• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Aryan: Kaalivan Ka Uday

Dhakad boy

Active Member
1,218
1,881
143
Chapter 12: Ladai ka Maza, Level Up aur Dusre Desh ka Safar





Aryan Rathore ne ek smooth talwar ka movement kiya, jaise woh hawa ko kaat raha ho. Thodi der baad, us movement se ek energy ki lahar ban gayi—ek chhoti si, thodi si transparent blade, jo koi bhi dekh sakta tha.



Swoosh!



Javed ne yeh dekha toh uski reed ki hadi mein ek thandak si daud gayi, aur usne turant apni defensive technique Param Uttam Shield activate ki, jo uske saamne ek energy ka shield banati thi.



Crack!



Jab Aryan ka attack Javed ke defense se takraaya, toh shield mein turant cracks dikhne lage aur phir uski shield toot gayi!



“Ahh!”



Ek pal mein hi Javed ka defense poora toot gaya, aur woh chillate hue dur jakar gira!



Aryan jeet gaya!



Aryan ko toh jeetna hi tha, chahe dono ke level mein farak tha, lekin Aryan ke paas apne level se 5% zyada energy thi, par yeh jeet ka reason nahi tha. Yeh technique ki quality ka kamaal tha!



Aryan Golden-grade techniques train karta tha, jo 200% efficient thi, jabki Javed ke paas Black-grade techniques thi, jo uski energy expenditure se sirf 70% efficient thi. Matlab, chahe Javed ke paas Aryan se double energy ho, woh uska pura istemaal nahi kar sakta tha, jabki Aryan apni energy ko double power ke saath attack mein use kar sakta tha!



Ladai ka itna jaldi khatam hona courtyard ke saare dekhne walon ko heraan kar gaya. Kisi ko bhu yakeen nahi ho raha tha.



“Kabhi socha nahi tha ki level 21 par koi itna strong ho sakta hai,” ek level 28 ke guard ne mann mai socha.



“Yeh toh shandaar hai, par agar Javed shuru se apni puri takat lagata, toh shayad result kuch aur hota,” doosre guard ne kaha.



“Hmm, Javed ne pehle pura power nahi lagaya, aur yahi uski haar ka karan bana,” Pratap ne sochte hue chehre ke saath kaha.



Par chahe Javed pura zor laga leta, par Pratap ko lagta tha ki tab bhi uske jeetne ke chance pure nahi the, aur woh aise attack se bach nahi sakta tha. Use dodge hi karna padta, aise attack ko defend karne mai bhut risk tha!



Thodi der baad, Javed shock se bahar aaya. Uska zyada nuksan nahi pahuncha tha—bas thodi si kharoche hi aayi thi. Shield tootne ke bawajood bhi shield ne zyadatar damage soak liya tha.



“Chhote sahab jeet gaye. Maine unhe underestimate kiya lekin agar nahi v karta toh, yeh ladai kafi tough hoti, aur mera jeetna v mushkil hi hota,” Javed ne maayusi se kaha.



Chahe haar kisi behtar technique wale se ho ja unke khud ke hi leader se, par level mein chhote se haarna kaafi sharminda hone wali baat thi.



“Koi baat nahi, par sabke liye yeh achha hai ki hum ladai mein apna behavior sudharein. Dushman ko underestimate karna aksar cultivators ki maut ki badi wajah hoti hai,” Pratap ne apni thodi hilate hue kaha.



“Hmm, Pratap sahi keh rahe hain. Waise, aaj ke liye bas itna hi. Kal do aur ladaiyan hongi,” Aryan ne smile ke saath kaha.



Yeh shuruaat usse pasand aayi.

Thodi der baad, sab waha se chale gaye, aur Aryan Antriksh Rajya mein wapas laut gaya, apni techniques aur cultivation pe focus karne. Ladai karne mai use bahut maza aaya, aur woh agli ladaiyon mein apna best dena chahta tha!







Din guzar gaya, aur Aryan aaj ki pehli ladai ke liye taiyaar tha. Aaj ka rival tha Yash, 29 saal ka, level 27. Woh zyada lamba nahi tha, 1.7 meter, aur uski poori dadhi thi.



