AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALFREEN, FLORIN AUR MARIA KE BODIES SE EK INVISIBLE RAY NIKAL FORBIDDEN FOREST KE ANDAR CHALI JAATI HAI WAHIN ANNJAYA PLANET ME EK BAAR FIRSE RAAZ BEHOSH HO CHUKA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(UNFOLD THE RAAZ)
UPDATE-44
PLANET-ELYSIAN
PLACE-CHOSENS
2 MONTHS LATER:-
PRATIBANDHANA
BIND THE POWERS
ek saath puri class ke is spell ko uccharit karne ke kuch der baad hi MAHI, MABEL, ALFREEN aur VALDIS ko chhod sabhi SAVENTS ki aankhen wapas khul chuki thi...
aur aankh khulte hi un sabhi SAVENTS ki nazar pichle 2 mahino ko tarah MAHI par aakar rook gayi thi....
reason...
behad hi gehri paused CEREBRATION me doobe ye chaaron SAVENTS apne SOUL ke AMPLIFICATION ko badhane ki kosish me lage hue the....
par is process ka asar in chaaron ke liye ab same nahi raha tha.
jahan MABEL, ALFREEN aur VALDIS ko apne SOUL ko AMPLIFY karne ke liye bas us asahaniya dard ki chunouti ko sehna tha jo unhe is process ke dauran hota tha wahin MAHI ki chunouti ka sthar ek level aur badh chuka tha...
aapko yaad hoga ko VOILET WHIZZ ne MAHI ko bataya tha ki 5 percent soul AMPLIFICATION ke baad time addition toh band ho jaata hai par pain ke saath saath kuch aur bhi hai jisse SAVENT ko handle karna padhta hai..
aur is waqt MAHI ussi extra challenge ko jo ki wakayi behad mushkil tha,handle kar rahi thi aur us challenge se hone waale prabhav ko hi wo saare SAVENTS jinki aankhen khul chuki thi,dekh rahe the....
is waqt MAHI ka pura sharir vibrate kar raha tha..itna hi nahi,uske sharir ke aage chaaron taraf har thodi der me kuch naa kuch naya banta chala jaa raha tha...
ab aisa kya ban raha hai and most importantly kyun ban raha hai,aayiye jaan lete hai par usse pehle ye jaan lijiye ki 5 percent AMPLIFICATION ke baad ek SAVENT ke saath AMPLIFICATION process ke dauran aakhir hota kya hai...???
aap logon ne aksar ye baat suni hogi ki kabhi kisike dil ke saath nahi khelna chahiye...
par dil se khela khel jitna bhi ghaatak kyun naa ho,agar buddhi sthir rahe toh dil har zakhm ko jhel hi leta hai aur isiliye is khel se upar bhi ek khel hai,ek zakhm hai,ek asar hai jo bohot zyada important hai aur wo ye ki kabhi kisiki AATMA ke saath,uske SOUL ke saath nahi khelna chahiye...
kyunki aisa karne ka natija soch se pare ho sakta hai....
par 5 percent SOUL AMPLIFICATION waale SAVENT ke saath yahi khel khela jaata hai...aur sabse badi aur ajeeb baat,ye khel khud us SAVENT ka SOUL uske saath khelta hai....
5 percent soul amplified SAVENT jab apne SOUL ko aur AMPLIFY karne ki koshish karta hai,tab usse ek hi waqt par is process me hone waale aseemit dard ke saath saath ek bhaavnatmak jung bhi ladni padti hai...
wo jung jiski roop rekha khud uska SOUL uske khilaf taiyar karta hai....
jaise ki is waqt MAHI jiski CEREBRATION process band hai,uske antarman me is waqt uski earth ki life ki kuch jhalkiyan chal rahe hai par ek alag andaz me...
wo grizzly bear toh yaad hi hoga aap sabko jisse kuch students ko bachane ke liye MAHI ne maara tha....
apne SOUL ke AMPLIFICATION ko shuru karne ke baad MAHI ke SOUL ne sabse pehle uske saamne ussi jhalki ko paida kiya tha jisme MAHI ne us grizzly bear ko maara tha...
