• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,240
189
Kya shaandaar aur fadu update diya bhai maza aa gaya. Aaj bahut dino baad is story me achanak se aapne interest ka tadka maar diya. Excitement badh gaya. Weeklings me 5 jane mil kar participate karenge jo hor koi special quality of god gifted he. 1 month kafi hoga inki preparation aur ability ko badhane k liye. Aur sabse khas baat inko represent Raaz karega. Wah mind blowing. Waiting for next. And congrats for such a nice update and marvelous writing skills.
5 nahi 3 Brother....RAAZ,HIDA aur BRAWNY
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,240
189
guyzzz,socha tha ye meri yahan last kahani hogi...

par ek nayi kahani ka plot dimag me kaafi time se ghum raha hai..

genre-ROMANTIC/ACTION.....



agar saara ganit dimag me baitha liya toh is kahani ke kuch waqt baad usse shuru karunga...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,240
189
guyzzz,socha tha ye meri yahan last kahani hogi...

par ek nayi kahani ka plot dimag me kaafi time se ghum raha hai..

genre-ROMANTIC/ACTION.....



agar saara ganit dimag me baitha liya toh is kahani ke kuch waqt baad usse shuru karunga...
 

Naik

Well-Known Member
20,993
76,657
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF APNE DEVOTEES KE THROUGH VIDEOUS KO PATA CHALTA HAI KI RAAZ NE ACCHUTA AUR SLUNDER KE PARENTS KO MAAR DIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF ELABORATION CLASS KE DEMONSTRATION ME EK BAAR PHIRSE RAAZ MABBA KE CHALLENGE KO JEET JAATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-93



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S



GROOMERS CLASS:-






SAMPURN AANANDITAM....


is SPELL ko bole kareeb 1 minute nikal chuke the ACCHUTA aur SLUNDER ke jisme pure josh,dhairya aur dridh nishchay ke saath woh dono hi apne first REFINER ko COMPLETE POWER tak pahunchane ke liye lage hue the..

aur aisa karne ka kaaran is waqt unke antarman ke kissi kone me zoron se ufan raha tha...

kaaran.....


RAAZ-apne vicharon ko do bhaagon me baaton...ek bhaag ko ye soch kar khush hone do ki ek dost ne tum dono ki aaj madad ki...

tumhare saamne aakar tumhe bachaya wahin apne vichar ke dusre bhaag me khudke yogyata ko tolo....

agar aisa karoge toh ek sawal puchega tumse hi tumhara khudka dimag...

sawal ki kyun tum dono khud itne yogya nahi ho ki bade se bade khatre se naa sirf bhidh paao balki us khatre ko hara bhi paao...

ek baar apni aankhen band kar us chiz ke baare me socho,jisse tumhe sabse zyada lagaw hai aur phir ye socho ki kya us chiz ki hifazat ke liye saksham ho tum yaa phir uske liye bhi mujhe hi saamne aana hoga...!!!

ANNJAVI SAMUDEYA BINJAVATI..ye wahi SPELL hai jo tumse pehli mulakat ke waqt bola tha maine jiske prabhav se tumhe apne andar ek khaalipan sa mehsoos hua tha...

woh khaalipan us GOD GIFT ke aadhe bhaag ke copy hone se tumhe feel hua tha,jo tum dono aur tumse jude tumhare planet ki shakti ke mujhme transfer hone se aaya tha...

us GIFT ka aadha hissa abhi bhi tum dono ke andar hai aur jiski wajah se tum yahan ke baaki SAVENTS se yogyata me kaafi aage ho..

par har yogyata ko kadi mehnet se hi nikhara aur badhaya jaata hai jo tum dono abhi tak nahi kar paaye ho...

isiliye mehnet karo ACCHUTA, SLUNDER.. aisi mehnet jisse tumhare andar chuppi sone rupi ability nikhar jaaye....

jin do logon ne tum dono ke maata pitah aur saath me tum dono ko bhi 18 mahino tak behosh rakha tha,tum dono me itni kaabiliyat hai ki agar usse kaam me le aao toh un do jaise 10 par bhi bhaari padogo tum dono...

yaad rahe,waqt kisika nahi hota...ye kab palat jaaye, koi nahi jaanta.. isiliye jab tak ye tumhare paksh me hai,khudko is kaabil bana lo ki jab ye tumhare virudh ho,toh bhi tumhara kuch naa bigad paaye....


FORBIDDEN FOREST ke second din ki activity start hone se pehle MABBA se jis tarah RAAZ ne unhe bachaya tha jisse woh dono kaafi khush hue the,uske baad jab woh teeno GROOMERS group ke saath dusri jagah jaa rahe the,tab un dono ke chehre ki khushi aur uske reason ko samajh RAAZ ne ye baatein kahi thi un dono se aur yahi wajah thi un dono ke aaj ki focus ki....

RAAZ ke kahe shabd jab tak unke zehen me gunje,tab tak ek aur chiz ho chuki thi...

ek tez roshni se naha utha tha ACCHUTA aur SLUNDER ka antarman jiska matlab tha ki apne first REFINER ke complete power ko activate kar liya tha un dono ne aur isiliye jab un dono ki aankhen khuli toh...


REGIS-congrats ACCHUTA, SLUNDER...aaj tum dono ne apne first REFINER ko completely activate kar liya hai....

kamal hai,pehle RAAZ aur ab tum dono....yahan is catagory ke saare SAVENTS ab bhi normal grow kar rahe hain par WEAKLINGS se hote hue yahan pahunche tum teeno itne aage nikal gaye ho....

EDWINA-nikle bhi kyun naa...??aakhir hai toh ye dono bhi RAAZ ke dost....asar toh hoga hi...

toh ACCHUTA, SLUNDER, apne apne first REFINER ko COMPLETE POWER tak ACTIVATE kar lene ki wajah se aap dono ke SOUL bhi 4 percent tak AMPLIFY ho chuke hain aur isiliye kalse aap dono GROOMERS class me nahi balki STELLARS class me as STELLARS join karenge....

aur aaj shaam tak aap dono ke apartments me aapke personal ELUSORIES aap dono ko aapke ABODES me le jaane ke liye aa jaayenge...

ACCHUTA/SLUNDER-thanks WHIZZ,thanks WHIZZDERS...humari achievements aap sabke guidence ki wajah se possible ho paayi hai...

EDWINA-aur hume ye ummid hai ki aap dono STELLARS me bhi aapke friend RAAZ ki hi tarah apne achievements ka loha manwayenge....

ACCHUTA/SLUNDER-we will give our best WHIZZ.....







PLACE-LIBRARY






ARCHIVE.....SOURCE MATERIAL AUR HISTORICAL DOCUMENTS KE RECORDS RAKHNE KI JAGAH....

ANOTHER WORD LIBRARY....



