• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Alok

Well-Known Member
11,228
27,788
258
Abhi Abhi aapki story padhi Evil Spirit bhai bahut hi jabardast aur Shandaar story chal rahi hai aur kafi suspense bhi hai....

Lekin ek baat pounchana chahuga ki aapne category incent diya hai lekin abhi tak aisa ko bhi scene nahi aaya hai jisse category valid ho mere hisab se yeh story toh thriller hone chahiye.....

Aagle update ki pratiksha hai bhai...
 
  • Like
Reactions: Luffy and parkas

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
INTRODUCTION

[Ye family Mumbai ke behadh hi haseen ilaake mein rehti hai. Hill side mein bane inke bangle ki khubsurti dekhte hi banti hai. Itna aalishan ghar ke kisi ka bhi sapna ho usmein rehne ka.]

✓ SURYAKANT THAKUR (DADAJI): Age : 67. Ek bahut hi hansmukh aur milansaar swabhaav ke maalik. Poore parivaar ko saath lekar chalne mein yakeen rakhte hain. Khaandani Raees hai par kisi bhi baat ka ghamand nahi hai. Inke baare mein kuchh raaz hain jo sirf ye hi jaante hain. Apne bade bete aur bahu se kuchh khafa rehte hain aur apne Bade Pote se sabse zyada pyaar karte hain.

✓ RAJVEER THAKUR (DAD): Age : 46. Poore Desh ka ek jaana – pehchaana naam. Apne dum par ek bahut hi bade aur sucessful business ko khada kiya hai inhone par bahut hi down to earth nature hai inka bhi. Aawaz mein ek kadakpan hai jisse sunkar achhe achhon ke paseene chhoot jaayen. Bas ek hi shikwa hai inhe apne jeewan se ya khud se hi jiske kaaran hamesha dukhi rehte hain.

✓ SHWETA THAKUR (MAA): Age : 44. Ek behadh hi khubsurat middle – aged mahila. Inhe dekh kar koyi nahi keh sakta ke inki umra 40 ke paar hogi. Apne parivaar especially apne bachon se bahut pyaar karti hain. Apne pati ki hi tarah ye bhi ek glaani ke daur se guzar rahi hain. Peshe se ek Vakeel hain.

20220106-151656-0000

✓ ANVITA THAKUR (SISTER): Age : 19. Ek bahut hi khubsurat aur pyaari ladki.Iski aankhon ki putliyon ka colour blue hai. Jiske kaaran iska chehra kuchh zyada hi haseen lagta hai.Filhaal College ke second year mein hai. Ye apne aap mein hi khoyi – khoyi rehti hai. Isse kisi se adhik baat karna pasand nahi aur issi kaaran se College mein ya waise bhi iske koyi friends nahi hai. Ye sirf apni chhoti behen se hi apne mann ki baat karti hai. Studies mein bahut hi tezz hai.

20220106-151109-0000

✓ SAMARTH THAKUR (CHACHA JI): Age : 42. Apne bade bhai ke Lakshman hain ye. Unki har baat inke liye patthar ki lakeer hai. Kabhi bhi unke kisi faisle par sawaal nahi uthate. Siwaye ek baar ke jab inhone unke khilaaf aawaz oonchi ki thi. Apne bade bhai se naaraz hain par Zaahir nahi karte. Business mein apne bhai ka saath dete hain.

✓ DIVYA THAKUR (CHACHI JI): Age : 40. Ek bahut hi sundar aur suljhe huye nature ki mahila. Ye ghar ke sabhi bachon se ek samaan pyaar karti hain aur apne pati ki hi tarah unke Bade Bhai aur Bhabhi se naaraz hain par ye bhaavna zaahir nahi hone deti.

20220106-151406-0000

✓ DHRUV THAKUR / SNEHA THAKUR (COUSINS): Age : 18. Chacha Ji ke dono bachhe. Ye dono judwa hain. Aksar ek – doosre se jhagadte rehte hain par aapas mein pyaar bhi bahut hai. Ghar ki raunak yahi dono lagaaye rakhte hain. Sneha hi wo shakhs hai jiss se Anvita apni sabhi baatein kar leti hai. Filhaal ye dono hi College ke First year mein hain. Dono ghar ke kharaab mahaul se parichit hain aur uske intezaar mein hai jo sab kuchh theek kar sakta hai.

20220106-151525-0000

✓ HIMANI SHAH (COUSIN): Age : 23. Mausi ki Beti. Mausa Ji aur Mausi Ji ki ek Car accident mein death ho chuki hai kuchh saal pehle aur uske baad se ye issi ghar mein rehti hain. Bahut hi serious aur samajhdaar nature hai inka. Inka sapna ek badi Fashion Designer banna hai aur filhaal usmein hi Masters kar rahi hain. Inki khubsoorti ka kuchh alag hi nasha hai. Zyada make – up bhi inhe pasand nahi fir bhi naturally bahut sundar hain. Padhaayi mein bahut zyada focussed rehti hain.

20220106-151835-0000

✓ ARJUN THAKUR (HERO): Age : 21. Iss kahani ka naayak. Ooncha Kad, well – built body aur ek perfect face cut. Jawline jiss tarah develop huyi hai uss kaaran looks aur bhi better lagte hain. Iski eyeballs ka colour bhi Blue hai. Ye apni family se door Delhi mein rehta hai. Filhaal Graduation ke Last Year mein hai, bas results aane hi waale hain. Bahut hi adhik serious aur introvert nature hai iska. Aasani se kisi ke saath bhi ghulta nahi hai. College mein bhi maatra ek hi dost hai iska. Bahut se raaz hain iske jeevan mein jiss se sirf iska best – friend hi parichit hai.

20220106-151227-0000

✓ VIHAAN SINGH (BEST – FRIEND): Age : 21. ARJUN ke saath hi padhta hai aur dono ka Delhi mein flat bhi ek hi hai. Ye ek Anaath hai aur pehle Orphanage mein hi rehta tha par filhaal Arjun ke hi saath rehta hai. Ye Arjun ko apna bhai maanta hai aur uske liye kuchh bhi kar sakta hai.

✓ MANTHAN JINDAL : Age : 18. Maharastra ke CM ka suputra. Ye Anvita ke saath College mein padhta hai aur usse paana chahta hai par wo apni aadat ke anusaar iss se baat tak nahi karti. Ek bahut hi ghamandi aur bigda hua praani. Paison aur rasookh ka bahut guroor hai isse.

Filhaal Ke liye Itna hi. Of Course aur bhi characters aayenge Kahani mein par unka intro unke aagman par hi milega & Important baat ye ki kahani Hero ke Point Of View se chalegi arthat First person ke view se.

Dhanyawaad!!
Nayi katha ki bahut bahut shubhkaamnaye dost
Shaandaar parshtawna thi
 
  • Like
Reactions: Luffy and parkas

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
CHAPTER – 1

{THE QUEST FOR STYGIAN}


UPDATE – 1

CITY : DELHI

LOCATION : NATIONAL COLLEGE OF ENGINEERING

“ARJUN... You're Late...”

Ye shabd kahe the ek formal suit ko pehne vyakti ne jo iss College ke Convocation Hall ki entry ke paas khade the. In shabdon ko recieve karne waale end par tha ek ladka jo koyi aur nahi balki “MAIN” hi tha.Jiske jawaab mein,

“Sorry Sir, won't happen again!!”

SIR ( Smiles ) : I know My Boy... Go take your seat.

Main bina kuchh kahe bas sar haan mein hilaakar aage badh gaya. Jab main hall mein pahuncha to wahaan baithe zyadatar students aur Staff ki nazren bhi mujhpar hi tik gayi. Main chalta hua middle row mein baithe ek ladke ke bagal mein baith gaya.

LADKA : Aa gaya tu, kya baat aaj late kaise hua?

MAIN : Maine Saara intezaam kar diya hai. Tujhe aaj hi nikalna hai!!

Wo meri baat sunkar ek dum serious ho gaya. Fir kuchh sochkar,

LADKA : Hmm... Thik hai. Par wahaan se aage kaise jaana hai ye tune abhi tak nahi batya hai.

MAIN : Kuaan pyaase ke paas nahi aata... Pyaasa Kuyen ke paas jaata hai. Tujhe bhi wahaan pahunchkar hi pata chal jaayega.

Usne mere tark par bas muskurakar sar hila diya. Tabhi, hall mein ek shaanti chhaa gayi. Reason – College ke Dean jo Stage par pahunch chuke the.

DEAN : So, Hello All the Genius Students of NCE. Jaisa ki aap sab jaante hain ke aaj hum sab yahaan Convocation ceremony ke liye ikattha huye hain. Main aapko batana chahunga ke iss baar bhi hamare Institute ka Result 100% raha hai.

Ye sunkar sabhi students ke chehre khil gaye. Aakhir fail hone ki chinta se mukt jo ho gaye the.

DEAN : Aaj hamare beech Delhi ke Education Minister bhi maujood hain aur wo Institute ke Top 3 rankers ko apne shubh haathon se degree pradaan karenge. So without wasting any time, main unhe stage par bulana chahunga ke wo aayen aur toppers ko puraskrit karen.

Iske baad wo Minister stage par pahunche aur jo ladki 3rd thi usse Graduation ki degree aur ek Trophy di.

DEAN : Ab, baari hai uss student ki jisne College mein 2nd rank achieve kiya hai – VIHAAN SINGH...

Iss naam ki ghoshna par mere saath mein baitha ladka khush hote huye stage ki taraf badh gaya. Ji haan ye Vihaan hi tha, mera param mitra. Usse bhi uski degree aur award se samaanit kiya gaya.

DEAN : And ab baari hai Institute ke Topper ki aur mujhe ye batate huye behadh khushi ho rahi hai ke iss baar jisne Hamare College mein first rank haasil kiya hai wahi University Topper bhi hai & the name is – ARJUN THAKUR...

Sabhi chhatron ke sar apne aap hi meri aur ho gaye. Main bina kisi adhik excitement ko dikhaaye utha aur stage ki taraf badh gaya. Stage par pahunchkar maine Dean aur Special Guest dono ko hi greet kiya. Prize ke taur par mujhe degree aur trophy ke alawa ek All India Scholarship mili, jiske falswaroop Main kisi bhi college se Free Of Cost Post-graduation kar sakta tha.

Iske baad kuchh derr tak ye programme chala aur fir saare students ko disperse kar diya gaya. Mujhe aur saath hi Vihaan ko bhi sabhi congratulate kar rahe the par jahaan mera chehra bhaavheen tha wahin Vihaan kaafi chintit lag raha tha. Main uske paas gaya,

MAIN : Kyon pareshaan ho raha hai!? Kuchh nahi hoga. Chill kar, marne nahi dunga tujhe filhaal main.

VIHAAN : Filhaal...

Maine bas usse dekh kar ek shaitaani smile bikher di. Hum dono College se nikalkar apne Flat par pahunche aur Vihaan ek bag uthakar Airport ki taraf nikal gaya.

UNIDENTIFIED LOCATION :

Ek bahut hi ajeeb si jagah hai ye, aas – paas kisi insaan ya jaanwar ka to kya, ped – paudhon tak ka naam – o – nishaan nahi hai. Zameen ka rang bhi ajeeb hai, laal gehra laal maano yahaan khoon ki holi kheli gayi ho. Waise to filhaal subah ka samay hai par yahaan chaaron taraf ujaale ka ek katra tak nahi hai. Andhere ki chaadar se dhaki ye jagah sachmein behadh khaufnaak hai.

“ Apollyon Nizrin Apollyon...
Jinvir Sikliosis Apollyon!!
Kinhit girden Hitrit Apollyon...
Hixxot Hixxot Apollyon Apollyon!!

Hobden Ristik Nerin Beleth...
Jindin Deavin Fillin Beleth!!
Gonnin Gitris Dinen Beleth...
Claxxot Claxxot Beleth Beleth!! ”

Ye shabd the jo fizaon mein goonj rahe the. Jo bhi in shabdon ko bol raha tha uski aawaz nischit hi behadh dheemi thi par in shabdon se jo intensity Paida ho rahi thi wo kaan se khoon nikaal dene ka maada rakhti thi. Khair, yahaan aas – paas kahin koyi bhi ghar ya kuchh bhi aesa nazar nahi aa raha tha par aawaz saaf sunaayi de rahi thi.

Ohhh!! Ye aawaz to zameen ke neeche se utpann ho rahi hai. Chaliye aapko Zameen ke neeche ke drishya se bhi ru – baroo karaya jaaye. Adbhut, yahi shabd niklata hai munh se ye dekhne ke baad. Kaha jaata hai ke Paatal Lok zameen ke neeche hai aur ye uska live example tha. Ek behadh hi daraavni aur badsoorat jagah. Chaaron taraf sookhe huye khoon ke nishaan, kankaal aur kayi saare hathiyaar bhi maujood hain. Par kamaal ki baat ye hai ke ye sabhi hathiyaar behadh hi ajeeb hain. Maano ke Puraane Zamaane se laaye gaye hon!! Dhanush, Bhaala, Talwaar aur inhi ke bhai – bandhu samajh sakte hain aap in hathiyaaron ko.

Iss jagah ke beechon – beech kuchh ajeeb se jeev – jantu maujood the. Unki appearance se lag raha tha jaise wo sab pathhar ke bane ho. Ya fir ek bade se pathhar par nakkashi karke unhe banaya gaya ho. Unki unchaayi kareeban 8–9 feet hogi aur ginti thi 5. Yahi the wo musicians jo upar likhi gayi lines bol rahe the ya chinghaad rahe the pata nahi. Wo sab ek bistar ke chaaron taraf khade the aur uss bistar par pada tha ek ajeeb sa praani. Uska chehra nahi dekha ja sakta tha kyonki uske oopar ek kaale rang ka dhuaan maujood tha par uska baaki shareer kaafi ajeeb sa tha. Uspar itni drawings bani thi ke samajh nahi aa raha tha ke Uske shareer par tattoos hain ya Tattoos par uska shareer.

Khair, wahin par ek roshni chamak rahi thi aur wo ek darwaaza sa lag raha tha. Kyonki jo bed par maujood shakhs tha uske munh se lagaatar nikal raha kaala dhuaan uss roshni numa darwaaze par jaakar gayab ho raha tha.

Kuchh derr tak yahi prakriya chali aur uske baad bistar par pada shakhs gaayab ho gaya. Wahin wo paancho Patthar ke bane jeev apni – apni jagah par gir gaye jaise behosh ho chuke hon. Ab wahaan agar kuchh tha to sirf wo roshni jismein se ek hi aawaz sunaayi de rahi thi –

“ Hahahahah... Hahahahah... Hahahahah... ”

CITY : MUMBAI

LOCATION : THAKUR VILLA

Jiss ghar ki charcha Introduction mein huyi thi wahi ghar, ya agar bangla kahun to zyada better hoga. Iss ghar ke ek kamre mein maujood hain ek ladki aur uske saath hai ek ladka...

LADKA : Pata nahi kab sab theek hoga!?

LADKI : Hmmm... Ab to bas unka intezaar hai. Ek baar wo aa jaayen to shayad sab kuchh sahi ho paaye.

LADKA : Right, par mujhe thodi tension bhi ho rahi hai kahin sab kuchh ulta naa ho jaaye.

LADKI : Tu hamesha manhoos hi rahiyo. Kabhi bhi positive to sochega nahi tu.

LADKA : SNEHA... Positive baaton se hi sab kuchh nahi ho jaata. Tu khud soch agar unke aane se problem aur badh gayi to? Kya guarantee hai ke wo aakar aasani se sab kuchh bhula denge?

SNEHA : I wish ke sab kuchh sahi ho jaaye DHRUV...

DHRUV : Hope so too... Chalo kam se kam ANVI to theek ho hi jaayegi unke aane se!!

SNEHA : Ye tune sahi kaha, ek wahi hain jo usse waapis se puraane waali mastikhor ladki bana sakte hain.

DHRUV : Wo din... Main bahut miss karta hoon un dinon ko. Kitna achha time tha naa, hum sab saath milkar khela karte the.

Darwaaze par khadi ek ladki in dono ki baatein sun rahi thi aur shayad wo bhi wahi chahti thi jo ye dono chahate the. Wo inke paas hi andar gayi aur,

LADKI : Tum dono tension mat lo wo bahut samajhdar hai. Dekhna wo aakar sab kuchh sahi kar dega!!