par ek alag andaz me..aur wo aise ki us jhalki me MAHI ko sirf wo bear marte hue hi nahi dikha tha,balki MAHI ne marte hue us bear ke dard ko,uski tadap ko bhi mehsoos kiya tha...
jaisa ki har jeevit praani me SOUL hoti hai,toh MAHI ne us grizzly bear ke soul tak ko uske marne ke baad uske jism se nikal hawa me gayab hote dekha tha...
aur aisa karte waqt MAHI ka sharir jo ko us jhalki ki wajah se hi vibrate ho raha tha,uske chaaron taraf laal rang ka dhuan,jo ki us grizzly bear ke khun kaa pratik tha,ghira hua tha...
us grizzly bear ki tadap ko MAHI apne andar tak mehsoos kar paa rahi thi aur issi wajah se uske andar ek alag hi taklif ne janm le liya tha...
par in 2 mahino se is kriya ko lagatar dohraane ki wajah se MAHI pehle ke mukalble thodi sayammit thi warna shuruat ke wo kuch din jab MAHI ne apne SOUL ke 6 percent AMPLIFICATION ko shuru kiya tha,us waqt uske SOUL dwara dikhayi jhalkiyon ki wajah se wo din bhar depressed rehti thi...
par VIOLET aur baaki WHIZZ aur WHIZZDERS ke samjhane aur housla dene ke baad MAHI ne khud ko thik aur mentally strong banana shuru kar diya tha...
khair, pehli jhalki ko MAHI ne bina apne CEREBRATION process ko wapas shuru hone diye safalta purvak dekh liya jiske baad...
aaj ki dusri jhalki MAHI ke SOUL ne uske saamne prakat ki par ye jhalki thodi alag thi..
aur wo isiliye kyunki is jhalki me MAHI thi hi nahi par haan,ye jhalki bhi ussi TONGASS NATIONAL FOREST ki thi jahan MAHI rehti thi...
is jhalki me ek tendua ek mote se rabbit ke piche uska shikar karne ke liye doud raha tha...
par kamal ki baat ye thi ki MAHI us rabbit ki ghabrahat ko,uski uttejana ko,uske dar ko feel kar paa rahi thi...
usse aisa lag raha tha maano wo tendua us rabbit ke nahi balki uske piche bhaag raha hai aur wo apni jaan bachane ke liye zigzag hote hue bhaag rahi hai aur tabhi....
us tenduye ne us rabbit ko daboch lliya aur aisa hote hi....
MAHI ko apne gardan par tezdhaar daanth ke gadne ka ehsaas hua aur aisa hoti hi gardan se hote hue uske pure sharir me ek dard ki ek tivr leher doud gayi...
wahin baahar is waqt MAHI ke gale me ek ajeeb si thirkan hui jiske baad uske chaaron taraf bane ek gaadhe safed dhuen ka ghera chhatne laga....ye dhuan rabit ka body colour tha jo dheere dheere kam hota jaa raha tha...
SOUL ke AMPLIFICATION me waise bhi bohot dard hota hai, uske upar ek naya dard bardaasht ke baahar ki baat thi aur tabhi....
AHHHH.....AHHHH.....AHHHHH....
ek tez karaah ke saath CEREBRATION process shuru ho gaya par MAHI ka nahi,balki MABEL, ALFREEN aur VALDIS ka..
teeno ki hi aankhen khul chuki thi jiske turant baad un teeno ki bhi nazar baaki SAVENTS ki tarah sidhe MAHI ki taraf hi ghumi jo abhi bhi apne CEREBRATION process ko kisi tarah paused rakhe hue thi....
us rabbit ki ghabrahat,uske dar aur aakhir me uske marne par hue additional dard ko jhelne ke baad bhi jab MAHI ka CEREBRATION process band hi raha toh MAHI ke saamne ek nayi jhalki prakat hui...
is jhalki me bhi MAHI nahi thi aur ye jhalki bhi MAHI ke forest ka hi tha jisme ek nar cheeta ek maada cheetah ki smell ko sunghta hua ek disha me badhta chala jaa raha tha...
wo kuch door hi aage badha hoga ki tabhi usse apne saamne ek king cobra dikha...
