If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Main abhi soya hi tha ki kuch hi der me mujhe koi kandhe par hath rakhkar jor-jor se hilane laga jisse meri jaag khul gyi. main hadbada kar utha meri aankho me abhi tak raat ki neend thi jisse meri aankhen laal ho gyi or meri aankhen thik se khul bhi nahi rhi thi. Mujhe nazar nahi aa rha tha ki mujhe kaun utha rha hai isliye maine apne dono hatho se apni aankho ko masla to mujhe kuch saaf nazar aane laga yeh fiza thi jo mujhe utha rhi thi. jisko dekhte hi muskaan apne aap mere chehre par aa gyi.
Fiza : Neer kya hua sou gye the kya? Main : haa zra aankh lag gyi thi. Fiza : agar raat ki thakaan hai to tum araam kar lo aaj main or nazi hi khet chali jayengi. Main : akele jaogi? Fiza : tumhare aane se pehle bhi to akeli hi jati thi naa koi baat nahi hum chali jayengi tum araam se sou jao wese bhi mere sher ne raat ko bohot mehnat ki hai (aankh maarkar muskurate hue) Main : nahi main thik hoo main bhi chalunga tum dono ke sath Fiza : rehne do naa jaan neend poori nahi hogi to bimaar pad jaoge. Main : tumhari bhi neend poori nahi hui bimar to tum bhi pad sakti ho naa....chalo koi baat nahi dono sath me bimar padenge fir to or bhi achha hoga or yeh jaan kya naya naam rakh diya hai mera Fiza : aaj se main tumko akele main hamesha jaan hi bulaungi kyoki tum meri jaan ho isliye (muskurate hue) achha baba kaha hai? Main : pta nahi jab main kamre me aaya tha to baba yha nahi the. Fiza : achha jarur bahar ghumne gye honge inko kitni baar mana kiya hai ki akele bahar naa jaya karo lekin sunte hi nahi hai kisiki. (sir ko jhadte hue) Main : koi baat nahi jab aayenge tab main samjha dunga fir to thik hai (muskurate hue) Fiza : haa yeh thik hai tumhari baat to maan hi jaate hain hamari sunte bhi nahi.....achha ek mint ruko main abhi aati hoo. Main : ab tum kaha jaa rhi ho mujhe nahana bhi to hai. Fiza : bas 1 mint abhi aa rhi hoo jana mat thik hai Main : (haa me sir hilate hue) jo hukum sakraar kaa....
Fiza bahar chali gyi or main betha usko bahar jate dekhta rha or apni dono baahe uper hawa me uthaye angdayi lene laga. abhi 1 mint bhi nahi hua tha ki fiza wapis aa gyi or kamre me ghuste hue uske chehre par uski pyaari si sada-bahar muskaan thi....
Fiza : utho or idhar aao... Main : aata hoo ruko (main uthkar chalta hua uske samne jaake khada ho gya) Fiza : (pichhe mudkar ek bar fir dekhte hue) yha nahi darwaaze ke pichhe Main : yeh lo ji or koi hukum sarkaar Fiza : achha suno aaj main nazi or baba ko apne maa banne ke bare me btana chahti hoo to tum unke samne ese hi bartaav karna jaise tumhe bhi unke samne hi pta lga ho jada khush mat hone lag jana kahi unko shaq hi na ho jaye. Main : thik hai fir main bhi unke sath hi mubaarakbaad dunga (aankh marte hue) Fiza : hhhmmm yeh thik hai. Main : or koi hukum sarkaar Fiza : kuch khas nahi.... ab bas mujhe thoda sa pyaar karo subah jo reh gya tha Main : saari raat to kiya tha dil nahi bhara kya Fiza : uuuhhhuuu woh wala nahi budhu... ruko har kaam mujhe hi btana padta hai (mooh chidakar) Main : (kuch naa samajhne jaisa mooh bnake fiza ko dekhte hue) Fiza : darwaaze ke pichhe aao bahar koi aa gya to dekh sakta hai humko isliye Main : hhhmmmm aa gya ab..... Fiza : thoda niche to jhuko lambu....(haste hue) Main : (apne aapko thoda niche jhukate hue) ab thik hai Fiza : hhhmmmm ab ek dam thik hai.