Is baar courtyard mein zyada log nahi the. Aryan aur Yash ke alawa sirf teen aur log—jisme se ek tha Commander Pratap aur do guards.



Aryan aur Yash ek doosre ka muqabla kar rahe the, ek ke paas talwar aur doosre ke paas war hammer. Phir Pratap ne ladai shuru ki.



Turant Aryan ne Antriksh Talwar activate ki, kyunki aaj ka rival iske liye taiyaar tha. Toh woh usne koi mauka nahi dena chahta tah.



10 meter ke radius mein space freeze ho gayi, aur Yash ki speed thodi kam ho gayi.



Isi beech, Yash ne apni innate ability Sharirik Bal activate ki, jo uski defense aur attack dono badhati thi. Yeh koi technique nahi thi, balki Yash ke Warrior-grade Physique ki khasiyat thi.



Jaisa ki apko pata hi hai, Spiritual World mein Physique 5 degrees mein hoti hai: Common, Warrior, King, Saint, aur Divine. Har degree ke saath innate abilities milti hain.



Aryan ke case mein yeh energy badhati thi, Yash ke liye yeh physical strength. Quality uske Physique ke rating pe depend karti thi.



Swoosh!



Yash ne energy blade ko deflect karne ki koshish ki, par woh zyada tezi se use aakar takrayi, aur uski speed kam thi.



Phir Yash ne apni defense technique Pathar Jism activate ki, jo uske jism ki hardness ko kayi guna badhati thi.



Hong!



Jab blade Yash ke kandhe se takri, ek dhamaka hua.



Par is baar Aryan ka rival ek hi move mein nahi hara. Yash ne blow mehsoos to huya, par usne attack ko deflect kar diya, aur uski defense ne zyadatar damage soak liya.



Uska kandha thoda uncomfortable tha, par usne apni energy ka aadha hissa sirf defense mein use kar diya tha!



‘Ahh, ab meri attack karne ki baari hai. Uski toh sari energy is attack mai kahatm ho chuki hogi!’ Yash ne regret ke saath socha, ki woh attack ko dodge nahi kar paya.



Phir Yash ne apni attack technique jaldi activate ki, Aryan ko counterattack ka mauka na dete huye.



Swargiya Hammer!



Yeh ek technique thi jo hammer se dushman ki defense ko todti thi. Yeh distance se bhi energy wave bhej sakti thi.



Whack!



Jab Aryan ne energy surge dekha, toh usne turant hi apni energy ka aadha hissa use karke apni defense technique ko activate kar liya.



Amar Jism!



Koi visual change nahi aaya, par Aryan ko laga jaise uska jism aur mazboot ho gaya ho. Woh Yash ke full blow ko apni chhati pe lene ke liye taiyaar tha, ‘woh vulnerable’ position mein tha, lekin wapas attack ke liye v woh tiyar tha!



Aur Aryan ko apni defense pe bharosa tha, toh usne apni attack technique bhi sath mein activate kardi! Woh chahta tha ki ladai abh jaldi kahatm ho.



Puff!



Ek hollow awaaz aayi, jaise Yash ka attack Aryan ke jism se takra gaya.

Tabhi Yash ka muh hairani se khula reh gaya. Use yakeen nahi ho raha tha. Par uske paas zyada waqt nahi tha. Ek millisecond mein energy blade uspe attack karne wali thi!



Swoosh!



Uske pass defense technique ko activate karne ka waqt nahi bacha tha, aur phir ek dhamaka hua.



Hong!



Yash ka jism 6 meter door jakar zameen pe gira. Woh behosh nahi hua tha, par stun ho gaya tha.



Aryan ne ladai jeet li! Par woh bhi poora thak gaya tha! Lekin woh abhi bhi khada tha, lekin agar uska dushman uske upar dowara hamla kar de toh uske pass defense ja attack ke leye abh itni energy nahi thi.



“Shandaar, chhote sahab phir jeet gaye!” Pratap ne soch kar analysis kiya.



“Lagta hai level 27 wala bhi chhote sahab ki defense nahi tod sakta,” ek guard ne ladai dekh kar kaha.



“Hmm, yeh Silver-grade technique jeetna toh bahut mushkil hai,” doosra guard ne bola.







