• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Hunterrrr69

Well-Known Member
2,000
4,796
159
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ AUR MAHI EK NAYE PLANET ME BANE METAPHYSICAL SCHOOL ME PAHUNCHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF FLORIN AUR MARIA KO USSI INSTITUTION ME APNI MARI HUI BETI ZINDA MILTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1

(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-12




PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE CHOSENS





GOOD MORNING......

GOOD MORNING MA'AM......


hamare saamne khadi ek lady jinhone ek pure white robe pehna hua tha,aur jiski wajah se ye pata chal raha tha ki wo hamari teacher hain,humare saamne aakar khadi hui aur hume morning greet kiya....


subah ka waqt hai....aur aaj hamara is nayi aur adbhudh duniya me bane is achambhit vidhyalaya THE CHOSENS me pehla din hai....

aage badhne se pehle kal raat se lekar ab tak jo jo baatein huin,uska maamuli aur aadha hissa pehle jaan lete hain...

baaki ka addha next update me.....


kal raat saari baaatein aur revalations hone ke baad mai hostel chala gaya tha....

aur jaisa ki SOVES SHAILA ne kaha tha,ye hostel sach ne kaafi acha tha...

6 manzila badi hai ye imarat numa hostel.yahan par dormitories nahi the balki sabhi students ke liye alag alag rooms bane the...

sabse kamal ki baat ye thi ki hamare kapdon se lekar saari zarooraton ka saaman yahan automatically ya fir sahi shabdon me kahun toh MAGIC se aa jaata tha...

aur toh aur hostel ka koi incharge bhi nahi tha par iska ye matlab nahi tha ki wahan rehne waale bache kuch bhi kar sakte the...

institution ka ek department issi hostel ka incharge tha..ye wahi log the jo yahan rehne waale students ki zarooraton ka khayal rakhte the aur magic se us zaroorat ko pura karte the....

hostel in out se SANDESHA UDANTAKA naam ke SPELL se sprayed tha jiski wajah se wahan hone waali har activity par authorities ki nazar rehti thi....

khair, office me SOVES SHAILA ne mujhe mere naam likhi ek parchi di thi aur fir ek magical door se mai us office se apne naye thikane,hostel ke baahar pahuncha...

hostel ke bade se gate ke saamne pahunchte hi mujhe gate ke beecho beech ek letter box jaisa kuch tanga dikha aur jaise hi maine apne naam ki parchi us box me daali,gate ke beecho beech ek magic door ban gaya jiske dusri taraf mera allotted room tha...

waise ek baat bata dun ki yahan ELYSIAN me bhi us waqt raat ka dusra pahar hi chal raha tha isiliye pura hostel khamosh tha....

room me aakar me so gaya..subah jab mai utha,fresh hua toh institution me pehene jaane waala dress jo ki white shirt,black pants,red sweater ya fir red jacket hain,in sab ki ek ek jodi saamne bed par rakhi hui thi..aur theek yahi teen extra pairs mere room ke cubbords me the...

footwear me black shoes yahan par pehne jaate hain....iski bhi ek jodi mere bed ke neeche aur do extra pairs cubbord me rakhe the...

ready hokar mai baahar nikla toh dekha ki school faculty ke do bande baahar lawn me khade hain aur unke saamne kuch students line me khade hue hain...

mai bhi unhike saath jaakar khada ho gaya aur fir hum sab hostel se baahar nikal institution ki taraf badh chale aur kuch hi der me hum institution ke andar the jahan pahunch un faculty members ne hume ek jagah khade rehne ko kaha aur chale gaye...

humme se kisine bhi abhi tak ek dusre se koi baat nahi ki thi...

reason..ab mera toh common reason tha aur wo ye ki mujhe kisise baat karni hi nahi thi but baaki sab isiliye chup the kyunki hum sabhi different planets se the, that means language barrier....

jahan hum hum khade the,uske right me ek dusra student group bhi khada tha jisse dekh kar lag raha tha ki wo bhi hamari tarah hi fresher's hain..

un sabhi ki nazar saamne ki hi taraf thi sivaay ek ke jo jab se mai yahan pahuncha tha,tab se mujhe hi dekh rahi thi....

ye aankhen aur kisiki nahi balki ALFREEN ki thi jo lagatar mujhe hi dekhe ya fir ye kahun mujhe hi ghuri jaa rahi thi....

khair,un faculty members ke jaane ke kuch hi der baad jo abhi hamare saamne khadi hain,wo ma'am aayin...