Fiza ne apni dono baahen mere gale me haar ki taraf daal li or apni edhiyaan thodi si uper ko utha lee jisse uska or mera mooh ek dam aamne saamne aa jaye. Ab uska badan meri chhati se chipak sa gya tha or uske bade-bade mumme meri chhati ke sath lage hue the or dab se gye the fir usne apni aankhen band ki or mere hotho par apne raseele hoth rakh diye maine bhi apni dono baahen uski kamar me daal li or usko apne sath chipkaa liya jaise hum 2 jism nahi balki 1 hi jism ho kuch der hum ese hi hotho se hoth jode khade rhe fir mujhse uske hotho ka lams sehan karna bardaasht ke bahar ho gya isliye maine hi dheere-dheere uske rasbhare hotho ko chusna shuru kar diya fiza ne bhi mera poora sath diya hum dono fir se raat ki tarah maze ki wadiyo me pohonch rhe the or hum dono par khumari chhane lagi thi.
abhi humko kuch hi pal hue the ki bahar nazi ki awaaz aayi jo ki fiza ko pukaar rhi thi. isliye humko naa chahte hue bhi ek dusre se alag hona pada. Main jaldi se fiza se door hoke kursi ke pass jake khada ho gya or fiza mere bister ki chaddar teh karne lagi.
Nazi : bhabhi aap yha ho main aapko saare ghar me dhoondh rhi hoo. Fiza : kya hua main yha neer ko uthane aayi thi. Nazi : hua to kuch nahi par maine bas yhi puchhna tha ki aap dono abhi tak yhi ho aaj khete nahi jana kya. Fiza : haa haa jana hai naa... main to bas Neer ko uthane ke liye hi aayi thi bas jaa rhi hoo. Nazi : lao yeh sab main kar lungi aap bas jake teiyaar ho jao fir Neer ko bhi to nahana hoga na. Main : koi baat nahi pehle fiza ji teiyaar ho jaye main baad me teiyaar ho jaunga.
Fiza mujhe ek muskaan ke sath dekhti hui ek aankh maarkar bahar ko chali gyi or main usko dekhta rha. Tabhi mujhe khayaal aaya ki baba kaha hai isliye maine naazi se hi puchhna thik samjha...
Main : nazi baba kaha hai subah se dikhayi nahi diye. Nazi : pta nahi raat ke baad to maine bhi baba ko nahi dekha. Main chinta se) woh aagey bhi ese ghumne chale jate hai ya aaj hi gye hain. Nazi : wese to woh pehle roz sair karne jaya karte the subah lekin kuch waqt se unki tabiyat thik nahi rehti thi to humne unko mana kar diya tha bahar ghumne jane se. Main : achha
itna kehkar nazi bhi apne baaki kaam nibtane me lag gyi or main bahar bethak me betha baba ka intezaar karne lga. kuch hi der me mujhe door se baba aate hue dikhayi diye to mera chehra bhi khushi se khil utha. baba hath me ek chhadi liye hue muskurate hue mere samne aake khade ho gye.
Main : baba aaj subah-subah kiski pitayi karne gye the (muskurate hue) Baba : (apni chhadi ki taraf dekhte hue or jor se haste hue) arre pitayi nahi beta main to bas apni neem ki daantun dhoondhne gya tha. iss umer me kiski pitayi karunga. Main : baba mujhe keh dete aapko jane ki kya jarurat thi Baba : beta ab itna bhi nakaara na bnao mujhe ki koi bhi kaam na karne do.... kuch kaam to mere liye bhi chhod diya karo isse mera bhi dil lga rehta hai nahi to ghar me akaila betha to dil hi nahi lagta. Main : jessa ap behtar samjhe baba. (muskurate hue) Baba : achha beta tum subah-subah kaha gye the. jab main utha to tum bister par nahi the. Main : (sochte hue) kahi nahi baba raat ko zra khuli hawa me ghumne ka dil tha to kothari me khada tha.(main janta tha baba sidhiya nahi chadh sakte isliye unhone kothari me nahi dekha hoga isliye yeh jhooth bola) Baba : achha tabhi main soch rha tha ki Neer kaha chala gya itni raat ko. Main : (muskurate hue) thik hai baba hum shaam ko baaten karenge abhi khet jane ke liye der ho rhi hai. Baba : achha beta.
