- 4,756
- 40,240
- 189
Sunder atisunder shabd rekha se rachi gai ek aur nargishi update.AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GROOMERS CLASS KO JOIN KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF WOOGER GRIFFIN SE EK DEAL KE TAHAT FALLON KA NAAM AUR CHEHRA JAAN JAATA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-2
(UNEARTH THE IMMORTALS)
UPDATE-69
PLANET-ELYSIAN
PLACE-WEAKLING STAY
KNOCK.....KNOCK..... KNOCK......
door toh hota hai nahi WEAKLINGS quater me...ek wooden halt jaisi cheez khud ped kaat kar banayi thi SHALTON ne aur usse hi quater ke darwaze ki jagah laga diya tha..
ussi wooden halt ko knock kiya tha abhi abhi MAHI ne....
shaam ka waqt hai.... institution se aane ke kuch der baad hi MAHI apne CHARIOT me baith uske gps system me WEAKLINGS STAY ka adress daal yahan pahunchi thi...
aana toh wo kal hi chahti par uske BRAWNY ke liye shortcut maarkar ABODE chale jaane ke baad ALFREEN aur MABEL jo gate par uska intazar kar rahe the,wo wapas aayi aur unhone usse INSTITUTION ke kayi jagahon par dhunda par jab wo nahi mili toh wo dono INSTITUTION se nikal uske ABODE chale gaye jahan MAHI unhe mil gayi....
jab un dono ne MAHI se yun akele aane ka kaaran pucha toh usne un dono se jhuth keh diya ki SOVEREIGN'S ne usse bulaya tha....
par fir un dono ne MAHI ke ghar hi lunch kiya aur lunch ke baad bhi wahin rooki rahi jis wajah se MAHI kal yahan nahi aa paayi thi..
par aaj INSTITUTION se aate hi lunch kar wo turant apne CHARIOT me baith WEAKLINGS STAY ki taraf nikal gayi....
aur yahan pahunch yahan ke pehle quater ki us wooden halt par knock kiya tha usne...
wahin knock ki awaaz sun andar apne pati ke sirahane NAOMI uthi aur darwaze ki taraf chal padi......
MAHI-namaste aunty....
NAOMI ke apne saamne aate hi greet kiya MAHI ne jispar...
NAOMI-namaste....ji aap...???
MAHI-mera naam MAHI hai....mai..
NAOMI-oh,toh tum ho MAHI....
MAHI ki baat beech me hi kaatkar khushi se MAHI ka naam leti hui NAOMI aage badhi aur MAHI ke gale lag gayi...
NAOMI ke is sudden reaction se pehle toh MAHI halki hairan hui par fir usse andaza ho gaya ki zaroor ye BRAWNY ka hi quater hai aur saamne khadi lady ko BRAWNY ne uske baare me bataya hoga...
NAOMI-mai BRAWNY ki maa hun...thanks beta....aapne jo kuch bhi mere bete ke liye kiya uske liye mai hamesha aapki ehsaanmand rahungi...
MAHI-please aunty ,thanks mat boliye....mai wahi kiya hai jo mujhe karna chahiye tha aur jo mere bas me bhi tha...aur please aap badi hain mujhse,mujhe aap tum kehkar hi pukariye..mujhe acha lagega...
MAHI ki baat sun bade pyar se haath fera uske sir par NAOMI ne....
NAOMI-aao beta andar aao....
ye bol ek taraf hatkar side diya NAOMI ne MAHI ko jiske baad MAHI quater ke andar daakhil hui...
aur andar daakhil ho quater ki haalat dekh usse bohot bura feel hua BRAWNY aur uske parents ke liye...
wahin andar ghus jab MAHI ki nazar saamne khatiya par lete aadmi par padi toh woh us aadmi ki haalat dekh halki chownki...
reason..
saamne SHALTON us khatiya par lete hue the..unke dono haath halke halke mude hue the jisse uth rahe asahaniya dard ko zabt karne ki naakamiyab koshish karte hue SHALTON ke mooh se rook rook kar karah foot rahi thi..
wahin unke khatiye ke baaju me neeche baitha BRAWNY apne baap ki haalat par aansu bahaye jaa raha tha...
apne saamne khadi MAHI ko dekh BRAWNY ne turant apne aansu poche aur zabardasti muskurane ki koshish karne laga...
quater ki jarjar haalat se zyada kharab BRAWNY ke pitah ki haalat lag rahi thi jisse dekh MAHI ko unpar behad daya aayi...
MAHI-namaste uncle...mai MAHI...mai bhi BRAWNY ki hi tarah ek SAVENT hun...