Uske baad, Aryan ne agle 3 din tak level 27 ke guards se ladai ki. In ladaiyon mein ek surprise v saamne aeya—ek guard ke paas Warrior-grade Physique thi, jiski innate ability uski speed badhati thi! Jisse woh Aryan se ladai mai jeet gaya!



Phir Aryan ne 2 din mein 4 level 28 ke guards se ladai ki. Is baar use do draw aur do haar mili.



Par woh nirash nahi hua. In ladaiyon se usne apni taakat samjhi aur levels ke beech farak ko jaana. Usne yeh bhi seekha ki Physique ladaiyon mein kitna zaroori hai.



Ek innate ability ladai ko ek pal mein badal sakti hai!



Usne socha thi ki woh hafte mein chhe din ladai karega aur ek din rest kare ga aur fir agle hafte aisa hi kare ga.







Aryan Antriksh Rajya mein lake ke paas cultivate kar raha tha. Kuch sau meter door Devraj, Laksh aur Anjali, bhi the.



Devraj apni healing technique train kar raha tha, jabki Laksh aur Anjali cultivate kar rahe the. Woh ab level 4 par the aur tezi se badh rahe the!



Aryan ab level 22 par tha! Ek hafte ki ladai aur hard cultivation ke baad yeh progress hui thi. Is nayi taakat ke saath, agle hafte ki ladaiyan uske liye aur faydemand hone wali thi.



Usse yakeen tha ki woh kam se kam level 27 ke rivals aur un do level 28 ke rivals ko hara dega jinke saath draw hua tha. Doosre do ke saath woh abhi sure nahi tha, par kam se kam draw tak toh jana hi chahta tha.



Do hafte guzar gaye, aur Aryan Rathore ab level 23 par tha. Is waqt mein usne level 27 aur 28 ke 10 guards se do baar aur ladai ki. Ladaiyon mein, level 23 tak pahunchne se pehle, usne saare level 27 ko haraya, level 28 mein do ko, ek ke saath draw kiya, aur akhri se haar gaya.



Agle hafte, jab woh level 23 par tha, toh do guards level 29 par pahunch gaye the. Aryan ne koi jeet toh nahi mili, par ek draw jarur mila usse.



Us ladai ka rival wahi tha jo Aryan ko do baar hara chuka tha. Uska naam tha Gaurav. Woh 30 saal ka tha aur jab unhone akhri baar ladai ki, toh woh level 29 par tha. Ek muscular, lamba aadmi.



Par jo Aryan ko impress kiya, woh yeh tha ki is guard ke paas King-grade Physique thi! Yeh surprising tha, kyunki generally koi bhi talent se upar ki Physique ke saath janm se nahi leta hai.



Aur chunki Gaurav ne apni zindagi ka pura waqt Sukha Nagar mein bitaya tha, toh yeh mushkil tha ki usne bahar ke zariye apna Physique improve kiya ho.



Spiritual World mein, talent badhana possible nahi hai, cultivators bottlenecks ko ek hadd tak cross kar sakte hain agar special means use karein toh. Par Physique ke case mein, sirf ek baar hi life mein Physique badhai ja sakti hai, par iske liye bhi special resources chahiye hote hai.



Par ek limit hoti hai—Physique ko sirf ek degree tak badhaya ja sakta hai. Sirf mutated Physique jaise ki Aryan ki hai hi continuously improve ho sakati hai!

Toh yeh improbable tha ki Gaurav Warrior-grade se King-grade mai evolve huya ho. Kyunki is ilaake mein aise resources nahi the! Par yeh rare hone ke bawajood impossible nahi tha. Isike hi advantage se Gaurav ko Aryan se ladai mein ek edge milti thi.



Uski innate ability thi Manovik Chaos, jo rival ko temporary confusion mein daal deti thi.



Aur chunki Aryan ka level kaafi kam tha, woh is ability se bahut vulnerable tha. Par level 23 par pahunchne ke baad, Aryan ne apna pura zor lagakar apne aap ko haar se bach liya tha.







“Meera, Pratap ko bulao. Aur Gaurav guard ko bhi apne saath leke aane ko kaho,” Aryan ne Meera se kaha jab woh uske daftar mein aayi.



