. Update- 18
Wahi dusri traf kahi aur kuch aadmi baat kar rahe the. Aapko yaad hoga aadmi1 -2 -3 pahle v aa chuke hai. (Page - 5 par check kare).
(Aadmi - 3 inka boss hai. Yeh ek rahasmya aadmi kab kya karta hai isko khud nhi pata. Sala pura sanki hai apne hi family me kai logo ko maar chuka hai aur karn ke pariwar ka khas dhusman.
Aadmi- 1-- yeh bahut bada harami aadmi hai aur Raj pariwar yani karn ki family me se ek hai. Lekin iske baare me kisi ko kuch nhi pata. Sabke samne bhola banta hai. Naam hai satish.
Aadmi-2-- satish iska uncle hai aur usi ke nakse kadam par chalta hai. Ek number ka londiyabaj aur harami aadmi. Hamesa ladkiyon ko dekh ke laar tapkata rahta hai. Naam hai Raghu.)
Aadmi-3-- toh plan ho gya na pura.
Satish - hai pura ho gya aur sara arrangement v bas wo din v karib aa gaya hai bas kuch aur din aur sabkuch hamara.
Raghu- haa uncle is din ka besabari se intazar hai.
Aadmii-3- yaad hai na koi galti nhi honi chahiye. Ek v uske pariwar me aadmi me bacha toh tumhara pariwar khatam.
Satish- (darte hue) k..oo.iii galti nhi hoga mere dost.
Aadmi 3- yahi acch hai. Sara intazam ho gya na.
Satish- haa ho gya hai. Kal se kaam par lag jayenge jaisa aapne bola tha. Jis din aap bolenge us din kam khatam.
Aadmi3- accha hai, acche se kaam karna kisi ko sakh nhi hona chahiye samjhe.
Satish- aisa hi hoga. Raghu andar ka kaam dekhega aur main bahar ka.
Aadmi3- yee Raghu tu andar ka kaam sambhal raha hai. Kuch garbad hui na toh ***** dunga bhosdike.
Raghu- (darte hue) k..uuu....ccc....hu gadbad nhi hogi. Sab kaam sahi se hoga.
Aadmi 3- pichli baar yaad hai na tune kya kiya tha, is baar hua toh tu gaya beta. Hhaaaaa hhhhaaaa.
Aise hi bahut sari planning karte hain yeh log aab dekhte hai kya hota hai.
Idhar raat ka samay ho gya tha aur vivah v sampan ho gya tha. Sab kha je aaram se apne apne kutiya me chale gaye jo divyaa aur karn ke hamumra the aur dost wo bach aur dono ko pareshan karne lage sath me dusre vidhi vidhan v pure kiye gye.
Aab aya suhagraat ka samay toh sab ladkiyan karn ko gher ke khadi ho gyi. Aur apna apna uphar mange lagi toh karn aataku ki traf dekhta hai toh aataku ek kutiya ke andar jata hai aur kuch saman hatho me le ke aata hai( aataku ek jinn hai toh wo jadu se wo saman le aya). Aataku karn ko wo saman deta hai aur sabhi ladkiyon ko deta hai. Jab sabhi ladkiyan apna uphar dekhti hai toh khus ho jati hai sabhi me kapde aur gahne the.
Sab chali jati hai jate jate bolti " jayda pareshan na karna hamari saheli ko"
Karn bolta hai" apni saheli ki jayda chinta hai toh aap hi chale hamare sath kyo" .
Yeh sunte hi sab ladkiyan karn ko chida ke bhag jati hai.