is king cobra ko dekh wo cheetah agressive ho gaya aur uski taraf jhapta..
par king cobra behad satark tha...isse pehle ki uske sharir ke kisi ang par wo cheetah apne daanth gadata,usne us cheeteh ko das liya...
behad zehrila hota hai ek king cobra ka zeher aur isiliye uske dasne ke kuch pal baad hi us zeher ka asar cheeteh par dikhne laga...
us cheeteh ke mooh se halki halki jhaag nikalne lagi thi wahin jis waqt king cobra ne us cheeteh ko dasa tha,us waqt MAHI ko aisa laga jaise us king cobra ne usse dasa hai aur uske asar bhi MAHI ko mehoos hone lage the...
paused CEREBRATION me hone ke bawjud MAHI ko apna dimag ek andhere me jaata hua dikh raha tha wahin MAHI ke honthon ke side se ek halka sa jhaag dikhne laga jisse dekh sabhi SAVENTS dar se gaye the....
ALFREEN turant MAHI ke paas jaane ko hui par tabhi...
VIOLET-no ALFREEN...baitho apni jagah par...
VIOLET WHIZZ ki baat sun ALFREEN kuch kehne ko hui par VIOLET WHIZZ ne haath upar kar usse chup rehne ke liye bola...
VIOLET WHIZZ ke ishare ke baad bebas si hote hue ALFREEN MAHI ki taraf dekhne lagi jiske chaaron taraf is waqt ek kaala ghera bana hua tha...
ye kaala ghera wo zeher tha jiske asar ko MAHI mehsoos kar rahi thi...
vish ke asar se tadapte hue bhi jab MAHI ne apne CEREBRATION process ko paused hi rakha toh....
MAHI ke dil waale area ke upar ek tez prakash hua jisse pura CLASS dhak sa gaya...
sabhi SAVENTS ki aankhen band ho chuki thi...kuch der baad jab wo prakash khatm hua toh sabhi SAVENTS ne apni aankhen kholi aur jab sabki nazar MAHI par gayi toh sab khush ho gaye...
reason...
MAHI ki aankhen khul chuki thi..wo kaala dhuan nadarad tha aur wo jhaag jo uske honthon ke side se nikal raha tha,wo bhi gayab ho chuka tha...
MAHI ki aankh khule dekh ALFREEN uske paas jaane hi waali thi ki tabhi...
VIOLET-congrats MAHI....just in the first PHASE,you become the very first SAVENT to AMPLIFY 6 percent of your SOUL...
PLANET-ANNJAYA
PLACE-THE FROZEN OCEAN
AB YE KYA HAI...?????
aankhen band kiye hue hi maine apni ye baat kahi thi...
reason...
kaafi der tak behosh rehne ke baad abhi abhi mai wapas sense me louta tha...
par sense me aane aur aankh kholne ke beech jo ek nano second ka gap hota hai,utni der me mere brain me naa sirf behsosh hone se pehle ghati saari ghatna guzar gayi,balki usne ye bhi predict kar liya tha ki mai tab tak hi aaram se hun,jab tak meri aankhen nahi khulti ya fir jab tak mai koi moovement nahi karta..
mere aisa karte hi mere saamne fir koi naa koi chunouti khadi ho jaane waali thi...
mujhe ye bhi andaza ho gaya tha ki ye chunoutiyan kabhi khtam nahi hone waali thi jiska matlab tha ki inke hote mai aage bhi kabhi nahi badh sakta tha..
aur iska matlab ye tha ki mujhe jo bhi karna hai,us gap me karna hai jisme mujhe kisi bhi chunouti ka saamna nahi karna padh raha ho...
aur jis state me mai abhi tha,yahi wahi waqt tah,wo gap thi jisme mujhe react karna tha...
in saari baaton ke mere dimag me ghumte hi maine apni aankhen band hi rakhi..
aur sirf mehsoos kiya.maine mehsoos kiya ki mai kisi sakht chiz ke upar leta hua tha..
pehle mujhe laga ki shayad mai ussi surface par leta hun jahan behosh hone se pehle tha par fir mujhe yaad aaya ki behosh hone se pehle maine jo aakhri cheez dekhi thi wo ye thi ki wo surface uske dusre hisse se takrate hi toot gaya tha....