kuch hi der me fiza bhi teiyaar hoke aa gyi or mere teiyaar hone ke baad hum khet chale gye. dupehar tak hum teeno apne-apne kaamo me busy rhe tabhi ek aadmi hmare kheto me aata hua nazar aaya. jisse fiza ne sabse pehle baat ki or fir woh dono meri taraf aane lage.
Aadmi : salaam janab aapko chhoti malkin ne yaad kiya hai. Main : W.Salaam aap kaun ho or konsi chhoti malkin. Admi : ji mera naam khuda baksh hai mujhe sarpanch ji ki beti ne bheja hai woh aapse milna chahti hai. Main : achha unko bolo thodi der me aata hoo
Woh aadmi itna sunkar wapis chala gya or fiza mujhe gusse se khaa jane wali nazaro se dekhne lagi. mujhe samajh nahi aa rha tha ki fiza mujhe ese gusse se kyo dekh rhi hai tabhi woh wapis palat gyi or wapis apne kaam wali jagah jane lagi.
Main : fiza kya hua ese bina kuch bole kaha jaa rhi ho baat to suno. Fiza : (gusse me) kya hai. jao apni chhoti malkin ke pass woh tumhara intezaar kar rhi hai mere pichhe kyo aa rhe ho. Main : arre hua kya hai btao to sahi gussa kis bat par ho main tumhare liye uske pass jaa rha hoo tum to har waqt gussa hi karti rehti ho. Fiza : achha ji main gussa karti hoo tum haveli gye or mujhe btaya bhi nahi waha jake qasim ki baat bhi kar li fir bhi mujhe btana jaruri nahi samjha or main bina baat ke gussa kar rhi hoo kyo hain naa. Main : fiza woh ladki qasim ko jail se nikalwane me hmari madad karegi isliye main uske pass gya tha or main tumko btana bhool gya tha nazi ko sab pta hai jake puch lo. Fiza : main kyo puchu nazi se mujhe tumko btana chahiye tha na or qasim ko nikalwane ki koi jarurat nahi hai. Main : (chonkte hue) kyo tum nahi chahti ki woh baahar aaye or tumhare sath rhe. Fiza : nahi main bas yeh nahi chahti ke tum mujhse door ho jao. Main : kya matlab Fiza : zahir si baat hai ki qasim agar bahar aayega to hum dono jaise ab milte hain waise nahi mil payenge or wese bhi qasim se mujhe sirf ansoo or taqleef hi mili hai jo khushi mujhe tumse mili woh main khona nahi chahti bas. Main : thik hai jaise tum bologi waisa hi hoga. Fiza : ab tum chhoti malkin ke pass bhi mat jana thik hai. Main : (haa me sir hilate hue) hhhmmm ab to khush ho. Fiza : hhmmm (muskurate hue)
abhi hum baat ki kar rhe the ki nazi bhi hmare pass aa gyi.....
Nazi : kya hua Neer woh aadmi kaun tha Main : woh haveli se aaya tha fiza : (mujhe chup rehne ka ishara karke nahi me sir hilate hue) kuch nahi woh bas sarpanch ne ese hi aadmi bheja tha ki hum qasim ke liye hue paise denge ya nahi to maine mana kar diya ki hmare pass paise nahi hai. jab honge to de denge. Nazi : ohh achha
Fir hum teeno apne-apne kaamo me lag gye or shaam ko khet se ghar aa gye. Raat ko main baba ke pass betha baaten kar rha tha or unke pair dabaa rha tha or nazi or fiza rasoyi me khane bnane me lagi thi ki achanak bijli chali gyi.
