• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
vj4u i must say this story is dope asf bro specially raaz's character well all twists of events till now was osm but i have a question now that Raaz is OP asf couldn't he just destroy diffuser without harming anyone? Ik sandhi ke khilaf hoga woh lekin jo videous kar raha tha woh bhi toh sandhi ke khilaf hi hoga na? :idk1:
 
107
506
108
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI HEMINE KE JAVELIN KO ROK DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF AUGMENTOR SWORD KO JWALAMUKHI ME DAAL DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

MEGA UPDATE-165

PLANET-ALIUM

PLACE-THE GRAVE

DHAPPP.....

us jwalamukhi ke andar se badi tezi se kuch bahar nikla aur uske paas ghutno ke bal baithe AUGMENTOR ke sir me jaakar laga..

aur aisa hote hi AUGMENTOR joki pehle hi SWORD ko pakadne ki wajah se aur saath hi saath EMPEROR ke mortal aur weak body me rehne ki wajah se kamzor padh chuka tha,uski haalat aur kharab ho gayi...

wahin woh chiz jisne AUGMENTOR ko lag usse niche gira diya tha,usme se ek urja nikal joki meri ALOUKIK ENERGY thi,sidhe mere andar sama gayi aur aisa hote hi..

KHATT..

us adrishya tight chain jisse bandh mai statue si haalat me akda khada tha,usse ek jhatke me tod diya maine aur azaad ho gaya...

aur jab kisi tarah AUGMENTOR apni rahi sahi shakti batorkar wapas kisi tarah uthkar baitha toh saamne ke 2 nazaron ko dekh uski aankhein vismay se fatni ko ho gayi..

pehla nazara toh mai hi tha jo is waqt uske SPELL ke asar se azaad ho apne dono haathon ko stretch karte hue khudko relax kar raha tha..

aur dusra nazara tha woh CHIZ jiske takrane se woh piche gira tha aur jisne usse touch kar aur weak kar diya tha.

aur woh CHEEZ thi wahi SWORD jisse usne un 10 PLANETS ki shakti se bane jwalamukhi me daala tha..

filhal lagbhagh aadhi hi gali thi woh SWORD jiske baad us jwalamukhi ne usse bahar thook diya tha...

situation ko samajhne ki koshish karte hue woh kabhi us aadhi gali SWORD ko dekhta toh kabhi mujhe jispar muskurate hue usse dekha maine aur..

MAI-zyada mat soch..jo hua hai,woh tere imagination ke aukaad se bahar ki baat hai, isiliye tu figure out nahi kar paayega..

mai hi batata hun...

woh SWORD jo tune jwalamukhi me daali thi, woh nakli thi...

meri baat sun jhatka laga us AUGMENTOR ko aur..

AUGMENTOR-asambhav...maine khud us SWORD ki urja mehsoos ki thi...

aur SWORD ki urja jhoothi nahi jo sakti..

MAI-haan toh urja jhoothi thi bhi nahi...

tune jo KLERA ko reason bataya tha use mere saath hone ke baawjud zinda rehne ka,woh aadha sahi tha..

maine usko apne saath uski POWER SUCKER ability ki wajah se hi rakha tha aur SWORD bhi uske andar hi rakhi thi but kaam usse kuch alag nikalna tha mujhe..

mujhe uske POWER SUCKER ABILITY se SWORD ki power ke kuch bhaag ko kheenchna tha.

ab SWORD ki taakat ko toh woh khenchne se rahi,but uske AURA ko KLERA ki ability se zaroor khudme sokh liya tha..

aur aisa hote hi maine uske andar SWORD ki ek replica taiyar ki aur uske blade me asli SWORD ka AURA mix kar diya..

SWORD ko super powerful banane ke liye maine usme apni ALOUKIK SHAKTIYAN bhi daal di thi aur yahi wajah thi ki tu mujhe apne SPELL se atka paa raha tha tha..

anyways,tune wahi AURA feel kiya aur us SWORD ko asli samajh liya...

AUGMENTOR-ye sach nahi ho sakta.. kyunki KLERA ke sharir me samate waqt maine us SWORD ki puri shakti ko mehsoos kiya tha..

aur aisa sirf AURA se nahi ho sakta..

MAI-haan toh tune sahi mehsoos kiya tha..??

ek secretive smile ke saath kahi maine ye baat jisse sun AUGMENTOR ki bhaven sikud si gayi aur..

AUGMENTOR-kehna kya chahte ho..??saaf saaf kaho...

MAI-pehle tu bata..

woh exact time bata jab tune SWORD ki shakti sabse zyada feel ko thi...???

AUGMENTOR-jab mai KLERA ke sharir me SWORD lene ke liye sama raha tha..

MAI-haan,ek ray bankar...!!!aur jab tu waisa kar raha tha, KLERA ki body me just samane hi waala tha,theek us point par tune SWORD ki shakti ko sabse zyada mehsoos kiya tha...right..!!!!

mera right toh jaise AUGMENTOR ne suna hi nahi..uski hadh se zyada badi ho chuki aankhen is baat ka suboot thi ki woh mere RAAZ se waakif ho chuka hai aur mere plan ko jaan sirf uski aankhein hi nahi fati thi ,balki uske GAA**D ke dono hisse bhi fath kar chaar ho chuke the..

aankhon me pehli baar vismay ke saath saath dar ki rekhayen dikhne lagi uske aur haklate hue..

AUGMENTOR-asslli SSWWORDD mmerre hi andarrr haaiiii....

