Mujhe uske dili kaifiat ka andazah karne me dair nahi lagi , zolin mujhe pasand kar chuki thi. Mujhe ye nahi maloom tha ke me zolin ko bhi pa sakta hoon. Ab meri koi ana nahi thi . koi wajood nahi tha . me dewana war us par jhapta aur uske hont chusne laga . lekin kuch hi dair hui thi ke usne mujhe Dhaka diya aur khud cheekhne lagi aur woh kisi ko sorry kehne lagi. Who zameen par gir gai aur tadapne lagi . kuch dair me usko aag lag gai . aur uska badan jalne laga . kuch hi dair me rakh ban gai aur me behosh ho gaya . jab ankh khuli to dekha me saranga ke pass jhonpdi me hoon. Saranga mere ooper jhuka hua he aur kuch kehne ki koshish kar raha he . sareeta khof se mere hath sehla rahi he . tosha aur neri door khadi kaanp rahi hen. Flora ki ankhen khuli hui thin lekin usne mujhe dekh kar kisi jazbe ka izhar nahi kiya . me khud ko dobarah jhonpdi me dekh kar pareshan hogaya . kya me koi sapna dekh raha tha . me abhi kahan tha ? mene saranga ki taraf dekha aur us se poocha me yahan kab aya hoon. Usne bataya kuch hi dair hui ke usne mujhe jhonpdi me pada ho dekha he . who ye nahi dekh saka me yahan khud aya hoon ya koi aur mujhe lekar aya he . mere gale me jara kaka ki khopdi mojod thi. Saranga use bohut gor se dekh raha tha.
Sarfraz tum raat bhar kahan the ye jungle tumhen dhoond rahe the bohut baat jhonpdi me aaye aur in dono ladkiyon se kuch pooch kar chale gaye jise me nahi samajh saka.
Me abhi saranga ko jawab dene hi wala tha ke jhonpdi ka door open hua aur ek khatarnak chehre wala jungle andar agaya aur flora ko dekhne laga use dekhte hi me samajh gaya ke ye shawal he. Phir usne meri taraf dekha aur jab mere gale me padi jara kaka ki khopdi ko dekha to uski ankhen guse se lal ho gai.
Usne guse me kaha . tumne bhagne ki koshish ki .
Han shawala mujhe shama kardo. Mene jawab diya.
Tum ne humare admion ko qatal kar diya he, tum par devtaon ka qeher nazil hoga. Shawla ne nafarat se kaha.
Mene phir us se maafi mangi lekin . usne har bar mujhe devtaon ke azab se daraya. Kya tum nahi jante the ke yahan humara hukm chalta he. Tum ne rule kyoon tode. Usne phir guse se kaha.
Mujhe se galati ho gai. Mene jawab diya .
Tumhen is galati ki saza mile gi . tumne ek nahi kai gunah kiye hen . ye keh kar shawal ne ek cheek buland ki aur peeche khade jungliyon ne mujhe bahar chalne ka kha hum bahar khule maidan me aa gaye.
Jab wahan pohanche to shawala ne kaha mera hukm he ke jara kaka khopdi apni garden se utar de.
Mene wese hi khamosh khada raha mujhe tosha ki baat yaad thi ke jiske gale me jara kaka khopdi hoti he woh balaon se mehfooz rehta he. Mene shawala ko jawab diya.
Mene ye khopdi apni taqat se hasil ki me ise nahi utarun ga . agar tumhen mujh se ladna he to apne jadu ko chod kar mujh se lado. Me tum se ladne ke liye taiyar hoon.
Me janta hoon, tujhe ye sab kahan se maloom hua he. Shawala nafrat se bola . tune tosha ko majboor kar diya tha . tosha ne gadari ki he.
Shawala ne chand wehshion ko ishara kiya ukse hukm par kuch jungle gaye aur tosha ko lekar agaye.
Shawala ne buland awaz me tosha par gadari ka ilzam lagaya. Tosha jawab dene ke bajaye khamosh khadi rahi. Shawala kuch dair tak use ghorta raha phir apne dono hath seene ki seedh me age ki janib kar diye aur ghutno par beth kar apne hath ki khuli ungliyon ko harkat di. Achanak mere sareeta aur tosha ke mun se ek cheekh nikal padi. Jis jagah tosha khadi thi, wahan par wish se bhare huye sanp agaye aur tosha ko katne lage. Kuch dair tadpne ke baad tosha mar gai aur keedon ne use khakar use ke jism ko khatam kar diya ab wahan par kuch bhi nahi tha. Yahan tak ke hadiyan bhi nahi thi. Jungle zor zor se dhol baja rahe the.
Sareeta behosh hoker gir padi aur me bhi khamosh khada reh gaya. Kuch dair baad shawala ne phir mujhe dhamki di aur kaha jara kaka ki khopdi apne gale se utar do. Lekin mene nahi utari to do din ki mohlat de kar chale gaye.
Hum sab jhonpde me agaye. Sareeta ka bura hal tha. Mene uska hath pakad liya flora tanha leti hui thi. Saranga udas betha hua tha. Phir usne achanak mujh se raat ke bare me poocha to mene use sab kuch bata diya .
Sarfraz kya tumhen woh gar yaad he? Usne kaha .
Me use talash kar sakta hoon. Mene jawab diya.
Kya tum mujhe leker wahan chal sakte ho?
Ye mumkin nahi he saranga . kya tumhari budhi barasht ho chuki he.
Me wahan jana chahta hoon .
Magar kyoon?
Tumhen pata nahi ke tum manzil ke kis kadar qareeb pohanch chuke the. Lekin tumne kaam bigad diya. Bahar hal ye khopdi apne pass mehfooz rakho ye tumhare kaam aaye gi. Jitna jaldi ho sake mujhe wahan us gar tak pohancha do.
Kya tum sareeta ko sath le jao ge? Mene poocha.
Nahi sareeta yahin rahe gi.
Kya sareeta ka yahan tanha rehna theek hoga?
Saranga ne kuch dair socha phir kaha sareeta ka yahan akela rehna theek nahi. Humne ye socha ke jab flora yahan se shawala ke pass chali jaye gi to hum yahan se farar hone ki koshish Karen ge.