In dono ke chehron par bhi khushi ki lakeerein dikhne lagi.

SNEHA : Kaash aesa hi ho Di. Fir hum paancho milkar firse pehle jaisi dhoom machaayenge.

LADKI : Haan tujhe to bas uchhal kood hi karni hai...

SNEHA : Kya HIMANI Di aap bahut hi boring ho!!

HIMANI : Chal chal ab thoda kitaaben bhi khol ke dekh le. Kahin baad mein roti fire ke main fail ho gayi.

SNEHA : Main nahi hoti fail. Waise Di Kab aa rahe hain Bhai? Aapko to phone kiya hi hoga unhone!?

HIMANI : Hmm... Keh to raha tha ke kal aa jaayega. Baaki uske mood ka kaunsa kuchh pata rehta hai.

Kuchh derr tak inki baat cheet chali fir ye sabhi apne – apne kaamo mein mashgool ho gaye. Issi bangle ke ek alag kamre mein bistar par akeli gum sum si baithi hai ek ladki. Bed se tek lagaaye side waali khidki se baahar ki taraf dekh rahi hai. Jaane kin khayalon mein khoyi hai wo. Tabhi usne apne pillow ke neeche se ek tasveer nikaali aur uspar haath ferne lagi.

Dard to nischit hi tha uske chehre, aankhon mein mayoosi bhi saaf dikh rahi thi par fir bhi uski aankhon mein aansoon nahi the. Wo shaant thi, behadh shaant. Jaise ke khud ke andar apne saare dukhon ko samete jaa rahi ho. Kisi ke intezaar mein, kisi kandhe ke intezaar mein jispar sar rakh kar wo apne ashkon ko bahaa sake.

Uske antarmann mein bas ek hi baat chal rahi thi, ek hi tasveer chal rahi thi aur ussi tasveer ko yaad karte huye wo soch rahi thi :

“ I miss you Bhai... I miss you so much!! Kab aaoge aap, aap to mujhe bhool Gaye hona. Bhool gaye ho ke aapki ek behen bhi hai, jo aapke bina nahi reh sakti, please mere paas aa jaao bhai. Please!! ”

Usne uss tasveer ko apne seene se laga liya jaise wo uss photo se gale mil rahi ho, aur ek gehri neend mein chali gayi.

PLACE : THAKUR & CO.

Desh ke sabse badi business mein se ek, THAKUR & CO.. ka ye office jahan hum maujood hain, ye office hi kaafi hai batane ke liye ke kitni badi company hai ye. Iss office ke ek Cabin mein baithe hain ek vyakti, cabin ke baahar name plate par likha hua tha – RAJVEER THAKUR [M.D.]...

Wo yahaan baithe kisi gehri soch mein gum hain. Unke saamne ek aur aadmi bhi maujood hai aur unhe sochon mein gum dekh kar wo bhi haalat bhali – bhaanti samajh rahe hain. Tabhi wo khoye – khoye hi bole,

RAJVEER : Kya wo mujhe maaf karega!?

AADMI : Kya kaha Bhaisahab Aapne??

RAJVEER : SAMARTH... wo kabhi mujhe maaf kar paayega? Main kitna bura baap hoon naa jo apni hi aulaad ke sath ye sab kiya.

SAMARTH kuchh nahi bole bas apne bade bhai ki taraf hi dekhte rahe,

RAJVEER : Tum batao Samarth... Kya wo mujhe maaf karega??

Unhone ek lambi saans chhodi aur bole,

SAMARTH : Bhaisahab, agar aapne usse maara hota peeta hota, daanta hota, gaaliyan di hoti, yahaan tak ki jaan se bhi maar diya hota... Tab bhi haste huye ye sab sweekar kar leta par... (Pause) Par uss sabke kaaran jo haalat Anvi ki huyi hai aapko lagta hai uske liye wo kabhi aapko maaf kar paayega!?

Wo bhi nishabd se ho gaye the iss baat par aur dobara se apni sochon mein kho gaye.

CITY : MANALI

PLACE : JOGINI FALLS

Manali mein stith ye ek bahut hi manmohak jharna jiski khubsurti dekhte hi banti hai. Issi jharne ke kareeb haath mein camera liye khadi hai ek ladki, aur chaaron taraf ke view ki tasveeren click kar rahi hai. Iss ladki ke nazdeek hi maujood hain kayi aur ladke – ladkiyan bhi, prateet hota hai jaise group mein trip par aaye hon ye sabhi.

Uss camera waali ladki ka dhyaan keval photos kheenchne par hi laga hua hai ke tabhi wahaan achanak se hi tezz hawaayein chalne lagti hain. Jo kuchh hi palon mein aandhi ka roop le chuki thi. Wo ladki wahin ek patthar ke paas baith gayi kyonki abhi chal paana sambhav nahi tha. Wahin uske saath ke baaki log bhi paas hi kisi na kisi cheez ke nazdeek baith gaye.

Tabhi, aasman mein bijli ki garjana hone lagi aur ek dhundh si fiza mein failne lagi. Kuchh hi palon mein kohre ke kaaran visibility shunya ho chuki thi. Wahaan maujood koyi bhi aas – paas ka kuchh nahi dekh paa raha tha. Tabhi uss Camera waali ladki ke paas ek prakaash fail gaya. Par agar baahar se koyi dekhta bhi to wahaan sab kuchh gaayab nazar aata. Saaf shabdon mein kahun to iss roshni ne uss ladki ko cover kar liya tha jiss kaaran se baahar se wo invisible ho gayi thi.

Uss ladki ki ye sab dekh kar saansein atakne lagi. Tabhi uske shock ko badhaata hua wo patthar jiske kareeb wo baithi thi do tukdon mein bant gaya aur jo cheez uss pathhar se baahar aayi usse dekh kar to uss ladki ki saansein laghbhag band hi ho chuki thi. Kyonki wo ek behadh hi daraawna saanp tha. Yes, a Snake. Uski appearance bahut hi ajeeb thi. Mostly uski Skin Safed rang ki thi par beech – beech mein kaale aur neele rang ki maujoodgi bhi dikh rahi thi. Saath hi uske oopar ek talwaar ki tasveer bhi bani huyi thi.

Achanak hi usne apna fan (sar) uthaya aur apna munh kholkar funkaar maarne laga. Ab to wo ladki apne aap ko mara hua samajhne lagi thi ke tabhi wo behosh ho gayi ya kahun ke behosh kar di gayi kyonki uske sar ke oopar ban chuka tha ek golden colour ka dhuaan. Aur ye sab dekh kar shayad wo saanp bhi hairaan reh gaya tha kyonki wo idhar – udhar apna sar ghumaane laga tha. Tabhi wo saanp ek gol chakkar mein ghoomne laga aur jab uski speed itni zyada ho gayi ke wo dikhna hi band ho chala, tabhi...

Wo saanp ek aadmi mein badal gaya. 6 feet se zyada ki height, shareer par kaale kapde, munh se baahar latakte do bade zehrile daant aur haath mein maujood ek talwaar. Uski appearance kisi ko bhi dara dene ke liye kaafi thi. Wo uss golden colour ke dhuen ki taraf jalti huyi nigaahon se dekhne laga.

SNAKE : Hisss... Hisss... Kaun ho tum!? Himmat kaise huyi mere raaste mein aane ki. Hisss... Hisss...

Tabhi uss dhuen mein hulchul hone lagi aur achanak hi usmein se aawaz aayi,

DHUAAN : Tu jaanta hai ke kispar hamla karne jaa rha tha tu??

SNAKE : Hisss... Hisss... Wo mera shikaar thi. Main uske saath kuchh bhi karun. Tu kaun hai rokne waala? Hisss... Hisss...

DHUAAN : Hahahaha... Shikaar! Tu inka shikaar karega!! Hahahaha...

SNAKE : Hisssss... Hisssss... Ab tu dekh, mujhe lalkaarne ka nateeja!! Hisssss... Hisssss...

Aur us aadmi numa saanp ne uss camera waali ladki ki taraf foonk maar di. Ye koyi aesa – waisa hamla nahi tha balki usne apna zeher foonka tha uss ladki ke oopar. Par tabhi apne aap hi uss zeher ki direction badli aur wo oopar ki taraf behta hua uss Golden Dhuyen mein sama gaya aur ye dekh kar uss Saanp ki aankhen fati ki fati reh gayi. Wo hairaan pareshaan sa maamla samajhne ki koshish kar raha tha.

DHUAAN : Kaha tha na maine bewakoof ke tu inhe chhoo bhi nahi sakta.

SNAKE : Hisss... Hisss... Nahi ye naamumkin hai, mera zehar... Mera zehar bekaar kaise ho sakta hai??LORD ki shakti hai mere zehar mein... Ye koyi maamoli zehar nahi tha ye mera...

DHUAAN : BOTIS ka zehar tha...

Ye sunkar ek baar firse uss aadmi roopi saanp ki aankhen hairat se fail gayi.

SNAKE : Hisss... Hisss... Tum kaun ho!? Kaun ho tum... Mujhe koyi aese hi nahi Pehchaan sakta. Hisss... Hisss...

DHUAAN : Tu na mujhe pehchaan sakta hai naa inhe jinpar tu hamla karne aaya tha. Jaa chala jaa yahaan se warna kahin maara naa jaaye!!

Wo Saanp apni taakat ko bhali bhaanti jaanta tha aur khud par poora yakeen bhi tha usse par jo kuchh abhi hua tha, specially uski identity koyi jaanta tha ye usse dara raha tha. Wo waapis apni saanp ki form mein lauta aur ussi patthar mein ghus gaya. Wo patthar bhi pehle ki hi tarah waapis se jud gaya. Wo Golden Dhuaan kuchh der wahin raha fir gaayab ho gaya.

Ab poore ilaake mein ek shaanti thi. Hawayein tham chuki thi aur kohra bhi hatt chuka tha. Wo sabhi log uss camera waali ladki ke kareeb aaye to usse neeche behosh gira paaya. Unmein se ek aur ladki ne uska sar apni god mein rakh liya aur uske gaalon ko thapthapaate huye usse uthaane lagi.

LADKI : Aankhen kholo... Aankhen kholo... Utho AHANA!!

Tabhi uss camera waali ladki ne apni aankhen kholi aur ek hi shabd chillate huye uthkar baith gayi aur wo shabd tha – “ARJUNNNNN...”

CITY : DELHI

LOCATION : JANPATH

Delhi ke Janpath ke paas hi ek khaali maidaan mein iss waqt khaad tha Main. Mere saamne khade the kuchh aadmi jo oonchi kad – kaathi ke hatte – katte bande the. Sabhi formal suit – boot pehne huye the. Tabhi,

Main : Tum sabko abhi ke abhi KOLKATA ke liye nikalna hai. Wahaan tumhe Vihaan milega. Tum sabko dhyaan rakhna hai ke uspar koyi bhi khatra naa aaye. Jiss kaam ke liye wo gaya hai wo bahut zyada zaroori hai aur agar uss kaam mein koyi chook huyi toh...

Maine sentence to adhoora chhod diya par meri aankhon mein dikh rahi darindagi se wo sabhi parichit the. Isiliye unhone kaanpte huye haan mein sar hila diya.

Maine aasman ki taraf dekha aur bas inhi shabdon ko budbudaya : Aur yahaan se shuru hoti hai...

“THE QUEST FOR STYGIAN...”




Iss Update Mein Itna Hi... Next Update tak ke liye Bye – Bye...



Bane Rahiye!
Bahut badhiya update sang aagaaz bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
CHAPTER – 1

{THE QUEST FOR STYGIAN}


UPDATE – 2

NEXT DAY :

CITY : MUMBAI

LOCATION : THAKUR VILLA

Jaante hi hain aap iss ghar ko to, filhaal iss ghar ke baahar khada tha Main. Waise to Zyadatar mera chehra sapaat aur aankhen sooni si hi raha karti hain par iss waqt ek krodh ki jawaala meri aankhon mein saaf dekhi jaa sakti thi. Mere haath mein do bags the, jinmein of course mera samaan tha. Tabhi gate ke paas khade ek guard ki nazar mujhpar padi aur fir uski aankhen failti chali gayi. Wo andar ki taraf bhaaga ek hi pankti ko laghbhag chillate huye – “Maalik... Maalik... Arjun Baba aa gaye!!”

Maine apne dimaag mein panap rahe anekon vichaaron ko jhatka aur andar ki taraf badh gaya. Main abhi ghar ki chaukhat par pahuncha hi tha ke andar ki taraf se laghbhag bhaagte huye ek buzurg vyakti aaye. Mujhe dekhkar unki aankhen bheegti chali gayi, wo kitne khush the iska andaza main laga paa raha tha. Maine apne bags ko chhoda aur unke paaon chhoo liye. Unhone mujhe uthaya aur apne gale se laga liya. Wo meri peeth par thapthapate huye aansoon baha rahe the, wahin unke peechhe hi kuchh aur shakhs bhi khade the. Jahaan unmein se do ko dekh kar mere chehre par halki khushi aayi wahin baaki dono ko dekh kar ek hi jhatke mein wo khushi kafoor ho gayi.

Khair, un buzurg vyakti joki mere Dadaji the, unhone kaafi derr mujhe gale lagaye rakhe aur jab wo alag huye to unke chehre par saare jahaan ki khushi thi. Unhone mere sar par haath fera aur,

DADAJI : Bahut waqt laga diya tune aane mein, bahut intezaar karwaya hai tune iss boodhe ko.

Fir, main unke peechhe ki taraf badha aur wahaan khade aadmi joki mere Chacha the unke paaon chhuye, wo bhi behadh garmjoshi se mujhse mile aur unke baad main Chachi se mila. Unhone sadaiv hi mujhe apne khud ke bete jaisa hi maana tha. To nischit hi unka behadh zyada emotional ho jaana laazmi tha. Khair, jab main in sabse mil liya to wahaan khade ek aur aadmi – aurat joki mere Maa – Baap the meri taraf badhne ko huye. Par tabhi maine apna haath aage kar diya, mere Jabde bhinche huye the aur aankhon mein ek tapish thi jisse un dono ne mehsoos kar liya tha. Wo ruk gaye aur laachari bhari nazron se mujhe dekhne lage. Abhi main kuchh aur sochta ke tabhi mujhe peechhe se ek aawaz aayi – “BHAIYAAAA...” jisse sunkar main palta.

Wahaan seedhiyon ke nazdeek khada tha ek ladka aur do ladkiyaan jinme se ek ladki (Anvita) par meri aankhen atak gayi thi. Wo bhi apalak mujhe hi nihaare jaa rahi thi. Ek chumbakiya taakat thi uski aankhon mein jo main unke alawa kahin aur dekh hi nahi paa raha tha. Wo chehra jiss se main sabse adhik prem karta tha, kitni mayoosi... Kitna gam, kitni peeda thi uske uss haseen rukhsaar par. Tabhi uske saath mein khadi ladki aur ladka (Sneha – Dhruv) meri aur bhaage aur mere gale lag gaye. Un dono ki aankhon mein bhi aansoon the, kuchh derr baad jab wo alag huye to maine dono ke sar par haath fera. Par iss dauraan meri nazren bas ussi chehre par hi atki huyi thi.

Wo dono bhi jaise mere mann ki baat samajh gaye the aur muskurate huye side hatt gaye. Main dheeme kadmon se uss ladki ki taraf badha aur uske saamne jaakar khada ho gaya. Maine apne kaanpte haath ko uthaya aur jaise hi uske chehre par sparsh karne waala tha wo palatkar seedhiyon se oopar ki taraf bhaag gayi. Main thaga sa khada usse jaate dekhta raha aur aakhir kaar kitne hi waqt baad meri aankhon se bhi neer chhalak hi gaya. Mujhe bahut ajeeb si anubhuti ho rahi thi uske jaane se, tabhi Sneha chalti huyi mere paas aayi aur mere kandhe par haath rakhkar boli,

SNEHA : Bhaiya, wo bahut zyada dard mein hai. Aapke jaane ke baad usne khudko ek shell mein band kar liya hai, yahaan tak ki kisi se baat tak nahi karti wo. Par maine kayi baar usse aapki photo se baatein karte dekha hai. Aap hi usse pehle jaisa bana sakte hain ab...

