Nice update BhaiUPDATE - 1
1982
Musafir lagte ho beta jo itni der se uljhan me khade ho ki jaana kidhar hai susaan sadak per khade us gabru jawaan ladke ko itni der se khada dekh kar vo bhudda admi us ke paas aate hue bola
Ladka -Anjaan nahi hu baba bus itne saalo kitna kuch badal gya vo dekh raha hu paas aaye us bujurg uncle ko izzat se apne baare me baatate hue bola
uncle - haa bete badal to bahut kuch gya ab es rait me zindagi jeene ki bajaye dum tod jaati hai waise kon se gaon se ho tum pehle to kabhi nahi dekha tumhe idhar
Ladka - xxx garh se hu baba bahar padhta tha aaj hi lauta hu 12 saal baad per yaha dekh kar to lagta hai jaise sadiya beet gayi acha baba chalta hu shaam dhal ne ko hai or rasta abhi kafi lamba hai
Uncle - kya xxx garh se waha kis ke yaha se ho or ye us taraf se kaha jaa rahe ho
Ladka - durjan singh ka pauta hu baba or partap singh ka beta or ye rasta chota hai gaon ke liye jitna mujhe yaad hai
Uncle - rasta chota hua karta tha beta per ab ye rasta vo aam rasta nahi raha es raste per maut barasti hai waise tum karan Singh ho na haweli ke asli haqdaar ( dar ka saaya mehsoos karte hue bola )
Ladka - ji baba mein karan singh hu or maut se kya dar na vo to ghar baithe bhi aa sakti hai or jab kadam badha hi liya to phir kadam piche nahi hata ta mein or ek baat baba asli nakli to mein nahi jaanta mujhe to bus itna pta hai
Mein to pathhar hu mere mata pita shilpkaar hai meri har taarif ke vo hi
( ASLI HAQDAAR ) hai chalta hu baba jald milunga
yaha se kuch dur do vyakti aapas me baat kar rahe the jis me se ek bola Kya sarhad kya ragistaan in singh or sharma ki dushmani se pura gaon dukhi hai ramu kaka or mujhe to lagta hai jab tak singh ka waaris aayega tab tak pura gaon sharma pariwaar hadap chuka hoga jis ki wajah se na chahte hue bhi humein sharma pariwar ka julm sehna padega
nahi beta bhagwaan itna bhi nirdayi nahi ho sakta jo in zaalimo ke hatho humein tadap ne ko chhod dega vo aayega or jab vo aayega to ye to maut ka rasta bhi dobara phoolu se khil uthega jaise patjhad ke baad sukhe paid per naye patte khilte hai rang birange phoolo ke sath
rehne do kaka jo ab tak na lauta vo ab kaha lautega es viraane me mar ne ke liye
nahi sukhi aaj hawao ka rukh ulti disa me hai jiska matlab hai vo bhaangarh ki seema per kadam rakh chuka hai jaisa swami ji ne kaha tha
haa tau shayad tabhi to dekh khet kaise leh laha ne lage aisa to kabhi na hua itne saalo me per kya us me sach me koi shakti hai
beta sach ko parinaam ki fikr nahi hoti or sach to tumhare samne hai khud dekh lo us haqdaar ki baat karte hi fasal leh laha uthi to soch jab vo gaon me kadam rakhega to kya hoga
Ye to mujhe bhi nahi pta beta sukhi per kehte hai vo paida hua tha to ashmaan me badal ghir aaye the or bijli kadki thi bahut. ...... ...aahhhhhh bilkul aise hi
tau ye bijli kuch nazdeek nahi giri or waise bhi chote raste se aana itna asaan nahi hai or jaha tak maine suna hai vo purani baate ab tak nahi bhoola jiska matlab saaf hai vo bade raste se nahi ayega
kon ho tum jo waqt se pehle maut ke karib aa pahuche jra shakal to dikhao apni
aaj tak torch leke ghoom raha hai hariya or darne ki adat aaj tak nahi gayi tumhari jo humein dekh kar bhi pehchaan nahi rahe
awaaz ko sunte hi samne wale ko apne jism me sard lehar si mehsoos hui or vo lagbhag chowk te hue bola kaa karan baba aap laut aaye
to kya hamara bhoot tumhare samne khada hai
ohhh bachiye karan baba vo darinde aa gaye shayad unhe pta chal gya aap ke aane ka
to chal jaane do vo to ek na din lag na hi tha
Baato me waqt jaya na kar samne teri maut khadi hai ladke uski fikr kar
fikr tumhe karni chahiye thi mere samne aane se pehle kyuki ab zinda to jaoge nahi tum
kaka ye kon hai jo itno se bhhid gya vo bhi nihatha
ye wahi hai sukhi jis ki baat hum dono kar raha the hamare karan baba jinke aate hi aaj kitne barso me ye badal bhi baras rahe hai unka swagat kar ne ke liye
wahi haveli me ek bade kamre baithe do log apas me baat kar rahe the jinka vishye bhi karan hi tha
Raja sahab aap ko pta hai aaj yuvraj ghar wapas aa rahe hai per agar vo chote raste se aaye to aap jaante ho na kya ho sakta hai Pure Rajasthan per kabza kar chuke hai vo or agar yuvraj ko pehchaan liya to shayad vo unhe koi haani na pahucha de esliye kehta hu kuch pehredaar bhej dijiye us taraf bhi verna kahi aisa na ho ki yuv raaj bhi bheit chad jaaye us sharma khandaan ke hatho
itna Asaan nahi hai munshi kaka karan singh ki bhait chadana aap to sananagaar me paani rakh waiye naha ne ke baad hi milenge hum dada ji se or rahi baat Rajasthan per kabze ki to pura rajasthan us Arjun ke liye chhod denge per hamari zameen or hamare gaon ki sarhad per bhi bardasht nahi karunga mein baki mujhe kisi se koi matlab nahi samjhe aap or ab wapas aaya hu mein to har sarhad khali ho jayegi
Waah mere laal aate hi aisi garam joshi dil khush kar diya per use halke me mat lo vo unki virasat ka yuraaj chuna gya hai Dada ji vo chuna gya kyuki vo unki virasat thi or ye meri hai es ka haqdaar koi or kaise ho jayega aap fikr na kare sab thik ho jayega waise bhi majboot yodha se lad ne me mja aata hai or ab agar us ne apne kadam es gaon ki taraf rakh ne ki kosish to ab uska samna karan singh se hoga jo galat ke sath galat or sahi ke sath sahi kar ne ka dum rakhta hai baki chote raste per uske liye aate waqt bahut se tohfe chhod kar aaya hu esliye aap befikr ho kar so jaiye sharma khandaan ka waaris idhar nahi aayega or aaya to wapas sirf pyaar se jaa sakta hai ladai me to uske baap or chacha bhi zinda nahi jaane waale Per beta vo bahut saare hai or hum budhe ho chuke Aap budhhe hue ho dada ji apka pota nahi sab kuch smait kar rakhna hai har war ke liye or ye ladai bhi hai ab Asli Haqdaar ke liye jo mere mata pita or aap hai or ab aap hi rahenge kal se mein khud dekhunga sab abhi to bhuk lagi hai vo bhi badi jor ki aaj to ji bhar ke khaunga waise bhi bahut saal ho gaye maa ke hatho ka khana khaaye