Baba : yeh bijli walo ko raat me bhi sukoon nahi hai. Main : baba rukiye main roshni ke liye mombatti leke aata hoo.
Main mombatti lene rasoyi me gya to mujhe 2 nahi balki ek saaya nazar aaya jo jhuka hua tha or koi samaan nikaal rha tha dabbe me se mujhe lga ki fiza hai isliye mujhe shararat sujhi or main pichhe se jake usko pakad liya isse pehle ki woh chonk kar cheekhti maine uske mooh par hath rakh diya.
Main : chillana mat main hoo Neer (bohot dheemi awaaz me) woh saye wali ladki : (Woh khamosh hoke khadi ho gyi) Hhhmmm Main : ek pappi do naa (dheemi awaaz me) Woh saye wali ladki : (Naa me sir hilate hue)
Tabhi light aa gyi or main hairaan-pareshaan wahi khada ka khada hi reh gya meri samajh me nahi aa rha tha ki mujhse essi galati kaise ho gyi kyoki woh ladki fiza nahi nazi thi jisko main gale lgaye khada tha. Light aane ke baad jaise hi maine usko dekha jaldi se usse alag ho gya or rasoyi se bahar nikal gya tez kadmo ke sath.
Fiza : arre tum yha kya kar rhe ho main to tumko mombatti dene gyi thi. Main : kuch nahi woh main bhi mombatti lene aaya tha
Main tez kadmo ke sath wapis kamre me aa gya. Raat ko khane par nazi mujhe ajeeb si nazaro se dekh rhi thi lekin mujhme usse nazare milane ki himmat nahi thi na hi yeh baat main kisko bta sakta tha. Main bas jaldi-jaldi khana khatam karke waha se uthna chahta tha tabhi nazi boli...
Nazi: bhabhi aajkal bijli jane ke bhi fayede ho gye hain naa (meri taraf dekhti hui) Main : (Darr se naa me sir hilate hue or minnat wale andaaz me nazi ko dekhte hue) Fiza : (kuch na samjhne wale andaaz me) kya matlab. Nazi : kuch nahi woh aajkal hum jaise gaav wale bhi shehar walo ki tarah mombatti jaga ke khana khaa sakte hain jaise filmo me dikhate hain. Fiza : chal pagal (hasti hui) Nazi : (mujhe dekh kar hasti hui or aankh maarte hue) hhhhmmmm. Fiza : achha nazi tum sabko ek baat btani thi (sir jhuka kar muskurate hue) Nazi : kya bhabhi. Fiza : ab tu thodi samajhdaar ho ja tujhe ek naye mehmaan ki jimmedari uthani hai mere sath. Nazi : kya matlab Fiza : matlab yeh ki tum buaa banne wali ho (sharmaa kar muskurati hui) Nazi : sachhhiiiii.....(apni jagah se khadi hoke fiza ko gale lagate hue) haaye koi mujhe sambhalo kahi main khushi se behosh hi na ho jau. Main : bohot-bohot mubaarak ho fiza ji. Fiza : shukriya... Nazi : chalo qasim bhai ne ek kaam to achha kiya Fiza : chal badmash kahi ki (kandhe par mukka marte hue) Nazi : achha bhabhi subah baba ko bhi bta doo woh bhi yeh sunkar bohot khush honge. Fiza : (sharm se mooh niche karte hue) jo tumko thik lage.
Issi tarah baaten karte hua humne khana khaya or raat ko sab jaldi sou gye. Fiza bhi kal raat ki chudayi se bohot khush thi isliye woh bhi mujhe bulane nahi aayi or kuch hum dono par neend ka bhi khumaar tha isliye aaj main or fiza bhi sou gye the apne-apne kamro me. Subah baba ko nazi ne bta diya to woh bhi fiza ke bare me sunkar bohot khush hue or usko bohot si duayen di. Agle din maine shehar jana tha fasal ke liye naye beej lene ke liye isliye jaldi hi teiyaar ho gya. Aaj main pehli baar akaila shehar jaa rha tha kyoki 2 bar hum jab bhi shehar gye the to fiza or nazi bhi mere sath jati thi. Fiza mujhe jane se pehle tamaam hidayete de rhi thi jaise main shehar nahi kisi jung par jaa rha hoo. Jab main ghar se nikala to nazi or fiza dono darwaze par khadi mujhe jata hua dekhti rhi.