MAI-right answer...jab tum KLERA ke andar sama rahe the,theek ussi waqt HISIRO BHAVATI SPELL ke asar ke saath lipta asli SWORD theek tumhari hi tarah ray me badal maine us ray me joki tum the,merge kar diya tha..

aur jab tum wapas ray se is EMPEROR ki body ke saath prakat hue, toh SWORD bhi tumhari chest me perfectly settle ho gaya,aur tumhe pata bhi nahi chala...

meri baat sun us AUGMENTOR ne apni chest tear karne ke liye apne dono haath chest ke upar rakhe par is waqt naa toh woh physically aur naahi mentally itna strong tha ki apne chest ko peirce kar sake...

khair,usse apne chest ko tear karne ki naamumkin koshish karta dekh..

MAI-arre,koi kaam hai toh mujhe bolo naa..aur waise bhi,jo tum karne waale ho,wahi toh mera agla step hai..

SWORD ko uski asli taakat wapas dilane ke liye sabse important hai us taakat ko guard karne waali yahan ki unwanted energy joki tum ho,usse completely weak karna..

ye kaam aadhe se zyada toh ho hi chuka hai,baaki ab ho jaayega..

ye bolte hue maine apna ek haath AUGMENTOR ki taraf kar halka sa lehraya aur mere aisa karte hi HISIRO BHAVATI SPELL ka HIDE asar khtam ho gaya..

AUGMENTOR ko SWORD apne andar feel hone lagi aur aisa hote hi woh piche ki taraf palat kar gir gaya...

SWORD ki taakat,uska bhaar filhal AUGMENTOR ke liye kuch zyada hi tha aur isiliye uske pressure ko nahi jhel paa raha tha woh...

neeche girne ke baad uthne ki koshish ki usne par usse filhal aisa feel ho raha tha jaise uske chest par ek mountain rakh di gayi ho jiske bojh ke neeche dab gaya tha woh...

sadiyon se guard karta aa raha tha AUGMENTOR is planet ko par aaj SWORD ke uske andar hone ki wajah se woh faint hone laga tha aur aisa hone ke kaaran uska guard bhi weak padh chuka tha...

wahin in sab ke dauran kahani ke is adhyay ka kendra bindu matlab SWORD,jaise hi usne AUGMENTOR ke guard ko kam hota feel kiya toh uske agle hi pal woh tez white roshni se joki uske power observing power ka pratik tha,jagmaga utha..

woh roshni AUGMENTOR ke andar se hote hue bahar har taraf failne lagi...

aur jaise hi us roshni ki rays is ALIUM planet ke roots ke andar samaye jahan SWORD ki shakti dafan thi toh woh saari shaktiyan aur unke saath ALIUM ki saari zamin bhi jagmaga uthi...

apni shaktiyon ko feel karte hi AUGMENTOR ke andar chuppi SWORD ek jhatke me uske chest ko cheerte hue bahar aayi aur theek mere saamne aakar hawa me hi rook gol gol ghumte hue apni shaktiyon ko kheenchne lagi...

kuch der ye process chalta raha aur phir dheere dheere ALIUM ki dharti se nikal rahi roshni kam hote hue khtam ho gayi...

aaj carodon saalon ke baad finally SWORD apni puri taakat ke saath resurrect ho chuki thi...

ALIUM ki dharti ka jagmagana bhale hi khtam ho chuka tha par uski kami SWORD puri kar rahi thi..

pure shabab me ab aur tez chamakti SWORD jaise aaj khudki bichhdi taakat ke milne ka jashn mana rahi thi..

khair,kuch der tak intazar karne ke baad bhi jab SWORD waise hi chamakti hui hawa me gol gol ghumti hi rahi toh maine haath badha uske POMMEL ko thaam liya aur mere aisa karte hi SWORD ki chamak ek jhatke me kam hote hue uske mooth par lage RED DIAMOND me simat kar rahe gayi..

apne true owner ke haathon me aate hi shaant ho chuki thi SWORD jiske baad meri nazar ghumi us AUGMENTOR ke taraf jo kuch der tak lagatar chaayi roshni ka faayda lete aankhen band kiye hue apni shaktiyon ko wapas nurture karne me laga hua tha..

but ye dekh bhi maine usse roka nahi aur kuch der baad jab uski puri shakti revive ho gayi toh..

MAI-chal,dono saath me test karte hain..

tu apni taakat ko check kar aur mai SWORD ki..

meri baat sun dehekti hui aankhon se mujhe ghur ek baar dekha AUGMENTOR ne aur phir badi tezi se apne haathon ke meri taraf karta hua...

SAMASTE SHAKTIYEM SAMARPITOH KAALAM

COMPLETE POWER DEDICATED FOR DISTRUCTION

mujhe khtam karne ke liye apni puri shakti ko SPELL me nichod diya tha AUGMENTOR ne jiske baad ek gaadhi black super strong energy ray uske haathon se nikal meri taraf vidyut gati se badh gayi...

wahin AUGMENTOR ki SPELL aur uske haath meri taraf karne ke baad bhi mai araam se hi khada raha par jaise hi woh ray mere nazdik aayi toh maine apni SWORD aage kar di..

CHRRRRR.....

us ray ki energy ko ek second se bhi kam waqt me sokh liya tha meri SWORD ne jiske baad khudhi us ray ki shakti me apne kan inject karte hue ek nayi ray AUGMENTOR ki disha me release kar di SWORD ne aur aisa hote hi...