toh ab sawal ye tha ki mai aakhir leta kis solid cheez par tha???
aur jaise hi ye sawal mere dimag me gunja uske agle hi pal mujhe apne sawal ke answer ko jaanane ka tarika mil gaya...
ye sahi tha..jabse mujhe mera pura brain mila tha,tabse har solution mujhe mere sochte hi mil jaata tha...
khair, solution ka link is baat se tha ki lete hue bhi mujhe wo smell aa rahi thi jo is PLANET ki yaa fir ye kahun ki mere blood ki thi jo uska AURA apne me samete ghumta tha...
aur mere blood ki hi tarah mere brain aur mere body ka bhi AURA tha..
mujhe wo baat yaad aayi jo classes ke waqt shuru me hi bata di gayi thi ki brain,body aur blood interconnected hote hain jiska matlab tha ki unke AURA bhi interconnected honge....
aur solution ye tha ki ab bas mujhe inhi teen chizon ko jodna tha..mere aise karte hi mujhe aage kya karna hai,iska pata chal jaana tha...
ye khayal dimag me aate hi maine lete lete hi apni CEREBRATION process ko pause kiya aur
DVIJA KAPILOPA
INTERCONNECT THE AURA
mere dwara uccharit is spell ke agle hi pal mere brain aur body dono ka har hissa tezi se chamakne laga....
wahin kuch seconds lage,par jaise hi is PLANET ne,iske AURA ne is baat ko samjha ki mai kuch karne waala hun toh usne turant mere saamne ek nayi chunouti laane ko koshish ki...
sirf koshish..aur wo isiliye kyunki isse pehle ki ye PLANET ya iska AURA kuch karti,mere spell ne apna kaam kar diya tha...
mere brain aur body se nikalne waali roshni jo ki mera AURA thi,usne is PLANET ke hawa me ghumte hue AURA ke saath khud ko mila liya...
aur jaise hi hua....
KATKATKATKATAT....
mujhe ye pata chal gaya tha ki mai kispar leta hun..darasal mere behosh hokar niche girte hi is PLANET ke ocean ne khudko FREEZE kar liya tha...
aur isiliye mai is waqt us ocean ke frozen state ke upar leta hua tha par ye state ab kuch hi palon ka mehmaan tha..
aur wo isiliye kyunki teeno AURA ke judte hi is ocean ka frozen state tadakne aur pighalne laga..
tadakne ki awaaz ke saath dekhte hi dekhte pure OCEAN me daraare banane lagi aur fir.....
CHAPAAK......
jis surface me mai leta tha,wo toot gayi aur uske agle hi pal mai niche us khoon bhare ocean me gir gaya....
mera kaam ho chuka tha aur isiliye girte hi maine apni aakhen khol li...
laal rang...bas yahi dikh raha tha mujhe apne aankhon ke aage...
is laal rang ke andhere ko apni aankhon ke putiyon me utarta hua mai khud is ocean ke gehrayiyon me utarta chala jaa raha tha....
yahan tak pahunchne ka idea successful raha tha aur ab baari thi aage ke baare me sochne ki par mai aisa kar paata ki tabhi...
mujhe aisa laga maano koi mera gala daba raha hai...
ye koi aur koi nahi balki wo khun tha jiske andar me tha...
mere aaspaas ke khoon ne khud ko sakht kar mere gale ke ird gird fanda banana shuru kiya taaki mera gala ghota jaa sake...
apni saansein roke ab mujhe is nayi problem ko bhi solve karna tha par mai ye bhi jaanta tha ki mere aage khade hue har ek problem ka solution bhi ek hi hai aur wo hai apne blood ko haasil karna aur isiliye maine aage ke baare me sochna shuru kiya aur tabhi mere dimag me kuch lines gunj si gayi...
BLOOD AMPLIFICATION karna hamesha ke liye khud ke upar ek natural shield build karne jaisa hai par is shield ki strength usse banane waale par depend karti hai....