Main bina uski poori baat sune oopar ki taraf chal diya. Hamesha se uska aur mera kamra ek hi tha. Aur main abhi ussi kamre ke baahar khada tha. Baar – baar main apna haath utha raha tha par darwaaze tak pahunchte hi jaise uski shakti apna dum tod deti. Tabhi maine ek lambi saans kheenchi aur darwaaze ko halka sa jhatka de diya, agle hi pal wo khulta chala gaya. Wo kamra, wo bilkul waisa hi tha jaisa main usse chhod gaya tha bas ek cheez alag thi aur wo thi meri tasveeren... Kamre ki har deewar par bas meri hi tasveeren thi. Baaki uss kamre ka rang, arrangement ya fir sajaawat sab kuchh waisa hi tha. Yahaan tak ki wo sugandh jo ab tak mujhmein basi thi, wo bhi jeevant thi uss kamre mein.

Maine chaaron taraf nazar ghumaayi par wo kahin nahi thi lekin sisakne ki aawaz spasht sunaayi de rahi thi. Main dheeme kadmon se aage badha to paaya ke wo bistar ke doosri taraf neeche baithi aur ghutnon mein apna munh dabaaye ro rahi thi. Usse yun dekh kar mera kaleja kaanp gaya.Main uske nazdeek gaya aur ghutnon par baith gaya.

Maine apne kaanpte haathon se uska chehra uthana chaaha aur kuchh der baad kaamyab hua. Derr isliye kyonki usne virodh to poora kiya ke wo chehra chhippaye rakhe par kaamyab naa huyi. Wo lagaatar roye jaa rahi thi par meri taraf ek nazar bhi nahi daali.

MAIN : S... Sw... Sweet...

Main abhi wo shabd poora bhi nahi kar paaya tha ke usne waapis se apna sar jhatakte huye usse ghutnon mein daba liya aur bolo,

ANVI : Jaaiye, chale jaaiye... Unnnhh... Kyonn aaye ho ab... Unnhhh... Itne saal to yaad nahi aaya ke main bhi iss duniya mein hoon... Unhhh...

Mujhe aese laga maano ke meri saansein rukne lagi hon. Uske wo shabd pighle huye lohe ke samaan lage mujhe apne kaanon mein. Main wahaan ruk nahi paa raha tha, par fir bhi maine uske haathon ko thaama aur,

MAIN : Please... Please aesa mat bolo... Main sirf tere liye lauta hoon, please aesa mat kar, mujhe...

Aage ke shabd jaise halak mein hi reh gaye. Zubaan bhi daga kar chuki thi. Main ladkhadate kadmon se utha aur mud gaya. Ab tak meri aankhen bhi paani se tar ho chuki thi. Par jaise hi main aage badhne ko hua peechhe se usne meri ungli thaam li. Ye ehsaas... Iss ehsaas se main parichit tha, poori tarah se parichit tha. Wo jab bhi bachpan mein mujhe apne paas rokna chahti yunhi meri ungli thaam liya karti.

Aaj fir jaise wo wahi chhoti si bachi ban gayi thi. Main palta aur uski taraf dekha to paaya ke wo mujhe hi tak rahi thi. Ek guhaar thi, ek iltija thi uski aankhon mein jo mujhe keh rahi thi ke ab mat jaana... Ab kabhi mat jaana. Main ek baar firse neeche baith gaya aur uske chehre ko apne haathon mein thaam liya. Main bina kuchh bole ek tak usse hi dekhe jaa raha tha. Kuchh palon baad main uske chehre par jhuka aur uski dono aankhon par baari – baari se kiss kar di.

Bas shayad uske emotions trigger ho gaye aur wo ek jhatke mein mujhse lipat gayi aur foot – foot kar rone lagi. Main samajh raha tha ke wo kya feel kar rahi hogi aur isiliye maine usse rone diya aur uske sar par haath ferne laga. Naa jaane kab tak wo roti aur rahi aur jab shaant huyi to mujhse alag hokar mere chehre par kisses ki bauchhar kar di. Uska bartaav saaf dikha raha tha uska intezaar, uski tadap aur uski chahat.

Aur fir dobara mujhse lipat gayi aur mere seene par apne foolon se haathon se maarne lagi. Uski iss nadaani par mujhe rote huye bhi hansi aa gayi. Aaj kitne hi waqt baad main dil se muskuraya tha.Usne jab meri hansi ki aawaz suni to meri taraf yun dekhne lagi jaise wo Police mein ho aur main gunahgaar. Haalanki, gunahgaar to tha main, uska gunahgaar tha main jo mujhse sabse adhik prem karti thi. Tabhi wo hua jo maine kabhi socha naa tha, main jaise hi usse dobara gale lagaane ko hua,

“CHATTAAAAKKK...CHATTAAAAKKK...CHATTAAAAKKK...”

Ek ke baad ek teen thappad maare usne mere gaal par aur idhar main awaak sa munh faade usse dekhne laga. Agle hi pal usne dono haathon se meri shirt ka collar pakda aur apne chehre ki taraf mujhe kheench liya. Wo meri aankhon mein jhaankte huye boli,

ANVI : How dare you!! Aapki himmat kaise huyi mujhe akela chhodkar jaane ki. Jab aap jaante ho ke main aapke bina nahi reh sakti, fir kyon gaye mujhe chhodkar aur ab mann kiya to waapis aa gaye. Meri feelings, mere emotions ki koyi parwaah hi nahi hai. Main aapse kabhi baat nahi karungi... Kabhi nahi!!

Aur itne kehkar usne mujhe ek jhatke ke saath door kar diya. Main abhi bhi iss sab ko process karne ki koshish mein laga tha, jo mujhse kabhi tezz aawaaz mein baat tak nahi karti thi aaj usne mujhe teen – teen thappad raseed kar diye the. Tabhi, ek baar fir uski aankhon se aansoon tapakne lage, maine aage badhkar usse zor se khudmein bheench liya. Wo purzor Koshish kar rahi thi meri pakad se nikalne ki par maine yunhi usse jakde rakha.

MAIN : Please Maaf kar de mujhe. Chaahe to aur maar le par aese berukhi mat kar, please maaf karde...

Par wo aese hi meri pakad se chhootne ki koshish mein lagi rahi. Tabhi main uss se alag hua aur apni jeb se ek Kit – Kat nikaal kar uske saamne kar di. Ye uski favourite chocolate thi aur jab bhi wo udaas hoti thi ya mujhse rooth jaati thi, main aksar usse issi ke zariye manaya karta tha. Maine uski aankhon mein dekha aur kaha,

MAIN : Ab to Maaf karde SWEETY...

Uska nickname jiss se kewal main hi usse pukaara karta tha, aaj fir ye naam mere mukh se sunkar uske aansoon tham gaye aur wo apni jagmag aankhon se mujhe dekhne lagi. Maine apni baanhe faila di aur uski aur dekh kar haan mein sar hilaya, bas fir kya tha, ek prem poorn aalingan mein shaamil ho gaye hum dono. Jab hum alag huye to wo mere gaal par haath ferne lagi aur meri aur glaani bhari nazron se dekhne lagi.

ANVI : I'm Sorr...

MAIN : Shhh... Tera hakk hai!!

Wo kuchh aur kehti uss se pehle,

MAIN : Chal aa sona nahi hai tujhe!?

Aksar wo kisi naa kisi kaam se bachne ke liye neend ka bahaana kar meri god mein sar rakh kar so jaaya karti thi. Usne muskurate huye haan mein sar hila diya aur bed par meri god mein sar rakhkar let gayi. Main uske baalon ko sehlaate huye uske kandhe ko thapki dene laga jiske falswaroop wo kuchh derr mein so gayi aur main bhi uske chehre ko taakte huye neend ki vaadiyon mein kho gaya.


YESTERDAY (AFTER THE MANALI INCIDENT) :

CITY : MANALI

PLACE : NEW DAWN HOTEL & RESTAURANT

ROOM NO. 312...

Iss kamre mein maujood hain do ladkiyaan,ek to wahi Camera waali ladki aur doosri jisne uske behosh hone par usse jagaaya tha. So, jaise hi ye hosh mein aayi to “ARJUNNN” Shabd chillati huyi uthi. Iski condition aur dobara se mausam kharaab hone ke dar se iske saathi isse yahaan waapis le aaye aur iss waqt ye dono ladkiyaan yahaan iss kamre mein thi.

LADKI : AHANA tu theek hai na??

AHANA : Haan baba kitni baar poochhegi.

LADKI : Ab tension hogi to poochhungi hi naa! Waise ek baat bata tu mujhse baatein kabse chhippane lagi?

AHANA : Kyon pareshaan kar rahi hai bekaar mein.Tujhe pata to hai ke main tujhse kuchh nahi chhippati.

LADKI : Achha aesa hai, To jab tune Boyfriend bana liya hai to mujhe bataya kyun nahi!?

AHANA (Shocked) : Kya bakwaas kar rahi hai!? Mera Boyfriend, matlab kuchh bhi...

LADKI : Main bakwaas kar rahi hoon. To ye Arjun kaun hai?

ARJUN... Ye naam sunte hi ek alag sa connection feel hua usse iss naam se, iss naam waale insaan se. Wo apne jeevan mein ab tak kisi bhi Arjun se nahi mili thi par jaane kyon ek aakarshan, ek kashish thi iss naam mein jo usse sochne par majboor kar rahi thi.

LADKI : Dekha kaise sochne lagi! Soch le, bahaana soch le, ab hum to paraaye ho gaye hain tere liye... Ab hame kaahe bataaiyegi apne Saiyaan Ji ke baare mein!!

Ek naatakiya tone mein kahi thi ye baat usne apne honthon par ek sharaarti muskaan liye aur ”Saiyaan Ji” kehte waqt uska lehza kuchh adhik hi shaitaani tha.

AHANA : Bakwaas band karegi. Main nahi jaanti kisi Arjun ko...

LADKI : Sun rahe ho naa Gaaon waalon!! Kaise jhooth bol rahi hai ye ladki... “Main nahi jaanti kisi Arjun ko”!! Hey Bhagwaan, kitna badal gaya Insaan...

Usski nakal karte huye kahi thi wo line isne jisse sunkar Ahana bhi muskaaye bina naa reh saki.

AHANA : Bas kar drama company. Kaha naa main nahi jaanti kisi Arjun ko.

LADKI : Ae bhaav kyon khaati hai. Bata naa, kaisa hai dikhne mein,hot hai... Hot to hoga hi agar tune pasand kiya hai to!! Bata naa...

AHANA : Aeeee bas kar yahaan main jisse jaanti tak nahi tu pata nahi kya – kya soche jaa rahi hai.

LADKI : Fir tu uska naam lete huye kyon uthi!?

AHANA : Wahi to mujhe bhi samajh nahi aa raha hai. Main tujhe shuru se batati hoon. Main waterfall ki photos click kar rahi thi ke tabhi wo aandhi wageraah aane lagi. Fir wo kohra, uske baad shayad main behosh ho gayi. Jab main hosh mein aayi to uss se just pehle mujhe kuchh visions dikhe jo bilkul real lag rahe the.

VISION – 1 :

Ye scene hai ek Jungle ka jismein ek ladki jo aur koyi nahi balki Ahana hi hai, ek jheel ke kinaare baithi hai.Ek behadh hi khubsurat jheel hai ye jiski sundarta mein koyi bhi kho jaaye. Aas – paas bade – bade aur ghane pedd hain joki kuchh ajeeb si shapes aur sizes ke hain. Jheel mein kayi prakaar ki machhliyaan tairti dikh rahi hain kyonki uska paani bilkul transparent hai arthat ek dum swachh jal. Ahana ne ek long dress pehni huyi hai jaisi aksar royal families ki hoti hai. Tabhi ek ladki peechhe se bhaagte huye aati hai, uski dress bhi Ahana jaisi hi hai par chehra kuchh dhundhla dikh raha hai...

LADKI : Chal jaldi Ahana, wo aa gaye hain!!

Ye sunkar Ahana ki khushi dekhne yogya thi, wo bina kuchh kahe ya sune ek disha ki taraf bhaagti huyi chali gayi.

VISION – 2 :

Yahaan iss scene mein Do yuvak hain jo ek bheeshan yuddh mein lage huye hain. Dono ka hi chehra dhundhla sa hai. Dono ki shaktiyaan aapas mein takra rahi hain aur kuchh hi waqt mein ek yuvak ne doosre vyakti joki poore kaale kapdon mein tha usse neeche gira diya. Wo uske oopar antim prahaar karne hi waala tha ke tabhi...

KHAAACHHHHH...

Ek talwaar peechhe se uske chhati mein ghus gayi aur dard se jhoojhta hua jab wo palta to uski aankhen kuchh adhik hi failti chali gayi aur bas yahi shabd nikle uske munh se...

“ Dhokha... Dhokha... Badla lungaa main... Main Waapis Aaungaaaa...”

VISION – 3 :

Ye drishya hai ek behadh hi bade kamre ka jismein bistar par baithi hai ek ladki jiska pet foola hua hai aur spasht dikh raha hai ke wo Maa ban ne waali hai. Tabhi achanak hi uske daayen haath ki ek ungli mein pehni angoothi gaayab ho gayi. Wo pehle to chaunki par jaise hi usse ehsaas hua ke iska matlab kya hai uske munh se cheenkh nikal gayi – “NAHHHHHIIIIII...”

Aur issi cheenkh ke agle hi pal wo ladki raakh ke dher mein badal gayi!!

VISIONS FINISHED...

AHANA : Jaise hi ye Visions khatam huye mujhe ek chehra dikha aur apne aap hi meri aankhen khul gayi aur maybe wo Arjun naam bhi mere munh se nikla.

Wo ladki bas munh faade ye sab sun rahi thi, ab uske liye to ye cheez asaadharan hi thi.Khair, kuchh derr inki baatein chali fir Ahana kisi aur hi soch mein gum ho gayi.

AHANA (Mann Mein) : Sorry, KIARA... Par main wo Saanp waali baat tujhe nahi bata sakti. Tu Bharosa hi nahi karegi. Par mujhe uske baare mein pata lagaana hai. Wo Saanp bahut alag tha aur mujhe usse dekhkar itna gussa kyon aa raha tha. Jabki mujhe dar bhi lag raha tha. Dono feelings ek saath mein, kaise!?

Khair, Ahana ke alawa koyi aur bhi tha jispar kal ki uss ghatna ka gehra asar hua tha. Aaiye jaan lete hain uska haal bhi.


UNIDENTIFIED LOCATION :

Wo Saanp jiska naam shayad BOTIS tha, uss pathhar mein ghus gaya. Aur uske baad ek ajeeb si jagah par prakat hua par iss waqt wo apne human form mein tha arthat aadam roop mein. Wo iss waqt khada tha ek raakshas jaise dikhne waale praani ke saamne. Usne laal rang ke kapde pehne huye the, haath mein ek Bhaala tha aur sar par do seeng (horns) bhi maujood the. Wo jalti huyi nigaahon se iss saanp ko dekh raha tha aur iss bechaare ki jaan halak mein atki huyi thi.

AADMI : Himmat kaise huyi tumhaari khaali haath lautne ki. Wo ladki, kahaan hain uski shaktiyaan!?

SNAKE : Hisss... Hisss... COMMANDER maafi... Maafi... Ye gulaam aapse maafi maangta hai... Main uss ladki ko maarne hi waala tha ke tabhi mera zehar kisi ne apne andar samaa liya!! Hisss... Hisss...

Wo aadmi jhat se apni jagah se uth gaya aur aankhen faade iss Aadmi roopi saanp ko dekhne laga.

AADMI : Kya kaha tumne, Tumhara zehar, kisine apne mein samaa liya. Asambhav!!! LORD ki power ko koyi kaise rok sakta hai.

SNAKE : Hisss... Hisss... Main bhi hairaan hoon COMMANDER. Main aapko sab kuchh batata hoon...

Iske baad usne poore scene ka bakhaan uss aadmi ke saamne kar diya. Wo aadmi hairaan pareshaan sa ho gaya par asli dhamaaka abhi baaki tha.

