Update - 2
Ussi yudh ke kai hazaaro saal baad lord palace mai ekk khushiyon ki lahar chal rahi thi ...
Har taraf bass khushiyan hi khushiya thi .... Kyunki aaj yahan ki rani lisa ka prasarv hone wala tha wahin jahan sab bohot khush the wahi lord kuch chintit se dikh rahe rahe the .. Khushi unko bhi thi ki aaj se barso pehle jo beta unse bichad gaya tha aaj woh unke pass aane wala hai .. Kintu yeh chinta kissi or hi cheez ki thi ... Tabhi wahan Lord ke samne unka vishwas patra aata hai jo lord ko chinti dekh ke unse puchta hai ..
Admi- lord kya hua aap kuch chintit pratit ho rahe hain
Lord - han st Vincent ajj mai bohot khush hun ki aaj mera putra mere pass laut aaya hai kintu iss baat ka gam bhi hai ki usse khudse alag rakhna hoga ...
Vincent - kintu lord iski kya zarurat hai ..
Lord - zaroorat hai vincent kyunki iss sansan ko uske warrior ki zarurat shigra hi padegi kyunki woh laut ke anne wala hai or apne napak mansoobon ko kamiyab banane ke liye kuch bhi karega ....
Vincent - ji lord kintu mere mann mai ekk sawal hai
Lord - ham jante hain ki tum kya puchna chahte ho pucho
Vincent - lord abhi tak woh kahan tha or abb woh kaise laut raha hai ...
Lord - uss samay jab Arryan nai uss shpere ko nasht kiya tha ussi samay woh gayab ho gaya tha kintu uska asar uspe hua tha or woh admara ho gaya tha or abhi tak ekk agyat sthan mai tha jahan apni shaktiyon ko hasil karne ka prayatn kar raha hai .. Or jald hi unko hasil bhi kar lega .. Or iss baar usko rokna aasan nahi hoga
Vincent - ji lord kintu iske liye Arryan ko dharti pe bhejna ki kya avyashakta hai .. Wo karya to yahan se bhi ho sakta hai ...
Lord - nahi vincent arryan ko dharti pe hi jaana hoga kyuki dharti iss duniya ka kendra hai center hai jahan se sabhi grahon ka santulan banna rehta hai or iss bar woh wahin se apne mukam ko pura karega ..issi karan arryan ka dharti par hona annivarya hai ..
Vincent - ji lord kya mai iss karya mai koi sahayta kar sakta hun ..
Lord - han vincent tumhara ekk mahatva purn karya hai ... Or vo hai usko agge anne wale samay ke liye taiyar karna ... Or usko sahi salamat dharti par bhejna
Vincent - ji lord
Tabhi mahal mai bachhe ke rone ki awaj gunjti hai or ussi ke sath ekk sevika lord ke pass aati hai or unko pranam karti hai ...
Lord- kya khabar hai
Sevika- badhai ho lord apko beta hua hai
Lord yeh sunke bohot khush ho jaate hai or lisa ke kamre ki traf badh jate hai ... Jahan par lisa apne bete ke sath leti hoti hai or uske charo or hazaro angels apne ghutno pe baithe hote hai apne yuvraj ko pranam kar rahe hote hain ...
Tab lord agge badkar apni wife ke bed pe baith jate hai or apne bete ko apne god mai utha lete hain ... Or uske mathe par ekk kiss karte hain .. Tabhi wahan pura kamra ek tejj roshni se bhar jata hai ... Uska prakash itna hota hai ki sabhi angels ko apni ankhe band karni padti hain ...
Phir lord bachhe ko wahin leta detein hai or phir lisa ko dekhtein hain uske chehre pe khushi ke sath hi dukh bhi hota hai shayad yeh dukh apne bachhe se phirse bichadne ka tha .. Lord yeh baat samajh jaatein or wahan mojoot sabhi angels ko jane ke liye kehtein hai to sabhi angels ekk baar phir apna sir jhukatein hain or phir wahan se chale jaate hai or kamre mai abb kewal lord , lisa , unka beta or St Vincent hi reh gaye the ...