BOOMMMMMMM....

woh ray limitless speed ikhtiyar karte hue sidhe AUGMENTOR ke chest par padi aur usse aar paar karte hue nikal gayi..

kuch samajh me hi nahi aaya AUGMENTOR ko aur uska woh EMPEROR possessed body nasht ho chuka tha..

us EMPEROR ke body nast hote hi AUGMENTOR usse nikal wapas apne purane sharir,us duble patle bande ke roop me mere saamne khada tha..

uska ye sharir uske khudke use ke liye weak tha..isme woh kuch bhi nahi kar sakta tha..

khair, AUGMENTOR ke mere purane roop me mere saamne aate hi maine SWORD par apni pakad tez ki aur usse neeche zamin me gaadne ke iraade se apna haath upar uthaya par tabhi..

AUGMENTOR-wait RAAZ.. SWORD ab tumhari milkiyat hai..ye ab tumhari baat nahi kaat sakti..

agar tumne ALIUM ko baksh diya aur iske upar laga barrier jo isse bahari universe se alag karta hai,hata diya toh mai tumhe ek aisi taakat de sakta hun jisse VIDEOUS toh kya, parmeshwar ke dono putra bhi tumhare saamne sir jhukaane par majboor ho jaayenge...

is pure bramhand me sirf tumhara raj hoga..khud GOD bhi tumhara kuch nahi bigad paayenge...

HAHAHAHA...

uski baat sun zoron se has mai aur..

MAI-GOD se teri khunnas samajh aati hai mujhe..par ek chiz hai jo tu in beete carodon saalon me bhi samajh nahi paaya hai

but hum humans me ek kahawat bohot mashoor hai,ussike zariye samjhata hun..

kehte hi ki BHAGWAN sirf do baar hi khush hota hai..

"ek jab woh kisiko abaad karna chaahe aur duniya barbaad..

aur dusri baar tab jab WOH kisiko barbaad karna chaahe aur duniya abaad"....

dono hi suraton me hona toh wahi hai jo GOD chahte hain..

ye sach agar pehle jaan lete woh 10 PLANETS ke log toh aaj bhi unke planets fal phool rahe hote..

GOD ko challenge karna us waqt unke aukaad ke daayre se bahar tha aur ab teri haisiyat se upar hai...

bottom line,apni offer apne GAA**D me BHAR aur is duniya ke saath tu bhi MAR...

DHAPPPPPP.....

baat khtam hote hi badi tezi se SWORD ko apne saamne zamin par dhasa diya maine aur aisa hote hi SWORD ki nok se ek DEMOLITION BEAM nikal neeche dharti me sama gayi aur aisa hote hi..

pura ALIUM vibrate hone laga...jahan SWORD dhasi thi,badi speedily wahan se hote hue ALIUM ki puri dharti me cracks padne lage aur kuch der baad jab un cracks ne pure ALIUM me line si kheench di toh..

BOOOOMMMMM..

ek dhamake ke beech pura ALIUM pieces me baththe hue destroy ho gaya...

SWORD se jo demolition ray nikli thi,uske teaj aur chamak se meri aankhen bhi band ho gayi thi aur dhamake ki awaaz ke kuch der baad jab meri aankhen khuli toh maine khudko wapas ussi DARK PECULIAR SPACE me khada paaya jahan se ALIUM jaane ke liye kooch kiya tha maine...

mujhse kuch door carodon ki sankya me chote bade patthar aur anya dhaatu joki ALIUM the,space me ghumte hue dikh rahe the mujhe...

wahin mere haathon me pakdi hui SWORD ab bhi DEMOLITION BEAM se chamak rahi thi par dheere dheere jab uski woh chamak kam hui tab meri nazar gayi SWORD ke centre blade par likhe kuch aksharon par joki ENOCHIAN language ne likhe hue the..

"THE ORIGIN OF ANGELS"

yahi imprinted tha ENOCHIAN language me us blade ke upar jisse jaise hi maine padha, SWORD dobara chamki aur usse nikal rahe ray se mere just aage ek light se bhari aakruti ban gayi aur aisa hote hi..

AAKRUTI-mujhe meri taakat wapas dilane ke liye shukriya RAAZ...

MAI-ye ORIGIN OF ANGELS ka kya matlab hai..???kya ANGELS banane ki shuruat issi SWORD matlab tumse hui thi..

SWORD-haan..THE HOLY SPIRITS aur unke baad shuruat me jitne bhi ANGEL'S GOD ne banaye,woh meri shakti se hi bane the...

MAI-toh isiliye tumne ASMODEUS ko nahi balki VIKRAM ko apna user maana tha..kyunki woh LORD OF ANGELS hain...

SWORD-haan...

par mere liye apne daayitv ko aapne pura kiya hai aur isiliye aaj se aap mere TRUE OWNER hain...

aur mere TRUE OWNER hone ke kaaran aaj se meri shaktiyan aapki hui...

PLANET-GOLETH

PLACE-DARK DIFFUSION

RAVDHAM KAWADHINAM

LIGHTNING DISSARAY

MAHI ki taraf apna haath kar is SPELL ko man hi man uccharit kiya TIFER ne jiske baad ek saptrangi colour ki beam jisme 1000 lightings ki shakti thi, tezi se MAHI ki taraf badh gayi...

wahin MAHI ke kahe according HEMINE ko target karte hue apne dono haathon ko uski taraf kar lehraya ALFREEN ne aur uske waisa karte hi ek WIND TURBULENCE lehrate hue HEMINE ki taraf badh gayi.

is turbulence me BLACK aur WHITE dono hi energies ki terrifying shakti thi jiska pressure bhi ocean depth jitna tha...

TIFER ke SPELL se bana saptrangi beam jaise hi MAHI ki taraf badha toh waise hi MAHI ne GOLETH ke zamin ki taraf haath kiya aur uske waisa karte hi GOLETH ki dharti ka magnetic field 100 times tak increase hote hue on ho gaya jiske baad woh badh rahi beam aage naa badhte hue ek jagah par hi rook gayi aur neeche zamin par tez lightning barsane lagi..