CHOSENS ke vishalkaay library ke saamne apne kamar par dono haath tikaye kahi ye baat maine...

filhal aadhi RAAT ka waqt hai aur is waqt mere yahan hone ka reason hai wahin ehsaas ho aaj demonstration ke waqt mujhe hua tha...

darasal aaj demonstration ke waqt jab RICIN naam ke us saanp ke zeher ke aur MABBA ke HYNOTIZE spell ke asar se mere chaaron AMPLIFICATION modes nishkriya ho gaye the,tab mere HEART ne mere body ka pura control khud par le liya tha aur phir jab usne mere chaaron AMPLIFICATION modes ko thik karna chaalu kiya toh mere BRAIN aur SOUL me ek saath wo paheli gunji jo SHAILA ne boli thi..

aisa karte karte hi maine woh dono SPELLS uccharit kiye the jinse meri state thik ho jaaye aur ye wahi waqt tha jab RICIN ko khatm karne ke liye mere HEART ne bhi ek VINASHAKAM SPELL uccharit kiya tha par jab aisa hua aur mere HEART se ek energy nikal RICIN se takrayi aur woh mar gaya,uske baad bhi meri woh ENERGY rooki nahi aur bijli ki gati se pure CHOSENS me fail gayi aur tab maine ek alag hi chiz notice ki aur woh alag chiz thi,ye LIBRARY...

alag ye ki jo library maine aankhen band kar subah dekhi thi,woh waisi nahi thi jo filhal mere saamne hai yaa phir ye kahun ki jo philhal CHOSENS ka hissa hai...

mere saamne khadi ye LIBRARY ki building safed colour ki hai jabki jo building mere HEART ke energy ne mujhe dikhayi di,uska colour grey tha...

aur jaisa ki SHAILA ne bataya tha, PROHIBITED ARCHIVE ko band karne ke baad woh gayab ho gayi thi,iska sirf ek hi ganit nikalta hai ki hi naa ho,wo ARCHIVE LIBRARY ka hi hissa tha jisne khudke saath puri library ko hi gayab kar liya tha aur aisa hone ke baad yahin issi jagah par nayi library ka nirman hua tha...

par ek gayab ho chuki jagah ko hi dikhaya tha mere FIFTH AMPLIFICATION MODE ne jiska sirf ek hi matlab ho sakta hai aur woh ye ki woh jagah sirf adrishya hui hai,par hai woh jagah abhi bhi yahin par....

aur ab mujhe ye bhi samajh aa chuka tha ki kyun jabse VIDEOUS CHOSENS aaya hai,tabse uska zyada waqt yahan library me guzarta hai...

darasal woh bhi us PROHIBITED ARCHIVE ko dhund raha hai joki mujhe lagta hai ki usse ab tak nahi mili hai kyunki agar aisa nahi hota toh aaj maine us jagah ko sense nahi kiya hota...

khair,jagah ka ganit toh clear tha,aur ab baari thi,paheli ke ganit ko samajhne ki....

jiska mere hisaab se abhi ke liye sabse important bhaag tha....


"APNI ZAROORAT KO TYAG,AAJA MERE PAAS"....

meri zaroorat....kya hai meri zaroorat abhi....????meri shaktiyon ko enhance karna...

aur shroth kya hai,is enhancement ka,mere emotions....mere emotions me chhupi shakti hi mujhe baaki SAVENTS se alag karti hi...

aaj subah jis tarah mere HEART ne mere baaki chaaron AMPLIFICATION modes ko control me kiya,usse ye saabit hi gaya ki mere chaaron AMPLIFICATION modes ke beech basi meri heart ek aisa emotion se bhara energy contain karti hai jisse jud mere baaki ke chaaron modes ki shakti bhi automatically badh jaati hai...

so the whole point is ki filhal meri zaroorat hai apne fifth AMPLIFICATION mode matlab heart aur usme base emotion ko tyagne ki....

jis shroth ke through mujhe apni shakti badhani hai, mujhe pehle ussi shroth ka tyag karna hoga....

par kaise kar paaunga mai aisa....???

kehte hain ki sawal utna hi PECHIDA hota hai jitna humara dimag usse banata hai...

isiliye zyada dimag lagane se acha hai ek baar palat kar apne purane experiences ko dekh lo...

aur aisa mai yahan aate waqt kar chuka tha..

aur filhal jo experience mere kaam aane waala hai,woh zyada purana nahi tha..

ye wahi experience tha jo mujhe kuch din pehle PARIVARTAK ke through mila tha...

jisme mai apne raichaita se mila tha....

mujhe ek baar phirse woh kriya dohrani thi jisse kar mujhe apne emotions mile the...

GOD.....jinke through mujhe mere emotions mile the aur aaj ek baar firse unhike through kuch der ke liye mujhe ussi emotion ka tyag karna tha....

maine apni aankhen band ki aur aisa karne je agle hi pal mai thoda hawa me uth gaya...

reason...

ye CHOSENS hai... VIDEOUS ke hisaab se bani duniya..ispar apne pair rakh agar mai GOD ko lekar koi kriya karun, toh pata lag jaayega usse...

khair,hawa me uth maine apni aankhen band ki aur agle hi pal apne CEREBRATION process ko paused kar apne andar jhaankte hue us shakti ke samandar ko khojne me lag gaya jisse sab THE ALMIGHTY kehte hain....

GOD ki shakti urja se hi mere chaaron AMPLIFICATION modes ke andar chhuppi emotions bahar aaye the isiliye mujhe pura yakin tha ki mere emotions ke andar us urja ke kan zaroor moujud honge aur mera ye andaza bilkul sahi nikla..

kuch der tak apne andar jhaankne ke baad mujhe mere HEART ke madhya ek bohot hi baarikh par tez aur strong urja ka ehsaas hua jiske baad mera pura concentration ussi urja ki taraf mood gaya aur jab aisa hua toh..

us halki aur baarikh si urja ke dayre me vistaar hone laga aur dekhte hi dekhte mere andruni sharir ka har bhaag us urja ke kiran se chamakne laga aur jab aisa hua toh aur us urja ne mere BRAIN ko chhua toh usse mere bina kuch kahe hi mere khwahish ka pata chal gaya aur isiliye...

kuch hi seconds me woh saari urja wapas mere HEART me shrink ho gayi jiske agle hi pal wahan se ek nayi urja bahar aayi joki meri emotion thi aur mere seene se hote hue bahar nikal gayab ho gayi...

aur jab aisa hua toh mai neeche gir gaya...

jaise ki ek sach ye hai ki meri normal shaktiyan baakiyon ee zyada strong hai waise hi ek sach ye bhi hai ki meri AMPLIFICATION modes ke vistar se mili taakatein bhi mere emotions se connected hain aur ab kyunki mere emotions mere paas nahi the isiliye filhal mai back to zero pahunch chuka tha..

bina koi metaphisycal capabilities ka SAVENT par ye sirf kuch der ke liye hi tha isiliye mera dhyan is taraf gaya hi nahi aur mere kadam library ki taraf badh gaye...

