kahani ka sirshak mahabharat ke prasidhh yodhaa ke naam pe hain arjun... aur kahani kalpanao kee unn kario ko chherta hain jidhar kee samajh insani deemag ke paas na hain na hi abhi tak science ke paas... in simple words magic....
introduction mein ghar ke sabhi pramukh sadasyo se parichay hua,, kuchh raaz hain jisse pure pariwar mein ek ankahi tanaaw ka mahaul lagatar bana hain... nayak ke pita se uske dada ,,, chacha aur chachi yeh sabhi naaraj hain... swabhaaw se na toh yeh shab gussail ya ghamandi maloom hote hain,,, bhai jo laxman samaan aadar karta hain apne bade bhai kaa aur unke pita jo itna naam kamane ke bawajood bhi lesh maatra bhi ghamand na hain...
**
arjun ke pita ne bhi apne dam pe khud ka naam banaya,,, lekin pati aur patni dono ne kuchh aisa kiya jisse pura pariwar khafa hain lekin koi uska jikar na karta hain.. aur toh aur yeh khud bhi apne aap ko doshi mante hue pachhta rahe hain,,, lekin galti kee maafi pachhtawe se hi hoti hain...
pura pariwar yehan maujood hain shiwaye arjun ke... yeh jo bhi pareshani hain iska sambandh isse hi jura lagta hain.... behne dukhi hain apne aap ko ek shell mein band kar rakhha hain,, na koi dost hain na koi aur sambandh kisi se... jo uske akelapan ka shuboot hain... ek matra sahara apni chhoti behen hee hain...
***
kuchh unwated log bhi hain jo apni seenge ghusate rahte hain,,, cm ke bete hain toh kya,, inka pariwar bhi rusookhdar hain,,, kya wo pareshan bas baato se karta hain ya haatho se bhi,,, aisi baate kya ghar tak maloom hain,,, jahir hain cm jee bhi nahin chahenge kisi bare pariwar kee bachho se unka beta badtameeji kare,,, akhir takraaw hone pe nuksaan dono taraf se hoga..
**
khair milte hain pehle update kee review ke saath..