MA'AM-ADHERENT,DAB,MAVEN,BOFFIN,DILLENTE, SOLOMON, ARBITER....

aisa hi aur bhi bohot se words hai jo alag alag hokar bhi same hain..
ye saare words,language alag alag Planets ki hain but in same ye isiliye hain kyunki inka matlab ek hi hai...

GENIUS......

jo ki mujhe bataya gaya hai ki aap sab hain....but yahan students ko SAVENTS kaha jaata hai jo ki aaj se aap sab bhi hain...

waise mera naam OPHILIA hai..aur jaise students ko yahan SAVENTS kehkar bulaya jaata hai thik waise hi jo un students ko padhate hain,matlab hum,hume WIZZ aur WIZZDER keh kar bulaya jaata hai...

female instructor ko WIZZ aur male instructor ko WIZZDER...

ye toh hua aapka aur hamara common intro....ab mai aapko is mahan institution aur yahan par aap kya kya sikhenge,uske baare me batati hun but usse pehle aapko ek aur baat jaan leni chahiye aur wo ye ki....

jis tez dimag ki wajah se jo ki asal me GOD GIFT hai,aap sab yahan tak pahunche hain,sirf wo ab aapke kaam nahi aane waali hai....

is institution me naam kamane ke liye aap sab ko bohot zyada hard work,determination,aur sabse important focus ki zaroorat padegi....

jitna simple aap sab ke liye aaj tak ka safar raha hai,utna hi muskil aage ka raasta hone waala hai....

but i am sure ki aap sab mujhe,baaki WIZZES aur WIZZDERS ko and most importantly khud ko nirash nahi karenge...


& now about this PHENOMENAL INSTITUTION THE CHOSEN....


is institution ki sthapana aaj se 25 thousand saal pehle hui thi...aur tabhi se WIZZ SHAILA,WIZZDER MOKALSAR AUR WIZZDER AKSHAANT YAHAN KE SOVEREIGN HAIN....


aur ye laga hume aaj ka pehla jhatka...25 hazar saal se zyade umar ke hain AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR.... unbelievable.....

OPHILIA WIZZ ki baat sun unke saame khade sabhi students or as OPHILIA said SAVENTS ek dusre ko dekhne lage the...


OPHILIA-ye shock feel karna ab chhod dijiye...mat bhuliye ki ab aap sab ek extraordinary safar ka hissa banane jaa rahe hain jahan impossible hi ek aisa shabd hai jo impossible hai...

so as i was saying,25 thousands purana hai ye institution....is istitution ke kul 3 PHASES hain...

PHASES...isse aap classes bhi keh sakte hain, semesters bhi keh sakte hain ya fir degrees bhi bol sakte hain....har PHASE 18 months ka hota hai....

in teen PHASES ke naam hain..


1ST-NEW BORNS jo ki aap sab hain...

2ND PHASE kehlata hai GROOMERS....

ye PHASE toh ek hai but isme teen catogories hai jinme aap sabko aapke is NEW BORNS PHASE me kiye gaye performance ke base par select kiya jaata hai..

in teeno catogories ka naam hai


1ST-WEAKLINGS....

ye wo catagory hai jisme is saal ke kamzor SAVENTS ko entry milti hai...


2ND-MEDIANS....

is catagory me is saal ke average SAVENTS shaamil hote hain....


3RD-STELLARS

ye wo prestigious catogory hai jisme is saal ke exceptional SAVENTS khudko register kar paate hain...

and mind u,ye catagories naa sirf aapka caliber justify karti hain balki aapke self respect aur life style bhi in catagories par dependent hain....

kaise,ye aapko is saal ke end hote hote pata chal jaayega....

but for now you are NEW BORNS.....

aage badhne se pehle let me introduce you to the rest of ur this year's faculty...

