• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Arjun - The Devgadh Mystery

End me kya hoga

  • apne pita ki tarah hi ek raaz ban jayega

    Votes: 0 0.0%
  • Dusri dimension me chala jayega

    Votes: 0 0.0%
  • Tt

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    9

RED Ashoka

Writer
577
755
94

RED Ashoka

Writer
577
755
94
Update 17 – Devghar ka Shraap

(Continued from Update 16)

Arjun ki saansen ruk si gayi thi. Usne fir se mirror ki taraf dekha—uska reflection fir bhi usi direction me dekh raha tha jahan kuch tha hi nahi. Phir dheere se blink kiya... lekin ek second late.

“Yeh kya…” uske honth sookh gaye. Tabhi ek halka sa khat-khat awaaz aayi... us drawer se jise kabhi khola hi nahi gaya tha.

Usne himmat jutaayi, drawer ke paas gaya... aur dheere se handle pakda. Andar se kisi aurat ki fufkaar jaisi awaz aayi—jaise koi keh raha ho:

“Woh waapis aa gaya hai...”

Arjun ne turant haath khinch liya, peeche hata, aur door se nikal gaya

Subah – Ek Naya Jazba

Us raat ke baad Arjun so nahi paya. Subah ka suraj jab jhilmilaaya, to uske chehre par thakan nahi, ek ajeeb determination tha.

Breakfast table par sab shaant the. Maa uski taraf dekhti rahi, aankhon mein wohi sawal: “Raat ko sach mein sab theek tha?”

Uski chhoti behen Sia ne innocence se pucha, “Bhaiya, kal raat aap jungle gaye the?”

Usne muskurane ki koshish ki, “Nahi re, bas... kuch likhne gaya tha.”

Chachi ne kuch kehna chaaha, par chup rahi. Arjun ne unke chehre pe woh same suspicion dekhi, jo uski maa ki aankhon me thi. Par usne kuch nahi kaha.

Usne decide kiya — ab zyada chup rehna safe nahi hai.

---

Investigation Begins – Purani Files

Arjun seedha gaya thaane ki taraf — nahi police complaint likhne, balki ek ghisey-pitey record room ke andar ghusne. Usne ek purana pehchaan ka rishta lagaya — ek constable uska bachpan ka friend tha.

“Devghar me kisi pehle ki file chahiye, kuch purani... 1997 ya uske aas paas,” Arjun ne kaha.

Constable ne shak se dekha, “Kya dhoondh raha hai?”

“Bas ek kahani ka clue,” Arjun muskuraya.

Ek dusty rack se usne 3 purani FIR files uthayi:

1. Case 97/234 – “Unknown female body found near Devghar forest. Face half-burnt. No ID.”

2. Case 98/129 – “Aurat missing, husband ne kaha ‘Patni ne jungle ki devi ko dekh liya tha.’”

3. Case 99/001 – “School teacher ne kaha tha, unki maa ek haveli ke andar se baahar nahi aayi.”

Arjun ka dimaag ghoom gaya. Sab kuch somehow ek dusre se jura hua lag raha tha. Par abhi sabse important tha — ground pe jaake dekhna.

---

Jungle ke Paar – Mystery Girl Returns

Woh sham, Arjun jungle ke usi raahein par gaya jahan usne pehli baar us ladki ki jhalak dekhi thi (Update 9). Ab baarish hone ko thi, hawa tez chal rahi thi.

Tabhi...

Ek halki awaaz... jaise koi ghunghroo baaj rahe ho...

Woh wahi thi — mystery girl.

“Tum ho kaun?” Arjun ne aage badhte hue pucha.

Ladki ne sirf itna kaha:

“Tum jahan ja rahe ho, wahan sirf sach nahi, tumhara past bhi chhupa hai.”

“Tum meri maa ho?” Arjun ke mooh se nikal gaya.

Uski aankhon me paani tha.

Ladki ne uski aankhon me dekha — aur palat gayi. “Main woh hoon jise tumne bhoolne ki koshish ki… par Devghar ne nahi.”

ek black Scorpio jeep Devghar ke paas rukti hai. Usme se ek lady utarti hai — leather jacket, ponytail, boots, eyes sharp like hawk.
uska poora aura ek badass warrior jaisa tha.


a9-Mu-MZ1krym8p9i1-Np-GV-0-03unr
kj-Xuew-Z86yl0euv-MCB5a-0-m6v6n

Inspector Tara Rathore.