“Theek hai.”



Kuch der baad, Aryan ke daftar ka darwaza khula, aur do aadmi andar aaye—Pratap aur Gaurav.



“Chhote sahab, aapko koi kaam hai humse?” Pratap ne curious chehre ke saath poocha.



“Ha, maine faisla kiya hai ki Gaurav ko uski guzre hafto ki performance ke liye reward diya jaye,” Aryan ne kaha.



“Chahe usne teen ladayian nahi jeeti jo Silver-grade technique ke liye shart thi, par woh haara bhi nahi hai.”



Aryan ne Gaurav ki taraf dekha aur bola, “Isliye maine tumhe ek Silver-grade technique dene ka faisla kiya hai.”



Usne apni spatial ring se ek silver scroll nikala aur Gaurav ki taraf toss kar diya.

Gaurav shock se sun ho gaya. Woh toh sapne mein bhi aisa nahi soch sakta tha, bhenchod! Black-grade techniques milna hi uske liye bahut tha!



Wahi, Commander Pratap ka muh khula ka khula reh gaya. Usme khushi aur hasad ka ek alag sa mishran tha. Aakhirkar, yeh uska bhi sapna tha, woh ek aisi hi Silver Grade technique chahta tha.



Yeh technique jiska naam Divaswapna tha, apne target ko 10 seconds ke liye hallucination mein daal deti thi, aur din ke waqt iska effect double ho jata tha.



“Bohot-bohot shukriya, chhote sahab. Main aaj se aur mehnat se train karunga,” Gaurav ne conviction ke saath kaha.



Uske baad, Gaurav apne kaam pe wapas chala gaya, aur Aryan aur Pratap ne Sukha Nagar ki administration ke mamle discuss kiye.







Waqt jaldi guzar gaya, aur doosra harvest ka time aa gaya!

Ek mahina aur palak jhapakte hi nikal gaya, aur Aryan ab level 27 par tha!

Antriksh Rajya mein, jawaan Laksh aur Anjali ne bhi is dauran apni taakat badhai aur ab level 8 par the. Devraj ke hisab se yeh do ek mahine mein Transition stage tak pahunch jayenge!



Par Devraj ki koi progress nahi hui thi. General Spiritual stage mein aage badhna neeche ke levels se kaafi zyada time leta hai.



Misal ke taur par, high talent wale aur high concentration wale ilaake mein koi 0 se 10 tak 2-3 mahine mein ja sakta hai. Par wahi cultivator ko 40 se 41 tak jane mein 5 mahine lag sakte hain!



Yeh aasaan nahi hai!

Aur energy badhne ke saath, techniques ka equivalent domain bhi chahiye, warna future mein nuksan ho sakta hai. Higher stages mein zyada techniques train hoti hain, jo progression time aur badhati hai!

Waise bhi, aaj Aryan aur Devraj Antriksh Rajya se bahar aa gaye the, taaki Kaalivan ke future issues ko solve kar sake, kyunki jaldi hi bahut crystals unke pass aane wale the.



Is waqt, Aryan aur Devraj daftar mein baat kar rahe the jab darwaza jaldi se khula, aur Secretary Meera andar aayi.

“Chhote sahab, manager Somir aapse milne aaye hain,” Meera ne kaha, uski flirty smile uske chehre par thi.



“Hehe, yeh toh deal karne aaya hoga. Pichli baar humne usko achha profit diya tha,” Devraj ne chai ka cup peete hue kaha.



“Hmm, andar bhejo, usse Meera.”



Kuch seconds baad, Central Bazaar ka manager Somir daftar mein aaya. Woh kaafi fit lag raha tha, par uske chehre par serious expression the.



Asal mein, pichle harvest mein Aryan ke products itne bike the ki Somir ko dar tha ki Aryan uske saath zyada business na kare 10% fee ki wajah se.



Isliye jab usne jaana ki current harvest hone wala hai, toh woh yahan aa gaya.



“Milkar achha laga, Somir ji,” Aryan ne smile ke saath kaha.



“Aapko bhi dekhkar achha laga, chhote sahab. Aaj main Central Bazaar ke commission ko agle harvest ke liye renegotiate karne aaya hoon,” Somir ne kaha.



