If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Jaha par karn tha pura floor karn ke khun se lathpath tha. Jaise jaise karn pure control me aa jata hai. Use utha ke dusre kamre me leta diya jata hai.
Aab aage........
Aaj 2 din se jayda samay bit chuka tha lekin karn abb v behosh tha. Sab chintit the kyoki avi tak karn ko hosh me aa jana chahiye tha lekin sabko lagta hai ki karn ke khoon bah jane se sayad jayda hi kamjori hai isiliye aisa hai, aise bahut mann me vichar laake apne dilasa dete hai.
Wahi dusri traf karn jab behosh ho jata hai toh kahi aur tha, wo charo traf ghum ke dekhta hai toh kuch nhi hai. Thoda aage jata hai fir yeh sochta hai usse andhere me kaise dhik raha hai. Karn ascharya me tha pure jagah andhera hi andhera samne ek bahut budhe aadmi apne dhyan me leen the. Karn aage badh ke unko naman karta hai.(buddhe aadmi ko K baba likhunga).
{K 1 baba - yeh dharak ke pratham sreni(level) ke guru hai. Dharak ke sikhne ke 6 sreni(level) hoti sabhi me alag alag shaktiya shikayi jati hai aur pryog karna bataya jata hai. Aaj tak koi v 4 level tak nhi puchha sirf ek ko chod ke. Wo 5 level tak pahucha par aaj tak usko kisi ne nhi dekha.
Kali shaktiya jinke paas hoti hai jaise chudail inke paas vidhvansk kali shaktiya hoti hai jo sabko pareshan karte hai. Toh inke khifal ek group banaya gaya jo kali shaktiya hi dharan karti hai magar wo in vidhvansk ke khilaf ladti hai jinse wo ugra na ho unko wass me rakhti hai lekin unhe maar nhi sakti, lekin pancho( jo head hai)inke kahne par maar sakte hai. Aur in vidhvansk kali shaktiyo ko waas karne wale ka jo leader hota hain wo Dharak hota hai jo 1000 salo me 5 se 10 hi hote hai.}
{Level 1- isme kaise kaali Shaktiyo ko control kiya jata hai aur basic mantra aur kaise unko was me kiya jata hai jaise bhoot- pret, chudail etc.. jo aam hote hain unhe aasani se apne waas me kar sakte hai aur kuch physical training v . Jo level 1 ke hote hai unhe freshers kahte hai. Jaise jaise aur level aate jayenge waise unki khasiyat batata jaunga}.
K1 baba- khus raho. Bahut samay baad koi aya hai. Naam kya hai wats.
Mai- karn.( Karn charon traf dekhta hai uske man me bahut sawal tha wo ashram me tha toh yaha kya kar raha hai.)
K1 baba- chinta mat karo vats avi tum aatma rupi me ho samjhe.
Mai- aatami rupi????
K1 baba- avi tum dharti par nhi ho karodo mil dur kahi Anjan grah par ho. Jab tumne dharak banne ki kriya purn ki toh, tum yaha aa gaye.
Mai- par mai yaha kyo aya.
K1 baba- jab tum dharak banne toh uski puri shiksha v toh leni hai. Bas isiliye ho yaha.
Mai- yaha mujhe kitne din rukna hoga.
K1 baba- yahi koi 1 se 2 mahina.
Mai- kya 2 mahina lag sakta hai. Itne din mai yaha nhi ruk sakta avi mujhe apne ghar wapas Jana hoga kyonki mera pariwar pe khatra aane wala hai.
K1 baba- kuch nhi hoga tum uski chinta mat karo.
Mai- kyo???
K1 baba- kyonki waha dharti ka ek din yaha ka 15 din ke barabar hai. Toh dharti ke hisab se tumhe chaar din rahna hoga.
Mai- kya itna din aisa v ho sakta hai.
K1 baba- aisi bahot si chije bramhand me hai jo bahut ko nhi janta aur wo bahuto ko ascharya chakit kar sakta hai.
Toh aab tumhari siksha aarambh kare.