MAHI ki baat sun dard me bhi halka sa muskura diye SHALTON jispar...
MAHI- BRAWNY,uncle ke haath ko kya hua...???
MAHI ke sawal par BRAWNY kuch kehta ki usse pehle...
NAOMI-us ladke ne tod diye inke haath jisne kal BRAWNY ko maara tha....
BRAWNY RAAZ ka naam nahi lena chahta tha.. RAAZ ka wo roop,aur wo beraham ATTITUDE dekh wo samajh gaya tha ki usse jitna door raho,utna sahi hai par teer kaman se nikal chuka tha...
usse kuch kehne se pehle hi uski maaa ne sach ugal diya tha...
wahin NAOMI ki baat sun hairani se palti unki taraf MAHI par piche palat jab uski nazar NAOMI ke chehre par padi toh usse aage kuch puchne ki zaroorat padi hi nahi....
reason..
is waqt NAOMI ke chehre par dukh,nafrat,tadap,bebasi sabhi bhaav clear dikh rahe the jisse dekh wo samajh gayi thi ki RAAZ ne hi ye sab kiya hai...
NAOMI ki baat sun aur unke facial expressions ko dekh MAHI ka chehra aur uska dil RAAZ ke liye nafrat se bhar gaya tha aur usne tay kar liya ki wo RAAZ ko nahi chhodegi...
wahin MAHI ke expressions ko dekh uske dil me chal rahi baaton ko guess kar liya BRAWNY ne aur isiliye...
BRAWNY-please MAHI..meri request hai tumse ki tum RAAZ se behes ya ladhayi mat karna...
BRAWNY ki baat par MAHI kuch kehne ko hui par tabhi...
BRAWNY-please MAHI...tumhe bhi pata hai ki ye INSTITUTION normal nahi hai aur naahi yahan ke rules...
yahan good,bad jaisa kuch nahi hai....kamzoron ko bully karna toh jaise yahan compulsory hai....
toh aise me kis kis se bachaogi tum mujhe...aur jahan tak baat RAAZ ki hai,toh MAHI, mere liye yaa fir kisike liye bhi please tum usse mat bhidna....
usse ulajhna sahi nahi hai....
BRAWNY ki is aakhri baat ko sun hairan ho gayi MAHI aur hona bhi chahiye... MAHI apne PHASE ki best SAVENT thi...sabse strong thi aur ye baat BRAWNY bhi jaanta tha fir bhi wo usse aisa keh raha tha toh aise me hairani toh hogi hai..
aur MAHI ki is hairani ko BRAWNY bhi samajh gaya tha isiliye....
BRAWNY-mai jaanta hun ki tum kya soch rahi ho MAHI..par yakin maano mera,mai sach keh raha hun...
RAAZ se ulajhne ka result kabhi bhi sahi nahi ho sakta...maine uski aankhon me dekha hai...ek khamosh paagal darinda hai wo...
jiski taakat ka shayad andaza bhi nahi lagaya jaa sakta....mujhe maalum hai ki tum abhi is PHASE ki sabse strong SAVENT ho..
first PHASE me SOUL ko 8 percent AMPLIFICATION karna bohot badi baat hai...tum se pehle toh aisa kisine kiya hi nahi...
par jaise tum aisi pehli ho jisne first PHASE me apne SOUL ko 8 percent tak AMPLIFY kiya hai thik waise hi RAAZ aisa pehla SAVENT hai jisne ek hi din me 2 baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya hai...
zara socho,agar last PHASE me usne actively classes me participate kiya hota toh kya wo tumse aage nahi hota...
tumhe lag raha hoga ki jisne mera mooh suja diya, mere pitah ka hath tod diya,mai uski tarafdaari kyun kar raha hun...
ye tarafdaari nahi hai MAHI,sach hai..aur sach se bhaagna sabse badi bewakufi hoti hai...
aisa nahi hai ki tum usse maar nahi sakti..mai jaanta ki tum ye kar logi..par uske baad kya...
tumne meri treatment ki,yahan mera haal dekhne aayi,isse pata chalta hai ki you have a good SOUL..
but RAAZ ka SOUL dark hai.. bohot dark...agar tumne usse hara bhi diya,usse maar diya toh bhi tum ye ek limit me hi karogi...
par maine mehsoos kiya hai uski aankhon me uski intensity ko...he is a DEVIL....
maar khaane me baad wo chup nahi baithega...he will make himself strong enough to handle you...
aur jab aisa hoga then he will come back for you...aur wo jab aayega toh sirf tumhe nuksaan nahi pahunchayega...
wo har us shaksh ko taklif dega jo tumhare kareeb honge...wo mujhe aur meri family ko bhi nahi chhodega...
so,why to set a base for self destruction...jaane do MAHI,leave it...
