cute action kiya tha ussne uss waqt apni life mein pehli baar. Kumse kum aaj Annabelle ne ek bada effort kiya tha. Aur Farhaar ne uss mauke ka bharpur faeda uthaya, Annabelle ke haath ko apne haath mein zor se jakra rakha jab tak usski college reach ho gaya bus. Bus se utarne se pehle Annabelle ne dhire se whispers mein Farhaan ke kaan mein kaha,

“main shaam ko bus stop ke paas nahin rahunbgi, mujhko jheel ke paas dekhna, main wahan se tumko bus ke andar dekhungi, left side mein baithna bus mein ghar wapas jaate waqt taake tumko dekh sakun.”

Farhaan ke Khushi ka inteha nah tha, usska dil itna khush hua ke laga seene ke andar dil uchalte hue naach raha tha. ussko zor se chilla kar Khushi ka izhaar karne ka mann kar raha tha, aur socha ab eise Khushi ke pal ab to usske life main bahot aane wale the…

Uss din ke baad donon aksar ziada dekhne aur milne lage ek dusre se. Annabelle ke lunch time ke waqt Farhaan uss se milne jata 15 mins ke liye, subha ko bus mein 20 mins milte the, phir shaam ko ek dusre ko 3 mins tak dekhte the. Phir kuch din baad donon weekends mein milne lage. Aur phir har Sunday ko Annabelle Farhaan se milne jaati jab wo church jaati thi Sunday mass ke liye. Tab tak donon ek dusre se jeise bandh chuke the jissko juda karna naamumkin ho gaya tha. Donon ishk ke bediyon mein giraftaar ho chuke the. Donon ke pyar badhne lage the aur donon uss pyar ko seench rahe the.

Ek dusre ke liye jeene marne ki kasmein, apne liye ghar banaane ke sapne, apne bachon ke naam, yeh sab baatein kiya karte the donon pyar ki gehraayi mein doob kar. Wo kehta ke ussko ek beti chahiye tha, aur wo kehti ke nahin ussko ek beta chahiye pehle, magar aakhir mein Annabelle bhi wohi chahti jo Farhaan ko passand hota kyunke wo uss se behad pyar karti thi. Farhaan bade zor se Annabelle ko hug karta jab bhi Annabelle usske haan mein haan milaati thi.

Magar takdeer ko kuch aur hi Manzoor tha donon ke liye. Dusron ke zarye Anna ke pita ko usski ishk ka pata chala. Pyar chhupaaye nahin chhupta kaha jaata hai aur ek munh se dusre ke kaan tak pahunchte hue pure Euphore mein donon ke pyar ka charcha hone laga tha. Annabelle ke pita ne apni wife ke death ke baad, jo 5 saal pehle hui thi, tab se Annabelle ko khud paal poss ke bada kiya tha aur ussko lekar bahot possessive tha.

Annabelle ke pita ne jab uss baare mein uss se sawaal kiya aur Annabelle ne jab bataya ke usska naam Farhaan tha to apne pita se ussko ek bade zor ka thapad laga, phir ek dusra aur teesra zor ka thapad khaya Annabelle ne. bed par baithi rone lagi thi Annabelle aur usske pita ne Annabelle ki maasi ko phone kiya jo 100 kms door South mein rehti thi.

Kuch ghante baad ek car Annabelle ke ghar ke saamne ruki aur uss mein se ek aurat aur do mard ghar ke andar daakhil hue. Annabelle ke pita ne unn logon se ek dusre kamre mein kuch der baat kiya tab wo aurat Annabelle ki kamre main daakhil hoke annabelle ko ajeeb nazron se dekhne lagi. Annabelle ne zoron se rote hue ussko kahin nahin lajaane ki minnatein kiye. Usski maasi ne Annabelle ke saare kapde aur dusre usske saamna pack karne lagi. Bechain, bekhabar Annabelle ke samajh mein nahin arahi thi ke kia karein. Ussko bahot door bhaag jaane ka mann kar raha tha uss waqt aur wo zor se chilaate hue apne dad se kaha,

“main Farhaan se pyar karti hoon aur marte dum tak karti rahungi, koyi mujhe uss se juda nahin kar sakta, main usske paas jaana chahti hoon please mujhe jaane dijiye daddy, main azaad paida hui hoon, to ab mujhe apni azaadi chahiye, yeh meri zindagi hai, to mujhe decide karne dijiye apni life ke baare mein daddy, aap kyun meri life ke baare mein decision le rahe ho!!”

Kuch ghanton baad wo apne maasi ke ghar ke andar ek kamre mein badh thi. Kamre ka darwaza baahar se lock kiya hua tha. andar ussko ghutan mehsoos ho rahi thi. Ussko lag raha tha ke usski dil ki dhadhkanen dhadakna kum kar rahe the, beat miss ho rahe the eisa feel ho raha tha Annabelle ko.

Wo roti gayi roti gayi , Farhaan ka naam leti gayi jeise koyi mantra japp rahi thi. Wop jitna ro rahi thi utna hi wahan ke log uss par aur zulm dhaa rahe the.

Usski maasi ne kaha ke wo Christian hai aur Farhaan ek muslim issi liye sara bakheda shuru hua aur usske pita kabhi bhi raazi nahin hoga uss rishte ke liye. Maasi ne Annabelle ko salah diya ke Farhaan ko bhool jaaye tab wo usske liye ek achcha sa Christian ladka se shaadi kara degi.