Station pe pohochkar usne pehla sawaal pucha, “Is gaon me har teesre saal ek aurat kyun gaayab ho jaati hai?”

Ek constable ne dare hue tone me kaha, “Yeh toh bas... Devghar ka shraap hai, madam.”

“Shraap nahi hota. Murderer hota hai,” Tara ne jawab diya, “Aur main usse dhoondh kar rahungi.”

---
Arjun raat ko fir se purane samaan ko dekh raha tha. Usne ek trunk khola — aur ek diary mili: Shanti Devi ki handwriting. Pehla page likha tha:

> “Mujhe darr hai ki jo sach maine dekha hai, woh kisi ko nahi batana chahiye... agar Arjun ne kabhi yeh pad liya, toh woh bhi mere jaisa ho jaayega.”

Woh diary uske haathon me kampne lagi. Arjun ne andar se ek photo nikala — mystery girl aur Shanti Devi ek hi frame me.

Kya yeh uski maa thi? Ya kuch aur?

Tabhi diary ka last page khud se khul gaya, aur likha tha:

> “Main usi ladki se mili thi... jo tumse jungle me mili hai. Woh insaan nahi hai.”

Raat ko station ke terrace par Tara phone pe kisi se baat kar rahi thi:

"Haan, mujhe confirmation mil gaya hai. Yeh sirf shraap nahi... yahaan kuch aur hai. Woh ladki wapas aayi hai."

“Target?” doosri taraf se awaaz aayi.

Tara ne jungle ki taraf dekha, aur kaha:

“Arjun.”
Arjun ek sunsaan gali se guzar raha hai. Peeche se jeep rukti hai. Uniform me nahi, par tight black cargos aur brown biker jacket me Tara utarti hai. Aankhon pe aviators. Rifle ka strap shoulder pe loosely latak raha hai.

Tara ne ek nazar me Arjun ka analysis kar liya—clothes dusty, aankhon me neend nahi, haath me ek diary.

Tara (thande lekin confident tone me)
“Tumhe jungle me akeli aurat ke saath dekhne wale do log ab tak chup hain. Par main nahi hoon.”


q-Vdbu-Gm-GKe-SOs3d2k-Qaa-0-ngs3f

Arjun (ghoom kar dekhta hai, pehle surprise hota hai, phir aankhen uski body pe atakti hai)
“Tum kaun ho? Aur tumhe kisne kaha ki main jungle me tha?”

Tara (aviator utaarti hai, aankhon me intense look)
“Main CID nahi, protector hoon. Is village me kuch chal raha hai, aur tum us puzzle ka hissa ho. Mujhe tumhari help chahiye, ya shayad tumhe meri.”

Arjun uski aankhon me jhaankta hai. Uska chehra strong hai, lekin uske peeche ek mystery chhupi hai.

Arjun (slow smirk)
“Tum jaanti ho main kaun hoon, par mujhe nahi pata tum kya ho.”

Tara (light smirk)
“Main Tara hoon. Police department ki sabse unpredictable officer. Aur jo kaam kisi purush se nahi hota, wo main karti hoon.”

Tara station ke terrace par khadi hai. Jungle ki taraf dekh rahi hai. Phone me calm lekin sharp tone me kehti hai:

Tara:
“Haan, confirmation mil gaya. Yeh sirf shraap nahi... yahaan kuch aur hai. Woh ladki wapas aayi hai.”

Voice on other side:
“Target?”

Tara (nazre jungle par tikaye hue):
“Arjun — jiske aaspaas sab ghatnaayein ho rahi hain. Mujhe usse bachana bhi hai, aur uss sach tak pahunchana bhi hai


To be continued
 

TheInvincible

Member
185
159
44
Saw your story for the first time bro. Bhot acchi start h n ummid karta hu updates regular aayenge. Tara ka part dilchasp lag ra hai. Maza ayega agar aage story me tara aur arjun ki chemistry banegi toh.
 
  • Like
Reactions: RED Ashoka
Top