SNAKE : Hisss... Hisss... COMMANDER... Ek aur baat bhi hai... Hisss... Hisss...

AADMI : Kya!?

SNAKE : Hisss... Hisss... Maine uss Dhuen mein kisi ki urjaa mehsoos ki thi. Hisss... Hisss...

AADMI : Kiski Urjaa...

Aur jo naam uss Saanp ne kaha usse sunkar uss Aadmi ka halak sookh gaya. Wo dhamm se neeche gira aur apni aankhon aur saanson ko kaaboo karta hua kuchh sochne laga. Par ek baat to tay thi ke uski jaan Laghbhag nikal hi gayi thi. Kaaran wo naam jiski urjaa ki charcha ho rahi thi...

SNAKE : Usmein “STYGIAN” ki urjaa thi wo bhi bahut zyada maatra mein!!




Iss Update Mein Itna Hi... Next Update tak ke liye Bye – Bye...



Bane Rahiye!
Adbhut update bhai
 
10,094
42,370
258
ये एक फैंटेसी कहानी की तरह लग रहा है ।‌‌ कुछ काली एनर्जी वाली शक्तियां जिसे हम बुरी शक्तियां भी कह सकते हैं , ने धरती पर अपने कदम रख दिए हैं । और ये सभी दूसरी प्लानेट से विलोंग करते हैं ।
जैसे हम एलियन की बात करते हैं
या जैसे कि हम Worm Hole की बातें करते हैं । माना जाता है कि इस होल के दो गेट होते हैं जिनमें एक ब्लैक होल ( एंट्री गेट ) और दूसरी ह्वाइट होल ( एग्जिट गेट ) होता है । इसी गेट के थ्रू करोड़ों मील दूर प्लानेट से प्राणी ब्रह्मांड में कहीं भी आ जा सकते हैं ।

शायद इसी थ्यूरी की बदौलत कुछ गलत शक्तियां धरती पर प्रवेश कर चुकी है ।
और इनसे मुकाबला करना किसी भी देश के लिए सम्भव नहीं है । इनसे वही मुकाबला कर सकता है जो ऐसे शक्तियों से पहले से ही लैस हो । और अर्जुन में वो सारी शक्तियां मौजूद हैं ।

ऐसा भी लग रहा है जैसे अर्जुन का सामना सैकड़ों वर्षों पहले भी इन शक्तियों से हो चुका है और शायद कियारा का भी सामना उसी दरमियान उन लोगों से हुआ हो ।

एक और हसीना है जो अद्भुत शक्तियों से लैस है और वो है याशिका । चमत्कारिक और फैंटेसी से युक्त कहानी है यह ।
लेकिन साथ में पारिवारिक रिश्तों पर भी फोकस किया गया है ।
इमोशन्स और प्रेम का समावेश भी कहानी में मौजूद है ।

बहुत बेहतरीन लिख रहे हैं इविल स्प्रिट भाई । एक अच्छे खासे रोमांच की गुंजाइश बनती दिख रही है स्टोरी में ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट ।
 
  • Like
Reactions: Naik and Luffy

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
CHAPTER – 1

{THE QUEST FOR STYGIAN}


UPDATE – 3

EVENING TIME :

CITY : MUMBAI

LOCATION : THAKUR VILLA

Shaam ka waqt tha, Anvi meri hi god mein sar rakh kar leti huyi thi jab uski aankh khuli. Aaj usse kitne hi arse baad ek sukoon bhari neend aayi thi. Jiss sukoon aur chain ko wo itne waqt se taras rahi thi aakhir kaar usse mil gaya tha. Wo mere chehre ko nihaar rahi thi. Main bistar se tek lagaaye aankhen band kiye baitha tha. Anvi ko sulaate samay main bhi ussi awastha mein neend ko vaadiyon mein kho gaya tha. Aksar bachpan mein aesa hi hua karta tha aur iss baat par Anvi mujhse naaraz bhi ho jaati thi ke main hamesha aese uncomfortable hokar sota hoon. Aaj fir wahi sab yaad karke Anvi ke chehre par ek behad hi pyaari muskaan ne apni maujoodgi darj kara di. Wo mujhe soya samajhkar uthi aur ek tak mere chehre ko nihaarne lagi. Usne apne ek haath ko mere gaal par rakha aur apni aankhen band kar kuchh sochne lagi. Tabhi, usse hairaan karte huye ek aawaz uske kaanon mein padi,

“Apne Chhotu se dimaag par Itna zor matt daal...”

Aur ye aawaz sunkar usne jhat se apni aankhen kholi to paaya ke main use hi nihaar raha tha. Wo samajh gayi ke main pehle se hi uth chuka tha. Aur ye jo shabd maine kahe the unhe sunkar uska munh bhi bann chuka tha. Bachpan mein jab bhi wo kuchh gehri soch mein doob jaati, main issi vaakya se usse chidhaya karta. Ab bhi wahi hua tha aur hamesha ki hi tarah wo munh fula kar doosri taraf dekhne lagi. Par jab kuchh der tak meri taraf se koyi pratikriya usse nahi dikhi to wo meri taraf palti aur mujhe dekh kar hairaan ho gayi. Ho bhi kyon naa, iss waqt meri aankhon mein aansuon ke katre ubhar aaye the jinhe dekh kar wo bhi tadap si gayi. Anvi mere kareeb aayi aur meri aankhen ponchhkar,

ANVI : Kya hua aapko!?

MAIN (Smiles) : Kuchh nahi... Tera ye roothna, mera tujhe manana... Tera hansna – muskurana aur mujhpar hakk jamaana... Maine bahut miss kiya Sweety... Bahut zyada!

Wo ek dum se mere gale lag gayi aur ussi awastha mein boli,

ANVI : To kyun gaye the apni Sweety ko chhodkar? Hmmm... Jawaab Do, kyon gaye the?

MAIN : Mujhe maaf karde meri behen, Main... Mere paas koyi raasta nahi tha!

ANVI : Raasta tha... Agar jaana hi tha to mujhe bhi apne saath lekar jaate. Par aap mujhe yahaan akela chhodkar chale gaye aur ye bhi nahi socha ke mera aapke bina kya hoga.

Wo achanak se mujhse alag huyi, mere chehre ko thaamkar meri aankhon mein jhaankte huye boli,

ANVI : Aap mujhse pyaar nahi karte naa!?

Uski aawaz mein ek iltija thi, ek dard ka samandar tha jisse wo kabse apne andar dabaaye huye thi. Par uske iss sawaal ne mera seena cheer diya tha. Aaj mera aks hi mujhse sawaal kar raha tha ke main uss se pyaar karta hoon yaa nahi. Mujhe samajh hi nahi aa raha tha ke iss sawaal ka jawaab doon to kya doon.

ANVI : Maine sahi kaha naa Bhai, aap mujhse pyaar nahi karte naa!

Main bas bebasi se bhari nazron se usse dekhta raha jaise wo meri aankhon mein chhupa jawaab padh legi. Hua bhi yahi, uski aankhon ne meri aankhon ki baat samajh li thi aur falswaroop uski aankhen apne aap hi jhuk gayi. Shayad usse ehsas hua ke abhi wo kya poochh baithi thi mujhse. Wo bed se uthi aur room se hi attached washroom mein chali gayi. Idhar main sar neeche karke kuchh sochne laga...

MAIN (Mann Mein) : Abhi bahut waqt lagega Anvi ko normal hone mein. Pata nahi kya – kya apne andar dabaaye baithi hai. Ek baar Di se baat karni chahiye, wo hi help kar paayengi.


CITY : KOLKATA

PLACE : BRAIN WAVE SCHOOL & COLLEGE

Iss School ke baahar iss waqt khada VIHAAN aur kisi gehri soch mein dooba hua tha. Tabhi usse mehsoos hua jaise uske peechhe koyi hai, wo palta to wahaan koyi nahi tha bas zameen par ek kaagaz ka tukda pada hua tha. Usne hichkichate huye usse uthaya aur padhne laga...

“Hmm, To tu uss School ke baahar pahunch gaya hoga. Ab tu Seedhe Principal ke paas jaa aur usse ye kaagaz de diyo. Par haan ye sab jo likha hua hai isse faad kar jala de. Sirf wo nishaan jo neeche bana hua, sirf wahi Principal ko dikhaana hai. Aage wo tujhe bata dega...”

– Arjun

Ye padhkar usne ek lambi saans chhodi aur School mein chala gaya. Kuchh hi derr baad wo Principal Office mein baitha tha aur jaise hi usne wo kaagaz ka tukda table par rakha to Principal jhatke se uth khada hua. Usne ek nazar Vihaan ko dekha aur fir uss kaagaz ko uthakar apne maathe par laga liya jaise usse pranaam kar raha ho. Usne wo kaagaz jala diya aur fir Paas hi mein bani ek book shelf ko halka sa khiska diya. Uss book shelf ke pichhe ek button tha, Principal ne usse dabaya to ek dum se uss deewar ka kuchh hissa ek darwaaze ki tarah khul gaya. Uske andar ek kitaab rakhi huyi thi. Principal ne usse uthaya aur apne maathe se lagaakar Vihaan ki taraf badha diya. Iss samay Principal ke chehre par ek vyangayatmak muskaan thi jaise wo Vihaan ka mazaak uda raha ho. Vihaan ne jaise hi usse pakda usse laga ke jaise uske haath par kisi ne jalta hua koyla rakh diya ho.

Tabhi uski nazar Principal ke haath par padi to wo bhi buri tarah jhulsa hua tha. Vihaan ne apni jeb se ek locket nikaala aur uss kitaab ke oopar rakh diya. Ek dum se wo kitaab hawa mein uth gayi aur khul gayi. Wo locket uss kitaab ke oopar aaya aur fir jhatke se kitaab par gir gaya. Ussi pal wo kitaab band hoti chali gayi aur poori tarah se band ho jaane ke baad Vihaan ke haath par waapis aa gayi. Ab uska taapmaan normal ho chuka tha aur jo uski wajah se Principal ka aur Vihaan ka haath jala tha, wo bhi theek ho gaya tha. Idhar Principal ki aankhen faili huyi thi aur wo kabhi Vihaan ko dekhta aur kabhi Uss kitaab ko.

PRINCI : Ye locket... Ye locket!! Kaun ho tum?

VIHAAN : Main kaun hoon iska kya kaam par haan ye locket mera nahi hai.

Ye baat sunkar jaise Principal ki jaan mein jaan aayi. Wo kursi par baitha aur paas mein pade glass ko uthakar paani piya. Fir apne maathe par aaye paseene ko ponchhkar bola,

PRINCI : Ye kitaab uske paas pahuncha dena jiska ye locket hai aur tumhara agla padaav ye kitaab tumhe khud hi bata degi. Ab tum yahaan se jaao...

Vihaan bhi ajeeb sa munh banata hua wahaan se nikal gaya aur baahar pahunchkar badbadane laga – “Kahaan fans gaya iss Arjun ke chakkar mein. Ye saala kahin mujhe marwa naa de kisi din. Kitni garam thi yaar ye Book aur jaise hi Arjun ka locket ispar rakha ek dum theek ho gayi. Shayad isiliye usne ye locket mujhe diya tha. Par wo khud bhi to yahaan aa sakta tha. Mujhe kyon bheja?”

Wo kuchh aur sochta uss se pehle hi ek baar fir usse laga jaise koyi uske peechhe ho. Wo muda to iss baar bhi ek kaagaz zameen par rakha hua tha. Usse dekh kar Vihaan ek baar fir jhunjhla sa gaya. Usne apne gusse ko kaaboo karte huye wo kaagaz uthaya to usmein likha tha –

“Chal ab seedha kisi hotel mein jaa aur Check In kar le. Aage kya karna hai waqt aane par tujhe khud hi pata chal jaayega. Aur haan rona band kar de... YASHIKA bhi aa rahi hai udhar. Apna hotel wagerah message kar diyo usse!!”

Shuru ki baatein padhkar sach much wo chidh sa gaya tha lekin aakhiri line padhkar ek dum uchhal pada aur “Yess, Yess” chillane laga. Fir kaagaz par likhe uss naam ko ek baar choomkar laghbhag naachta hua wahaan se nikal pada apne agle padaav ki khoj mein.


CITY : MANALI

PLACE : HAMPTA PASS

14,000 feet ki unchaayi par apni maujoodgi darj karwata ye Hampta Pass Manali ke nazdeek ke kuchh sabse khubsurat paryatan sthalon mein shumaar hai. Yahaan ki sabse khaas baat ye hai ke iske dono chhoron par do alag – alag duniya basi hain. Ek aur Lahaul ki dharti jispar banjar cheezon ki alawa mushkil se hi kuchh aur nazar aata hai, ped – paudhe bhi kuchh gine chune hi milenge wahaan par. Wahin doosri taraf... Kullu ki haseen vaadiyan, jahaan aapko tarah – tarah ki vanaspatiyan aur saath hi kuchh behadh hi khubsurat phool aur paudhe bhi dikh jaayenge. Kareeban 23 Kilometre ka safar rehta hai trekkers ke liye iss adventure ka jisse poora karne mein kuchh din lag jaate hain.

Khair, hum yahaan maujood hain kyonki filhaal iss trekking adventure ka lutf le rahi hai Ahana aur uske saath maujood hai uska wahi group jo Jogini Falls par uske saath tha. Ahana aur uske saath wahi ladki – “KIARA” apne baaki saathiyon se kuchh aage chal rahi hain. Jahaan Kiara ke chehre par dher saara excitement jhalak raha hai wahin Ahana ke chehre par khushi aur chinta ka anootha mishran dikh raha hai. Khushi to issi cheez ki thi jo ye log filhaal kar rahe the. Kyonki in dono saheliyon ki pasandida activity agar koyi thi to uska naam tha – trekking. Wahin Chinta bass ussi sab ki jo usne Jogini Falls par dekha tha. Wo rahasya jisse suljhaane ka koyi bhi tareeka Ahana ko samajh nahi aa raha tha. Aage badhne se poorva ek chhota sa paatra parichay banta hai...


✓ AHANA GANDHI: Age : 21. Khubsurti ki agar koyi hadh ho sakti hai to wo yahi ladki hai. Lambe kaale aur ghane baal jinki tulna nischit hi ghataaon se ki jaa sakti hai. Do behadh hi dilkash aankhen jinki putliyon ka “Neela” rang unhe aur aakarshak banata hai. Gulaabi honth jo gulaab ki pankhudiyon ke samaan hi mohak prateet hote hain. Ek bahut hi napa – tula aur santulit shareer jo iske chehre ki khubsurti ke saath poora nyay karta hai. Isse kritrim yaani artificial khubsurti ki cheezon ka koyi khaas shouk nahi hai aur ho bhi kyon jab kudrati ye itni haseen hai.

Filhaal, apni Graduation samaapt ki hai inhone aur Post – Graduation ke liye ek achhe se College ki khoj mein hai. Padhaayi mein shuru se hi bahut tezz hai kyonki padhaayi ke atirikt kuchh khaas hai bhi nahi iske jeevan mein. Iss baat ka kaaran bhi abhi pata chal jaayega. Ye agar kisi se sabse adhik prem karti hai to wo hai iski Behen – Iski Saheli – Iski Jaan... Kiara...

✓ KIARA GANDHI: Age : 21. Ahana ki best –friend cum behen. Ye dono ek doosre se har baat share karti hain aur dono ke beech ek alag prakaar ki chemistry hai. Kiara ek behadh hi khubsurat ladki hai jisse skincare, make – up aur beauty products ka bhi bahut craze hai. Ye paise bacha bachakar naye aur branded Beauty products khareedti hai.

Studies mein average hai par Kayi Modelling Competitions jeet chuki hai. Ek Top Model ban na chahti hai aur ussi silsile mein aage chalkar “Mumbai” jaana chahti hai. Dono hi saheliyon ko adventure wageraah bahut pasand aate hain.