BLOOD AMPLIFICATION ki pehli class me NOX ke dwara boli gayi ye baatein mere dimag me gunji thi jiske baad mujhe aage kya karna hai,ye pata chal chuka tha...
daras mai jinhe ab tak chunoutiyan samajh raha tha,wo asal me mere blood ki shield thi par apne maalik ke naa hone ki wajah se unstable ho gayi thi aur isiliye ek ke baad ek mere aage chunoutiyan banane lagi thi...
aur jaisa ki NOX ne kaha tha ki is shield ki strength isse banane waale par depend karti hai..
ab is jagah ko maine toh banaya nahi tha par ye bani toh mere liye hi thi..iska matlab tha ki ye meri property hai jo tab hi control me aayegi jab meri brain aur body ki sangathith shakti isse zyada hogi...
aur ye khayal aate hi maine apne brain aur body ke AURA jo ki is waqt yahan ke blood ke AURA se judi hui thi,usse yaad kiya aur mere aisa karte hi wo dono bhi is red ocean me samate hue mere andar apni apni jagah par sthaapit ho gaye...
aur tabhi....
STATHADINA SHATIYEM
RELEASE POWER
BOOM.......
aankhen band kar maine is spell ko bola jiske baad mere brain aur body ki shakti ek jhatke me baahar nikal pure planet me bichi is ocean me samati chali gayi aur aisa hote hi jo fanda mere gale me fasa sa lag raha tha,wo chhut gaya...
wahin dhamake ke asar se ek pal ke liye is rakht se bhare samandar me bhi roshni faili jiske baad mujhse lipta blood ek pal ke liye mujhse alag hua...
sirf mere paas ka hi nahi balki jis jagah se hote hue mai dheere dheere neeche jaa raha tha, us puri jagah ka khoon dono taraf se ek second ke liye alag hua aur aisa hote hi mujhe apne se bohot neeche is PLANET ki asli zamin dikhi aur meri aankhen choti hoti hui chali gayi...
reason...us zamin se laga hua maine kuch dekha tha..aur wo kuch maine pehle bhi kabhi dekha hua tha..
wo bhi ek baar nahi kayi baar...aur jab maine us kuch ke baare me socha toh jaisa ki hota aaya hai,ek second se bhi kam time me mujhe mera jawab mil gaya tha...
aur saath hi mujhe apne blood ko haasil karne ka tarika bhi mil gaya tha...
darasal jo chiz jo kuch maine dekha tha,wo thi PLATELETS...BLOOD PLATELETS....
andruni sharir ka wo hissa,wo bhaag jisse blood clott hota hai...
aur ye baat clear hote hi mujhe ye bhi samajh me aa gaya ki is planet par khun faila hua kyun hai..???
darasal PLATELETS ka kaam hota hai behte hue khun ko us kate hue bhaag ke paas pahunchkar rokna...
par kyunki is khoon ka koi maalik nahi hai, isiliye iske PLATELETS kahin jaa hi nahi sakte...unke paas wo adhaar nahi hai jiski wajah se ye kaam karte hain...
par ab toh hain...aur yahi toh tha solution...mujhe un PLATELETS ko unka adhaar dena tha yaani mujhe dena tha...
is soch ke mere dimah me gunjte hi maine apni body ko us disha ki taraf zor se push kiya jahan wo platelets thi aur mere aisa karte hi...
ZOOM......
ek teer ki tarah khoon ko cheerte hue meri body aage badhti chali gayi aur dekhte hi dekhte mai is PLANET ke tal se halka upar aakar rook gaya...
ab mujhe do chizen karni thi aur wo bhi ek saath..
pehli...mujhe ek baar firse jahan mai khada tha,uske aaspaas ka view clear karna tha aur dusra,apne body ke kisi bhi bhaag par halka cut karna tha...
ab ek LONSDALEITE hexagon diamond jaise sakth sharir me cut toh nearly impossible tha par ye impossible dusron ke liye tha..
mera brain,meri body mere gulaam the..unhe wahi karna hoga ho mai chahunga aur isiliye...
pehle maine ek baar firse apne brain aur body ke power ko release kiya par sirf aage ki taraf....
mere aise karte hi mere aage ka pura blood thodi door feka gaya...
par fir wo blood wapas meri taraf aane laga..waqt kam tha mere paas aur isiliye...
