Update - 22
Or uske paar hum sab mehel ke liye nikal jaatein hai ... Humne unn sabhi kaidiyon ko bhi azad kar diya tha jinko Belial nai kaid kiya hua tha ....
Aaj ka yeh khooni khel mere liye nai cheezon ko leke aaya tha .... Mai janta tha ki yeh itna aasan nahi hoga ... Abhi to kewal eek hi hissa milla hai mujhe ... Or abhi bhi pure 4 hisse bache hai .... Dekhna yeh hoga ki abb unke liye hame kin mushkilon ka samna karna hoga .....
Abb age
Hum jab mahal mai pohonche to wahan ekk jashn jaisa mohol ho gaya tha .... Jo khushiyan unke lok se kai saalon pehle chin chuki thi ... Woh aaj laut ke wapas aai thi ... Or sabhi log bohot hi zyada khush the ....
Akhir unki rajkumari or rajkumar jo laute the .... Har taraf mere hi naam ki jai jaikar ho rahi thi ... Yeh sab mere liye bilkul naya tha ... Bilkul bilkul bhi achha nahi lag raha tha . lekin kiya bhi kya ja sakta tha . akhir unke liye yeh khushi ka mauka tha or iska kahin na kahin mai hi karan tha ....
Jab jab sabha mai gaye to wahan sabhi log mojud the .. Maharaj or unke side mai raj ke sare important log baithe hue the .... Jab unki nazar apni beti or bete pe padi to woh daudte hue aaye or unke gale lag gaye
.... Unki khushi unke chehre se dekhi jaa sakti thi .. Unki ankhon mai ansoo the jo khushi ke the .... Woh apni beti or bete ko milke bohot hi zyada khush the ....
Mujhe ekk baat samajh nai aai jabse mai yahan aaya tha ... Mujhe yahan ki maharani nahi dikhi thi ... To maine socha yeh sab ho jaane ke baad hi mai maharaj se puch lunga
Phir maharaj apne bachhon se milke mere pass aatein hain ....
Raja - beta aaj tumne jo hamare liye kiya hai ... Uska ehsan hum zindagi bhar nahi chuka sakenge ...
Mai - yeh to mujhe karna hi tha .... Or waise bhi yahan to mai apne sphere ke hisse ke liye aaya tha ..... Or woh mujhe apki beti ki wajah se mila to shukarmand to mujhe apka hona chahiye ....
Shalini - yeh to kewal apka badappan hai .. .
Mai - yadi apni anumati ho to abb hame nikalna chahiye .... Hame hamare aage ke safar pe nikalna hai ....
Raja - nahi beta aaj hamare liye bohot hi khushi ka mauka hai .... Or aaj iss khushi mai humne jashn ki taiyari kari hai .... Tumko aaj yahin rukna hoga......
Mai - jaisi apki ichha maharaj .... Kintu mujhe apse ekk anumati chahiye ...
Raja - han boliye na ...
Mai - hame hamare Arryans aa woh akhri sathi chahiye ... Or woh apka beta hai .... Mai chahta hun ki woh hamare aage ke safar mai hamare sath ho ...
Raja - yeh to hamara sobhagya hoga ... Ki woh apke sath apki manzil tak jaye...
Shalini - or han mai bhi jaungi ....
Mai- kintu aap kyun rajkumari ...
Shalini - maine apse pehle hi kaha tha ki mera naam shalini hai ..
Mai - achha thik hai ... Lekin shalini aap kyun ...
Shalini - kyunki meri to wahi manzil hai jo apki hai.... Abse mai hamesha apke sath hi rahungi ...
Shalini ki baat se mai thoda hairan tha ... Lekin wahan do log aise the jo uski baat se bohot hi zyada gussa the ...
Or woh or koi nahi .. Divya or Avantika the ....
Divya - yeh aap kya bol rahi hain ....
Shalini - kyun maine kuch galat kaha kya ....
Divya - nahi mera woh matlab nahi tha ... Lekin aap itne dino baad apne ghar lauti hain to apko yahan rehna chahiye . or waise bhi apki maa or apke pita ji ko apki zaroorat hogi ...
Divya ki iss baat pe shalini bilkul chup ho jaati hai .... Or uski ankhon mai ansun aa jate hai ... .