BRAWNY ki har baat bade dhyan se sun rahi thi MAHI....usse bhi ye jaankar bohot hairani hui ki RAAZ ne ek hi din me 2 baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya hai...
usse pata tha ki aisa karna is not a joke...khud usne bhi pichle PHASE me aisa karne ki sochi thi par har AMPLIFICATION ke baad body me itni shakti tak nahi hoti ki dobara apne CEREBRATION ko pause tak kiya jaa sake toh aise SOUL AMPLIFY karna toh bohot door ki baat hai...
par RAAZ ne aisa kiya hai...is baat se usse RAAZ ki us raat kahi hui wo baat yaad aa gayi ki jab usne kaha tha ki uska competition MAHI, ALFREEN se hai hi nahi...
waise darti toh MAHI kisi bhi haalat me kisise thi nahi.... BRAWNY ki baat sunane ke baad bhi usse RAAZ se dar toh laga nahi tha par haan, BRAWNY ki wo baat jisme usne kaha ki wo sirf usse nahi balki uske chahne waalon ko bhi nuksaan pahunchayega,wo baat sochne waali thi...
khair, BRAWNY ki baat sun....
MAHI-itni intellectual,deep aur door ki soch hai tumhari then how come ki tum abhi tak apne SOUL ko trigger nahi kar paaye ho...
mujhe lagta hai bas confidence ki kami hai tumme..usse jagao,then sky is just the limit for u
my friend...
jahan MAHI ki baat sun BRAWNY bas muskura diya wahin apne bete ki taarif sun NAOMI aur SHALTON behad khush hue...
NAOMI-beta,aap baitho..i will make some tea for you...
MAHI-no thanks AUNTY...i am good... mujhe jaana chahiye,mere friends mere ABODE me aate hi honge..
par jaane se pehle, ELUSORY....
MAHI ke naam pukarte hi ELUSORY uske saamne prakat ho gaya jisse dekh MAHI toh normal hi rahi but NAOMI, aur SHALTON,dono hi us ajeebo gareeb praani ko dekhkar hairan ho gaye the...
MAHI-ye ek ELUSORY hai..har STELLAR ki dekhbhal ke liye allot hota hai ye...kal BRAWNY ka ilaaj issi ne kiya tha..
ELUSORY,kya tum uncle ke haath ko thik kar sakte ho...???
MAHI ki baat sun ELUSORY SHALTON ki taraf badha aur aisa hote dekh SHALTON halka ghabra gaye the...
MAHI-relax uncle..isse ek doctor ki tarah samjhiye...
SHALTON ke paas pahunch unke halke mude haath ko touch kiya ELUSORY ne aur....
ELUSORY-inke elbow joint bone diaplace ho gaye hain...inhe sahi jagah baitha strap tape laga dene se within a week ye theek ho jaayenge...
ELUSORY ki baat sun MAHI kuch kehti,usse pehle hi...
NAOMI-kya sach me...toh fir jo karna pade karo par please inhe theek kar do...
MAHI-relax aunty...uncle bilkul theek ho jaayenge..
apni baat keh MAHI ne ELUSORY ko dekh haan me sir hilaya...
ab ELUSORY MAHI ka personal slave tha aur isiliye NAOMI ki baat sunane le baad bhi wo chupchaap khada MAHI ke approval ka wait kar raha tha aur jab MAHI ne haan kaha toh uske agle hi pal..
KDAKKKK....AHHHHHH....
ELUSORY ne un joint bones ko jo displaced the,unhe ek jhatke me unki sahi jagah baitha diya aur uske aisa karte hi SHALTON ki cheekh gunj uthi thi...
ELUSORY-relax....aapke bones apni sahi jagah par aa chuke hain ab bas unme strap tapes laga dun,fir mera kaam khatm...
apni baat keh ELUSORY ne apne hatheli aage ki aur uske aisa karte hi wahan strap tapes aa gayi jiske baad ELUSORY ne wo transparent strap tapes salike se SHALTON ke effected areas par laga diya...
kuch hi seconds me ye kaam ho gaya tha jiske baad....
ELUSORY-done...aapka pain kuch minutes me hi kam ho jaayega par fir bhi kuch dino tak apne haathon me pressure kam dijiyega....
anything else MISTRESS....???
MAHI-thanks ELUSORY....tum jaa sakti ho....
MAHI ki baat sun apne sir ko halka sa jhuka ELUSORY gayab ho gaya aur aisa hone ke baad...
MAHI-ok uncle,aunty....i will take your leave now..