TIFER ke spell ko naakamiyab hota dekh uske baaju me khade AROZ ne un apna haath ek jhatke me aage kiya aur aisa kar...

JALAM PARIKALATA

WATER OCEAN

spell ke uccharit hote hi AROZ ke haathon me ek endless hole ban gaya jiske andar se unlimited water full force se nikalte hue sidhe us saptrangi beam ki taraf badh gaya..

MAHI jaan gayi thi ki AROZ kya karna chaah raha hai..

woh lighting ki power aur water ke unlimited aur super speed force ko saath milate hue ek nayi energy create kar usse MAHI ko tear down karna chahta hai.

aur isiliye..

VAAYUEM AGRAGARSHANAM

WIND CONTINUAL PERPETUAL

pure GOLETH ki air source ko feel karte hue is SPELL ko uccharit kiya MAHI ne aur uske waisa karte hi ek jhatke me jahan woh khadi thi, uske aage chal rahi hawa tufaan me badal gayi..

aisa tufaan utha uske aage jisme itni shakti thi ki pure PLANET tak ko nigal jaaye..

khair,jaise hi tufaan utha,theek ussi waqt SAPTRANGI BEAMS se merge hokar badh raha woh paani ka source bhi MAHI ke kareeb pahunch chuka tha par us uthe hue tufaan ka zor itna tha ki atyadhik shakti khudme sameta woh paani ka bhandar bhi turant rook gaya..

wahin tufaan ke uththe hi MAHI ne apna haath round ghumaya aur uske waisa karte hi us tufaan ne apne aage rooke hue WATER ko khudme kheenchte hue lapet liya..

tufaan ki chapet me aate hi woh paani aur uske saath saprangi beam joki lightning thi,woh tez garajne lage..

par unke pure asar ko khudme sokhta hua woh tufaan dheere dheere chota hone laga aur jab kuch der baad woh tufaan shaant hua toh TIFER ki SAPRANGI BEAM aur AROZ ka WATER OCEAN, dono hi gayab hokar khatm ho chuke the..

is beech dusri taraf the HEMINE aur ALFREEN...

ALFREEN ke WIND TURBULENCE ki power ko achi tarah se feel kar rahi thi HEMINE aur isiliye apni aankhein band ki usne aur...

GAGANAM BIGHDHATE

CLOUD COMPRESS

man hi man is SPELL ko uccharit kiya HEMINE ne jiske baad uski shakti ke kuch kan ke saath milte hue GOLETH ke aakash me mandrate kayi kaale badal ek be baad ek badi tezi se kisi meteor shower ki tarah neeche aane lage aur sidhe ALFREEN ke WIND TURBULENCE se takrakar unki taakat ko kam karne lage aur jab tak aage badhta hua woh turbulence HEMINE ke kareeb pahunchta,aakhri cloud ne us turbulence ko dhakka dete hue neeche zamin par gira khatm kar diya..

AJARTA PRAVESHAM KAVIDHONAM

INVISIBLE BLADES PIERCING ALL AROUND

ALFREEN ke SPELL ke asar ko khtam karne ke agle hi pal HEMINE ne is SPELL ko uccharit lar diya tha jiske asar se ALFREEN ke chaaron taraf hawa me hi bohot se INVISIBLE aur unidentified but super sharp astra prakat hokar ALFREEN ki taraf badhe..

ye astra AURALESS ke the jinhe sense nahi kiya jaa sakta tha..

yahi wajah thi ki woh saare sharp INVISIBLE weapons ALFREEN ke behadh kareeb pahunch chuke the but ALFREEN ko iski khabar tak naa ho paayi thi aur ye dekh HEMINE ke face par ek halki par killing smile naach uthi thi...

but tabhi....

ALFREEN ke senses bhale hi un weapons ko feel karne me asamarth the but unke paas aate hi ALFREEN ki AGATHOKAK powers ne usse paas aa rahe unidentified khatre ke baare me agaah kar diya aur aisa hote hu ALFREEN ki body se chaaron taraf ek PUSHING TWIRL create hua jisne un saare weapons ko piche dhakka dete hue khatm karna shuru kar diya..

aur dekhte hi dekhte woh saare INVISIBLE astra khatm ho chuke the..

ek taraf MAHI ne TIFER aur AROZ ke spells ko nishkriya kar diya tha aur dusri taraf HEMINE ke spell ko ALFREEN ne...

aur aisa kar un dono ne ek tarah se VIDEOUS ki shakti tak ko takkar de di thi aur ye dekh HEMINE,AROZ aur TIFER ko insult feel hui thi aur us insult par salt tab chiddka jab..

ACCHUTA-kya hua chhilton....???fath gayi yaa abhi aur fatna baaki hai...!!!!

ACCHUTA ki baat sun un teeno ki aankhon me khoon sa utar aaya..

jalti nigahon se pehle MAHI, ALFREEN ko aur phir ek dusre ko dekh ek baar me hi ye kissa khtam karne ka iraada kiya un teeno ne jiske baad...

un teeno ke hi sharir se energy gush nikal unke haathon me ikattha hone lagi..

ye energy gush DEATH BEAMS thi jo un teeno ki LIFE SOURCE se bani thi...

