- 284
- 723
- 109
Flora ke sath samandar ke safar ne mujhe Khushi se dewana bana rakha tha. Custom ki office ke bahar bohut si bheed jama thi paun rakhne ki bhi jaga na thi . mujhe khatra tha ke musafron ki bheed ki wajah se flora ka mood kharab na ho jae.
Me idhar udhar bhi dekh raha tha kahin koi pehchan ka officer mujhe dekh na le. Agar kisi ne mujhe flora ke sath dekh liya to mujhe agle stop se utar kar flora se bichadna padta. Mere papa Yousuf albaqir khufia police me bade officer the is liye me thoda pareshan tha . me idhar udhar dekh hi raha tha ke police ke officer mere kareeb ate huye kaha hi Sarfraz aap yahan kya irade(khayal) hen?
Mujh se baat karne wala officer mujhe achi tarah janta tha aur mere papa ke sath kaam kar chuka he aur mujh se betakaluf tha. Who baat mujh se kar raha tha magar woh dekh flora ko raha tha.
Aaj kal tum yahin port par ho Shayad?
Han musafron ko check karna meri duty he. Usne phir flora ko dekhte huye kaha. Mere laiq koi khidmat?
Mere pass ab koi rasta nahi tha ke apna baat khul kar bataon, Sub inspector ne muskrate huye mujhe dekha aur humen ship par le gaya, humari custom checking bhi nahi hui aur woh humen humaray cabin tak chod kar jane laga to me uske sath chalne laga aur secretly kaha, salman tum is mulaqat kisi ko bato ge to nahi?
Sarfraz ! kya aap mujh par yaqeen nahi rakhte . Aap ko maloom he ke aap ke papa ko pata chal gaya to aap ke sath meri bhi shamat aaye gi. Salman ne shararat se jawab diya phir ahista se poocha mamla kya he hon hen ye?
Oxford me mulaqat hui thi agar qismat ne sath diya to ye tumhari bhabhi ban jaye gi.
Kuch idhar udhar ki baton ke baad salman chala gaya aur me cabin ki taraf chal diya.
Flora se meri pehli mulaqat oxford me hui thi. Sab ladke uske liye line khade rehte the lekin woh kisi ko lifit nahi karwati thi. Mere sath who halki phulki baten kar leti thi . mene use apne aur apni family ke bare me bataya to uski ankhon me chamak aai lekin muskrati hui age badh gai. Mujhe bada gusa aya lekin kya kar sakta tha. Mene faisla kar liya ke use har hal me pa kar rahoon ga. Flora first year me thi lekin phir najane kya hua flora ne university ana band kar diya. Do char din to kisi ko faraq na pada lekin phir baten hone lagi. Har ladke ne flora ki kami mehsoos ki, khud mera bura hal tha. Mene flora ko dhoondne ki bohut koshish ki lekin woh mujhe na mil saki. Final exams ke bad me apne home city agaya lekin flora ko na bhula saka.
Me apne city akar busy ho gaya ek din doston ke sath ek hotel ke restaurant me khana khane gaya to wahan flora ko dekha lekin doston ki wajah se me uske pass na gaya. Kuch dair baad me uth kar menager ke pass chala gaya use flora ke baray me poocha to ye jaan kar khushi hui ke woh isi hotel me thehri hui he. Lekin usne mujhe ye bhi bataya ke usne kamra Rozi Albert ke naam se book karwaya he. Me apni table par doston ke pas akar beth gaya . me baar baar flora ki taraf dekh raha tha ek baar humari nazren milien to woh mujhe dekh kar chonk gai. Flora ne muskrate huye uthi ek nazar mujh par dali aur apne room ki taraf chli gai. Phir me bhi ghar lot aya. Raat bhar bechaini rahi, agli subeh ka intzar kathin ho gaya. Me subeh subeh hotel pohanch gaya, manager se maloom hua flora is waqt apne kamre me he, me manger se room number maloom karke room ki taraf chala gaya. Door par dastakh (nock) karte waqt mere seene (chest) me dil ek sache ashiq ki tarah dhadak raha tha. Kuch dair baad door open hua, flora mujh se oxford wale andaz me hi mili mene flora se itni baten ki ke who mujhe se free hogai, baton ke doran mene flora se achanak university chodne ke bare me poocha to usne badi ada se poocha. Kya tumne bhi meri kami mehsoos ki ?
