• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Arriay - the first warrior

Akil

Well-Known Member
3,087
8,472
158
Bhai log ghar shift kar raha hun dusre city mai ... Ussi sab mai busy hun .... Time hi nahi mil paa raha .... Jaise hi milega waisehi update de dunga
Its alright bro we'll wait
 

Arryan

Member
423
363
63
Update 29



To maine apne hantha upar kiye ... Or hawa ko sant kar diya .... Or jab hame kuch dikha to samne ka nazara dekh ke to mere bhi hosh udd gaye .... Pehli baar mai kissi cheez se itna hairan tha .... Or shaya ekk khauf bhi tha mere andar ...

Abb dekhtein ki aage kya hota hai .. Or kya hota hai juwala ka .... Ki yahan humne kiss khatre ko nimantran de diya hai ...

Ab aage

Hamare Samne Jo Khada tha vah Kuchh Ajeeb Sa lag raha tha vah chij Hawa Mein Ud rahi thi aur usne pure Kale kapde pahne the uska Chehra Najar Nahin a raha tha lekin Dekhne Mein bahut khofnak lag rahi thi.
....Tabhi Mere Piche Khade Kuchh Gaon Walon Ne bola ki bhago yah to to Dam Pisach hai ... main aur mere dost Mein Se Kisi Ko Samajh Mein Nahin a raha tha ki log kya bol rahe hain Kyunki Ham Nahin Jante the ki Yahan aisa bhi kuch ho sakta hai aur na hi Ham Jante the ki Dum pishach Kya Hota Hai....

Lekin Ham sabhi ko Jwala ki chikhe Sunai de rahi thi jo ki badi khofnak thi Aur Hamare kam Ko bardasht Nahin kar pa rahe the mujhe samajh mein nahin a raha tha ki Main Kya Karun Mujhe Pahle Kabhi bhi aise chij se Ladne ka andaza nahin tha Lekin pata nahin kyon main main Aage Badha aur aur Unse milane ki koshish Karne Laga Meri Har koshish nakam ja rahi thi....

Mein jitne bhi war UN per karta vah nakam ho rahe the Main Apni e Har spower ko use kar raha tha lekin koi bhi Kamyab Nahin ho rahi thi mujhe samajh mein nahin a raha tha ki Main Kya Karun Main Apni electric power our earth power wind power water power Aur Bhi Kai sari powers ka istemal kiya tha lekin Har Koi UN Dum pishach ke Aar Paar Chali ja rahi thi yahi hai mere doston Ka Bhi Tha vah bhi apni takat aur powers ka pura istemal kar rahe the Lekin Koi Fark Nahin pad raha tha vah Dum pishach vaise hi Khade hue the.....

Aur pata nahin Kaise vah Jwala ko bahut taklif pahuncha rahe the lekin Achanak Kuchh Aisa hua Jiska Humne Zara bhi andaza nahin Lagaya Tha unmen se ek ne mujhpe Hamla Kar Diya aur uska Hamla Sidhe Aakar Mujhmein per Laga Mujhe sambhalne ka bilkul bhi mauka nahin mila aur Main Sidha jakar Piche Gira vah Hamla Itna Khatarnak tha Ki Main Khud Ko Sambhal Nahin Paya....

Mein udta hua Sidhe Ek Pathar Se takraya Mujhe taklif To Nahin Hui lekin han Ehsas Jarur hua ki jo Kuchh Jo Mere Samne tha usko harana Itna Aasan Nahin hoga main wapas Utha Aur FIR Samne Aaya aur Laga Unse Ladne aaj ki pahli bar ho raha tha ki Mera Har war nakam ja raha tha aur tabhi Ye UN Sabhi pishach ne ek Sath Mujhmein per Hamla Kar Diya aur Main Usko Sambhal Nahin Paya aur FIR udta Hua Piche jakar Gira Jab Main niche Gira mujhe kuchh Samajh Mein Nahin Aaya Ki Main Kya Karun....
MainPuri koshish kar raha tha lekin main uth Nahin Pa raha tha aur Dhire Dhire kar Ki Meri Aankhen band Hone Lagi mujhe pata hi nahin Chala Ki Mai kab behosh ho gaya Uske aage kya hua mujhe kuchh Nahin maloom aur kitni der bad Meri Aankh Khuli e Mujhe yah bhi nahin maloom Main Jab Utha tab main Usi Pahadi ke andar Usi Gaon Mein Tha mere Charo Taraf log Baithe hue the....