MAHI aur ALFREEN ne bhi un ENERGY GUSHES ki asliyat ka anumaan laga liya tha aur isiliye woh khudko defend karne ke liye taiyar karne lagi..

haalaki woh jaanti thi ki shayad aisa karne me woh kaamiyab nahi jo paayengi..

kuch der zaroor rok sakti thi woh un DEATH BEAMS ko par der sawer unhe woh BEAMS hit ho hi jaayengi...

aakhir unme HEMINE, AROZ aur TIFER ke life source ki shaktiyan jo thi jinhe takkar zaroor de sakti thi woh dono par ek saath un teeno ko harana filhal unke bas me nahi tha..

waise bhi MAHI ek saath AROZ aur TIFER se bhid rahi thi...ek ko toh woh hara bhi deti but ek saath do do kuch zyada hi deadly the...

khair,yahan MAHI aur ALFREEN ne mentally khudko ready kiya aur wahan HEMINE,AROZ aur TIFER ne un DEATH BEAMS ko puri tarah apne hatheliyon ne circulate kar liya tha aur isiliye...

SOOBHHHHH.....

ek saath apne apne haathon ko MAHI aur ALFREEN ki taraf kar diya un dono ne aur theek tabhi khudko bachane ke liye ek POWER CONSUMPTION BEAM release kar di MAHI aur ALFREEN ne..

jahan TIFER aur AROZ ki beams MAHI ke beam ki taraf badh chali thi aur dusri taraf HEMINE ki beam ALFREEN ke beam ki taraf...

ek second se bhi kam waqt me woh saare beams ek dusre ke paas aa chuke the aur agle hi pal..

BOOMMMMM....

ALFREEN ki beam ke saath HEMINE ki beam collide kar chuki thi aur MAHI ke beam ke saath TIFER aur AROZ ki beams ka collision ho chuka tha..

aur kyunki ye beam MAHI aur ALFREEN ke hatheliyon se joined aur connected tha, isiliye dhamake ka asar un dono ke haathon par bhi hua...

collision hote hue un dono ke haath jhanjhana gaye..

waise toh un dono ke POWER CONSUMPTION BEAMS ne TIFER,AROZ aur HEMINE ke DEATH BEAMS ko rok diya tha par woh ye saaf mehsoos kar rahe the ki ye rookawat temporary hai...

un dono ke hi haath shake kar rahe the aur apni puri taakat lagakar woh kisi tarah un beams ko rokne ki koshish kar rahe the..

wahin jab beams aapas me takrayi aur dhamake hua toh us dhamake ke saath beams ke asar se chaaron taraf ek tez prakash faile gaya jiski wajah se ACCHUTA, BRAWNY, HIDA, MABEL aur SHOWHI ke saamne ek blind spot ban gaya..

unhe kuch bhi nahi dikhayi de raha tha..

halaki un sabko kuch negetive vibe zaroor feel ho rahi thi but kar woh kuch sakte the nahi isiliye dhadakte dil ke saath bas view clear hone ka intezar kar rahe the..

khair,jaise jaise waqt beet raha tha, ALFREEN aur MAHI par unke haathon me padh rahe death beams ka asar dikhne laga tha..

un beams ki kaaran hatheliyon se hote hue ek redish scar un dono ke haath par chadh chuka tha aur dheere dheere aage badhta hua unke sharir ki taraf jaa raha tha...

ye redish scar ALFREEN aur MAHI ke blood boil hone ke kaaran ho raha tha..

un dono ke hu BLOOD AMPLIFICATION beams ke chapet me aa chuke the aur ab bas kuch der ki hu baat thi jab woh affect un dono ke baaki teen AMPLIFICATION modes par bhi kabza kar unhe destroy kar dene waala tha jiska natija hota instant death..

wahin jahan MAHI ke haath par chadh rahi reddish scar ki speed thodi kam thi,wahin ALFREEN ke maamle me ye speed thodi zyada thi...

yahi kaaran tha ki kuch hi seconds me woh reddish scar uske aage kiye haath ko puri tarah jakadte hue aage badhne laga tha aur aisa hote hi woh pain jisse jabde bheenche ab tak jhelti aa rahi thi ALFREEN uski limit bhi paar ho gayi...nateeja...

AHHHHHHHHHHH..

SAB-ALLLL......

ek grunting cheekh ALFREEN ke mooh se nikli jisse sun chownk pade uske saare friends.

un sabki uske liye fikr badh chuki thi..wahin us cheekh ko sun HEMINE ke face par ek smile naach uthi thi...

khair, HEMINE aur uske dono saathiyon ke beams ki power jaante the uske dost par ALFREEN ki cheekh sun jo hoga dekha jaayega,is soch ko sach karte huye andaze se ALFREEN ki disha guess kar woh sab uski taraf badhne ko hue pat tabhi....

ROARRRRRRRRRRR................

ek jaani pehchaani dahad gunj uthi us jagah par jisse sun jahan ek taraf ACCHUTA & company ke kadam aage badhne se rook gaye,dusri taraf us dahad ki taakat ko mehsoos kar HEMINE, AROZ aur TIFER ek pal ke liye hadbada gaye wahin teesri taraf baazi palatne waali hai,ye jaan chuke the ALFREEN,MAHI aur isiliye hi MAHI ke saath asahaniya dard ke baawjud ALFREEN ke face par bhi muskaan naach uthe the.

ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA, MABEL aur SHOWHI ki nazar is waqt us aaye dahad ki disha joki upar akash me thi,uth chuki thi jahan is waqt ek gigantic WORLD DOOR khula hua tha..

aur tabhi....

GRIFFIN jiske peeth par ANZU baithi hui thi,woh dono us WORLD DOOR ke andar se bahar aaye jinke baad jiski dahad se kuch seconds pehle pura GOLETH hil gaya tha,WOOGER,woh us WORLD DOOR se hota hue neeche zamin par kooda..

par GRIFFIN ki hi tarah uski peeth bhi khaali nahi thi..