[Ahana & Kiara, dono hi orphans hain. “Anupama Devi Orphanage” jiski kayi branches poore India mein faili huyi hain, ye dono bhi usmein rehti hain. Waise to orphanages mein 18 ke hone ke baad bache ko baahar ki duniya mein bhej diya jaata hai. Par iss sansthaan ki baat kuchh alag hai. Ye bacche ki padhaayi poori hone tak uska saara kharcha uthaate hain aur usse iss kaabil banaate hain ke wo duniya mein apni ek alag pehchaan bana sake. Khair, ye dono apne baaki Orphanage ke saathiyon ke saath hi iss trip par aayin hain. Har saal ek aesi trip inka orphanage inke liye organise karta hi hai. Aur rahi baat sirname ki to, inn dono ko bina sirname ke naam kuchh pasand nahi aata tha, Isiliye Father Of Nation – M.K. Gandhi Ji ka sirname hi apne naam ke saath jod liya.]


BACK TO STORY :

Jahaan ye dono apni hi dhun mein aage ki taraf badh rahi thi wahin in dono ke peechhe chal rahe do ladke inke shareer ko aankhon mein kaid karte, apni gandi niyat aur nazron ka parichay de rahe the. Dono aapas mein fusfusaate huye kuchh baatein bhi kar rahe the...

LADKA 1 : Kya Maal hain yaar ye dono. Itne saalon se jeena haraam kar rakha hai dono ne. Ab aur intezaar nahi hota aur mauka bhi achha hai, kya bolta hai...

LADKA 2 : Baat to teri sahi hai NAMAN, yahaan se achhi jagah koyi nahi ho sakti. Par kya kaam banega...

NAMAN : Ab jitni tagdi Maal hain ye dono to hum dono se seedhe taur pe to patne se rahi, to kuchh tikdam hi lagaani padegi.

LADKA 2 : Ek kaam karte hain yahaan par camping ke waqt, inke tent mein kisi tarah camera laga denge. Fir un photo ya video ke zariye...

NAMAN : Waah re! Kya idea diya hai... Maan gaye tujhe.

LADKA 2 : Haan fir, aese hi thode naa mera naam VIJAY hai.

NAMAN : Sahi hai, bas ab jaldi se ye photos hamare haath lagen, fir in dono ka poora ras nichod loonga.

VIJAY : Nichod loonga... Kya matlab hai tera kameene!!

NAMAN : Arre haan yaar wahi, Nichod Lenge hum dono.

Ye dono aese hi apni iss Giri huyi planning mein mashgool Ahana aur Kiara ko apni ghinoni nazron se dekhte huye chal rahi thi. Wahin wo dono apne oopar aa rahe iss khatre se anjaan iss Safar ka poora aanand le rahi thi.


UNIDENTIFIED LOCATION :

SNAKE : Hisss... Hisss... Maine uss Dhuen mein kisi ki urjaa mehsoos ki thi. Hisss... Hisss...

AADMI : Kiski Urjaa...

SNAKE : Usmein “STYGIAN” ki urjaa thi wo bhi bahut zyada maatra mein!!

Ye naam sunkar uss Aadmi ka halak sookh gaya. Wo dhamm se neeche gira aur apni aankhon aur saanson ko kaaboo karta hua kuchh sochne laga. Usne uss Saanp ko dekha aur bola,

AADMI : Tu kya keh raha hai, tu jaanta hai naa!?

SNAKE : Hisss... Hisss... COMMANDER main sach keh raha hoon, mujhe poora yakeen hai ke wo STYGIAN ki hi urja thi. Isiliye main wahaan se bhaag...

Bina apni baat poori kiye usne apna sar jhuka liya. Par jahaan pehle wo Aadmi ispar gussa tha wahin ab wo Bilkul shaant lag raha tha,

AADMI : Sharminda hone ki zaroorat nahi hai tumhe. Bahaduri aur Bewakoofi mein zyada fark nahi hota. Tum to kya ho... Uss urja ka saamna karne ke kaabil to main bhi nahi hoon.

Uss Saanp ka sar hairaangi se oopar uth gaya. Aur wo sawaalon bhari nigaahon se apne COMMANDER ko dekhne laga,

AADMI : Sahi suna tumne BOTIS... Uss urja ka saamna main bhi nahi kar sakta.

BOTIS (Shocked) : Hisss... Hisss... Ye aap kya keh rahe hain COMMANDER... Aap to sarv shaktishaali hain... Hisss... Hisss...

AADMI : Tumhe poora sach nahi maloom BOTIS, chal bata kitna jaanta hai tu uske baare mein.

BOTIS : Hisss... Hisss... STYGIAN ek bahut bada shaktiyon ka samooh (group) hai. Aur uski urja ke baare mein aapne hi ek baar bataya tha jiss wajah se main aaj usse pehchaan paaya. Hisss... Hisss...

AADMI : Bass itna hi. Bewakoof STYGIAN ek samandar hai aur tu usse nadi samajh raha hai. Jaanta hai uski poori shakti kitni hai?

BOTIS : Hisss... Hisss... Nahi COMMANDER... Shayad Aap jitni?? Hisss... Hisss...

AADMI : DEVIL'S PRINCE se bhi zyada bewakoof!!

Ye sunkar Botis ka rakt pravaah maano ruk sa gaya, uski aankhen pathra gayi aur saansein maano tham si gayi. Wo laghbhag behosh hote hote bacha aur bas aankhen faadkar uss Aadmi ko dekhne laga.

AADMI : Nahi, usse rokna hoga. Sirf PRINCE hi usse rok sakte hain!!

BOTIS (Shocked) : Hisssss... Hisssss... P.. PR..PRINCE???

AADMI : Haan ab hume PRINCE ke paas jaana hoga. Wahi aage ki raah dikha sakte hain.

Jis praani ka naam abhi – abhi Uss Aadmi ne liya tha usse sunkar wo Saanp bahut buri manostithi mein pahunch chuka tha. Wo khud ko kos raha tha ke kyun wo uss ladki ke paas gaya aur ye sab ho gaya. Par wo khud bhi jaanta tha ke ab uske paas koyi rasta nahi hai siwaay ek ke – Iss Aadmi ki baat maan na.


CITY : MUMBAI

PLACE : THAKUR VILLA

HIMANI'S ROOM...

Himani apne study table par baithi thi aur uski aankhen kitaabon mein hokar bhi kahin aur hi thi. Wo baar – baar table ke side mein rakhi ek tasveer ko dekh rahi thi. Wo tasveer aur kisi ki nahi balki Himani aur Arjun ki hi thi. Jismein Himani ne uska kaan pakad rakha tha aur wo rone ki acting kar raha tha.

Idhar main unke kamre ke darwaaze par khada unhe dekh kar muskura raha tha. Tabhi unhone apni kitaaben zor se band ki aur jhunjhla kar boli,

HIMANI : Main to jaise iss ghar mein rehti hi nahi naa. Kya hua agar main tab baahar gayi huyi thi. Ek baar bhi mujhse milne nahi aaya. Waise to bada banta hai apne aap mein! Huhhh...

Tabhi unke kaanon mein ek chit parichit si aawaz padi – “Ab ismein inn kitaabon ki kya galti hai Madam!!”

Wo ek jhatke se darwaaze ki taraf mudi to mujhe wahaan muskurate huye khada paaya. Wo achambhit si hokar mujhe dekh rahi thi aur kuchh pal baad unki aankhen dabdaba gayi. Wo ek dum se uthi aur bhaagkar mere gale lag gayi. Maine bhi unhe apne baahon ke ghere mein kas liya. Waise to wo mujhse 2 saal badi thi, par unki height mujhse kuchh kam hi thi. Unka sar mere seene par aa raha tha aur wo mujhe jakde ro rahi thi. Kuchh pal baad maine unhe alag kiya aur unke aansoon ponchh kar kaha,

MAIN : Shhh... Chup ho jaaiye! Main aa gaya hun naa. Ab aap bilkul nahi royengi.

Wo rona to band kar chuki thi par ab bhi subak rahi thi. Himani Di shuru se hi ek bahut hi reserved personality ki ladki thi. Jab Mausi Ji aur Mausa Ji jeevit the tab bhi wo zyada kisi se baat nahi karti thi. Kaaran, unka introvert hona. Unmein Confidence ki bahut zyada kami thi jiski wajah se behadh intelligent hote huye bhi wo padhaayi mein peechhe reh jaati thi. Aur lagaatar in sab cheezon ke kaaran wo bahut pareshaan rehne lagi thi. Tabhi unke Parents ki aakasmik mrityu ne jaise unhe tod kar rakh diya tha. Wo hamare ghar to rehne aa gayi par gumsum si akeli rehne lagi. Tab pata nahi kyun main unhe aese nahi dekh paaya.

Haalanki unke yahaan aane se pehle hum dono zyada close nahi the. Par fir bhi, unhe iss haalat mein dekh kar mujhe bahut bura lagta. Fir dheere dheere main unse baat karne laga. Kuchh apni kehta, kuchh unki sunta. Aese hi samay ke saath wo mere bahut close ho gayi thi. Main unse chhota tha par main unhe bahut support kiya karta, aur aese hi maine unke confidence mein bhi nikhaar laane ki tarkeebein lagaayi. Kaafi koshish karne ke baad wo apne uss Shell se baahar aa gayi jismein unhone khud ko band kiya hua tha. Par tab tak unki jaan mujhmein basne lagi thi. Wo saara din mere saath raha karti. Kayi baar to unki aur Anvi ki mujhe lekar halki fulki ladaayi bhi ho jaati. Dono hi mere liye bahut possesive thi, thi kya hain. Ghar mein wo sabse baat kiya karti thi par agar apne dil ki baat wo kisi ko keh paati, wo sirf main hi tha.

Khair, ye sab Yaad karke mujhe unpar bahut pyaar aaya. Maine ek baar firse unhe apne mein samet liya aur baari baari se unke dono gaalon par kiss kiya. Wo chhoti bachi ke jaise mujhse lipti huyin thi. Ussi tarah unhone kaha,

HIMANI DI : Tu mujhse itni derr baad kyon milne aaya. Mujhse sabse kam pyaar karta hai naa tu!?

Unki aawaz kisi chhote aur masoom bache ke jaisi thi. Maine unki aankhon mein dekh kar kaha,

MAIN : Aapko aesa lagta hai?

HIMANI DI : Haan, Yahi sach hai.

Itna kehkar wo mujhse door jaakar khadi ho gayin aur meri taraf peeth kar li. Main muskurata hua unki taraf badha aur peechhe se hi unhe gale laga liya. Fir main unke gaal ko choomkar bola,

MAIN : Achha... To fir kyon main phone par sirf aapse hi baat karta tha, kyon maine sirf aapko hi bataya tha ke aaj main aane waala hoon, kyon main aapko har maheene letter likhta tha...

Wo palti aur mere pet mein ek mukka maarkar boli,

HIMANI DI : Kyonki tu mujhse darta hai. Agar ye sab naa karta to teri taange naa todd deti main.

MAIN (Smiles) : Aap apne CUTIE ko maarogi!?

CUTIE... issi naam se Di mujhe pukaarti thi. Aur ek baar firse mere munh se ye naam sunkar unke chehre ki khushi dekhne yogya thi. Unhone kuchh nahi kaha bas naa mein sar hilaakar ek baar fir mujhe apne aalingan mein le liya...



Iss Update Mein Itna Hi... Next Update tak ke liye Bye – Bye...



Bane Rahiye!
Damdaar update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
CHAPTER – 1

{THE QUEST FOR STYGIAN}



UPDATE – 4

CITY : MUMBAI

LOCATION : THAKUR VILLA

ANVITA'S ROOM...

Main apne kamre mein baithi thi aur aaj jo hua uss sabke baare mein soch rahi thi.“Kya Maine sahi kiya?” Yahi sawaal mere dil – o – dimaag mein ghoom raha tha. Aaj Bhai se maine kitna kharaab behave kiya. Yahaan tak ki unpar haath bhi utha diya. Ek nahi balki teen – teen thappad, mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Bhai Mujhse bade hain par fir bhi aaj tak unhone mujhse kabhi tezz aawaz mein baat tak nahi ki aur maine unpar haath utha diya. Sach kahun to ek baar ko main darr gayi thi ke kahin Bhai mujhse naaraz hokar dobara Mujhe chhodkar chale naa jaayen. Main unke bina nahi reh sakti, bilkul nahi reh sakti. Par unhone naaraz hone ki jagah bas itna hi kaha – “Tera Hakk Hai!!”... Bhai shuru se hi mujhe bahut pyaar karte hain. Main jaanti hoon ke duniya mein agar mujhe koyi sabse zyada pyaar karta hai to wo Bhai hain.

Fir bhi maine unke Pyaar par hi sawaal utha diya. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Wo kitne dukhi the... Unki aankhen kitni bebas si thi, jaise... Jaise wo keh rahi hon ke Main aisa soch bhi kaise sakti hoon. Par maine wo jaan boojh ke nahi kiya. Mujhe khud samajh nahi aata ke main aisa kyon karti hoon. Jab se Bhai Mujhe chhodkar gaye the tabse hi maine Maa – Papa se baat nahi ki. Unki hi wajah se Bhai mujhse door huye, unhone bahut galat kiya tha Bhai ke saath. Par Bhai ne iski saza mujhko kyon di. Main... Ek baar wo mujhse kehte, main bhi unke saath chalti par wo mujhe akela chhodkar chale gaye.

Mujhe bachpan se hi sirf Bhai hi achhe se samajhte hain aur unke baad Sneha. Par mujhe ab kuchh bhi achha nahi lagta, aise lagta hai maano mujhe koyi bhi pyaar nahi karta, sab mujhe bojh samajhte hain. Main jaanti hoon ke aisa nahi hai par fir bhi kabhi kabhi mera dil mujhe majboor kar deta hai aise sawaalon ke liye. Par ab main khud par poora kaaboo karungi. Kahin Main Bhai ke dil ko chot naa pahuncha doon, Nahi... Nahi Main poora dhyaan rakhungi, agar Bhai firse mujhe akela chhod gaye to ab Main jee nahi paaungi.

Par ab bhi mujhe samajh nahi aa raha ke main aise kyon ho gayi hoon. Main shuru se aise nahi thi. Pehle main hamesha khush rehti thi aur sabko pareshaan bhi karti thi. Meri shararton ki wajah se kayi baar logon ka nuksaan bhi ho jaata tha aur tab, hamesha Bhai wo nuksaan ki zimmedari apne oopar le lete the, hamesha wo meri galtiyon ke liye Maa – Papa ki daant sunte the. Main unhe jab bhi aisa karne ko mana karti wo bas keh dete – “Tu hi to Meri Jaan hai, Tere liye nahi karunga to kiske liye karunga!” Par ab shayad kaafi kuchh badal gaya hai, main khud bhi... Ab mera mann bas ek jagah baithe rehne ko aur Bhai ke baare mein sochte rehne ko hi karta hai.

Bhai ke itne paas hokar bhi ab main shayad unse kaafi door hoon par main ab poori koshish karungi ke main unki wahi puraani Sweety ban jaaun aakhir wo bhi to apni uss Sweety ka intezaar kar rahe honge.

Ab wo waapis aa gaye hain to Main kitni zyada khush hoon ye shabdon mein kehna bhi sambhav nahi par main wo Khushi bhi Zaahir nahi kar paa rahi. I want to be with you Bhai, I want you to hold Me... Please Bhai! Please... Mere paas aa jaao aur fir kahin matt jaana!!


CITY : KOLKATA

LOCATION : THE GOLDEN PETAL

Kolkata ka ek 5 star hotel. Yahaan iss Hotel ke Lounge mein Maujood hai Vihaan aur wo idhar udhar ghoomta hua besabar sa hokar kisi ka intezaar kar raha hai. Reh reh kar apne aap hi uske chehre par smile aa hi rahi hai. Tabhi uske kadam ek jagah par ruk gaye aur wo aankhen gadaaye saamne ki taraf dekhne laga. Saamne se ek ladki, ek beintehaan khubsurat ladki chalti huyi aa rahi thi. Uski nazar Jaise hi Vihaan par padi to wo iski taraf hi chal di. Uska chehra ek dum sapaat tha, koyi bhi expression nahi. Wo Vihaan ke kareeb pahunchi aur,

LADKI : Tumne ye Hotel Book karwaya hai!!

Vihaan uski aawaz se apne tandra se baahar nikla,

VIHAAN : Kyon achha nahi hai?

LADKI : Achha!! Tumse umeed nahi thi mujhe ke tum itna badhiya hotel book karwaaoge.

VIHAAN : Umm.. Ye kya... Kya keh rahi ho tum?