CHOSENS ki library ke main gate me naa toh koi lock lagta tha aur naahi usse band kiya jaata tha...

ye 24/7 khula hi rehta tha isiliye mai bina kisi rukawat ke library me ghusta chala gaya par jaise hi mere kadam library me pade toh...

bohot aage LIBRARY ke ek bhaag me kampan hui jo maine saaf mehsoos ki aur aisa hote hi mere kadam us disha ki taraf badh gaya...

ye library kaafi badi thi jiska har bhaag kayi 100 metres tak faila hua tha...

kampan mere thik saamne ki taraf se ho rahi thi isiliye mai tezi se ussi taraf badhne laga..

aisa karte hue mai kuch hi der me library ke us bhaag ke dead end me khada tha aur jab mai wahan tak pahuncha toh woh ho rahi kampan bhi band ho gayi...

ab kya karun,mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi phirse mujhe apne dakshin ki taraf se kampan feel hone lagi isiliye mai turant us disha ki taraf badh gaya par jab kuch der baad mai us disha ke bhi dead end par pahuncha toh naa toh mujhe aage kuch karne ka suraag mila aur saath hi woh kampan bhi ek baar phirse gayab ho gayi...

mai idhar udhar dekh hi raha tha ki ek baar phirse mere uttar disha ki tarad bane blocks se mujhe kampan mehsoos hona shuru hua aur isiliye ek baar phirse us vibrations feel hone waali jagah ke liye mai kadam badhane ko hua par tabhi...

mere BRAIN me SHAILA ki kahi gayi PAHELI ka line gunj sa gaya...


"MUJHE WAHIN DHOOND PAAYEGA JO MUJHE TALAASHEGA NAHI...."


aur is line ke BRAIN me gunjte hi mere pair rook gaye aur dimag chalna shuru hua...


MAI-agar woh paheli sach hai toh ye kampan ka hint sirf ek bhram hai...

aur ye bhram isiliye create kiya gaya hai taaki mai is kampan ki disha ka anusaran karte hue talash shuru karun par kahin pahunch naa paaun kyunki talashna hi toh nahi hai mujhe....

ye thought dimag me aate hi mai us kampan ho rahi jagah ka rookh naa kar dusri disha ki taraf badh gaya...

aur jab maine aisa kiya toh woh kampan automatically band ho gayi...ab mai yunhi library ke har part ka chakkar lagane laga...

ab mai yunhi library ke chakkar lagane laga par jab mujhe chakkar lagate lagate kaafi der guzar gaya aur kuch bhi nahi hua toh mujhe thodi hairani hui...

aage kya karna hai,ye mai sochne laga..yunhi sochte hue jab maine gour kiya toh paaya ki is waqt mai wahin khada hun jahan kuch der pehle mere brain me un ho rahe vibrations ki disha me naa jaane ka khayal aaya tha...

aur jab ye thought mere brain me aaya toh...


MAI-oh shit....ye kaise bhul gaya mai...mere us kampan feel hone waali jagah ki taraf naa jaane se kampan band ho gayi thi jiska matlab hai ki ye jagah mere har bhaav ko mehsoos kar rahi hai....


"MUJHE WAHI DHUND PAAYEGA JO MUJHE TALAASHEGA NAHI ka matlab sirf paida hone waale bharm ki taraf aakarshit hona bhar nahi hai,balki us khayal ko bhi nahi ubharne dena jiski wajah se mai yahan hun...

aage ka ganit clear ho gaya tha mujhe....

mai us PROHIBITED ARCHIVE ki talash me hun yahan,maine is thought ko bhi apne brain me suppress kar liya aur aisa kar mai aage badha...

abhi mai kuch kadam hi aage badha tha ki tabhi.....

DHAABBBB...DHABBB....DHHABBB....

ek ke baad ek kayi saari books ek khaali jagah se apne aap nikal mere sharir me padne lage...

ye bohot achanak aur tezi se ho raha tha jisse mai apni normal SAVENT ability se puri tarah dogde nahi de paa raha tha...

is achanak waar se mai lagatar piche hota chala jaa raha tha...

ek aur ajeeb baat ho rahi thi aur woh ye ki mujhe hit karne ke baad woh books neeche zamin par maa girkar gayab ho jaa rahe the aur wapas ussi khaali point se nikal meri taraf badh rahe the...

kaafi der tak un books ki maar jhelte hue maine dhyan se us point ki taraf dekha jahan se woh books prakat ho rahe the aur jab maine aisa kiya toh...

maine dekha ki books ke prakat hone se pehle ek behad halki si roshni us point par jagmagati hai aur ussi roshni ke andar se woh books nikalte hain...

is ganit ko samajhne ke baad jaise hi agla book mujhse takrane ko hua,maine usse pakad liya aur thik tab jab woh roshni jagmagane ko hoti thi,maine book ko uski taraf nishana laga fek diya aur tabhi...

ab baat ye hai ki har SAVENT ka nishana perfect hota hai aur isiliye mera nishana bhi achuk nikla...

maine dekha ki meri pheki woh book exactly us roshni se takra gayi thi par aisa hone par us roshni ke kan ne book ko khudme absorb kar liya aur phir same prakriya phirse shuru ho gayi...

iske baad kayi books meri taraf aaye,kuch mujhe lage aur kuch ko catch kar maine us roshni ki taraf pheka par natija kuch bhi nahi nikla...


MAI-nishana toh sahi lag raha hai par kuch ho nahi raha,kyun...???

khudse pucha maine ye sawal aur aisa hone ke agle hi pal apne sir par zor ka haath maara maine...

reason...


MAI-"NISHANA USSIKA LAGEGA JO NISHANA SAADHEGA NAHI"...

jaisa ki maine bataya ki har SAVENT ka nishana perfect hota hai,aur shayad yahi wajah thi ki paheli me nishana naa saadhne ki baat kahi gayi thi....

paheli ki woh line yaad kar aur uske arth ka avlokan kar is baar book ko catch kar maine usse bina nishana lagaye bas yunhi saamne ki taraf phek diya aur jab aisa hua toh woh book udti hui gayi aur us roshni ke baarikh kan ko naa chu uske side se nikal gayi aur tabhi....

2 chizen hui...

pehli...book ka us roshni ke kan se nikalna band ho gaya...

dusri...wo roshni ka kan kuch seconds waisa hi raha par phir woh dheere dheere expand hone laga aur dekhte hi dekhte kuch hi der me wo kan wahin zamin se 6 feet upar ek bade se darwaze me convert ho gaya.....

ek ulta roshni se jagmata darwaza jiske dono doors pure khule hue the...

us darwaze ko dekh mai samajh gaya ki yahi hai PROHIBITED ARCHIVE ka entrace door....

yahan mere dimag me ye baat gunji aur wahan woh door band hone laga...

kuch der pehle un books ke lagatar hitting ki wajah se us door waali jagah se kaafi door aa chuka tha..

aur maine aaklan kiya ki jis speed se woh door band ho rahi hai,us hisaab se agle 5 seconds me woh door puri band ho jaayegi..

is waqt mai us door se kareeb 100 metre door tha jiska matlab tha ki apne normal SAVENT ke speed se bhi mai exact 5 seconds me us door tak pahunch sakta hun..

ye saare thoughts nano second me hi mere brain me ghum gaye the aur phir maine apni puri tezi se bhaagne ka man banaya par tabhi....


"DOUD WAHI JEETEGA JO TEZ BHAAGEGA NAHI".....


paheli ki baaki saari lines ko mai ab tak samajh bhi chuka tha aur usme kahi baaton par amal bhi kar chuka tha,,

bas ek aakhri line jiska abhi tak practical bacha hua tha,woh mere brain me gunj uthi aur jab aisa hua toh maine apne hawa me uthe hue kadam ko rok liya aur phir dheere dheere aage badhne laga...

maine sirf do kadam hi aage badhaye honge ki itne waqt me woh 5 seconds pure hue aur woh door band ho gayab ho gaya par mai phir bhi rooka nahi aur aage badhta raha aur kuch hi der me mai us jagah par pahunch gaya,jahan kuch der pehle tak woh magical door tha....

us jagah pahunch maine upar dekha jahan filhal kuch bhi nahi tha aur...


