• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Arriay - the first warrior

Arryan

Member
423
363
63
Update - 3


Wahin mumbai sheher mai ekk ghar hai wahan bhi bohot khushiyon ka mohol hai ... Kyunki aaj inke ghar mai ekk ladki ka janam hua hai ... Or uska naam AVANTIKA rakha gaya hai hai ... Kai salon baad inke ghar mai khushiyan aai hai kyunki inke ghar mai koi ladki nahi thi kewal ladkon nai hi janam liya tha abhi .. Or yeh sab apne ghar mai kissi ladki ke janam lene ki pratiksha kar rahe the .. Kyunki kehte hain na jahan ladkiyan nahi hoti wahan lakshmi ka waas nahi hota ...
To yeh log bhi lakshmi ke liye taras gaye the ... Avantika ke pita ka naam Manoj sharma tha .. Or uski maa ka naam kavita tha ... Manoj or Kavita ko do ladke the jinka naam Jatin or Adesh tha ... Jatin sabse bada ladka jiski umar 10 saal thi or Adesh ki umar 5 saal ki thi .. Jab inke ghar mai lakshmi nai janam liya ... Manoj ekk joint family mai rehta hai ...
(Introduction of Avantika's family )
Dada - shivraj Sharma yeh pehle gao ke jamidar the lekin apne bachho ke bhavishya ko sudharne ke liye apni jamin bech ke inhone mumbai mai ghar liya or apna ekk business start kiya jo ki abhi kafi acha chal raha hai ...
Saurabh Sharma - shivraj ka sabse bada beta yeh nature mai thoda strict hain or yeh apne dono bhaiyon ke sath family business chalatein hain ..
Renuka Sharma - yeh Saurabh ki wife hai or yeh ekk housewife hain ...
Anuj Sharma - yeh Saurabh ka bada beta hai or iski umar 12 saal hai...
Akash Sharma - yeh saurabh ka dusra beta hai or iski umar abhi 10 saal hai
Himanshu Sharma - yeh saurabh ka sabse chota beta hai or iski umar abhi 6 saal hai
Rajeev sharma - yeh shivraj ka dusra beta hai or yeh bhi apne bhaiyon ke sath hi family business kartein hai...
Nirmala Sharma- yeh hai Rajeev ki wife or inka ekk boutique hai jahan yeh apne hunar ko age badhatin hain ... Inhone fashion designing ka course kiya hua hai ..
Sumit Sharma - Yeh rajeev ka bada beta hai jo ki abhi 9 saal ka hai
Alok Sharma - yeh rajeev ka duska beta hai or iski umar abhi 4 saal ki hai
Manoj Sharma - yeh hai shivraj ke teesre bete or yeh bhi apne bhaiyon ke sath family business dekhte hain
Kavita Sharma - yeh hain manoj ki wife or yeh ekk housewife hai ..
Or inke bachhe hain Jatin, Adesh, or Avantika jinke bare mai upar batta chuka hun ....
To abb aate hain story pe .... Kai salon baad aaj ghar mai khushiyan aai thi aisa lag raha tha ki abtak yeh family adhuri hai or abb jaa ke yeh puri hui hai .. Satho bhai apni behen ko dekh ke bohot khush the ajj inke ghar mai sahi maino mai khushiyan aai thi ...
Abb sidha chaltein hai 5 saal aage or apne hero ke ghar ...
Inn 5 saalon mai jyada to kuch nahi hua lekin kabhi kabhi Arryan ke sath kuch ajeeb si ghatnaye hotin thi jisko dekh ke pura ghar dar jaata tha .. .. .
Jaise ki ekk baar ki baat hai Jab Aaryan soo raha tha to usko subha uthane ke liye priya uske room mai jaati hai to wahan ka nazara dekh ke woh dar jaati hai ... Hua yeh ki jab priya Arryan ke kamre mai gai to usne arryan ko udte hue dekha or woh udte hue soo raha tha ... Yeh dekh priya bohot ghabra gai or jake apni maa ko sab bata diya .
Pehle to Jyoti nai uski baat na mani lekin uske baar baar kehne par jab jyoti priya ko leke Arryan ke kamre mai gai to pehle to wo bhi dar gai ... Phir usne kissi tarhan Arryan ko wapis bed pe litaya or phir usko uthane ke baad usse puch to arryan kehta hai ki woh sapna dekh raha tha ki woh badalon mai udd raha hai ... Yeh baat jab Jyoti nai suni to woh bhi ghabra gai or usne turant hi Vinay ko call karke sab kuch batta diya ... Phir agle din wo dono Arryan ko guruji ke pass le gaye or unhe sab kuch batta diya ...
To sari batein sunne ke baad guruji ke chehre pe ekk smile aa jati hai
Guruji - Vinay maine pehele hi kaha tha ki ye koi sadharan balak nahi nahi ... Iske andar asim shaktiyon ka sagar hai ... Or rahi baat neend mai aisa hone ki to abhi uske andar apni shaktiyon ko sambhalna nahi aata issi liye aisa hua hai ...
Vinay - lekin yeh kaise ho sakta hai guruji agar aisa hi raha to kahin hamare bachhe ko kuch ho na jaye kahin woh kissi musibat mai na pad jaye ..

