- 11,764
- 50,578
- 259
thanksss bhaiAwesome update bhai
thanksss bhaiAwesome update bhai
shukriyasuperb update waiting for next
shukriyaSuperb Update broo
shukriya bhaiSuperb update
bahut bahut shukriyaजबरदस्त भाई लाजवाब update bhai jann superree duperrere
Khubhsurat fabulous update bhaiUPDATE - 12
Maa ke sang thoda waqt bitane ke baad aaj karan saalo baad apne gaon me ghum ne nikla tha jaha bahut kuch badal chuka tha jise dekhta vo purani yaado ko yaad karta hua aage badh ne lga jaha raste me use khet se ghar ko aate jaate log mile jo apne jaanwaro sang liye the
har chiz ko bade gaur se dekhta hua vo gaon ke purane bargad ke paid ke paas pahucha jo ab kafi dur tak faila hua tha jis ke niche gaon ke kayi bujurag sharan liye the jinse milta vo aage jaane lga to ek bujurg use awaaz dete hue bole
Bujurg- beta kon ho tum es gaon ke to nahi lagte kahi bahar gaon ke ho kya
Karan - are baba mein hu pehchana nahi kya raguvir ji ka pauta
bujurg- are chote maalik aap ho maaf karna nazar kamjor ho gayi hai to pehchaan nahi paya or aap bhi bade ho gaye ho
Karan - ji baba waise chanda kaha hai ab to uski shaadi bhi ho gayi hogi ( bachpan ki friend )
Bujurg- are kaha beta es gaon ko to us talli ke paute ki nazar lag gayi hai to shaadi kaise karte ab to dar lagta hai beta ki kahi uske vahsi nauch na le bachhiyo ko
Karan - aap fikr na karo baba or nischit ho kar uske liye ladka dhoondo mein aap se vaada karta hu ki kuch bhi pareshani nahi hogi ab mein aa gya hu apne gaon or apne bujurgo ke bich
Bujurg- suna to tha ki kisi ne un jallado ko kisi ne maar maar ke bahar nikaal diya kya vo tum ne hi kiya hai beta
Karan - ji baba or ab es gaon me or koi ghatna ghatit nahi hogi aap nischit rahe
abhi baba kuch kehte ki ek ladki aayi or bujurg se boli
Ladki - dadu ghar chalo maa bula rahi hai khana kha ne ke liye
Bujurg - are aa gayi meri gudiya dekh chote maalik aaye hai tujhse mil ne pehchana ki nahi
sawla rang rasile hoth or gadraya jism jis ki banavat aisi ki koi bhi mohit ho jaaye use dekh
Ladki - mujhse kyu mil ne aaye hai or mein nahi pehchanti inhe jo bhi ye hai
Bujurg- are pagli ye karan babu hai bhool gayi bachpan me kitna khela karti thi or ab keh rahi hai ki pehchanti nahi acha chote mallik fir milta hu chahe to aap bhi chalo gareeb ki kutiya me bhojan grahan kar lijiyega
Karan - nahi baba aap jaiye mein phir kabhi kar lunga abhi to mujhe es nakchadhi se baat kar ni hai
karan ki baat sun kar bujurg muskurate hue chale gaye to wahi chanda ne karan ko ghura or gusse se mudkar jaane lagi to karan ne uska hath thaam liya or bola
karan - kya sach me nahi pehchana ya phir apne bachpan ke dost se baat nahi kar na chahti
Chanda- dosti ka matlab bhi pta hai aap ko chote maalik jo mujhe apna dost keh rahe hai yaad na ho to yaad dila du ki aap bina bataye gayab ho gaye the ab aaye hai dosti ki duhayi dene chodiye mera hath koi dekh lega to baate ban jayegi jis se aap ko shayad koi fark na pade per mujhe padta hai ( bina karan ki taraf dekhe )
Karan - jitna mein jaanta hu to dosti mein narazgi ki jagah nahi hoti magar phir bhi tumhe bta du ki mujhe bhi jabaran bhej diya gya tha to mein kaise bata ta tumhe
Chanda- baato ko ghuma ne ki kala to tum shru se jaante ho khair chhodo kab aaye
Karan - 2 din pehle hi aaya hu or aaj samay milte hi tumse mil ne chala aaya per tum to tehri nakchadi jo aaj bhi gussa naak pe liye ghumati ho
Chanda- pehle khud ko dekho saand ho gaye ho pure per akal abhi bhi nahi aayi jhingur ko