KHANDITA....
CUT.....
apne haath ko chhu maine is spell ko uccharit kiya jiske agle hi pal mere haath me ek gehra cut van gaya.....
aisa hote hi maineapna haath piche kar diya jahan ke hisse ka blood ab bhi wahin tha..
haath us blood ke dariya me ghusate hi mere us gehre cut me khoon bhar gaya...
ab tak mere saamne ke hisse waala blood ka area mere kaafi paas aa chuka tha.. kuch hi seconds me mai wapas us khoon ke dariye me doob jaane waala tha aur isiliye maine turant neech jhukte hue mere us cut waale haath ko wahan ke tal ke upar biche PLATELETS se chhua diya aur aisa hote hi.....
SWOOSH...........
maano apni saans kheenchi ho PLATELETS ne kuch aisi awaaz aayi us pure tal waale area se aur fir agle hi pal....
mujhe aisa laga maano koi behad shaktishaali force kheenchata hua neeche jahan mai tha,wahan aa raha hai....
aur jab maine neeche ki taraf dekha toh paaya ki mera andaza galat nahi tha...
darasal un PLATELETS me se tez roshni nikal rahi thi aur us roshni ke beech is pure planet me biche us khoon ke ocean ko wo PLATELETS khudme sokhte chale jaa rahe the...
pura PLANET bana hi tha us khoon se par dekhte hi dekhte kuch hi minute me wo pura blood un PLATELETS me sama gaya...
aisa hone ke baad RENAISS aur ANGIS ki hi tarah ANNJAYA PLANET bhi apne asli roop me aa chuka tha...
ek laal sakth dead planet jispar ab bhi mere khoon ke itne saalon tak hone ki wajah se halki halki nami bani hui thi par wo bhi tezi se sookhti chali jaa rahi thi...
mai chaaron taraf dekh hi raha tha ki tabhi....
AAPKO JO BHI DARD HUA,USKE LIYE...
MAI-maaf kar dijiye....
mere saamne mera hi blood ek laal aakruti ka roop liye khada mujhse maafi maange ko hua par maine uski baat ko pehle pura kiya aur uske baad...
MAI-maafi bhi tab maango jab mai tumhe uski ijaazat dun...
meri baat sun jab wo aakruti chup hi rahi toh....
MAI-mai tumhe apnata hun....
mere aisa kehte hi wo laal aakruti ek laal gole me parivartit ho gayi aur fir aage badhti hui wo mere us haath par jahan cut tha,usme se hoti hui mere andar sama gayi....
aisa hote hi mujhe mere andar ek behad tez pravah mehsoos hua...
mere pure sharir ke upar ek natural shield jo ki mere blood ki den thi,ban gayi...
wahin wo cut jo ab tak gehre gadhe hone ke baad bhi sukha hua tha, uske andar ab khun tha jo baahar aane ko hua par aisa hota,usse pehle hi wo cut,wo ghaav bhar chuka tha...
issike saath mera ye teesra padhav bhi pura hua...aur ab bacha tha mera aakhri par sabse mahatvpurn bhaag...
mera SOUL....
zara sochiye..jab MAHI ko uske already present SOUL ko AMPLIFY karne ke liye kya kya dekhna pada, kya kuch sehna pada,toh fir mai RAAZ jiske ird gird ye puri kahani hai, usse apne SOUL ko haasil karne ke liye, SOUL ke saath us chiz ko haasil karne ke liye jisko paane ki chaah liye VIKRAM ne khudke saath pure PLANET me base logon ki jaan gawa di thi, kaisi pariskha deni hogi...
par naa toh mujhe VIKRAM se koi matlab tha,aur naahi un karodon logon se koi hamdardi jo us CHIZ ke bhet chadhe the...
mujhe bas us CHIZ se matlab tha..usse haasil kar bas apni jeet se matlab tha...
kyunki yahi mera sach hai...
wo sach jo meri soch ko KAWACH DETA HAI....
ye RAAZ wo RAAZ hai,jisse jaan kar naa maanane waale ki ye RAAZ jaan LE LETA HAI....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J.....