MAI-mujhe lagta hai ki batayi gayi paheli ke har bhaag ko justify aur solve kiya hai maine..agar wakayi aisa hai toh let me in or else kick me out....


apni baat keh mai chup ho gaya...kuch seconds toh yunhi shanti se beete par tabhi achanak ek jhatke me mere sir se kuch upar woh darwaza dobara prakat hua jiske agle hi pal uske dono doors ek jhatke me khul gaye aur jab aisa hua toh..

mera pura sharir us door ke andar se aa rahe tez roshni se naha gaya
aur agle hi pal mai us roshni me upar uthne laga aur dekhte hi dekhte mai us door ke andar pahunch chuka tha jiske baad woh door band ho gaya....





INSIDE THE PROHIBITED ARCHIVE






TOH YE HAI PROHIBITED ARCHIVE..


apne chaaron aur nazar ghumate hue kahi maine ye baat..

is waqt mai dobara ek library me tha....mere chaaron taraf books ka bhandar laga hua tha par ye books different thi....

aur ye mai isiliye keh sakta tha kyunki in saare books se hi mujhe behad negetive energy ka AURA feel ho raha tha...

aur ye AURA hadh se zyada shaktishaali bhi lag raha tha...

par itne negetive energy ke baad bhi inme ek positive vibe thi jo in books aur is jagah ki shakti ko balance kar rahi thi...

aur jab in saari tathyon ko feel kiya maine toh ek aur baat bhi pata chal gayi mujhe...

aur woh ye ki mere EMOTIONS aur unke saath mere AMPLIFICATION powers mujhe wapas mil chuke hain kyunki bina unki moujudgi ke mai ye sab mehsoos nahi kar sakta tha...

khair,mai idhar udhar dekh hi raha tha ki tabhi...


WELCOME RAAZ......SADIYON SE IS JAGAH KO AUR KHUDKO CHUPPA INTAZAR KIYA HAI MAINE TUMHARA.....AUR AAJ AAKHIRKAAR TUM AA HI GAYE...


ye awaaz ek jagah se nahi balki chaaron taraf se aa rahi thi jisse sun...


MAI-sadiyon tak intazar kiya hai,phir bhi khudko chuppaye hue ho...saamne kyun naahi aa rahe...???

AWAAZ-mai sirf tumhare liye hi ab tak yahan hun...par mai khudse saamne nahi aa sakta....mera bacha hua astitv mere naam se juda hai jo mai khud nahi le sakta...

paheli ki pariksha me safal hue tum...ab ye bhi ek pariksha hai jisse tumhe paar karna hai...

mujhe dekhne ke liye,mujhe apne saamne laane ke liye tumhe mera naam pukarna hoga....

haan,aisa karne me madad zaroor karunga mai...

dhyan se suno meri baat....meri awaaz se nikalte AURA ko samet jhaanko apne andar,mere naam ae judi shakti tumhare andar hi hai jiski madad se mujhe pehchaan jaaoge tum....


us AWAAZ ki baat sunte sunte hi maine uske AURA ko samet liya tha aur aisa kar jab maine usse apne andar dhakela toh....

ek tez vibrations hui mere andar par naa toh ye vibrations mere emotions ki thi, aur naahi mere AMPLIFICATION power ki aur isiliye mai us vibrations ke core ko nahi samajh paa raha tha..

khair,maine apni aaankhen band kar apne CEREBRATION process ko pause kiya aur laga jhaankne andar aur jab aisa hua toh us invisible bande ki awaaz ek baar phirse gunj uthi mere brain me..


AWAAZ-jo vastra hum pehente hain,woh humare sharir ka bhaag nahi hote,par phir bhi hote toh woh hamare hi hain naa,is tark ko neev bana bujho ki mai kaun hun....???


us AWAAZ ki baat ko sun ek jhatke me aankhen khul gayi meri...

maine jaan liya tha mere andar ho rahi vibration ka kaaran...

aur us kaaran ka naam tha ACCHUTA ki shakti ka AURA....

aur is baat ko jaan mere BRAIN me us awaaz ke maalik ka naam bhi clear ho chuka tha.....


MAI-mai jaan gaya aap kaun hai...??


mere aisa kehte hi mujhse thodi door mere saamne ek WHITE ENERGY se bani aakruti dikhne lagi..


par mai jaanta tha ki ye roshni tab tak aisi hi rahegi jab tak mai iske piche chuppe iske asli maalik ka naam nahi le leta aur isiliye unka naam lene ke liye hile mere honth aur jaise jaise mai bolta gaya,woh aakruti apna asli roop leti chali gayi....



MAI-


ek waar me hi naash hoga,chahe saamne kitna hi bada ASUR HO...

buddhi bhi kaam naa aayegi,chaahe lagane waala kitna hi CHATUR HO...

us ARROW,us BAAN ka KAAT nahi ho sakta,

jisse chalane waale aap ho, arthath swayam DHANUR HO....













AAJ KE LIYE ITNA HI....













AAPKA APNA V...J.....
Superb fantastic excellent update brother
Keep writing keep posting
Thanks for lovely update brother
 

Naik

Well-Known Member
20,993
76,657
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA AUR SLUNDER STELLARS KE LIYE QUALIFY KAR CHUKE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PROHIBITED ARCHIVE MIL JAATA HAI JAHAN USKI MULAKAT DHANUR SE HOTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-94



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLARS CLASS:-







WELCOME ACCHUTA & SLUNDER...


SAVENTS, ACCHUTA AUR SLUNDER NE APNE FIRST REFINER KO COMPLETE POWER TAK ACTIVATE KAR LIYA HAI...

ISILIYE AAJ SE YE DONO BHI IS PRESTIGIOUS CATAGORY KA HISSA AUR SAATH HI AAP SABKE PHASEMATES HAIN....

WELCOME THEM....


REGIS li baat sun SAVENTS ne apne desk par haath maarte hue ACCHUTA aur SLUNDER ka welcome kiya jispar behad khushi se woh dono class me enter hue aur sidhe aakar baari baari mujhse gale mile aur tab jab ACCHUTA mere gale laga toh....


OH,TOH YE HAI ACCHUTA JISKE PAAS PURE WHITE ENERGY KI ARROW HAI...

MAI ISKE ANDAR BASE US GHATAK SHAKTI KO MEHSOOS KAR SAKTA HUN...


ye awaaz kahin baahar se nahi balki mere andar se aayi thi aur is awaaz ke maalik the DHANUR jo apne naam aur hunar se jude ACCHUTA ki maarak shakti DIVYA ARROW ko mehsoos kar khush ho gaye the...

par DHANUR mere andar kya kar rahe hain...???chal rahe scene ko khatm karne ke baad is sawal ka jawab mil jaayega aap sabko....

khair,jahan class ke kaafi SAVENTS ACCHUTA aur SLUNDER ko yahan dekh khush the,wahin VALDIS jaise kuch SAVENTS ko issi baat se chidh ho rahi thi aur is chidh ko 100 guna aage lejaate hue ek naye level par pahuncha rahi thi REGIS aur SAPIUS ke baaju me khadi MABBA jo ACCHUTA aur SLUNDER ka STELLAR'S hona pacha nahi paa rahi thi aur issi wajah se uske man ke nakaratmak bhaav uske chehre par saaf dikh rahe the...

