CHAPTER-2
DUBAI...YEAR 2025...
---------------------------------------------------------------------
*CRASH*
يا إلهي الذي سقط؟.-:???
[???:- oh my god yeh kon gira?]
قفز حارس أمن من المبنى.. اصطحبه إلى المستشفى-:???
[Securatiy!!!.. Securaity.... Are Koi Pagal Building se kud gaya he.. ise hospital le chalo...]
نعم سيدي... نعم ، أنا أتصل بسيارة الإسعاف الآن-:???
[Yes sir...yes me abhi ambulance ko phone karta hu...]
لقد وجدت فندقي الخاص لأموت فيه ... اليوم مجرد مضيعة.-:???
[ise bhi marne ke liye mera hi hotel mila tha....aaj ka din hi bekaar he...]
ماذا حدث؟ هل هي قادمة؟-:???
[Kya hua aa rahi he naa?]
نعم سيدي ، إنها قادمة-:???
[Aa rahi he sir...]
(Wahi woh ladka adhamari haalat me apne man me kucch bad-bada raha tha)
(???:-is duniya me koi kisika nahi he....ye baat mujhe yaha rehkar pata chala)
(???:-mera naam to aap sab ko pata hi hoga...)
(???:-Tejas...Tejas.... Mathur....)
(Tejas:-me hamesha maut ke bare me sochta kitni buri hoti hogi?)
(Tejas:-Par aaj pata chal gaya.....is duniya me sabse imandaar aur wafadar maut hi hoti he..maut itni buri bhi nahi jitna log darate he..)
(Tejas ke muhse aur sir ke pichese khoon nikal raha tha)
(Tejas:-Chain ki neend.....)
(Aur yeh kehke tejas ne apni aankhen bandh kar li.... aur utne me hi ambulance aa gai aur use hospital me le gaye)
---------------------------------------------------------------
AT HOSPITAL....
-----------------------------------------------------------------
Doctor:-ICU ready karo!!! iska blood bohot nikal chuka he!!!....
Doctor:-iske relatives ka pata karo.....
Doctor:-Azra....five unit unit blood ka intajam karo......
Nurse:-Mam icu Is ready......
Doctor:- Okay pehle ise icu me lejao
Azra:-Mam blood is ready...
Doctor:- Go to icu and call someone from anesthesia department....
(Kucch hi minutes me operation ki shuruaat ho chuki thi...aur karib 2:30 ghante baad doctor icu se bahar nikle...)
(tabhi ek 27 saal ka ladka hospital me daakhil hota he aur hospital ke reception table se kucch pucch-taach karta he...aur
uski najar Azra ki aur jaati....jo ki baaki doctor se baate kar rahi thi...)
(Aur wo ladka azra ke paas dodta hua jata he aur usse kehta he)
???:-Doctor!!! Doctor!!
Azra:- Ji?
(woh ladka haafne lagta he)
???:-Abhi abhi koi ladka yaha admit hua he na? kaha he wo?....
???:-Wo thik he na?
Azra:-Aap unke relatives he?
???:-Me uska dost hu....
Azra:-Yes abhi ke liye to thik he.....lekin unke bachne ke chance bohot kam he....
???:-Are Kya bak rahi he aap....hato...mujhe use dekhne do...
(wo ladka icu me jane laga par itne me hi wardboy waha pe pohoch gaya aur use pakad liya)
???:-Are Mera dost he wo....mujhe dekhne do use....
Azra:-Sir ruk jaiye...hosh me aaiye...unki haalat bohot critical he....
???:-Are mujhe sirf dekhna he use....
Azra:-Sir pehle aapke dost ke relatives ko call karo...
(ye sunte hi woh ladka icu me jane ki jidd chor ke turant firse receptionist ke paas jata he aur kisi ko phone karne lagta he....)
???:-Hello uncle me sa..sameer bol raha hu.....
???:-...............
Sameer:-ha wo te...tejas ne su..sucide karne ki koshish ki he....
???:-...............
Sameer:-Are kaise baap ho tum....!!!! apne bete ko dekhne tak nahi aa sakte tum....!!!!
(Aur yeh kehke us Sameer ne gusse me aake hospital ke phone ko floor pe fek mara aur apne balo me haath ferta he naa cahte hue bhi uski aankhon me aasu aa jate he...par jald hi apne aap ko sambhal ke woh doctor ke cabin ki aur badhta he)
(Sameer ko doctor ke office me badhte hue dekh wardboy use pakadne jaa hi raha tha ki....tabhi Azra ne use rok liya...)
Azra:-Ruko Use Jane Do....
???:-But mam!!!
Azra:- He is not himself...
(Sameer Doctor ke cabin me daakhil hota he)
Doctor:-Who are you?
Sameer:- Me Icu me jo ladka he uska dost hu sir..
Doctor:-Yes?
Sameer:- Use Kya hua He Sir?
Doctor:-Brain Hamrage...
Sameer:-Brain..Ham...
Sameer:-uske relative india me he...to kya me use dekh sakta hu...
Doctor:-Sorry it's against of hospital's policy
Sameer:-Agar kisiko uske marne naa marne se koi farak na pade to bhi?
Doctor:-Ohh!!
Sameer:-kya ab bhi me apne dost se nahi mil sakta?
Doctor:-Thik he...to aap receptionist ke paas fees jama kara dijiye aur formality puri kar dijiye.....uske baad aap usse mill sakte he...lekin ek baat ka dhyaan rakhe woh abhi hosh me nahi he...
(sameer doctor ke office se bahar nikla aur kisiko phone lagaya aur usse baat karne laga)
Sameer:-Hello Aylin...tumhari help cahiye thi......it's about tejas....kya tum ####hospital aa sakti ho?
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------