Guruji - Thik hai vinay mai Abhi to uski shaktiyon ko bandh sakta hun kintu uske 18 janamdin par uski shaktiyan aazaad ho jayengi ... Kyunku usske zyada uski shaktiyon ko rok pana mere bass ki baat nahi ...
Vinay - Ji guru dev jaisa app sahi samjhe ...
Guruji- lekin uski shaktiyon ke milne se pehle hi hame usko taiyar karna hoga jisse wo apni shaktiyon ko sambhal sake ...
Vinay- ji gurudev kintu yeh hoga kaise ...
Guruji - samay aane pe tum khud hi samajh jaoge
Vinay - Ji gurudev ..
Phir guruji Arryan ke sir par hanth rakh kar kuch mantra padhtein hain or phir apni ankhein khol detein hai
Guruji - maine iski shaktiyon ko bandh diya hai abb koi khatra nahi hoga tum logon ko

Uske baad Vinay or jyoti Arryan ko leke wahan se chale jatein hain ...
Issi tarhan arryan ka bachpan chalta raha jahan priya hamesha arryan ko bohot pyaar karti thi wahin Divya har waqt usse ladti rehti thi aisa koi din nahi hota tha ki jab unki ladai na ho or isme hamesha priya arryan ka hi sath deti thi ... Jiski wajah se Divya ka gussa or badh jaata tha .. Phir uska gussa sant karane ke liye Suraj usse bahar gumane le jaata or ice cream khilata ... ..

Aise nok jhok mai unka bachpan bitta chala gaya jahan ekk taraf aaryan tha wahin dusri taraf Avantika thi uska bachpan bhi bohot laad or pyaar se beet raha tha uske sabhi bhai usko bohot pyaar karte the uski ekk bhi aisi mang nahi hoti thi jisko woh pura na karein ... Avantika bohot hi pyari ladki thi dikhne mai kissi pari se kam nahi thi lekin woh hamesha apne mai hi reserve rehna hi pasand karti thi uske zyada dost bhi nahi the .. Aisehi dono taraf arryan or avantika apne bachpan se jawani ki dehleez par anne jaa rahe the yani ki uska 18 birthday anne wala tha abhi kuch ekk mahine baad arryan ka birthday tha ...
Ajj Arryan ka result nikalne wala tha 12 th ka ... Subha ka samay tha arryan mast apne kamre mai soya hua tha kinhi suhane sapne ki chadar ko odhe hue ..
Tabhi uske kamre mai Divya aati hai arryan ko uthane ke liye ....

Divya - oye bandar uth ja subha ho gai hai ...

Arryan- chal bhag yahan se bandariya mujhe nahi uthna hai ...

Divya- abe aaj hamara result nikalne wala hai ..
Or mai nahi chahti ki mai teri wajah se late hun to jaldi uth ...