Fir main Bus Stand aa gya jaha shehar jane ke liye Bus aati thi or waha khade tamaam logo ke sath bus ka intezaar karne lga tabhi ek kaale rang ki Car mere samne aake ruki jiska kaanch niche hua to ander Sarpanch ki beti bethi thi.
Main : salaam chhoti malkin. Chhoti malkin : W.Salaam shehar jaa rhe ho? Main : hanji Chhoti malkin : chalo ander gaadi me aa jao main bhi shehar hi jaa rhi hoo Main : ji nahi shukriya main Bus me chala jaunga bekaar me aapko taqleef hogi. Chhoti malkin : isme taqleef ki kya baat hai waise bhi main akeli hi to hoo aa jao ander chalo shabaash. (car ka darwaaza kholte hue) Main : ji aapka bohot-bohot shukriya. (car me beth te hue) Chhoti malkin : kal maine tumko bulaya tha tum aaye nahi. Main : maaf karna kaam me masroof tha fir bhool gya. Chhoti malkin : koi baat nahi or yeh tum mujhe kya chhoti malkin-chhoti malkin bulate ho main tumhari thodi na malkin hoo. Main : sara gaav aapko yhi kehta hai to maine bhi yhi bula diya Chhoti malkin : gaav walo me or tum me fark hai. Main : kya fark hai ji main bhi to unn jaisa hi hoo. Chhoti malkin : (hasti hui) gaav me kisi ki himmat nahi ki mere ghar me iss tarah ghus kar mere hi logo ki pitayi kar de. Main : ji maafi chahta hoo woh main..... Chhoti malkin : arre main naraz nahi hoo ulta khush hoo ki koi to hai jisme itni himmat hai bas kal thoda sa bura lga. Main : ji.... kya hua mujhse koi galati ho gyi kya. Chhoti malkin : aap milne jo nahi aaye bas yhi khata hui pehle maine socha ki main chalti hoo fir abba jaan ghar the to aapka masla yaad aa gya fir maine baat ki thi abbu se. Main : achha fir kya kaha unhone Chhoti malkin. Chhoti malkin : woh keh rhe the ki ab kuch nahi ho sakta qasim ko saja elaan ho chuki hai ab to saja poori hi katni padegi...(nazare jhuka kar) maaf karna main aapki madad nahi kar saki. Main : koi baat nahi chhoti malkin aapne koshish ki yhi mere liye bohot hai. (muskurate hue) Chhoti malkin : yeh tum kya mujhe chhoti malkin bula rhe ho Heena naam hai mera. Main : lekin main aapko apke naam se kaise bula sakta hoo Heena : kyo nahi bula sakte main bhi to tumko Neer hi kehti hoo naa Main : thik hai jaisa aap behtar samjhe heena ji. Heena : heena ji nahi sirf heena. Main : achha heena Heena : Achha main to shehar naye kapde khareedne jaa rhi hoo tum shehar kyo jaa rhe ho. Main : woh maine fasal ke liye naye beej lene the isliye jaa rha hoo. Heena : achha.... tumko maine pehle iss gaav me kabhi dekha nahi tum kahi bahar rehte the kya pehle...? Main : jee... (mujhe yaad aa gya ki fiza ne apne bare me kisi ko bhi btane se mujhe mana kiya hua hai) Heena : achha tumne essa ladna kaha seekha? Main : pta nahi jab jarurat hoti hai khud hi sab kuch aa jata hai. Heena : hathiyaar bhi chala sakte ho?