MAHI ki baat khatm hi hui thi ki NAOMI aankhon me aansu aur haathon ko jod uske saamne khadi ho gayi jisse dekh...
MAHI-please aunty..aisa mat kijiye...jo mere bas me tha,maine bas utna hi kiya....
SHALTON-bas me har kisike kuch naa kuch hota hi hai beta... par har koi tumhare jaisa hota nahi hai...
MAHI-duniya ko jaise dekhenge uncle,wo waise hi lagegi...bohot negetives hain aas paas,par focus agar positives me rakha jaaye toh life smooth ho jaati hai...
apni baat keh NAOMI,SHALTON aur BRAWNY ko bye bol nikal gayi MAHI par jaane se pehle uske kahe aakhri shabd sun muskura uthe wo teeno....
PLACE-THE MEET
OH....MY.....GOD......
ek saath kayi ladkiyon ke mooh se aur bohot si ladkiyon ke man me gunj uthi ye baat....
reason.....
THE MEET naam ki is jagah par just abhi abhi ACCHUTA aur SLUNDER ke saath kadam rakha tha maine...
simple slim fit black tshirt aur blue denims me tha mai par i guess itna hi kaafi tha...
shaam ka waqt hai...kal institution se jaane ke baad thoda late nikle the hum teeno PHASE exploration ke liye issi liye waqt ki kami ko dhyan me rakh kal sirf shopping ki thi humne aur dusri jagah par jaane ka plan aaj ka banaya tha aur plan ke mutabhik aaj hum yahan hain,THE MEET me....
THE MEET...ye ek indoor sports aur get togethers ke liye perfect jagah hai...
youngsters ki bheed hone ke baawjud zyada shor nahi hota yahan aur isiliye hi humne yaa fir mai ye kahun ki SLUNDER ne zor dekar is jagah ko suggest kiya tha...
anyways, bandiyan mujhe taad rahi thi,par expressions ACCHUTA de raha tha....
ACCHUTA-bhai,ye toh jannat hai yaar...kasam se,yahin bas jaana hai maine...
SLUNDER-haan ball boy ki noukri par lag jaa..teri personality ko suit bhi karega...
ACCHUTA-bas, khol diya apne mooh ka gutter...saale,wo position tujhe suit karta hai mujhe nahi...
apna thikana toh in bandiyon ki aankhen hain, jinme doob gothe khaunga mai...
SLUNDER-saale kitna dillusional hai tu..ye saari bandiyon RAAZ ko dekh rahi hai,teri sadi hui shakal ko nahi...
ACCHUTA-abbe baap ko mat samjha saale..pata hai mujhe ki in sabki aankhen isse hi scan kar rahi hain...
par bhai,khaana kitna hi tasty ho,khaane ka ek limit toh hota hi hai naa..... RAAZ ka bhi hoga..uske baad toh apna hi number hai...
SLUNDER-chhii,kitni gandi soch hai teri..ladkiyon ko tu khaana keh raha hai...???
ACCHUTA-abbe khaane se pet bharta hai..par in bandiyon ko dekhne se toh mera dil,meri aatma tak bhar jaa rahi hai...
MAI-ye saari bakwas karne ke liye yahan aane ki kya zaroorat thi....???flat me kar lete toh kharcha bach jaata..
SLUNDER ke jawab se pehle maine apni baat kahi jisse sun..
ACCHUTA-haan bhai,tujhe toh hamari baatein bakwas hi lagengi...
saari khubsoorati upar waale ne tujhe gift kar di hai, options ki kami nahi hai tere paas..jisko bhi dekhega,usse teri ho jaani hai..
impression jamane ki mehnat,kisiko is chehre ke saath apna banane ki zehmat toh hum jaiso ke liye hi hai....
aakhri baat halki serious hokar kahi thi ACCHUTA ne jispar...
MAI-chehre toh kayi hain,jo KHUBSOORAT hain.....
par ishq agar surat se ho,toh ye ishara hai ki ROOH TABAAH ho chuki hai...
simple aur straight baat kahi thi maine par is baat ko sun ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen badi ho gayi...
unke nazar se maine kaafi gehri baat kahi thi...
khair,un dono ko surprised chhod mai bowling alley ki taraf chal pada aur mere piche piche wo dono bhi aane lage....
is dauran zyadatar bandiyan jinki nazar kuch der pehle mujhpar hi thi,ab wo sab apne groups me busy ho gaye the par ab bhi kuch ki nazar mujhpar hi thi aur in KUCH me se se ek thi MORANA jo jabse mai aaya tha,mujhe hi checkout kar rahi thi aur isiliye...