LADKI : Waise tumhaare paas itne paise kahaan se aaye?

VIHAAN : Arjun ne book karwaya hai ye naaki maine.

LADKI (Smiles) : As expected!! Chalo ab batao kaunsa room hai mera.

VIHAAN : Wo.. wo Arjun ne ek hi room book kiya hai.

LADKI (Surprised) : Matlab?? Kyon!!

VIHAAN : I don't know. Usne bas yahaan ka address diya aur jab maine yahaan check kiya to ek hi room booked tha.

LADKI : Par unhone aisa kyon kiya?

VIHAAN : Tum ussi se poochh lo naa!

LADKI (Stares) : Agar **** ne ek hi room book kiya hai to unhone kuchh socha hi hoga. Unke kisi faisle par sawaal karna mere liye Bhagwaan par sawaal uthana hai.

VIHAAN (Sighs) : Ye lo chaabi, main thodi derr mein aaunga, mujhe kuchh kaam hai.

Uss ladki ne ek pal ke liye Vihaan ko dekha aur fir chaabi lekar aage badh gayi. Wahin Vihaan usse jaate dekh kar peechhe se muskurata hua sochne laga,

VIHAAN (Mann Mein) : Tum kuchh bhi kaho YASHIKA main jaanta hoon ke tum bhi mujhse pyaar karti ho, I promise main jald hi tumhe ye ehsaas karwa doonga. Dekho naa tumhaare nazdeek rehne ke liye kitna jhooth bolna pad raha hai. Chalo Arjun ke naam ka ye to faayeda hai ke aage Tum koyi sawaal nahi karti. I Love You YASHIKA... I Love You!!

Vihaan wahaan se nikla aur paas hi ek band padi factory mein pahunch gaya. Kolkata aane se pehle usse sirf itna hi pata tha ke usse Brain Wave School ke Principal se milna hai, aur usne bhi samajhdari dikhate huye pehle hi poore area ki jaankari nikaal li thi. Khair, wo iss factory mein pahuncha to uske haath mein ek bag tha jismein hulchul saaf pata chal rahi thi.

Ye hulchul pichhli kuchh derr se lagaatar bani hi huyi thi. Jiska kaaran ya strot thi wo book. Vihaan ne bag ko khola aur uss book ko baahar nikaal liya. Uss book ki appearance kuchh ajeeb si thi. Lag raha tha ke uska cover kisi lakdi ka bana ho par uska rang kuchh Grey jaisa tha. Uske to par bade bade aksharon mein – “THE DEIFIC” likha hua tha par jiss cheez ne Vihaan ko bhi hairaan kar diya wo thi ek tasveer.

png-20220118-123145-0000

Jaise hi Vihaan ne wo book nikaali wo hairaan reh gaya kyonki uss book par Right side ek chitra ban chuka tha. Jab Principal se Vihaan ne wo kitaab li thi tab uspar uss naam “THE DEIFIC” ke alawa kuchh nahi tha. Par iss waqt uspar ek photo bani huyi thi jo kisi aur ki nahi balki Arjun ke uss locket ki thi jiski wajah se uss book ka temperature normal hua tha. Vihaan abhi iss badlaav ke baare mein soch hi raha tha ke tabhi ek baar fir wo book uske haath se uthkar hawa mein tairne lagi. Agle hi pal wo kitaab khul gayi aur uske pannon par kuchh Akshar ubharne lage. Kuchh hi palon mein uss panne par ye line likhi huyi thi – “Tumhaara agla padaav tumhaare saamne aa jaayega aur mere baare mein Yashika ko bata do.”

Vihaan abhi kuchh samajh paata uss se pehle hi wo book band ho gayi aur waapis uske haath par aa gayi lekin iss baar uss book ke oopar ek kaagaz bhi tha. Vihaan samajh gaya ke ye kaagaz hi usse agle padaav ki jaankari dega. Usne wo kaagaz apni jeb mein daala aur kitaab ko bag mein rakh kar waapis hotel ki taraf nikal gaya.


CITY : MANALI

PLACE : HAMPTA PASS

Filhaal shaam ka samay ho chala tha, sabhi group members ne milkar camping ka intezaam kar liya tha. Ahana aur Kiara dono ek hi tent mein rukne waali thi. Iss waqt ye sabhi aas paas ke khubsurat nazaaron ko apne camera mein kaid kar rahe the. Par in sabse juda do mahanubhaav the jo aankhon hi aankhon mein ek doosre ko kuchh ishaara kar rahe the. Ye dono aur koyi nahi balki wahi dono ladke the – Vijay & Naman. Khair, ishaare se hi dono ne kuchh baat ki aur fir Vijay sabki nazron se bachta hua unse door nikal gaya.

Wo dhyaan se chalkar Ahana & Kiara ke tent ke paas pahuncha aur ek baar aas paas ka jaayza lekar andar chala gaya. Usne apni jeb mein se do cameras nikaale, ek ko usne oopar latke huye night lamp ke neeche laga diya. Tent ki height kaafi achhi thi arthat uske andar aaram se khada hua jaa sakta tha. Usne doosre camera ko Tent ke pichhle hisse mein lagi ek supporting lakdi ke oopar laga diya. Cameras ka size kaafi chhota tha aur Vijay ne unhe lagaya bhi behad dhyaan se tha. Ab un dono cameras ko aasani se detect nahi kiya jaa sakta tha.

Udhar Ahana aur Kiara jab Tent ki taraf aane lagi to Naman ne raaste mein paaon ada diya jiske falswaroop Ahana neeche gir gayi. Wo badi hi chaalaki se thoda peechhe jaakar khada ho gaya jiske kaaran wo kisi ki nazar mein nahi aaya. Khair, iss sab mein Vijay ko thoda time mil gaya aur wo apna saara kaam khatam karke baahar aa gaya aur badi hi hoshiyari se baaki sab mein ghul gaya.

Dono ladkiyan apne oopar panap rahi iss museebat se anjaan thi aur apni iss trip ko enjoy kar rahi thi. Par inki ye trip inke liye kayi saare sawaal chhodkar jaane waali thi. Kuchh sawaal jinke jawaab in dono ki, khaaskar Ahana ki life ko palat kar rakh Dene waale the.

Raat ke waqt dono apne tent mein baithi kuchh baatein kar rahi thi par anjaane mein hi ye un dono kameeno ke plan ke ek hisse ko poora kar chuki thi. Dono saheliyan camera ki maujoodgi se anjaan thi jiske kaaran dono ne idhar hi apne kapde change kiye the aur wo dono camera bhi bakhoobi apna kaam kar chuke the. Wahin Ahana ke dimaag mein ab bhi wahi Lake waali ghatna chal rahi thi. Wo Saanp, wo ajeeb si feelings aur wo naam – Arjun... Sawal kayi saare the Ahana ke saamne jinke jawaab abhi usse dhoondne the.


UNIDENTIFIED LOCATION :

Ek khula sa area lag raha hai ye, chaaron taraf ghana andhera apna kabza jamaaye huye hai. Ek tarah se lag raha hai ke ye andhere ka saamrajya ho. Wahaan par door door tak kisi tarah ki koyi aahat nahi ho rahi thi. Tabhi achanak hi poori jagah ka vaatavaran badal sa gaya. Andhere ne apni pakad aur mazboot kar li thi. Ab wahaan ek kaala saamrajya jaise ban hi chuka tha. Kyonki chaaron taraf ek Kaala dhuaan uthne laga tha. Tezz hawaayein chalne lagi thi aur tabhi jaise ek dum se wahaan ek dhamaka hua. Uss dhamaake ki aawaz bahut hi zyada thi. Kuchh palon baad jab dhuaan chhanta to wahaan ek aadmi khada tha.

Uska chehra visible nahi tha kyonki dhuen ki maujoodgi ab bhi kaayam thi. Par uske wo kaale kapde, laal aankhen aur aankhon mein basi darindagi saaf dikh rahi thi. Usne apna sar ek taraf jhatka aur apna haath saamne ki taraf kar diya. Ek gaadhi laal roshni uske haath se nikli aur saamne ki taraf badhne lagi. Tabhi ek jagah jaakar wo roshni ruk si gayi, lag raha tha ke maano saamne koyi deewar ho jisse wo roshni bhed paane mein kaamyab naa ho paa rahi ho.

Har guzarte pal ke saath uss adrishya deewar ke saamne roshni badhti hi jaa rahi thi aur kuchh hi palon ke baad... BOOOOOOMMMMMM...

Ek dhamaka hua jiss se utpann huyi kaanon ko faad dene waali aawaz, par iss dhamaake ka nateeja jo saamne tha wo chaunka dene waala tha. Saamne ek Jail jaisi jagah ban chuki thi. Maanon ke jaanwaron ko kaid karne waala pinjra ho. Par uss jail ki salaakhen safed urja yaani white energy se bani huyi thi. Jinki chamak aas paas ke kaale saamrajye ko ek chunoti si dene mein lagi huyi thi.

Idhar baahar khada wo aadmi ek dum se hawa mein uth gaya. Usne apne dono haath faila diye aur kuchh budbudane laga, uski aawaz behadh hi dheemi thi aur kuchh hi palon baad uske dono haathon mein ek kaala dhuaan uthne laga. Usne apne dono haathon ko jod diya aur agle hi pal wo dhuaan ek badi si Ball ka roop le chuka tha. Usne apni poori shakti ke saath uss ball ko Pinjre ke oopar fenka par pinjre se takraate hi uska astitva mit gaya. Ab wahaan ek baar fir shaanti chhaa chuki thi jisse cheera ek chhenkh ne. Wo cheenkh ussi aadmi ke munh se nikli thi jo suboot tha uski nakaamyabi ka. Khair kuchh derr wo wahin khada raha aur uske baad wo achanak hi gaayab ho gaya. Par gaayab hone se pehle ye shabd uske munh se nikal chuke the...

“FATHER... Ab aur nahi. Ab main aur intezaar nahi kar sakta. Mere paas ab ek hi raasta bacha hai aapko yahaan se aazad karne ka. Main aa raha hun... Main aa raha hun STYGIAN...”


CITY : MUMBAI

PLACE : THAKUR VILLA

HIMANI'S ROOM...

Main iss waqt Himani Di ke room mein bed se tek lagaaye baitha tha aur Di mere kandhe par sar rakh kar mere saath chipki huyi thi. Unki aankhen band thi aur chehre par aseem shaanti dikh rahi thi. Main lagaatar unke chehre ko dekhe jaa raha tha. Tabhi,

HIMANI DI : Ab mujhe ghoorta hi rahega to mujhe neend kaise aayegi?

MAIN (Smiles) : Aap Jaag rahi ho?

Unhone aankhen kholi aur mujhe dekhte huye kaha,

HIMANI DI : Mujhe vishwas nahi ho raha ke tu waapis aa gaya hai. Tujhe nahi pata maine kitna miss kiya tujhe. Par tujhe uss se kya, tujhe to zyada hi gussa aata hai naa... Ye bhi nahi socha ke tere chale jaane se mujhpar kya beetegi.

MAIN : Aap ek baar keh dijiye ke maine yahaan se jaakar galat kiya tha.

HIMANI DI : Tujhe apni baat manvani to aati hi hai. Haina, tere saamne kisi ka tark kahaan tikega.

MAIN : Mujhe bahut hurt hua tha Di. Maine kabhi nahi socha tha ke mujhe wo sab dekhna padega, wo sab sun na padega. Mere Maa Baap aisa soch sakte hain maine kabhi expect nahi kiya tha. Mere saath jo chaahe karte par Anvi ko uss sabmein laakar unhone mere dil ko bahut chot pahunchaayi thi Di. Main aapko bata nahi sakta mujhe kaisa feel hua tha.

Maine jab unki taraf dekha to paaya ke unki aankhon mein nami aa chuki thi. Wo ek dum se mujhse lipat gayi. Unki pakad behad mazboot thi jaise agar unhone mujhe chhoda to main bhaag jaaunga. Main unke sar par haath ferne laga.

MAIN : Kya hua Di. Aap ro kyun rahe ho. Bolo kya hua?

Wo mujhse thoda alag huyi aur mere chehre ko thaamkar boli,

HIMANI DI : Kyun karta hai tu aesa. Main achhe se jaanti hoon ke tu andar se bahut dukhi hai. Par kisi ko nahi kehta. Tu mujhe apna nahi maanta kya, mujhe bahut hurt hota hai Arjun jab tujhe aese dekhti hoon.

Main unki baaton mein chhippe unke pyaar ko bhali bhaanti mehsoos kar paa raha tha. Unka chehra aansuon se bheega hua tha. Maine unke gaalon par se wo geeplapan ponchha aur fir unke dono gaalon par baari baari se choom liya. Wo meri taraf apni badi badi aankhon se dekh rahi thi aur main unhe ek baar fir apne aagosh mein le chuka tha.

MAIN : Main jaanta hoon Di ke aap mujhse bahut pyaar karti ho. Shayad iss duniya mein sabse zyada aur yakeen maaniye main bhi aapko utna hi chahta hoon. Haalanki main kabhi jatata nahi par aapki jagah mere dil mein bahut special hai Di... Bahut special.

Ek dum se unki pakad mujhpar mazboot ho gayi aur wo behad hi pyaari aur dheemi aawaz mein boli,

HIMANI DI : Fir mujhe sab kuchh bata. Jo bhi tu feel karta hai, jo bhi tune apne andar chhupaya hua hai. Sab kuchh...

MAIN : Main zaroor bataunga Di. Aapse nahi kahunga to kis se kahunga. Aap hi to meri har problem ko solve karti ho par abhi nahi baad mein.

Wo mujhse alag huyi aur mujhe dekh kar boli,

HIMANI DI : Abhi kyon nahi?

MAIN : Kyonki abhi mujhe aapse kuchh aur baat karni hai.

HIMANI DI : Haan bol naa!

MAIN : Di,Anvi theek nahi hai. Uski condition bahut kharaab hai. Mujhe lagta hai ke uska khud par control hi nahi bacha hai. Wo kehna kuchh aur chahti hai aur keh kuchh deti hai. Wo bahut kuchh apne dil mein dabaaye hai jiske kaaran wo ghut rahi hai. Wo mujhe bhi kuchh nahi batayegi. Please Di mujhse uski ye haalat nahi dekhi jaati, please aap kuchh karo.

HIMANI DI (Smiles) : Tu kuchh bhi bol, sabse zyada pyaar to tu Anvi se hi karta hai, hai naa!

MAIN : Wo.. wo.. Di..

HIMANI DI : Bas bas ro mat, main tujhe tujhse zyada jaanti hoon aur mujhe koyi chidh ya jalan nahi hai iss baat se. Main jaanti hoon achhe se ke tu uski kitni care karta hai aur uske liye kuchh bhi kar sakta hai aur Main uski condition bhi achhe se jaanti hoon par tu hi bata hum kya kar sakte hain uske liye.

MAIN : Di, kyon naa hum usse kahin ghumaane leke jaayen?

HIMANI DI (Smiles) : Bahut samajhdaar ho gaya hai Mera Cutie to. Par kahaan jaayen... (Pause) Arre haan wo pehle bhi to tujhse zidd kiya karti thi wahaan jaane ki, to wahi theek rahega...

MAIN : MANALI !!

HIMANI DI : Right... Sneha aur Dhruv ko bhi bol denge. Sabhi saath mein jaate hain maza aayega.

MAIN (Smiles) : Thanks Di aur jab aap Mera Cutie bolti ho naa tab mujhe bahut achha lagta hai.

Unhone koyi jawaab nahi diya bas kuchh pal mujhe dekhti rahi fir muskurakar ek baar fir mujhse lipat gayi aur unhone dheeme se mere kaan mein yahi shabd budbudaye... “Mera Cutie... Mera Pyaara Cutie”!!!



Iss Update Mein Itna Hi... Next Update tak ke liye Bye – Bye...



Bane Rahiye!
Nice update dost
 
  • Like
Reactions: Luffy and The king

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
AB TAK AAPNE PADHA KE ARJUN & HIMANI, ANVI KO MANALI LE JAANE KA DECIDE KARTE HAIN. WAHIN VIHAAN KO USS BOOK NE AGLE PADAAV KI INFO DE DI HAI. UDHAR EK ANJAAN SHAKHS “STYGIAN” KO PAANA CHAHTA HAI.