Lekin Arryan bina koi response deke phirse soo jaata hai ...
Yeh dekh Divya ko gussa atta hai or woh bathroom se ekk balti mai paani laati hai or woh arryan ke uppar phek deti hai ...
Arryan hadbada ke uth jata hai or yeh dekh Divya jor jor se hanse lagti hai ....

Divya- dekha beta humse panga lene ka natija .. Chal jaldi uth ...

Arryan - ruk chudail tujhe mai abhi bata hun ...
Or woh Divya ko padakne ke liye uske piche bhagta hai ... Divya bhi uske room se nikal kar bhagte hue sidiyon se niche chali jati or uske piche piche arryan bhi aata hai .... Divya side kitchen mai jaake apni maa ke piche chup jaati hai jo abhi nashta banna rahi thi ....

Maa -- are are kya kar rahi hai dekh nahi rahi mai kaam kar rahi hun ...

Divya- maa mujhe uss bandar se bachao wo aaj subha subha hi pagal ho gaya hai ..

Maa- kya kiya hai tune

Divya - kya maa apko hamesha yeh kyun lagat hai ki mai hi hamesha kuch karti hun ...

Maa- Kyunki jabtal tu mere bete ko pareshan ka karle tabtak tujhe chain kahan milta hai ...

(Abb yahan se arryan ke jagah mai likhunga)
Tabhi mai wahan pohonch jaata hun or mai sidha jaa ke maa se samne khada ho jaata hun ..
Mai- maa dekho na iss chudail nai kya kiya

Maa meri taraf dekhti hain to unhe bhi hansi aa jaati hai kyunki mai shorts or tshirt mai bilkul bheega hua unke samne khada tha or hanf raha tha ....

Maa- kya karti hai divya aise bhi bhala koi jagata hai kissiko

Divya - logon ka to paata nahi par han kumbhkaran ko aise hi jagana chahiye ..

Mai- kya bola tune chudail abhi batata hun tujhe ..

Maa - achha abb yeh sab chodo or jaldi se jaake taiyar ho jao maine nashta bhi taiyar kar diya hai ajj tum dono ka result hai na ..

Phir mai maa ke galon pe ekk kiss karta hun .
Mai - tujhe to mai baad mai bataunga chadail ..

Divya - han han chal bohor dekhen hai tere jaise ...

Phir mai wahan se sidhe apne room mai jaat hun or fresh hoke taiyar hota hun maine black shirt or blue jean pehni or uske niche brown color ke jute ... Phir mai niche aata hun dining table par sabhi log wahi baite the

Mai - good morning everyon

Sab - good morning

Dad - waise beta aaj to tumhara result hai kuch socha hai uske baad kya karoge ..
Mai - han dad uske baad mai college join karunga aage ki padhai ke liye

Dad - or beta tumne
Divya - dad mai bhi agge college hi karungi ...

Tabhi priya didi bolti hai
Priya - konsa college join karoge kuch socha cupcake ..(Di mujhe pyaar se cupcake bulati hai )

Mai - yeh bhi puchne wali baat hai di of cause apke hi collage mai jahan aap or bhai nai bhi apna padhai ki hai ...

Tabhu wahan maa aati hai or sabko nashta dete hai ....mere ghar mai naukar to hai but khana meri maa hi banati hai .... Unko khali baithna achha nahi lagta ...or mujhe bhi kewal maa ke hanth ka hi khana pasan hai ...

Maa - chalo achha abb sab batein choddo or nashta karo waise bhi mere bachhon ko late ho raha hai ...

Phir hamsab nashta karne lagtein hain ....
Naste ke baad mai jaise hi bahar nikalta hun to piche se divya mujhe aawaj lagati hai ...

Divya - kahan chala bandar aaj mai tere sath hi chalungi ... Mere scooty puncture hai ....
Mai - to mai kya karun ..sarkar nai inhi sab wahan se itne sadhan nikale hai .. Jao ekk achhi nagrik banno or sarkar ki madad karo iss muhim mai ...

