• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Aryan - the rule maker

Emre

Update time se de diya kro...bs aur Kuch nhi kehna
141
276
63
Update 1

Aadhi raat mai
ahhhhhhhh nahiiiiiii......

Aryan jor se chilate huye apne nind se jaag uthaa

ye Aryan kaa is hafte kaa chatta bura sapna tha..

jab se usne uss panoti pathar ko ghar pe laya tha tab se uske sath kuch bhi acha nahi ho raha tha..

usne bahot bar uss pathar ko fekne kaa bhi try kiya par koyi fayada nahi hua tha..

kyo ki jab bhi wo pathar ko fek deta uske agle hi din usse bura sapna aata tha aur wo patthar firse uske pass vapas aa jata tha..

ab to uske pass wo patthar fekne ke liye bhi sahas nahi ho raha tha
tabhi uske room se bahar se uski maa ki chinta janak aawaj aayi

maa - kya hua beta fir se bura sapna dekha kya .. pata nahi kiski buri najar mere bete ko lagi hai jo mere bete ko iss tarah ke bure sapne aa rahe hai mai kal hi tuzhe mandir lekar chalti hoo pandit ji se keh kar pooja karayege to sab thik ho jayega

apni maa ki aavaj sunkar Aryan thoda hosh mai aa gaya aur gehri sanse lete huye apne aap ko shant karne laga....

iss duniya mai uska apne maa ke siwa koyi aur nahi tha jab se wo samjhne laga tha tab se uski parvarish maa ne hi ki thi

apne maa ko chinta mai dekh kar aryan samjhate huye kaha

Aryan - kuch nahi maa ab sab thik hai aap so jao kal aapko kaam pe bhi to jana hai..

aryan ki baat sunkar uski maa ko tasali huyi aur unhone kaha

maa - thik hai mai sone jaa rahi hoo ab tum bhi apni nind puri karlo kal se tumhare college ki chuthiya bhi khatm ho rahi hai..

itna keh kar aryan ki maa aryan ke sir ko sehlakar waha se chali gayi

Aryan abhi bhi uss bure sapne ko bhula nahi paa raha tha jisme wo khood ek bhayanak aakriti mai badal gaya tha jo naa to ek insaan ki thi yaa nahi kisi jaanwar ki thi uss aakriti ko dekh kar kuch aisa lag raha tha jaise wo kisi Rakshas ki ho...

Aryan ye sab soch hi raha tha ki thabhi uski najar uss pathar pe gayi jo aaj pata nahi kyo andheri raat mai bhi chamak raha tha

ye dekh aryan ne jaise hi Patthar ko uthaya usme se achanak se tej roshni nikle ne lagi aur wo sidha jaa kar Aryan ke ankho mai samane lag gayi..

tabhi usse apne andar se ek awaj aayi

[ Ding system loading 1% 10% 25% 50% 100% system loading complete]

jaise hi countdown khatam hua tabhi uske sarr mai thoda thoda dard hone laga aur system ke bare me jankari load hone lagi thi

ye system ek advance civilization ke jaane mane scientist ne banayi thi..

ye system har ek species chahe wo animal ho yaa insects ho yaa plant jo bhi living things the unke Genes ka parikshan kar ke uski khubhiya system dharak ke andar load kar sakta tha..

Agar ache se samjha jaye to ab Aryan kisi bhi sajiv rachna ki khubiyo ko apne andar load kar sakta tha

par iske kuch limitations the....
jab tak aryan pahle load kiye huye genes ke khubiyo ko 100% istemaal karna nahi sikh leta tab tak usse agle gene load karne ki permission nahi thi..

Aryan ne jaise hi saari information samjhi usse apne aap pe yakin nahi ho raha tha..

wo abhi bhi iss hakikat ko sapna hi samjh raha tha..

par uske ankho ke samne system ke load huye panel ko dekh kar ab usse ispe bharosa hone laga tha..