Unmen se Gaon wale the aur mere Sabhi dost bhi the Main Apni Aankh Kholi

Main - Main Kahan hun aur vah Dam pishach kahan gaya
Divya - tum theek to ho na Aryan Main To bahut Dar gayi thi ab Kaisa lag raha hai Tumhen
Mai- main theek hoon lekin yah batao Main Yahan Kaise Aaya Main To vahan niche tha UN Dam pishach se lad raha tha Tumhen Yahan Kaise Aaya

Meri Baton se Sabhi hairan the aur iska reason mujhe nahin Pata Tha Mujhe to Maloom hi nahin tha ki vah kya hai Aakhir
Main- Koi Mujhe bataega ki Yahan hua kya hai mujhe kuchh Samajh Mein Nahin a raha hai abhi to mein vahan aur Achanak Main Yahan Kaise a Gaya

Divya- Shant Ho Jao Tum Tumhen abhi ko jaane ki jarurat Nahin Hai Tum Aaram karo
Main- nahin mujhe batao Ki Main Yahan Kaise Aaya please mujhe batao Main To vahan tha
Divya- Tum jis chij ki baat kar rahe ho usko Beete hue 24 ghante Ho chuke hain yani pura ek din ho chuka hai hi tum tum 24 ghante se behosh ho Humne bahut koshish Kari Tumko uthane ki Lekin Tum Nahin ok
Is Baat se main pura hairan tha Pairon Ke Main To Pareshan ho gaya tha mujhe samajh mein nahin a raha tha ki Main Kya Karun Uski Baat Ko Manu FIR Jo Meri Aankhon Ke Aage Hain usko Manu Aisa kaise ho sakta hai
Mai - Jwala kahan hai vah Mujhe Dikhai Kyon Nahin de rahi hai yahan pay

Mere Baat se Tu Jaise vahan per sabhi ko lakwa mar gaya tha aur Unki Aankhon Mein dekh sakta tha aur tabhi Mujhe Kisi Ke Rone ki awaaz Sunai De Ya Koi Aur Nahin is gaon ke Sardar aur Jwala ke Pita the unke Rone Mein Ek Dard tha Jisko main ...mahsus kar sakta tha
Mai- Koi Mujhe bataega ki Kahan Hai Jwala
Tabhi Sardar apni Rone Jaise Awaaz Lekar Mujhse bolate Hain
Sardar- beta vah use Utha Ke Le Gaye

Aur Itna keh ke Sardar bahut Jor Se Rone Laga pata nahin Kyon per Unki Baat sunke Meri Bhi Aankhon Mein Aansu aa Gaye pata nahin Kyon Unka Dard mujhe apna Sa Laga Shayad Jindagi Mein Meri Pahli Har thi Jisko main samajh Nahin Pa raha tha....

Ab To Mujhe Khud Par shak ho raha tha kya main use Hara paunga jisse Ladne Itni Dur Chala aaya hun.... Phir kuch der or log wahan baithe rahe ... Or dhire dhire kar ke bahar jaane lagge .... Or wahan kewal mere dost log reh gaye ....

Mera khoon khol raha tha .... Itna gussa mujhe pehle kabhi nahi aaya tha ... Abb yeh gussa mujhe khudpe aa raha tha ... Un dum pisachon pe aa raha tha ... Ya phir unke malik pe ... Par maine ekk cheez thaan li thi ki mai kuch bhi kar ke juwala ko bachaunga .... Phir chahein uske liye mujhe kuch bhi ho jaye ...

Mai - satyam or anika .... Batao mere behosh hone ke baad kya hua tha ...

Satyam - bhai ... Tere behosh hone ke baad woh .. Dum pishach juwala ko apne sath le jaane lagge ... Or hum sabne bohot koshish ki ... Magar woh bohot tej the ... Paata nahi kahan gayab ho gaye ...

Mai - hume kuch bhi karke juwala ko bachana ho ga... Kyunki ho na ho .. Woh hamare wajah se hi iss khatre mai faasi hai..

Divya - lekin hum karenge kya .... Hum abhi to wahan jaa bhi nahi sakte ... Or jaise un do dum pisachon nai tumhe harra diya ... Iska matlab woh bohot takatwar hai... Or wahan to unn jaise bohot honge ....

Mai - har baar jung kewal takat se nahi jeeti jaati .... Kabhi kabhi sahi waqt par sahi chaal bhi jung mai vijay hasil karra sakti hai... Hum apne dimag se hi unko haraenge ...

Priya - woh to theek hai ... Lekin kaise ... Hamare pass kewal kal ka din hai ... Or parso hame waham jaana hai ...

Mai - abb jo bhi karna hai .. Woh abhi se shuru karna hoga .... Or han galti ki koi gunjaish nahi hai ...