SAPIUS aur REGIS bhi MABBA ki haalat se parichit the par is haalat ko mehsoos kar un dono ke chehre par ek smile thi...

is beech SLUNDER aur ACCHUTA mere left aur right khade ho chuke the aur aisa kar jab unki nazar saamne khade MABBA par gayi jo in dono ko hi ghur rahi thi toh dono ko bhi uski bhaavna ko samajh hasi aa gayi...

par jahan SLUNDER dheere se hasne ke baad chup hi raha wahin ACCHUTA jiske paas mute button hai hi nahi,usne MABBA ki aur sulgaane ke liye....


ACCHUTA-hume itne khule man se welcome karne ke liye thanks WHIZZDER REGIS...

hum dono ko bhi is class ka hissa bankar acha laga... isiliye nahi kyunki is class ko royalty bhi kehte hain,balki isiliye kyunki is class me aapke aur SAPIUS jaise WHIZZDERS hain...

sirf aap dono se sikhne ke liye hi hum yahan hain warna hum GROOMERS chhodte hi nahi...

kyunki WHIZZ EDWINA aur WHIZZ PETRA CHOSENS ki best WHIZZES hain aur issi wajah se GROOMERS bhi STELLARS se kam nahi hain..


ACCHUTA ki baat sun kuch SAVENTS ko bura laga,kuch ko acha aur mujhe...!!!mai toh has diya ACCHUTA ki baat sun jisse dekh MABBA ki puri tarah sulag gayi....

kuch der tak hum teeno ko dekhti rahi MABBA par phir uske face me ek smile aa gayi aur...


MABBA-toh ACCHUTA,tumhe lagta hai ki GROOMERS catagory STELLAR'S ko takkar de sakti hai...!!!

ACCHUTA-WHIZZ,mujhe lagta nahi hai,i am sure about it...aur sirf takkar hi nahi de sakti balki hara bhi sakti hai...

haan,bas shart ye hai ki is catagory se humara ye dost RAAZ participate naa kare..

woh kya hai naa ki ab bhala koi SAVENT kaise iske aage tik bhi paayega jab aap jaisi STELLARS ki self proclaimed best WHIZZ bhi lagatar isse har challenge me haarti aa rahi hai...


waise toh ye direct beizzaati thi MABBA ki jisse sun usse aag babula ho jaana chahiye tha par hua uska ulta..

ACCHUTA ki baat sun uske face ki smile aur gehri ho gayi aur..


MABBA-wo challenge nahi,balki demonstration tha jisme tumhare friend ka saamna sirf kisi activity se bani chunouti se hua tha,MABBA se nahi...

khair,jo bhi tumne abhi abhi kaha,hold on to that thought...

REGIS, SAPIUS,10 minute....bata dena in sabko......


ye bol MABBA class ne nikal gayi jiske baad...


SAPIUS-so SAVENTS,aaj hamare teeno SOVEREIGN'S ek announcement karne waale hain aur isiliye aap sab 10 minute baad the GREAT HALL me gather honge...


jahan ye bol SAPIUS aur REGIS class se nikal gaye wahin unke jaate hi sabhi SAVENTS kya anouncement ho sakti hai,iske baare me discuss karne lage...

khair, anouncement kya hogi,ye toh kuch hi der me automatically pata chal hi jaana hai, isiliye is scene ko filhal yahi hault karte hain aur ab chalte hain us part ki taraf jisme aap sabne mere andar se DHANUR ki awaaz suni thi...

aur aisa kyun aur kaise hua,iske liye kal raat hue scene ke thode se bache part ki taraf mudte hain....





THE LEFTOVER CONVERSATIONS FROM YESTERDAY'S NIGHT:-





KITNA JAANTE HO MERE BAARE KE RAAZ!!!!


prakat hone ke pashchat kaafi der tak mujhe behad khushi se dekhne ke baad ye pehle shabd the jo nikle the DHANUR ke mooh se jisse sun...


MAI-utna hi jitna aapki bhumika LORD OF ANGELS ke samay me bani thi...

MIRROR WORLD ke baad LORD ne apko is pure bramhand ke har grah me jaakar yodha taiyar karne ka daayitv diya tha...

DHANUR-haan...yahi daayitv mila tha mujhe LORD OF ANGELS se....aur jab CHOSENS bana,toh yahan ka pehla WHIZZDER mai hi tha...

MAI-aapko mile daayitv ke baare me soch ye khayal mere dimag me bhi aaya tha....

toh phir hua kya...???aap achanak gayab ho gaye,aapke saath ye jagah bhi gayab ho gayi...

aur abhi jab aap wapas saamne hain toh bhi aapka roop pura kyun nahi hai..???aap abhi spirit form ne kyun hain...???

DHANUR-jab CHOSENS bana toh iski roop rekha, MAGICAL aur metaphisycal capabilities sikhane ka tarika alag tha aur kaafi strong bhi...

tab PHASE 1,2,3 aisa kuch nahi tha..tab SAVENTS ko 5 saal tak lagatar alag alag METAPHYSICAL ACTIVITIES sikhayi jaati thi....

darasal jab VIDEOUS ne LORD OF ANGELS aur CREATURE OF JUDGEMENT ke saamne is INSTITUTION ko banane ki baat kahi thi,tab usne ye bhi kaha tha ki har metaphysical activity me aur usse jude books me BLACK ENERGY ka vaas hoga...

taaki usse practice karne waale har SAVENT ka jhukaav BLACK ENERGY ki taraf automatically ho jaaye...

BLACK ENERGY taakat toh deti hai par saath hi iska power pressure bhi bohot zyada hota hai...

khaas kar tah jab maansik tour par isse grahan karne ke liye koi taiyar naa ho....

yahi kaaran tha ki jab CHOSENS me padhayi shuru hui,aur SAVENTS ne SPELLS aur alag alag METAPHYSICAL ACTIVITIES me part lena shuru kiya,toh unke brain ko BLACK ENERGY ke pressure ko jhelne me bohot mushkil hoti thi..

jaisa ki maine bataya ki mai yahan ka first WHIZZDER tha,par kyunki mai ek WHITE ENERGY holder hun, isiliye baaki ke sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS BLACK ENERGY HOLDER the...

aur unhe banaya tha khud VIDEOUS ne apni kaali shaktiyon ki madad se...

aur isiliye kyunki woh human nahi the, isiliye human feelings ki bhi unhe koi knowledge nahi thi...

woh sab behad strict tarike se bina daya kiye sabhi SAVENTS ko padhaya aur SPELLS practice karwaya karte the...

unke padhane ke tarike aur BLACK ENERGY ke pressure ko zyadatar SAVENTS ke BRAIN aur BODY jhel nahi paate the aur unki mout ho jaati thi....

ye sab dekh mujhe bohot dukh hua aur maine taaki BLACK ENERGY ke pressure ko balance kiya jaa sake,maine WHITE ENERGY ke AURA create kar SAVENTS ke BRAIN me daalna shuru kiya,jisse unke dimag me pressure kam hone lage the...