Paanch din weise guzra uss bandh kamre ke andar Annabelle sirf Farhaan ke baare mein soch rahi thi. Akeli badbada rahi thi,

“Farhaan kia sochega jab main ussko nahin dikhi hogi wahan? Wo bahot udaas hua hoga, ussko bahot fikar hui hogi, har subha bus mein wo mujhko dhund raha hoga, college gaya hoga lunch time mein mujhse milne ko… ussko koyi jawaab nahin dega, usske samajh mein kuch nahin aega, ussko bahot dukh hoga, oh God help me, mujhko kissi tarah se Farhaan se contact karwao ke main ussko bata sakun ke main idhar quaid hoon!”

Aur agle 5 dinon tak jab usski maasi ne dekha ke Annabelle shant hai, koyi shor nahin macha rahi tab ussne darwaze ko khola aur ussko baahar aane diya. Aur ek video watch karne diya ussko lounge mein.

Anabelle khamosh iss liye rehne lagi thi taake ussko wo log azaad chorr dein.

Aur Annabelle ko ek sunehra mauka tab mila jab Usski maasi se koyi baat karne aya aangan mein, Annabelle ne farhaan ke landline ko dial kiya, to ek female voice ne ussko reply karte hue pucha,

“kaun ho aap?”

Annabelle ke samajh mein nahin aya ke kia kahe to jaldi se kaha ke usske paas ziada waqt nahin hai to ussko jitna jald ho sake ussko farhaan se baat karne dein kyunke bahot urgent tha baat karna usska…. Dusri taraf se female voice ne kaha,

“main Farhaan ki behen bol rahi hoon, aap ko Farhaan ke baare mein nahin pata? Kaun ho aap? Farhaan ki friend ho aap?”

Anna ke kuch samajh mein nahin arahi thi to ussne pucha ke wo kia kehna chahti hai usski behen se.

Farhaan ki behen ki jawaab ne ek high voltage ka jhatka jeisa diya Annabelle ko;

Farhaan ki behen ne kaha,

“Farhaan ki 3 din pehle death ho gayi, usska katal kiya gaya, Euphore ka ek rehne wala ne usska katal kiya wo admi abhi jail mein hai.”

Katil Annabelle ki dad tha, ussi ne Farhaan ko jaan se mara.

Annabel apni suth buth kho baithi, paagal ho gayi aur ek paagal khaane mein paayi gayi kuch din baad.

Aaj 12 saal beet chuke hein iss baat ko aur ab bhi Euphore ki uss jheel se guzro aur agar ek ladki dikhe aap ko jo khud se baat karti hui nazar aaye, ya peyd, pawdhon ya titliyon se baat karti hui dikhe, to pehchaan lena ke wo apni Annabelle hai.

Wo aaj bhi wahan ke guzarte hue buses mein Farhaan ko dhunti rehti hai….
The End.
Written by Casinar (Shah Khan)
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,524
150,210
304
Thanks a lot for rewriting the story here in xforum. At first I thought that this story is about the Annabelle horror film, but when I saw the tag of romance, then I felt that this story is different.
The story is of a boy and girl, in which the girl is very beautiful and good and the boy is also very good and helps the girl daily. So far, there has been no talk between the two, but the two are thinking about each other in their minds, they are lost in each other's thoughts, eager to see each other. This is where love begins.
Farhan and Annabelle are sitting together for the first time, and Farhan speaks everything and Annabelle says nothing but it seems as if she is behaving, she also approved of this relationship. The two could not even make love properly.
Annabelle's father discovers everything and kills Farhan. When Annabelle finds out about this, her mental balance deteriorates. Their love remained incomplete forever.
Do not know when our society will be free from the rules of this caste system. When will people understand? It was a very good love story. Enjoyed reading the story. Didn't think the ending of the story would be so painful. I want to thank you again for this story...:heart::heart::heart:
 

Indian001

Active Member
1,102
6,330
143
Casi bhai isski English padha tha main ne... sach kahun to bhool bhi gaya tha. Aaj sab taaja ho gaya.
Yeh ek behtareen short story hai bhai kamaal ka likha hua hai. Aap ne issko tragedy banaye aur kyun nahin hakikat mein eisa hota aya hai.
Aankh se ensoo chalak gaye end mein bhai.:claps: :claps: :claps:
 

Husein Ali

Banned
510
4,753
123
Wah Shah bhai aaj issko aap ne Hinglish mein bhi likh diya :bow: :bow:
Matlab 9 saal baad aaj bhi issko padhkar wohi feel hua jo 9 saal pehle hua tha. Ruwan ruwan jism k khade ho gaye bhai ye ek evergreea short story hai. Amar kahani ho gayi hai ye Shah bhai. Aap ka tehe dil se shukriya ussko Hinglish mein likhne k liye aur Diwali ke shub afsar par yahan post karne k liye. :adore: :adore: :adore: :adore:
 

sharaabi

Active Member
1,035
2,662
159
Sir kall hi story dekha par diwali thaa bahut kaam thaa par nhi paya reading
 

sharaabi

Active Member
1,035
2,662
159
Sir story me jo likha gaya humare idhar aam baat he rilijion murder bahut hotey he love etrakting bahut hi acha laga par ending thori fast lagi bye the way story mast thee
 
Status
Not open for further replies.
Top