“Pichli baar maine zyada charge kiya kyunki mujhe product ki jaankari nahi thi aur quantity kam thi. Par is baar main chhote sahab ko best rate dena chahta hoon.”



Aryan ne expressionless chehre ke saath poocha, “Oh? Toh kya deal hai apki?”



“Main 3% fee ka sujaab aapke saamne rakhta hoon. Pehle kuch mahino mein yeh Central Bazaar ke liye kam hoga, par waqt ke saath humein achha fayda hoga,” Somir ne imaandari se kaha.



“Hmm, yeh fee main accept kar sakta hoon, par future mein hum isse renegotiate karenge. 5 saal ki partnership kaise rahegi?” Aryan ne poocha. Yeh rate achha tha, par agar trade ka amount zyada hoga, toh Central Bazaar ka hissa bada ho jayega!



“Yeh bhi chalega,” Somir ne rahat ke saath kaha. Iski toh usse umeed thi hi, toh usse isme koi dikkat nahi thi. Uska maqsad yeh tha ki woh Aryan ke items bechta rahe.







Ek saal jaldi guzar gaya. Is dauran Sukha Nagar ne steady growth kiya aur ab 40,000 se zyada log jahan rehne lage the. Yeh isliye huya kyunki Kaalivan ke kaafi log is shahar mein migrate ho gaye the, jo pichle mahino mein kaafi develop ho raha tha.



Kaafi changes bhi huye the. Misal ke taur par, 100 hectare mein ab alag-alag crop ugaye ja rahe the, jisme 10,000 se zyada log kaam karte the!



Kaalivan Sena ke numbers bhi tezi se badhe aur ab 600 se zyada members the.

Shahar ka sabse bada change tha spiritual stones ka use char arrays mein.



Ab Aryan har mahine sabko crystals supply kar raha tha. Isse central hisse mein spiritual density aur badh gayi thi, jo population ko aur khush kar raha tha!

Aur, spiritual concentration badhne se poore shahar ki cultivation speed bhi badh rahi thi!



Aryan ab level 33 par tha, Devraj level 47 par. Laksh aur Anjali Spiritual Beginner stage mein the!



Aryan ka pehla Physique mutation bhi hua, Common-grade se Warrior-grade mein. Isse uski innate ability se spiritual energy 5% se 10% tak badh gayi.



Is dauran sena ke soldiers ki taakat bhi achhi tarah develop hui, aur kaafi ab level 39 ke limit par the. Is wajah se spiritual pills ki ek problem Aryan ke saamne a gayi thi!



Chunki Roshni is dauran wapas nahi aayi thi, toh Aryan ne faisla kiya ki woh khud Stone Island ki taraf jayega business ke liye. Woh wahan apne items bechna bhi shuru karna chahta tha, jo is trip mein hal ho jayega.



Ek badi meeting ke baad government ke mukhya logon ke saath, faisla hua ki Devraj shahar sambhalega Aryan ki ger majudgi main. Wahi, ab Cap. Pratap aur dusre das soldiers jo ke sab level 39 ke the, woh Aryan ke saath trip pe jayenge.



Yeh trip hafton se leke mahino tak chal sakta tha, aur kai unknown ilaakon se bhi guzarna tha, toh usne apen saath itne seniko ko le jane ka socha. Aur raste mai kuch spiritual beasts bhi mil sakte the. Aur koi doosri problems bhi ho sakti thi, toh group ko best tarike se banaya gaya. Aryan ke alawa sab level 39 ke the!




To be continued……
Bhut hi badhiya update
Aryan bhi ab 33 level par pahuch chuka hai or uski physique bhi common se warrior grade me upgrade ho gayi hai
Dekhte hai ab ye stone island ki trip kesi jati hai
 

DEVILWANTED

Active Member
1,555
2,907
159
Bahut hi awesome story hai. Brother

Story ka jo content hai vo bahut jabardast hai.
Agar aap is story ko continue rakhte ho to ye x fourm ki bahut famous story ho sakati hai.

Keep update
 

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,513
3,884
144
  • Like
Reactions: Smith_15
Top