par saath saath ek aur chiz bhi hui...aur woh ye ki BLACK ENERGY ka prabhav joki har SAVENT ko burayi ki taraf automatically khinchta tha,woh bhi band hone laga...

aur iska pata baaki WHIZZES AUR WHIZZDERS ko tab hua,jab metaphysical activities ko karte waqt SAVENTS ke body se positive AURA nikalne laga aur jisse mehsoos kar un saare BLACK ENERGY ke holders ko ghutan honi shuru hui....

isse rokne ke liye un sabhi WHIZZDERS aur WHIZZES ne apne apne BRAIN ko sabhi SAVENTS se joda aur unke BRAIN aur BODY se WHITE ENERGY ko extract karne ki koshish ki par unki ye koshish unpar aur SAVENTS par bhaari padh gayi...

hua ye ki waisa karte waqt jab unka AURA SAVENTS ke BRAIN me panap rahe WHITE ENERGY ke AURA se takraya,toh dono hi AURA aur unki shakti disbalance ho gayi jiska natija hua MASS KILLING...

ek hi jhatke me sabhi SAVENTS mar gaye aur marte waqt un sabhi ke andar se WHITE aur BLACK ENERGY ki ek combined power nikal sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ke andar samayi jiski wajah se un sabhi BLACK ENERGY ke upasakon ka bhi anth ho gaya...

SAVENTS, WHIZZES, WHIZZDERS,sabke marte hi un sabki sammilit praan shakti beghar ho gayi aur puri CHOSENS me vidhwansh ka taandav kar ghumne lagi par phir un shaktiyon ko vaas karne ka ek thikana mila aur woh thikana tha ye jagah,THE PROHIBITED ARCHIVE....joki uswaqt sirf ARCHIVE hi kehlaati thi....

kyunki is ARCHIVE me rakhe ye books,inme behad strong BLACK ENERGY ke kan the, isiliye isse behtar thikana un asthir aur beghar shaktiyon ke liye nahi ho sakta tha par jab woh shaktiyan yahan aayin aur in books me samayi toh WHITE ENERGY ki wajah se in books me pehle se moujud BLACK ENERGY bhi unstable ho gayi....

itni khatarnaak shaktiyan aapas me hi bhid gayi jiski wajah se behad hi powerful energy waves bahar nikalne lage..

un waves me LIFE SENSING ABILITY bhi thi aur isiliye unka daayra bhi woh saari jagah thi jahan jahan LIFE hai,matlab ki pura BRAMHAAND....

aur jab is hone wali tabahi ka andesha LORD OF ANGELS aur CREATURE OF JUDGEMENT ko hua,toh unhone ek faisla liya..

faisla ki is jagah ko isse release ho rahi shaktiyon ke saath gayab kar diya jaaye...

par ye asaan nahi tha....itni powerful energy source ko band karne ke liye chahiye hoti hai kurbaani aur woh kurbaani di maine..

maine apni saari WHITE ENERGY ki shaktiyon ko apne LIFE SOURCE ke saath release kar diya aur jab aisa hua toh mere sharir se niklati energy ne is puri jagah ke energy ko khudme sokhna shuru kiya aur jab kuch der me meri shaktiyon ne aur mere life source ne apna kaam pura kiya toh ye jagah aur mai dono hi gayab ho gaye....

bhale hi meri body,meri life khatm ho chuki thi par is PROHIBITED ARCHIVE me hone ki wajah se meri SOUL yahan ki saari shaktiyon ki wajah se yahin reh gayi aur aisa hona bhi tha kyunki jab mai apni body ka tyag kar raha tha,tab LORD ne mere brain me ye message pahuncha diya tha ki mera kaam abhi khtam nahi hua hai..

ek din VIDEOUS ko ussike khel me challenge dene ke liye koi aayega aur tab mujhe usse uski asli ability ko nikharne me madad karni hogi..

yahi hoga mera aakhri kaarya...

isiliye taaki sirf tum yahan tak pahunch paao, ek paheli rupi maarg maine teeno SOVEREIGN'S ko sandesh ke roop me diya tha...

aur dekho, aakhirkaar tum yahan tak pahunch hi gaye....

MAI-is puri jagah par BLACK ENERGY ka AURA hai jisse mare hue SAVENTS aur aapke WHITE ENERGY ne dabaya hua hai...

par hai toh ab bhi BLACK ENERGY yahin phir aise me VIDEOUS ko is jagah ke baare me kaise pata nahi chala...???

DHANUR-jaisa ki maine bataya ki is jagah ka prarambhik swaroop puri tarah VIDEOUS ne banaya tha par iska jo result hua,woh uske khel ka hissa nahi tha..

waisa karna ek loop hole tha... sirf BLACK ENERGY aur WHITE ENERGY ko balance me rakhkar hi koi jagah jahan manushyon ka waas ho,khadi ki jaa sakti hai...

us ghatna ke baad VIDEOUS is sach ko samajh gaya tha...woh ye bhi jaanta tha ki wahi kriya agar dobara dohrayi jaaye toh natija bhi pehle sa hi niklega...

waise toh usse kisiki jaan ki parwah nahi hai,par woh ye jaanta tha ki agar aisa hi chalta raha toh dono LORDS uske pratidwandi ko kabhi bhi uske saamne nahi laayenge aur woh ussi BANISHMENT me phasa reh jaayega aur isiliye SAVENTS aur CHOSENS ke sabhi niyamo ke sanchalan ka kaam usne puri tarah se dono LORDS ko diya aur phir abhi jo is jagah ka swaroop hai,woh bana...

CHOSENS ka sanchalan jab LORDS ke haathon me aaya toh unhone khudke AURA se is jagah ki shaktiyon ko baandh diya jisse BLACK ENERGY bhi detect nahi kar sakti thi...

par is jagah ko baandhne se pehle tak VIDEOUS ne is jagah ko sense kiya hua tha isiliye yahan ek SAVENT bankar aane ke baad usne bohot koshish ki yahan pahunche ki par kaamiyab nahi hua...

MAI-hmm...toh ab kya..??kya mujhe apni shaktiyon ko badhane ke liye har din yahan aana hoga...

DHANUR-nahi,is jagah ka astitv sirf tab ke liye hi bacha hua tha,jab tak ke tum yahan nahi pahunche the..

ab is jagah ki zaroorat nahi hai...abse mai,ye jagah aur yahan basi WHITE aur BLACK energy ki shakti tab tak tumhare andar vaas karegi jab tak tum apni SAVENT ki shaktiyon ke shikhar tak pahunch jaate....

apni aankhen band karo aur apne fifth AMPLIFICATION mode HEART par dhyan kendrit kar apne emotions ke stable hisse ki shakti AURA ko release karo..

baaki kaam apne aap ho jaayega..

jaisa DHANUR ne kaha,maine kiya... apne CEREBRATION process ko paused kar maine apne HEART par dhyan kendrit kar jaise hi maine
apne emotions ki stable AURA ko release kiya toh....

wo AURA pure ARCHIVE me faile gayi aur aisa hote hi woh pura ARCHIVE vibrate karne laga aur dekhte hi dekhte wahan rakhe saare books bhi spirit form me convert ho mere released AURA me samane lage aur kuch hi der me woh pura ARCHIVE khaali ho chuka tha..

saare books ko absorb kar meri AURA wapas mere andar loutne lagi aur jab aisa ho raha tha toh DHANUR ki spirit bhi aage badhi aur mere AURA ke through mere sharir se hote hue mujhme sama gayi...

jab ye proccess pura hua toh mujhe apne andar bohot bhaari sa mehsoos hone laga par phir jaise jaise meri AURA neutral hoti gayi,woh bhaar bhi gayab hone laga aur is tarah DHANUR aur unke saath woh pura ARCHIVE mere andar moujud tha...