MORANA-mai aati hun...
uske baaju mai baithe ANWIR se ye keh MORANA meri taraf badh gayi...
MORANA ko mujhe checkout karna,ye baat uske baaju mai baithe ANWIR se chhupi nahi thi aur wo mujhse hi milne nikli thi,iska bhi usse andaza tha par filhal wo shaant hi raha....
khair,yahan mai bowling alley par pahunch chuka tha aur saath hi mere piche pahunch chuke the ACCHUTA aur SLUNDER aur jab unki nazar alley par gayi toh...
SLUNDER-what the fuck....???ye kaisi bowling hai...????
alley ko dekhte hi ye baat nikli SLUNDER ke mooh se...
reason....
yahan ki bowling alley normal bowling se alag thi....
jahan normal bowling me 10 bowling pins ek saath lage rehte hain wahin yahan maamla alag tha..
yahan bhi waise toh 10 pins hi the par un pins ki rakhawat bohot different thi...
zigsag position me woh saare pins alag one by one rakhe hue the... bowling alley ki lambayi aur chowdayi bhi normal alley se zyada thi....
SLUNDER ke baad jab ACCHUTA ki nazar hamare side me lage bowling rules ke paper par gayi toh...
ACCHUTA-ab ye kya chutiyaapa hai...???saala iske toh niyam bhi alag hain....
ACCHUTA ke baad jab SLUNDER ki nazar us rule par jo ki sirf ek hi tha,uspar gayi toh wo bhi haran hua..
aur wo isiliye kyunki niyam is bowling ka ye tha ki jahan normal bowling me kul do chances milte the wahin isme sirf ek hi chance milta tha...
ek toh pins ki ajeeb positions aur uske upar sirf ek chance....ye dono hi chizen is game ko aur tough kar rahi thi...
anyways, ACCHUTA aur SLUNDER ke reactions ko dekh....
MAI-tum dono baar baar bhul jaate ho kya ki tum SAVENTS ho... chizen, competition agar tough nahi hui toh fir SAVENT hone ka kya matlab...
CHIZEN TOUGH HO NAA HO, ATTITUDE TOUGH HONA CHAHIYE... AND I HOPE KI TUMME WO HAI...
ACCHUTA ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun jab wo dono palte toh unki aankhen badi ho gayi...
unke saamne ek bohot hi khubsoorat bandi khadi thi jo chalte hue aage badhi aur un dono ko cross kar mere saamne aakar khadi ho gayi....
MORANA-hye... MORANA.....
haath aage badhte hue meri aankhon me dekh kahi ye baat MORANA ne jispar maine bhi uska haath mila liya aur....
MAI-RAAZ.....
mere haathon ki sakhti ko mehsoos kar...
MORANA-strong touch...waise aisa kya chhupaya hai tumne ki naam bhi RAAZ rakhna pada....!!!!
MAI-bata diya toh fir chhupane ka kya faayda....???waise ek RAAZ toh tumhare naam me bhi hai..
MORANA-matlab....!!!
MAI-tumhara naam,MORANA.... GODDESS OF DEATH hota hai iska matlab.....RAAZ hi toh hua naa ye..i am sure zyada logon ko nahi pata hoga ye....
(SLAVIC MYTHOLOGY KE ANUSAAR)
MORANA-zyada..!!!tum pehle ho jisne ye figure out kiya hai and i must say i am impressed....
ek hi PLANET se ek hi batch me ek saath teen SAVENTS ka ek saath aana jinme se ek tum the,fir achanak mid PHASE se gayab ho jaana,fir by default WEAKLINGS me select hona,aur fir ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kar GROOMERS me select hona,ab samajh aa raha hai ki kyun tum mujhe first time dikhte hi alag lage the....
MAI-impressed toh mai hun.mere baare me kaafi kuch jaanti hi tum...
MORANA-well i have my sources..aur jo chiz MORANA ko pasand ho,uske baare me sab kuch jaanane ka haq sirf MORANA ko hi hai...
MAI-CHIZZ...!!!mai koi chiz nahi hun MORANA....mai wo RAAZ hun jiske chhupe rehne se mout milti hai aur khul jaane se zindagi chali jaati hai...
MORANA-agar mai kahun ki mai is RAAZ par marna chahti hun toh...!!
behad lusty tarike se meri aankhon me jhaank MORANA ne kahi thi ye baat jisse mere saath piche se kaan lagaye ACCHUTA aur SLUNDER bhi sun rahe the...
ACCHUTA-bhai.... RAAZ ka iman dole naa dole,mera sab kuch dol gaya hai...
kasam se,jitne seducing way me ye RAAZ se baat kar rahi hai,agar uska 1 percent bhi ye mujhpar apply kar de toh khushi khushi mar jaaunga mai...