Mai(karn) andar jata hu toh Divyaa wahi din wali saree me baithi thi sath me sringar kiya hua tha. Mujhe uspe bahut pyar aa raha tha bas use dekhne ka mann kar raha tha. Dhire dhire dekhte hue uske pass baith gaya. Avi mujhe uske sath yeh sab nhi karna tha kiyoki, kal wapas ghar jana tha. Mai yeh baat usko kaise bolu samajh nhi aa raha tha kyonki sab ladkiyon ke aarman hote hai khaskar shugraat wale din ke liye. Mai yeh sab uske sath itminan se karna chahata hu jaha ham dono ke alawa koi na ho, hame disturb karnewala koi na ho. Avi yaha mujhe tention thi kyonki sabse bada din aane wala tha kuch din me usdin decide hota ki rajgaddi pad kaun baithega. Ghar me kisi ko pata v nhi tha ki mai jinda hu v ya nhi. Aur abhay bhai ko iske bare me kuch v malum nhi tha ki hamr rajmahal wapas jana hai. Jab me wapas nikalne wala tha toh pata chala ki chacha ki sirf ek beti hai. Wo yadi rajkumari ke gaddi par baithna chahti toh use v vivah karna padega. Lekin dada ji ne pahle hi decide kar liya tha ki rajgaddi par Abhay bhai baithenge. Uske liye abhay bhai ko samay se safely rajmahal ke andar puchana hoga sath me protection ka v dhyan dena hoga kyonki kabhi v unpe hamla ho sakta tha. Ek baar abhay bhai rajgaddi sambhal lete toh kisi ki v itni aukat nhi thi ki raja ko touch kar paye itni security hoti thi pucho mat jaha tak mujhe yaad hai jab v dada ji nikalte the toh 20- 25 gadiyon se upar unke sath chalti thi, sab me hitech commando ke sath sath assain's v rahte the jo sirf raja ki suraksha karta hai. Ek assain 100 ke barabar hota hai. Aise aise unke sath 5 assain's rahte the. Fir 1 km aage road pahle hi khali kara diya jata tha jab v dada ji bahar nikalne wale hote the. Itni hitech security me kisi ke baap me v dam nhi tha tod paye jo sirf normal insan hai jinke pass powers hai. Uske baad aataku ki team v protection karti. Aree mai toh bhul hi gaya mark or mark ki v team ko. maine pahle hi bol rakha tha mere bhai-bahno ki protection ke liye. Mark ki team toh top class assain's the joh rare hi milte the kyonki jis clan se mark belong karta tha uski kahani sirf kitabo me hi likhi hui milti hai. Mark ka clan one of the best clan me se ek hai whole world me. Whole world me 8 aise clan hai jo sabse khatranak hai. Usme se mark ki clan 6 number par aati hai. Pahle mark ki clan 3 number par aati thi lekin mark aur mark ki team ke waha se nikal jaane ke baad clan kamjor par gaya. Mark clan ki madad karta tha lekin jab jarurat padti thi. Jab koi unki clan par hamla karta tha tab isiliye inki clan par koi jaldi hamla karna nhi chahta tha kyonki ek baar mark wapas clan me chala jata toh sabki samat aa jati itni khatarnak tha mark. Mark ko sab "red tane" bulate the. Red tane ek trah prajti hai jo ki ek janwar hain, hamesa sant rahta hai kabhi v kisi ko nuksan nhi pahuchata kisi se koi matlab nhi lekin use ek baar gussa aa jaye toh pura ilaka hi tahas nahad kar deta hai. Bich me koi v aa jaye sab mare jate hai.
Gharwalo ka tension rahta nhi, bad mujhe use dhunda tha woh aadmi jo aastin ka saanp hai. Uske baad mera kaam khatam.
Mai pata nhi kya kya soche jaa raha tha. Aab mai divyaa ko kaise bolu avi yeh sab rehne dete hai. Aur apne pariwar ke baare me v batna tha. Maine socha pahle pariwar ke baare mai bata du.
Mai- divyaa.
Divyaa- hunn boliye na.
Mai- main kuch batatana chahta tha, kya ham pahle baar kar le.
Divyaa- kya yeh sab jaruri hai.
Mai- haa, bahut jaroori hai. Tumhe mere baare me aadha hi pata ha joh tumhlogo ne yaha dekha hai pahle ke baare me kuch nhi pata toh main chahta hu tum sab kuch jaan lo.
Divyaa- mujhe kuch nhi janna hai bass aap hai mere pass aur kuch nhi chahiye.
Mai- lekin phir v jaroori hai kyonki ham kal wapas jana hai toh tumhe sab malum hona chahiye.
Divyaa- kya ham kal jaa rahe hai.
Mai- maine pahle hi bola tha na hame jana hoga turant shaddi ke baad. Mai aaj hi chala jata lekin tum itni khus thi toh mai jaa nhi paya.
Divyaa- itni jaldi kyo hai aapko.
Mai- jaldi hai mujhe kyonki waha bahut kuch jaruri kaam hai.