WHIZZ &WHIZZDERS...TIME TO SHOW YOUR SELF....


OPHILIA WIZZ ke itna kehte hi unke dono taraf ek dhuan sa utha aur dheere dheere us dhuen ne insaani akruti ka roop lena shuru kiya aur kuch hi palon me wo akrutiyan human form me hamare saamne thi jisse dekh SAVENTS ke mooh se ek saath apne apne bhasha me WOWWW nikal gaya...

wahin hum sabke saamne khade hamare is PHASE "NEW BORNS"ke WHIZZES aur WIZZDERS ke chehron par smile thi....


1ST-hello SAVENTS...mera naam OMMIN hai....

2ND-hello SAVENTS...myself NOX......

3RD-hello SAVENTS....i am VIOLET


OPHILIA-hum chaar is saal aapke is first PHASE ke WHIZZES aur WHIZZDERS hain....

OMMIN-so SAVENTS,aaj koi class nahi hogi...aaj hum aapko is mahan institution ka ek round karayenge...

or saath hi aapke wo seniors jinhone unke first PHASE me extraordinary performances di thi,unke baare me batayenge...

OPHILIA-waise aapke knowledge ke liye ye bata dun ki jahan is waqt aap sab khade the,kabhi wahan se hum chaaron ne bhi shuruat ki thi and with God's grace,aaj hume yahin apni wo knowledge jo hume yahin se mili thi,usse paas on karne ka mouka mila...


ye baat sunkar ki hamare saamne khade hamare teachers jinhe yahan WHIZZES aur WHIZZDERS kehkar bulate hain,wo bhi kabhi hamari hi tarah yahan ke students the, SAVENTS kaafi excited ho gaye the...


NOX-par round par jaane se pehle aap sab ki abhi ki sabse badi problem ko door kiya jaayega....

koi bata sakta hai kya???


NOX ke is sawal par baakiyon ke toh haath niche rahe siwaye ek ke..aur uske haath uthathe hi....


NOX-yes,tell me???

SAVENT-COMMUNICATION SKILL....


us SAVENT ki baat sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke chehre par smile aa gayi....


NOX-whats your name???

SAVENT-MAHI......

NOX-you are right MAHI....good....

aap sabhi alag alag planets se hain...aur har planet ki apni apni language hoti hai jo ki ek dusre se alag hoti hai...

aur yahi differentiation hume khatm karna hai...aap sab jo bhi language bolen,aapke class mates,fellowmates usse apni bhasha me automatically samajhen ye zaroori hai thik waise hi jaise hamari kahi baatein aapko apni apni language jaisi lag rahi hai...

aur isiliye......


BHASHIKA VIGRAHA KAROTI....

LANGUAGE DECODER......


NOX ke spell uccharit karte hi unke sharir me ek urja utpann hui jo unse hote hue hum sabki taraf badh chali aur dekhte hi dekhte wo urja hum sabke mastishk me sama gayi....


NOX-MAHI,aap kahan se hain???

MAHI-mai Earth se hun...


MAHI ke aisa bolte hi sabhi shocked hokar uski taraf dekhne lage jiska matlab tha ki sabhi ko uski language samajh me aayi thi wahin koi aur bhi tha jiske shock hone ka kaaran dusra tha....

ye aur koi nahi ALFREEN thi,jo ye jaankar shocked ho gayi ki aur bhi koi hai jo Earth se hai.....

waise kaayde se shocked toh mujhe bhi hona tha,but iske ulat maine toh abhi tak palat kar MAHI ki taraf ek baar dekha tak nahi tha...

naa tab jab usne NOX ke puche sawal ka jawab diya tha aur naahi ab....

khair, MAHI ke jawab dene ke baad....


NOX-ab se aap sab ek hi language me communicate kar paayenge...

OPHILIA-yahan ka kaam khatm hua,ab hum is institution ke rounds par chalenge...so SAVENTS,jis tarah ki line me aap abhi hai, waise hi hamare piche piche aayiye....

ye bol wo chaaron aage badh gaye wahin hum sab hostlers jo ki pehle hi ek line me the, unke piche ho liye wahin hamare piche dusri line jo discholars (jo hostlers naa ho) ki thi,
wo hamari side se hote hue saath saath chalne lage...

is beech ALFREEN jo shuru se hi mujhe ghure jaa rahi thi,ab uski aankhon me mere liye nafrat thi,jo har pal badhte hi jaa rahi thi....

par kyun??????