SLUNDER-haan,teri khushi dikh bhi rahi hai tere pant me....
SLUNDER ki baat sun ACCHUTA ki nazar turant apne neeche gayi jahan is waqt halka erection saaf dikh raha tha jisse turant adjust karte hue...
ACCHUTA-abbe saale,itni hot ladki khadi hai saamne aur tu mere pant par nazar gadaye hai...saare purze toh thik hai naa....
wahan ACCHUTA aur SLUNDER apni behes me lag gaye the aur yahan apni baat keh mere haathon ko jo ab bhi MORANA ne chhoda nahi tha,usse halka aur dabate hue wo mujhe dekhe jaa rahi thi...
kuch der tak MORANA ko dekh mai kuch kehne ko hua par tabhi...
HYE RAAZ......
ACCHUTA aur SLUNDER ke piche se ye awaaz aayi thi joki MABEL ki thi jisse sun meri nazar ke saath MORANA ka sir bhi us awaaz ki taraf ghuma...
hamare saamne MABEL ke saath ALFREEN aur MAHI khade the....
kuch der pehle THE MEET me enter karte hi nazar ghumati hui MABEL ne mujhe dekha tha...
kyunki MORANA ka sir meri taraf tha isiliye usse usne nahi pehchaanana tha...
meri taraf point kar usne ALFREEN, MAHI aur VALDIS ko mujhe dikhaya aur meri taraf aane lagi aur MABEL ke saath ALFREEN aur MAHI bhi meri taraf badh gaye the...
MAHI toh mujhse baat karna nahi chahti thi par agar wo nahi aati toh usse ALFREEN aur MABEL ko jhute reasons dene padte aur isiliye wo bhi unke saath holi...
aur VALDIS,usse toh mujhe dekh ghussa aa gaya tha par kar wo kuch filhal sakta tha nahi isiliye washroom ka bol wo dusri taraf chal diya tha...
khair,jahan MORANA ko dekh MABEL, ALFREEN aur MAHI,un teeno ke chehron par hi naapasandi ke bhaav dikhne lage wahin MORANA ko bhi unhe dekhna acha nahi laga.....
par MORANA jaanti thi ki bhale hi filhal meri catagory MAHI, ALFREEN aur MABEL se alag thi,par the toh hum PHASE MATES..
uske upar MAHI,ALFREEN aur mai toh ek hi PLANET se the toh aise me usse mere saamne un teeno se bhidna yaa unhe taunt karna thik nahi laga isiliye usne wahan se filhal jaane ki sochi par jo yunhi chali jaaye toh fir wo MORANA toh ho nahi sakti aur isiliye...
MORANA-ok RAAZ...it was very lovely to finally meet you...but filhal mujhe jaana hai...khair,ab toh mulakatein hoti hi rahengi....
aakhir baat keh MORANA aage badhi aur.....
MUAAH.....
apne honth se halka sa signature kar diya usne mera gaal par jiske baad ek baar aur halka sa daba usne mere haathon ko chhoda aur ek nazar un teeno girls par daal jo mujhe aur MORANA ko aankhen faade dekh rahe the,ek look de,wo chali gayi aur uske jaate hi...
ALFREEN-lagta hai pops ko batana padega ki unka ye ladka bada ho gaya hai aur ab tumhara ghar basane ka waqt aa gaya hai....
MAI-tumhare is sade joke par hasun yaa sharmaun,ye bhi bata do...
MABEL-RAAZ...tum MORANA ko kabse jaante ho...???
MAI-paanch minute se...
MAB-what...???
MAI-arre first time mila hun...
MABEL-aur first meeting me hi usne tumhe kiss bhi kar diya...
MAI-kyun...???kya hamari first meeting me maine tumhare haathon ko nahi chuma tha...???
mere counter sawal ko sun halki hadbada gayi MABEL...
ALFREEN-but RAAZ..??she is not a good girl....
MAHI dheere se-toh ye kaun sa accha hai....
MAHI ne dheere se kahi ye baat jisse samajh naa paane ki wajah se....
ALFREEN-kya kaha...???
MAHI-maine kaha ki it's his life yaar....jisse chaahe pasand kare...
ALFREEN-arre,aise kaise...???tujhe bhi pata hai ki she is not a nice girl...
MAI-girls,ye faaltu ke discussions band karo aur Chalo,lets bowl....
ACCHUTA, SLUNDER....wahan kya kar rahe ho,yahan aao....