AB AAGE :


CHAPTER – 1

{THE QUEST FOR STYGIAN}



MEGA UPDATE – 5

CITY : KOLKATA

LOCATION : THE GOLDEN PETAL

“Aur ye baat tum mujhe ab bata rahe ho!!”

Ye baat kahi thi Yashika ne Vihaan se. Vihaan Uss band padi factory se waapis hotel mein aa chuka tha aur jaisa ke uss kitaab ke dwara usse bataya gaya tha, Vihaan ne book ki poori information Yashika ko bhi de di thi. Jisse sun ne ke baad oopar likhi line pratikriya ke taur par nikli thi uske munh se.

VIHAAN : Haan to main pehle kaise bata deta. Arjun ne aesa kuchh bola nahi tha mujhe. Ab iss book mein likha aaya to maine tumhe bata diya.

YASHIKA : Chalo theek hai tumne uss waqt nahi bataya par tumhe pata bhi hai tum poore 3 ghante baad laute ho. Itni derr tak kahaan the?

VIHAAN : W.. wo Main.. wo

YASHIKA : Ab wo wo hi karte rahoge ya aage bhi bologe...

Iske jawaab mein Vihaan ne apni pocket se ek chhota sa box nikaal kar Yashika ko thama diya. Jab Yashika ne usse khola to usmein bahut hi pyaari earrings thi. Joki Yashika ki pehni huyi dress se match bhi kar rahi thi. Unhe dekh kar Yashika ke chehre par ek halki si muskaan aa gayi par usne turant hi apne expressions ko badal diya aur ek dum gusse se bhara chehra banakar Vihaan ko ghoorne lagi.

VIHAAN (Nervous) : Kya hua... Pasand nahi aaye kya??

YASHIKA (Frowns) : Tum ye kyon laaye ho mere liye!?

VIHAAN : M.. Matlab?

YASHIKA (Stares) : Matlab ye ki tumse kisne kaha tha mere liye ye laane ko?

VIHAAN : Wo aaj subah jab... Main wo School se nikla tha tab... Wahaan ek shop par ye dikhe the. Fir T.. tumne bhi same dress pehna tha to mujhe yaad aa gaya aur M.. main le aaya...

Vihaan ek dum dara sa chehra banakar usse dekh raha tha aur Yashika usse gusse se.

YASHIKA : Apna gift apne paas hi rakho.

Aur itna kehkar usne wo box Vihaan ke haath par rakh diya. Pehle to wo kuchh bolne waala tha par fir kuchh yaad karke uske shabd halak mein hi reh gaye. Wo nazren jhukaye waapis mudkar baahar jaane ko hua,

YASHIKA : Ab kahaan ja rahe ho tum?

VIHAAN : W.. wo inhe return karne.

YASHIKA : Chalo rehne do. Laao idhar, kuchh kaam nahi hai kya tumhe jo yahi sab karte rahoge.

Vihaan ke chehre par khushi ki lakeeren dikhne lagi aur usne jhat se wo box Yashika ko thama diya. Ye dekh kar wo bhi halka halka muskurane lagi.

YASHIKA : Tum khaane ka order de aayo. Maine abhi tak kuchh nahi khaya hai.

VIHAAN : Tum bhi naa! Agar bhookh lagi thi to khaa leti. Main abhi aata hoon...

Aur wo baahar ki taraf chal diya. Wahin uske jaane ke baad Yashika muskurane lagi aur un earrings ko dekhte huye dheeme se budbudane lagi... “I know Vihaan ke tum mujhse kitna pyaar karte ho, main bhi sirf tumhe hi chahti hoon par abhi tumhe thoda aur tadapna padega. Aakhir mujhe jitna pareshaan kiya hai tumne uska phal to milega hi tumhe...”

Iske baad in dono ne khana khaya aur fir jo kaagaz uss Kitaab ke saath mila tha, jahaan inhe next clue milna tha usse dekhne lage. Uspar ek nakshe jaisa kuchh bana hua tha. Nakshe ko dekh kar saaf pata chal raha tha ke wo ek cemetery (kabristan) ka naksha tha. Uske oopar graves (kabron) ke numbers bhi likhe huye the aur ek jagah par laal rang se circle bana hua tha. Yashika aur Vihaan uss Map ko dekh kar soch mein padd chuke the. Jahaan Yashika uss Nakshe ki jaanch padtaal kar rahi thi wahin Vihaan apne Mobile mein kuchh kar raha tha.

YASHIKA (Stares) : Yahaan itna important kaam hai hume aur tum Mobile mein lage huye ho.

VIHAAN (Shouts) : Mil gaya!!

YASHIKA : Kya mil gaya?

VIHAAN : NIGHT SHADE CEMETERY... Issi ka Naksha hai ye!!

YASHIKA (Surprised) : Tumhe kaise pata chala?

VIHAAN : Arre ye dekho iss nakshe mein ye neeche ki taraf dhundhle letters hain naa “NI**T SH**E CE*****Y”... Inke beech ke kuchh letters gaayab hain. Aur baaki bache letters issi naam ko resemble karte hain.

Yashika kabhi nakshe ko dekhti to kabhi Vihaan ko. Uski aankhon mein tareef ke bhaav saaf dikh rahe the jinhe Vihaan bhi dekh paa raha tha.

VIHAAN : To chalen fir?

YASHIKA : H.. haan chalo...


PLACE : NIGHT SHADE CEMETERY

Ek bahut hi daravani si jagah lag rahi thi ye. Aam taur par jaise kabristan hua karte hain bas ussike jaisi. Waise bhi abhi Raat ho chuki thi aur isiliye yahaan ka environment aur bhi adhik daravana saa lag raha tha. Khair, Yashika aur Vihaan iss Cemetery ke bheetar pravesh kar chuke the aur Nakshe ko dekhte huye aage badh rahe the.

Chaaron taraf kuchh Keede makodon ki aawazein saaf sunayi de rahi thi aur aas paas pedon par chamgadadon ke shor ki dhvani bhi suni jaa sakti thi. Vihaan aage ki taraf badh raha tha ke tabhi Yashika ne uska haath pakad kar usse roka aur ek taraf ishara kiya. Vihaan ne uss taraf dekha to paaya ke wo wahi sthaan tha jisse Nakshe mein Circle kiya hua tha.

Dono jab uss jagah ke nazdeek pahunche to wahaan par ek tomb (Makbara) bana paaya. Uske oopar bahut hi behatreen kalakaari ki huyi thi aur saath hi uspar kuchh likha bhi hua tha par bhaasha un dono ke hi samajh se pare thi. Abhi Yashika uss tomb ko chhoone hi waali thi ke achanak hi wahaan hawaaon ne aandhi ka roop le liya aur chaaron taraf se ajeeb ajeeb si aawazein aane lagi. Dheere dheere wo aawazein badhti gayi aur achanak hi un dono ke saamne kaala dhuaan uthne laga. Kuchh hi palon mein wo dhuaan chaar hisson mein bant chuka tha aur wo ek insaan ki aakriti jaisa dikhne laga tha.

Jahaan Vihaan uss sabko dekh kar halka sa dara hua tha wahin Yashika ki aankhen laal hone lagi thi aur gusse se uska poora shareer kaanpna shuru ho gaya tha. Vihaan usse dekh kar kuchh samajh paata uss se pehle hi Yashika ne apna haath aage kar diya. Uske haath se ek safed roshni nikli aur chaar hisson mein bantkar un chaaron par padne lagi. Dheere dheere unka size chhota hota gaya aur wo gaayab ho gaye. Abhi Yashika ne haath neeche kiya hi tha ke un chaaron ki jagah ab laghbhag 10 – 12 prakat ho chuke the.

Wo sab ek jagah gol gol ghoomne lage aur achanak hi Yashika ke oopar ek kaali ray chhod di. Wo iske liye taiyaar nahi thi par wo ray usse chhooti uss se pehle hi Vihaan beech mein aa gaya aur wo ray apne oopar padte hi uski ek gagan bhedi cheenkh nikal gayi. Wo behosh hokar neeche gir pada par Uska sar zameen par lagta iss se pehle hi Yashika ne usse thaam liya aur Uske gaalon ko thapthapate huye usse hosh mein laane ki koshish karne lagi. Vihaan ko yun dekh kar uski aankhen bheegna shuru ho chuki thi.

Par iss sabmein uska dhyaan un dhuen ke roop mein praniyon se hatt chuka tha jiska faayeda uthakar wo Yashika par hamla karne hi waale the ke beech mein hi ek golden colour ki roshni prakat ho gayi. Uss roshni ne ek circle ka roop le liya aur uss circle mein se ek ke baad ek paanch aadmi nikle. Un sabke kapde kuchh ajeeb se the. Yashika jahaan un sabko dekh kar shaant ho gayi wahin unki maujoodgi jaise uss kaale dhuen ko pareshaan karne lagi. Un paanchon aadmiyon ne ek doosre ki taraf dekha aur ek saath uss kaale dhuen par hamla kar diya.

Unke haathon se niklati urja uss kaale dhuen ke liye sambhal paana asambhav tha jiske falswaroop wo dhuaan kuchh derr mein hi gaayab ho chuka tha. Wo sabhi aadmi bhi jiss circle se aaye the ussi se waapis laut gaye. Idhar Yashika Vihaan ka sar apni god mein lekar baithi thi. Usne ek baar Vihaan ke gaal ko sehlaya aur usse wahin leta diya. Wo uthi aur uss Tomb ke bilkul saamne khadi ho gayi. Jaise hi usne uss tomb par haath rakha wo do hisson mein bant gaya. Uske beechon beech ek baksa rakha hua tha. Yashika ne uss bakse ko khola to paaya ke uske andar ek Metal ka Gol Chakra tha. Uspar paanch jaghein bhi bani huyi thi. Basically, wo ek khaanche jaisa tha jiske oopar paanch chhoti chhoti balls ko fit kiya jaa sakta tha.

Yashika ne usse uthaya aur apne bag mein daal liya. Wo jaise hi baahar aayi wo Tomb gaayab ho gaya. Usne Vihaan ko apne kandha par uthaya aur baahar khadi gaadi ki taraf chal di. Wo bade aaram se Vihaan ko uthaye huye thi maano wo koyi chhota bacha ho. Iske baad wo usse lekar Hotel waapis aa gayi.

NEXT MORNING :

Jab subah Vihaan ko hosh aaya to usne apna sar Yashika ki god mein rakha paaya. Aas paas ka jaayza lene par wo samjha ke wo dono abhi Hotel ke kamre mein the. Khair, filhaal ke liye wo sab kuchh bhoolkar Yashika ke chehre ko nihaarne laga aur kuchh yaad karte huye uski aankhen nam ho gayi.

VIHAAN (Mann Mein) : I'm Sorry Yashika, Maine tumhe bahut hurt kiya hai par tum kyon nahi samajh rahi ho ke ab main tumhe bahut zyada chahne laga hoon. Tumhaari ye berukhi mujhse sehan nahi hoti. Please mujhe maafi kardo, kya meri galti ki maafi nahi dogi tum mujhe...

Uske aansuon ke katre apne haathon par mehsoos karke Yashika ki aankhen bhi khul gayi. Jab usne Vihaan ko hosh mein aaya dekha to uske chehre par khushi ki lakeeren failne lagi. Par jab usne Vihaan ko subakte huye dekha to wo thodi chintit ho gayi.

YASHIKA : T.. tum ro kyun rahe ho?? Dard ho raha hai kya...

VIHAAN : Huhhhh...

YASHIKA : Bolo dard ho raha hai kya tumhe?

VIHAAN (Nods) : Hmmm...

YASHIKA (Tensed) : Kisne kaha tha beech mein aane ko. Batao ab kahaan dard ho raha hai.

Vihaan ne usse gehri nazron se dekhte huye apne dil par haath rakha aur kaha... “Yahaan...”

Yashika shaant si hokar usse dekhne lagi par fir wahaan se uthi aur washroom mein chali gayi aur Vihaan bas usse jaate dekhta raha...

Kuchh waqt baad dono saath baithe the aur raat ko huyi ghatna par chintan kar rahe the,

VIHAAN : Tum un dhuen se bane aadmiyon ko dekh kar itne gusse mein kyon aa gayi thi?

YASHIKA : Tum jaante ho naa ke main white energy se bhari huyi hoon...

VIHAAN : Hmm... Pure White Energy, Haina...

YASHIKA : Haan aur wo sab aadmi Kaali shaktiyon ke dhaarak the isiliye unki presence meri white energy ko trigger kar rahi thi.

VIHAAN (Surprised) : Kaali shaktiyan, wo sab yahaan kaise aaye honge. Jahaan tak mujhe pata hai Arjun saari Black Powers ko khatam kar chuka hai.

YASHIKA : **** Earth par se sabhi kaali shaktiyon ko samaapt kar chuke hain par wo sab aadmi Dharti ke nahi the.

VIHAAN (Shocked) : Tum kehna kya chahti ho!?

YASHIKA : Tumhe shayad pata nahi par Earth ke alawa aur bhi kayi planets hain jahaan Jeevit Praani hain. Aur unmein se hi kayi Black Energy se bane planets hain, wo sab aadmi wahin se honge.

Vihaan bas iss naye revelation ko hazam karne ki koshish kar raha tha. Abhi tak Arjun yaani mere saath rehkar wo bahut kuchh ajeeb cheezein dekh chuka tha par ye baat uske liye bhi ek bahut bada shock thi.


DO DIN BAAD (AFTER TWO DAYS) :

CITY : MANALI

PLACE : HOTEL NEW DAWN

Manali ka ek 5 star hotel, jahaan filhaal Main aur mere saath mere Bhai behen maujood the. Jaisa ki Himani Di aur Maine decide kiya tha ussi ke mutabik yahaan Manali aane ki baat ghar mein batayi thi aur kisi ko iss se koyi problem bhi nahi thi. Haalanki Anvi thoda chakit zaroor thi iss baat se par wo bhi khush thi. Wahin Sneha aur Dhruv to waise bhi ghoomne firne ke shaukeen the hi to unhe kya hi pareshaani hoti.

Khair, hum sab yahaan iss hotel mein rukne waale the aur jab main rooms book kar raha tha. Tab Anvi ne pichhe se aakar meri shirt ka kinara pakad liya jiska matlab main bhi bhali bhaanti samajh gaya. Maine uske aur apne liye ek hi room book Kiya. Iss waqt main aur wo ussi room mein the. Main jab washroom se fresh hokar baahar aaya to maine dekha ke Anvi balcony mein khadi ek hi taraf dekhe jaa rahi thi. Maine usse peechhe se gale laga liya.

MAIN : Tujhe pata hai hum yahaan kyon aaye hain?

Usne bas naa mein sar hila diya.

MAIN : Tere liye. Tujhe pasand hai naa Pahaadi ilaake.

Wo kuchh nahi boli bas palti aur mujhse chipak gayi. Uski aankhon mein halki nami panapne lagi thi.

MAIN : Shhh... Rona nahi. Hum yahaan bahut enjoy karenge. Chal abhi rest kar le thodi derr.
Hum dono bed par let gaye. Wo mere seene par sar rakh kar leti thi aur meri shirt ko apni mutthi mein bheenche huye thi.

Kuchh derr aaram karne ke baad hum sabne saath mein dinner kiya. Kyonki abhi halka andhera hona shuru ho chuka tha isiliye humne kal se ghoomne ka plan kiya aur abhi ke liye sona hi behtar samjha. Raat ke kisi pehar meri neend khuli. Mera shareer paseene mein tarbatar tha aur saansein bahut tezz chal rahi thi. Maine aas paas dekha to paaya ke Anvi waise hi mujhe jakde huye so rahi thi. Tabhi mera shareer akadne laga. Main bistar se utha aur washroom mein jaakar shower ke neeche khada ho gaya.

Tabhi mere dimaag mein kuchh tasveeren chalne lagi jinhe dekh kar ek dum se mera dimaag gusse se bhar gaya. Maine apne haath ko aage ki taraf kiya to wahaan ek circle ban gaya (same waisa hi jaisa Vihaan – Yashika ki help karne aaye aadmiyon ne banaya tha). Maine jaise hi apne kadam uske paar kiye main ek bilkul nayi jagah khada tha aur meri aankhon ke saamne do shakhs the jo mera shikaar ban ne waale the.