Han mene muskrate huye jawab diya. Me samajhta hoon tumhari kami mehsoos karne walon me sab se ooper tha..
Oh! Flora mera jawab sun kar sharma gai. Phir topic change ho gaya. Phir me use apne sheher ke baray me batane laga kuch dair mene us se poocha ke tumne rozi ke naam se kyoon karma book kiya he. Flora khamosh ho gai aur mujhe dekhte huye boli sarfraz ye baat na poocho to behter he. Meri personal life ke baray me koi baat kare mujhe ye pasand nahi. Last night restaurant me tuhmen dekh kar mujhe badi khushi hui hum sirf doston ki tarah milte rahen to humaray liye acha hoga. Meri personal life ke baray me sawal mat karo. Mene baat ko change karte huye us se poocha tum yahan kitne din raho gi?
Flora ne jawab diya ke ziyadah se ziyadah 6 days. Phir me Durban chali jaun gi.
Flora ne muskrate huye mujhe dekha aur poocha ke kya tum mujhe apna city ka visit nahi karwao ge.
Mene kaha kyoon nahi? Phir humne ye 6 days sath guzare woh hanste hanste achanak khamosh ho jati. Ek raat mene shabina club jane ka socha aur use leker me club chala gaya . mene flora se poocha kya logi to usne bear ka kaha . phir mene waiter ko bol kar bear mangwai humne khana khaya aur bohut dair tak baten karte rahe. Flora ne ghadi me time dekh kar mujhe kaha ke ab chalna chahiye.
Mene flora ko kaha itni jaldi lekin flora ne mujhe in hungamon me koi interest nahi he. Yaqeen karo yahan me sirf tumhari liye aai thi. Lekin me yahan aur ziyadah nahi beth sakti aur ye kehte woh uthi aur bahar ki aur chal di. Me bhi uske peeche peeche chal pada. Bahar akar jab mene car start ki to flora muskrate huye boli kya hua sarfraz tum achanak udas kyoon hogae ho ho?
Mera dil chaha ke chalti gadi se jump marun lekin me khamosh raha phir mene us se poocha kya tumhara Durban jana zaroori he?
Usne ek sard ah bhar kar boli . bohut zaroori he sarfraz mera kaam hi aisa he.
Phir flora ne kaha kya tum mere sath chal sakte ?
Meri to khushi ka koi thikana hi na raha. Mene use jawab diya kyoon nahi. Me tumhari khatir apni jaan bhi qurban kar sakta hoon.
Sarfraz ….. flora ne kaha kuch din baad hum yahan lot aaen ge. Flora ko mene hotel choda aur agle din hum ship ke zariye Durban rawana ho gae.
Ship me safar karte huye humen ek week ho gaya tha koi khaas baat na hui lekin ek din me nashta karke apne cabin me lota to dekha flora wahan nahi he. Me restaurant me use dekhne chala gaya wahan par bhi woh na mili. Ship par humen koi janta bhi nahi tha is pareshani me aise hi chala jaa raha tha ke meri takar ek budhiya se ho gai aur woh budhia neeche flor pa ja giri uske sar par chot aai aur wahan se khoon behne laga uske gale me bohut se malaen jhool rahi thin, ek mala kisi animal ki khopdiki thi woh African lag rahi thi. Uski akhon me gusa nazar aa raha tha mene African language me use sorry kaha.