ACCHUTA aur SLUNDER jo MORANA ka mujhe kiss karne ko ab bhi digest karne me lage hue the,meri awaaz se jaisi unki tandra tuti aur wo dono mere paas aa gaye...
mere topic change karne se girls ka aadha dhyan toh MORANA waale baat se hath hi gaya tha,baaki ka adha mere ACCHUTA aur SLUNDER ke unse intro karane ke baad hath gaya...
intro ke dauran bowling area me jahan mai ek bowl lekar khada tha,wahan apni bowl lene pahunchi MAHI toh....
MAI-baat wahi karni chahiye jisse dobara puche jaane par badalna naa pade...
meri baat sun chownki MAHI...usse andaza ho gaya tha ki mai uski ussi baat ke baare me keh raha hun jo pehle usne dheere se kahi thi par fir ALFREEN ke puchne se usne baat ko badal diya tha....
usse is baat par hairani ho rahi thi ki jo baat uske baaju me khadi ALFREEN sun nahi paayi thi usse mai jo halka door khada tha, kaise sun liya tha...???!!!
khair, jawab toh usse dena hi tha aur isiliye...
MAHI-sawal agar sidhe tumne pucha hota toh jawab mera kabhi nahi badalta...
par unfortunately,sawal ALFREEN ka tha..ussi ALFREEN ka jiske maa baap tumhe apna beta maante hai...
aur agar ALFREEN ke through bhi unhe tumhare asli chehre ke baare me pata chal gaya toh unhe bohot bura lagega aur yahi nahi chahti mai...
MAI-tumhare chahne naa chahne se koi fark padta hi nahi hai...jo hona hai,wo toh hoga hi...
sahi,galat,acha bura se upar uthne ka hunar nahi hai tumme...aur bina us hunar ke tumhari awaaz aur us awaaz se nikli kisi bhi baat ka koi saar nahi....
lakshya agar clear naa ho,toh nishana kitna bhi clear kyun naa ho,wo thik se lagega nahi par agar laskhya behte paani ki tarah saaf hai, toh nishana lagane ki zaroorat hi nahi...
KHADGGGH.....
apni baat keh bina saamne bowling alley ko dekhe apne haath me pakdi bowl ko feka maine us alley me jiske baad wo bowl zig zag pattern me ghumta hua ek ke baad ek pure 10 pins se takraya aur
TNNNNN....
score board par ek bada sa X ban gaya jiska matlab tha STRIKE.....
jahan mere perfect shot ko dekh ALFREEN aur MABEL ne clap kiya,aur unka saath diya ACCHUTA aur SLUNDER ne wahin MAHI ki aankhen hairat se badi hi gayi....
reason....
jis score ko haasil karne ke liye usse bohot focus ke saath bowl karna padta tha usse maine bina dekhe hi achieve kar liya tha...
aur aisa hote dekh uske dimag me meri kuch seconds pehle kahi baat gunj uthi ki....
AGAR LAKSHYA BEHTE PAANI KI TARAH SAAF HO,TOH NISHANA LAGANE KI ZAROORAT HI NAHI....
PLACE-FORBIDDEN FOREST....
SIR NEECHE KYUN JHUKE HUE HAIN TUM TEENO KE.....????
THE THREE DEVOTEES.....
yahi kehlate the wo teeno jo is waqt VIDEOUS ke saamne sir neeche jhukaye khade the aur unki issi harkat ko dekh sawal pucha tha VIDEOUS ne....
THE THREE DEVOTEES....VIDEOUS ke andar panapte BLACK ENERGY se bane burayi ke teen aise pratik hain jinki rachna VIDEOUS ne aaj se 25 hazar saal pehle ki thi...
kyun,ye aage pata chalega....
VIDEOUS ke sawal ko sun....
1ST DEVOTEE-aapke aadesh par wo kaam jo is INSTITUTION ki shuruat se nirantar hum karte aaye hain,pehli baar aisa hua hai ki hum us kaam ko karne me asafal rahe hain...
aur isse zyada sharm ki baat aur kya ho sakti hai...???
VIDEOUS-sharm auraton ka gehna hota hai...ye gehna hum jaise paapiyon par acha nahi lagega isiliye isse utar kar fek do...
aur rahi baat tumhare kaarya me viphal hone ki toh MAHI baaki SAVENTS se alag hai.....
kuch hai usme jo usse har manupalation se bachata hai... isiliye hi tum teeno ka AURA uspar nahi chhad saka...toh us baare me sochna chhodo....
(NOTE:-yaad hoga aapko doston ki MAHI ke SOUL trigger hone ke baad raat ko uske ABODE me koi uske dimag me ghusne ki koshish kar raha tha..wo koi ye teeno hi the...)
apni baat kehne ke baad VIDEOUS ki nazar apne second DEVOTEE ki taraf gayi jiske chehre par bhi sawal the aur isiliye...