WOOGER ki peeth par baitha tha mai aur is waqt meri body se ek alag hi chamak nikal rahi thi jo mere pehle se hi nikhre vyaktitv ko aur taraash rahi thi...

khair,neeche zamin par kadam rakhte hi mai WOOGER se utar gaya aur aisa hote hi WOOGER, GRIFFIN aur ANZU kaam par lag gaye..

un teeno ke hi aankhon se nikle ek ek beam jinhone HEMINE, AROZ aur TIFER ke DEATH BEAMS ko ALFREEN aur MAHI ki POWER CONSUMPTION BEAMS ke beech ka connection todte hue khudse jod liya aur jab aisa hua toh ek saath teen cheezen hui..

pehli, BEAMS ke takrane se roshni toh ab bhi faili hui thi but ab sab visible tha aur isiliye chal rahe scene ko dekh ACCHUTA and party ke faces ki smile lout aayi thi...

dusri,beam aur uske asar ke hathne par MAHI aur ALFREEN ne relief ki saans li..

teesri, kuch seconds pehle tak jo un dono ka haal tha,wahi haal ab HEMINE, AROZ aur TIFER ka hone laga tha..

un sabke hatheliyon se hote hue unke haathon par reddish scar dikhne laga tha..

itna hi nahi,woh scar ALFREEN ke mukable bhi double speed se un teeno ke bodies ki taraf badh chala tha..

ye dekh kuch seconds toh un teeno ne bharpoor koshish ki WOOGER, GRIFFIN aur ANZU ke beams ke asar ko modne ki par jab woh kaamiyab nahi hue aur unka pain har guzarte palon ke saath badhta hi raha toh ek jhatke me khudko aur apne beams ko WOOGER, GRIFFIN aur ANZU ke beams ke radar se hataya un teeno ne aur ek taraf ludhakte hue gir gaye...

aisa kar woh teeno turant khade hue aur aankhon me vismay liye mujhe dekhne lage...

wahin ANZU aur GRIFFIN jinhe maine hi temporary apni powers di thi taaki woh HEMINE, AROZ aur TIFER se ladh sake,woh taakat wapas mere andar sama chuki thi...

khair,un teeno ki badi ho chuki aankhon ko nazarandaaz kar mai badha apni behen ki taraf jiske chehre par mujhe dekh khushi saaf jhalak rahi thi.

par us khushi ke bhandar ke andar pain ka ek tinka bhi tha,jisse maine dekh liya tha..

uske paas pahunch uska woh haath uthaya maine jisme ab bhi REDDISH SCAR ki laali chhayi hui thi aur jiske wajah se hi usse pain ho raha tha..

jabde bheenche us laal pad chuke haath ko dekhne laga mai jispar...

ALFREEN-its nothing bhai..

MAI-dikh raha hai...you,come here..

HEMINE ko dekh apni ungli se usse apne taraf aane ka ishara kar kahi maine ye baat jiske baad..

SOOBHHHH...

HEMINE ko pata bhi nahi chala ki kab uski body apne aap hi udti hui si meri taraf badh chali aur agle hi pal..

UGGRRRHHHHH...

HEMINE ka gala mere haathon ki giraft me tha jiske baad woh tezi se chhatpatane lagi par magically aur pysically, dono hi tarah se woh kuch bhi karne me asamarth thi..

wahin uske dono saathi HEMINE ko bachana chahte the par jis tarah maine usse kheencha tha,usse dekh unki himmat nahi ho rahi thi aage badhne ki..

khair, HEMINE ko uske gale se pakad usse halka halka dabana shuru kiya maine aur mere aisa karte hi uski aankhein palatne lagi..

chehra uska safedh padne laga.. saansein rookne hi waali thi uski par tabhi....

ROOK JAAO RAAZ.... CHHOD DO HEMINE KO,WARNA ABHI ISSI WAQT TUMHARE SAARE DOSTON KO UNKI JAAN SE HAATH DHONA PADEGA....

ye thi VIDEOUS ki awaaz....

woh yahan nahi tha par kyunki uske sabse khaas teen log yahan the, isiliye nazar uski kahin aur toh ho sakti thi nahi...

woh khud yahan nahi aaya tha aur jo taakat maine abhi dikhayi thi,usse dekh ye tay tha ki bina plan ke woh mere saamne aane waala bhi nahi tha aur isiliye sirf uski awaaz hi yahan pahunchi thi...

but jab uski baat sunane ke baad bhi maine HEMINE ka gala dabana band nahi kiya toh....

ek saath bohot se DEATH RAYS joki khud VIDEOUS ke the,woh ek INVISIBLE PIT se prakat hue aur sidhe mere saare doston ki taraf badh chale...

par isse pehle ki woh rays apni aadhi doori bhi tay karte..

DHAPPPP......

apne seene me chuppayi meri SWORD maine ek jhatke me prakat ki aur agle hi pal maine SWORD apne saamne zamin me gaad diya aur mere aisa karte hi SWORD se nikli ABSORBING RAYS jinhone VIDEOUS ke saare DEATH RAYS ko khudme sokh liya...

aisa hue ek pal hi beeta tha ki tabhi ek baar phir gunj uthi VIDEOUS ki awaaz...

VIDEOUS-RAAZ,HEMINE ko abhi release karo warna...

MAI-warna kya MADARCHOD....ek baap ki aulaad hai toh ukhaad ke dikha mera..

oh,mai bhi kya bol raha hun..tu toh do logon ko FATHER bolta ha, phir ek baap kaise ho sakta hai tera...???