Ab aryan chahe to kisi marvel yaa DC films ke hero ke taraha superpower paa sakta tha ...

aryan bachpan se hi padhai mai
class mai 1st tha par family condition ke chalte wo kabhi kabhi part time job kar leta tha jiske vajah se uske college mai grades bhi kam ho gaye the..

uska class pure college mai sabse hoshiyar bacho ka class tha jisme yaa to kafi genius bache the aur yaa to rich bache the jo apne family connection ke chalte iss class mai transfer huye the...

Class mai sare bache Aryan ke gareebi kaa majak udate the jo aryan bina kuch kahe sun leta tha..

par in sab ke bich bhi uski ek ladki dost thi jo Aryan ke school se uske sath hi padhti thi Aryan ko wo kafi achi lagti thi par usne apne halat ko dekh kar kabhi usko dost se badh kar nahi dekha..

par ab system ke wajah se uske andar ek nayi energy aayi thi uska aatmvishwas bhi badh chuka tha...

kya aryan ab uss ladki ko apne dil ki baat bata payega..

--------------------------------


Wahi dusri taraf city ke ek aalishan colony mai aaj yaha bade se ghar mai 2 ladke aur 3 ladkiya bhethi drinks kar rahi thi

ussi bich ek ladke ne kaha

L1 - kya hua arohi lo naa tum bhi drink lo waise bhi kal se to fir se college shuru hoga hamari party vagera sab band ho jayega

Arohi - sorry... raaj muzhe tanu aur simmi ( simran ) ko ghar drop karna hai iss liye aaj tum hi drink kar lo...

raaj - ghar drop karna konsi badi baat hai wo to driver ko keh kar ho jayega .. kya tumhe bura to nahi laga jab ham ne tumhare ashiq (Aryan) ke bare mai kuch kaha to..

Arohi - nahi aise koyi baat nahi hai ham to sirf dost hai...

arohi ki baat sunkar sath hi baithi tanu ne kaha..

Tanu - Arohi dosti apne bara bari mai hoti hai .. wo ladka sirf tumhara use kar raha hai dekho kabhi naa kabhi wo bhi baki ladko ke tarahi tum ko dost bana kar purpose karne kaa try karega...

tanu ki baat sunkar arohi ne kuch nahi kaha vahi sath mai bethe dusre ladke ke ne kaha...

L2 - muzhe bhi tanu ki baat sahi lag rahi hai tumhe uss ladke se duriya bana ke rakhni chahiye ye gareeb ladke dosti ko hi pyar kaa naam de dete hai..

simmi - haa rishab sahi keh rah hai arohi tum to kafi samajhdar ho fir bhi tum uss ladke ko chodd kyo nahi deti

apne dost ki baate sunkar arohi bhi apne aur aryan ke dosti ke bare mai sochne lagi thi wo aryan ko sirf dost hi manti thi...

usne iss baare mai kabhi nahi socha tha usse aryan ek accha ladka lagta tha jiske sath wo ek acchi dost thi aur kuch nahi...

Arohi ko aise khayalo mai khoye dekh kar rishabh ne sab ko isharo mai chup kara diya aur..

Rishab - ham ye sab kyo discuss kar rahe hai aaj hamara vacation kaa last day lets enjoy ...

aur itna keh kar rishabh ne sabka mood light karte huye firse drinks banane laga gaya...

ab kya hoga kal college mai jaan ne ke liye follow karte rahe hai Aryan - The Rule Maker
Nice Start...but jyada bakaiti na krna time to time update dete rehna...
 

Emre

Update time se de diya kro...bs aur Kuch nhi kehna
141
276
63
Bhai ek month ho Gaya
Bhai..LG rha likh nhi pa rhe hai....isliye drop krdiya...Maine story padhi to LGA...3 pages hai to 2 update hogey km se km pr yha to mahino se update ka pta hi nhi hai....aise hi krte hai ye log 1 update ka idea HOTA hai bs Inka.......#TUM SE NA HO PAYEGA .....TO REHNE DO TUM....@ReBeL
 
Last edited:

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,255
14,932
259
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top