Mai- ji baba.
K1 baba- abb main tumhe batata hu tumhe avi kya karna hai. Tum toh dhyan karna jante hi hoge.
Mai- ji baba
K1 baba- toh tum dhyan se start karna jab tak tum apni shakti ko niyantran nhi kar lete tab tak dhyan karna hoga.
Mai- par baba pata kaise chalega ki shakti niyantran ho gyi hai.
K1 baba- tum jab apne andar jhakoge toh tumhe ek kala gola dikhayi dega, uske andar dhyan lagaoge toh tumhe 6 chote chote alag gole dikhenge usme alag chinh(sign) dikhenge usme se sirf tumhe swastik ka chinah dikhega jo kata hoga uspe tumhe dhyan dena hoga. Usme bahut saare stars honge tumhe unhe jagrit karna hai, apna Dhyan laga ke samjhe.
Mai- jii
K1 baba- tum dhyan rakhna tum apni white energy ko touch mat karna samjhe.
Mai- ji
K1 baba- tumhe ek labh yeh hai ki tum atma ke rup me ho to tum thako nhi nahi chot lagegi kuch v nhi hoga sirf aur sirf tum apne kam par puri trah se dhyan laga sakte ho. Aur dhyan rahe bhul se v apni white energy ko cchhuna nahi, tumhe toh kuch nhi hoga magar yeh jagah tabah ho jayegi aur tumhari siksha v isiliye dhyan rahe.
Mai- ji.
K1 baba- dhyan lagana jab tumhara pahla Sitara jag jayega toh tum is ( hath aage kiya baba ne ek hiran aur ek koi jadui janwar prakat hua) hiran ko pakadna. Aur jitni baar tum ise padkoge utni Baar dhyan me baithna aur apne sitare par dhyan lagana. Yeh silsila tabtak chalega jabtak tum iss hiran ko 1 sec me pakad lete. Yahi karya tum ishi jaduyi janwar ke sath v karna hai. Dhyan me tabtak baithe rahna jabtak woh Sitara me se 2 baar rushanui nhi nikalti fir tum hiran pakdna dir dhyan me baitna aur sitare me se 2 baar raushni niklegi fir hiran pakadna yahi silsila chalta rahega samjhe.
Mai- lekin baba mujhe thakan hogi nhi toh, mai lagatar daur sakta hu toh jab ishe 1 second me pakad lunga fir dhyan me baith jaunga. Ya phir phale dhyan acche se kar lunga aur fir hiran ko pakad lunga.
K1 baba- tum aisa nhi kar sakte kyonki jab tum apni white energy pane ki kosis karoge toh, tumhari kali shaktiya kamjor hone ki wajah se tumharu aatmao ke tudke ho sakte hai. Aisa baar baar karne se tumhari kali shaktiya majbut hongi aur tum jab apni white energy pana chaoge tum tudko me nhi bataoge samjhe.
Yeh tumhe nhi samjah aya hoga kyo??? Karn haa me gardan hilata hai.
K1 baba- dekho jab tumhari white energy aur kali shaktiya dharak ki ek hi kaam karti hai bachana. Lekin hai toh ulat na isiliye tumhari aatma ke tukde ho jayenge. Samajh gaye na.
Mai- jii. Lekin ek samasya hai guru ji.
K1 baba- kya??
Mai- yahi ki kaun batayega ki main kitni der me hiran ya us jadui janwar ko pakad liya.
K1 baba- iska v hal hai. Baba ne hat aage kiya aur ek bauna aadmi prakat hua.
Yeh tumhari madad karega aur baba us admi ko sab samjha deta hai kya karna.
Aab tum(karn) suru karo.
Idhar k1 baba apne sadhna me Lin ho jate hai.