Karan - acha ruk nakchadi tujhe abhi batata hu bahut bol ne lagi hai
Chanda - chal chal bada aaya bata ne wala pehle pakad kar dikha saand
dono ki sharate aaj bhi bachho jaisi thi jis me karan ko chidati chanda bachho ki tarah kheto ki taraf bhaag ne lagi jis ke piche muskurata karan bar bar use ruk ne ko bol raha tha jis per piche mud kar chanda karan ko chidate hue boli
Chanda - ab nahi ruk ne wali ab to apne purane thikane per hi jaa kar rukongi samjha yaad ho to aa jaana dheere dheere
Karan - acha tujhe kya lagta hai mein tujhe pakad nahi sakta ruk ab tujhe pakad kar hi teri naak todunga nak chadi
tezi se daud lagata vo chanda ke kareeb pahuch kar piche se uska hath pakad kar bola
Karan - ab bol kaha jayegi bhaag kar haa nakchadi kahi ki
Chanda - aaahh hath chhod dard kar raha aisa bhi koi karta hai kya dekh chhudi gad ne lagi hai hath me
karan ki nazar uski kalai ko dekha to jhatke se apni taraf khicha jiske chalte chanda ki sampurn kaaya uski baaho me jhul gayi jis per sharmati chanda karan ki ankho me dekhte hue boli
Chanda - karan chhod mujhe koi dekh lega
Karan - kyu pehle bhi to hum aise hi khelte hue ek dusre ko pakad lete the to phir ab kya hua
Chanda - buddhu hi raha na pagal ab hum bachhe nahi bade ho gaye or waise bhi tum chote maalik ho gaon ke aise mere sath koi dekhega to galat samjhega
Karan - ohh sorry yar tujhse mil ke mein bhool hi gya thi ki ab hum vo galiyo me khel ne wale bachhe nahi rahe per sach me vo waqt behad haseen tha na chanda na kisi fikr or na kisi ka darr
Chanda - hmm chal ab jayda santy mat ho dekh hum apni purani jagah aa gye bhaagte hue
karan ne chanda ke keh ne par us jagah ko dekha jaha bachapan me uska kafi samay yaha bita tha to waha baith kar chanda ko apne paas baith ne ko bola
Karan - aaj bhi yaha kitna sakoon hai na chanda yaha
Chanda- hmm or bta kaha tha itne saal or haa mein to bhool hi gayi tujhse milne ki khushi me tujhe kaaki ne ( sakshi) ne wapas aane kaise diya ye jaante hue ki yaha teri jaan ko khatra hai
Karan - khatra kaha nahi hota chanda or maa ne mujhe nahi aane diya balki mein khud bina bataye aaya hu waise kab tak apno se dur rehta
Chanda - agar tu ne rahul ko marte dekha hota to sahayd tum wapas aane ke baare me sochte bhi nahi
chanda ki baat sunkar karan udaas ho kar dur baith te hue bola
karan - es baat ka hi to gum hai chanda ki mein tab yaha nahi tha per ab hu to ab koi rahul be maut nahi maara jaayega
Chanda- bahaduri or bevkufi me jayda antar nahi hota karan gaon ke logo se puch ki raat or din kaise braber se hai un logo ke liye har waqt ek dar ka saaya mandrata hai unke dilo dimaag me
karan - vo dar hi khatam kar ne aaya hu chanda
Chanda - bhagwaan kare aisa hi ho jaise tum ne socha hai per abhi ghar chalo dekho badal aa gaye hai shayad baarish aayegi
Karan - tum jao chanda agar jaana chahti ho mein rukunga abhi yaha kuch waqt or
Chanda - ruk na to mein bhi chahti hu karan per saare jaanwar khule hai jo maa se akele nahi bandhenge es liye mujhe jaana hoga
Karan - kyu kaka kaha gaye jo kaki akele sambhalegi
Chanda - vo us darinde ki bheit chadh gaye tumhari haweli per surkasha dete hue shera chacha ke paas ( jaate hue bol kar bina kuch sune hi ghar ko bhaagti hui)
Chanda ko jaata dekh karan uski awaaz me dard mehsoos karta khada hua or baahe faila kar baarish ki tez boondo me bhiga jor se chillate hue bola
Karan - Arjun tere diye har dard ka hissab hoga jald hi
Interesting, filled with suspense, nicely written updateUPDATE - 12