Avantika - lekin tum abhi kamjor ho .. Tumhe thoda aaram kar lena chahiye ....

Mai thoda chidte hue bolta hun ...

Mai - yahan kissi ki jaan khatre mai hai ... Or tumhe mere aram ki padi hai ... Koi jarurat hai ... Abb aram kewal hamara kaam khatam hone ke baad hi hoga ...

Mai apne gusse ko control nahi kar paa raha tha .. Or issi ke chalte maine ... Avantika se aise baat ki ... Uska chehra udas ho gaya .. Or ankhon mai halke ansun aa gaye ... Lekin uss waqt mujhe kuch nazar nahi aa raha tha ...

Mai - hume kissi plan ki zarurat hai ... Lekin usse pehle humme janna hoga ki hum unn dum pishachon ko kaise harayein ...

Vikram - lekin woh hoga kaise ...
Mai - yeh to gao wale hi batta sakte hain ... Chalo unhi se puchtein hain ..

Yeh keh hum sabhi gao se bahar aa gaye .. To dekha ki sardhar ke ghar ke bahar log ikhatta the ... To hum bhi wahin chalein gaye ...

Wahan ka mohol aisa tha jaise koi matam ho .. Jab koi mar jaata hai or uske baad uske ghar waala jo matam manate hain waisa hi mohol tha ....

Lekin maine jyada na sochte hue ... Sardar se pucha ..

Mai - sardar kya aap hame kuch bhi batta sakte hain ki hum unn dum pisachon ko kaise harayein ....

Mere baat se sardar mere taraf dekhta hai... Or uska chehra udas tha ... Ankhon mai ansun the ... Lekin woh kuch nahi bolta to mai dubara usse puchta hun ....

Sardar - tum log chale jao beta ... Yeh bohot hi khatarnak hai .... Isko harana aasan nahi hai ..... Mai apni beti ko to kho hi chuka hun ... Leki abb or kissi ki jaan ko khatre mai nahi daal sakta ...

Mai - beti ko kho chuke ho matlab ... Woh kewal usse utha ke le gaye hain ... Or yeh zaruri nahi ki juwala mar gai ho .. Ho sakta hai .. Ki woh abhi zinda ho ....

Sardar - nahi beta aaj tak jo bhi uski kaid mai gaya hai woh kabhi laut ke nahi aaya .... To hum kaise maan lein ki juwala zinda hai ...
Maine apni beti ko khoya hai ... Abb mai kissi or ko nahi kho sakta ...

Patta nahi kyun mujhe unki baaton se or gussa aane lagga or maine unko unke dono kandho se pakad ke hilate hue kaha ....

Mai - mera yahan zinda khada hona iss baat ka sabut hai ki juwala abhi zinda hai ... Or mere hote hue usse kuch nahi hoga .... Mai usse baccha ke launga .. Phir chahein uske liye mujhe kuch bhi ho jaye ...

Maine aisa kyun bola yeh mujhe bhi nahi patta tha ... Par mera gussa kyun shant nahi ho raha tha .. Yeh mai nahi samajh paa raha tha .... ...

Mere aisa kehne se wahan sabhi ka haal ekk jaisa hi tha sabhi hairan hi the ... Mere dost bhi lekin iss waqt mujhe bolne ki himmat kissi ki bhi nahi thi ....

Mai - aap kewal itna bataiye ki hum us abigor ko kaise harayein ....

Sardar - beta uska naam mat lo

Mai - nahi darta mai uss abigor se ..... Mujhe kewal usse or un dum pisachon ka samna karne ka tarika bataiye ...

Sardar - mujhe nahi malum beta kyunki aaj tak koi bhi unka samna nahi kar paya hai ... Jo bhi unka samna karne gaya hai .... Woh zinda nahi bacha ....

Mai kuch sochte hue ..

Mai - phir to ekk hi tarika hai ... Hame unka khud samna karna hoga .... Or woh kaise hoga yeh mujhe malum hai ...

Satyam - kya jo mai soch raha hun .. Tum wahi karne waale ho ...

Mai - han ... Hum niche jayenge ... Or unn dum pishachon ko bulayenge .... Or phir unka samna karenge ... Yahi tarika hai ... Uska samna karne ka .... Or janna ka ki kaise unhe haraein ....

Mere baat se mere sabhi dost sehmat the lekin gao wale nahi lekin abb unki mai nahi sunne wala tha ... Jo bhi hoga dekha jayega ....abb dekhna yeh hai ki aage kya hoga ... Kya hum kamiyab honge ... Ya phir hame haar ka samna karna hoga ...
 
Top