Karn pahle se hi dhyan lagana janta tha use ashram me guruji ne sikhaya tha ya yu kaho toh wo shuru se hi dhyan lagana janta tha toh use koi problem nhi thi. Karn apne andar jhakne laga use do energy dikhne lagi white aur black. Baba ke hi hisab se wo karte gaya jab usne swastik wale cross chinh par conctrate kiya toh usko uske andar bahut sare star dikhne lage. Karn ne unpe full concentrate karne laga yahi koi adha din bita hoga ki pahla start jagmagane laga. Uske karib 2-3 ghante baad wo start full on shine karne laga. Dhyan se uthke fir hiran ke piche bahgne laga use laghbagh 6-7 ghante se upar lag chuke the hiran ko pakadne me . Fir aise hi karn karne laga dhire- dhire karn ke aadhe se jayda star jo swastik Chinh wale star ke andar the wo shine karne lage the magar fir v avi hiran ko pakadne me 20- 30 min lag jata tha karn ko. Aise baar baar dhyan karne se karn ka basic foundation kuch jayda hi strong ho gaya uuper se usme white energy v thi thodi bahut help ki ek trah se aap kah sakte ho boost ka kaam kiya. Hiran ko hi 1 sec me pakadne ke liye hi 15 din lag gaye. Aab bari thi jadaui janwar ko pakadne ki bari thi. Yeh jadaui janwar kuch jada hi phudak raha tha karn ko usko pakadne me 12-14 ghante se uppar lage. Aise me Ek baar K1 baba naraj ho gaye karn se kahne lage jab tumne 1sec me hiran ko pakad liya toh tumhe itna time nhi lagna chahiye. Tum pure mann se nhi kar rahe ho.
Iske baad karn apni puri jii jaan se laga di wahi dhayan fir us jadaui janwar ko pakadna jo kam 25 din se upar ka tha karn ne 15 din me kar liya.
Prithibi ke hisab se karn 2 din se behosh tha. Sab pareshan v the but bass jayda khun bahne se behosh hai sab aisa samajh ke chod diya.
Idhar karn ko training karte hue 1 mahina ho gaya. Abb K1 baba use apni kali duniya ke har mantra jo basic hai physical training aur bahut kuch sikhane lage. Abb karn ka kam tha. 6-7 ghante dhyan me baithna uske baad mantra padhna aur yaad karne aur uska use karna. Suru suru me karn ko kafi taklif hui practice karne me but karn ka focus bahut jabardast tha isiliye usse jayda problem nhi hui. Uske baad jo time bachta karn usme physical training karta. Aise hi training chalti rahi abb karn ki lagbhag puri training level 1 ko ho chuki thi bas uska test baaki tha. Test me pass hone ka baad dharak ko apni talwar milti hai aur uska pahla chinh level paar karne ke huhisab se toh karn ka chinh hai swastik ka cross hua.
Abb aaj baas karn ka last din tha waha. K1 baba ne ek simple sa bola pahle grah ke pure chhake lagane ko karn ko 2 sec laga pura grah ka chhakr lagane me. K1 Baba bahut khus hue ki itna kam samay me karn ne sab sikh liya. Fir kuch kali shaktiya ke mile jule hue uljhan diye karn ne aram se unhe solve kiye aur kali shaktiyo ke kaid kiya. Abb karn test me pass ho chuka tha toh use talwar mili dharak ki aur chinh. Uske vaad karn ko k1 baba ne wapas bhej diya dharti par. Aaj karn pure 4 din baad jaga tha.
Jab mai(karn) utha toh aisa laga ki sayad mera waham hoga. Lekin jab maine body dekhi toh pahle jayda tandrust thi.
Kali shaktiyo ke dharan karne ke wajah se jo karn ki body me kathorta thi wo usko waas me karne me lag gayi thi jo talab ka pani pine se aaya tha.
Mujhe kuch samajh nhi aaya pareshan ho gaya kya sacchi me wo sab hua ya phir waham tha. Eka ek mere mann me awaj aai.
Awaj- jo tum sapna dekha wo sahi thi tum waha training ke liye gaye the .
Mai- k..OOO...nnn k..OOO..nnn h..aaii samne aai.
Awaj- are are ghabrao nhi mai tumhare mann ki awaj.
Mai- kya tum??? Tum kaise baat kar sakte ho.