Phir mai apni bike pe baitha hun or style mai apna chashma pehenta hun ....

Tabhi Divya gusse mai jor se chillati hai paaaappaaaaa

Yeh sunke mai ghabra gaya ekdum se or hadbada jata hun

Divya - yeh kya kar rahi hai chudail ....
Achha theek hai meri maa chal ...

Divya- dekhliya beta humse panga na liya karo warna........

Mai - han han meri maa abb chalein ....
Phir mai Divya ko leke apne school ki or nikal jaata hun ..
Collage ke pass pohonch kar .divya bike se niche uttarti hai ... Or kehti hai ...

Divya - dekh bandar laute waqt mai aa jaungi mujhe aaj apne friends ke sath jaana hai ......

Mai - yeh to bohot khushi ki baat hai ... Aaj mai shanti se or aaram se ghar jaunga binna kissi chik chik ke ....

Divya yeh sunke wahan se gusse mai pair patakte hue chali gai or maine bhi bike parking mai park karke andar aa gaya .....

Wahin side mai mere friends khade mai bhi unhi ke pass chala gaya ....

Mai - kya be ganduon yaha kya kar rahe ho ..yahan kya laddu bat rahe hai kya ...

Friend 1 ( iska naam vikram hai or yeh mera bachpan ka friend hai )

Friend 2( iska naam sahil hai yeh hamare sath hi padhta hai .)

Friend3 ( iska naam raj hai or yeh bhi mera achha dost hai )

Vikram - lo aa gaya yeh ... Kyun bhosadike kahan tha abhi tak ... Kahan gand mara tha ...

Mai - han bohosadike raste mai teri item mil gai thi bass ussi ke sath time pass kar raha tha ...

Sahil- kyun bechare ki dhukhti rakht pe hanth rakh raha hai ..

Raj - sahi mai yaar bichare nai aaj tak jinti bhi ladkiyon par try kiya sab sab bekar raha ....

Mai - abe mai to kehta hun ki saala ladkiyon se dur hi rehna chahiye saali sab ekk jaisi hi hoti hai .....

Raj - kyun be ....school ki kitni hi ladkiyan tujhe line deti hain par tu hai ki kissi ko bhaw hi nahi deta .... Mujhe to kabhi kabhi shak hota hai kahin tu gay to nahi...

Mai - han hun aaja aaj teri hi gand marta hun ...

Sahi- nahi yaar aaj tu batta hi de ki tu akhir ladkiyon se dur kyun rehta hai ...

Mai - kyunki ladki shand ka hi matlab aafat hai ... Or mujhe aafat palne ka shauk nahi hai ....

Vikram - dekhna beta jisdin tujhe pyaar hoga na tab patta chalega tujhe ..

Mai- abe jaa na bhosadike ..aaj tak aisi koi ladki hi nahi banni jo mera dil chura sake .. .

Mai - aacha abhi tak result distribution shuru kyun nahi hua ....

Raj - suna hai aaj koi mantri aa raha hai result distribution ke liye......

Mai - aisa kyun .

Raj - abe tujhe nahi patta ... Hamare hi collage ke kissi student nai pure india mai top kiya hai ussi ke liye ..

Vikram - or mujhe yakin hai ki woh tu hi hoga ...

Sahil - han arryan tere alawa kon ho sakta hai ...
Mai- mujhe kya patta be ..or waise bhi i dont give a fuck about this result and all...

Tabhi wahan kai gadiyan aati hai jinmai se bohot se guards utarte hai jinke hantho mai guns hoti hai ...
Phir unhi ke bich se ekk mota sa aadmi utarta hai ... Shayad yahi mantri hoga ...
Phir wahan principal sir aate hain or woh unka swagat kartein hai ..or unhe apne sath stage pe jaate hai or hum sabhi students ground mai aake khade ho jate hai .... Tabhi principal sir bolna suru kartein hain....

