. Update- 15 A
Nadi paar karne ke baad aage badha. Thoda dur jaate hi sandar najara aya, ek traf jhil bahata hua pani. Ek traf talab usme swan ghum rahe the. Sirf ek ghar tha itni dur me. Aisa laga jaise dusri duniya me aa gya hu. Socha kash aisi jagah mere pass hoti toh hamesa ke liye waha bas jata. Kuch der is sandar drishya ka lupt uthaya fir uss ghar ki traf nikal gaya. Ghar ke gate pass pahucha toh gate apne aap khul gaya. Ghar me enter kiya toh haall me hi ek lady baithi hui thi 25-30 yr. Ke bich ki lag rahi thi. Sirf mujhe hi dekhe jaa rahi thi pata nhi kyo. Mai v uski sundarta me kho sa gaya. Kale kale baal, uske ankho me pata nhi kya tha usme dard ha sirf dard hi Dard tha kuch chamak kuch sukun nazar ata . Uske hoth ek dam gulabi. Surahidar gardan. Uski sundarta us ghar ki roshni me aur khil raha tha kya batau.
Lady- dekhna ho gaya toh baitho.
Mai- haa. Haa.. ( main hadbada gaya) aapne kuch kaha.
Lady- aao baitho bahut intazar karwaya tumne.
Mai- aap mera intazar kar rahi thi.
Lady- haa sirf aur sirf tumhara.
Mai- main samjha nhi aap kya kahna chahti hai. Is sawal se wo thora idhar udhar dekhne lagi.
Lady- baitho aram se baat karte hai, bahut thak gaye hoge.
Mai- nhi avi nhi thaka hu. Aap kuch bata rahi thi aap mera intazar kar rahi thi.
Lady- tum pahle aadmi ho jo is jagah tak pahuncha hai.
Mai- haa guru ji ne bataya tha. Lekin mai kaise andar aa gya, mujhe kuch samajh nhi aya.
Lady- yaha aur v log aana chahte the wo sirf ek hi shakti ko dharan karne wale the. Unme sirf white energy thi ya fir black energy dono nhi thi. Magar tum me dono thi.
Mai- mere pass toh koi shakti nhi hai.
Lady- haa tumhare pass nhi hai magar kuch ansh hai white energy ke aur kuch ansh black energy ke hai isiliye tum aa sake.
( Sacchi me jo v ho karn ki kismat kitni acchi hai. Usko kali shaktiyo ne pahle se hi apna dharak chun liya. Aur aaj raat thik 12 baje kuch white energy mili usko. Yadi wo guru nand ki baat nhi manta toh yaha nhi aa sakta. Isiliye hamesa guru ki baat maan ni chahiye.)
Lady- main janti hu tum yaha kyo aaye ho. Magar tum kali shaktiyo ko dharan karne wale ho sath avi tum kacche umar ke ho yadi tum bhatak gaye toh kitna bada anarth ho sakta hai tum jante ho isiliye tum yah batao tumhe yeh Shaktiya kyo chahiye???
Mai- apne pariwar ko bachane ke liye.
Lady- lekin wo toh nhi mante.
Mai- woh nhi mante toh kya hua, main toh manta hu.
Lady- wah manna padega tumhara pariwar ke liye prem.
Pahle sirf tumhare karan tumhare maa pitaji ko nikal diya. Phir tumhare bhai- bahan ne milke tumhe marna chaha lekin badkismati se tum jivit bach gaye. Us maut ke khayal se jayda tumhe sirf us baat se taklif hoti hai ki tumhare bhai-bahan ne tumhe kyo marna chaha. Tum us dukh me har din jite ho. Lekin fir v tum apne pariwar ko bachana chahte ho. Ummm... Manna padega.
Karn ki aankho me aanso the ankhe puri lal ho gyi. Woh pichle kuch saalo me nhi roya. Lekin yeh sahi mauka nhi tha. karn samay ki najakat ko dekhte hue shant rahta hai.
Mai- hmm fir v mai apne maa pitaji ki akhri iccha puri karni chahta hu bass isse jayda kuch nhi. Aur sochiye unme kitni himmat hai. Yeh toh acchi baat hai na.( Fiki muskan ke sath).
Wo lady pahel sakpaka gyi kuch samjah hi nhi woh sochi karn ko manipulate kar dungi. Aise dhridh nischayi ek chote lakdi ke andar dekh ke ascharya me pad gyi. Wo usse bachana chahta hai jo use marna chahte the. Lady sochti hai ki yadi mai rahti iss halat me toh pakka yaha se wapas chali jati ya Tut jati.
Lady- hmm tumhara jawab sunke accha laga. Ek aur sawal hai.
Mai- haa puchiye.
Lady- tumhe shakti paane ke baad ghamand ho gaya toh. Tum thodi thodi bato pe marne lage toh.( Yeh sawal is lady ke liye important tha wo dhyan se karn ke aankho me dekh rahi thi ki wo kya jawab deta hai).
Mai- iss baat pe main hasne lagtu hu wo lady mujhe ghure jaa rahi thi.
Mai- Yeh shakti hi toh sab kuch ka karan hai. Yadi hamare pariwar ke paas itne paise aur takat na hoti toh aaj mere mom dad jinda hote.
Aur tum takat ki baat karti ho. Avi bass ek baar mujhe vishas ho jaye ki mera pariwar hamesa ke liye surakshit hai toh avi mai wapas laut jaunga. Mujhe yeh Shaktiya chahiye hi nhi. Jitni badi shakti utni badi jimmedari aur utni badi kurbani. Sabse badi baat jo log nirdosh hote hai wahi sabse jayda marte hai.
Galti se v koi pariwar ka shadsya mar gya toh ghanta ka jankalyan.
Tbhi se hi wo karn ki aankhon me dekhe jaa rahi thi. Wo karn ka mind padhna chahti thi magar wo adha kachra hi mind padh pati hai( wo raat me unkown Shaktiya de ke gaya tha usme trango ko control karne ki shakti thi jis wajah se koi avi karn ka dimag nhi padh sakata. Avi pori trah se karn ki Shaktiya wikishit nhi hui isiliye samne wali lady karn ka thod Bahut mind padh leti hai.)
Mind padhne se us lady ko bass itna pata chalta hai ki karn sach bol raha hai.
Lady- main tumhare jawab se sahmat hui.