NIGHT TIME :

PLACE : HAMPTA PASS

Raat ka waqt tha, aas paas ke khubsurat vaatavaran ko aur bhi dilkash bana rahi thi Wo Chaand ki chaandni. Chaaron taraf ghor shaanti thi, angrezi mein jisse pindrop silence kaha jaata wahi tha wahaan par. Wahaan kayi saare tents lage huye the. Wo Bachon ka Group ab apni manzil yaani Hampta Pass ki choti par pahunchne ke behad kareeb tha. Wahin wo dono kameene – Naman aur Vijay bhi apni manzil par laghbhag pahunch hi gaye the.

Do din pehle hi Ahana aur Kiara ki Recording ye dono apne cameras mein kar chuke the. Par pichhle do din mein inhone kisi ko bhi iss sabke baare mein pata nahi lagne diya tha. Asal mein ye dono sahi waqt ke intezaar mein the. Joki waapis apne Orphanage mein jaakar inhe milna tha. Ab apne shehar mein to ye aasani se apna kaam poora kar sakte the. Khair, iss waqt ye dono baithe the Ek patthar par aur apni kaamyabi par jashn mana rahe the, iss baat se anjaan ke inhone apne paaon par kulhaadi maar li hai.

NAMAN : Yaar maza aa gaya. Saala Video mein inka badan itna khatarnak lag raha hai to asal mein to ye mujhe maar hi dalengi.

VIJAY : Sahi bola yaar, Mera to dimaag kharab ho gaya hai. Do din mein 200 baar Video replay karke dekh chuka hoon. Ab bas jaldi se waapis jaayen to kuchh maza aayega.

NAMAN : Waise yaar kuchh gadbad to nahi hogi naa, agar Orphanage ki Authorities ko pata chala to gaye kaam se hum dono.

VIJAY : Arre darta kyon hai tu. Ladki ko apni izzat sabse zyada pyaari hoti hai, wo dono kisiko nahi batayengi.

NAMAN : Haan ye bhi hai. Maza aa gaya yaar ab plan bas kaamyab ho hi gaya samjho.

VIJAY : Hmmm... Chal abhi chalte hain sone.

“ARRE AISE KAISE... PEHLE PRASHAD TO LE LO!”

Dono jaise hi uthne ko huye pichhe se ye aawaz in dono ke kaanon mein padi jisse sunkar dono hi hadbada gaye. Ye aawaz kisi aur ki nahi balki meri hi thi jo inke peechhe khada kabse inki baatein sun raha tha. Aur ab waqt aa gaya tha inka hisaab karne ka.

VIJAY : K.. kaun ho tum?

MAIN (Smiles) : Tera baap...

Maine bina koyi samay barbaad kiye Vijay ki gardan pakadkar ek ke baad ek teen mukke uske nose region mein tika diye the. Jiske kaaran tezz bleeding uske naak se shuru ho chuki thi..

Wahin Naman ye dekh kar mujhpar attack karne ko hua par jaise hi uska mukka mere chehre ke nazdeek pahuncha maine apni kohni (elbow) beech mein kar di. Ek sensation si paida huyi uske haath mein aur wo apne uss haath ko jhatke dene laga..

Par ye uski ek badi galti thi. Mujhe kaafi samay mil chuka tha. Main tezzi se ghuma aur peechhe se ek haath uske kandhe ke neeche fansate huye doosre haath se ek jhatka sa diya maine uske shoulder par..

Nateejtan uska shoulder joint dislocate ho gaya aur ek gala faad cheenkh bhi uske munh se nikal gayi. Iss cheenkh ki wajah se thodi doori par maujood do ladkiyon ka dhyaan iss taraf hua aur wo bhi idhar ko aane lagi..

Par abhi bhi main shaant nahi hua tha.Vijay ke naak se abhi bhi khoon beh raha tha aur uska sar bhi chakrane laga tha, maine uski baazoo ko pakda aur doosre haath se uski elbow par pressure dene laga, uski aankhon mein khauf tairne laga tha. Main uski aankhon mein jhankkar bola,

MAIN : Kahaan hain wo dono Cameras...

VIJAY : Huhhh...

Maine uski elbow par pressure badha diya aur fir,

MAIN : Cameras kahaan hain jaldi bata...

VIJAY : Wo.. wo udhar wo bag pada hai usmein...

MAIN : Aur uss Video ki baaki copies bhi banayi hongi tune...

Main lagatar uske elbow par dabaav badhata jaa raha tha jiske falswaroop uski aankhon mein darr bhi badhta jaa raha tha.

VIJAY : Nahi... Sachi aur koyi Copies nahi hai... Aaahhh...

Maine uske munh par chaar – paanch punches lagaaye aur usse peechhe ki taraf dhakka de diya. Wo bhi sookhe patte ki tarah girta chala gaya. Wahin Naman ab bhi dheere dheere karah raha tha..

Maine uspar se dhyaan hataya aur uss bag mein se dono Camera nikaal liye. Abhi main dobara Naman ki taraf badhne ko hua ke tabhi mere kaanon mein ye shabd pade... “Kaun ho Tum aur inhe kyon maar rahe ho!!”

Main jaise hi palta to mere saamne ek beintehaan khubsurat chehra tha jisse dekh kar ek pal ko meri heartbeat hi skip kar gayi. Uske saath ek aur ladki bhi thi par meri nazar sirf aur sirf ussi ek rukhsaar par jami huyi thi. Wahin wo bhi ek tak mujhe aur sirf mujhe hi dekhe jaa rahi thi. Main uski taraf badhne ko hua par tabhi maine apne kadam rok liye. Usne bhi mujhpar se nazrein hatayi aur un dono ki taraf dekha.

Jahaan ek ki naak toot chuki thi wahin doosre ka kandha,

KIARA : Main abhi baaki sabko bulaati hoon. Tumhe to abhi pata chalega.

Wo palatne ko huyi ke tabhi,

MAIN : Ruko...

Maine wo dono Cameras un dono ki taraf badha. Unhone bhi jhijhakte huye unhe liya aur fir unhe check karne lagi. Usmein huyi recording dekh kar dono ki aankhen fati ki fati reh gayi. Wo dono kabhi Camera ko dekhti to kabhi ek doosre ko. Jab unhone meri taraf dekha to wahaan koyi nahi tha. Asal mein Main wahaan se nikal gaya tha kyonki un dono ke sawaalon ke jawaab dene se main bachna chahta tha.

Khair, kuchh derr lagi un dono ko par fir wo bhi sab kuchh samajh gayi kyonki same cameras wo dono pehle bhi Naman aur Vijay ke paas dekh chuki thi. Par abhi wo kuchh nahi karna chahti thi kyonki filhaal Orphanage ki taraf se bhi koyi inke saath nahi tha. To dono ne waapis jaakar un dono ko sabak sikhane ka faisla kiya aur Naman aur Vijay par kuchh derr apna gussa nikaal kar waapis chali gayi.

Par dono ke mann mein kayi saare sawaal uth chuke the.

KIARA : Wo kaun tha aur usse kaise pata chala ki in dono ke paas hamari Video hai.

(Silence)...

KIARA : Ahana... Ahana kahaan kho gayi...

Ahana ko hilaate huye ye shabd kahe usne aur wo hadbadakar apni sochon se baahar aa gayi.

AHANA : N.. nahi kahin nahi. Chhod ye sab abhi mujhe neend aa rahi hai.

Usne ye keh to diya par neend uski aankhon se koson door thi. Wo tent mein lete huye bhi bass ek hi shakhs ke baare mein soch rahi thi...

“ Kaun tha wo? Kyon mujhe wo apna saa lag raha tha... Kyon uska chehra mujhe jaana pehchana lag raha tha. Uski aankhen, wo aankhen maine pehle bhi dekhi hain. Aur usse kaise pata chala tha in cameras ke baare mein aur sabse badi baar usne hamari help kyon ki... Kaun ho tum... Kaun ho tum??”

Sawaal kayi saare the par abhi uske paas kisi bhi sawaal ka jawaab nahi tha.


NEXT MORNING :

PLACE : SOLANG VALLEY

Manali shehar se kuchh doori par stith ye Solang Valley adbhut khubsurti ka prateek hai. Barf ki chadar se dhaki ye jagah kisi ko bhi apni taraf aakarshit karne ke kaabil hai. Hum sab yahaan aaye huye the. Kal raat ko wahaan par Naman aur Vijay ki dhulayi ke baad main apne room mein laut aaya tha aur waapis apni jagah par jaakar so gaya. Par jo kuchh bhi hua wo mere liye bhi ek paheli si thi.

Lekin uss baare mein zyada naa sochte huye main abhi iss trip par focus karne laga. Subah uthkar plan ke mutaabik hum sab yahaan aa chuke the. Par yahaan bhi Anvi apne mein hi khoyi khoyi si thi. Jahaan Sneha, Dhruv aur Himani Di Skiing karne mein jute huye the wahin Anvi bas ek bench par akele baithe huye thi. Main paas khada usse hi dekh raha tha.

Main dheeme kadmon se chalta hua uske paas pahunch aur wahin uske bagal mein baith gaya. Uski nazar jab mujhpar padi to hum dono khamoshi se ek doosre ko dekhne lage. Maine uske gale ke peeche se haath karte huye use khud se chipka liya aur uske baalon mein haath ghumate huye bola,

MAIN : Tujhe yaad hai bachpan mein ek baar hum Dehradun gaye the aur wahaan tune Skiing karne ki zidd ki thi...

ANVI : Fir Sabne mana kar diya tha kyonki main chhoti thi, lekin tab aapne apne saath mujhe Skiing karwayi thi...

MAIN : Jaanti hai kyon??

(Silence)...

MAIN : Kyonki main iss duniya mein sabse zyada pyaar tujhse karta hoon aur teri har wish mere liye bahut keemti hai.

Maine use waise hi gale Laga liya aur,

MAIN : Tu jaanti hai ek time tha jab Main bahut kuchh socha karta tha ke ye karunga, wo karunga... Par ab, ab mujhe koyi shouk nahi raha... Mujhe ab kuchh bhi nahi chahiye, kuchh nahi. Bas ab main tere liye hi sab kuchh karna chahta hoon. Main sach kehta hoon Anvi Main kabhi waapis naa aata, jo kuchh bhi unhone tere saath kiya tha uske baad main unki shakal tak nahi dekhta... Par main tujhse door nahi reh sakta Anvi, please ab mujhe aur tang matt kar aur mujhe meri pehle waali Sweety de de...

Meri aankhon mein halki nami bhi aa chuki thi aur wo mujhse alag hokar hairaani bhari nazron se mujhe dekh rahi thi. Usne mere gaalon se geelepan ko ponchha aur mere chehre ko thaamkar boli,

ANVI : Aap mere liye waapis aaye ho?

MAIN (Nods) : Sirf tere liye...

Wo jhatke se mere gale lag gayi aur rote huye...

ANVI : I Love You Bhai... I Love You so much... Main aapko ab kahin nahi jaane doongi. Promise karo ke ab mujhe chhodkar nahi jaaoge.

Itna kehkar usne apne daayen haath ki chhoti ungli aage kar di. Bilkul waise hi jaise chhote bache ek doosre se koyi waada karte hain. Mere chehre par halki si hansi panap gayi aur maine bhi uski hi tarah apni ungli uske saath jodd di aur kaha... “Pakka Promise!!”

MAIN : Chal uth jaa ab, aaj skiing nahi karegi.

ANVI : Aapke saath mein karungi...

Iske baad hum sabne poora din enjoy kiya aur Anvi bhi aaj poore mann se hum sabke saath thi. Par poore din wo mere aas paas hi mandrati rahi aur ek pal bhi mujhe khudse alag nahi hone diya.

Bas issi tarah ye din bhi nikal gaya...

Par ye din Ahana ke liye aasan nahi guzra tha. Jahaan Vijay aur Naman ko hospital mein admit karwa diya gaya tha aur Orphanage ke officials ko bhi saari khabar de di gayi thi. Wahin Kiara aur Ahana ne kisiko nahi bataya tha ke unhone Naman aur Vijay ki aesi haalat hote dekha. Jahaan Kiara khush thi ke un dono ko unke bure kaam ka fal mil gaya wahin Ahana duvidha mein fansi huyi thi.

Wo bas mere baare mein hi soche jaa rahi thi, reh rehkar uske dimaag mein mera hi chehra ubhar raha tha. Poora din wo issi sab cheezon se pareshaan hoti rahi. Pichhle kuchh dinon mein uski zindagi bilkul hi badal si gayi thi. Kahaan to wo ek normal si zindagi bita rahi thi aur kahaan kuchh hi din mein Wo Saanp, Wo naam – “Arjun”, wo sapne Jo usse behoshi ki haalat mein aaye the aur ab Main... Par filhaal uske paas kisi bhi cheez ka koyi jawaab nahi tha, wo bas intezaar kar sakti thi uss waqt ka jab usse sab sawaalon ke jawaab milna the.


PLANET : HADEAN


PLANET INFO : Kaali shaktiyon arthat Black Energy ka sabse shaktishali grah. Ye Black Energy ka epicentre hai jahaan par jitne bhi evil praani hai unka raaj chalta hai. Iss planet ki zameen ka rang poora laal hai jaise khoon se uspar paint kiya gaya ho. Poora samay yahaan andhera hi rehta hai, matlab andhere ka saamrajya hai ye.


PLACE : THE KING'S PALACE


PLACE INFO : Hadean ke Samraat yaani Ruler ka thikaana. Yahaan iss Palace mein kewal ek hi shakhs rehta hai jiske baare mein aage pata chalega. Iss poore mehal ka rang bhi kaala hi hai.


Iss Palace mein filhaal teen log maujood the. Jinmein se Ek unchaayi par bani ek gaddi (Throne) par baitha tha wahin do aadmi uske saamne ghutnon par baithe the aur darr ke maare unke shareer kaanpne se lage the. Wo dono koyi aur nahi balki BOTIS aur uska wo COMMANDER hi the. Aur unke saamne baitha shakhs hi tha wo jiss se STYGIAN ki baat karne ye dono aaye the...

AADMI : Kya kaam tha tumhe jo yahaan aaye ho.

COMMANDER : All Hail Devil's Prince... Prince humare paas aapke liye ek bahut zaroori khabar hai...

AADMI : Kya?

BOTIS : Hisss... Hisss... Prince w.. wo STYGIAN...

AADMI (Surprised) : Stygian... Kya khabar hai uske baare mein...

COMMANDER : Prince Botis ne Stygian ki urjaa ko ek ladki ke paas mehsoos kiya tha.

Wo aadmi ek jhatke mein apni jagah se khada ho gaya.

AADMI : Kya kaha tumne... Ek ladki ke paas...

Fir Botis ne poori ghatna usse batayi. Ahana par hamle se lekar uss dhuen ke beech mein aane tak.

BOTIS : Aur ek baat bhi hai Prince... Hisss... Hisss...

AADMI : Ab aur kya baaki hai manhoos...

BOTIS : Hisss... Hisss... Wo uss dhuen ne mera zehar bhi sokh liya tha Jabki usmein LORD ki shakti bhi hai... Hisss... Hisss...

AADMI : FATHER ki shakti ko koyi kaise kaat sakta hai... (Pause)... Kahin, kahin wo waapis to nahi aa gaya. Nahi nahi ye nahi ho sakta, usse to FATHER ne khud maara tha. Par FATHER ke alawa sirf wo hi Stygian ko sambhal sakta hai. Aaarghhhhh... Kya hai ye sab...

COMMANDER : Kiski baat kar rahe hain aap Prince...

AADMI : **** ** ******** ki ...

Ye naam sunkar jahaan Botis shaant hi tha kyonki usse iss shakhs ki koyi jaankari nahi thi wahin COMMANDER ka halak sookh chuka tha kyonki yadi ye sach tha aur wo shakhs laut aaya tha to in sabki maut behad kareeb thi... Behad kareeb...



Iss Update Mein Itna Hi... Next Update tak ke liye Bye – Bye...



Bane Rahiye!
Fantastic update dost
 
  • Like
Reactions: Luffy and The king
Top