Shayad divya nai kuch aisa keh diya tha jisse shalini ko thes pohonchi thi.... Maharaj usko sambhaltein hai ...
Mai - kya hua shalini kya tumhe koi baat buri lag gai kya ...
Raja - nahi beta darasal baat yeh hai ki ..... Yahan ki maharani ko us belial nai aghwa kar unki bali chadha di thi .... Or apne malik ko punar takatwar banaya tha .... Yahi baat yaad aate hi iski ankhon se ansun aa gaye ...
Divya - mujhe maaf kar do shalini mujhe nahi malum tha ... Ki aisa kuch hua hai ....
Phir divya uske pass jaati hai... Or usko sambhalti hai ...
Shalini - yahi karan hai ki mai apke sath chalna chahthi hun or uske rajya ka ant apni ankhon se dekhna chahti hun ...
Mai - yakeenan abse tum hamare har safar mai hamare sath hogi .... Or hum milke uss satan ke samrajya ka ant karenge ...
Mere itna kehte hi shalini mere gale lag jaati hai ... Or mai usko apni agosh mai le leta hun .... Usko gale lagate hi mujhe kuch drashya aate hain .... Jinkon mai bilkul bhi samajh nahi paata .... Kyunki unmai mai to tha ... Lekin mere sath ekk ladki thi ... Or uski shakal bilkul shalini se milti thi .... Lekin un scene se mujhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha ....
Mai shalini ko.khudse alav karta hun or uske chehre ki or dekhta hun .... To woh mujhe dekhke smile kar rahi thi ..... Jaise usko malum ho ki maine kya dekha ...
Mujhe samajh mai nahi aa raha tha ... Or yeh sahi samay bhi nahi tha uske puchne ka ... Maine socha jab kewal hum sab ekant mai honge tab hi mai usse puchunga ....
In sab mai mai to yeh bhul hi gaya tha ki Divya or Avantika mujhe hi ghur rahi thi .....
Mai - achha abb hame thoda aaram karna chahiye ... Or han mai kuch baat karna chahta hun .... Satyam or Shalini ... Aap dono bhi hamare sath chaliye ....
Uske baad hum sab ... Matlab mai , mere sare dost or shalini or satyam..... Mere room mai aa jaatein hain ... Jo mujhe yahan rukne ko diya gaya tha ....
Divya abhi bhi gusse mai hi thi ...
Mai - Shalini mai tumse kuch puchna chahta hun ..... Or mere khayal se tum janti ho ki mai kya janna chahta hun ....
Shalini - woh kuch beete hue kal ki aisi yadein thi jinko aap bhul chuke hain .... Lekin kahin na kahin apke dimag mai woh hain...
Mai - lekin woh mujhe tumko hi chune se kyun dikhai diye .... Or kissi ko chune se kyun nahi ....
Shalini - abb yeh to mujhe nahi patta ...
Divya - kya baat kar rahe ho tum dono .... Humko bhi to kuch batao ...
Mai - jab maine shalini ko gale lagaya tha .... Tab mujhe kuch jhalak dikhai di thi .... Or shayad woh mere pichle janam ki thi ...
Divya - kya dekha tha tumne ...
Mai - maine khudko or shalini ko dekha tha .... Unn jhalkon mai ...
Avantika - iska matlab tum dono ekk dusre se pehle bhi mil chuke ho ....
Shalini - yahan mojud sabhi logon ka inse pichle janam mai bohot ghehra naata raha hai...
Anika - kya mera bhi raha hai....
Shalini - han raha hai ...
Shalini ki baton se hum sab bohot hi hairan the ... Kyunki woh hum sabke baare mai bohot kuch janti thi .... Or woh jo kuch bhi batta rahi woh maan paana mushkil tha ...
Inn sab baton se Divya bohot hi zyada upset thi .... Shayad uske mann mai koi baat ghar kar dai thi .... Or yeh baat shalini ko malum pad jaati hai...
Shalini - divya mai janti hun ... Ki tum kya soch rahi ho.... Lekin mera vishwas karo jab tumko sab yaad aa jayega ... To tumhare mann mai koi shanka nahi rahegi ....