VIDEOUS-sahi waqt par teri ye akad bhi khatm kar hi dunga mai RAAZ..par agar tune abhi HEMINE ko release nahi kiya toh DARK DIFFUSION ke asar ko hinder kar dunga mai jisse karodon logon ki jaan chali jaayegi..

soch le..

MAI-soch liya..jo karna hai kar.ghanta fark nahi padta mujhe...

meri baat khatm hote hi DARK DIFFUSION ki flame zigzag pattern me ghumne lagi aur ye dekh MAHI, ALFREEN aur baaki sab samajh gaye ki VIDEOUS ne jo kaha hai,woh sach hone waala hai..

aur aisa hona UNIVERSE ke balance ko completely hila deta joki galat tha..bohot galat...aur isiliye..

MAHI-RAAZ,chhod do usse...dekho DARK DIFFUSION scatter ho raha hai...

ALFREEN-bhai please..isse hisaab phir kabhi le lena...aaj jaane do isse..

mai nahi chahati ki carodon logon ke marne ka ilzaam mere bhai par lage...

DHABBBBB....

ALFREEN ki baat khatm hote hi maine HEMINE ka gala chhod diya par aisa karne ke saath hi maine ek mukka uske naak me jama diya jiske asar se uski puri naak hi tootkar andar dhas gayi...

ACCHUTA-behen***od...oh sorry..abbe ye kya naksha bana diya iske mooh ka...

HEMINE ke bina naak ke mooh ko dekh haste hue kahi ye baat ACCHUTA ne jispar...

SLUNDER-banaya nahi bigada hai bhai..aur woh bhi aisa ki apna agada pichwada sab ek lagega isko...

yahan ye dono apni pratikriya de rahe the aur wahan mere mukke se half behosh ho chuki HEMINE ki naa sirf senses wapas aa gayi balki dard se chhatpatate hue woh zamin par khudko ragadne lagi..

wahin HEMINE ke free hote hi wapas ek INVISIBLE PIT se uske,AROZ aur TIFER ke liye transportation ray nikal un teeno ke taraf badh gayi..

AROZ aur TIFER toh us ray ke through gayab ho gaye par isse pehle ki woh ray HEMINE ko touch karti,maine apna ek haath aage kiya aur mere aisa karte hi woh ray HEMINE se ek inch pehle pahunch rook gayi jiske baad mai uski taraf badhne ko hua aur ye dekh..

ALFREEN-bhai please..jaane do usse....

MAI-relax..kuch nahi karunga...

ye bol mai HEMINE ke paas pahunch uske saamne baith gaya..

aur mujhe dekh apni completely dab chuki naak liye woh piche ki taraf ghisatne ko hui par tabhi usse ek baar phirse gale se pakad apne face ke saamne laaya mai aur..

MAI-saali...soch kaise liye tune ki meri behen ko maar sakti hai tu...!!!

kaagaz ki tarah beech se FAAD sakta hun mai tujhe.....

aur tujhe laga,MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU...!!!!

abhi yahin zinda GAAD sakta hun mai tujhe...

aur tujhe laga, MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....!!!!!

pathjhad ke mousam-e-patthon ki tarah issi waqt JHAAD sakta hun mai tujhe...

aur tujhe laga, MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....

sharir aur rooh ke saath pura UKHAAD sakta hun mai tujhe....ye yaad rakhna....

jab bhi lage,MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V....J.....

MAI-GOD se teri khunnas samajh aati hai mujhe..par ek chiz hai jo tu in beete carodon saalon me bhi samajh nahi paaya hai

but hum humans me ek kahawat bohot mashoor hai,ussike zariye samjhata hun..

kehte hi ki BHAGWAN sirf do baar hi khush hota hai..

"ek jab woh kisiko abaad karna chaahe aur duniya barbaad..

aur dusri baar tab jab WOH kisiko barbaad karna chaahe aur duniya abaad"....
dono hi suraton me hona toh wahi hai jo GOD chahte hain..

ye sach agar pehle jaan lete woh 10 PLANETS ke log toh aaj bhi unke planets fal phool rahe hote..

GOD ko challenge karna us waqt unke aukaad ke daayre se bahar tha aur ab teri haisiyat se upar hai...

bottom line,apni offer apne GAA**D me BHAR aur is duniya ke saath tu bhi MAR...

dono hi suraton me hona toh wahi hai jo GOD chahte hain..

ye sach agar pehle jaan lete woh 10 PLANETS ke log toh aaj bhi unke planets fal phool rahe hote..

GOD ko challenge karna us waqt unke aukaad ke daayre se bahar tha aur ab teri haisiyat se upar hai...

bottom line,apni offer apne GAA**D me BHAR aur is duniya ke saath tu bhi MAR...

MAI-saali...soch kaise liye tune ki meri behen ko maar sakti hai tu...!!!

kaagaz ki tarah beech se FAAD sakta hun mai tujhe.....

aur tujhe laga,MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU...!!!!

abhi yahin zinda GAAD sakta hun mai tujhe...

aur tujhe laga, MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....!!!!!

pathjhad ke mousam-e-patthon ki tarah issi waqt JHAAD sakta hun mai tujhe...

aur tujhe laga, MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....

sharir aur rooh ke saath pura UKHAAD sakta hun mai tujhe....ye yaad rakhna....

jab bhi lage,MERI BEHEN KO MAAR SAKTI HAI TU....

Ise kahte he true Attitude (kabhi Angel kabhi Devil)

Ise kahte he Vj Bhai ka fadu update 👍👍👍👍👍🙏🙏🙏🙏...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,364
189
vj4u i must say this story is dope asf bro specially raaz's character well all twists of events till now was osm but i have a question now that Raaz is OP asf couldn't he just destroy diffuser without harming anyone? Ik sandhi ke khilaf hoga woh lekin jo videous kar raha tha woh bhi toh sandhi ke khilaf hi hoga na? :idk1:
thanks brother..now for your question...