Yeh baat sunkar mujhe jane kya ho gya or mujhe ajeeb si tasveeren nazar aane lagi jisme main logo par goliyaan chala rha hoo maine shehar ke logo jaise kapde pehne hai mere aas-pass bohot saare log hai tabhi mere sir me dard hone laga or mujhe chakkar se aane lage or mera poora badan paseene se bheeg gya...
Heena : kya hua thik to ho. (mujhe kandhe se hilate hue) Main : ji nahi...ha main thik hoo. Heena : kaha kho gye the. Main : kuch nahi.... kuch nahi aap mujhe yhi utaar dijiye main chala jaunga apne aap. Heena : maine kuch galat bol diya kya. Main : nahi meri shayad tabiyat kharab hai aap mujhe yhi utaar dijiye main chala jaunga. Heena : aare kya hua btao to sahi....ruko...yeh lo pani peo (paani ki bottal mujhe dete hue) Main : (paani pee kar apna paseena saaf karte hue) shukriya Heena : kya hua tha tumko ek dam se. Main : pta nahi Heena : beej baad me le lena pehle tum mere sath doctor ke pass chal rhe ho thik hai Main : nahi main thik hoo bekaar me taqleef na kare. Heena : arre thik kaise ho abhi dekha nahi kaise paseena-paseena ho gye the.
Shehar aake heena mujhe doctor ke pass le gyi jisne mera check-up kiya. fir doctor ne mujhe bahar jane ko keh diya or khud heena se baat karne lga kuch der baad heena bhi doctor ke kamre se bahar aa gyi.
Main : kya kaha doctor ne aapse? Heena : tum thik ho (muskurate hue) bas yeh kuch dawayiyaan di hai doctor ne jo tumko leni hai or ek baar fir humko check-up ke liye aana padega or kuch test karwane padenge. Main : heena ji kyo paise kharab kar rhi hai main ek dam thik hoo yeh doctor to bas ese hi.... Heena : tum doctor ho....nahi naa fir jaisa kehti hoo waise karo. Main : kitne paise hue ? Heena : tumse matlab Main : nahi woh aapko wapis bhi to karne hai isliye..... Heena : tum itna kyo sochte ho...paise ki fikar chhodo or apni sehat ka khyaal rakha karo agar main sath naa hoti to.... Main : to kuch nahi (muskurate hue) Heena : ab tum mere sath hi wapis jaoge samjhe.... Main : mera to yha chhota sa kaam hai main yha kya karunga Heena : kuch nahi pehle hum tumhare beej lene chalte hain fir meri shoping ke liye chalenge thik hai. Main : thik hai.
Hospital se nikalkar hum pehle beej mandi gye fir waha se heena ke liye shoping karne chale gye jaha maine fiza or naji ke liye bhi kuch kapde khareed liye fir hum ghar ke liye nikal pade. Saare safar ke doraan main bas chup-chap betha apne zehan me aane wali tasveero ke bare me sochta rha ki akhir main hoo kaun...kyo mujhe mera ateet yaad nahi hai.... kyo 20-20 log bhi milkar mujhse ladayi nahi kar sakte....or woh hathiyaar chalana mujhe kaha se aaye woh mere zehan ka bas khyaal tha yaa main sach me hathiyaar chala sakta hoo. Tabhi ek jeep tezi se hmari taraf aayi jisme kuch shehar ke ladke bethe the jo bar-bar chilla rhe the unhone hath me sharab ki bottale pakadi hui thi. Achanak unhone bich sadak me jeep rok di or hmari car bhi unki wajah se rokni padi.
Heena : Driver bahar jake dekho kya masla hai inn ladko ke sath. Main : heena ji main jake dekhta hoo Heena : nahi tum rehne do jao driver tum jao or unko jeep side par karne ko bolo Driver : achha chhoti malkin.
Driver unn ladko ke pass gya or thodi-der behas ke baad unhone driver ko maarna shuru kar diya maine ek muskurahat ke sath heena ki taraf dekha or bina kuch kahe car se bahar nikal gya....Bahar nikalte hi main daudkar unki taraf gya or unn ladko par dhaava bol diya sabse pehle ek samne khada tha jis par maine hamla kiya isse pehle ki woh kuch keh pata ya kar pata maine uske mooh par mukka mara or woh zameen par gir gya.....