Tabhi lord lisa se kehtein hain
Lord - tum kyun chinta karti ho lisa hamara putra laut ke awashya ayega or phir woh sadev hamare sath hi rahega ...
Ispar lisa kuch nahi kehti or apne beta ke mathe pe ekk kiss karti hai or uski ankhon se ansoon beh jate hain
Tab lord st vincent se kehtein hai
Lord - vincent abb age tumhe kya karna hai tumhe malum hai na
Vincent - ji lord mujhe gyat hai ki mujhe kya karna hai
Or phir lord uss bachhe pe ankh band karke usko ashish detein hai or phir vincent uss bachhe ko leke wahan se gayab ho jatein hai or pohonchtein hai sidha dharti mai ekk hospital ke samne abhi st vincent ko koi bhi nahi dekh sakta tha kyunki vo adrasya the woh side ekk kamre mai jatein hai jahan ekk aurat bachhe ko janam de rahi thi .. To wo ek ladki ko janam deti hai tabhi wahan ka samay ruk jata hai or st vincent uss balak ko bhi wahi rakh detein hain or uske baad phirse samay chal padta hai ... Yun achanak wahan bachhe ko dekh ke ekk pal ke liye to doctor bhi ghabra jati hai kintu tabhi vincent uske sir pe hanth rakhte hain to woh sant ho jati hai ... Or apna sabhi kaam khatam karke bahar aa jaati hai
Wahan bahar ekk admi chintit baitha tha ...
Woh doctor usse dekhke kehti hai
Doctor - mubarak ho mr manhotra aapko judwa bachhe hue hain .. Ek ladki or ekk ladka ...
Yeh baat sunke admi bohot khush ho jata hai or doctor se puchta hai ki kya wo apni wife se mil sakta hai to uspe doctor bolti hai ki han app mil saktein hain ..
To woh aadmi andar room mai jaata hai jahan uski wife bed pe leti hoti hai or ussi ke side mai uske dono bachhe lete hote hain
Phir admi pass jake apne dono bachhon ko kiss karta hai or phir apni wife se kehta hai ..
Admi - jyoti aaj mai bohot khush hun aaj hamara pariwar pura ho gaya ...
Jyoti - han vinay aaj mai bhi bohot kush hun lekin hamare baki dono bachhe kahan hai ...
Vinay - vo dono abhi ghar par hain maine unhe stella ke sath ghar bhej diya tha ..
(Yahan pe ekk chota sa introduction de deta hun )
Vinay Manhotra - yeh India ke ekk top business man hai or iska number top 10 mai aata hai ... Yeh apne pariwar se bohot pyaar kartein hain ... Dikhne mai smart hain 4 bachhon ke baap hain
Jyoti Manhotra - yeh vinay ki wife hain jo ki ekk sanstha chalati hai or apna jyada tar time apne pariwar ko hi deti hain or bachha hua time sanstha ko ... Yeh dikhne mai bohot hi sundar hain .. Inko dekhne se lagta hi nahi ki yeh 4 bachhon ki maa hain
Suraj Manhotra - yeh vinay or jyoti ka bada beta hai or yeh abhi 5 th class mai padhta hai
Priya Manhotra - yeh inki badi beti hai jo apne bhai ke hi school mai class 3 rd mai padhti hai ..
Uske baad inke dono judwa bachhe
Abb chaltein hain story par to vinay hospital ki bachhi hui formalities ko karne apni wife or dono judwa bachhon ko leke apni car se apne ghar ki or nikal jata hai ... Inka ghar bohot bada hai joki do floors ka hai ground floor or first floor yahin par inke dono bachhe priya or suraj apne mummy papa ka intezar kar rahe hai...