Divyaa- kya hai batiye main v aapki madad kar dungi aapki.
Mai- tum
Divyaa- haa mai kyo nhi kar sakti.
Mai- tum toh ek dam chui mui ho koi v tumhe touch v kar de toh laal ho jayogi. Aur tum meri madad karogi.( Muskan ke sath).
Divyaa- Aap mera majak uda rahe hai.
Mai- mai kaha majak uda raha hu.
Divyaa- aap muskura rhe hai.
Mai- nhi toh main yeh bol raha tha ki tum kisi ko touch kar dongi toh wo mar jayenge laal laal khun nikalne lagega. Jo tumhe lag jayega isilye bol raha tha tum laal ho jayogi.
Divyaa- lekin Mujhe lag rha hai tum mera majak uda rahe ho.
Mai- tumhe aisa lag raha hai,mai apni jaan ka kabhi majak uda sakta hu( baho me bharte hue).
Divyaa- (Sarma ke ) nhi aap nhi kar sakte.
Mai- are ham kin bato me lag gaye.Mai apne baare me bata raha tha.
Divyaa- haa toh boliye na.
Mai- yaha aao mere pass( bed par let ke divyaa ko apni baho me bhar liya).
Divyaa- bataiye.
Mai- mai kahne ko toh ek rajpariwar se hu.
Divyaa- kya aap raja hai??? Toh aap aise idhar udhar kyo bhatak rahe hai???.
Mai- aab bich me mat bolna. Mai tumhe sab bataunga thik.
Divyaa- thik hai.
Mai- mai raj pariwar se hu mere dadiji raja hai waha ke. Mere chacha hai, dadi hai,mausi hai mama mami hai , Nana Nani hai, buaa fufa ji hai.
Divyaa- apke maa pitaji nhi hai???
Mai- mai bata raha hu na bich me mat bolo. Thik hai.
Divyaa- haa ab nhi bolungi.
Mai- mere maa papa nhi hai lekin meri 2 bahne hai bhai hai bhabhi hai( jab karn ghar se nikal gaya tha toh us samay abhay ne shadi kar li. Aage kahani me is baare me details me mil jayengi tab tak wait kare.) Aur v bahne hai magar jab mai chota tha tabhi unse mila tha. Kisi karan se mere pitaji ne mahal chor diya, hamlog meerut me rahne lage. Ham sub acche se rah rahe the. Ek din achanak hi khabar aayi ki maa pitaji accident ho gaya aur wo mar gaye us accident me. Phir ham sab ko sambhalne me 1 mahina lag gaya. Fir ham waha se kuch logo ki madad se dusre jagh chale gaye jaha hame koi nhi pahchanta tha. Papa ne pahle se hi Bahut paise jama kar ke rakhe the. Toh kuch logo ki madad se maine company Kholi baad woh bahut acchi chalne lagi. Wahi rah ke maine padhai ki aur ek din achanak sab kuch badal gaya. Kuch ilazam mujh pe lage. Mujhe khud nhi pata ki woh aisa kyo bol rahe the. Baad me mere bhai bahno ko mujhse nafrat ho gyi. Unme se kisi ne mera vishwas nhi kiya. Fir mujhe goli lagi aur main tumlogo ko mil gaya.
Divyaa- aapke sath itna kuch hua. Aap ne itna kuch saaha aur apne mujhse kuch kaha v nhi.
Mai- mai jab yaha aya toh halat hi aise the mujhe khud ka pata nhi tha mai tumlogo par kaha se dhyan deta. Mai tumlogo par dhyan nhi deta tha toh tumlog samjhti thi ki mai aakru hu. But aisa nhi tha mai apni hi jindagi me uljha hua tha.
Divyaa- aab samjhi aap hamlogo se baat kyo nhi karte the. Lekin aapse wo log nafrat kyo karte hai.
Mai- mai sach kahu toh mujhe v samajh nhi aya jab unhene mujhe ilzam lagaya. Aur yeh sab kis wajah se hua yeh tum sahi samay aane par jan jaogi.
Divyaa- fir aap adhuri baat bata rahe hai. Isse achha hota aap nhi batate.
Mai- mujhpe vishwas hai na.
Divyaa- haa.
Mai- fir bola na sahi samay par sab jaan jaogi.