PLACE-HEAVEN




KYA BAAT HAI,WAISE TOH HAMESHA MUSKURATE REHTE HAIN,AUR AAJ JAB KAHANI US MOD PAR AA CHUKI HAI JAHAN SE IS ADHBHUDH RACHNA KA ASLI ADHYAYA SHURU HOGA,AAP KA CHEHRA SHAANT HAI????


ye baat AVANTIKA ne VIKRAM ko dekh kar kahi thi jiski aankhon ke aage wahi scene chal raha tha jo THE CHOSENS me ho raha tha...

AVANTIKA ki baat sun VIKRAM kuch kahe,usse pehle hi.....


ALESENDRA-sirf aapke pati hi nahi,samaan halat inke bhi hain...

inke chehre par aaye aise theherav bohot kam dekhe hain maine...


ALESENDRA ne ye baat ASMODEUS ko dekh kar kahi jo VIKRAM ki hi tarah shaant mukh se saare drishya dekh raha tha....

par un dono ki baat sun kar bhi VIKRAM aur ASMODEUS shaant hi rahe...


ALESENDRA-acha VIKRAM ek baat toh batao,us din tumne kaha tha ki ye kahani, iske saare paatr bhale hi tum dono ne rache hain par unhe kya karna hai,ye wahi tay karenge...

par yahan toh jaisa tum dono ne tay kiya tha,thik waisa hi ho raha hai...kisine bhi tum dono ki khwahish ke atirikt aur kuch bhi nahi kiya aur haalaton ko dekhkar lag nahi raha ki aage bhi kuch alag hoga toh fir inme un paatron ki khud ki bhumika rahi hi kahan???

AVANTIKA-ALESENDRA,in dono ka racha har khel,us khel ka har khiladi inki hi chaal par chalta hai....

bhale hi usse jitna bhi lage jo ho raha hai,wo uski wajah se hai,par uske har karm path ke piche ye dono hi hote hain...

dekhna,aage bhi aisa hi hoga...bas ek baar RAAZ ki rachna ko Saar mil jaaye toh is kahani ko uska sahi anjaam mil jaayega....



HAHAHAHAHAHAHAHAHA......

HAHAHAHAHAHAHAHAHA......



ye zordar hasi dono VIKRAM aur ASMODEUS ke mooh se nikli thi....

waise toh kisiko hasta dekh khudko bhi acha feel hota hai but yahan maamla pura Ulta tha....

VIKRAM aur ASMODEUS ki is achanak aayi hasi ko sun aur dekh ALESENDRA aur AVANTIKA shocked toh hui par saath me behad ghabra bhi gayi....

reason.....

ALESENDRA aur AVANTIKA jaante the ki is universe me chuppe anginat rahasyon se bhi gehra rahasya chhupa tha is HASI me....

dono ko hi ye pata tha ki ye puri kahani anginat bhul bhulayiyon se hokar guzarne waali hai,bohot si aisi chizen hongi jiski unhone kalpana bhi nahi ki hogi,par in saare anbujhe paheliyon me agar koi aisi paheli thi jo unhe pareshan kar sakti thi toh wo ye do hasi thi..

kyunki ye wo hasi thi jisse is kahani ke har sambhav taar jude hue the aur saath hi chuppe hue the saare

.......RAAZ.........






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J.....
Are Bhai kya hoo yr tum hila dala Dimag ko and I know the reason alfreen Ka gussa hone Ka bcz RAAz ki vjh se Uske parents Yaha pr Aaye hai bt ye Khushi se Jada dukh alfreen ko isliye hai bcz itne saalo main Jo chije Alfreen ne Apne parents se paayi hai vo bahut kaam hai RAaz. Ke aage and in one word is JEALOUS
Jealous is also shows ATTITUDE vj4u
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,676
354
nafrat hi pyar ka karan bhi ban sakta hai aage jakar..wonderfull update bhai ji
 
Top