VIDEOUS-us din RAAZ ne mujhe dhakka dekar gira diya tha,aur mai gir bhi gaya tha,aisa kaise ho gaya...???yahi janana chahte ho...???
us dusre DEVOTEE ko dekh kahi ye baat VIDEOUS ne jispar...
2ND DEVOTEE-maaf kijiyega LORD....mai ye sab sochna nahi chahta tha par baar baar wo drishya mere dimag me ghumte rehta hai...
VIDEOUS-ek baat hamesha yaad rakhna... VIDEOUS ka shatru VIDEOUS se sirf tabhi aage jaa sakta hai jab khud VIDEOUS aisa chahta ho...
RAAZ ne mujhe giraya nahi tha,maine usse khudko girane diya tha...
tumne sirf wahi dekha jo wahan moujud baakiyon ne dekha tha..wahi samjha jitna mai samjhana chahta tha...
jo tumhari aankhen nahi dekh paayin,tumhari buddhi nahi samajh paayi wo hai ye....
apni baat keh VIDEOUS ne apne dono haath aage kiye aur jab aisa hua toh....
uske right haath me ek behad strong urja banane lagi aur left me prakat hua ESPRIT CRYSTAL...
URJA aur ESPRIT CRYSTAL ke haathon me prakat hote hi VIDEOUS ne kuch baatein batayi jisse sun teeno DEVOTEES man hi man apne LORD ki buddhi ke aage natmastakh ho gaye...
wo BLACK ENERGY jisse un teeno ka astitv tha,wo bhi ek baar firse VIDEOUS ki kaayal ho gayi....
khair,puri baat bata...
VIDEOUS-mai kriya aarambh kar raha hun.....apni puri shakti ke upyog se mujhe chaaron taraf lapeto....
jo kriya VIDEOUS karne wala tha, usme RAAZ se related bhi chiz thi jisse VIDEOUS ke upyog me laate hi usse pata chal jaana tha isiliye VIDEOUS ne apne DEVOTEES ko chakkar lagane ko kaha tha kyunki un teeno ke aisa karne se har urja aur uski shakti ek ghere me bandh jaati aur kisiko kuch pata nahi chalta....
VIDEOUS ke aisa kehte hi SOUL FORM me khudko badal wo teeno DEVOTEES hi ek dusre se jud VIDEOUS ke chaaron taraf tezi se ghumne lage aur jab aisa hua toh...
SAMPLAVAYATI SHAKTIYEM.....
apni aankhen band kar apne dono haathon ko paas laate hue is DARK SPELL ko uccharit kiya VIDEOUS ne jiske baad ek behad strong force uske haathon me banane lagi...
ye force itni zyada thi ki teeno DEVOTEES jo is waqt VIDEOUS ke chaaron taraf light speed se ghum rahe the,wo bhi thartharane lage the...
unki formation dagmane lagi thi jisse wo apni puri shakti nichod tutne se rok rahe the...
itna hi nahi, SPELL bolte hue jaise jaise VIDEOUS ke dono haath paas aa rahe the,waise waise VIDEOUS ke jabde sakht hote jaa rahe the...
usse apne dono hi haathon me behad bhaar mehsoos ho raha tha jisse kisi tarah sambhale hue SPELL uccharit kar wo paas laaye jaa raha tha..
kuch seconds yunhi chala par fir....
wo URJA aur ASPRIT CRYSTAL judkar ek ho gaye aur aisa hote hi VIDEOUS ne un dono ke mishran ko apne saamne rakhi ek CHEEZ ke upar kar diya aur aisa hote hi us CHIZ ne saharsh us CRYSTEL ko khudme samet liya...
kriya khtam ho chuki thi aur aisa hote hi teeno DEVOTEES ka naa sirf ghumna rook gaya balki...
DHAMMM...DHAMMM...DHAMMM
ek ke baad ek teeno zamin par gire aur behosh ho gaye aur aisa hote dekh muskura utha VIDEOUS aur....
VIDEOUS-
tohfa taiyar hai,sahi waqt par
tujhe DUNGA...
kisne socha tha ki kahani ka aisa
bhaag bhi mai LIKHUNGA.....
jitna dil kare,aage badhta jaa tu,
baazi tu jeet,kyunki JUNG sirf
mai JEETUNGA....
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J.....
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GROOMERS CLASS KO JOIN KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF WOOGER GRIFFIN SE EK DEAL KE TAHAT FALLON KA NAAM AUR CHEHRA JAAN JAATA HAI.