THE LEFTOVER SCENE ENDS:-






PLACE-THE GREAT HALL






GOOD MORNING SAVENTS....SO, ANOUNCEMENT TIME... EXCITED...!!!!

YES SOVES......


SHAILA ke sawal par behad josh se sabhi SAVENTS ne yes kaha tha..

is waqt hum sabhi the GREAT HALL ke beach khade the..ek line me hum STELLARS,humare left side me thode gap banakar khade the GROOMERS aur unse thode gap me khade the WEAKLINGS jisme do hi log the...

ek WHIZZ HIDA aur ek SAVENT BRAWNY...

khair, greetings ke baad baaton ko aage badhate hue...


AKSHAANT-session ke shuruat me aap sabko aapke WHIZZES aur WHIZZDERS ne ek competition ke baare me bataya hoga jisse EXERTION kehte hain,ye anouncement ussi competition ke baare me hain...

darasal baat ye hai ki ye competition har session me kamsekam 3 months ke baad hota tha par is baar WHIZZ SHAILA joki PHASE 2 ki sabse strong WHIZZ han,unke kehne ki wajah se ab ye competition aajse thik 30th day par conduct hoga....


BOOM.....

ek tagda bomb sa tha ye anouncement sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ke liye...

reason....

EXERTION koi maamuli competition nahi tha.. metaphisycal activity se bhara ye competition kaafi risky hota hai...

3 charan me bata ye competition SAVENTS ki puri efficiency aur energy,dono ko hi nichodne ke lite bana hai..

saath hi ye ek deadly competition bhi maana jaata hai kyunki isme ghaatak SPELLS aur severe physical contacts bhi allowed hote hain....

aur is competition ki sabse khatarnaak baat ye hai ki isme SAVENTS ke saath kul 2 WHIZZ ya WHIZZDER bhi participate karte hain....

jisme se ek toh koi bhi ho sakta hai par dusri hamesha se MABBA hi rahi hai jisne har baar kisi na kisi SAVENT ko aur kabhi kabhar toh apne opponent WHIZZ aur WHIZZDER ko bhi bohot nuksaan pahunchaya hai....

aur sabse badi baat ye thi ki PHASE ke shuru hone ke mahaz 3 mahine me jab SAVENTS apne 25 percent ability tak bhi nahi pahuncha hota hai, toh aise waqt par is competition ke aayojan se sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ko pareshani thi....

aur ab jab AKSHAANT ne bataya ki is baar woh competition aaj se thik teeswe din matlab PHASE shuru hone ke sirf 2 mahine baad hone waala hai,toh aise me sabko shock toh lagna hi tha...

par itne saare negetives hone ke baad bhi koi kuch nahi kar sakta tha kyunki as AKSHAANT said, MABBA philhal is PHASE ki sabse powerful WHIZZ hai aur CHOSENS ke niyam ke anusar jo sabse shaktishaali hota hai,baat ussiki maani jaati hai...

khair, AKSHAANT ki baaton ko aage badhate hue..


MOKALSAR-par is baar is competition me kuch badlav hue hain joki WHIZZ MABBA ne hi sujhaye hain...

aur woh badlaav kya hain,ye ab aap sabko WHIZZ MABBA hi batayegi....

MABBA,bataiye...

MOKALSAR ki baat par MABBA joki SAPIUS aur REGIS ke saath thode piche khadi thi,woh aage aayi aur MOKALSAR ke side me khadi hui...

stage me saamne khade ho MABBA ne ek baar mujhe aur phir mere baaju me khade ACCHUTA,SLUNDER ko dekha aur...


MABBA-is baar EXERTION ek mahine pehle ho raha hai..iske 2 reasons hain..

pehla...is session me PHASE 2 ke study chart me ek extra activity add hui thi joki kuch dino pehle hi puri hui hai...

FORBIDDEN FOREST ke un do dino me sabhi SAVENTS ka kaafi progress hua hai aur isiliye hi sabke paas ek extra bonus mila hai competition me khudko taiyar karne ke liye..

dusri....mai dekh rahi hun ki is baar ke PHASE 2 batch me kuch zyada hi honhar aur talented SAVENTS aaye hain toh aise talents ko parakhne ke mouke me delay nahi hona chahiye...


MABBA ki is baat par teeno SOVEREIGN'S ke chehre par smile aa gayi thi...

khair,apni baat ko aage badhate hue....


MABBA-saath hi un talented SAVENTS ko apne full potential ko use me laane ke liye hi is baar EXERTION test kuch hatke hone waala hai...

aur woh aise ki har baar is competition me sirf STELLARS hi 100 percent authenticity se perform karte aaye hain..

GROOMERS aur WEAKLINGS sirf ek sidekick ki hi tarah is competition ka hissa rehte hain....

EXERTION me STELLARS ko kul 2 groups me baanta jaata aaya hai jisme dono hi groups apne suvidha ke anusar GROOMERS aur WEAKLINGS se apne pasand ke SAVENT ko chunte aaye hai....

par is baar aisa nahi hoga...

is baar EXERTION me GROOMERS aur WEAKLINGS STELLARS ki hi tarah equally participate karenge...

is baar competition sirf STELLARS ke beech nahi hoga,balki PHASE 2 ke teeno hi catagories teen groups bana ek dusre se bhidenge...

ye tha ek badlaav..ek aur change bhi hai is baar ke EXERTION me...par ye change sirf mere catagory,matlab ki STELLARS ke liye hai...

aur woh ye ki agar koi STELLAR SAVENT chaahe toh woh apne catagory ko represent naa kar dusre catagory ki taraf se bhi participate kar sakta hai....

that's all...


ye bol MABBA wapas piche hath gayi par uski last baat ko sun jisme usne kaha tha ki STELLARS SAVENTS dusre catagory se bhi participate kar sakte hain,zyadatar log samajh gaye the ki uska ishara mujhse, ACCHUTA aur SLUNDER se hai...

khair, anouncement puri ho chuki thi isiliye advance me hi EXERTION ke liye all the best bol nikal gaye teeno SOVEREIGN'S jiske baad MABBA humari taraf hi dekhti hui stage se utri aur thik mere, ACCHUTA aur SLUNDER ke saamne aakar khadi ho gayi...


MABBA-kya kaha tha tumne...isne mujhe challenge me haraya hai....


ACCHUTA ko dekh meri taraf point kar kahi ye baat MABBA ne aur phir apne baat ko aage badhate hue...


MABBA-ladke woh challege nahi the,bas maamuli demonstration the jisse koi bhi aira gaira jeet sakta tha...

competition toh woh hai jo aaj se thik 30ve din hone waala hai aur us din tum teeno ko pata chalega ki MABBA kis bala ka naam hai....

bohot ghamand hai naa khudpar..kya keh raha tha tu aaj class me, GROOMERS STELLARS se behtar hai...

dekh,teri baat ko tu sach saabit kar sake, isiliye tere raaste ko asaan kar diya maine...