RAAZ bilkul js diffusion ko bina kisiko harm kiye tod sakta tha..

but the thing is ki jaise VIDEOUS diffusion ki instability apne logoj ke through kar raha tha,theek waise hi RAAZ ne bhi us unstability ko theek karne ke liye apne doston ko bheja..

sabse important baat joki is kahani ka mool mantra hai,POWER IS EVERYTHING"ye logic hi last situation ne dikhayi gayi..

ek quote hai ki LIKE OTHER PEOPLE,KING ALSO WEAR FOOTWEARS BUT UNLIKE PEOPLE,A KING HAS PEOPLES TO DO IT FOR HIM...

one more thing,WHITE ENERGY aur uske holders, owners kanoon ki tarah hote hain...

apradhi as in black energy ke numainde manmani karte hain aur kanoon as in white energy ke numainde ek law ke tahat air uske andar rehkar unhe saza sete hain..

wahi last scene ka logic tha and most importantly, WHITE aur BLACK ENERGIES ke beech dikhaya gaya alag alag ATTITUDE...

saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,364
189
vj bhai. is stroy ka third part hona chahye yar. ap jaisa koi nhi likh skta. plz is ka third part likhna brother
firstly, thanks for such appreciation brother..

and now for your question,the thing is brother ki jab mai first part likh raha tha,final chapter likhte waqt hi jo jo ghatnaye maine dikhayi thi aur aage dikhane waala.tha,uske according ek naya concept mere dimag me aa gaya tha jiske base par ye second part bana hai.

par is baar aisa kuch nahi hua hai.. isiliye is part ke saath ATTITUDE ka safar khatm karte hain..

but nirash hone ka nahi..agar aapko meri writing pasand hai aur toh woh jaari rahegi..

meri next kahani ka joki ek action/thrill/romantic kahani hogi,aur jiska concept,story line lagbhag dimag me fit baith chuka hai mera,i am sure ki bohot pasand aayegi aap sabko..

bhale hi us kahani ka naam ATTITUDE nahi hoga,but ATTITUDE element usme bhi thoos thoos kar bhara hoga but in a different way..

jaise VIKRAM ke character ka ATTITUDE alag tha, ASMODEUS ka alag, VIDEOUS ka different aur RAAZ,is saale ka ATTITUDE dikhate waqt toh mera bhi sar dard karta hai..

waise hi hamare next kahani ke bande ka ATTITUDE bhi alag hoga..and i mean bohot alag and dope..

kahani aur uska concept i think bohot rare,engaging aur fast hai jo aap sabko usse jodd kar rakhega..

first update se hi concept ka hatkepan aapko samajh aa jaayega and I think you all will love it..

baaki RAB RAAKHA...

saath bane rahiye..
 
Last edited:

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,116
158

intzaar rahega ek nye attitude se rubru hone ka
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188

aapki new story ke start hone ka intezar rehega bhai
 
Suryaa

सुन, हमसे कायदे में रहोंगे, तो फायदे में रहोगे😎।
Banned
3,821
5,379
143
Ancient magic spell

MAHAUPDATE PRATIKSHAM
 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
firstly, thanks for such appreciation brother..

and now for your question,the thing is brother ki jab mai first part likh raha tha,final chapter likhte waqt hi jo jo ghatnaye maine dikhayi thi aur aage dikhane waala.tha,uske according ek naya concept mere dimag me aa gaya tha jiske base par ye second part bana hai.

par is baar aisa kuch nahi hua hai.. isiliye is part ke saath ATTITUDE ka safar khatm karte hain..

but nirash hone ka nahi..agar aapko meri writing pasand hai aur toh woh jaari rahegi..

meri next kahani ka joki ek action/thrill/romantic kahani hogi,aur jiska concept,story line lagbhag dimag me fit baith chuka hai mera,i am sure ki bohot pasand aayegi aap sabko..

bhale hi us kahani ka naam ATTITUDE nahi hoga,but ATTITUDE element usme bhi thoos thoos kar bhara hoga but in a different way..

jaise VIKRAM ke character ka ATTITUDE alag tha, ASMODEUS ka alag, VIDEOUS ka different aur RAAZ,is saale ka ATTITUDE dikhate waqt toh mera bhi sar dard karta hai..

waise hi hamare next kahani ke bande ka ATTITUDE bhi alag hoga..and i mean bohot alag and dope..

kahani aur uska concept i think bohot rare,engaging aur fast hai jo aap sabko usse jodd kar rakhega..

first update se hi concept ka hatkepan aapko samajh aa jaayega and I think you all will love it..

baaki RAB RAAKHA...

saath bane rahiye..
ok ok new story me hero college ma hoga ok attitude super high level ka hoga ok lekin ladkiyon se pyaar karega wo sabko ok uski 5 gf kam se kam hongin aur last me wo kisi ek ka ho jayega jo use jada pyaar karegi ote
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,364
189
ok ok new story me hero college ma hoga ok attitude super high level ka hoga ok lekin ladkiyon se pyaar karega wo sabko ok uski 5 gf kam se kam hongin aur last me wo kisi ek ka ho jayega jo use jada pyaar karegi ote
storyline toh chhhodiye,ye jo concept hai naa brother,bohot si ladkiyan aur ek banda..

ye naa ho sakta meri kahaniyon me...

haan play boy rakh sakta hun mai but aisa hua toh proper justification ke liye ladki bhi waisi hi hogi jo bohot se bande ghumati hogi..

as they say,

why should boys have all the fun...
 
Top