Shalini ki baat se divya chaunk jaati hai... Kahin usse mere or divya ke baare mai malum to nahi chal gaya ..... ..
Mai - shalini kya tum hame or kuch bataogi ...
Shalini - mere khayal se apko intezar karna chahiye ... Kyunki jo ho woh sahi waqt pe hi hona chahiye ...
Uske baad hum sab aise hi batein karne lagte hai.... Shalini or satyam hame apne rajya ke baare mai batate hai.... Or bhi bohot si batein hoti hain ... ... Uske baad sab aaram karne chale jaate hain .... Kyunki shaam ko jasn tha ... To usmai or bhi thakna tha ...
Mujhe to neend aai hi nahi kyunki mai wahi scene ke baare mai soch raha tha ... Kyunki usmai ... Mai or shalini kissi garden mai baithe hue the .... Woh meri bahon mai thi ... Or hum batein kar rahe the ... . kya naata tha mera shalini se pichle janam mai ... Abb yeh baat to meri yaddast lautne par hi malum hoga ...
Sham ko mai taiyar hoke bahar aata hun to wahan pure mehel ko kissi dulhan ki tarhan sajaya tha ... Woh bohot hi sundar lag raha tha .. Or ho bhi kyun na akhir paristan ka raj mahal jo tha ....
Ussi mahal mai jasn tha .... Mai bahar aata hu or apne doston ke paas chala jaata hun sab bohot hi sundar dikh rahi thi ...
Avantika
Priya
Divya
Anika
Shalini
Kissi ko bhi dekh ke yeh nahi kaha jaa sakta tha ki kon zyada sundar hai .... Mai to un sabki khubsurti mai hi kho sa gaya tha ... Mujhe malum hi nahi padda ki koi mujhs awaj de raha hai ... Divya mujhe hilati hai ...
Divya - kya hua kahan kho gaye ....
Mai - kuch nahi bass aisehi ... Aaj tum sab bohot hi sundar dikh rahi ho ....
Priya(mazak mai) - kahin tu line to nahi maar raha ..
Mai - abb ap meri tarif ko aise beizat na kariye ... Sach mai aap sab bohot hi sundar dikh rahi hai ...
Meri baton se sabhi sharma jaati hai or tabhi Vikram or Satyam bhi wahan aa jate hain ...
Vikram - kya hua bhai kya batein ho rahi hai ..
Mai - kuch nahi bass mai bol raha tha ki aaj mahal bohot hi sundar lag raha hai ..
Mere iss jhut pe sabhi ladkiyan hasne lagti hai ... Or phir hum sabhi jasn ka aanand uthane lagte hain ... Nach, gana ... Chal raha tha ... To hum sab bhi dance karne chale gaye ...
Mai Avantika ke sath hi dance kar raha tha ... Ab wahi thi jiske sath mai officially committed tha ... Sabhi dance kar rahe the ... Tabhi sabhi nai partners change kiye ... Or ab mai divya ke sath tha ... Aisehi maine sabhi ke sath dance kiya ... Jab mai or shalini dance kar rahe the ... To mujhe uske sath kuch apna pan sa lag raha tha ... Kuch aisa jisko mai samajh nahi paa raha tha ... Mai uski taraf bohot hi zyada attract ho raha tha ....
Aisehi ... Dance karne ke baad humne drinks piye ... Jo wahan ki famos thi somras ... Usmai halka halka nasha tha ... Or ussi nashe mai hum jashn ke maze le rahe the ....
Iss jash mai sabhi log the ... Pure paristan ko amantrit kiya gaya tha ... Or mohol bohot hi khushnuma tha .... Abb unke liye yeh kai salon baad aai khushi thi ....
Jash ke khatam hote hote hum sabhi kafi nashe mai the ... To hum apne apne kamre mai chale gaye .... Mai to lette hi so gaya tha ... Aaj ka din mere liye kuch alag hi tha ... Kyunki aaj mujhe kuch patta chala tha apne pichle janam ke baare mai ... Manta hun ki usse kuch clear nahi hoga par kuch to tha hi ...
Yahi sochte hue mai need ki yadiyon mai soo gaya ... Abb dhekte hain ki aane waala kal hamare liye kya nai cheez leke ayega or hum kaise aane wali chunotiyon ka samna karenge