EXERTION me tum teeno ko STELLARS me rehkar participate karne ki zaroorat nahi hai...

agar wakayi apne zubaan ke pakke ho aur apne parents ki sagi aulaad ho toh competition me ussi catagory ki taraf se participate karo aur jeet ke dikhao..

infact,jeetna toh bohot door ki baat hai,survive karke dikhao...


parents ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ka dimag ghum gaya aur..


ACCHUTA/ SLUNDER-done....

ACCHUTA-hum survive bhi karenge aur aapse jeet kar bhi dikhayenge..


HAHAHA....

ACCHUTA ki baat sun zoron se has di MABBA aur..


MABBA-tumne apne death warrent par sign kar diya hai...ab bas encounter ki der hai...

jeetna toh door,i will make sure ki tum teeno us competition me zinda hi naa bach paao...

aur rahi baat tumhare chune catagory ki,toh tum teeno toh natija dekhne ke liye bachoge nahi isiliye result abhi se jaan lo ki GROOMERS hamesha second tha aur wahi rahega...

first position STELLARS ki hi rahegi...


ye bol ek look hum teeno kk de MABBA wapas palti hi thi ki tabhi...


MAI-arre kahan chal diye...itni lambi lambi baatein ki,kuch hamari bhi sunte jaaiye....

meri baat sun MABBA ruki,meri taraf palti aur...

MABBA-wahi mai sochu ki tumhara mooh abhi tak kaise nahi khula..???

MAI-woh sochiye jo sochne ke laayak jai aapka dimag... RAAZ ki soch par sochne ke liye abhi amatuer hain aap

khair,waise toh aapki koi bhi bakwas se ittefaq normally nahi rakhta mai,par aaj ki aapki kahi ek baat bilkul sahi hai...

GROOMERS ke second hone wali baat..ye bilkul sach hai ki GROOMERS EXERTION me second hi aayenge....

MABBA-arre waah,abhi se haar maan gaye tum...

MAI-haar aur RAAZ ek sentence me fit nahi hote... isiliye us part ko rehne dete hain..

aur meri baat ka matlab nahi samjhe aap...mai keh ye raha hun ki haan ye sach hai ki GROOMERS is baar EXERTION me second aayenge par isiliye nahi kyunki STELLARS first honge..

is baar EXERTION me first woh catagory hogi jisse aap kuch bhi nahi samajhti.... WEAKLINGS....

kyunki is baar WEAKLINGS ko represent RAAZ karega...


HAHAHAHAHAHA.......


meri baat sun MABBA ke saath kuch STELLARS jinme VALDIS bhi shamil tha,zoron se has diye...

par VALDIS MABEL ki wajah se direct insult nahi kar sakta tha meri isiliye..


VALDIS-bhai RAAZ...hum maante hain ki filhal tu is PHASE me sabse aage hai par tu itna aage bhi nahi hai aur naahi itna efficient hai ki WEAKLINGS ki taraf se participate kar STELLARS ko hara de...

SHAILA-bolne do VALDIS isse....bolne ke alawa kar bhi kya sakta hai ye....

WEAKLINGS EXERTION jeetegi...!!!hahaha....ek baar surya thanda ho gaya hai,ye ho sakta hai par WEAKLINGS ka EXERTION jeetna toh door usme kuch seconds tik paana bhi naamumkin hai...

jis catagory ke paas woh reed ki haddi tak nahi hai jiske sahare woh khudke dum par khadi ho sake,woh kya kisime jeetegi...

phir bhi,to make the CHALLENGE more interesting,agar WEAKLINGS me tum aur tumhara group jeetna toh door survive bhi kar gaye,toh i will quit from my position....


MABBA ki baat aur ye kahun toh galat nahi hoga ki MABBA ke arrogant aur negetive ATTITUDE ko dekh,sun HIDA ki saansein ghusse se fooli hui thi aur jab aakhir me MABBA ne ek naya challege diya toh...


HIDA-challenge accepted....


dheeme hi sahi par ek gurrahat ke saath nikle ye do shabd HIDA ke mooh se jisse sun ek pal ke liye sab shocked ho gaye...

jo HIDA hamesha se hi underconfident rehti thi,jiski aankhon me har waqt ek dar naachte rehta tha,woh aaj bekhouf MABBA ki aankhon me jhaank rahi thi...


MABBA bhi HIDA ke is confidence se bhare ATTITUDE ko dekhkar hairan hui par phir apne face par ek smile laa...


MABBA-offo...ab toh gunge bhi bolne lag gaye hain....

HIDA-aur jab gunge bolne lag jaayen toh samajh lena chahiye ki waqt badal chuka hai...

mera waqt badal chuka hai aur tera,khatm ho chuka hai....

kya kaha tune abhi,agar hum survive bhi kar gaye toh tu apni position se quit kar degi...

ek challenge tune rakha hai,ab ek meri sun...agar EXERTION me jeetna toh door,us competition ke aakhir me tu apne pairon par khadi bhi reh paayi,then i will quit..

par job nahi,i will quit my life...

ek mahina hi bacha hai tere paas.. apni position, fake respect aur power ko jee le is dauran kyunki uske baad inme se kuch bhi nahi rahega tere pass...

jitni insult aaj tak meri aur mere jaise simple logon ki tune ki hai,usse kahin zyada humiliate mai karungi tujhe us din...


dheere dheere chalte hue MABBA ke thik saamne pahunch uski aankhon me jhaank kahi ye saari baat HIDA ne jisse sun MABBA wakayi hairan thi..


itna confidence bhi aa jaayega kabhi HIDA ke andar,ye usne kabhi socha nahi tha par abhi jo baatein usne MABBA se kahi thi,woh bhi uski ek insult thi par SAVENTS ke saamne khule me woh kuch kar toh sakti thi nahi HIDA ko isiliye..


MABBA-pehle socha tha ki competition me tujhe ek baar phirse humiliate kar ke chhod dungi mai..

par ye badi badi baatein kar khud ka anth nishchit kar liya hai tune...

challenge me tune apni jis life ko stake par daala hai,ab mai ussi life ko apne pairon tale rondh dungi...

EXERTION is going to be the last day of your life HIDA....

HIDA- meri life khatm ho naa ho,par EXERTION me teri nayi life shuru hogi MABBA....dhyan se sun taki apni haar ke waqt gunje ye shabd tere is bhadde dimag me ki....



tere is ghamandi chehre ka naksha BIGAAD DUNGI MAI.....

woh guroor jo tere sir par hai, ek jhatke me usse UTAAR DUNGI MAI..

mout chaahegi tu,par milegi nahi....

ek nayi zillat se bhari zindagi tujhe UDHAAR DUNGI MAI......












AAJ KE LIYE ITNA HI.....












AAPKA APNA V....J....
Wah wah wah talia aaj HIDA k liye bahot zaberdast challenge dia h ab dekhte HIDA apne khatan poora ker paati h ya MABBA koyi tikdam bhidati HIDA ke liye
Dekhte kia hota aaj se teeswe din
Bahot shaandaar mazedaar damdaar lajawab update dost
 
Top