Usne chonk kar mujhe dekha phir mujhe sharap diya tu mujrim he tune meri rooh ko zakhmi (hurt) kiya he mene dekha ke ek mala ki khopdi tooti hui thi. Usne mujhe khofnaak ankhon se dekha aur kaha ( devta jaara kaka tumhen barbaad kar de ga ) mene phir use sorry kaha lekin usne jawab diya devta mujhe bula raha he aur usne samundar (Sea) me jump mara wahan par bohut se log the phir ship ke officers ne akar khana puri ki aur chale gae . me flora ko dhoodnte huye boiler ke nazdeek (close) se guzra to mujhe flora mil gai mene use sab kuch bata diya hum abhi baten kar rahe thi ke achanak samader me bhayanak toofan agya ship dolne laga . humne railing ko pakad kar rakha tha aise me mere sar par akar kuch zor se laga aur me samandar me ja gira. Meri ankhen band ho gai aur aisa laga raha tha jese me mar raha hoon. Na jane kitni dair me behosh raha phir jab meri ankhen khulin to me samander ke kinaray par pada kuch doori par flora aur uske sathi kuch aur log bhi pade the. Abhi me uthne ki koshish kar raha tha ke samne se jangli ate huye dikhe woh sab nange (nude) the unke pass hath me nokili lakdiyan thin . un logon ne humhen dekha apas me kuch dair baat ki aur sab ko utha kar apne kabile ki taraf chal pade. Kuch dair baad un lgon ne humen ek jhonpdi me band kar diya ? sab log raste me hi hosh me aa gae the aur ek dusre se baten kar rahe flora mere pass dari sehmi hui bethi thi . baton ke duran mujhe apne sath logon ke namon ka pata chala humaray sath flora ke ilawa ek aur ladki bhi thi uska naam sarita tha uske sath uska baap tha. Bhook se humara bura haal tha mene door par khade ek jungle ko khane ke liye bola lekin usne mujhe Dhaka dai kar door band kar diya. Kuch dair baad jab door khula to woh log khane ko kuch lae the . humne woh khana khaya aur pani piya. Khana khane ke baad humen nind aane lagi aur hum sab log so gae. Jab ankh khuli to dekha flora mere pass nahi thi aur na hi dusri ladki sareeta wahan par nazar aa rahi. Me uth kar door ke pas khade jungle se poocha flora kahan he usne kaha ke use shawala le gaya . usne kalari ki baat na maan kar bohut bura kiya agar aqabla naraz ho gai to uska jaadu use tabah karde ga, agar kalari ne shawala ko rokne ki koshish ki to shawala use khatam kar dega. Lekin aqabla shawala ko man mani nahi karne de gi woh use roke gi. Magar tab tak shawala us khoobsurat ladki ka rape kar chuka hoga. Tumne dekha ke shawala kis tarah use utha kar legaya aur tumhen pata bhi na chala. Phir mene us se poocha dusri ladki kahan he to usne bataya dusri ladki ko sardar kalari le gaya he . me apne sar par hath rakh kar beth gaya itne us ladki ka baat bhi uth gaya usne jab apne pass sarita ko na dekha to woh bhi pareshan ho gaya aur mere pass akar mujh se poochne laga mene use sab kuch bata diya . uska naam saranga tha . saranga ne apni jaib se ek murti nikal kar samne rakhi aur ankhen band kar ke kuch badbadne laga kuch dair baad ek khoobsurat ladki uske samne aa gai aur who use apni pareshani batane laga kuch dair uske sath baten karne ke baad woh khamosh ho gaya aur ladki gaib ho gai. Us ladki se baten karne ke baad saranga sakoon se beth gaya. Lekin me abhi bhi bohut bechain tha.
Mujhe pareshan dekh kar saranga bola ye jaadoi duniya he yahan par unki marzi ke bina kuch nahi hota. Tum khamosh ho jao flora shawala ko pasand aa gai thi is liye woh use le gaya? Mene use kaha ke kalari sarita ko bhi le gaya he to usne kaha uski rakhsha devi kare gi. Uski mujhe fikir nahi he. Saranga khuda ke liye kuch socho meri yahan jaan nikli jaa rahi he, itna sangdil ban kar na socho.
Sarfraz pareshan na ho flora ka gaib hona humare liye achi baat he. Kuch qurbani deker hi kuch paya jata . lekin tum najane kyoon apni qurbani dene par tule ho. Idhar mera dil khoon ke ansoo ro raha tha aur saranga keh raha tha ke acha hua he .
Me ankhen band karke lait gaya aur sarnga bhi kuch dair baad kuch log andar aae . meri ankhen band thin . jab who chale gae to mene ankhen khol kar dekha to samne flora aur sarita padi hui thin flora ke pure jism par keede ghoom rahe the. Do ladkiya flora ke sath bethi then un ladkiyon ne herat se mujhe dekha shayad un ladkion ne pheli martaba koi gora aur khoobsurat ladka dekha tha