Tabhi gadi ki awaj aati hai to yeh dono bhag kar gate kholtein hai or vinay or jyoti andar aate hain ... To priya badi hi masoom si awaj mai puchti hai ...
Priya - papa aap hamare liye kya laaye ..
Tab vinay unke dono judwa bachhe dikhata hai or kehta hai
Vinay - dekho yeh hai tumhara chota bhai or yeh hai tumhari choti behen tum inka khayal rakhogi na
Priya - han papa mai inka bohot khayal rakhungi inko bohot pyaar karunngi
Suraj - han papa mai bhi apne dono bhai behen ka bohot khayal rakhunga ..
Tabhi priya kehti hai ki
Priya - nahi yeh kewal mere hain or mai inko kissi ko nahi dungi ..
Uski iss baat par dono vinay or jyoti hans dete hain or phir jyoti aram karne chali jati hai ....
Issi ke sath hi kuch din guzar jaate hai .. Or phir woh din aata hai jab dono bachho naam karan karna hota hai to uske ekk din pehle Jyoti or Vinay dono judwa bachhon ko leke anpe guruji vishvas ke pas jaate hain jahan woh unhe bachho ka naam karan karne ke liye aamantrit karne aaye the ...
Vinay - pranam gurudev
Vishwas - jite raho putra batao yahan aane ki wajah ...
Vinay .- gurudev hum yahan apko anpe bachho ka naam karan karne ke liye amantrit karne aaye hain
Phir vinay dono bachho ko guruji ki god mai deta hai ..
Guruji dono bachho ko dekhtein hain or kuch sochke kehtein hain
Vishvas- vinay mai tumse batana chahta hun ki kal hi hamare guru yahan aane wale hain ... Woh bohot hi mahan hai unka naam guru jaivant hai ... Woh bohot hi parakrami hai to mai yeh chahta hun ki tumhare bachhon ka naam karan unhi ke hanthon se ho ...
Vinay - ji jaisa app kahe guruji ...
Vishvas- thik hai to kal mai unhe leke tumhare ghar phohonch jaunga ...
Vinay - dhanyavad gurudev
Phir vinay or Jyoti guruji ka ashirvaad leke wahan se nikal jaatein hain .....
Phir agle din inke ghar yaani manhotra mension mai bohot chehel pehel thi or sabhi bohot khush the mumbai ke kai bade business man yahan aaye hue the .... Or sabhi bass guruji ka hi intejaar kar rahe the .... Tabhi wahan guruji aa jaate hain unke sath hi guru jaivant bhi sath hi the unke chehre se hi pata chal raha tha ki yeh koi mahan vyaqti hai unke chehre ka tej hi wahan mojood sabhi se alag tha ....
Vinay or jyoti unka swagat kartei or guruji andar aate hai or jaisehi woh apne kadam ghar mai rakhtein hai to ekk shand woh ruk jaate hain or phir unke chehre pe ekk smile aa jaati hai ... Or woh andar apne sthan par baith jaate hain ....
Phir vinay or jyoti apne dono judwa bachho ko leke aate hain or unhein guruji ke aage palne mai rakh detein hain ....
Guruji sabse pehle ladke ko uthatein hain or mathe par apna hanth rakh kar boltein hain ....
Jaivant - yeh balak bohot hi tejasvi hai isme asim yogyata hai jo ki isko iss sansaar ka rakshak banayegi or ye hamesha apne sathiyo or samath sansaar se bohot prem karega ... Isliye jis prakar yeh ekk rakshak hoga to iska naam ARRYAN hoga
Phir guruji ladke ko niche palne mai rakhke ladki ko apne hanthon mai uthate hain or kehtein hai
Jaivant - yeh balika bhi bohot hi tejaisvi hi kintu isko gussa bohot jaldi hi aa jayega or yeh hamesha sabka dhyaan bhi rakhegi ... Or apne tej se pure sansar ko roshan karegi ...
Isliye iska naam hoga DIVYA ..........