Mann- yaar tumhari shaktiyo ke karan .
Mai- ohh. Aisa.
Mann- bahar jao sab pareshan hai.
Mai- kya ?? Par kyo.
Mann- are yarr tum sawal bahut puchte ho. Yaar tum 4 din se behosh ho.
Mai- kya 4 din.
Mann- haa abb jao.
Mai- thik hai.
Mai bahar aaya toh sab bahar hi toh jab sabne mujhe dekha toh sab khus ho gaye sab pareshan the Gurumaa be bola sabse jadya divyaa. Sab idhar udhar ki baate karne lage.
D guruji- aage kya karna hai. Abb karn abb sab thik hai toh vivah ka kya socha hai.
Yeh sun ke divyaa Sharma gyi aur mai v thora jheo gaya.
Mai- jo aap logo ko sahi lage wo kariye lekin jaldi kyoki abb bahut khatra aane wala hai mere pariwar par isiliye jitna jaldi mujhe wapas jana hoga .
D guruji- thik hai kal ka hi koi mohrat nikal deta hu vivah ka.
Mai- jii. Aap kisi ko bulana chahe toh aap bula sakte hai. Mere traf se aap sab hi honge.
Gurumaa- yaadi ashram me shadi hoti toh sab ho jata.
Mai- jaisa aap kahe koi dikkat nhi hai.
D guruji- toh tay raha kal vivah hoga wo v ashram me .
Guru maa- toh jitni jaldi yaha se jaye utna achha hoga kyonki bahut taiyariya karni hogi.
D guruji- thik hai toh avi chalte hai.
Toh maine aataku ko bola sab ko le chalo ham ashram wapas aaye aur taiyariya joro shoro se hone lagi. Ashram aur jo dusre dost wo v khus the aur chedne lage.
Udhar divya ke sath aisa hi tha. ( saheli ko S1 S2 3....karke likhunga kyoki inka jayda role nhi hai).
S1 - bahut khus najar aa rahi ho divyaa aakhir apna hath saaf kar liya karn par, ohh maff karna jija jee par.
Yeh sun ke Divya sarma gayi.
S2 - dekho toh kaise sarma rahi hai. Isne toh hame bataya hi nhi ki kaise karn ne haa kaha.
s3- haa sahi me chal bata kaise haa kaha karn ne. Woh toh kisi ko apne pass mandrane v nhi deta.
Divyaa- are chodo na, aao baitho yaha par mere pass kal ya parso mujhe jana hoga hamesa ke liye( udas hote hue).
S1- dekho toh kaise udas ho rahi hai pagal, tujhe toh khus hona chahiye sabhi karn ke jaisa jiwansathi chahte hai. Yadi tum vivah nahi karna chahti toh ham hai na???
S2-S3 ek sath--- haa ham hain na. Tu mana kar de.
Divyaa- maine aisa kab kaha, tumlog me se koi gya na dekh lena (udas hone ka natak kari).
S1- acchaa acchaa ham nhi jate. Apna munh mat phula.
Aise hi divyaa ki saheliyan unko tang karti rahi. Sab taiyariya karne me vyast the.
aur samay bitta jata hai.
agle din-
KOi shadi ki sajawat dekh rahe the koi Khan pan wyavasta dekh raha tha. Aur bich me ek pandal laga hua tha.
kuch samay baad mantro ka uccharan suru hota hai karn ko bulaya jata hai iske baad divyaa ko. Karn toh Divyaa ko dekh ke usi me kho jata hai. Sari ke libash me ek dam apsra lag rahi thi bas halka sa ghunghat liya hua tha. Jab divyaa ki najar karn pad jati hai toh dekhti hai karn usi ko dhek raha hai toh ssarma jati hai. Yahi sab dekh ke karn ke dost aur divyaa ki shaleyian dono ko chedne lagte hai. Unhi hasi majak ke bich vivah sampan ho jata hai. Karn aur divyaa sabka ashirwaad lete hai. Aur isi sab kaamo me raat ho jati hai.