Princi- good morning student and teachers ... Aaj hamare liye bohot hi khushi ka din hai .... Ajj hamare hi school ke ekk student nai pure india mai to karke hamare school ka naam roshan kiya hai ....
Abb mai yahan aamantrit karna chahunga hamare city ke mantri sahab sri. Sudhir singh ji ko woh yaha aayein or uss student ko samnahit karein ...

Tabhi sare students taliyan bajane lagtein hain or woh mantri bolna shuru karta hai ....

Sudhir- bachho aaj hum sabhi ke liye bohot hi khushi ka din hai ... Ajj na kewal iss school ka naam uncha hua hai balki pure city ka naam uncha hua hai .... Or issi khushi mai hum yeh jahir karna chahenge ki uss student ko hamari sarkar ki taraf se pure 10 lacks ka inam bhi diya jayega ..

Yeh sunke wahan khade sabhi log chauk jatein hain .even mujhe bhi ekk jhatka lagta hai ..phir woh mantri kehta hai

Sudhir- to wo student jisne hamre pure city ka naam roshan kiya hai woh hai .. ARRYAN MANHOTA .........

Or ussi ke sath sabhi log taliyan bajane lagtein hain ... Or mai uppar stage pe jaata hun or pehle pricipal sir se phir uss matri se hath milata hun... Uske baad woh mantri mujhe mera result or woh 10 lacks ka chek deta hai ... Mai bhi woh leke or unko thanxx kehke wahan se niche utar aata hun ...

Phir pricipal sir or kuch bachhon ko unka result dete hai stage pe bulake ... Divya ko bhi uska result stage pe hi diya gaya kyunki usne bhi school mai puri city mai top kiya tha.... Or baaki bachhe bachho ka result unko apni class mai diya jaana tha ..

Mai apne friends ke sath hi khada tha sabhi mujhe badhai de rahe the ... Or mai bhi sabko reply mai thanxx hi bol raha tha ....

Tabhi mere sabhi dost mere pass aatein hai ..
Vikram - dekha behenchod maine kaha tha na ki yahi hoga saala jisne top kiya hoga ...

Sahil - abe yaar meri to gand hi fat rahi hai ... Kahin saala mai fail na ho jaun ... Mere baap nai to mujhe saaf saaf keh diya hai ki beta agar fail hua to maar maar ke gand tod dunga ...

Mai - abbe kitna badda fattu hai be tu kuch nahi hoga sab pass ho jaoge be ...

Raj - chal woh sab chod or party de ....

Mai - party lega saale .. Ajja chus le mera yahi hai party tere liye ....

Yeh sun vikram or sahil hanse lagte hai or raj mujhe galiyan dene lagta hai ...
Tabhi wahan ekk ladki aati hai yeh hamare class mai hai ..or iska naam seema hai ....

Seema - contgrts Arryan ..

Mai - thanxx seema ...
Seema - waise tumhe aaj party deni chahiye aaj to tumhare liye itna badda din hai ...

Mai - dekho yaar mere liye saare din hi bade hote hai ... Or second i dont give a shit about result ... Or rahi baat party ki to party zarur hogi ... Waise hum sab bhi wahi baat kar rahe the .. Kyun raj .....

Yeh sun raj ghabra saa jata hai or mere baki dost phirse hanse lagte hain. . or wahin seema insab se anjaan in dono ko haste hue dekh rahi thi ..

Seema - inhe kya ho gaya yeh aise kyun hans rahe hai ..

Mai - mera resul dekh ke pagal ho gaye hai
..inko choodo sham ko party hai club mai or aage ki details tumhe sahil de dega baad mai ...

Sahil - han mai de dunga ....

Phir seema chali jaati hai ... Or mai or mere friends bhi class mai chale jatein hain... Unko bhi unka result milta hai ..sabhi pass the .... Uske baad zyada kuch hota nahi hai ... Class ke baad sab apne apne ghar nikal lete hain ... Divya to apni friends ke sath gai thi to mai bhi apni bike utha ke apne ghar ki or nikal leta hunn ...............
 

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,845
158
Mast update bhai ab maza Ayega dekhte hain party me kya hota hai koi kand to jurror hone bala hai
 
Top