Achanak sab ladke mujhe dekhkar hairaan se ho gye or mujhse ladne ki bajaye sab apne ghutno par beth gye or maafi mangne lage mujhe kuch samajh nahi paya ki yeh kya hua yeh to abhi itni gundagardi kar rhe the achanak inhe kya ho gya jo yeh mujhse maafi maangne lage....
1 ladka : bhai maaf kar do humko pta nahi tha aap ki gaadi hai. 2 ladka : bhai aap zinda ho yeh jaankar bohot khushi hui.
Mujhe unke iss tarah ke bartaav se kuch samajh nahi aa rha tha ki kya kahu inko....
Main : tum jante ho main kaun hoo. 1 ladka : bhai maaf kar do aapke pair padta hoo pehchaane me galati ho gyi. Main : btao mujhe main kaun hoo kya tum mujhe jante ho. 2 ladka : bhai maaf bhi kar do aagey se essa nahi hoga humko pta nahi tha aapki car hai Main : bta mujhe main kaun hoo main tumhe kuch nahi kahunga. 1 ladka : sheraa bhai kaisi baat kar rhe ho aapko kaun nahi janta. Main : main shera hoo....kaun shera....
Isse pehle ki main kuch or keh pata heena car se nikalkar bahar aa gyi or jaise hi main pichhe ko muda woh log waha se bhaag gye or apni jeep me bethkar chale gye.
Heena : (muskurate hue) kya baat hai ek hi mukke me itne sare ladko ko apne pairo me daal liya Main : heena ji aapne yeh kya kiya unko bhaga diya janti ho aapke aane se woh log bhaag gye mujhe unse kuch puchhna tha... Heena : kya puchhna tha arre maaf bhi kar do unko bicharo ne pair to pakd liye ab kya jaan loge unki chalo car me..... arre ab car kaun chalayega yeh to behosh ho gya or mujhe car chalani to aati hi nahi (rone jaisa mooh bnake or apne driver ki taraf dekhte hue ) Main : main chalaunga Heena : (hairani se) tum car bhi chala lete ho. Main : haa shayad Heena : waah kya baat hai tum to chhupe rustam ho chalo pehle iss dhakkan ko car me fenko koi kaam ke nahi hai abbu ke aadmi (mooh bnate hue) main agli seat par tumhare sath hi beth jati hoo pichhe yeh manhoos pada rahega.
(Asal me main nahi janta tha ki main car chala sakta hoo ya nahi lekin unn ladko ne jaise kaha ki humko pta nahi tha ki aapki car hai usse maine bas andaza lgaya tha ki shayad main car chala sakta hoo.)
Main car me Driver seat par betha or main nahi janta maine car chalani kaha seekhi lekin jaise hi main car ki driver seat par betha achanak se mujhe sab kuch yaad aane lga or kuch hi der me car hawa se baaten karne lagi aaj na jane kyo car chalate hue mujhe bohot khushi ho rhi thi or main hawa se baate karte hue car ko tez-tez duda rha tha......
Heena : Neer aaram se chalao tum bohot tez chala rhe ho mujhe darr lag rha hai. Main : dekhti jao aaj bohot waqt ke baad yeh stairing wheel mere haath aaya hai aaj isko chalaunga nahi udaa dungaa... Heena : itna khyaal rakhna ki kahi mujhe naa udaa dena. hahahahahahaha
Ese hi baate karte hue hum gaav wapis aa gye maine sarpanch ki haveli ke samne car roki or khud paidal chalta hua apne ghar ki taraf kadam badha diye aaj main bohot khush tha kyoki aaj itne waqt ke baad mujhe mera asal naam pta chala tha shera haa yhi naam leke pukara tha unn ladko ne mujhe main be-qaraar hua jaa rha tha yeh khabar fiza or nazi ko dene ke liye......